Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (584 Questions)


Showing 400- 450 questions from 584 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93115
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-14

Question: Kia halat janabat ma baby ko feeder dai sakta ha ??

Answer: Jee jaiz hai koe harj nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 354,355)
[Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-24

Question: Kia wife ky sharmgh ky sth husband apni sharmgh touch krny sy ghusal farz ho jata ha

Answer: Sirif sharamgaah ko sharamgaah se mila ghusl wajib nahi hota lain agar dukhool huwa hay to ghusl wajib hoga chahay mani nah bhi niklay or dukhool chahay supari ki miqdqar tak hi Q nah hua ho.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 347 )
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
93251
Mujtahid:
Date: 2018-11-23

Question: Asa ghusal e janabat larkio ke liye kab wajib hota hai or ratubat ka miqdar kitna hona chahiye?

Answer: Agar rutoobat is qadar ziyaada ho k inzaal kehlaaye aur libaas ko aalooda kar day jab k saath saath aurat heejan shehwat ki intiha ko pohanch jaey or mukammal riza mandi ho tu najis hai or janabat ka mojib hai balkeh agar heejan shehwat saath nah bhi ho tu ehtiyaat e laazim ki bina par najis hai or janabat ka mojib hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345).
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93278
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-23

Question: Mujhe private jagah infection hogaya Hai aur waha se pani jaisi chiz nikal rahi Hai to kya mai namaz padh skta hu

Answer: Jab tak aap ko yaqeen nah ho keh wo mani hai tab tak aap namaz parh sakty hen.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 70/344)

[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Agar daily routine ke dauran mani ka qatra aajaye aur istinja lene per chiknahat mahsoos ho to kiya insaan napaak ho jata ? Agar mani ka qatra sirf underpant pe lage to kiya insaan napaak ho jata aur kiya pura libas napaak ho jata ya sirf underpant napaak ho jata? Aise halat me namaaz aur Quran ki tilawat kaise karni hai? Gusl karni? Libas me sirf underpant badalkar?

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee or ghusul wajib hojaey ga or us jagah ka dhona kafi hy is tarh kay nijasat hatany kay bad aik martaba qalil paani dala jaey or fr usy nichora jaey. Aur agar maloom na ho raha ho kay wo liquid mani hai ya koi or chiz to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.( Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 153/351/ 352 )
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93300
Mujtahid:
Date: 2018-11-26

Question: Assalamualaikum Sir sawal yeh hai mera k agr raat ko sotay yn subah mujeh itelam hojaye mtlb liquid leak hojaye pani ki tarah jo hai or thora sa ho Underwear parlagjaye toh kya jism sub na pak hojayega? Or mujeh ghusul or sub chnge krna prega namaz parhne k liye Yn phr main khali underwear change karloon q k khali ussi pr laga hota hai liquid or baki sub pak hoga or namaz prhloon ?? Please let me know about this

Answer: Agar ehtilam ho ajey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga .( Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 153/351/ 352 )
[Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Main sara din kaam krta hon or jb washroom main jata hon tu thory sy hisy main katry ka pani laga hota hy or meri namazy reh jati hain main namaz parny k liye dobara Gusal krta hon... Plzzz is ka islami koi tarika batay k kiya is trhan gusal wajib hota hy.. Is ka jawab meri email per kr dain plzzz

Answer: 1) Agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusul wajib hojaey ga lekin Ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani, ya koi or ratoobat, to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai, 3 sharait hon ye hen, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti(yani use mani nahi kahenge). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345)
2) Wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat(sex) ubharne pr mard k aalaa-e-tanasul se kharij hoti hai use Mazzi kehte hen or wo paak hai, or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use Wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use Wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) S/no:6499
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-01

Question: sir mein apni girlfriend sey jab bi baat karta hun koi galat baat bi ni karta tu mani kay qatray q nekalty hai kya es kay bad gussal faraz hai

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan hoon wo mani kehlaye gi.
1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).nikalne k baad badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liya jaey tu libaas paak ho jata hay, or mani k nikalne sai ghusl bhi wajib ho jata hai.
Jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein nah ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirif shehwat k saath nikle or baqi 2 almatain nah hoon tu wo mani nahi hay mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusl wajib nahi hota or osi kaprho main namaz bhi ada ki jaa sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156).
[Updated on 01-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93481
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-04

Question: Agr ghusal krne k baad ghussal k Pani ki cheentain Jo Dewar waghera pe hon or ghusal k baad wo paani ak jism pe dobara lag jae to Kia ghusal dobara krna hoga ?

Answer: Was Salam. Jab kisi par ghusl e janabat wajib hota hai tou us ka jism najis nahi hota lehaza mujnib ko jo pasina aata hai wo paak hai or us ka jism bhi paak hai is liay ghusl ka paani paak hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 114).
[Updated on 04-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-04

Question: Ky hambustri k bad bghair ghusal ky wazu kr k ofic ja sakty h

Answer: w.salam
Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur is jaisi dosri ibadaat k lie wajib hota he lakin namaz e mayyit, sajdah e sahv, sijda e sukhr aur quran majeed k wajib sajdo k liay ghusl e janabat zarori nahi hay (Ref sistani d b tauzee hul masail maslah 344 356).
[Updated on 04-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94819
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-23

Question: Kia ala tanasal ko furj k andar dal k so skty hn or es sy ghusal wajib ho jata h bina farigh hony k

Answer: Biwi sai har qism ki lazzat haasil kar saktay hain or faqat dukhool sai ghusl wajib hojaata hai mani ka kharij hona laazmi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,348).
[Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95327
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-11

Question: agar urat k andar release na kia jaye..bahir release kia jaye tu kya urat py ghusal wajib hta hai?

Answer: is sorat main faqat mard per ghusl wajib hoga or aurat k sath Q k dukhool nahi ho or nah hi os ki mani kharij hoe hay is liay aurat per ghusl wajib nahi hoga .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#348).
[Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam u alikum sir mera sawal ya hai k rat ko sune k bad jb subbah utta tu mery kapro pai pani laga tha ur mujhe mehsoos tak nhe hua k khwab k duran kisi k sath sex hua ha ya nahe? ur na koi lazzat ya susty mehsoos hue tu is halat me ghussal farz ha?

Answer: Agar aap ko yaqeen ho k ehtilam hoa hay tu phir aap per namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl e jabat karna wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344,356). Update on dated 20-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95655
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-25

Question: Asalam alaikoum Ji mera sawal he ke biwi ko kiss our romance karane se paki tut kar gusl farj hota he

Answer: wsalam.agar mani kharij hoi hai tu ghusl wajib ho jaey ga warna nahi lekin agar dukhool kia hai tu ghusal wajib hojaey ga chahay mani kharij hoi ho ya nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#344,348)
[Updated on 25-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslkm mera sawal humbistri k baad ya ehtelam k baad fauran gusal kar sakte hai ya kuch cheezon ka karna zaroori hai jaise neend leker uthna ya 40 kadam chalna tafseel me bataiye jazak Allah khair

Answer: Hambistari ya ehtilam k fauran baad ghusl ker sakte hain. Or janabat ki halat main sona makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #355). Update on dated 30-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95788
Mujtahid:
Date:

Question: Agar koi banda kisi aurat sy vedio call py bat kary aur larka nanga hou tou larky py ghusal wajib hojati hai k nhe ?

Answer: Is amal se ghusl wajib nahi hota. Ghusl do chezo se wajib hota hay: 1) Mani k nikalne se or 2) hambistari se(Intercourse). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344). Update on dated 01-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
97627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-15

Question: Jab shohar pas aye r biwi halki si geeli ho to kia tab b nahana zruri hai jab k abhi kuch b na hua ho?

Answer: wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna pooririzamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).(Ref: Tauzihul masael ayatullah seestani edition#41, maslah#345).
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar mayre money nikal jae or mujh par ghusal wajib hojae or namaz ka waqt bhe hojae to Kya may apne sharam gah ko sahe say dho kar kapre badal kar wazu kar k apne awal waqt namaz ada kar sakta hu ya nahe ??

Answer: Agar mani nikal jaey tu namaz se pehle ghusl e janabat karna zarori hay. Faqat sharamgaah ko dhoo kar wuzu karna kaafi nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356). Update on dated 31-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam.o.alikum Sir mje bs ye pochna tha k kya hand practice se discharge ho kr insan usi wkt foran ghusal kr skta hai ya ghusal k lye thora gap dalna paray ga ???? Q k ma ne suna tha k discharge hone k bad agr ap pishab kr lein to sara madda nikal jta or ap ghusal kr skte hian usi wkt

Answer: 1-Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #2296).
2- Janabat k baad mustahab hay k ghusl e janabat se pehle paishab kar liya jaey takeh baqi maandah mani bahar aaj aey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #347). Update on dated 01-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99788
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa mera sawal ye hai jy musht zani k bd khana kha skty hain ghusal sy pehly?

Answer: 1-Halat e janabat main khana peena makhrooh hay , laikin agar hath moonh dhoo lay or kulli kar lay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhoo lay tub hi karahat kam ho jaati hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #355).
2-Istimna karna (kisi bhi tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1439 hijri).
Update on dated 30-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99849
Mujtahid:
Date: 2019-09-03

Question: Question: Assalamualaikum I am 18 years old and I am not married.iwant to ask some which trouble me a lot agar hum koi film dekhte h or sharmgah se koi liquid Nikal aaye to kya hum Napak h .but agar koi galat ya kharab cheez Bata Rahi ho to wo nahi dekhti phir bhi kya hum Napak h. mujhe ye problem hamesha rahti h ke sharmgah se hamesha white liquid Nikal rahta h qui cheez dekh lo to ,soch lo to, mujhe hamesha lag ta ke me napak hu ,hamesha lag h ke peshab lag Gaya lapse me or iski wajah se Maine kitne saal ho Gaye namaz nahi padh rahi to me kya iska kya ilaj h please help me

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Update on dated 03-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99916
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AOA, Auzu e khas se pani kharij ho to ghusul wajib hoti hai kya ?

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai.or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
101126
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-17

Question: Assalam-u-alaikum Agar ghusul farz ho jata he aur kisi tarah kapron par nijasat nahi lagti to Kya ghusul karke wohi kapre pehn sakte he ke wo Pak Hain?

Answer: jee kapray paak hai lehaaza unhey pehnaa jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 115)
[Updated on 17-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-08

Question: Kya Mia biwi khas parts ko sirf touch karne k bad namaz parh sakte hain?

Answer: jee faqat touching sai insaan junub nahi hota hai lehaza agar haalat e janabat mai hai tou ghusal laazmi hoga warna faqat wuzu kar k namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344)
[Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar hum sex karaye aur pigment andar na Jaye tou sirf wuzu karkay paak hoskatay

Answer: Ghusl wajib ho jaey ga. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344). Update on dated 23-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa sir mujhe ye janna h agr hmbistri k bd gusl nhi kiya ho or phr fateha k liy khana bnana shi h ya ghlt...pls rply urgent

Answer: Ghusl e janabat se pehle fatiha k liay khana banaya jaa sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #354-5). Update on dated 28-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: A.A sir mera q ye ha k agr koi orat bger intercourse kiy romance krny sy ya husband k hath sy bar bar chuny sy farig ho jay to kia uspy gusal farz ho ga?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)۔

Print

Id:
102292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Nafs may say shehwat k ktry aaty hain namaz may bht mushkil hoti hai

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai.or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102447
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-03

Question: Mera sawal ye hai agar main apni biwi k sath Leta ho or usko thoda ched dia to Kya main gusal k bad namaz Ada kruga

Answer: Do cheezon sai insaan mujnib hojata hai aik jimaa or doosra mani k kharij honey sai or in dono sai insaan par ghusl e janabat wajib hojata hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 343 and 344).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102592
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Ehtelam ke gusal ki niyat keshe kare yani ab ehtelam ho or gusal lena ho to uski niyat Bhi gusale jannatab kehke karni hogi ye ehtelam kehke

Answer: ehtilam hone se ghusal e janabat wajib hota hai lihaza niyyat bhi ghusal e janabat ki hi hogi (mafhoom e masla), (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla # 344).
[Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: kaya agar jism mani nikalne ki waja se napak ho to sabon yani soap ke bagir nahen to gusal ho jatah ha?

Answer: 1) Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)
2) Jis jagah mani lagi ho wo hissa pani se aik baar dhone se paak ho jata hay, sabun se dhona lazim nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156)
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Raat ko sonai k baad agr ehtalam hojai or jiska maloom na ho k kese kharij hoe tu kya gusal wajib hota hai or nimaz k time aankh khulai tu kya gusal e janabat wajid hojata hai ya nimaz k wazo kr k or kaprai change kr k nimaz ko qaim kya jasakta hai?

Answer: Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga (namaz perhne k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356).
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Raat ko sonai k baad agr ehtalam hojai or jiska maloom na ho k kese kharij hoe tu kya gusal wajib hota hai or nimaz k time aankh khulai tu kya gusal e janabat wajid hojata hai ya nimaz k wazo kr k or kaprai change kr k nimaz ko qaim kya jasakta hai?

Answer: Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga (namaz perhne k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356)
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102821
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Agr mani ko bhr na nikalny diyaa jay or wo wapis chali jay to gusal wajib hoga?

Answer: Mani agar kharij hogi tou ghusal wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,345).
[Updated on 02-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102825
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Sir mera questiin yeah h k koi banda jub intercrause start karta h... Or wo kisi waja say start main hi chor daita h... Donu hi discharge nahi hoty.. To kia un donu par gussal wajib h??

Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102848
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-06

Question: Asalam o Alikum Agr ghusal janubat Rat reh jye subha mensis ajye tu Es Surat mAin kya krna chahye?

Answer: Agar koi aurat ko haiz aa jaey to woh ghusl e janabat kar sakti hai aur uska ghusal sahi hoga, aur isi tarah wuzu aur mustahab ghusl bhi sahih hai , albattah ghusl e juma ehtiyaat e lazim ki bina par sahi nahi hoga. (Ref : Ayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Minhaj us Saliheen part 1, Maslah No 233).
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102954
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: Kia lokoria sy orat napak Hoti ha ya sirf kapra napak hota ha.or hr namaz k wqt kapry dhona ya change krna lzmi ha q k ye bht muskil hota ha,. kindly mjy jldi answer dain..

Answer: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345).
[Updated on 08-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103001
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-09

Question: Gusal farz ho jay to kya hum masjid ma ja k byth sakty hain?

Answer: Janabat ki haalat mai masjid e nabavi or masjid ul haraam k ilaawa kisi masjid mai teherna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 354).
[Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-10

Question: AoA, Halat e Janabat me baal katwana or color lagwana jaiz hai ? kya hum aisa krne k bad ghusal krle to pak ho jaige or apni ibadat kr sakte hain ?

Answer: Halat e janabat mein baal katwana mubah hai, jab keh mehendi ya is se milti julti chiz se khizab karna mujnib ke liay makrooh hai.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Edition 41, Masla no 354-355)
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103203
Mujtahid:
Jinsi mohalaj Date: 2023-08-17

Question: Hambastry sa pehla ana wala qatron Ka alaj

Answer: Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70).
[Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: Assalam o Alikum Mera sawl ye hy k agr aytelaam ho or pta no lgy or suba s shaam tk ke nemazen b phar li hon kia hukum hy? Kia gusal wajib hy ? Kia on nemzen lotana hon gen?

Answer: Jin namazo k bare main osay yaqeen ho keh wo os ne mani kharij hone k baad parhi theen, on ki qaza kare laikin on namazo ki qaza zarori nahi jin k baare main ehtimaal ho keh wo os ne mani kharij hone se pehle parhi theen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#353).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-20

Question: Humbistari k waqt agar aurat ka mani ni nikle bas mard ka nikle to kya uss aurat pe bhi ghusul wajib hoga ya ni wo paak rahegi, namaz roza kar Sakti hai.

Answer: Ghusl do chezo se wajib hota hay:
1) Mani k nikalne se
2) hambistari se(Intercourse).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344)
(Note: Agar intercourse ke baad mani na bhi nikle tou bhi dono per ghusl wajib hojata he.)
[Updated on 20-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103525
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-17

Question: Ladkiyon par gusl e janabat kab wajib hota h

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Agar ethalam hojaye(ek khatra) aur malum na ho tho nmz hojayingi?

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho to wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho to wo mani nahi balke mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota. or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156).
Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose Mazi kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise Wazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise Wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. aur uske sath namaz bhi parhi ja sakti hai.(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#70)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Kia janabat ki halat main koe dua sun sakthy hy

Answer: Jee han jaiz hai koe harj nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 354,355)
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-06

Question: Ladies ka ehtelam ka kaise pata chalega kai ehtelam kab hua or normal pani kab nikla

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: mera sawal hai k kya kuty ka loab lagny se ghusal farz ho jata hy phr srf us jaga ko saaf kr lena chahye ?

Answer: Jee nahin gusl wajib nahin hota, sirf us cheeez ko pak kiya jai ga jo najis ho gai ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019 Mafhoom e Maslah #119)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-26

Question: Kya kud ko fingering kr k relax karny k bad gusal karna hota hai??

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Asslamwalkum inme Mazi & mani kon hai semen & sperm I m very Confused plzzzzzzzzzzzz replyyyy And thanks for answering

Answer: Mard ki sharam gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hoti hain or nah hi mani wo ye hain 1-wadi, 2-mazi, 3-wazi or ye teno paak hain na in se wazo totta hai or na hi ghusl wajib hota hai
Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala # 70).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Mera sawaal yeh main pochna chahta hon keh agar mani ko mouth main dala jaye toh yeh amal baar baar kia jaye toh sahi hai ya bura

Answer: Mani najis hai jahan mani lagi hai wo jagah najis hai or us ko paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 84,119).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print