Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nikah (1313 Questions)


Showing 200- 250 questions from 1313 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3520
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-o-alekum mae bohat pareshan hon is ley jal jawab ka muntazir hon.mer shadi ko 3 saal hogae hain ,lekin abhi tak mubbashrat nahi hosaki hae.meri bevi dar jati hae .hum dono ek dosrey sae bohat pyar kertey hain sub kuch normal hae normal love making kertey hain,lekin jab mubashrat ka waqt ata hae to meri bevi dar jati hae.koi dua kuch esa bataen kae hamar kaam hojae.please meherbani kerkey mujhey jald merey emailpae jawab dedain.duaaoon mae yad rakhain .faisal

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #.5) mazeed ye k shohar k liay apni jawaan bivi k sath 4 mahinay say ziyadah jima ko chorna(stop) haram hay.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)Tauzee hul masail,maslah #2382). .Update on dated 05-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3523
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam, biwi ke saath kitnay din ke waqfay se jama karna chahiay. maximum kitnay din ka waqfa kar saktay hain? or agar rozana jama kia jae to is ka kia hukm hay?

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Ayatullah Sistani(d.b),maslah #2382,2376). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3525
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam, kia biwi ka sara jism lick kar saktay hain, khas kar pechay say lick kar saktay hain?

Answer: shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. shohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se muss ya cho saktay hein chahae lazzat se ho ya baghair lazzat k. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 05-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3530
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam, kia biwi ke jism ke kisi bhi hissay per honey ya cream laga kar lick kar saktay hain? or kia biwi bhi esa kar sakti hai?

Answer: shohar aur biwi danoo apne badan k kisi bhi hissa ko dosray k badan k kisi bhi hissa se mus kar sakhte hein. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 05-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3533
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam, agar koi pakistan say bahir job karta ho or us ki chutti saal ke bad ho to is doran wo biwi say door rehnay per gunahgar to nahi ho ga?

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). .Update on dated 05-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3535
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kia shia larki ka nikhah sunny larky say ho sakta hay

Answer: Agar is baat ka khauf or dar ho k mustaqbil(future) main aap gumrah bhi hosakti hain,jis ka ehtimaal(1-49%) beherhaal maujood hay,tu phir aap ki liay is k saath shadi bhi jaiz nahi hay.
Hum aap ko batauray khaas nasihat kertay hain k aap is terah ki shaadi nah karain.(Ayatullah Sistani(d.b),mujtahid say pochay gay sawalat,part#2, sawal#136 ).

Print

Id:
3536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia sunni larkay say shadi kii ja sakti hay ?

Answer: Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko aap ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir aap k lie is k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum aap ko bator e khass nasihat kartein hein k aap is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 )

Print

Id:
3557
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya islam mein shaadi kay baad husband aur wife aik dosre ko naked dekh sakte hai aur kya aik doosray ki sharam gah ko kiss kar sakhtay hein??

Answer: 1)shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. shohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se muss ya cho saktay hein chahae lazzat se ho ya baghair lazzat k. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 .Update on dated 05-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3583
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-o-alaikum,, mujhe apse aik cheez confirm karnii hai noha parhnay k bara main ... main married hun ab lkn noha khani bachpan se karti i hun apni 2 behno k saath.. lkn ab masla ye aya hai k yahan kuwait main bht problems hain koi hamain noha pahnay ko kehta hai lkn meri saas ko majlis main naya ka phone nahi karta tu mere liye bht problem ho jatii hai.. dekhain noha parhna aik sawab ka kaam hai or hum har jaga nahi parhty koi kehta hai tu zaroor parhty hain ,, ab aap batain kia kiya jaye meri ammi nay hamesha ye hi sikhaya hai k in kamaon main dunya darii nahi dekhni chahiye mola ka zikr hai ,,, or hum teeno behno ko noha parhna bht acha lagta hai ab kia kiya karoon jab saas ye boltiin hain k mujhe nahi bulaya tu tm b na jao .. main na jaon kia ?

Answer: Agar aap ka ghar se baahar ja kar noha parhna sohar ki ijazat se he to jaiz he aur agar sohar ki ijazat nahi he to aap ka ghar se baahar jana haram he chchay sohar k haq k manafi nah bhi ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3585
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main bhut prashaan hun mari madd karo meri shadi ko 1 saal ho gya ha main 5 mahina hi main apna shohar ka ghar rahi mare shohar na apne marzi sa shaadi ki to us ka ghar walon na tab kuch nahi kia us par kya kia pta nahi roz jhagra hona laga tb mujha bacha hona wala tha 2 mahina hua tha mujha is ka baap na dhokha sa mujha mayka bhaj dia ab beti hui ha 15 din ki ha koi nahi aaya phone bhi nahi kia mujh par kya beet rhi ha koi nahi samajhta roz usa sikhata ha kahta ha isa ab nahi laana wo mare ghar phone agar kabhi kare ga to mera maan baap ko galia nikale ga main kya karun mare madd karo

Answer: Shohar per apni is biwi ka naan o nafaqqa wajib hay.jis ka nikah da’imee hoa ho or jin baato main shohar ki ita’at wajib hay in main wo iski ata’at guzaar ho.is bunyaad per shohar hay keh wo bivi k liay khana,libaas,aisa makan ferhaam karay jis main zarori wasaa’il maujood hoon.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 407 ) ,kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3587
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAM Q: MEI AUR MERA FRIEND SALMAN HUM DONU GHAR SEY BHAG KER SHADI KERNA CHAHTEY HAI KYU K GHAR WALAY IS SHADI MEI RAZII NAHI HAI K HUM DONU KI SHADI HO KIUN K GHAR WALO NEY INQUIRY NIKALI TO LARKEY KI INQUIRY YE AII K WOH SHARAB PITA HAI JUB K LARKA NAHI PITA HAI MERE UNCLE NEY MERE GHAR WALO KO GALAT BAYANI KI HAI KYU K MERE UNCLE APNEY SON KUMAIL K SAATH MERI SHADI KERWANA CHAHTEY HAI JIS K LIYE MEI RAZI NAHI HU TO AB MENEY FINAL DECISSION YE LIYA HAI K MEI LARKEY K SAATH BHAG KER SHADI KERU GII WOH BHI MJHY BUHAT CHAHTA HAI AUR MEI BHI USEY BUHAT PYAR KERTI HU ..... IS K LIYE AAP KIYA RAI DEY GEY MEI JO KER RHI HU SHARII LIHAZ SEY THIK HAI AUR AAP MJHY MASHWARA DEY PLS SIR AAP KI BARI MEHERBANI HO GI ... PLEASE REPLY ME SIR URGENT

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335 , 2341 , 2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3588
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya Kisi Syed Or Shia Larki Ki Shadi Kisi Non syed Or Sunni Larkay Sy Ho Sakti Hai Kiya??

Answer: 1)Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221).
2) Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko shia larki ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir shia larki sunni karkay k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum shia larki ko bator e khass nasihat kartein hein k wo is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3593
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam: i am a married from last 11 years. I have two kids aging 10 and 7 years respectively.Now due to some medical reasons my wife is unable to burn other babies and i wish to increase my family. For this purpose i want to have a sencond marriege.what is your openion for me that this marriege will be in my favor or it will destroy my current family. And with islamic point of view is it jaiz?.

Answer: Aik se zaid shadi karna riyawat ki roshni me mustahib he aur doosri shadi karna makrooh nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3628
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamu alaikum, main ye janna chahta hu k kya islam me haqiqi khala(maa ki behan) ki beti se nikah karna jayaz hai ya nahi? barahe karam quran o hadees ki roshni me rehnumai karen. agar mumkin ho to hawale aur misalen bhi den.

Answer: Jee haan sagi khanla ki baiti say nikah kerna jaiz he. (Ref : A.sistani(d.b),Tauzeehul masa’il, masalah #2360).
Quran e kareem main sorah e nisa(sorah#4) ki ayat 22 or 23 main bhi in aurtoo ka zikr hay jin say nikah kerna haram hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3640
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aslam Alykum..Im 32 years old syed shia women,i got divorced 3 years before.now i want to marry again but there is no good purposals of sadaat,so shud i go for gair e sadat,,is it halal to nikah with omati(gair e syed)?

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-32).

Print

Id:
3644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salamuallaykum ,muje pehlirat ki dua aur tarika bataiye meri shadi hone wali he

Answer: 1) Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) 2) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #5) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3647
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mujhe ye poochna hai k larki k balig hone k baad agar os ki shadi na ki jae to kiya maa baap ko gunnah hota hai agar hota hai to kon see hadees main faramaya gaya hai ya kon see qurani ayat main faramaya gaya hai or larki balig kitne saal main hoti hai or maine suna hai k larki 18 saal k baad shadi na ki jae to waliden ko gunnah hota hai

Answer: Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se haram me mubtila hota ho is per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
2)Larki me balig honay ki alamat ye he k wo chaand k hisab say 9 saal
puray kar le. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2215).
3) agar rishta maangnay walay ki diyanat daari or akhlaaq pasand deeda hoon tu behter ye hay k (rishta dainay say)inkaar nah karain. Paighamber(s.a.w.w) se riwayat hay k keh “ jab bhi koe shaks tumhaari lerkhi ka rishta maangnay aay or tumhain is shaks k akhlaaq or diyanat daari pasand ho tu apni lerki ki shadi os say ker do.agar aisa nah karo gay tu zameen per bohat berha fitna phel jay ga.”( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2423). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Istimna k jism par kia nuqsanat hotay hain. or iss ki aadat ko kaisay tark kia jaye?

Answer: 1)istimna kisi bhi zariye se ho haram he. . (ref : jaded faqhi masayl masla # 462 , 458 pg # 253) 2)ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 2) ye tassavur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 3)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 4)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3654
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal ye hai k eik lerki jo kunwawri thi, phir us nay apnay parents ki ejazat se mutah ker lia. phir wo contract expire hogia. Kia ab wo larki dobara kisi or mard say mutah karay gi tu kia usay dobara parents ki ejazat ki zarorat hogi??

Answer: jo aurat kanwari nah ho (yani os k shohar nay os k saath jima/hambistari ki ho agarcha aurat ka perda e bakarat nah ki phata ho) os ko nikah kernay k liay wali(baap ya dada) ki ijzat laina wajib nahi.. agar aap k shohar nay muta k baad aap say humbistari ki thi tu ab aap ko dosray nikah k liay wali ki ijazat laina laazim nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3661
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mera sawla ye hai kay biwi kay sath inter course kay doran poray clooth itar saktay hain,kya tube light jala saktay hain,oar kya batain karsaktay hain?

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,+ 2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #.5) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3679
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia islam main bivi ka apnay husband k lower parts ko kiss karna jaiz hay ,or husban apni bivi ki breast ko moon main dal kar choom sakta hay

Answer: 1)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.isi terah biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 2) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Apni cousions yani Khala zaad,phoophi zaad,chaha zaad behnon k saath musahfa (shakehand)kerne ka kya hukm hai?

Answer: Phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behnain na-mehram hain.or na-mehram
aurton k badan or baaloo ko baghair lazzat or haram main mutila honay k khoof k baghair chona bhi haram hay.(Ref: A.sistani(d.b), Minhaajus saliheen, part#3, maslah#16, 90 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3690
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam o Alaikum. My question is that, kia main apne father ke chacha ki beti se nikkah ker sakta hun. ??

Answer: Jee haan shadi ho sakhti he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3711
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam..mujhy ik sawal krna hai plz mujhy mail py jawab dejiay.main ik lrki sy pyar krta hon wo b krti hai hamara shadi karny ka irada tha aur isliey ik bar ham dono ny sex b krlia laikin sex k bad mainy lrki k kehny pr yeh words kahy mainy kalima tauheed parha aur kaha k ALLAH k hukm sy tum mujh py halal hogai ho aur lrki ny b aisa hi kaha.to kia wo meri bv ban gai hai.kia us k liay kahin aur shadi krna jaiz hai..plz jawab zrur dain

Answer: Ye amal Nikah nahi he kehlata. Nikah karnay ki chand shartain hein jis main say chand ye hain:
1). ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay.
2. sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he .
3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335).

1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335 , 2341 , 2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam imam, i want to ask you dat my nikah iz done and my rukhsati is in few months.my husband is stayin away from me since we got engaged 2 years back.we met once in these two years and the time we met he requested me to have sex with him and i agreed.we had sex but nou fully.it did not fully go in but i had heared dat the boy haz to read 2 rakath namaz before havin sex but he dint doz he have to pray when my rukhsati is done and we have sex properly? iz it cumpulsary? what if he doz not pray do we have to give any kafara,what can i do to have a peacefull n successful life with him? i m very religious but he is nor.plz do not xpoze my name and email id.it is a request.

Answer: It is only recommended (mustahab) prayer for both wife and husband before intercourse.it is not obligatory(wajib) prayer. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #4). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3721
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia londi baghair nikkah ke jahiz hai

Answer: jee haan. Laudi(kaneez) baghair nikah k halal hay or is say tamaam lazzaat hasil ker saktay hain jis terah bivi say hasil ker saktay hain. (Ref : A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#2, 5 mujtahid k mutabiq, maslah#1320, pg # 430).

Note: ye baat wazeeh rahay k aaj k zamanay main ghulaam or laundi(kaneez) nahi hotay.is liay in masa’il per amal kerna mumkin nahi hay. Ref : A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#10 ka hashiya, pg # 11).

Print

Id:
3751
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mard k bar bar bivi ko sex karnay par razi karnay k bawajood b bivi razzi na ho to bivi k liyay kya gunah hain

Answer: 1)Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e majbori(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. 2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to roti , kapray aur makan ka wo zimadar nahi he. Agar chahe wo shohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376,2377). .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3752
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aoa.sawal ye ha k. pregnancy ma admi konsay mahinay tak biwi k saat inter course kar sakta ha.

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3753
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aslamo alikum may peshawar se apna question snd ker rha hoo may shadi shuda hoo humari shadi ko 1year ho gay hay or abi meri bive pragnet hay aap se Q ye tha k may apni bive se rozna kerta hoo kehta hoo k nai karo ga mager sex ki waja se nai reh sakta hoo plz ap kuch wazefa bathe k control may rhaoo or

Answer: Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3765
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: HELLO SIR KIA BIVI HUABAND KA PENIS MOUTH MAIN DAAL SAKTI HAI AUR HUSBAND BIVI KI VAGNIA KAY ANDAR SAY SUCK SAKTA HAI

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jay(.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) .Update on dated 06-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: hello molvi sahib kia main wife ki vagnia ko suck chooos sakta hoon aur wife mera penis suck sakti hai aur main wife kay samnay hand say mini nikal sakta hoon plz reply me thanks

Answer: shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.isi terah biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3778
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: nikha kis par haraam hai ??

Answer: nikah jis per haram hay or jin say kerna haram hay wo kaseer hain jin main say khuch ye hain:
1) On auton k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay.maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhaji, saas.
2)Musalman aurat kafir merd se nikah nahi kar sakhti.
3)musalsal merd bhi ehl e kitab k ilawa kafir aurtoon say nikah nahi kersakta, liaikin yahodi or isaa’e auto say muta kernay main koe haraj nahi.
4)Ighlaam karwane walay larkay ki maa, behen aur baiti bhi ighlaam karnay walay per jabkeh(ighlaam kernay wala) baligh ho haram ho jati he.or agar ighlaam kerwanay wala merd ya ighlaam kernay wala nabalig ho tab bhi ehtiyaat e lazim ki bina per yehi hokum hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349 - 2375). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3779
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal hai ki shadi ke bad kitne din ke bad jina karna chahiae. aur phir dubara karna hai too kitne din bad karna chahiae. kya har raat karna sahi hai pls. answer me. khuda hafiz.

Answer: Agar aurat haiz aur nifaas se paak ho to os se har din humbistri ki ja sakte hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448 )..Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3793
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kaya biwi ka dhood baccha hone se pahle ya baad mei shoher ke liye jayaz hai ya nahi?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asswalaikum how are u Moulana God Bless u! Well I just wanted to know how time can V have intercourse in one night...Is there any poblem if V have more then once? Q#2)Can i suck ma wife Inner stuff The Same my wife can? Q#3)Its permissible 2 see ma wife nude on cam ?? please Reply Thanks Allah Hafiz :)

Answer: 1) jima (intercourse) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5) 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.isi terah biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice)) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 3) shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso ko hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. shohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se mas ya cho saktay hein chahae lazzat se ho ya baghair lazzat k. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam-u-Alikum; Kia aik bar jama(intercorse) ke bad baghair wazoo aur gusal k dubara apni biwi se jama kar saktain hai?

Answer: jima (intercourse) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3798
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalam walaikum. 1)kya maa baap k bagair shadi qubul hoti hai? 2)nikha ki pahli raat ko nafil namaz padna hai?

Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. Jabke mard ko agar balig ho to ijazat zurari nahi he.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342)

2)Mustahib he k nikah(shadi) ki pehli raat hambistari say pehlay (2) rakaat namaz parhein. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 4).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3800
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mian biwi mein humbistari karnay say pehlay ki dowa kia hai jo naik olad kay maksad say bee pari ja sakay.. plz reply me soon

Answer: Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part#3,maslah#4) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam o alakum; Aayat ul Seestani jee mera sawal haikay main nay apni bivi say mahwari kay doran back muqam e pkhana say humbistari ke hai es ka koi kafara hai ager hai toe kitna hai ore kasay ada karna hai plz tell me ALLAH HAFIZ

Answer: Dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho) or razi honay ki sorat main shaded makhroh hay.aap per is amal ki wajah say koe kaffara wajib nahi hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448, & Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3819
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Is husband allowed to suck Breast Milk of his wife?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3826
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Dear Sir Please give me verdict, A person who Drink Milk of his Wife when he suck the boobs

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3846
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I am engaged to a girl, with all the consent of her and my parents. After Engagement, we would meet each other, I want to ask can we both do Muta now, and is it required to ask he father again, when we are engaged with their consent?

Answer: In case a girl, who has reached the age of puberty, is virgin and mature (i.e. she can distinguish between what is good or bad for her) wishes to marry, she should obtain permission in this behalf from her father or paternal grandfather, likewise on the basis of precaution (Ehtiyaat e wajib), though she may be passing her life independently. It is not, however, necessary for her to obtain such permission from her mother or brother. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341).

Print

Id:
3853
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: bivi k saat sex karney ki dua aur tarjumey k saat

Answer: Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, maslah # 4) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3862
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asslam u Alikum sir Humbistri ka islamic or sunnat tariqa kia hy.Ager aurat pragnent ho jaye to humbistri kr sakte hain kia iss se bache ko koe nuqsan to nahi ho ga?plz ye b bta di jiye ga kia mian bv sare kapre utar k kr sakte hain?plz mujhe detail mein Email kr dein

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgAns : Agar ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zurari nahi he balke wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ethiat e lazim ki ki bina per wazu karna bhi zurari he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3,masla # 5) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia mian apni wife ki azaay-e-makhsosa ko kiss kr sakta hon

Answer: mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko kiss ker saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay..Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia mian apni wife ki azaay-e-makhsosa ko kiss kr sakta hon choos sakta hon

Answer: shohar bivi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain or choos saktay hain,magar is baat ka khiyaal rakha jaay k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3871
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main apni job ki wajah sai apni bewi sai door houn aisi sorat main main apni baligh bewi sai mobashrat nai ker saka to meri lia kia hukam hai quran-o-ahadess ki roshnia main

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3872
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main nai sunna hai kah biwi kai sath peechay sai kernay sai nikah toot jata hai kia yah theek hai ya nai

Answer: biwi k saath peechay k maqaam(pakhanay k maqaam) main hambistari kernay say nikah nahi toota. biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3879
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main ghar se ek sal kaliye bahar ho biwi se dor .keyamain internet or tv per kuch ladki ki nagi filim dekh ker apne zarurat pura katra hu baki main 5wakti nemazi hun

Answer: Fehesh manaazir(sexy movie/ picture) lazzat ki nigaah say daikhna haraam hain or ehtiyaat e wajib ki bina par lazzat k baghair bhi daikhna haram hain. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #492-3). Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3882
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AoA mera sawaal ya ha kay jub hum intercoouse kartay ha to agar sperm larki kay vagina may hi raah jaay tu us suraat may hum kiya karay pregnent abhi nahi hona chahtay ha aur condom bhi istimaal nahi karna ha koi safe method ha to please reply me iin my email address i am waiting of your good response

Answer: Qaraar e nutfah(sperm) k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.magar ye k khauf ho k hamal ka baaqi rehna aurat ki zindagi k liay nuqsaandah hay. tu agar hamal main jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay.Aurat k liay aisi adviyaat ka istemaal jaiz hay jo qaraar e nutfa or hamal nah honay dain or ye adviyaat aurat k liay ziyadah nuqsaandah nah hoon chahay iska shohar raazi ho ya nah ho.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, jadeed masa’il, maslah#70,73). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print