Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (575 Questions)


Showing 450- 500 questions from 575 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
108133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-15

Question: Sir mujhe ye jaanaa tha ki jab bhi me latrin jaate hu toh pressure laghta hai jab bhi toh kuch white sa nikalta hai mujhe dar laghta hai ki kahi ghusl waajeeb toh nahi huwa pls iska answer bataye me namaz pad sakhta hu?

Answer: Agar kisi ko shak ho k rutoobat mani hai ya nahi tou us rutoobat mai 3 alaamaat hongi tou mani ka hukm rakhay gi or ghusal karna hoga.
1.wo rutoobat shehwat k saath nikle
2.uchal kar niklay
3.badan sust hojaaye
agar in mai sai aik bhi nahi hai tou wo mani ka hukm nahi rakhay gi or ghusl farz nahi hoga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 345)
[Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-20

Question: Salam I wanted to ask a question When does the person has to perform Gusul e Janabt? Right at the moment he/she starts getting wet or gusul e janabt gets obligated only after the orgasm? For non married.

Answer: A person becomes Junub (Junub is the term used to refer to a person who is in the state of Janābah) in two ways:
1. sexual intercourse;
2. ejaculation of semen, whether he is asleep or awake, and whether it is a little or a lot, with or without lust, voluntarily or involuntarily.

As for the fluid that is discharged from the vagina when a woman engages in foreplay or imagines lustful thoughts and which is not enough to dirty other places [such as her clothing], it is pure and does not require ghusl to be performed and nor does it invalidate wuḍūʾ. However, if the discharged fluid is a lot – to the extent that it can be called an ‘ejaculation’ and it dirties clothing – then in case it is discharged when the woman reaches sexual climax and complete sexual satisfaction (orgasm), it is impure and causes janābah. In fact, even if it is not discharged at that moment, based on obligatory precaution it is impure and causes janābah. And whenever a woman doubts whether or not a discharge of fluid was to this extent, or she doubts whether or not fluid was discharged at all, performing ghusl is not obligatory on her and nor does it invalidate wuḍūʾ and ghusl. (Ref: https://www.sistani.org/english/book/48/2162/).

[Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
108850
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: agr is trah masturabation ho k najasat ka koi ek qatra bhi jism se ya uzu se touch naa kry , aur baad main sirf astanja kr liya jaye to kia wo shakhs paak hoga??? wo us haalat main nmaz adaa kr skta hai kia???

Answer: Agar mani kharij hoi hai tou ghusl karna wajib hai or us k baghair namaz adaa nahi kar saktay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 341)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108860
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Mai janabat ki halat me tha or kisi wajah se bhool Gaya or Maine usi halat me namaz bhi pad li. To ab mujhe Kya karna chahiye Jo naamze Maine janabat me padi uska

Answer: Ghusal kar k namaz dobara adaa karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 356, 386).
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110149
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Aassalam O Alikum Sir agar ham nay masturbate kia or phir naha na skain or sirf wazu kr k nimaz or Quran parh lein ? kia ye jaiz hai ?

Answer: Jee nahin, balke namaz ya is jaisi doosri ibadat k liye gusl janabat wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani (d.b), edition 39th, masla #356). Istimna (masturbation) haram aur gunahan e kabira main sai aik hai. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Part#1, Edition#2009, Mafhoom e Maslah #30)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-02

Question: Mera sawal yeh hai kh. Kabhi kabhi jab pani jesa chikna liquid nikalta hy bager sex ka tasawar kiey kya wo pak hy ya napak? Or dosra sawal yahi liquid agar mani nikalny kh bad khrij ho kuch time tk to kia pak hogi? Mei bhot pareshan hon is masleh ko lekar please rehnumai karein meri.

Answer: 1)Agar us rutoobat mai 3 alamaat paai jaati hai tou wo mani ka hukm rakhti hai 1:shehwat k saath niklay 2:badan sust hojaaye 3:uchal kar nikle agar in mai sai koi aik alaamat bhi nahi hai tou mani nahi hogi woh mazi ka huk rakhti hai or wo paak hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 345)
2) Wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise Wazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise Wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: touzeeh ul masail masala no 70). mazi ya wadi nikle tu ghusl wajib nahi hoga. Haan agar mani nikle tu ghusl wajib hoga. (Ref: ayat ullah sistani d b tauzee hul masail edition 36th maslah 344).
[Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110213
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: aslam o alikum,kbhi kbhi ager husband munh mei discharge ho jaye but bv discharge na ho. or bv ki mini na nikly. but husband ki mini wife k munh mei chali jaye to kia wife py ghusal hoga?

Answer: Jee nahin, Biwi pe gusl wajib nahin hoga.(Ref: Aayatullah Seestani (d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah #344)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110222
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: Salam.kisi ko chori krty dekhne pe us ke malik ko agaahkiya ja skta hai?jb ke Allah pak bzate khud insan ke beshumar aibun pe prda dalta hai.

Answer: Agar badan per zakham ya phora ho tu ghusal ya tayamum ka ikhtiyar hay .agar wo ghusal ko ikhtiyar karta hay or zakham ya phore par jabera (patti ,dawaae ) tu ehtiyat mustahab ( behter )ye hay ke zakham ya phore par paak kapra rakhe or is kapre ke upper masah kare .agar badan ka koi hissa tota hoa ho tu zarori hay ke ghusal kare or ehtiyatan jabira ke upper madah bhe kare or agar jabira par masah karna mumkin na ho ya jo jagha toti hoe ho wo kholi ho tu tayammum karna zaroori hay . (Tuizi masail ,aqa sistani ,masala no :338)
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110316
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-20

Question: AoA sir mara sawal ya ha k aurat ko jb anzal hota ha to usay pata chal jata ha kia k us ka anzal ho gaya mtlab wo release ho gai hai. Or agr aurat ko na pata chalay to is ka kia hal ha.

Answer: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hain or wo ratoobat itni miqdar men nah ho keh doosri jaghah ko aalooda karay, paak hay or us k liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan aghr rutoobat is qadar ziada ho k inzaal kehlaey or libbas ko aalooda karday jabkeh sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi (orgasm ) ho, to najis or janabat ka mojib hay balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis or janabat ka mojib hay or in maqamaat par jahan aourat shak karay keh rutoobat is had say ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat k kharij hony men shak karay, to ghusl wajib nahi hay or wuzu or ghusul batil nahi hay .Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 345) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 20-Jan-2024 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

[Updated on 20-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110334
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: Kia janabat ki halat ma balon ko khazab kr skty han?

Answer: Kar sakte hain lekin makrooh hai ke na kiya jaye.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Edition 41, Masla no 354-355)
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-10-10

Question: Agr kisi shakhs ko subh jag k apny kaprun pr koi rutoobat nazar aa jaye lekin us me mani ki alamaten na hun ya use shk hu k alamaten mojud hy ya nahi to iska kya hukm hy???

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70.
Answered By Quran-o-
[Updated on 11-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-09-07

Question: Agr koi shkhs ehtelam ki halat me neend se jag jaye lekin us waqt koi rutoobat kharij nahi huwi hu thori der bad buht choti meqdar me esi rutoobat nikly jis me shk kary k mani hy ya nahi to iska kya hukm hy???

Answer: jab tak mani jisam se baahir na aaye ghusl wajib nahin hota. Lekin agar mani baahir aa jaye to chahe kam hi q nah ho ghusl wajib hoga.agar mani apni jagha se harkat kare laikin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij hoe hay ya nahe tu is per wajib nahe hay.
.Agar kisi shakhs kay badan say koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo rutoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur uskay nikalnay kay baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar ib teen(3) alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemaar ho to phir zaroori nahi kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust ho jaey balkay agar sirf shehwat kay saath niklay to wo rutoobat mani kay hukum main hoge.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #351,344,345). [Updated
[Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-17

Question: Agar sperm nikal aaye anjaane me to napaak honge ya nahi

Answer: Do cheezon se insan mujnib hojata hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se khuwah woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 344 ).
[Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110523
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-07-13

Question: Gusul jinabat ka bad jo Pasina ata ha Najis ha ya Pak ???

Answer: Pak hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 360)
[Updated on 13-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110525
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-06-08

Question: assalamualaikum Kya intercourse jitni Martabaa Karey utni Martaba gusul Karna Chahiye

Answer: Jima k baad baghair gusl e janabat k doosra jima kerna jaiz hay or aisa karna makrooh bhi nahi hay. aur kafi aik hi gusl kiya jaiga.(Ref: Minhajus saliheen, edition 1439, jild#3, maslah#5,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #210)
[Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110707
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-29

Question: Raat ko agar neend mai koi larki dekhay or ausi waqt neend mai janabat ho , lkain jab neend say uthay to janabat ka koii nishan na ho

Answer: Agar koi Khuwab me dekhe ke mani kharij hoi hai aur neend bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin hoi to is se mujnib nahin hota, Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 344 ).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110894
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-28

Question: mustahab ghusal say pehly wuzu kay baaray me kya fatwa hai? Aur wuzu ka mashah karnay kay baad paoon dho sakty hen?

Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #389)
[Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110926
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-02-23

Question: Need mea mjy Bina kisi waja k lazat jese jhatky lagy suba mea khushk thi Kia mea gusal KR sakti hou?

Answer: Agar koi Khuwab me dekhe ke mani kharij hoi hai aur neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin hoi to is se mujnib nahin hota, Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.. Wo ratubat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344, 345)
[Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111026
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-02-18

Question: Sir agr duty py ihtlam ho jay or nahany ka koi chance na phr us k kia hukm hy wo kha pi skta ya baqi kaam kr skta hu

Answer: Halat e janabat main khana peena makhrooh hay, laikin agar hath monh dhoo lay or kulli kar lay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhoo lay tu bhi karahiyat kam ho jaey gi. (tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#3355)
[Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111427
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-10

Question: Agar ahtlaam ho gaii aoar ghususl kye baghair khana kha sakte haii

Answer: Halat e janabat main khana, pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath, moonh dholay or kulli karle to makrooh nahi hai. aur agar sirf haath dholay tab bhi karahiyat kam jati hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355)
[Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-25

Question: Àslam o alaikm Agr bary paishab wali jgah se lais dar Pani nikal aye to Kya jisam napak ho jata kya ye Mani ho skti hei or nmaz prhny k liye gusal krna Lasmi ho ga or hmy nhi pta k andr se sara lais dar Pani nikal chuka ya abhi b hei to Kya krna chahiye or agr lais dar Pani jb washroom jaye to bary paishab wali jgah se phir nikal ata to Kya krna chahiye nmaz pr skty hei ya nhi

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah seestani(D.B)Tauzeehul masil,malah#70,354-353)
[Updated on 25-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]00

Print

Id:
112015
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-17

Question: Mai jab peshab kr chuka hota hoon tou kvh white qatry nikalty hain Kya wo mani hain? Aur kya un k nikalny k baad ghusal krna hoga?

Answer: Mani ki alaamat ye hai k 1: uchal kar nikle, 2: shehwat k sath nikle, 3: mani ke nikalne k baad badan sust hojaaye siwaaye ye k beemar na ho, jis rutoobat mai in teen alaamaat mai sai koi aik alaamat bhi na ho tou wo mani nahi kehlaayegi. peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 70 and 345).
[Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-16

Question: Ehtlam hony ki surat may jisam ka utna hisa dhony lyny dy namaz ho skti

Answer: jee nahi itni taharat kaafi nahi hai ghusle janabat karna laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112456
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-07

Question: Kya eik Mujnib Shaka Wuzu kr k Namaz Ada kr sakta hai?

Answer: Mujnib k liye laazim hai k ghusl e janabat anjaam dein or phir namaz ada kare .
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,345).
[Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-11

Question: Kiya gussal farz ho to khaana peena jaiz hai

Answer: Halat e janabat main khaana peena jaaiz hai lekin makrooh hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah saeestani edition 41 maslah no 355).
[Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-29

Question: Can we meet people in janabat. And can we kiss babies in janabat?

Answer: Yes, it is lawful. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 355).
[Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Kya lip Kiss krne se ya seena chumne se shohar k napak hojate h or nmaz nhi pdh skte??

Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke Insaan do cheezon say junub (napak) hota hay. 1) jima(intercourse) say or 2) mani(semen) k nikalnay say, chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #344)
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113144
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Sir mera question ye hai ki agr koi insaan musht jani kare or wo apne mani (sperm) ko na nikalne de to kya wo paak hai ya fir napaak ho jayega Sir please answer thoda detail k sath dijiyega please sir

Answer: 1: Khud lazzati(Hand Practice/Istemna) karna chahe kisi bhi zariye se ho haram aur gunahe kabeera men se hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Salaheen, Part #1, maslah #30)
2: Agar mani apni jagah se harkat karay laikin kharij nah ho ya insan ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu os per ghusl wajib nahin hota. lakin agar bahar aajaey to gusl wajib ho jata hai. Aur Is gunah se bachne ka sharaei rasta ye hai ke shadi kar li jaye Q ke Jo shakhs shadi na karne ki waja se fail e haraam me mubtela hota ho (Jaise zina, istimna e.t.c........) to us per shadi karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #351,344,2407).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Assalam-o-Alaikum Sir agar rat ko mani nikal jai...to without ghusal, or wazu kr k kpry change kr k nimaz pr skhty hai...

Answer: wsalam.
jee nahi is soorat mai wuzu kaafi nahi hoga balke zaroori hai k ghusl e janabat kar k namaaz ko adaa kia jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113563
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: mahbistri ky bad kuch kha sakty hai

Answer: Jee han, Halat e janabat main khana pina jaiz hai, agarche makrooh hai, han ager mujnib shaks hath monh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #355).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Mani kahin aur lag jaye aur wo sirf mani touch karne se ghusal farz hoga?

Answer: 1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay
1. mani k kharij honay se
2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main).

2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)

3) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1. Uchal kar niklay.
2. shehwat k saath niklay
3. badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156)
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114010
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Asalam alikum sir mera sawal ye he k agar gande khayalo sy insan napak hojai orr wo adha jism dholy jo jaga napak ho to usk bad banda pak hojata hei? Nimaz wagera parh skta he usk bad ya lazm he pura nahana??

Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kari hai. lehaza bager us maqam ko dhoye namaz parhi ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #344,345).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Sir plz plz tell kya ehtilam ka hona gunnah hy? Or isky kya nuksan hein? Kya islam me isy gunah kaha gya hy agar khud ba khud hojai yah. Or kya ya sehat k liya nuksan da hy??

Answer: Jee nahin, Ehtilam ke honay koi Gunah nahin hota. Albatta is k baad ghusl e janabat karna wajib hai us k baad hi namaz ada kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344).
(Note: ehtilaam se nuqsan hota hai ke nahin is ke liye doctor se mashora karain).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: AOA My question is that when ever my husband play with me means without intercourse kiss me and touch me i became wet is that wetness is mani if not then my wazu is valid can i perform namaz in that wet dress without doing wadu again.

Answer: Wo rutobat jo aurat shahwat k saath khaarij hoti hai agar is had tak ho keh ose inzaal kaha jaa sake aur libaas ko aloodah kar de, jo aam taur par os waqt nikalte hai jab aurat jinse shahwat tak pohanch jaey, to yeh najis bhi hai aur aurat majnoob bhi ho jaati hai. (wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni meqdar men nah ho k doosri jaghah ko aalooda karay paak hay or us kay liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan agar rutobat is qadar ziyada ho k inzal kehlaey or libbas ko aalooda kary jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi(orgasm) ho to najis or janabat ka moojib hay balky agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ihtiyat e lazim ki bina pr najis or janabat ka moujib hy or in maqamat pr jahan aurat shak kary ke rutoobat is had sy ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat ky kharij hony men shak kary to ghusul wajib nahi hy or wuzu or ghusul batil nahin hay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #345).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Salamunalaikum junub ke mani kya hai shariat ke mutabik

Answer: Do cheezon say insaan mujnib hojata hay. 1) Jima(Intercourse) say or 2) Mani(Semen) ke nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) ke or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Sir jab me Raat ko so Kar uthta ho to aksar mere kapre per 1 ya 2 katre lage hote he ab mujhe samjh Nahi ATi ke wo Mani he ya mazi

Answer: Agar insan ko shak ho ke mani kharij hoe hay ya nahin tu os per ghusl wajib nahin hay. (yani jab tak kisi ko mani ke kharij hone ka yaqeen na ho tab tak us par gusl wajib nahin hota ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #351).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-09

Question: kia halat e janabat me sir me tel lagaskte hai? yaa pahle gusl krna hoga

Answer: Jee han, Ghusl karne se pehle laga sakte hai lekin agar ghusl men pani ke badan tak punhchne men rukawat ho to ghusl se pehle use hatana zaroori hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,376).
[Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114487
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-14

Question: Agar soty hoye ahtilam hojaye to pata na chaly to kia uski qaza karna hogi Matlab kaffi bar ahtilam ka pata nHi Chalta us surat main kya hukom hai kya shak ki bina py gussal e janabat kar sakty hain

Answer: Agar kisi shakhs ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahin tu is par ghusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #383).roze ki halat me Din k waqt mai ehtilam hone sai roza batil nahi hota hai aur jab ehtilam hojaae tu wo namaz perhne k lie ghusl karay or qozay( ke batil hone se ) sai is ka koi taluq nahi hai. (Ref : Aqa sistani d.b. jaded fiqhi masail masla # 100, pg # 88)
[Updated on 15-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Kya biwi mani pine se biwi pe gusal wajib ho jata hai?

Answer: 1: Insaan ki Mani najis hai aur is ka pina haram aur gunah hai. lekin is ke pine se ghusl wajib nahin hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15),(Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69).
2: Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil ho jay to chahae ye dukhool farj(agli sharamgah) me ho ya dubur(pichle sharamgah) me aur chahe mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein. (aur dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114557
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-19

Question: Kya zinnah dekhna sa ghusul wajib hota ha

Answer:
srif zina ko dekhne se ghusal wajib nahe hota albatta baliq musalmaan ki sharamgha ko dekhna haram hai . Mard kay liye na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi tarah is kay baloon ko dekhna khwah lazzat kay iraday say ho ya is kay baghair,Haram main mubtala honay ka khouf ho ya na ho Haram hay....2:Wo be-parda aurtain jinhain agar koi parda karnay kay liye kahay to wo isko aihmiyat na deti ho,un kay badan ko dekhnay main agar lazzat ka qasd ya haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi ishkaal nahi,is hukum main kafir aur ghair-kafir aurtoo main koi farq nahi.isi tarah un kay haath,chehray aur jism kay deegar hissay jihain chupanay ki wo aadi nahi,koi farq nahi hay( laikin jisam ke wo hisse jinhe wo aadatan chupati hay un ko dekhna jaiz nahe hoga)

ek mard ko dusre ka badan lazzat ki niyyat se nahi dekhna chahiye . isi tarah agar haram kam me mubtela hone ka khof ho tab bhi haram he. jo shakhas shadi na karne ki wajah se haram feal me mubtela hota ho us par wajib he ke shadi kare.

do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay
1. mani k kharij honay se
2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main).

2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he.

.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156,2392,2393,2397 & 2402,2400,356)
[Updated on 19-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-08

Question: Kya shower istamal kr k gusal ho jata? Agr hota ha tou uska tareeqa kya hoga? Mani or mazi main kya farq ha? Kya mazi nikalny sy b gusal frz hota ha?

Answer:
1) ghusl shower k nichay kia ja sakta hai aur is ka tareeqa ye hai k ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dohay phir ehtiyaat e wahib ki bina per shower ko band karay ya sar ko kuch lamhe ke lie pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur badan ko dain(right side) taraf sai dohae phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina per band keay ya badan ko pani se bahar nikale aur badan ko bayen(left side) taraf sai dohae.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185)


Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70)

(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185)1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay
1. mani k kharij honay se
2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main).

2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)
Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay. Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74)


jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156)
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-02

Question: Assalam o Alaikum mra sawal yeah tah kia na paki ki halat me sehri kr ke roza rkh skte hen

Answer:
Urdu: roze se pehle sehri karna wajib nahi he. laikin agar ramzaan ki raat me gusal janabat wajib ho tu namaz fajar time se phele ghusal karna wajib hai take fajar se paaki halat me roza shuru kia jaseke.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531,1591).
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114672
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-02

Question: Ji mera sawal ye hai ke Ghusul e wajib ho or culli or nak me pani dal na bhol jae or wasu kar ke namaz padle to kya namaz ho jae ge

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. tartibi ghusal ka tareqa ye hai : Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai.( ghusal me kulli karna or naak ke andar pani daalna zarori nahe hai ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rdEdition,maslah # 360)
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-30

Question: Salam.. Agha jaan.. Sex ke bad agar femail apni sharam gha ko kapre se na saaf kare balke pani se dho kar ajaye.. Ye sahi hy ?? Iska Kia hukm hy?

Answer: Jee han, ye sahi hai. Q najis jagh ko pani se hi pak kiya jaye ga, agar kapre se use saaf kiya jaye to wo pak nahin hogi.
Aur us maqam ko pak karne ke bad namaz aur is jesi ibadton ke liye ghusl karna zaroori hai. Q ke Jima(intercourse) karne ke baad namaaz aur is jesi ibadton ke liye ghusl e janabat wajib ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,344,356).
[Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: اگر روزہ کی حالت میں احتلام ہو جائے سوتے ہوئے دن کے وقت تو کیا غسل جنابت واجب ہو گا اسی وقت یا افطار کے بعد کرنا ہوگا اور اگر واجب ہے اسی وقت تو روزہ کے حالت میں غسل کا طریقہ کیا ہے

Answer: 1: Agar rozedaar roza rakh kar so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahin hota. lekin is par gusl e janabat (namaz aur is jesi ibadaton ke liye) wajib ho jata hai albatta is per fouran ghusal karna wajib nahin. (yani din me kisi bhi waqt kar sakta hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571,1605).
2: Ghusl e Janabat ka tariqa:- Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hoti ho wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360,373).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-09

Question: Haiz ki halat me Agar koi aurat mushy zani Karle to uspe ghusal laazim hoga ya haiz or janabat ka ghusal sath hosakta hai

Answer: 1: Musht zani (Istimna) or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. or baaz riwayaat mai isay zina ki manzil par qaraar dia gaya hay. Istimnaa k baad insaan jub tak ghusl e janabat anjaam nahin daita paak nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296).
2: Halat e haiz main ghusl e janabat karna sahi hay, isi terah haiz k khatam hone k baad ghusl e haiz or janabat dono ki niyat ker k aik ghusl kia jasakta hay or isi tarah In dono ghusl main se kisi aik ki bhi niyat ki ja sakti hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Mafhoom e Maslah #233).
[Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115671
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Agr eik insan sperm mouth ma Daly r pee Jaye tu konsa ghusal karna chahye

Answer: Insan ki mani najis hay. aur is ko halaq say nigalna jaiz nahin. aur is se koi ghusl karne ki zaroorat nahin hai or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay. aur Do cheezon say insaan mujnib ho jata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai.
(Ref: Istiftaat I-2).+ Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), jaame, Edition #1435h, maslah #95,99,233).+ Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #344).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116326
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-16

Question: kya halate haiz me farshe aza pr baith sakte h taboot ki ziyart kr sakte h

Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna, 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta Aurat haiz ki halat Farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116393
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Janabat ke bad haiz aa jaye to bina gusal ke khana bna kar khila sakte hai ya nhi

Answer: Jee han, Ye Jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116449
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-07

Question: Aslam o Alaikum sir mujy jab bra pishab qawaz k Sath aata ha tu Sath white qatry aaty han kia es sorat me ghusal wajib hu jata ha nemaz nhi parh sakta please help Kar dain

Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaeye gi.
Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhi jayen geen. 1) Shewat k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin beemar honey ki sorat mein pehli aur dosri alaamat zaroori nahi hay.
(Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani, Maslah# 351 & 352).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print