Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Qurbani k Masael (132 Questions)


Showing 0- 50 questions from 132 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3164
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: KIYA WALID KAY KEHNAY PAR 5 BHAI PAISAY MILA KAR BAKRAY KI QURBANI DAY SAKTAY HAIN,KIYA AISA KARNA JAIZ HAI?

Answer: Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6549
Mujtahid:
Date:

Question: A.A Janwar ko Zibah (Halal) krne k shari ahkamat kia hain?

Answer: jaanwer ko zibah karnay ki chand sharait hein:
1. zibah karnay wala zarori hay k musalman ho.
2. jahaan tak ho sakay jaanwer ka gala lohay ki churi se kaatay.
3. zibah kartay waqt jaanwer ka rukh qibla ki taraf ho.
4. zibah ki niyat se zibah karnay wala khud khuda ka name lay.
5. zibah honay k bad jaanwar harkat karay.
6. jaanwer k badan say itna koon niklay jitna mamool k mutabiq nikalta hay.
7. jaanwer ka gala zibah ki niyat say kata jay.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
9390
Mujtahid:
Date:

Question: Mufti sahab mene ye pta karna hay k QURBANI kab wajib hoti hay oskey liye hamarey paas kiya kuch hona chahiye..agar mufti sahab kisi ne CAMETY (B.C) daali hui ho or os ne ab tak 30,000 jama karwa diye hon or os k pass 20,000 ka aik CAMERA bhi hoto kiya QURBANI wajib ho jaye gi...or EID tak aur PAISEY aajayein to kiya tab wajib ho gi...mein wo MIKDAAR or tareeka poochna chahta hoon k kitna paisa or kon kon c cheez shamil hoti hay QURBANI wajib karney k liye....tafseel batayyee ga Shukriyaa... or ye bata dijiye k ap kis FIKKEY k mutabik jawab dein gey..

Answer: Is web pr Faqt Fiqh Jaffariya k mutabiq jawabaat diye jate hen.
Qurbani faqt hajj men wajib hoti hai is k elawa Qurbani jese EID KI Qurbani wajib nahi hai mustahib hai.(Ref : From Email or Aqai Sistani (d.b) Ahkamat azhaa.Arabic www.sistani.org )

Print

Id:
9848
Mujtahid:
Date:

Question: kya mai apne ammi abbu ke naam se qurbani kara sakta hu ..plz reply

Answer: Jee Haan Baqra eid ki Mustahab qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4).

Print

Id:
10012
Mujtahid:
islam Date:

Question: a,o,a.sir kya qurbani k janwar yani bal k 2dant hone zrori han?hwaly k sath btaen THANKS

Answer: Wssalam o alykum, 2daant ka hona zarori nahi hai balke ehtiyaat e wajib ke toor per zarori hai ke bell pore 2 saal mukammal kar chukka ho.(sistani .org arbi porstion, topic # azha , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10672
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam kia eid ki namaz say pahaly janwar qurban kar sakthy hain ya is ka koi time mukarar hay.

Answer: Gee han namaz-e-eid say pehlay janwar qurban ker sakte hain,qurbani ka waqt tulu e aftaab sey shuru hota hai.(Ref : www.sistani.org ). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
11671
Mujtahid:
SISTANI Date:

Question: KIA FIQH JAFFRIA KAY TEHT HUM KHASI BAQRAY KI QURBANI KAR SAKTAY HAY AGAR HA TO KUN KUN SI SHARIAT HAY

Answer: 1. Qurbani kerna takeed k saath mustahab hay.

2. Qurbani k jaanwer main on sifaat ka hona zarori nahi hay jo k hajj ki wajib qurbani k jaanwer main hay, layhaza kaana(One eyed), langrha(Lame), kaan kata, seengh toota, khassi aur dublay jaanwer ki qurbani jaiz hay. agarchah afzal ye hay k mukammal aaza(parts) or motay(Fat) jaanwer ki qurbani ki jaay.

3. Qurbani k jaanwer main mutabir hay k wo 3 qisim k maweshi main se ho yani 1-aunt, 2-gaay or 3-bheerh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis aunt k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay.

4. Qurbani soraj nikalne se pehlay nahi ki jasakti.(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271 )

Print

Id:
17013
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Salamunalaikum ! Eid-e-Qurban ki qurbani min Gai (cow) ki kitne hisse (parts) kerna mustahab hain? Aur kya qurbanike aik hisse min 2 ya 3 momin shamil ho sakti hain?

Answer: Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17063
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Please poochi gai sawal ke mutabiq jawab din, Shukriya. Sawal ye hai kih kya Gai ya bhens ki qurbani ke aik hisse (jo kih aik momin aur us ki ahlekhana ka hota hai, aur 3 hisse kerke masakeen aur rishtadaron min taqseem kerna hota hai) min 2 ya 3 momin shamil ho sakti hain?

Answer: 1)Baqra eid ki Mustahabb qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.

2)Qurbani k teen hissay kia jain aik hissa apnay lie, doosra hissa baqi muslmanoo k lie aur afzal ye hai k teesra hissa gareeb muslmanooko sadqay mai dia jae. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17905
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o Alcom Mera sawal yeh hai k ISLAM mein Qurbani kin kin janwar ki jaaiz hai

Answer: Qurbani k janwar main mutabir hay k wo 3 qism k maweshi main se ho yani 1-ount(camel) , 2-gaay or 3-bhairh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis ount k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. (Ref : http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18471
Mujtahid:
seestani sab Date:

Question: slam kia qurbani farz hai is ki tafseel bayan farmain mehrbani ho gi

Answer: Baqra eid k din qurbani karna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 janwar ko qurban karay, isi terah qurbani main ka’e afrad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref : Sistani(d.b), Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah # 27, sawal # 4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18782
Mujtahid:
Date:

Question: eid ul azha ki qurbani kin janwaron per jayaz ha our bhans yani baffallow per qurbani jayaz ha ya nhn

Answer: Qurbani k janwar main mutabir hay k wo 3 qism k maweshi main se ho yani 1-ount(camel) , 2-gaay or 3-bhairh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis ount k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. Aur buffalo ki qurbani jaiz hai(Ref : http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18952
Mujtahid:
Date:

Question: qurbani k janwa k lye kaya sharty hoti ha

Answer: Baqra eid k din(hajj k ilawa dosere jaghao me) qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf sai or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 janwar ko qurban karay, isi terah qurbani main ka’e afrad(many persons) ki shirkat jaiz hai.(Ref : Sistani(d.b), Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah # 27, sawal # 4).
Hajj me jo qurbani wajib hoti hai is me ye sharait hain : wajib hai k qurbani me camel ho ya cow, bhair ho ya baqri(goat). Camel os waqt tak kafi na ho ga jab tak 5 sal puray kar k 6 sal me dakil na ho chuka ho, cow aur baqri bina bar ahwat jab tak 2 sal mukammal kar k teesray sal dhakil na ho aur goosfan jab tak 7 month ko mukamal kar k 8 month me dakil na ho. Qurbani mai ye bhi zaroore hai k is k aza salim ho pas kana,lanra,kaan kata aur sink tota waghaira kafi nahe hai aur khase bhi na ho makar ya k kohe dosera na milraha ho .ye bhi zaroore hai k louqo k ahtebaar se kamzoor na ho .(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384)

Mustahab qurbani me wo sharait hona zaroori naha jo wajib qurbani me bayan ki gae hain siwaye umer(age) wali shart k yani ehtiyat e wajib ki bina per ount(camel) ki umer me zaroori hai k wo 5 sal pure kar k 6 sal me dakil ho chuka ho , ghay(cow) ho ya baqre(goat)me ehtiyat e wajib ki bina par 2 sal mukammal kar chuke ho aur 3 sal me dakil ho chuke ho aur goosfan me 7 month(mahene) mukamal kar k 8 month me dakil ho chuka ho .(Ref : Sistani.org Arabi topic azha) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
19826
Mujtahid:
ali hussaini sistani Date:

Question: kia qurbani eid namaz se pehlay karni chahiay ya baad main

Answer: Qurbani ka waqt talou e aftab k baad shru ho jata hai aur talou e aftab k baad qurbani ka afzal waqt eid k pehlay din namaz e eid parhnay ki miqdar ghuzr janay k baad hai.(yani behtr ye hai namaz eid k baad qurbani ki jae) (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
19847
Mujtahid:
Date:

Question: kia khassi janwer ki qurbani jaiz hai

Answer: Mustahabb qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
22380
Mujtahid:
seestani sab Date:

Question: slam kia qurbani ki neat say janwar ghar main pala ja sakta hai

Answer: Qurbani ki niyat sai janwar ko palna jaiz hai laikin jis janwar ko insan nai pala ho osay khud apnay hath sai zibah karna riwayaat mai makrooh shumar kia gya hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2563)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
37840
Mujtahid:
Ayatullah sistani sahab qibla Date:

Question: Sawaal :- Kya aurat bakre ko zibah karsakti hai?

Answer: Jee han aurat janwar ko zibah kar sakti hai. albetta is k alawa janwar ko zibah karnay ki aur bhi shrait hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2557)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44502
Mujtahid:
Ayatollah Sistani Sahib Date:

Question: Kia Bail (Ox) yani nar gai ki qurbani jaiz hay ya mada hona zaroori hay

Answer: Mustahab qurbani k janwar mai nar aur mada (male or female) mai koi faraq nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. masla # 4 http://www.qoitrat.org/Qurbani/qurbani%20k%20masail.html )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47745
Mujtahid:
aaqa sistani sahab Date:

Question: salam alkum janab mai qurbani ke mashail ke bare me janna chahta ho jaisa ki isme likha hai haj ke alava doosri jagah qurbani karna mustahbe muqedda hai aur mustahb qurbani me us janvar ki qurbani ho sakti hai na millne par jo ki kana singh toota hua ya khasi kiya hua mera sawal ya hai ki india me jahan ham log hai waha pe pe gaye (cow) ki qurbani de nahi sakte qki hindu muslim danga ho jayega unt (cammel) hai nahi aur khasi (goat) 2 saal ka nahi milta aur mai aap se ye baat poochna chahta ho ki kahan likha hai ki qurbani ke liye khasi (goat) ki age 2 saal se kam na ho jabki log kahte hai ki 1 saal se kam na ho hamne to nahi dekha lekin log kahte hai ki tohfatul aawam me yahi baat likhi hui hai ki khasi 1saal se kam na ho

Answer: Mustahab qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48377
Mujtahid:
any one Date:

Question: kia qurbani ka ghosht non muslim ko bi diya ja sakta hai (with reference) jazakallah

Answer: Jaiz to hai magar qurbani k teen hissay kia jain aik hissa apnay lie, doosra hissa baqi muslmanoo k lie aur afzal ye hai k teesra hissa gareeb muslmanooko sadqay mai dia jae. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48683
Mujtahid:
Date:

Question: salam,i want to ask that in which age we can zibah the goat ?

Answer: It is obligatory precaution that when goat complete 2 years of its life.(Ref: email aqa e sistani d.b)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50788
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam Alikum! main abhi KSA me hun. Kya mere naam se Qurbani India me ho sakti hae mery gair haajri men?

Answer: wssalam o alykum, ge han ho sakti hai.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52126
Mujtahid:
Date:

Question: Aslkm koi naye jagah par koi janvar qurban kiya ja ye toh kya wo qurbani bache ke aqiqe ke liye consider kar sakte hai

Answer: Ge haan qurbani k sath aqiqa keya jasakta hai.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3, masla#394).

Print

Id:
52554
Mujtahid:
shibli kagchi Date:

Question: kya qurbani ka gosht khana farz hai musalman kaei liye

Answer: Jaiz hai. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57296
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: oont ke qurbani me katnay hassay hatay hain

Answer: Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main kae afraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57966
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: assalamualaikum janab mere pas ek bakri h jo takreeban 5 6 saal h badi khoobsoorat taaqatwar tandurust h bina bacho ki h koi aulad nhi h bas uska ek baanya seeng upar se adha toot gaya tha usme se koi khoon wagera nhi nikla na shayad use koi taqleef hui is baat ko ek sal se zyada ho gaya h mujhe bataiye ki qurbani jaiz h

Answer: Wssalam o alykum, Ager qurbani mutahab hai to jaiz hai, mager afzal hai ke is main koi naqs na ho, lekin ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai ke bakri 2 saal mukammal kar ke 3 saal main dakhil ho chuki ho.(sistani .org arbi porstion, topic azha , Allah Taala hi tofiqaat main izafa frmaane wala hai).

Print

Id:
58325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia qurbani me sirf cow me aik se ziada momin hissa dal sakte hein ya bakre me bhi hissey ho sakkte hein and maximum kitne hissey allow hain ?

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)(Khuda aapki tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
58329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya Qurbani ma Haqeeqa ho sakta ha?

Answer: jis ki janib se eid ki qurabani ki jay os ka aqaiqa bhi hojata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah #394 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58736
Mujtahid:
Date:

Question: Kia islam me buffalo( kattay) ki qurbani jaiz he

Answer: Eid ul azah ki qurbani me wajib hai k qurbani me Uont (camel) ho ya gaye (cow) bherr ho ya bakri (goat). ( Ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
58825
Mujtahid:
Date:

Question: 7 hisso mai Amount equally devide hona chahye ya jese 5 bhai hain kisi ne 20000 de dya ksi ne 15000 de dya ksi ne 10000 ye sb amoutn mila k ek janwer agaya jsme 7 hisse hugaye ya amout equally devide krna huga?

Answer: Qurbani me shirkat k lie louqo ki rakamo ka barabar hona zarori naha hai. )
1)Baqra eid ki Mustahabb qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.

2)Qurbani k teen hissay kia jain aik hissa apnay lie, doosra hissa baqi muslmanoo k lie aur afzal ye hai k teesra hissa gareeb muslmanooko sadqay mai dia jae. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58920
Mujtahid:
Date:

Question: kiya mare howy insaan ky naam par qurbani karna jaiz hy

Answer: Marhoom ki taraf se qurbaani ho sakti hai. ( Ref: Deen k ahkaam , A.sistani(d.b) , Mafhoom e maslah#584,Pg#186 ). Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67350
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: bakre ki qurbani me kitne hisse jaiz hai

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)Update on dated 01-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73076
Mujtahid:
Date:

Question: Qurbni 3bndy mil k dy skty h ya 7ka hna lzmi h

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)Update on dated 26-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73080
Mujtahid:
Date:

Question: Kia ek cow ya bell me 3 log qurbani kar sakty hen yani 3 hisy hosakty hen

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)Update on dated 01-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92120
Mujtahid:
Date:

Question: Qurbani k liye ager jis ki namaz e eid chooth jay to kiya wo qurbani ho jay gi?

Answer: Jee haan, ho jaey gi. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/urdu/qa/25166/) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
98899
Mujtahid:
Date:

Question: Mera bhai dubai rahta hai or us k naam ki qurbani krni ha kya uska hath janwer ko lgana lazmi kyun k usy choti ni nil rhi wo ni askta to kya agr wo pas na howa to usky naam ki qurbani ni hoskti?

Answer: Qurbani ho jaey gi, qurbani k liay hath lagana zarori nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ). Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
98913
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir mere per 2 lakh ka qarza h many apni walida ko dena h may qurbani de sakta hu

Answer: Qurbani karne wale par qarz bhi ho tu bhi wo qurbani kar sakta hay. .(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).

Print

Id:
99051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: "Eid per janwar Zibah krny k bad janwar ki khaal baich sakty hain ya nahi"

Answer: jaiz hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99121
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ghr ma kitny paisy ya gold hu tu qurbni wajib h

Answer: Eid per qurbani karna wajib nahi hay, qurbani faqat os shaks per wajib hay jo hajj kar raha ho. ( Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ + https://www.sistani.org/urdu/book/62/2974/ ) . Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99196
Mujtahid:
Date: 2019-08-06

Question: AGAR NEEYAT KI HUE HO QURBANI K LEAY AUR GHALTÄ° SAY SHAVE KAR LAIN .. KYA QURBANÄ° HO GE

Answer: Mard per daarhi moondhna ehtiyaat e wajib ki bina par jaaiz nahi hai lekin agar qurbani karna chahte hai tu qurbani ho jaey gi.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah#2042).
[Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99199
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-06

Question: Bachry ki age kitni honi chahiay

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par 2 saal mukammal kar chuka ho.(Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 06-08-19 .(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-07

Question: Kia sirf marhoom ki trf se qurbani kr sakty hn??

Answer: Jee haan, Marhoom ki taraf se qurbaani ho sakti hai. ( Ref: Deen k ahkaam , A.sistani(d.b) , Mafhoom e maslah#584,Pg#186 ).
[Updated on 07-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-07

Question: Assalam Alikum mera sawal hai kay. Mere husband qurbani kar rai hain bakra ke magar unki behan bol rai bakray mai mere bhe pese mila lo tu kya is tarha qurbani jaiz hai ya inko phly apny name se qarbani karni hogi phr kese or kay name se wo cow ni khareed sakty

Answer: wsalam. Jee bakre ki qurabani mai aik sai ziada hissay hosaktay hain lehaza agar un ki behan hissa daalna chahti hai tou is mai koi harj nahi hai dono ki janib aik niyat kar k mustahab adaa ho jaaye ga.(Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 07-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99278
Mujtahid:
Date: 2019-08-08

Question: Kya katta ki qurbani kar sakta ha kuch log kehta ha ka katta ki qurbani ni hoti es ka answer da dain plzz. Shukria

Answer: Ehtiyaat e lazim ki bina per qurbani main gaey or bakre ki umar 2 saal se kam nah ho.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99297
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: How many person have to do zabiha in a house where 6 person are on job

Answer: One animal is enough for them.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-10

Question: Qurbani karne ka time kia hai fajar k baad kar sakty hain?

Answer: jo mustahab qurbani anjaam dai rahen hai un k liye 3 din ka waqt hota hai.qurbani ka waqt pehle din (10 zilhaj) fajr k tuloo hone se shuru hota hay qurbani ka afzal waqt soraj tulu hone k itni dair baad hota hai jis waqt mai namaz e eid adaa ki jaaa sakay jesey. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 10-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99362
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: bakra zibah krty waqt churi gardan k kis hisa par chalani chaye matlb shahrag ki hadi se agy ya pechy ya hadi k uper.

Answer: agar Janwar daeen(Right) ya baeen(Left) taraf laita ho tu zarori hay keh janwar k gala kaatne ki jagah or os ka pait qibla rukh ho or os k paon, hatho or monh ka qiblah rukh hona lazim nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, edition#41, Mafhoom e Maslah #2557).
[Updated on 10-08-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-13

Question: can buffalo be slaughtered on Eid ul Azha?

Answer: Jee bhens (buffalo) ki qurbani ki ja sakti hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 13-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108856
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Kya bakray ki qurbani mai ek se zyada hissay ho sakte hain?

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108873
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-09

Question: Mai Apne Chacha ki Taraf se Qurbani Kerna Chahta hoon, kyounke wo aaj kal Financially weak hain.. Kya mai Onki Taraf se Qurbani Ker Sakta hoon... ?

Answer: Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)
[Updated on 09-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print