Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (584 Questions)


Showing 300- 350 questions from 584 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
52709
Mujtahid:
Date: 2018-05-30

Question: AoA. mara sawal ya ha k kia sexy movies dakny sy jo penis sy pani naklta ha us sy gusal tooth jata ha?

Answer: Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430).
Ager wo ratoobat mani hai to gusal wajib hai namaaz or is jesi ibadatoo ke liye. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 356 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52747
Mujtahid:
Date:

Question: raat ko ahtalaam (night fall) ke waqt me apne azoo ko zor se dabakar money(sperm) ko bahar nikalne se rok leta hon jisse ke money wapas chali jaati hai aur shehwani shiddat bhi khatam ho jaati hai.....aur phir baad me peshab ke waqt bahar nikal jaati hai.....kya is soorat me mujh par ghusul waajib hua ya nhi

Answer: Mani ko nikalne se is tarah rookna wajib nahi hai. Ager ap ko pata hai ke pishaab k sath nikalne wali mani hai to ghusl wajib hai, warna wajib nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1572 , 70 , 344 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
52863
Mujtahid:
Date:

Question: kya husband k sath humbistri krny k bad nahay bgair khana pkaya ja sakta ha?

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52964
Mujtahid:
zeeshan Date:

Question: Kiya musht zani k bad ghusal kiye bgher khana khana haraam hai?

Answer: Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana, peena makrooh hai Hram nahi hia lekin agar hath moo dho le or kulli kar le to makrooh nahi hai or agr sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53089
Mujtahid:
Date:

Question: السلام وعليكم Naapak haalat mai baal cut kar sakte hai

Answer: Jee haan janabat ki halat main baal kaat saktay hain or katwa saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354+355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53142
Mujtahid:
Date:

Question: A/A kia ourat ka janab ki halat ma apny bachy ko doodh pilana jaiz hy ??????????

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53279
Mujtahid:
Date:

Question: Wife k sath spec krny k bd Agr Gusal nai kia to Kuch kha pe sakty hain? Agr nai to q or Agr wife ko kiss krty hi mard k 1 2 katry nikal jay to kya phr b Gusal farz Ho jata hy??

Answer: Halat e janabat main khana pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath moonh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355).
Ager ap ko yaqeen hai ke wo mani ke qatre hain to ghusal wajib hai, warna wo qatre paak hain, na un se wazoo toota hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 344 , 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53402
Mujtahid:
nasir Date:

Question: agr ehtlam ho aor mani kharij na ho to ghusal krna zrori hy ?

Answer: Ehtalam usi amal ko kehte hen jis men mani kharij ho lehaza ye kehna hi ghalt hai k ehtilam hua lekin mani kharij nahi hui or mani kharij na ho to ghusl wajib nahi hota, Albatta wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos krta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kri hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-345)

Print

Id:
53495
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Salam.mera phla sawal ap sa ye hai..... kia meri bv intercourse k bd ghusal kiay bgair bachy ko feed krwa skti hai??? Dosra sawal mera ye hai....kia intercourse k doran sath mai bachy ko feed krwaya ja skta hai??

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apne bachay ko doodh pilana jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 )
Jima(intercourse )k douraan aurat apne 2saal se kam umar wale bachay ko doodh pila sakte hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5,4th edition). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: jis admi par gusl vajib ho yani vo gusle janabat ki halat me ho to kya vo mayyat ko kandha de sakta he or us par fateha par sakta he

Answer: jis per ghusal janabat wajib ho wo miyat ko kaandha de sakta hai aur surah fatiha per sakta hai laikin jis per ghusal janabat wajib ho us per quran ki surah sajda ayat no: 15, (surah haa meem sajda) ki ayat no:37, surah najam ki ayat no:62, surah alaq ki ayat no:19 ka perhna haram hai.(in k ilawa koi dosri surah ya dua perhna haram nahi hai)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #354) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53563
Mujtahid:
Date:

Question: kiya humbistri k doraan bacha jaag jae to kiya maa ocy feed kra skti hy ya nhi?

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: sir mera ye sawal hai k agar mujay sote hue khawab main kisi larki se sex ka khayal aye aur main sex karne ka aghaz kar lun khayal main aur meri mani nikal aye to kia ye weakness hai aur dosra sawal ye k kia is ko muth marna kehlay ga ya ehtalam hona.agr ye kuch din main 3 3 bar bi ho tb ise kia kahain ge.

Answer: Ye Mani hai jise ehtalam kehte hen, is ko hand practice nahi kehte, albatta is k nikalne se insane mujnib (napak) hojata hai, or aysi ibadat jin k liye pakizgi wajib hoti hai un k anjaam dene k liye ghusl krna wajib hojata hai.Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53659
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam O Alaikum, mjy rkuh ya sajday k doiran kch liquid niklny ka ihsaas hota hay aur kch dn bad shaalwar sy halki badbo mhsoos hoti hy. rhnmai frmayey.

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is Ghusl wajib in following situations 1. No discharge of semen after orgasm but some discharge with urine, body does not slacken and discharge not emitted with force. 2. No discharge of semen after orgasm, no discharge after urination and istabra, after finishing more urine passed which contains suspicious discharge.

Answer: Ghusl will be wajib in both conditions if you are confirmed that the liquid discharged is surely semen although body slackened or not and discharged emitted by force or not but when you got doubtful about liquid that wether its semen or not you should see these conditions,if conditions are present that declares Semen and if any or all condition(s) are absent then this is not consider semen (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistan d.b.,33th edition,mslah#344,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir kya ghusal ki halat me hum kuch kha pee sakte hai Q k rat k wqt hum ghusal nhi utar sakte Q k bht sardi hoti hai?

Answer: Janabat ki halat main khana pena makrooh hai, Laikin agr hath munh dhoo lain aur kulli ker lain to makrooh nai hai. (ref:tauzeeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33 th edition,masla#355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54172
Mujtahid:
Date:

Question: agar mazi zyada kharij ho to phir ghusal wajib hota he...kaprey pe na girey?

Answer: Mazi paak hai or is ghusl wajib nahi hota chahe kam nikle ya ziyaada. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
2 chezain insan per ghusl ko wajib kar deti hain, 1

Print

Id:
54179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam.. mera sawal yeh hai ke.. main jab bhi bathroom jaata hoon aur jaise hi stool pass hota hai to mani jaise white qatre nikalte hue nazar aate hain . kia woh qatre paak hain? aur uss ke baad main ne taharat ki aur ghusal karne kia woh hi shalwaar pehen sakta hoon? ya phir in qatron ke baad ghusal na karun..? plz bataaiyega zaroor jaldi ..bari nawazish hogi..

Answer: Wssalam o alykum, wo ratobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne per mard ke aalaa e tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hain, wo paak hai. or wo ratobat jo khabhi mani ke baad kharij hoti hai jise wazi kaha jata hai ya wo ratobat jo baaz uqaat pishaab ke baad nikalti hai or jise wadi kaha jata hai ager pishaab us se na mila ho to wo paak hai. or jab kisi shaks ne pishaab ke baad istabra kiya ho or us ke baad ratobat kharij ho jis ke bare main shak ho ke wo pishaab hai ya mazkoora baala 3 ratobatoon main se koi ik to wo bhi paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54252
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal ye hain ke jamah k baad jab main ghussal kr leti hun tu kapre pehney k baad vagina se transparent pani nikalta hai.. kya wo napak hota hai? Tu kya mujhe dubara ghusal krna chahiye? Plz iska jwab btaiye main bohat pareshan hun.

Answer: Ager ye pani wo ratobat hai jo orat ko shewat ki intihai halat main is had tak nikalta hai ke orat ke kapro ko aaloda kar deta hai or ager is ko inzaal kaha jaae (yani nikalne baad orat ki shewat katam ho gaae) to ye ratobat o pani napaak hai or ap ko namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal karna hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam-o-Alikum, Mujhe Ghusle-Janabat Ka Mukammal Tariqa Batadain, Aur Shower Se Ghusle-e-Janabat Kis Tarah Liya Ja Sakta Hay? Bara-e Meharbani Tafsily Jawab mujhe E-mail Kar Dain.

Answer: Namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai.
Ghusl me Ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai, or behtar ye hai ke badan ka seedhe haath(right hand) ka hissa pehle dhoe phir ulte hath (left hand) ka hissa dhoe. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 , Khuda tawfiqaat mein izafa farmaye).
Jee haan ghusl e janabt shower k nichay kia ja sakta hai aur is ka tareeqa ye hai k ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dohay phir ehtiyaat e wahib ki bina per shower ko band karay ya sar ko pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur badan ko dain(right side) taraf sai dohae phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina per band keay ya badan ko pani se bahar nikale aur badan ko bayen(left side) taraf sai dohae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54256
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: A.o.A humbistri k bad orat ko kitini dair main naha lena chahiye kiya subah ka nashta kr k naha ly to koi problem to ni ha

Answer: Wssalam o alykum, humbistari k baad chahe to ghusl kar le or chahe to subbah namaaz e fajar se pehle ghusl kar lain. Lekin ghusl main itni takheer karna keh namaaz e fajar pharhne ka waqt khatam ho jaay to ye jaiz nahi, pas namaaz e fajar se pehle ghusl karna zarori hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 356 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam Ans: "Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga." mene ghusl-e-janabat k masail main ye jawab kafi dafa dekha h laikin mujhe iss main kuch baton ki smjh nhi ati k Aurat Inzaal kb qarar paey gi? And aurat shehwat ki intiha tk kb pohanchti h? Ager mehsoos hua ho k ratubat kharij hui hy laikin libaas aaluda na hua ho tb b ghusal wajib ho jata h? And kharih hone wali ratoobat kis tarah ki hoti h? mujhe likoria ka b masla hy to in dono me kese fark pta chaly ga?

Answer: Agr faqt mehsoos ho or libaas aaloda na ho to ye wo ratobat nahi hai or na hi is se gusal wajib hota hai. Or jahan tak likoria or is ratobat ki baat hai to ye ratobat us waqt aati hai jab orat apne ander intihaae shewat mehsoos kar rahi ho, jab ke likoria aysa nahi hai q k likoria men shehwat nahi hoti. pas ager orat intihaae shewat mehsoos kare or is shewat ki waja se itni ratobat nikle ke libaas ko aaloda kar de or is ke nikalne ke baad orat ke shewat ya to khatam ho gaae ye kam ho gaae to ye ratobat likoria ki ratobat nahi balke orat ko mujnib karne wali hai. Or is ratoobat ki alamat ye hen k shehwat k sath , uchhal kr, or us k nikalne k bad badan sust hogaya ho to wo ratoobat mani haio or is se insane mujnib hojata hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 345, ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54596
Mujtahid:
Date:

Question: kea ehtlaam k baad khana khana jaiz hai????

Answer: jaiz hai, han ager haath, moon dhoone or kulli karne se pehle khaya jaae to makrooh hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54612
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam..kia aap mjhe yeh explain kr skte h k aurat k jism se jo ratoobat kharij hoti h jis se gusl e janabat wajib hota h uski kia nishanian h? insaan ko kis tarah maloom ho k jo ratoobat kharij horhe h woh najis h?

Answer: wo ratoobat jo aam tor per orat ke shehwat ki intiha tak pochne ke baad nikalti hai ager is ko inzaal(yani ratobat ka nikalna) kaha jaae or libaas ko aaloda karde to ye najis hai or ye orat per gusal e janaabat ko wajib kar deti hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 345 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54621
Mujtahid:
Date:

Question: sex k baad pak naha ne ka tarika kiya hy kuch parh te h naha te waqt?

Answer: Jab husband o wife sex (jima)karain to namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai or gusal e janabat main kuch pharna wajib nahi hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.
1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 )
2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.
1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.
2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70)

Print

Id:
56560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: main jab koi porn movie dhekta hoon ya girl friend say baat karta hoon to mere peshab wali jaga say gada pani nikalta hain toda,to ke is say Rooza toot jata hain or keya iss say Ghusol wajib hota hain?

Answer: 1-Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya pishaab ya koi aur cheese, agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikli ho aur is nikalnay k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur issay roza batil ho jata hai aur ghusal-e-janabat bhi wajib hoga.
2-Ethiat-e-wajib k tour per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. Jins-e-mukhalif sai is had tak dosti karna k muhabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojood hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 33rd Edition, Maslah #344,345)(Ref: Jadeed Fiqhi Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla #463 pg #254)(Ref: Nigaah aur libaas, ques #106 pg #69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56580
Mujtahid:
Date:

Question: AOA. Ager ghusl k bad namaz Ya Quran perna ho to, Keya ghusl kerne se wuzu ki zarorat nahi rehti. Ghusl kerne se wuzu bhi ho jata hai. Plz reply

Answer: Jis shaks ne ghusl-e-janabat kiya ho zarori hai k namaz k liay wazu na karay balkay ghusl-e-istehaza mutawassita k siwaa tamaam wajib ghuslo aur jo mustahab ghusl saabit hai uskay baad bhi Namaz parh saktay hai. (Ref: Aytaullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56618
Mujtahid:
Date:

Question: asalamualikum mera sawal hai ke agar rozay ki halat me neend me ehtelam hojaye to ghusul kitni der me karlena chahiye. ya kab tak kar sakkte hain.sawal iss liye hai ghar se door hai ghsul karne ki sahulat nahi

Answer: Ghusl-e-Janabat fauran karna zaroori nahi ye sirf wajib namaz parhnay k liay aur is jaisi dusri wajib ibadat ke liye wajib ho jata hai. Kuch cheezain hai jo mujnib(jiski mani kharij huwi hai) par haraam aur makrooh hai unsay ijtinaab karay. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#356,1605)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60994
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalmo alikum mera sawal yeh h ki jb bhi me girls se baat krta hu merey penis se white liquid nikalta h ka yeh semen jaisa hota a hai .but mujhe nhi pta h yeh semen h ki nhi .uske baad ghusal krna wajib Bina gusal Kay namaz recite kr skte h ki nhi white liquid paak h

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)

Agar kise shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya koe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aurton me Ratoobat or Inzaal me kya farq hy? kya ye dekh k pehchana ja sakta hy? Ratoobat kapro pe lag jaye to wo bhi napak hy? ghusal wajib hy?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61116
Mujtahid:
Date:

Question: kitne meqdar me sperms nikalny par gusal wajib ho jata hai

Answer: Mani (semen) k kharij (nikalnay say) honay say, chahay mani (semen) neend ki halat main niklay ya jagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.Ghusal jinabat waajib ho jaata hai.
Ghusl e janabat wajib namaz parhney k liye aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he.(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61246
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asslam-o-alikum kiya Quran Ki tilawat baghair ghusly jinabat ho sakte hai

Answer: janaabat ki halat me quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haqram hai.in k ilaawa baaqi quraan perhna jaaiz hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fassolat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najm surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61447
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, Barahe karam yeh bata dein Kay agar shohar Kay saath foreplay Kay doran aurat intehai lazzat(climax) mehsoos karey lekin koi ratubat kharij na ho tou kia phir bhi ghusl e janabat wajib yoga.

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Note: Baghair ratubat kharij hoay faqat intehae sex k mehsoos kerne se ghusl e janabat wajib nahi hota.

Print

Id:
61533
Mujtahid:
Date:

Question: Salam mera nam danish hy mera question yai hy k mein jab b hand practice karta ho to foran ghussal karta ho but problem yai hy k phir b mani k kuch katrat nikalty rahte hy ghussal 2 3 ghante tak or kiya un katrat se wazo toot jata hy k ni

Answer: Wssalam o alykum, ye amal (hand practice) haraam o guhnaah e kabeera hai, lehaza toba karain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009).
Mani nikalne k bad insan k liye peshab krna mustahib hai agr peshab na kre or ghusl k bad us k peshab k maqam se ratoobat (liquad) nikle jis k bare men wo ye na janta ho k mani hai ya koi or ratoobat to wo ratoobat mani ka hukm rakhti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 347 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61535
Mujtahid:
Date:

Question: A.o.a mera sawal ha k raat ko biwi k sath pechay se kam karnay se dono par ghusal wajib hoga ya mard par

Answer: Wssalam o alykum, Dono per ghusl wajib hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 348 , Allah Taala hi tofqiaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
61796
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: mera sawal ye he k jab insan 1ya 2 month se bara hoa hota hai yani uski sharamghah se sperm nahi gaya hoa ho aur uski penis se kouch liquid jesa pani behta ho mgar supaid sperm na ho to kia us shahs par ghusal parz hota hai 2.haram cheez k karny ghazab batayai note.me mujtahid.e.taqleed nae janta par me sahi muslman hoo

Answer: 1)Agar kisi shakhs ke badan se koe rutoobat khaarij ho aur wo yeh nahi jaantaa ho ke mani(sperm) hai ya peshaab ya koe aur cheez, agar wo rutoobat shehwat(lazzat) ke saath aur uchhal kar niklee ho aur os ke nikalne ke bad badan sosat(lazy) ho gaya ho to wo rutoobat manee ka hukum rakhti hai. laikin agar in teen alaamaat mein se saaree ki saaree ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat manee ke hukum mein nahi aaye gee. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 345)
2) Hazrat ImamHasan Askari Alaih salaam ka irshaad garaami hai :

“ Logon ko chahi’e keh fuqha’ ( yani ahkaam-e-shari’at ko tafseel or tehqeeq ke sath janne waale mujtahdeen) mein se jo shakhs apne aap ko goonaahon se bachaata ho, apne deen ki hafazat karta ho ( yani apne deen par sakhti se qayam ho), apni naafsani khuahishat ka ghulaam na ho aur Ahkaam-e-Illahi ki ata’at karta ho is ki Taqleed karen.” Is ke bad Imam A.S ne farmaya : “Yeh ausaaf madood(chand) shia fuqha mein se hain, sab mein nahi.” ( Ehtejaj tabrisi, jild 2, safah263)
Wali Asar Hazrat Imam Mehdi Ajalallah tala farjah Alsharif farmate hain :
“ Ghaibat Kubra ke zamaane mein pesh aane waale halaat ke silsile mein humari hadeeson ko bayaan karne waale rawion ki taraf rajoo’ karo kioon naa keh wo humari taraf se tum par isi tarah hujat hain. Jis tarah hum Allah ki taraf se hujat hain.’’ ( kamal aldeen wa tamaam ulema sheikh sadooq”)

Print

Id:
61921
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASSALAMALLIKUM mujhe mardon ke ghusl e janabat ka pora tarika bta den ke kese kia jata hai.

Answer: Ghusl e janabat ka tariqa ye hay:- sab say pehle ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko 2 hisso main dhoya jaay pehle badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62306
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asslamo alikum ...sir maine ek website pe padha tha ki mazzi k kapdo me lag jaane se kapde napak ho jaate hain...aru nafseislam.com me suna k mazzi napak hote hain..aur ek aur jagah suna k rk sikke k barabar mazzi k kapdo pe fail jaine se namaz nhi hoti...to mai aap se jaana chahta hun ki tafsil se bataye k mazzi k kapdo pe lagne ke kya ahkaam hain...aur ye pak hain ya napak??

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki ala e tanasul (penis) sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua nah ho to mazi pak hai. Agar mazi k ane se pehle wuzu tha tu wuzu bhi nahi totay ga.or namaz k liay is ko paak kerna lazim nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63215
Mujtahid:
Date:

Question: Ghusul karne waqt nahin hain toh hamme break fast kha sakte kya jayaz hain kya

Answer: Halat e janabat main khana pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath moonh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63664
Mujtahid:
Date:

Question: kia dry orgisam (asi practice jis sa manii na nikla but susthi mahsus ho jae )sa gussal farz ho jatha ha ?

Answer: Ghusl wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63910
Mujtahid:
Date:

Question: kbi kabaar aisa hota hai k namaz me sajde me jaata hoo to mere ******* se kuch drop bhr nikelte hain.. muje yeh nai pta wo pishaab k hain ya Mani.. to is se kese nijaat pao or Meri Namaz qabool hoti hai..

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain.) aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65626
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal ye hai k mene hand practice ki mgr mani ko kharij nai kia. Hand practice k doran ek 2 qatre nikle mgr ab pata nai wo mani thi ya nai, kia mujh pe ghusal farz hogea?

Answer: Shak ki sorat main ghusl e janabat wajib nahi. or wazeeh rahe k hand practice kerna gunah e azeem main se hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #351+ (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65715
Mujtahid:
Date:

Question: Muje bata sakte ho mani kise khete he or dusri cheez

Answer: Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kya nightfall se insan napak ho ja ta h?

Answer: Jee haan. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #363). Update on dated 06-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66904
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam ulaikum Mera sawal ap se ye hai k mera nikah ho chuka hai mere shohar cal pe mujh se jab humeri ainda zindage ki baten karty jain milap ki to mujhy pani ata hai...jis waja se me bht pareshan hun meri fajar ki nimaz reh jati hai.. Kya is tarha pani any se ghusl lazmi ho jata hai???

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Baghair ratubat kharij hoay faqat intehae sex k mehsoos kerne se ghusl e janabat wajib nahi hota.

Print

Id:
66933
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Janabat mai koi cheez touch karny say wo chez napak ho jati ya nahi ? Jesy k almari , dresses etc

Answer: Janabat k baad ghusl se pehle insan k jism ka sirif wo hissa najis hota hay jis jagah per mani lagi hoe ho, or baqai badan paak rehta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #114). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67562
Mujtahid:
Date:

Question: aoa . mera sawal ya ha k . mera nikah ho chuka ha jb ma apni wife sy ana wala zindgi k bara ma bt karta ho to mera dick khara ho jata ha or kch dair bd us ma sy pani nikalna lag jata ha kia mojh par gussal wajib ho ga

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain.) aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69540
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aslam alekum mera sawal hi kya aorat ko sote hue mardo ki tarha aehtelaam hota hai.please mujhe jawab zarur dijiyega bahot zaruri hai janna.shukriya

Answer: Aurtoon ko bhi merdo ki tarah ehtilaam hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa,Mafhoom e Maslah #646). Update on dated 27-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70819
Mujtahid:
Date:

Question: Sorry to say... but agar handpractice k bad mani bahir na nikly pakar lya jy to ghusal toot jata hy..??

Answer: Agar mani nah nikle tu ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #351). Update on dated 16-04-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Agar mani ka 1 qatra bhi nikal jaye to kya ghusal faraz hoga?

Answer: Jee haan,is sorat main ghusl wajib hoga. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #351). Update on dated 20-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72267
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeh hai k agar ehtlaam ho jaye to gussal wajib hai ya jis jaga mani lagi hai us jaga ko dho lene se badan paak ho jata hai 2. Aur libaas pe bhi jis jaga mani lagi hai us jaga ko dho lene se libaas paak ho jata hai aur us se namaz parh sakte hain k nahin 3. Aur donon cheezon ko dhone k liye sabon lazmi hai k nahin Plz reply

Answer: 1) mani(semen) k kharij(nikalnay say) insaan mujnib( yani us per namaaz perhne k lie ghusal e janabat wajib ) hojata hay srif paak karna kafi nahi hai. 2) jis jagah nijasat lagi hai sirif us ko paak kar lena kafi hai aur paak karne k baad namaaz 3) saboon se dhona lazim nahe balke jis pani se paak kiya jaay us me saboon nahe hona chaie (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 119,44,) . Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print