Showing 50- 100 questions from 181 questions on this page.
Question: kiya islam mine kapooray khana halal hi ya haram hi ya makroo hi
Answer: Kapoore Haram hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2589). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya teddi khana halal hy ya haram plz ans zaroor kareyn kyun k kisi ny kaha hy k halal hy plz galat fahmi door kardeyn
Answer: Agar tiddi ko hath se ya kisi aur zariye se zindah pakar liya jaey to wo mar jane k baad halal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2585). Update on dated 15-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualikum. Can we use toothbrash instead of siwak.
Answer: Yes. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2599). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ye maine 2nd time ques kiya hai pahli bar bhi aapka koi jawab ni aya is bar plz aap jawab de gar hai ya nai hai Ques. Kya majboori me khana khade ho kar kha saktey hai agar kha saktey hai to wo kon c hadees hai jisme lika hai plz refrence ke sath jawab de
Answer:
1-Kharhe ho ker khana khana jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2599).
2-Sunnat hay k khana khatay waqt do zano(guthno ki bal) baitha jaay.(Ref: tehzebul islam, allama baqir majlisi, pg#69). Update on dated 15-06-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab assalam o alaikum wa rahmatullahe wa barka tahu Q - kiya aurton ka jhuta khana jaiz hai jaise ke koi chij doodh se bani ho ya doodh hi kiyun na ho.
Answer: Jazi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salaam u alykum sir mera swal yha hay k , kiya muslman larki yha larky ka juta khana jaiz hay . thanks
Answer: Jazi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: KIA MOOR HALAL HA??? MENY AHGA SEESTANI KE TOZEEH MEIN HALAL PARINDON MEIN MOOR B PARHA HA?? KAI MOOR HALAL HA?
Answer: Ayatullah sistani(d.b) k fatwe main moor Halaal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2587). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu Alicom Molvi sahb Mera aap se Sawal ye he k kya Kia non muslim ka pka hova khana kha sktay hen ya nahi|| Aap k jawab ka mutzar rahonga Shukreya|| Abdul Qadeer khan Belgium
Answer: Musalman k liye ye jaiz hai k wo ahl e kitab k alawa dosray kafiroon k haath se bana hua khana kha le, is shart k sath k musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho k kafir ne use geele haath lagaye hen. Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan nah ho k is khane me aysi koe cheez shaamil hein jin ka khana haram he, Lekin Ahle kitab paak hen or un k hath ka khana chahe geela hath hi Q nah lag jaey halaal hai, siwaey ye k wo is men aysi cheez dakhil kare jis ka khana haram ho, Al’battah ghosht , charbi aur on se bani hoe cheez na ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: beghair bismillah ke khan khana haram hai
Answer: Khana khanay sai pehlay bismillah parhna, khanay k aadab mai se shumar kia gya hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2599). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam alekum,ji mere walid sahab ko canser hai unhe ek hakim ne gaye ki urin as a medicin batai hai kya iski ijazzat islam deta hai ya nahi shukriya
Answer: Elaaj k liay istemal kerne men koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2590). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I want to ask that matti(soil) khana kio haram hai .
Answer: Aksar ahkam e sharai ka sabab or illaten (reasons) or shariyat k banane wale (yani khuda) ki nazar men qabil e aytebar maslihat hum logo se poshida hai, or hamari aqlain on ko samajhne se aajiz hain. Or wajib ye hai k illat or wajah per nazr kiye baghair wazeh hadees ki pairwi (following) karain.(Ref: Sharh-e-Lumah # 6, kitab e meras, nashir mkttab e naveed e islam, pg # 472). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: assalam alekum, mere abbu ko brain tumor hai ek hakim ne unhe cow ki urin peene ke liye kaha hai kya islam iski ijazat deta hai
Answer: Was-salaam o alaikum, ilaj k liay uoont, gaey, or bherh ka pishaab piya ja sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2590). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiy gair muslim k ghar ka khana khana jaiz.
Answer: Gosht or charbi k alawa us k ghar ka khana jaiz hai, lekin agar gher muslim ahl e kitab kafir nah ho or is baat ka yaqeen ho k us ne is khane men geela hath lagaya hai ya phir khane men koi aysi cheez shamil ki hai k jiska khana hi islam men jaiz nahi to is surat men us ke ghar ka khana jaiz nahi hia.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kounsi Machhliya Halaal hain aur Kounsi Haraam hain ?
Answer: Chilke wali machli halal hay or baghair chilke wali machili haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2578). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: alam alikam kia ham christan ka sat khana kha sakty ha ak hi bartan ma khana bana kar aor bad ma akty bat kar kha sakty hais ka bary ma wazaht chahy sokria
Answer: Jaiz hay agar koe haram cheez is main shamil nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 103Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalam.o.Alaikum... Sir ap ne btaya Kafir najis hein agar khana pakatay huay koe najasat os me gir gae ho ya kafir ka tar haath ya jism ka koe hissa bhi khanay ko mas ho gaya ho to bhi khana najis ho jay ga. Aur agar in tamaam cheezoon ka yaqeen nah ho to khana jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 104) .. 1: Mera question ye hai k pani to har khane ki har cheez main istamal kia jata hai Aur phr hath b tar ho jata hai khana bnaty hoye ( etc tea,sabzi,gunddha hue atay ki roti Aur har sabzi) to kia in sb k bawajood hum ye yaqeeen kar sakty hain k Hindu k hath ka Paka jaiz hai kun k is main gosht ya charbi ni... 2: Aur kaha jata hai k teen dafa panni se hath nikal jaye to bath pak ho jata hai????yahan tak k khanzeer ka chata gaya bartan b to kia in k hath pak ni hoty????? Plzz mere ilam main izafa farmayen...Aur mj ko answer zaror dain....
Answer:
1)-Agr insan ko yaqeen ya aqli taur par itminaan aa raha ho k kahana paktay waqt khana najis hogaya hoga tau najis shumaar kiya jaey ga, Q k kisi bhi cheez ki nijasat sabit kerne k liay yaqeen ka ana mautabar or zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 115).
2)- Ghair ahl e kitab Kafir najis hay or wo faqat islam qobool ker k hi paak ho sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 205). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia abb-e-zam zam ka pani ak saans may pena chay k 3 saans may? or haad k mutabik jawab ho.
Answer: Pani ko 3 saans main peena adaab main shumaar kia gaya hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2601). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: keya non muslim ke haat ke bana kha saktay he?
Answer: Musalman ko haq hasil hai ke wo goosht, charbi or in se bani hoi chezoo ke alawa baqi tamam chezen khale, Haan ager is ko ya pata ho ke khane ko banana wala kafir ghair ehl e kitaab main se hai or itminaan ho k is ne is khane ko geela haath lagaya hai to phir ye khana najis hai or is ko nahi khaya ja sakta. Or isi tarah jab is ko itminan ho k khane main koi haraam cheez mili hoi hai, Haan or jahaan tak goosht or charbi or in se bani hoi cheezon ki baat hai to agar ghair-muslim in ko paish kare to is ka khana haraam hai siwaey is k keh musalmaan ko yaqeen ho k ye gosht kisi halaal jaanwer ka goosht hai or is ko share tareqe k mutabiq zibah kiya gaya hai, machli k liye ye zaruri hai k wo chhile wali ho pani se zinda pakrhi gae ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia cakera khana halal ha ya haram
Answer: Haraam hai.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 160, Pg # 129, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wo konsi matti h jo musalman k lye haram h
Answer: chikne mitti khana aur bajri khana ehteyaat e lazim ki bina per haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2591). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: murghi ya kse or hilal janwer k pae ( foot) khana hram hai ya hilal
Answer: Halal janwer k pae(foot) khana halal hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 900-901, Eidition 1417 hij). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salamalikum .....mujhe ye puchna tha ki agar ham safar me kahi ja rahe ho to kya bahar ka saaman kha sakte hai jaise ki chai,pakoda ,samosa etc. ....kyon ki hame to pata nahi ki banane wala hindu hai ki nahi??????
Answer: Agar yaqeen ho k kafir ne banate waqt isko apna geela hath lagaya tha ya phir in chizon k ander koi aisi cheez mili ho jinka khana hi share taur per jaiz nah ho to khana jaiz nahi hai,(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mera sawal yeh hai ... KYA CIGARETTE PEENAY SAY YA GALI DENAY SAY WUZU TOOT JATA HAI ???
Answer: Jee nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 322). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salaam- 2 questions hai 1.jis oil mai koi haram fish (jo hummare haan halal nahi lakin brotheraan ahalay sunat k haan halal hai) fry ho.e ho us same oil mai phir kia halal fish bhi fry nahi karsakte ? kia woo oil bhi najjis ya haram hojata hai. 2. ager hummara koi ahalay sunat doost hum ko fish khanai ko dai tu khakeek wajib hai k ya skill wali fish hai ya nahi ? thanks
Answer: 1-Wo oil pak rahay ga aur us mai chilke(scales) wali fish fry ki jasakti hai.2-Tehkeeq kerna zarori hai k wo fish scales wali hai ya nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 181, Pg # 129, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kea ehle kitab(jews n cristians) logo k sath khana peena ,uthna bethna ,ya dosti rkhna haram he????
Answer: Jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 324, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mor hlal hay ya haram?
Answer: Moor halal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2587). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam o aleikum. Main ne quran pak pe hath rakh ke kasam khaii thiii chars wagaira choor doon ga. Almost 6-7 months tak nai pee leikan abi kabhi kabar peeny ko dil karta hey to kya kia jayee??? Quran pak pe hath rakh ke kasam khaii thiii?? Kia kisi tarikyy se main phir se chars pee sakta hoon aur kasam ka kaffara?
Answer: Har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawer ho,solid ho ya liquid ye kahna peena sab haram hain.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 166, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia jawan boy apni aunti ka breast milk pe sakta ha ? Agar wo is ko na choa
Answer:
Ehtiyat e wajib ki bina par insaan k doodh pina baligh insaan k liay jaiz nahi hai.
(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 03, Mafhoom e Maslah # 905, Eidition 1430 hij). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: bili ka jotha dodh ya pani pena halal ha ya haram?
Answer: Halaal hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 06-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: molana sahab my question ? molana sab main ik resturent par kam krta hu.ur resturent par sharab distrbute krni parti ha.maslan beer alcohal etc.kiya ya kam ur salry muj par ya mery ghar walo par halal ha .agr haram ha tou muja kiya krna chaiya.mera pass pakistan main job krna ka option b ha.magr muja ya btya gya ha k ya haram nae
Answer: Musalman k liay jaiz nahi hay k wo kisi k liay bhi sharab paish kare agarchah is ko pene wala halal samajhta ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 240, Pg # 162, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: fish ko zibah kia jata hy ya wsy e chor dia jata hy
Answer: Machli(fish) ko zibah nahi kiya jata balkeh usko pani se zinda bahar nikaalna hi os ka halal hona hay.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 159, Pg # 128, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslamualikom.... sir maine ye pochna hain k ...kia apna maani peena gunah hain ?2nd kia maani pene se nuqsan hota hain ?3rd medically and hadees k mutabiq plz dono jawab de jiye my name is salma ..and maine apne cum b pe le hain or apne bf ke b so i want answer plz
Answer: Mani ka pena jaiz nahi hai or gunah hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) , (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). ). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Mai mitti (bajri aur sement k pathar) khati hoon mujhay bht zada aadat hai kia ye haram hai? Ya jaiz
Answer: Ye chizen khana jaiz nahi hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 918, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia muslim mard gair muslim oorat ka jootha kha skta hai?
Answer: Kafir agar yahoodi, esaaie ya majosi ho to uska jhoota paak hai aur in k alawa dosere kaafiro ka jhoota najis hai, Or najis khana peena haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya kangaroo ka gosht Halal hai ?
Answer: Kangaroo ka gosht halaal nahi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 41,pg # 31) Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia chars (weed) pina haram ha aur agr hai to wazahat krein
Answer: Har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawer ho,solid ho ya liquid ye sab haram hain. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 166, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam un alekum. Charas peena kis catogery me ata hai Haraam ya Maqrooh
Answer: Haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 162, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aik muslim mard kisi gair muslim oorat ka jotha kha pi skta ha?
Answer: Gher Muslim orat agr yahoodi, esaaie ya majosi hai to uska jhoota pak kha pi sakte hen hai aur in k ilaawa dosere kaafiron ka jhoota najis hai, Or najis khana peena haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: fish without scale is permissible to eat if not why
Answer: It is not permissible. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 159, Pg # 128, Eidition# 5). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya kabutar ko shokiya taur par pakadkar khana jayaz hai
Answer: Jee han Kabuter kahana jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2587). Update on dated 06-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam alykum .. khana khate waqt pani peeskte hai or khana khane k baad kitni der bad pena chaiye or khate waqt pani ka istemal karskte hai
Answer: Khana khatay waqt pani peena jaiz ha.Lekin muraghghan khane(Oily foods) k bad pani peena mazmoom(na-pasandeedah) shumaar kia gaya hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2606). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Roti ko sekhne k liye roti ko agg me sekha jy tu kiya gunnah ho ga ? Or agr ho ga tu kio?
Answer: Roti ko aag me sekh kar khaya ja sakta hai koi gunah nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 902, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kia Ek muslim kisi hindu ye gair muzhab ki kherat ki hwi cheez kha sakta hai?
Answer: Musalman ahl e kitab or in k alawa dosray kafiroon k haath se bana hua khana khasakta hai, Is shart ye k sath k musalman ko is baat ka yaqeen aur itminan na ho k kafir ne us khane ko geele hath(ya jism ka koi bhi hissa) lagaya ho. Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan na ho k is khane me koi aysi cheez shamil ki hai jis ka khana haram ho..Al’battah ghosht ya charbi aur on say bani hoe cheez na ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 151, Pg # 126, Eidition# 5). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam o alaikum dit mujy sharab ki mamant or us k haram k ehkamat quran ki roshni sy btaien or wuran ka tefrence detail sy bayan krien
Answer: Sharab peena haram hay or sorah maeda(sorah#5) ki ayat#90-91 main is mana kia gaya hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #164 , Pg # , Eidition# 5). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya halal gosht ko kacha khaya ja skta hai..??? jaiz hai...??
Answer: Halaal gosht ko kacha khana jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 902,4th eidition ). Update on dated 25-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaihkum me ek pg me rehta hu jaha roti ek aadmi banata hai kuch din pehle wo daaru pia hua tha or ussi haal me roti banai kya wo roti khana jaiz hai?? Or agar dusri surat me wo hath dho k banaye to kya us surat me jaiz hai?/
Answer: Agar os k hath sharab se najis nahi hoay thay ya agar najis hoay thay or os ne hat paak ker k roti banae ho tu phir aisi roti khana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #112,163). Update on dated 05-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: how should we drink water-standing or sitting
Answer: It is better to drink water in standing position at day time, and it is bad to drink water in standing position at night. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2601-2). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya bili (cat) halal hey
Answer: Biili khana haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #881) Update on dated 14-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: nahar muo pani pina sahi he ya nahe
Answer: Read this link.(Ref: http://www.newhealthguide.org/Drinking-Water-In-The-Morning.html). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalmualikum in cheezo mein koon so Cheezay halal hai aur kaun si cheezay haram hair batae Cheezo ke naam:nimbu,zaifal,javantri,ritha,amla,sarso,aloevera,orange,honey,salt,refined fortune,narial jald se jald Batae. Mein aapka shukurguzar rahonga
Answer: Ye tamaam chezain halaal hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #919). Update on dated 06-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).