Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qurbani k Masael (113 Questions)


Showing 50- 100 questions from 113 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
108881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-15

Question: Kia qutbani ka pasy kisi gharib ko diye ja saqty hen

Answer: Qurba karna mustahab e taqedi hay us shaks k lea jis k lea mumkin ho or wo shaks jis k lea qurbani karny pr qdrat to rakhta ho lykin us ko qurbani ka janwar na mily us k lea mustahab hay k is ke qemat sadqy me dy or q k bazar may janwar ki qemat mukhtalif hoti hay to kam say kam qemat ada karnay say mustahab ada ho jahy ga.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/80624/)
[Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108882
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-07-15

Question: Agar Kurbani ka Saara Gosht gareebo mai baat diya jaye atho chalega ?

Answer: Jaiz hay. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4).
[Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
108972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-14

Question: Kia qurbani ka pason sa kisi gharib ki madad Kar saqty hen plz reply me

Answer: Jee kar sakte hai kyun k qurbani mustahb hai wajib nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-14

Question: Agar kisi k ghar family member ka inteqaal hojaye to kya wo qurbani kar sakte hain? ya unko 1 saal wait karna chaye?

Answer: Qurbani mustahab e takeedi hai. Agar qurbani ki jaey tou aap sawaab milay ga or is qurbani ko marhoom ki janib se bhi kar sakte hain. eid per qurabi karna koe khushi ki alamat nahi hay. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109062
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-17

Question: Agr bkre ki umar ak saal se thori kam ho or uske dant tot jae kia qurbani ho skti ur bkre ki ?

Answer: Ehtiyaat e lazim ki bina per qurbani main gaey or bakre ki umar 2 saal se kam nah ho daton ki koi shart nahi.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-07-17

Question: asslamalikum sir main yeh conform karna chahta hn hum 4 bhi or abu qurbani main hisa dal sakty hain maslan 5000 main dy deta hn or 5000.......5000 baki sub bhi dety hain to kya is sorat main qurbani ho sakti ha kindly informe kr den

Answer: jee bilkul ho sakti hai.
mustahab qurbani mai jitnay hissay chahy daaly jaa sakty hain.(Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4)
[Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109085
Mujtahid:
none Date: 2020-08-10

Question: mera sawal yeh hai k .. kia mery husband apni maa k kehny pr uskay hisay ki qurbani kry jab k hamny apni qurbani b karni hai aur unka mian b zinda hai...is tarhan financial bojh hota hai hamari pocket per .. mehrbani kr k tafseeli jawab dai dain..

Answer: Aik hi qurbani main aap sab shamil hosakte hain or sawaab bhi sab ko milay ga
ye zaroori nahi k sab k sab alag jaanwar lein balkeh agar aap k shohar aik hi jaanwar lein or apne or apne khaandaan ki taraf sai niyyat kar lein tou sub ko sawaab mil jaaye ga.
(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109202
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-24

Question: Assalm o Alaikum!! Main har saal 8 hise krta hun 4 bachon ke 2 waliden ke aur 2 humare yani miyan biwi keh!! Iss saal mere shohar ka inteqaal hugaya humara koi qamane ka zariya nhi hai chand jaghun se kiraya ata hai magar hum per qurbani farz hai filhal mere paas koi rakam nhi hai qurbani krne ke liye magar hum per qurbani farz hai kyoun keh hum sahib e nisaab hain magar filhal koi raqm nhi hai tu hum kis tarah se upni qurbani ada krein!!! Quran Aur Hadees ke hawale se mujhe agah krein plz!!

Answer: Qurbani karna wajib nahi hai mustahab e takeedi hai lehaza agar aik qurbani ki jaaye or un mai sub ki taraf sai niyyat ki jaaye tou sub ko sawaab mil jaaye ga. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109205
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-24

Question: Agr qurbani ka irada ho aur hissa be dal deya ho to phir neyat kis din kar . Eid wala din ya zilhajj ka pehlay din

Answer: niyyat zaban sai karna zaroori nahi hoti iraada faqat kaafi hota hai.
agar aapne qurbani ki niyyat sai hissa de dia hai tou wo mustahab shumaar hojaaye ga alag sai niyyat karna zaroori nahi hai. Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/
[Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109218
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-07-24

Question: Kia us janwar ki qurbani ho sakti ha jis ki tail cuti ho lykin zgam na ho

Answer: Mustahab qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555)
[Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109223
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-23

Question: Agar kisi ky sath hissa dalna ho tou 7 login ka hona lazmi hA ya 5 bhi kar sakty hain

Answer: Qurbani k jaanwar main hissa daalne main afraad ki koi qaid nahi hai jitnay afraad chahain hissa daal sakte hai, 7 se kam hoo ya 7 se ziyada. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-27

Question: Jis par Qurbani Farz Ho Aur Us Waqt Uske Paas Paise Na Ho to Qaraz Liye kar Qurbani karna kisa hai..?

Answer: Qurbani mustahab e takeedi hai karna wajib nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109243
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-25

Question: Agr qurbani ka irada ho or OS k paise kisi zarorat mand ko de diye jaen tu Kia ye sahi hy?

Answer: Aisa karna jaiz hai Q k qurbani mustahab e takeedi hai karna wajib nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).

[Updated on 25-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-25

Question: Sir mjy ye Jana ha k kya 1zuhajj se 10 zuhajj tk jis NY qurabni krni ho ball kitawa Ku ni skta plz dalel k sth ans dy AGR kya ye sunatt ha ??? Plz inform me

Answer: Baal ya naqun kaatey jaa sakte hai koi maslah nahi hai.Ref:https:(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0271/).
[Updated on 25-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109311
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-27

Question: Kia Ahle sunat bhaion k sath qurbani ki ja skti hy

Answer: Jee ki jaasakti hai koi harj nahi. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109312
Mujtahid:
Sayyad abul Hasan Ali Nadwi Date: 2020-07-27

Question: Qurbani m aurat k shohar ka name liya jayega ya aurat k Walid ka

Answer: Naam laina zaroori nahi hai faqat os aurat ki niyat kar li jaey tu un ko bhi sawaab mil jaaye ga.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109319
Mujtahid:
Saqib raza mustafai Date: 2020-07-27

Question: Kya Australia cow ki qubarni jaiz ha jisa hum walati cow kehta hain

Answer: Jee har qism ki gaey(cow) ki qurbani ki jaa sakti hai. Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109322
Mujtahid:
Sunni Date: 2020-07-27

Question: Qurbani k janwar k payee khana jaiz hy??

Answer: Jee jaiz hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01863/).
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109341
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-07

Question: kia gair mehram k sath kurbani ki ja skti hai?

Answer: Jee bilkul shirkat ki jaa sakti hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109382
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: KYA BAKRY KI QURBANI ME HISSA DALA JA SAKTA HY. KYA AIK SY ZIYADAH AFRAD BAKRY KI QURBANI ME PAISY DY KR HISSA DAL SAKTY HY.

Answer: Jee bilkul bakre main hissa daal saktay hain koi harj nahi hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: Qurbani ka janwar kesa hona chaihey?

Answer: Mustahab qurbaani main wo sharaet o sifaat wajib nahi hain keh jo wajib qurbani main shart hain. pas kaana, llanghra, kaan kata yya seeng toota, khasi, ya llaghar jaanwar ki qurbani daina jaiz hay. agarcheh ahwat(ehtiyaat se qareeb tar) or afzal ye hay keh os k ajzaa salamat hoon or moota ho. Jabkeh mmakhrooh hay apne paalto janwar ki qurbani ki jaey.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109386
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: QURBANI KTNY BJY TAK KI JA SKTI HAI

Answer: Fajr k baad ki jaa sakti hai lekin afzal wakt tuloo e shams k baad namaz e eid adaa kar laine k baad se hay.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/
[Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109391
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: Assalamualaikum jo bhi bail ya camel ka ghosht nahi khaate.. Kia unlog ke naam par in janwaaro par qurbani desakte hai kia? Ya fir bakri par hi qurbani dena hoga??

Answer: Agar wo gosht nahi khaatay tub bhi un ko qurbani mai shaamil kia jaa sakta hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109395
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: Agar janwar ko chooti si choot lag jaye to qurbani Hoti he ?

Answer: Jee Mustahab qurbani main naqs or aib k hote hoay bhi qurbani hojaaye gi.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: ASSALAM WA ALAIKUM mera sawal ye hai k kiya hum qurbani ka sara gosht khud rakh saktey hen or DEEN E ISLAM main is k kia ahkamat hain??

Answer: Qurbani ka poora goosht khud rakh saktay hain lekin ehtiyaat e mustahab ye hai k kuch hissa ghareeb musalmaano ko sadqa kar dain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109552
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-05

Question: Assalamualaikum Mera sawal aap se ye h ki kiya hum 4 din tak qurbani kar sakte hain..?

Answer: Mustahab qurbani ka waqt 3 din k guroob e aaftaab hone se tak hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 05-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109564
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-07

Question: Mufti saab kia buffalo ki qurbani jaiz he agr nhi jaiz to aik alam keh rha tha ky ye gy ki jins se hy isly ye jaiz hu

Answer: jee bilkul jaaiz hai buffalo ki qurbani ki jaasakti hai.Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: हक़ीक़ा के लिए बकरा 1साल का होना जरूरी है क्या

Answer: एहतियात के तौर पर
बलि देने वाले बकरे की उम्र दो साल से कम नहीं होनी चाहिए।
https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-14

Question: Aoa. Aaj kal saray musalmanon me Stainless steel ki knife se hi janwar zibah kie jatay hein to Aisay me Ayatullah sistani kay muqalid kia karein kiu kay wo stainless steel ki churi kay zebiha ko aam halat me jaiz nahi qarar detay?

Answer: Steel ki churi se zibah karne main ayatullah sistani ki ehtiyaat e wajib hay aap is ehtiyaat main aliekm aap ayatullah shubairi zanjani sahab ki janib ruju karain, wo steel churi se zibah karne ko jaiz qaraar daite hain.(Ref: https://zanjani.ir/%DA%A9%D8%AA%D8%A7%D8%A8%D8%AE%D8%A7%D9%86%D9%87/%d8%b1%d8%b3%d8%a7%d9%84%db%80-%d8%aa%d9%88%d8%b6%db%8c%d8%ad-%d8%a7%d9%84%d9%85%d8%b3%d8%a7%d8%a6%d9%84/?fa) p[Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110839
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-05

Question: Sir kindly mujhy btaye k Ahl e bait ma kon kon shmail hai aur kya unma 12imam bi shamil hain ya srf panjatan e pak shamil hain?

Answer: Ahl e bait a.s sai muraad 14 masoomeen a.s hain or ye baat aap ko quran mai nahi balke quran ki tafaseer main mil jaaye gi. aap tafseer namoona tafseer e meezaan tafseer e burhaan tafseer e ayyashi wagera ki taraf rujoo kar sakte hain.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%DB%81%D9%84_%D8%A8%DB%8C%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D9%85_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 )
[Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113691
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Hamri gay ki ankh main kuch chala gya uss ki ankh ka rang sufaid ho gya hai likin nazar thek hai kya iss sorat main Qurbani ho jati hai.

Answer: mustahab qurbani hai tou qurbani hojaayegi aankh ka salim hona zaroori nahi.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-06

Question: Please btaen agar beti qurbani kare tou kya apne parents or behen bhaiyon ka hissa dal sakti hai ya nahi ? Or agar qurbani ka janwar lane k baad kisi b waja se khuda na khasta janwar marjae or dusra janwar lane ki hesiyat na ho tou kya gunah milega or kya zaroori hoga dubara janwar lana ? jab k hesiyat sirf ek janwar lane ki ho

Answer: 1) Qurbani k janwar main mutabir hay k wo 3 qism k maweshi main se ho yani 1-ount(camel) , 2-gaay or 3-bhairh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis ount k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. (Ref : http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271)
2). Mustahabb qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555 )Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main (bakre,gae or oont har janwar men) kae (7 se bhi ziada) afraad ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
[Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-12

Question: Kya koi ladki qurbani mein apna naam shohar aur mayke dono k ghar k qurbani mein de sakta hai?

Answer: jee bilkul qurbani mai ghar walon ko deegar momineen ko shamil kia jaa sakta hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115462
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: kia hum fuutt hui bande ki kurbani kra saktai hain.us kai naam pr??

Answer: Jee han,reja,an ( matloob perwardegaar hone ki umeed me ) maiyat ki taraf se qurbaani ki jaa sakti hai. (Ref:sistani.org ,topic, arabi,al ,uzhehatu ,sawaa#1,Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42,pg#488 ).
[Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115465
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: As salaam u alaikum, ji mera sawaal ye hai ki qurbani me kis kis ka hissa liya jaa sakta jaise 18 saal se chote bachon ka bhi hissa liya jaa sakta hai? kya isme koi age guideline hai?

Answer: (mustahab qurbani jo hajj per wajib qurbani hote hai us ke ilawa hote hai us ) Qurbani k jaanwar main hissa daalne main afraad ki koi qaid nahin hai jitnay afraad chahain hissa daal sakte hai, aur isi tarah (qurabaani me hissa daalne walo ki )umr(age)ki bhi qaid nahin hai.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115507
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-19

Question: Aurat ke naam se qurbani desakte hai??

Answer: Naam laina zaroori nahin hai faqat os aurat ki taraf se qurbani niyat kar li jaey tu kafi hai.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 19-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-26

Question: Kya bakri ki Qurbani jahaz he

Answer: Jee han, Bakri ki qurbani ki jaa sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-03

Question: Hiran ki qurbani jaiz hai

Answer: Jee nahn, Hiran ki qurbani sahe nahe hai.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116190
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-29

Question: کیا قرض دار قربانی کر سکتا ہے ہے

Answer: Agar qarz ki adaigi ka waqt aagay ho tu or qarzdaar k liay adaigi mumkin ho tu tu qarz ada karna wajib hay. or is k baad qurbani ki raqam maujood ho tu phir qurbani bhi kar li jaey Q keh eid ul azhaha per qurbani karna musstahab hay. Aagar qarz ki adaegi ki tareekh baad main aaey gi tu phir pehle qurbani ki jaey or baad main qarz ki tareekh per qarz ko ada kia jaey. (Ref: Minhajus saliheen, jild#2, maslah#994)
Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120470
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: ایک آدمی کی کسی دوسرے انسان سے بول چال نہیں ہے اور وہ ایک قربانی کر سکتے ہے کہ نہیں جیسے پانچ اور سات مل کر کرتے ہے

Answer: Qurbani ke aik janwar me aik se ziyada hissay ho sakte hain lehaza ab is se koi faraq nahin parhta ke wo hissedar aapas me baat karte hain ya nahin , ya aik dosre ko jante hain ya nahin.
(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/)
[Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120486
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-27

Question: Kya 2 bhai mil k janwar mein ek hissa dal sakty hen or agr hm ny ksi k pesy dyny hon per filhal mojud na hon to kya hm qhrbani kr sakty hen

Answer: 1: Jee han, mustahab qurbani men dono mil kar aik hissa dal sakte hain.
2: Jee han, is soorat men bhi kar sakte hain.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120542
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-19

Question: Assalmo alaykum warehmatullahi wabarkatahu ,kiya mein Ammi aur meri bhai ki biwiyoon aur Unke bacchon ka Aqeeqah kar sakta hoon, Aur cow mein kitne aurtoon ka hiss’s hota hain pls

Answer: Kar sakte hain, lekin laazim hai ke har fard ke liye alag alag janwar hona chahiye, yani aisa nahin ho sakta ke aik janwar me sab ka aqeeqa ho.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120552
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-19

Question: Kia 2 afrad qurbani dey saktey hain

Answer: Jee han, Mustahab qurbani men 2 afrad mil kar aik janwar ki qurbani kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh Ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #1286).
[Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120561
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-21

Question: AOA.meary pas itny peasy hoty hean k mea qurbani kr skoon mgr mujy malum hota hea k mera bhi ya prose jes ke mali halat bikul khrab hean or wo kese sy mangta be ni to wo qurbani waly peasy mea us ko dy deata hon or meary pas peasy ni hoty k qurbani kr skon to ye mujy swab qurbani ka mily ga ya ni

Answer: Mustahab qurbani ka sawab nahin mile ga Q ke Aap ke pass paisy mojod the or janwar bhi le sakte the or aap ne aisa nahin kiya lehaza qurbani ka sawab nahin mile ga. Han albatta jo aap ne kisi ghareeb ki madad ki hai us ka sawab mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #1285).
[Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-21

Question: Kya hum apne 8 mahine ke bacche ka naam qurbani me desakte hai

Answer: Jee han, ghar ke tamam afrad or bache ko bhi shamil kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #1286).
[Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-29

Question: Salam... Agar hum apni qurbani ke paisy si koi zarorat pori karlain jese behan ki shadi ki waja se qurbani na kar payen paisy wahan laga dain to kya yeh jaiz hai qurbani rok kar kisi zarorat mand ki zarorat karna ???

Answer: (Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain).
fiqha e jaffaria k mutabiq jo shaks hajj karne ke lie makkah nahe gaya hoa hay or dunniya me kahe bhe rehta hay us ke lie Qurbani karna takeedi mustahab hai or us ke lie qurbani karna wajib or zarori nahe hay lehaza agar qurbani na karen aur paise kisi zaroorat mand ko de den to is me aap ki marzi hai aap de sakti hain, lekin qurbani ka sawab nahin mile ga Q ke agar aap ke pass paisy mojod the or janwar bhi le sakti theen jabke aap ne aisa nahin kiya lehaza qurbani ka sawab nahin mile ga. Han albatta agar aap kisi zaroorat mand ki madad karen to us ka sawab Inshallah zaroor mile ga. or is surat me qurbani na karne ka koi gunah nahe mile ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443, Mafhoom e Maslah #1283,1285).
[Updated on 29-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-04

Question: Qurbani ke janwar ko kurta kat le to kya hukm hai?

Answer: (Note: Is website per fiqh e jaffaria {shia mazhab) ke mutabiq jawabaat diye jatay hain). Aur fiqh e jaffaria k mutabiq is janwar ki bhi qurbani kar sakte hain Q ke Mustahab qurbani ke janwar me wo sharait lazim nahin hain jo hajj ki wajib qurbani me lazim hoti hain, lehaza aibdaar janwar (jis me koi naqs ho) ki qurbani kar sakte hain. (bas eid qurbaan ke din tak ,ye jaanwar zindah hona chaaie taake is jaanwar ki zibhaa karne wale tamaam tamaam sharaait ke sath is jaanwar ki qurbaani ki jasake )
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1284).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120632
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-01

Question: Kya aik momin per 7 qurbaniya daina wajib hai?? Aur kya aik hi baar mein aik sy zyada afraad aik janwar perr apni saari qurbaniya dayy saktay hein??? Khaminei sb k mutabiq bataiyay ga.

Answer: Ayatollah Sistani(d.b) ke mutabiq ghair e haji par saal me aik martaba, aur aik hi janwar qurban karna Mustahab hai, Wajib nahin hai.
Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay.
(Ref: Manasik-e-hajj wa mulhaqaatiha, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1431, hashiyah #2, sawal #4).
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-01

Question: Kya bhains k bachay ki qurbani ker saktay hein? Khaminei sb k mutabiq.

Answer: Ayatullah Sistani (d.b), ke mutabiq, gaaye aur bhains ki qurbani karne ke liye in ki ehteyaat wajib ki bina per umar 2 saal mukammal honi chahiye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443, Mafhoom e Maslah #1283,1285).
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-02

Question: Assalam o alaikum... Jis shaks pe jadu ho ya kisi asraat ki zad main ho, to kia wo qurbani ka janwer zibah karsakta hai?

Answer: Agar wo shakhs zibah karne ki tamam sharait par poora utarta ho to zibah kar sakta hai.
Zibah karne ki sharait:
1. Musalman ho.
2. Sharaei zibah karne ke qasd se ghala kaate.( yani us ko ye baat pata ho ke wo zibah kar raha hay or us ka demaag is baat ki taraf mutawajju ho or sahe kaam kar raha ho )
3. Lohe ki chhuri se zibah kare.
4. Zibah ke waqt Janwar qibla rukh ho.
5. Zibah karne wala zibah ke waqt Allah ka naam lay.
6. Zibah karne ke baad Janwar ke badan se mutaaraf miqdar me khoon nikle.
7. Janwar zibah ke waqt zinda ho.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1258).
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print