Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: General (497 Questions)


Showing 150- 200 questions from 497 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
2285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Islamabad/Rawalpindi main Ayatollah Seestani ke wakeel kaun hain? aur main un se kis tarah contact kar sakta hoon? Wsalam

Answer: bismehi taala, is k liye aap www.sistani.org ya www.rafed.net par ruju karain

Print

Id:
2291
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: how do you read tasveer namaz?

Answer: bismehi taala, pls apne sawal ko wazeh karain.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1. which is the most significant word in sura yasin and how many times doeswhich verse of the holy quran was an order of Allah to the fire? Please mention sura and verse 3.how many sura of the holy quran are named after the calamities of the day of judgement?Name them Thank you

Answer: bismehi taala, is site par fiqhi sawalat k jawabat diye jate he.

Print

Id:
2328
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mujay khatna k masail btain

Answer: bismehi taala, khatne me wajib had us hisse ko katna he jo hashfa ko dhak leta he jis ko gulfa kha jata he, is tarh se k hashfa ka surakh aur us ki jild zahir ho jeye, agar che us hisse ki tamam jild ko na kata jaye aur tamam hashfa ko zahir na kiya jaye, baharhal itni miqdar me kata jaye k khatna kha ja sake. (ref:www.sistani.org/urdu/khatna/q1)

Print

Id:
2363
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: while drinking water we should sit r not?

Answer: Paani peenay k adaab main ye shoomaar kia gaya hay k din k waqt kharhay ho ker(stand up) paani peena jaay.or raat k waqt kharhay ho ker paani peena muzmoom(contemptible) shomaar kia gaya hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2601,2602).

Print

Id:
2413
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is it WAJIB to follow laws of Islamic country. Please confirm the same. Further please also advise that is their any tolerance for the country like Pakistan because its our routine in daily life to break the laws.

Answer: Ma’aashray(social life) ki falah o behbood(profit) k liay banaay janay walay Hukumat(government) k kisi bhi qanoon ki mukhaalfat jaaiz nahi,maslan traffic ka qanoon .(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gay sawalaat,Part #2,Sawal #187 & jaded fiqhi masail, maslah #) fiqhi masail page#133,134)

Print

Id:
2442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: hum nikkah ke baad agey daal sektey ha with detail

Answer: Is k jawab ka refrence availabve nahin he aap Aytullah Khamnaie d.b. ki website address:www.leader.ir par ruju karain.

Print

Id:
2459
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-07

Question: mikhtar sakhs kisko kahte hai ?

Answer: bismehi taala, mukhtar shakhs yaani aysa shakhs k jo majboor na ho balke apna kam apne ikhteyar se kar raha ho

Print

Id:
2473
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: sir i am 25year old boy.my wish to make a great man.but i have no good knowledge in din and world.i open the book then sleeped.my memory is no very good and I am leasy no good friend.Ask me memory small no good english.my wish to knowledge able man. help the people. tell me solve me my problemy and paryer me thank you.please Anser me. s ALI HASSAN ZAIDI

Answer: bismehi taala, aap quran-o-itrat academy me 8-30 to 1-00 k darmiyan hone wale durus me shirkat kar ke apni dini maloomat badha sakte hain, jo bhi insan azim banana chahe us ki liye zaroori he k deen ko ziyada se ziyada samjhe, jitna ziyada deen ko samajenge inta zirada qur-be-parvadigar hasil hoga aur haqiqi great man wahi he jo khuda-e-taala se qareeb he.

Print

Id:
2477
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.A ap ne mujhe jo jawab dia hai us ki mujhe smajh nahi aye.or ap ne koi wazifa ya koi mashwara bhi nahi bataya.plz muhe kuch batain me kya karon

Answer: Aap ka maslah kia tha dobaarah bhaijain ya phir pehlay walay sawal ka ID batain.

Print

Id:
2488
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: how to get rentv on dd direct plus

Answer: bismehi taala, aap apne sawal ko wazeh karain.

Print

Id:
2491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam sir, main pahla bhe yah sawal pooch chuka hoo magar jawab naheen mila. Molana sahib sawal yah hay kah waldain ke ataiat zaroore ehtaiata wajib hay. Magar sir agar main kise asa jaloos, majlis, yah milee kam kay lia ja raha hoon, jahan halat kay mutabiq dahshat garde, ya intishar ka dar ho aor walid sb mujha rook dain. ase soorat main mara lia kaya hukam hay main walid sb ka hukam man kar ghar bath jaion, aor milee kam ko choor doon. ya walid sb ka hukam manoon, aor milee fareeze ko sar injam data ho haq ke awaz buland karna walon main shamil ho kar imama zaman ka hazoor apne duty pash karoon.

Answer: w.s., aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.

Print

Id:
2494
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aslam-o-Alaikum Thank u very much for ur kind information..i have some more questions..mein ne dua e twassul k baray mein net pe kafi search kia and ive found out that shia read this dua..is it ok for a sunni to reciete as well..also i would like two know muje yeh dua kitni bar or kis munasib waqt mein parhni ha..kya hum istekhara ya faul keh lie kisi se rabta kar saktay hein yahan..Shukriya Allah hafiz

Answer: w.s., jee aap padh sakte hain, is k padhne k liye behtreen waqat namaze shab k baad ya phir fajr ki namaz k baad, agar aap kisi masale me istikhara karwana chahe to Moulana Ali Raza Mahedavi saheb ko every monday between 6-00 to 10-00 0092-21-7695169 par call kar sakte hain

Print

Id:
2496
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: eid ke din gala milna aur mosafa karna jayez hai ya nahin,please reply soon

Answer: koe haraj nahi,apnay momin bhai say haath milana,galay milna
aik mutahab amal hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),Email)

Print

Id:
2515
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I WOULD LIKE TO KNOW IF "AL-MIZAN" BY ALLAMA TABATABI IS AVAILABLE IN URDU? WHO ARE THE PUBLISHER AND HOW MUCH

Answer: yes "al-mizaan" by allama tbatabae(D.B) is now available in urdu at
mehfooz book agency and remat ullah book agency and khurasaan
book center and other books stall. Part#1 is published by meeraaj company Pakistan whenever part# 2 & 3 is published by
al-ghadeer academy Lahore and there are only three incomplete
parts now.

Print

Id:
2526
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: sir plz mujhy batayen k jub insan is duniya se chala jata hy to ko qull, daswan,chahlam karway jaty hen unhe karna zaroori hy kya?? aur jo ham aesaale tawab k liye parhty hen logon ko bula kar kya uska sawam mayyet ko jata hy aysa karna theek hy ????

Answer: is sawal ka hamaray paas refrence maujood nahi hay.mehaerbani ker k Ayat ullah Kahamnaie ki website say ruju karain.(website adress www.leader.ir)

Print

Id:
2543
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Appna qool ko pura karo)us ke barea mea quran karim kia kehta hai.

Answer: Meherbaani ker k sawal wazeeh karain?

Print

Id:
2544
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: my son is one year old who already feed milk, but my wife is pregnent again.

Answer: What is your question or problem? Please tell clearly.

Print

Id:
2547
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: is it a correct news that the world is going to finish on 21st december 2012?

Answer: Quran or Ahadees main qiyamat k din or tareekh ka tu nahi btaya magar qyaamat k aaany ki 10 nishaniyaan biyaan ki hain.jin say main say kuch ye hain dajjaal ka aana,imam e zamana(a.a) ka zahoor,maghrib say soraj ka nikalna,Esa(a.s)ka Aasmaan say zameen per nazil hona, sufyani ka aana wagaira(Ref: qiyaamat k 10 merhalay, Pg# 37).

Print

Id:
2562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Our electric bill is too high as compared to our daily use. Kindly guide us if we use other means of Govt. electricity like KUNDA, Slow meter, using earth etc. Also 4 to 6 hours power failure is daily routine. Pls reply.

Answer: Electricity ki chori(kunda) ya meter main koe aisa kaam kerna k wo slow chalnay lagay jaiz nahi,Hatta k agar gair islami mumalik main bhi aisa kerna jaiz nahi.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gay sawalat Part:4sawal #169,part:3 sawal #186)

Print

Id:
2565
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalamualikum mufti shab,mujhya yeah ap say khyna hay kay main USA main rahti hon aur mayra 2 baytay hain...mayra bara bayta 4 sal ka hay aur w3o school jata hay par yahn kay school main bachoon ko achi batin nahi batay maslan kay agar koi bachoon ko ghar main maray ya dantay tu wo apni protection kay leya police ko call karin aur apnay ma ya bap ko jail kara dain to mujhay aysa koi wazifa ya dua ya koi aysi tasbee bata dain kay main wo phar kar apnay bachay ko is buray mahool say bacha loon kuin kay main bohat darti hoon yahn kay mahool say aur mayra bayta jaldhi is malhool ko sikh raha hay..mayri madad karin aur ak aur sawal hay wo yeah kay mayra bayta kuch kuch larkon ki si harkatain karta hay ...hay wo 4 sal ka aur larkuion kay becch main raha hay tu is leya kabhi kabhi larki ki harkatin karta hay usay larkuion ki cheezain pasand ati hain colour bhi larki wala pasand hay plz mayri madad karryin koi wazifa bata dain kay mayra bayta larkoon wali harkatin karay shukreya

Answer: Os mulk (country) main rehna jis say khud k ya aulaad k deen ko nuqsaan pohanchnay ka khatra ho.tu os mulk main rehna haram hoga, or hijrat (migration) wajib hogi Aap ko chahiay k apnay baytay ko gunah say is terah rokain k os ko apni zillat mehsoos nah ho, or isi terah laazmi hay k itni sakhti say bhi paish nah aain k os ko deen or deeni program say hi nafrat paida hojaay.yani pair o muhabbat say naiki ka hokum dain or gunah say rokain.ye bhi laazmi hay k ibtada main kam sakhti say paish aain or agar natijah haasil nah ho tu os say sakht darjay per amal karain.apnay baytay ko jahan tak mumkin ho wajib or haram ka btati rahain. (Ayat Ullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008, Jadeed fiqhi masail, maslah #613).
Wazifa:agar aulaad naafermaan ho or kehna nah maan rahi ho tu sorah Ahqaaf(sorah #46) ki ayat # 15 ko rozanah(daily) 3 mertabah perh ker os per poonkh dain,inshaallah aulaad fermaberdaar hojaay gi.(Makhzan e amliyaat,Pg#338,339).

Print

Id:
2581
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asaalmwalekum aurat sahi haqiqat kya hai. meine aaj islammic aurat besharam dekha

Answer: Apna sawal wazeh karain,is website ka maqsad fiqhi masail ka mujtahid k fatwa k mutabiq reference k saath jawab daina hay.

Print

Id:
2583
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: can u plz tell me is it jaiz for us to go theater or cinema in usa?

Answer: Sorry, we have no reference about this question.Please send your question to ayat ullah Khamnaie(d.b) Official website.www.leader.ir

Print

Id:
2588
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: "la hawl w la quwwat ella billahil aliyyel azeem" I would like the actual meaning

Answer: Translation:
“Naahi koe taaqat hay or naahi koe qoowat hay,siwaay Allah k ,jo k buland mertabah or buzrug(azmat wala) hay.”

Print

Id:
2744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Can i play Poker on facebook? there are no real bets included.

Answer: Joay(bets) ka khailna maal ki shart k saath haram hay, maslan poker(cards/taash).or ehtiyaat e wajib ye hay k maal ki shart k baghair bhi joay(poker) ko nah khaila jaay.or koe farq nahi perhta k poker ko computer k zeriay khaila jay ya baghiar computer k. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #460)

Print

Id:
2759
Mujtahid:
Ayatullah Behjat Date:

Question: salam mara sawal ya ha ka wajib n mustahab ma kya farq hay?

Answer: Wajib:her wo kaam jis ko kerna shariyat(islam) main ferz or laazim ho.wajib kaam k kernay per sawaab milta hay or nah kernay per gunah.
Mustahab: her wo kaam jo shariyat(islam) main wajib/ferz nah hon.laikin mustahab kaam k kernay per sawaab milta hay or nah kernay per koe gunah nahi huta.(Ayatullah Behjat (r.a.), Tauzee hul masail, maslah#) hul masail maraj’a pg# 26,30)

Print

Id:
2764
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aslam o alykum, respected scholar,my question is,are mani and madhi impure or haram.thank you

Answer: Mani is impure(najis) and mazi is paak.but both are haram for dinking. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 84 , 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2816
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-09-04

Question: allah se tauba ka tariqa batayein jis se allah foran maaf kardein

Answer: Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain:
Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay.
1)maazi(past) k gunah per shamindagi.
2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah.
3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna).
4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana).
5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho.
6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417)

Print

Id:
2834
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: wo kon si cheez hay jo pas ho to nikah nahi hota wo kon si cheez hay jo pas na ho to jinaza nahi hota

Answer: Wo cheez kufur (˜ÝÑ )hay jo agar kisi shaks k paas ho tu os say nikah nahi hosakta or emaan paas nah ho tu oska janazah nahi hosakta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#106,583,2362) .

Print

Id:
2840
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya yeh site ahl-e-tashee ki hai ya ahl-esunnat waloon ki.

Answer: Quran-o-Itrat Academy web is all about Istifta , Books Of Mujtahid ( Maraja-e-Uzzam ) with the online question and answer system for commonly asked questions. And many more about Islam and other Shia features.

Print

Id:
2868
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aslam-o-Alikom mere WALID ka inteqal ho gaya he or me apne CHACHA se paise le k Busnis kar raha hon or Jo profit hota he us me se kuch paise me apne CHACHA ko bi deta hon.tu ye kya sood he?

Answer: Agar aap k chacha is shart per aap ko paisay daitay hain k is udhar ki raqm ko izafay k saath wapas karma, tu ye sood hay or haram hay.or agar onho nay izafay ki koe shart nahi rakhi tu aap ka izafay k saath raqam ka wapas kerna or onka ye izafa shuda raqam laina sood nahi or ye kaam jaiz hay.(Tauzee hul Masail,Maslah#1, Jadeed Masail,Ayatullah seestani(d.b).)

Print

Id:
2874
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is wearing a neck tie permissible in Islam?

Answer: Tie pehanna bezat e khud haram nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 185, pg # 78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2888
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam sir mene apko kafi time phle 2 mails ki jis me se aik ye thi k kia ahtiat e wajib aur ahtiat e lazim alag alag term hen aur ahtiat e lazim ki definition kia he plz reply.salam

Answer: Ehtiyaat e wajib or ehtiyaat laazim main farq fatwa daynay k lihaaz say hay,laikin maqaam e amal(practical) main koe farq nahi.yaani Ehtiyaat e wajib ya ehtiyaat laazim ho,ya tu is ehtiyaat per amal karain ya fal’aalam mujtahid(2nd number main sab say ziyada ilm wala mujtahid) ki taraf is mislay main ruju(contact) karain agar wo 2nd aa’lam mujtahid ijazat ya fatwa day tu phir osk fatwa per amal kiya jasakta hay or is ehtiyaat ko chorha jasakta hay.(Tauzee hul Masail,Pg#473,744,478,Ayatullah seestani(d.b).)

Print

Id:
2949
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: hum log imaam ko mante hai to baaz shia sufi pir fakir ki dargha ja kar ziyarat karte hai tu ye aslam maen jaiz hai

Answer: Is me koi masla nahi he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : March 9, 2011)

Print

Id:
2991
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asalam 0 alikum, being a women,what are our responsibilites regarding the ghaibat -e- IMAM(a.s)

Answer: Apply your islamic duties. (Ref email rec from ayoullah sistani d.b. date : 12.10.2011)

Print

Id:
3038
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.sir radd e mazalim kise khte hn.aur agar kisi k pas kisi aur ki 50 ya 100 rs tak ki cheez ho aur usko wapis krna mumkin na ho tu wo ye rs kis ko de ge aur agar us k pas rs na hn tu wo kia kare ga

Answer: sher’e layhaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe at pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3066
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: WHAT IS THE NAME OF IBN-E-ZIAD L.A.

Answer: THE NAME OF IBN-E-ZIYAAD IS UBAI-DULLAH. (http://www.answering-ansar.org/answers/qatelaan_hussain/ur/chap14.php ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam ye ufone wale jo loan detay hy phr is me jo extra charge lete hy 15 ki loan dete hy 15.50 lete hy to ye extra kya interes khelaega nd ye jaiz hy?>rply

Answer: Ye interest nahi hay.or ye service charges hay.is liay jaiz hay.(Ref: dated: 17.03.10)

Print

Id:
3170
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: slam pls send ur all branches detail and phone number.i want 2 take addmission in this academy.soon.

Answer: Head office : 365/1, pire street, garden east, Karachi, Pakistan.
Ladies branch : G-1, 163-b/1, P.E.C.H.S., block-3, Karachi.

Print

Id:
3187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalama-o-Alaikum, Qibla Janab Sistani Sahab aap say guzarish hay k barahay meharbani " Ehtiyat Wajib ", k meanings aur kiya hain aur agar mumkin ho to plz iss ki tashreeh bhi farma dain...shukriya..khudaaap ko sehat-o-salamti k saath omar-e-khidhir ( A.S) ata karay, aameen

Answer: wo hakum jo ethiat k mutabiq ho aur mujtahid ne is k sath fatwa na dia ho aisay masayl me muqalid us mujtahid ki taqleed kar sakhta he jo aalam k bad ilm me sab se barh kar ho. (Is me mujtahid apna fatwa nahi deta balke ethiat lagata he) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istehalat pg # 473)

Print

Id:
3432
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Bismillahir Rahmanir Rahim May the respected scholars assist us in our ijtihad as quickly as possible… Subject: must a virgin reveal that she was raped to prospective husband QUESTION If a virgin girl was raped repeatedly by her older brother when she was around the age of 8 or 9, is she required by Islamic law (years later) to reveal this information to her prospective (intended) husband, or is it permissible to conceal this fact and proceed with this marriage as if she were (an ordinary) virgin and never mention about the repeated rapes? Jazakallahu khayran

Answer: It is not obligatory to reveal that. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : July 29, 2011)

Print

Id:
3501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam sir me 20 years ki hn kia ap mjhe koi book ya site bata sakte hn jis ki help se me auroton ke cmplete masail aur shadi k cmplet masail ghar bethe samajh sakn plz sir reply as soon as possible

Answer: 1)book : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.)
2)site : http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=1&MainTopc=21

Print

Id:
3522
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1]Can we keep rabbits as pets? 2]If a dog is kept only outdoors and never let into the house..will the angels still stay away from such homes?

Answer: 1)There is no problem in that(ref:email rcvd from sistani@sistani.org)

2)There is no problem in that(ref:email rcvd from sistani@sistani.org)

Print

Id:
3542
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: We often hear that the transactions involving interest are not allowed. Most of the people are unaware of what basically the interest is. so please clarify the meaning of interest and why is it considered as haram?

Answer: Sood(Interest) say muraad is shart per kisi say qarza laina(ya kisi ko qaza danna) k jab qarza ki raqam wapas ki jay gi tu qarzay ki miqdaar say ziyadah ada kia jaay gi.ye sood hay or haram hay.
Private bank main agar raqm rakhtay waqt sood(interrest) ki shart(agreement) nahi rakhi gae ho tu raqm ko bank main rakwana or Profit ko layna jaiz hay.chahay aap ye jaantay hon ke bank profit day ga.(ref:Ayat ullah seestani(d.b)mujtahid say pochay gaay sawalat,sawal #113)
Jab keh government bank main agar raqm rakhtay waqt sood(interrest) ki shart(agreement) nahi rakhi gae ho tu raqm ko bank main rakwana or Profit ko layna jaiz hay.chahay aap ye jaantay hon ke bank profit day ga.laikin government bank say milnay walay profit ka aadha hissa deendaar faqeer ko dainawajb hoga.(ref:Ayat ullah seestani(d.b)mujtahid say pochay gaay sawalat,sawal #113)

Print

Id:
3651
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: fatiha padhne ka sahi tarika keya hai?

Answer: Fatiha parhnay k lie aik dafa surah e al hamd parhain aur teen martaba surah e ikhlaas parhain. Os k baad ye kahain “in suratoo ko parhnay ka sawab aaima a.s. ki khidmat mai hadya ho kar jo un sai sawab milay wo hamaray marhoom ki rooh ko phonchay, aameen ” (Ref : takeebat e namaz) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp

Print

Id:
3738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Me jaan na chahata hu k meri biw Proper Hijab me rehkai CAR chala sakti hai ?

Answer: jee haan. Agar aurat mukammal hijab main ho tu os ka car chala bil kul jaiz hay. (Ref : A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, Masla # 505,522). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3739
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: maira shor5sal sy 8,10 maheeny bad sex karta hy is dorran 2 dafa talaq bhe di.quran ki kasamain kha k mufti k pas jak rajo karlia.2008 sy ab 2010 tak sirf 4 ya 5 bar sex kia wo mujhy kareeb ni any dyta 10 mah sy alg soti hon kud pas jawon to wo bazari orat khta hy.mai 5 sal sy bardasht karrhi hon boht dowin mangin hal nai.3 bachin hain 1 chance rhgya hy.mai khullh lyna choon to ki haqmahr k ailawa gharbhe mujhy wapis kaarna hoga jo usny mairy nam par lia hy shadi ko 16 sal hogy hainmain sunni hoon mai us k rawiye sy khtam horhi hooon hose wife hoon kharcha usi ghark kry sy chlati hoon man bap nai hain islam kia khta hy aisy admuin k bary main jo khud apni biwiun k haqoqyzojiat bhe ada na karty hoon or ult gandi thomatin lagaty hoon.35 age hy mairy aisy insan sy mai khula loon to pakistani sunnikanoon or islam kia khta hy us ny sirf apny nikah mai bandha howa hy 8 mah sy aik ghr mai hoty howye kabhi bat tak ni ki.gairoon ki trahn hum hain wo maira na kharcha uthata hy na zimydari mai us k sub kam karti hoon k shid allah usy hiddayt dydy .kia karoon mufti sahib allah k nazdeeq bhe ki mairy sabr ka ajar hy ya nai.koie dowa jo usy mairy tarf ragib karsky plz ans zaroordijyega maira haq sarie khula or 3 bachoon ki zmadari bhe mugh par hy jis mi 1 baiti bhe hy 15 sal ki

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Print

Id:
3901
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ASA! mera sawal ye hai ke hum apni Quranic verses ki qirrat ko kaise durast kar sakte hai? kya is se mutalliq koi website hai jis ke madad se hum online apni Qirrat sahee kar sakte hai?

Answer: Qir’at ko sunnay k liay bohat si website hain jin main say aap k liay 2 website link diay jarahay hain.
“ http://www.duas.org/quran.htm & http://www.al-quran.ca/en_baset.html”

Print

Id:
3904
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya razor ek aurat apnay jism par hair removing ke liye istimal kar saktee hai?

Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay razor istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010).

Print

Id:
3916
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kha women apni body sa hair remove krna ka lia iron ka use kr skti ha

Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay loha(Iron) istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010).

Print