Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (582 Questions)


Showing 350- 400 questions from 582 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
72939
Mujtahid:
Date:

Question: agar sirf sex kiya jay our sperm na giry to gushal wajib hota ha

Answer: Do cheezo say i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say). insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) . Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74517
Mujtahid:
Date:

Question: sir na paki ki halat me khaney piney k mutaliq kya hukam hai...?

Answer: Halat e jnabat main khana or peena makhrooh hay, liakin agar hath, monh dho lay or khulli ker lay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dho lay tub hi karahat kam ho jaey gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #355). Update on dated 13-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
75645
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum,sir Agr koi insan normal picture dakta hon aur us mai koi asa part aajaya aur bd mai peshab k bad agr kuch ratoobat aajaya toh kiya gushal faraz hai????

Answer: Do cheezo say i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say). insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. Mazi se ghusl wajib nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,344,356). Update on dated 19-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76286
Mujtahid:
Date:

Question: napki ki problem ho to namaz padi ja sakti hai kya

Answer: Napaki k halat main namaz nahi perhi jasakti, Napaki ko door ker k namaz ko perha jaey. Agar napaki janabat ho tu ghusl e janabat ko anjaam day ker namaz ko perha jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #787) Update on dated 03-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: me jab meri honi wali wife se baat karta hu to meri peshb ki jagah se pani niklta he (not mani) kya me usi halat me namaz pad sakta hu usko means tissue se.

Answer: 1-Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 70) . 2-Ghusl e janbat jima or mani k Kharij hone se wajib hota hay. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 344). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77257
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal ye hai k mani nilkal ne se jism na paak hota hai ya nai?

Answer: Do cheezo i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) say insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal ye ha ke agar mein kisi larki se bat krta ho to peshab wali jaga se kuch katre niklte hahin kia gusal wajib ha ya mein wuzu kr ke namaz pr skta ho ke nhi???

Answer: Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 70). Update on dated 31-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78223
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr Mazi release hojaye to kapra or jisam dono napak ho jayengy ya nahi? Mny aksar jagah par parha hy k mazi sy sirf kapray napak hoty hyn jidam nahi Kindly mjy bta dyn k jisam bhi napak hota hy ya nahi?

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70). Update on dated 15-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78287
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia gusal e jnabat sy pehly wazu krna zroori ha?

Answer: Ghusl e janabat se pehlay wuzu zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul Wusqa,Part#1, Mafhoom e Maslah #before 684). Update on dated 17-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78566
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar hone wali biwi se baat karte hue sirf 1 se 2 bund white chikna pani (semen) nikle aur mani na nikle aur white chikna pani nikalne k baad soust ya aaraam na miley aur woh (semen) kapde par lag jaiy toh gusul wajib hai

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70). Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar dawa lagany ki garz sy ungli andar dalni pary tu gusal wajib hota hy

Answer: Is kaam ki wajah se ghusl wajib nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81293
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Porn dekh ne ke baad agar phisab ke jagah se nikle kuch to Bina gusal kare namaaz pardh sakte Hai

Answer: 1-Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shewat k bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai.Haan agar mani kharij ho jaay to ghusal janabat wajib ho jata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344).
2-Wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,80,343,345). 2) Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. Update on dated 18-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: JAgar kisi larki ko dekh kar aisa lagay kay do teen katray nikal gaye hain tw kya woh mani hai or kya main or meray kapray napaak hai?? JANAB WAZahat kariye.....Assalamualaikum

Answer: Agar wo katray shehwat k sath or uchal ker (yani preasure k sath) or un k nikalnay k baad badan sust ho gaya ho to wo mani hay jis say aap k kaprhay napaak ho jain gay or aap per ghusl wajib ho jaey ga agar aisa nahi hay tu wo paak hay or aap bhe paak rahain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #345). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam o alaikum mera sawal ye hai key ager paishab kertey waqt paishab key sath kuch white sa liquid bhi aye tu kia ghusal janabat kerna parey ga . Aur ager aisa her 2 sey 3 din badd hou tu kia hukm hai . Yani napak liquid tu nahi hai woo urine key sath yani ghusal kerna parey ga . Agha sistani key fataway key mutabiq guide ker dein . Aisi rutabat key badd wazu ker key namaz perh saktey hain ? Wazahat sey jawab dijiye ga . Shukriya

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay.
1- Shehwat k sath nikly.
2- Uchal ker nikalay.
3- Uskay nikalnay k bad badan sust hojaey.
Lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi. (Ref: Minhajus Saliheen, part#1, maslah#169). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82284
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum. sir swal edit kr k dobara send kr ri hun. men breast tight krny k lye breast masaag krti hun.breast masaag k doran ek second k lye kuch pleasure se ek qatra laesdaar kuch kharij hua.kia mani ho skti he.ya nhi.kia muje ghusal krna chahye ya nhi...mera mksad sirf breast ka masaag krna hota he takay breast ki shape thek ho jy.sexual pleasure ka mksad nhi hota...reply soon please

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Update on dated 28-03-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82333
Mujtahid:
Date:

Question: Gusal wajib kab hota hai? गुसल वाजीब कब होता है

Answer: 1- jima ki wajah say. 2- Mani kharij ho chahy neend men hi kharij ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Hambistri krne ke bad Namaz or tilawat kr skte h usi halat me bina naaye dhaoye bina cloth change kiye?

Answer: Namaz nahi parh saktay or sajde wali 4 ayaat k alawa quran ki tilawat ker saktay hain lekin aisa kerna makrooh hay. (Ref: Touzihul masael, maslah#355). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir agr kesi Ghar mardad nay ap ko touch kea ho mean romance kea ho to ghusal krna ho gay ??

Answer: Do cheezo say i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say). insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. Mazi se ghusl wajib nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,344,356). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84997
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam O alhekum .. najis bnda kis kis cheez se ho skta haii ?? jis pe gusul wajib ho .. or kapre PAK krne ho ?? or najis bnda jis cheez ko chuuta ho ? ya bheta letha ho wo jga b nzjis hojati ??

Answer: Wa alaikum salam. 1)Do cheezon sai insaan mujnib hojata hai aik jimaa or doosra mani k kharij honey sai or in dono sai insaan par ghusl e janabat wajib hojata hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 343 and 344). 2) agar libaas pishaab sai najis hojaye or usey qaleel pani sai dhona maqsood ho tou us par do dafa pani bahana zaroori hai or har baar pani bahane k baad us ko nichorna bhi zaroori hai, or agar libaas peshaab k ilawa kisi or nijaasat sai najis hojaye jese (mani) tou nijaasat door karney k baad us par aik dafa qaleel pani baha dia jaye or zaroori hai k pani bahane k baad us ko nichora bhi jaye. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 154 and 156). Or mujnib shaks k choone sai koi cheez najis nahi hoti han sirf wohi cheez ya jaga najis hogi jahan najasat lagi hogi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 ). Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85105
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: sir khwab me kesi larrki ki sharmgah chona chahe hatho se ya penis se toh is pe ghusal wajib hota h ?

Answer: Is tarah se ghusl wajib nahi hota. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ). Update on dated 02-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85131
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa. Mera sawal ye hake.mjhe pata ni tha ma ziada musht zani krta raha tou.Musht zani krne ki waja se ab agar ma zara sa koe ganda scene dkh lo ya larki se baat krlo tou or zara sa bhe sharamgah khara hojae tou ( pani ke colour ke jase drops nikal ate Hai) kiya ye drops se kapre or jism napak hojata hai. Or agar kapre napak hote hai tou kiya sirf kapre ki usi jagah ko dho skhte hai jaha per ye katre lage ho ya sara kapra dhona pare ga or agar wuzu me ye katre nikal ae t kiya wuzu toot jata hai ya ni. Halake ab t mane ye bilkul chor diya hai lekin pani phr bhe nikalta hai

Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaey gi. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatain daikhi jain gi. 1)Shehwat k saath niklay 2) Uchal k nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin bemaar honey ki sorat mein dosri aur teesri alaamat zarori nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #345 ). Update on dated 31-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar bilkul thora sa mini kharij ho mard se to kya namaz ho jati he

Answer: Mani k kharij honay sai insaan mujnib hojata hai chahe wo kum ho ya ziada or junub ki haalat mai insaan namaz nahi parh sakta us k liye laazim hai k wo ghusl e janabat karey.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#344 & 356). Update on dated 18-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86207
Mujtahid:
Date:

Question: kia ghusal kartey doran baqi semen nikal aye to ghusal shuru se karna hoga ya wo hissa dho kar agye barhan hoga.. wazu karlia tha badan pe pani b bhaa liya tha per kaprey pehntey hue jhuktey waqt qatrey nikal jayein to kia kiya jaye ???

Answer: Mani k qatrey chahey ghusl sai pehle nikle baad mai nikle ya darmiyan mai nikle ghusle janabat karna hoga,agar darmiyaan mai nikle hai to wo ghusl cancel hojaye ga or naye sirey sai ghusal karna hoga.(Ref: Urwatul wusqa, part#1, ayatollah seestani, maslah#686). Update on dated 13-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86322
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kiya hastmaithun karne ke baad aadmi napak ho jata hai

Answer: Mani k kharij honey sai insan par ghusl e janabat wajib hojata hai chahay mani ikhtiyari tarikay sai kharij ho ya gher ikhtiyari tarikay say.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#344). Update on dated 13-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86353
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia ehtelaam sae napaaki hoti h agr ehtelam ho jae or bger ghusa life kae kapre tabdeel kr kae namaz prhi ja skti h or ehtelam pr kese kaabo paya jae

Answer: 1) Mani chahey ikhtiyari amal sai kharij ho ya baghair ikhtiyar k ghusl e janabat wajib hojata hai or ye ghusl namaz parhne k liay zaroori hai baghair ghusl kiay namaz agar koi parh le tu us ki namaaz sahi nahi hogi us ko us namaz ki qaza karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 344).
2) Jab aap raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se aman me rahe gay, Dua ye he
ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇۃ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN,NEE A,OO,ZO BIKA MI,NAL EHTILAAMI WA MIN SOO,EIL IH,LA,MI WA MIN AN YA,TA,LAA,ABA BI,YASH, SHAI,TAANO FIL YAQ,ZA,TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya mai, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86684
Mujtahid:
Date:

Question: Salaam Mera Qs ye hy ky ager ksiis ko jiryan ki bemari hy aur peshaab ky baad qatry aty hein tu kiya wo napaak ho ga?Aur ghusl karna ho ga ya ni?

Answer: Was Salam. Jiryan ki beemari main jo rutoobat aati hai wo mani k hukum main nahi hoti q k mani usi ko kehte hain jis main teen sharaet moujood hoon 1-Rutoobat ka uchal kar nikalna. 2-Badan ka sust hojana. 3-shehwat k sath anaa. Agar in teen sharaet main say koe aik ya tamaam moujood nah hoon tu phir wo mani k hukum main nahi aaye gi. Lekin agar peshaab k foran baad qatre aarahe hoon aur usey shak ho k ye peshaab hai ya koi or rutoobat or us ne istibra bhi na kia ho to wo rutoobat najis hogi lekin us k liay ghusl nahi karna aparhay ga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#345). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam Ager koi shaks ahraam ki haalat mein hy aur us ko jiryan ki bemaari hy aur iss bemaari ki waja sy os ka ehraam ganda ho jaata hy tu kiya koi dam waghera iss py lagy ga ya ni?

Answer: 1) Jiryan ki beemari main jo rutoobat aati hai wo mani k hukum main nahi hoti q k mani usi ko kehte hain jis main teen sharaet moujood hoon 1-Rutoobat ka uchal kar nikalna. 2-Badan ka sust hojana. 3-shehwat k sath anaa. Agar in teen sharaet main say koe aik ya tamaam moujood nah hoon tu phir wo mani k hukum main nahi aaye gi. Lekin agar peshaab k foran baad qatre aarahe hoon aur usey shak ho k ye peshaab hai ya koi or rutoobat or us ne istibra bhi na kia ho to wo rutoobat najis hogi lekin us k liay ghusl nahi karna aparhay ga.
2) Jaisa k bayan ho chukka hay k jiryan mani nahi hay is liay jiryaan ki wajah se kkoe kaffara nahi hoga.
(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#345+manasik e haj,farsi,pg#229). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86695
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr main kisi aurt se baat kron aur mani leak ho jay to gusal farz h ya ni qoitrat

Answer: 1) Is tarah ki baatein karna jaiz nahi hai(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo pak hai. Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur namaaz k lie ghusal karna zarori hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe.aur ghusal wajib nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39st edition, maslah #,,70,1553,344,345 ). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86718
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualekum janab agar naapki ki doran hum koi saaf kapda pahen le tu kya wo bhi napak ho jata hai ....or napki me kapdo dhote hai tu kya wo pak ho jayege ya nahi

Answer: Was salam. Janabat k baad ghusl se pehle insan k jism ka sirif wo hissa najis hota hay jis jagah per mani lagi hoe ho, or baqi badan paak rehta hay hatta k fail e haram sai mujnib hone wale ka badan or paseena bhi paak hai lehaza agar wo bhi cheezo ko haath laga le to najis nahi hoti (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #114).or agar jism k kisi hissay par nijasat lagi ho or wo shaks paak kaprhay pehen le or wo nijasat paak kaprhon ko lag jaey to kaprhey bhi najis hoonge warna paak rahey gay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86968
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o Alikum, Sir mujay peshab aur mani kay katray atay han. to kya ma is halat me darood ka vird kr sakta hon. Please wazahat say bayan keje ga ku kay ma is ki waja say vird nahi kr pa raha hon. Please jald asy jald meri islah karain ta kay ma vird jari kr saku. Shukria, JazaqAllah.

Answer: Jee ha ker sakty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #354 ).Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86976
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar humare penis se safed chipchipa pani nikale to kya hum namaz padh sakte hai

Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaey gi. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayen gee. 1)Shehwat k saath niklay. 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin beemar honey ki sorat mein doosri aur teesri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aala-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hay. Is k alawa wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab k baad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar sex k doran larki farig na ho to us per gusal lazim ha ya ni?

Answer: Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dukhool fraj(agle sharamgah) me ho ya pichle maqam me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86994
Mujtahid:
Date:

Question: agar rat ko poora ihtelam na ho kuch drops nijasat k nikal jae to kia gusal lena wajib ha?

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaey keh yeh rutoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jarye gee or ghusul wajib hoga. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengi. 1) Shehwat ke saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur teesri alaamat zaroori nahi hay. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86998
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSLAM Alaikum Me ye puchna chahta hu k agar kabi bethy wife k sath sex hoti hy aisy hath lagaya aur finger andar daal di wo farigh nai hoti kya usy fir gusl karna wajib hy? Aisy sex me feelings me shehwat me paani b nikalta hy par farigh nai hoti wo plz rep

Answer: Nahi us per is sorat main ghusl wajib nahi hay jab tak wo farigh nah ho jaey (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87000
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: janab mara sawal ya ha k: Insan ki mani pak ha kia agar insan ka itlam ho ga to insan ka gasam napak kun hota ha or insan ka oper gusal faraz ho ga ha

Answer: 1) Insan ki mani najis hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #84). 2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar miya bibi raat ko humbestri kr ke subah ka namaz pade toh kya ho zayaz hain ya nhi

Answer: Humbistari k baad, namaz or is jaisi digar ibdaat k liay ghusl e janabat kerna wajib hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #356). Update on dated 15-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87935
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya hand job krk privet part ko dhul k nmaj pdh sakte gai ya gusl krna zaruri hota hai..

Answer: Istimna gunahan e kabeera mai sai hai. Mani chahey ikhtiyaar sai nikle ya be ikhtiyaar ghusl wajib hojata hai. (Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#344). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87948
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alaikum sir mera ye sawal he k agr phone pr baat karte time manni k drops nikal jaen aur kapron pr lag jaen to kya krna chahiye aur aur jb wo sookh jaen ya nazar na aaen to kese paak krna chahiye kapron ko aur namaz kese ada karni chahiye unhi kapron men..?

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai.or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88408
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr kapry napak ha to kya (mani lgi us par ihtlam sy) ghushal kr k wohi kapry pehn skta ha?

Answer: Jee haan, laikin agar geela badan os kaprhay k najis maqam se lagae tu badan ka wo hissa najis ho jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #115). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88672
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kesi k bry mai sochny sy many kharij hojaye or ziada na nakly bs halki halki to kya us sy ghusal lazim hy or jb washrm jao peshb krny k lye to usky sath b ek do katry nikl jaye pr wo bilkul white ho to kya ghusul wajib hy

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay. 1- Shehwat k sath nikly. 2- Uchal ker nikalay. 3- Uskay nikalnay k bad badan sust hojaey. Lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi. (Ref: Minhajus Saliheen, part#1, maslah#169). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88691
Mujtahid:
Date:

Question: Salam Sir G Sawal: Namaz ki niyat kar ke wazu ke dauran agar banda discharge ho jaye or es ke baad wazu kare ao namaz parhe to kaisa he.?

Answer: Mani k kharij hone k baad namaz k liay ghusl e janabat karna zarori hay or zarori hay k ghusl kar k namaz k liay wuzu nah karay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 344,345,389). Update on dated 17-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90513
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o Alaikum Agha Sab. mujy 1 masla k samj nhi arhi woh yeh ki kuch dinun pehly sehri ky bad mai so k jb utha to mujy ahtilam huya huwa tha. mai her roz din ko 1 dafa zarori nehata hun to us din b mai ny ghusol kr liaya tha lkin ghusol jinabat ki niat krna bol gia tha. aj mujy yat aya ki mai ny jo ghusol ki thi us mai ghusol jinabat ki niat nhi ki.up yeh jo kuch dinon ki mery nimaz rozy hy us ka kia hukm hy, aya yeh sahi hy ki batil hy ?

Answer: Ghusl ki Niyat zaban se kerna ya dil main kerna zarori nahi hay, balkeh agar ghusl k tamaam afaal allah k hukum per amal kerne k liay baja laey tu kaafi hay. Agar junub shaks ghusl e janabat kerna bhool jaey or chand dino baad yaad aey tu jitney dino k baad yaad aey utne dino ka roza qaza kare or namazo ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #281,1595). Update on dated 29-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Agar ghusl k waqt aap ko apni janabat ki halat ka yaad that u phir aap ka ghusl durust hay, warna aap per oper bayaan kerda ahkaam jaari hoon gay.

Print

Id:
90666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir agar ap ghusal yani janabat ki halat main hain to agar ap geely ya sooky hato sy kisi b chez ko tuch kary ge to wo chez napak ho jae gi maslann kapry

Answer: junub shaks k badan or libas ka faqat wo hissa najis hota hay jis per mani lagi ho or baaqi tamam libas or badan paak rehta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #114). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
91342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa , kia halate haiz mai gusle janabat kia ja skta hy ?

Answer: Halat haiz main agar ghusl janabat kia jaey tu ghusl durust hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus Saliheen, maslah #233). Update on dated 03-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
91619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aya mazi, Jo shahwat se nikle uspe koi bhi qasm ki ghusl wajib he? Or ispe AYatullah Sistani(d.b)ka kya hukm he?

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay. 1- Shehwat k sath nikly. 2- Uchal ker nikalay. 3- Uskay nikalnay k bad badan sust hojaey. Lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi. (Ref: Minhajus Saliheen, part#1, maslah#169). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 27-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92865
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-01

Question: Kya humbistari hone ke baad ek din baad gusul karsakte hai???

Answer: Namaz parhnay k liay zaroori hai k janabat ki halat main nah ho lehaaza namaz sai pehle ghusl e janabt karna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 344,345)

[Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92870
Mujtahid:
Date: 2018-11-01

Question: Mera sawal yeh he k miya se phone pr bat krte hwe agr ghila pan mehsos ho or us se badan b na sust ho or uchal kr b na nikle us se gusal wajib he orat pr yan nai yan nai?

Answer: Badan ka sust hona ya uchal kar nikalana yeh mard ky liay hy na k liay wo rutoobat jo aurat say shahwat k saath khaarij hoti hai agar is hud tak ho keh ose inzaal kaha jaa sake aur libaas ko a’loodah kar de, jo a‘am taur par os waqt nikaltee hai jab aurat jinsee shahwat tak pohanch jaay, to yeh najis bhi hai aur aurat mujnib bhi ho jati hai. ( wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni miqdar men nah ho ky doosri jaghah ko aalooda karay paak hy or us k liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan aghr rutoobat is qadar ziada ho k inzaal kehlaey or libbas ko aalooda karay jabkeh sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi (orgasm ) ho to najis or janabat ka mojib hay balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis or janabat ka mojib hay or in maqamaat par jahan aourat shak kary keh rutoobat is had say ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat k kharij hony men shak karay to ghusl wajib nahi hay or wuzu or ghusul batil nahi hay).Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 345) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-09

Question: To ab masturbation k bad gusl janabat kiya jaega ya bas gusl e pak ki niyat karu or naha lu? Masturbation ki tauba karna hoto kia tasbi parhni hai??

Answer: Ghusul e janabat hi krna hoga.or khuda se tauba kerni hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #344 )
[Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-09

Question: Assalam o alaikom. Aghar penis ko female main andar kia jayee serf andar. Awr phir bagheer kese ekhraj ki wapas nikal dia jayee tu ghusal wajib hota hai ki nahe

Answer: Ji haan ghusul wajib ho jaey ga.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 344)
[Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93041
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-14

Question: Assalam o alaikum mera swal yah hai ki mujhe aksar shrmgah k pas gila gila mehsus hota sfed chip chipa sa liquid kharij hota hai to kya ese me nmaz pdh skte hai agr nahi to isko thk krne ka koi trika btae plz apki bht mherbani hogi q ki meri nmaz isi shq me chhut jati hai or mujhe bht bura lgta hai plz plz plz zrur jwab de

Answer: Wo rutobat jo aurat shahwat k saath khaarij hoti hai agar is had tak ho keh ose inzaal kaha jaa sake aur libaas ko aloodah kar de, jo aam taur par os waqt nikalte hai jab aurat jinse shahwat tak pohanch jaey, to yeh najis bhi hai aur aurat majnoob bhi ho jaati hai. (wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni meqdar men nah ho k doosri jaghah ko aalooda karay paak hay or us kay liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan agar rutobat is qadar ziyada ho k inzal kehlaey or libbas ko aalooda kry jabky sath sath aourat hijan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi ( orgasm ) ho to najis or janabat ka moujib hy balky aghr hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ihtiyat e lazim ki bina pr najis or janabat ka moujib hy or in maqamat pr jahan aourat shak kry ky rutoobat is had sy ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat ky kharij hony men shak kry to ghusul wajib nahi hy or wuzu or ghusul batil nahi hy).(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah #345 )
[Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print