Showing 100- 132 questions from 132 questions on this page.
Question: Assalamualaikum. Kia Jo Banda qurbani nai kr sakta wo bhi namaz e Eid parhe ga?
Answer:
(Note : Is website per Fiqha e jaffaria {shia mazhab} ke mutabiq jawabaat diay jatay hain).
Jee haan, Qurbani karna mustahab amal ahin, Albatta ajj ke zamane me jabke Imam asar(a.s) ghaibat me hain ye dono namazen (Eid ul fitr or Eid ul azha) mustahab hain, wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #1497).
[Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: عید الاضحی منانے کا حکم
Answer:
1: Khuwab me Hazrat Ibrahim (a.s) ko jesay hi apne betay Hazrat Ismail (a.s) ki qurabi karne ka hukum mila to 10 zil hajj ke din Aap (a.s) ne khuda ke hukum ki baja aawri ki khaatir Hazrat Ismail (a.s) ko sar zameen e minna me qurbani ke liye lay gaye. Jab minna me jamra e awwal ke maqam par punhcha to shaitaan un ke samne zaahir hua or Hazrat Ibrahim (a.s) ko warglane ki koshish ki to Hazrat Ibrahim (a.s) ne saat pathar maar kar use bhagaya isi tarah jamra e duwwam or siwwam ke maqam par ye amal takraar hua, or youn Hazrat Ibrahim (a.s) ka ye amal Hajj ke amaal me shaamil hua or aaj har Haaji par wajib hai ke Hajj ke dauran is amal ki peravi karte hue shaitaan ko kankriyan maare. Hazrat Ibrahim (a.s) jab Ismail (a.s) ko lay kar qurban ghah me punhche or apne lakht e jigr ko khuda ki raah me qurban karne ka musamam irada kiya or qurbani karte waqt Ismail (a.s) ki paishaani ko zameen par rakha or tez chaaqu ke zariye Hazrat Ismail (a.s) ka gala katne ke liye us ki gardan par chhuri pheri lekin chhuri ne gardan ko nahin kata. Jab khuda ne baap , betay ke ikhlaas ko dekha to un ki qurbani ko qabool kiya or Jibraeil (a.s) ke sath aik mendhay ko Ismail (a.s) ke badle qurbani ke liye bheja, youn Hazrat Ibrahim (a.s) ne us haiwaan ki qurabni khuda ki raah me pesh ki yahan se qurabi ki sunnat marsoom huei or aaj qurbani karna Hajj ke wajib arkaan me se hai or duniya bhar me musalman apni basaat ke mutabiq is sunnat par amal pera hone ki koshish karte hain, or youn har saal is din hazaron , lakhon ki tadaad me haiwanaat zibah kar ke gareebon me taqseem karte hain.
2: Eid ul azha bare pemaane par manaei jati hai, aur is me khushi manana, naya libaas pehenna, zeenat karna, shab or roz ke aamal baja lana jese ghusl karna, namaz eid parhna, Imam Hussain ki ziyarat parhna, dua e nudba, parhna, makhsoos duaen parhna, qurbani karna, is din ki mashhoor takbeeren parhna wagera wagera.. ye sab amaal anjam diye jate hain or shareiat me in amaal ko anjam dena mustahab shumar kiya gaya hai. mazeed maloomat ke liye zel me diye links mualiza farmayen.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%DB%8C%D8%AF_%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86 . + https://www.erfan.ir/urdu/25314.html . +
http://ur.imam-khomeini.ir/ur/n32324/%D8%B9%DB%8C%D8%AF-%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86-%D8%AA%D8%A7%D8%B1%DB%8C%D8%AE%DB%8C-%D8%A7%D9%93-%DB%8C%D9%86%DB%81-%D9%85%DB%8C%DA%BA-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D8%A7%D8%B3-%DA%A9%D8%A7-%D9%81%D9%84%D8%B3%D9%81%DB%81 ).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar apka kisi say nikah na ho or kia us ka nam ki qurbani kar sakta hai
Answer:
Jee han, kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh Ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #1286).
[Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Mei apni wife sey bakry pr churri pehrwa sakta hou?
Answer:
Jee han pherawa sakte hain, isi tarah wo janwar zibah bhi kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2557).
[Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aehle Tashrih Eid ki nimaz se pehle qubani kewn kerten hen
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq qurbani ka waqt pehle din (yani 10 zilhaj) fajr ke tulu hone se shuru hota hay, or qurbani ka afzal waqt soraj tulu hone ke itni dair baad hota hai jis waqt mai namaz e eid adaa ki jaa sakay. Aur ahl e tashi is liye namaz eid pehle qurbani karte hain Q ke ahadees or riwayaat me dono cheezen waird hui hain ke fajr tulu hone ke baad or namaz e eid adaa karne se bhi qurbani kar sakte hain aur namaz e eid ke baad bhi kar sakte hain, lihaaz is liye fiqh e jafferiya me eid ki namaz se pehle qurbani karte hain or eid ki namaz ke baad me bhi karte hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1288)
[Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aehle Tashrih Eid ki nimaz se pehle qubani kewn kerten hen
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq qurbani ka waqt pehle din (yani 10 zilhaj) fajr ke tulu hone se shuru hota hay, or qurbani ka afzal waqt soraj tulu hone ke itni dair baad hota hai jis waqt mai namaz e eid adaa ki jaa sakay. Aur ahl e tashi is liye namaz eid pehle qurbani karte hain Q ke ahadees or riwayaat me dono cheezen aaae hain ke fajr tulu hone ke baad or namaz e eid adaa karne se bhi qurbani kar sakte hain aur namaz e eid ke baad bhi kar sakte hain, lihaaz is liye fiqh e jafferiya me eid ki namaz se pehle qurbani karte hain or eid ki namaz ke baad me bhi karte hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1288)
[Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamu aalaikum.. Agr qurbani ka gosht kharab hojayen kya hum kuttun ko daal sakte hain ya waise b kuttun ko qurbani ka gosht khila sakte hain
Answer:
Agar gosht kharab ho gaya ho to daal sakte hain, aur kharab hone se pehle sahi salamat gosht bhi daal sakte hain lekin qurbani ke jo 3 hisse kiye jate hain un ka sawab nahin mile ga Q ke qurbani karna baais e sawab hai or qurbani ke 3 hisse karna ye aik alag sawab hai. or in 3 hisson me se aik hissa apne or apne ahle ayaal ke liye or aik hissa musalnon ke liye or aik hissa ehtiyat e mustahab or afazal ye hai ke gareeb musalnon ko diya jaye, lehaaza is me kutton (dogs) or kaafiron ka hissa nahin hai or agar kutton ko daala jaye to in 3 hisson ka sawab milna tha wo nahin mile ga.
(Ref: Istiftaat e Ayatullah Sistani(d.b), + Tauzeeh ul Masail Jaame, part #2, edition #1443, Maslah #1289).
[Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamu aalaikum.. Agr qurbani ka gosht kharab hojayen kya hum kuttun ko daal sakte hain ya waise b kuttun ko qurbani ka gosht khila sakte hain
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai
[Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam o alekum....mai kafi saal se dumba paal kar qurbani karta ho aur is saal ki qurbani ke lye mai ne dumba pala hoa hai mjhe ye maloom hoa hai ke hamare maslak mai ghar me khud janwar paal k qurbani nahi ki ja sakti....is hawalay se rehnumai farmae.
Answer:
Jis janwar ko insaan ne khud paala ho us ka aam dino me zibah (ya qurbani) karna jaiz hai (yani kar sakte hain) lekin makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1282).
[Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, aqeeqa ke janwar ki qurbani ghar may kerna zaruri hay, ya aqeeqa ki niat kerke kisi idare may ya kisi kitchen wale ke pas bi qurbani kerwa sakte hian jahan aqeeqa ke janwar ke Gosht ka khana banwaya ja sake...
Answer:
Aqeeqa ke janwar ki qurbani ghar me karna zaroori nahin hain, balke koi bhi jagah ho bas janwar ko sirf aqeeqa ki niyat se qurbani ke liye zibah kar dena kaafi hai.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/18336/ ).
[Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa!! Kia Mian aur Bv agar job kartay hain to pasay mila kr qurbani ka ek hissa poora kr saktay hain? Yani ke agar 30000 hissa banta ha to 15 bv da da aur 15 shohar kia asa ho sakta hai?
Answer:
Mustahab qurbani men 2 ya 2 se zaaid afrad (chahe miyan, biwi hon ya dusre log) mil kar aik janwar ki qurbani kar sakte hain, isi tarah miyan biwi mila kar qurbani ka aik hissa poora kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1286).
[Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aslam o alikum janab meri umar 22 saal ha me apna aqeeqa kar skta hun jab ky me 2 saal se qurbni bhi kar raha hun tw kia qurbani ky bad mera aqeeqa karna zaruri ha ub ?
Answer:
Aqeeqa karna aik mustahab amal hai, agar aqeeqa pehle nahin hua tha to zindgi me kabhi bhi kar sakte hain lekin jab qurani ki thi agar us waqt janwar me hisse nahin kiye thay to wo qurabani karna aqeeqay ke liye bhi kaafi hai aur agar us janwar me us waqt hisse kiye gaye thay to is soorat me aqeeqa alag se karna hoga tak aqeeqa shumaar hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374,375,377).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا ہم اس جانور کی قربانی کر سکتے ہیں جو ہم نے خود پالا ہو
Answer:
Mustahab qurbaani main wo sharaet o sifaat wajib nahin hain ke jo wajib qurbani main shart hain. pas kaana, langhra, kaan kata ya seeng toota, khassi, ya laghar jaanwar ki qurbani daina jaiz hai. agarcheh ahwat (ehtiyaat se qareeb tar) aur afzal ye hai ke us ke ajzaa salamat hon aur mota ho. Jabke makrooh hai insaan apne paalto janwar ki kare.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Kisi larki ki Ami aur Abu foat hogye ho tu us par qubani farz hy KY nhi
Answer:
Fiqhe jaferia ke mutabiq,(Hajj karne ke lie jo louq jate hain un per qurbani karna wajib hote hay us ke ilawa )pure duniya me jis ke lie bhe qurbani karna mumkin ho us ke lie qurbani karna mustahab ( acha hay ,sawaab hay) laikin wajib nahe hai .( Ref : sistani.org ,urdu topic : mustahab qurbani , sawaal no : 7)
[Updated on 24-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani eid ka phly dn krny ki zada fazelat hy ?
Answer:
Sar zameen-e-mina (سر زمین منیٰ) ke alawa eid-e-qurban ke pehle din qurbani karna ehtiyat-e-mutahab aur Afzal hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame{farsi}, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1287).
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: QUrbani waly k ghar waly b Nail Or Ball na katyn kia aisa koi hukam h ya jis n qurbani karni h wo na katy baki olad biwi kat skty hyn.?
Answer:
Fiqhe jaferia ke mutabiq Mutahab qurbani me aisi koi shart nh hai, baal nakhun wagera katna jaiz hai..
(Ref : From Email of Aqai Sistani (d.b) Ahkamat azhaa, Arabic www.sistani.org )
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ogor shohar per qarz ho ,tu bawi qurbani dy sakhte hai
Answer:
Agar qurbani se murad yh hai k biwi apne maal se apni rizamandi se shohar ka qarz wapas krde to yh jaiz hai bal k pasandeda amal hai..
Lekin biwi ki ijazat k baghair uss k maal ko kharch karna ghazbi maal k hukm me aega..
(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail, edition#42, Mafhoom e Maslah # 855).
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Tootay seeing waly janwar ki qurbani ho jati hy?
Answer:
Mustahab qurbaani main wo sharaet o sifaat wajib nahin hain ke jo wajib qurbani main shart hain. lihaaza kaana, langhra, kaan kata ya seeng toota, khassi, ya laghar jaanwar ki qurbani daina jaiz hai. agarcheh ahwat (ehtiyaat se qareeb tar) aur afzal ye hai ke us ke ajzaa salamat hon aur mota ho. Jabke makrooh hai insaan apne paalto janwar ki kare.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 30-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Married Behan ki qurbani kr sakty hai
Answer:
Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.
(Ref: Agha Sistani(d.b), Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hajam Jo darhi mondta hy k Sath qurbani jaiz hy
Answer:
Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main kae aafraad (many persons) ki shirkat jaiz hay (chahe koi gunehgar hi q na ho).
Note: darhi mondwana ehteyat wajib ki bina jaiz nahe hay or amar bilmaroof or nahe anilmunkar ki sharaait moujood ho tu aise shaks ko amar bilmaroof karna zarori hay
(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4)
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA . Agr Eid ul azha Qurbani ka janwar Chori Hojae ... tou kia qurbani ka sawab hota hy phr b ... ya phr sadqa ya kis main uska shumar hoga .... ??
Answer:
Agar apne qurbani ki niyyat se janwar kharida tha aur vo chori hogya aur dobara janwar kharedna haraj ka bais hai to Parwardigar e alam dilo k haal se waqif hai aur iss niyyat ka sawab ata krne wala hai..
Jese k hadees e rasool hai k amal ka daromadar uss ki niyyat pr hai
(Ref: Amaali e shekh Toosi, Vol 1, Page 618)
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia kheera chatra ki qurbani ho skti hy?
Answer:
1.Qurbani k jaanwer main on sifaat ka hona zarori nahi hay jo k hajj ki wajib qurbani k jaanwer main hay, layhaza kaana(One eyed), langrha(Lame), kaan kata, seengh toota, khassi aur dublay jaanwer ki qurbani jaiz hay. agarchah afzal ye hay k mukammal aaza(parts) or motay(Fat) jaanwer ki qurbani ki jaay.
2. Qurbani k jaanwer main mutabir hay k wo 3 qisim k maweshi main se ho yani 1-aunt, 2-gaay or 3-bheerh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis aunt k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay.
(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271 )
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ahle tashi ka cow ma kitna hissa hota han
Answer:
Fiqhe jaferia ke mutabiq Mustahab qurbani ( yani wo qurbani jo hajj ke ilaea puri duniya me ki jati hay us )me insan ko yh ikhtiyar hai k vo jitne bhi hisse karna chahe krskta hai..
(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271 )
[Updated on 05-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani ke gasht ki taqseem
Answer:
Qurbani ke gosht ke teen hissay kiye jayen, in mein se aik hissa khud ke liye rakhay, aur aik hissa musalmanon ko day aur Ehthyat-e-mustahab hai teesra hissa ghareeb musalmanon ko sadqa day.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Apki Ye baat " Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay." complete smjh nahi arhe for eg. kia 10 ya 15 log mil k aik gaaye mein hissa daal skty hen kindly explain kr dein
Answer:
Jee, Mustahab Qurbani main aik se ziyada hisse daal sakte hain.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agr kese ne kese ka Paisa khaya hua hai to uski qurbani qubool Hogi ya nahe
Answer:
Ghazbi maal se qurbani krna jaiz nh hai haan lekin agr gasbi maal se qurbani na to yh jaiz hai lekin vo maal jo ghazb kia hai use lotana zarori hai..
(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ Mafhoom e Masla).
[Updated on 10-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Main kal janwar le k aya hu us banday nay 2 dant ka keh k diya tha lkn ghar aa k pata chala k Ye 2 dant nai hai lkn is k 2 dant Hill rahe hain kya main uski qurbani kr sakta hu
Answer:
Ehtiyaat e lazim ki bina par qurbani main uont ki umar 5 saal se, gaaye or bakre ki umar 2 saal se, bhair 7 maal se kam nah ho. daton ki koi shart nahin. agar umar poori hai to kar sakte hain.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani k liye kaisy niyat kry Jin k 7 hissy Hy UN ka name qurbani karny wala kaisy name ly kr qurbani kry .Kuch tareka Bata dijiye.
Answer:
Mustahab qurbani me 1 Janwar ki kai loug mil qurbani kr skte hai or har bnda apni qurbani ki niyyat krega..
Yh zarori nh hai k Qurbani se pehle sab afraad k naam lie jae ya Niyyat zaban se ki jae..
(Ref: Agha Sistani (d.b), Manasik e Hajj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4)
[Updated on 10-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani karty waqt jis jis k naam ki qurbani hai uska naam lena zaroori hai??
Answer:
Nh yh zarori nh hai k qurbani se pehle tamam afrad jo shamil hai un k naam lie jae..
Faqat niyyat hai to bhi kafi hai..
(Ref: Agha Sistani (d.b), Manasik e Haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4, Mafhoom e Jawab).
[Updated on 11-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya oont ko zibah bhi kiya ja sakta hai ya sirf nehar kiya ja sakta hai?
Answer:
Nh zarori hai k oont ko nehar hi kia jae..
Agar kisi oont ko zibah krdia jae to uss ka zabiha halal shumar nh hoga
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2559)
[Updated on 24-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia qurbani Kay jaanvar Kay Sri paya ko qurbani day nay walla khud khaa sakta hay wassallam
Answer:
G blkl qurbani krne wale k lie yh jaiz hai k wo qurbani se kuch hissa khud apne aur ghr walo k lie istemal kre..
(Ref: Touzih ul Masail Jame, Jild 2, Masla No. 1289)
[Updated on 22-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya lrkion py qurbani Faraz h?
Answer:
Fiqhe jaferia me Gair haaji k lie qurbani wajib nh hai chahe vo mard hon ya aurat..
(Ref: sistani.org urdu mustahab qurbani k ehkam sawal no. 1)
[Updated on 24-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]