Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Wuzu (116 Questions)


Showing 50- 100 questions from 116 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
52705
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-Alikum wr wb ... Jii Mera Sawal Hai Key .. Kya Aaina Dekhney Sey Wazu Toot Jata Hai ? ..

Answer: wssalam o alykum, nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52938
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye ha ke agar hawa kharij hone ko aye lekin kharij na ho or wapis chali jaye to wazu tot jata ha ke nhi

Answer: Riyah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hai (lekin agr kharij na balke sirf aysa mehsoos ho k kharij hone wali hai ya pet men hi gardish kr rahi ho to ho to wazu batil nahi hoga).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
53128
Mujtahid:
Date:

Question: kia muh sy khoon nikalny sy wozo toot jata hai....? mery dantoo(tooth) sy na chaty hoye aksar khoon ata hai jes ke waja sy mujy wozo dubaa karna parta hai...

Answer: Is se wuzu batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53329
Mujtahid:
Qus Date:

Question: Keya shisha dakhny sy wazo tot jata hai?

Answer: Jee nahi shesha daikhne se wuzu nahi tootta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54491
Mujtahid:
Date:

Question: Sallam sir kia ek mother wazo ker ley or us ka bacha poti ker dey or wo poti doodh dey tu kia mother ko phir sey waju kerna pary gs ya wazu ni tooty ga

Answer: Wssalam o alykum, dobara wazo nahi karna. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae)

Print

Id:
56668
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum wa rehmatullahi wa barakaatuhu ...... Mein ne kuch logo se suna hai ki peshab se takharat nahi toot ti . Kya yeh baat sahi hai please jaldi jawaab de!

Answer: Wssalam o alykum, G nahi peshab se taharat toot jati hai. or agr koi aysi ibadat krna ho jis k liye wazu zaruri hai to peshab k bad wazu krna hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57810
Mujtahid:
Date:

Question: Mai jb pishaab krta hun tou kbi kbi uthtey waqt meray qatray nikl jatay hn ya bethay bethay feel hot hai k bilkul end pay hain ya nikal gaye , aur meri manny bhi halki halki patli ho rhi hai ap btaien mujhe k mai kya karun , kya khaoun? Ap btaye please reply fast

Answer: Ager us shaks ko pata nahi ke wo qatre pishab ke hen to Jis shakhs ne peshab k baad istibra kiya ho or is k bad koi ratoobat kharij ho jis k bare men wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kiya ho or peshab krne k bad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi or is se wazu bhi batil na ho ga.Or agr mashkuk ratubat pishaab ke baad or itibraa se pehle kharij ho to wo pishab ka hokum rakti hai or pishaab mubtilaat e wazoo main se hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70, 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Agr us shakhs ko pata ho ke pishaab ke qatre hen to ager ye un logon men se hai jo is marz men mubtala hain to zaruri hai ke in logon ke ahkaam per amal kare,or agr is ko ye marz nahi hai or pata ho ke pishaab ke qatre hen to us ke namaaz batil hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 306 to 314, 1113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Istebra ek mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah se anjam dete hen take ye itminan ho jaye k pishab ki nali men peshab baki nahi raha, Is ka tareeqa ye hai k peshab se farigh hone k bad baaen haath(left hand) ki darmiyani ungli(middle finger)ha usko pakhane k maqam se peshab ki nali ki jarh tak sonten(wipe) kren or is k bad angothe ko peshab ki nali k uper or or anguthe k sath wali ungli ko peshab ki nali k neche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aen phir 3 dafa jatkein. Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57825
Mujtahid:
Date:

Question: Jb mai pishab kr k uthta hun tou meray qatray nikal jatay hn , aur meri manni bhi patli ho rhi hai kbi kbi asa feel hota hai k ik dum say qatrat niklnay walay hn mgr asa ngi hota ap btaien k ab mai kya karun please replay fast

Answer: Ager shaks ko pata nahi ke wo qatre pishab ke hen to Jis shakhs ne peshab k baad istibra kiya ho or is k bad koi ratoobat kharij ho jis k bare men wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kiya ho or peshab krne k bad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi or is se wazu bhi batil na ho ga.Or agr mashkuk ratubat pishaab ke baad or itibraa se pehle kharij ho to wo pishab ka hokum rakti hai or pishaab mubtilaat e wazoo main se hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70, 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Agr us shakhs ko pata ho ke pishaab ke qatre hen to ager ye un logon men se hai jo is marz men mubtala hain to zaruri hai ke in logon ke ahkaam per amal kare,or agr is ko ye marz nahi hai or pata ho ke pishaab ke qatre hen to us ke namaaz batil hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 306 to 314, 1113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Istebra ek mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah se anjam dete hen take ye itminan ho jaye k pishab ki nali men peshab baki nahi raha, Is ka tareeqa ye hai k peshab se farigh hone k bad baaen haath(left hand) ki darmiyani ungli(middle finger)ha usko pakhane k maqam se peshab ki nali ki jarh tak sonten(wipe) kren or is k bad angothe ko peshab ki nali k uper or or anguthe k sath wali ungli ko peshab ki nali k neche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aen phir 3 dafa jatkein. Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alaikum,,mera question yeh hai k kia na mehram ko dekhny se wazzu toot jata hai ya nahi

Answer: Wssalam o alykum, G nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60929
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aslamoalikum sir mera swal yh hy k wazoo k ly taharat zarori hy jab reh jab khari...j hojay ..ya mamool m b jab tak pakhna sath na nikly tab tak wazoo k ly zaroori hy taharat.

Answer: Agar faqat riyah(gas) kharij ho tu maqad ko paak kerna wajib nahi faqat wuzu kerna kafi hota hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61032
Mujtahid:
Date:

Question: mubtilat e wudhu

Answer: Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61244
Mujtahid:
Date:

Question: Lakoria sy wazu toota ha ky nhe AGR wazu kiya or lakoria nikla to wazu ho ga ya nhe

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61491
Mujtahid:
Date:

Question: A O A my question is that is it important for a girl/women to wazoou again and again in every paryer/Namaaz and if suppoes she removes her scaraf or dupata is it important to do wazoou again? plz kindly answer me

Answer: Wudhu becomes void on account of the following seven things:
1. Wudhu becomes void on account of the following seven things:
Passing of urine. Excretion. Passing wind from the rear. A sleep, deep enough to restrict sight and hearing. However, if the eyes do not see anything, but the ears can hear, Wudhu does not become void. Things on account of which a person loses his sensibility, like insanity, intoxication or unconsciousness. Istihaza which will be dealt with later. Janabat, and, as a recommended precaution, every state which requires Ghusl.(Ref: http://www.sistani.org/english/book/48/2159/ ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62044
Mujtahid:
Date:

Question: kiya begar sir pe duptta namehram dekhly tw wazoo toot jata hai ??

Answer: is se wuzu nahi toot ta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
65648
Mujtahid:
Date:

Question: kia cigrat peena sa wazu toot jata ha

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam O Allikum bhai wuzu toot jy hawa kharij hony ki waja se to dobara wuzu krny k liyh humein istanja kr k jaga ko paak krna to zarori hota hy na q k jaga to naapaak ho jati hy hawa kharij hony se? 0r agr istanja ni krna parhta to q ni krna parhta ? Usi naa paki k sath sirf wuzu krny se namaz to ni ho gi na... agr ho gi to q hogi hum to pak e ni hy phr?

Answer: Riyaah(gas) kharij hone se sirif wuzu kerna kafi hota hay. istinja kerna zarori nahi,Q k riyaah najis nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66544
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam. mubtilaat e wuzu?

Answer: salam.

Print

Id:
72283
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam-0-alaikum ....ap say puchna tha kay jb hava kharij ho jay to vazoo toot jata haii ....lakin is ka bad bathroom ja kay sharm gah ko dhoona chaye ya vasa he dubara vazoo kar lana chaye...

Answer: Gas kharij hone se wuzu toot jata hai. laikin sharamgha ko dhona zarori nahi srif wuzu kar lena zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322,80,315). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72937
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: main shaadi shuda ho.main jab bhi wazu karti ho.tab zehan mai gande khiyalat ate hai.private part aur sex k.kya iss se mere wazu toot jayega

Answer: Wuzu nahi toota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) , Waswasae k lye ( la hula wala quwata illa billah) perhe.(mafati jinah pg# 208). Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73581
Mujtahid:
Date:

Question: wazu k bad kisi non musllim or hindu se hath milne se kiya wazu tot jata hai?

Answer:
Is se wuzu nahi toot,ta. (Ref: http://www.aviny.com/Ahkam/ResalehBahjat/bahjat1002.aspx ,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 19-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73902
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoalikum Sir! Plzzz meri help kren.. Me namaz ki paband hun lekin ek bt ki confusion hy is wajah se pareshan hun.. Mra sawal/masla yeh hy k kuch months se mere sath likoria ka masla hy toh kia Likoria me namaz parhi jaskti hy?? Qk br br ghusal krna possible nhi..

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
73903
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoalikum Sir! Plzzz meri help kren.. Me namaz ki paband hun lekin ek bt ki confusion hy is wajah se pareshan hun.. Mra sawal/masla yeh hy k kuch months se mere sath likoria ka masla hy toh kia Likoria me namaz parhi jaskti hy?? Qk br br ghusal krna possible nhi.. Plz Sir reply as soon as possible

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
74408
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o alaikum... Mera sawal he k mery husband jinse mera nikkah hua hai rukhsati nae hue k sath kch dinu se ek prob hai k unhen drops any lage hain anytime magr wo drops mani ki tarhan gharey nae hoty bl k in me chpchpahat hai thori... To kia in k aany se gusal wajib hai.. Ya namaz parh sakty hain just kpry change kr k... Plz reply as soon as possible.. Jazak Allah

Answer: Aisi ratubat ko mazi kaha jaata hay, ye paak bhi hay or is k aanay se wuzu bhi batil nahi hota or kapher bhi najis nahi hote laikin is k sath paishab k qatre bhi aain tu phir kaprhe najis ho sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 70). Update on dated 07-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76291
Mujtahid:
Date:

Question: Kya dant(teeth) pe cover lgwany sy wuzu or ghusal ho skta hai?

Answer: Is se wuzu or ghusl per koe faraq nahi perhta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297,379). Update on dated 03-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81731
Mujtahid:
Date:

Question: Agr buray khayalat ki wja se jism k neche k hisay me sakhti feel ho to wazu tot jata ha??

Answer: Is se wuzu nahi toot,ta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mihajus saliheen, part#1,maslah #55 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82206
Mujtahid:
Date:

Question: wazu kay dauran salam ka jawab daysakta kay

Answer: salam ka jawab daina wajib hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #322 ). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86171
Mujtahid:
Date:

Question: kia mazi sy jism na pak ho jata hey ya sirf wazu toot jata hey qoitrat\"

Answer: Mazi paak hai or is sai insaan napaak nahi hota or is sai wuzu bhi batil nahi hota or nah hi ghusl wajib hota hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 70,71,345). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alaikum mera sawal hy k Kiya sheesha dekhny sy wuzu toot jata hy

Answer: Was Salam. Nahi,sheeshay ko dekhna mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 322). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88423
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar wazu kia ho or 5min k lye aankh lag jaye to wazu toot jaye ga kya??

Answer: Agar aisi neend hai jis ki wajah sai aankhen dekh na sakey or kaan sun na sakey tou wuzu baatil ho jata hai lekin agar aankhen nah dekh rahi ho magar kaan sun rahay ho tu wuzu baatil nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 322). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90297
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Namaz me wazoo tootna k shaq se kia namaz batil hojati hai?

Answer: Agar wuzu tootne ka shaq ho tu is shaq se wuzu batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #299). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93412
Mujtahid:
Date: 2019-01-22

Question: Asslam U Alaikum Sir! 1: Sir mana ap sa ya pochna tha k jub ghusal mukamal kar lya jy to os k sth mukama karta hi bad ma peshab ajy to kya ghusal Dobara krna para ga? 2: or kya Nimaz k doran agr washroom ki hajat ho to kya nimaz toot jti ha? 3: agr ap ka wadu ho or ap ki Stomach Gas kharij hojy to kya wadu toot jata ha or agr Nimaz ka doran ap ko Gas ki hajat ho? Please reply must

Answer: 1) Is sorat main sirif wuzu karna hoga.
2) Nahi, namaz batil nahi hogi,
3) Agar Namaz ki halat men gas kharij ho to namaz batil ho jati hai aghmr namaz kay doran kharij ho gae to namaz batil hojaey gi.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #322,1113).
[Updated on 22-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95311
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-12

Question: Assalam o alaikum mera sawal ye hy k jisy peshab k katrat aty hon wo namaz kesy parhy or agr namaz me nikal jay to kya krna chahiye?

Answer: Agar paishaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).jis ko ya bimari ho to namaz kay doran lazim nahi hay ky pishab hony ki waja say dobara wazu karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#307)
[Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
96310
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-13

Question: Roze me agr seprm cl jye. To kya hoga.

Answer: Bay ikhtiyaar agar mani kharij ho jaey tu roza baail nahi hoga lekin agar ikhtiyaar sai kharij ki jaey tu us ka roza baatil hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1569,1570)
[Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98541
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-16

Question: Kia vomit krne se wazu toot jata he ????

Answer: Jee nahi, ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322)
[Updated on 16-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-26

Question: Mei apny bachy ku feed krwati hun tu kia apny jism pe nazar parny se wuzu toot jata hei?? R gusal k bad kapry pehnty huy khud pe nazar parny se wuzu toot jata hei?? Plzz answer

Answer: ye dono cheezein mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai lehaaza wuzu baatil nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). mubtilaat e wuzu ki fehrish k liay is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3630/ per click karain or maslah#329 perh lain.
[Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102440
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-09-04

Question: Kia galati se tv mein ya mobile mein naked girl ya boy ko dekhlene se wuzu toot ta hai? Aur kia jaan boojh k dekhne se toot ta hai?

Answer: jee nahi is se apka wazu nahi tootta, kyun keh yeh mubtilat e wazu me se nahi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 322 ).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102607
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-29

Question: mera sawal yeh hai k agar kissi ko lips pe kiss karain toh kia wuzu toot jata hai. main female hoon toh female k hawale se hi btaiyega

Answer: jee nahi, kisi ko kiss karna wazu tootne ka sabab nahi banta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh Ul Masail, Maslah No : 322).
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102726
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-30

Question: Baghair taik lagae sonay sy wuzu tut'ta hy

Answer: Aisi neend jis mai aankh dekh na sakay or kaan sun na sakay tou wuzu baatil hojaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 322)
[Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103095
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Wuzu k bad agr finger ki bejaan skin glti s toot jay to kya wuzu toot jayga

Answer: jee nahi apka wazu sahi hai , kyun ke yeh mubtilat e wazu me se nahi hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 322 ).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Kya aurat ke jisam ka koi hissa nazar aane se wazu toot jata hai?

Answer: is say wazu batil nahi hota (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #344).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: what are mubtilat e wazu , pl metion all

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-08-11

Question: assalam o aliekum ! mera sawal yeh hay kay " Agar insaan namaz parthtay waqt usey zehan mein booray khayal ajayey to kiya uss ka wuzu tooth jata hay" ? kiya ussay doobara wuzu karna chahiyey ?

Answer: Jee nahi ye mubtilaate wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 329).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111525
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-27

Question: agar wazo k bad thori si hawa nikal jay to kia pura wazo dobara krna prhta hai ?

Answer: Jee han, dubara wuzu kiya jaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestrani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111887
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-10

Question: Kiya dantoon (teeth) sa hoon ay to Kiya wozu toot jatta ha..hoon agr Thora sa ho to???

Answer: Jee nahi, ye wuzu ko batil karne wali zheezon men se nahin hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322)
[Updated on 10-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111969
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-12-11

Question: Kya nanga jism dekhne se wuz hu toothjata hai

Answer: jee nahi ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 329).
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112467
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-01-09

Question: Asalamualikum... Mera sawal yeh hai ki hamara wazu apnay bachay ki potty wash karnay say toot ya kharab ho jata hai...please reply

Answer: Is kaam se wuzu nahi tootta .
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 329).
[Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-26

Question: Kya peshab rokne se wazzu toot jata he

Answer: Peshab rokna makrooh hai aur agar badan k liye mukammal tour per muzir ho to haram hay. Lekin is se wuzu batil nahin hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #78,322).
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-26

Question: Aoa! Sir kiya hawa kharij hone se sirf wuzu dobara karna hota hai ya istinja bhi zaroori ? Kindly answer me immediately..

Answer: Maq,ad se hawa kharij hone sy wuzu baatil hota hai istinja ki zaroorat nahi hoti faqat wuzu karna kafi hoga .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Kya bina awaz or badboo ki hawa kharij hone se wuzoo tut jata hai

Answer: Riyaah(hawa) chahe awaz ke sath kharij ya bagair awaz ke is ke kharij honay say wuzu toot jata hay or bas wuzu karna hota hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #322).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-07

Question: Kya sharamgah ko hath lagane se wazu toot jata hai Jaise k shalwar badalty hue agr apni sharamgah ko hath lagayen to dobara wazu karna paray ga?

Answer: jee nahi sharamgah ko haath laganay sai husal baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print