Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (575 Questions)


Showing 250- 300 questions from 575 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
46197
Mujtahid:
Date:

Question: Jima k bad ghusal k bare me quran k Kia ahkam Kia he, ghusal foran krna chie ya Suba uth k b Kia ja sakta he (ghusal late krne se Guna hota he ya nahi)

Answer: Ghusl e janabat foran karna wajib nahi hai bal k wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri ibadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46954
Mujtahid:
j Date:

Question: assalam alaikum, agar kisi ladki se baat karte huye penis se pani aa jaye to kya mai napak ho jayunga aisi surat me kya mai namaz par sakta hu? kya nahana jaroori hai aisi halat me? plz clarify my doubt. sukriya

Answer: 1)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 2)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
46998
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera ap sy ye sawal hai k if jab bndy ki shaadi ho jaye to us k bad jab husband wife sohbat krty hain to us k bad koi chez eat krny sy pehly ghusl krna zarori hai ya nai j zrori hai to kon sa ghusl krna chahiye kya ap ans kr skty hain please muje is k baary mein information chahiye..

Answer: 1)Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. 2)Jis shakhs nai apni biwi k sath hambistri ki ho os par ghusl e janabat wajib namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib honay k baad koi bhi wajib ibadat ka waqt phounch gya ho to ghusl krna wajib ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355, 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47041
Mujtahid:
Date:

Question: Zehen me gande khayalat ane say mani k aik do chote qatre nikal jain to kya ghusal karna farz ho jata hy ?? Agr nahi to kya just wuzu kar k namaz parhi ja sakti hy ?

Answer: 1)Haram k baray mai sochna agar inzal ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)
2)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
3)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
4)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47443
Mujtahid:
Date:

Question: main pochna chahti hon kay handpractice say orgasm hasil karny say(mani or ksi kism ki rtobat kharij na ho)gusal karna hota ha ya waisy hi namaz par sakty han.is bary main meri rahnomai kar dain detail say

Answer: Do cheezo say insaan junub(os par ghusl e janabat wajib) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say, chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47483
Mujtahid:
islam Date:

Question: sir meray zehan main akser behuda aur ganday khayalat atay rehtay hain is waja se baaz okat kapray b napak ho jatay hain plz is se bachnay ka koi islami tareqa detail se bata dain je main panch waqit namaz b parh raha hon abi b nai yeh ruk raha..?

Answer: 1)Haram k baray mai sochna agar inzal(mani niklnay) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 2)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
3)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
4)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)
5)Taqwa e ilahi k zarye se is adat se nijaat hasil ki jay.or jin cheezo or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jay.or Allah e subhaan ka kasrat se zikr kia jay or shadi kerne main jaldi ki jay.or ye adat se bachne k liay ye sakht koshish ki jay or roza rakha jay q k roza burai say bachnay k liay dhal hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47533
Mujtahid:
Date:

Question: phone per wife say baat kerny ya us k baray may sochnay may ager husband ya wife ka pani kharig hojata hy tu ghusal wajib hota hy ya nahi ???

Answer: jo ratubat mard shehwat anghais tasaworaat k waqt insan apni sharamgah mai mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47728
Mujtahid:
Ayat ul Sistani Date:

Question: 1)Shewat k sath nikle iska kya matlab he plz answer me. 2) Agar wo ratubat jo pani k colour me nikle or wo garhi bi ho or uchal k bi na nikle to wo kya cheez he plz answer zror dena.

Answer: 1)Waisay shehwat ka mafhoom bohat wasee hai magar yaha par shehwat sai murad jinsi lazzat hai. 2)Agar aap ko kisi tarah bhi ye yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2)Uchal ka nikley 3)Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein pehlee aur dosri alaamat zaroori nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48023
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o ale kum wrb! Sir Meray Teen (3) Sawal hain. 1. Agar nahanay k bad peeshab ya Gas (Paad) aa jaye tu Gusal khatam hoo jata hai ? 2. Sir mai office mai kaam karta hoon aur agar is mani ya wade/waazi nikal tu kya karna hooga kyun kapra badlay aur dhooaye nahi ja sakta? (jawab tafseel bataain) 3. Sometime relationship (men / women) k article /tasweer parthay / dailktay hauye huay wadee ya mani nikal jaye tu hukum hai ??? kyun k internet par har waqt bad (valgur) adversiement atti rehti hai ???

Answer: 1)Peshab karna ya reeh (gas) ka kharij hona mubtilat e ghusl nahi hai bal k mubtilat e wazoo hai.
2)Jo ratubat mard shehwat anghais tasaworaat k waqt insan apni sharamgah mai mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48115
Mujtahid:
sunni Date:

Question: asalam alekum hazrat mujhe apse ye pochna ta aurat ko kis tarha discharge hota hai gandi soch ke waje se sharamgha me kuch mehsus hota hai kya is se gusul wajib hai,hazrat plz mujhe batayi te aurat ke sharamgha se anewala pani kaisa hota hai patla ya gada mujhe buhat pareshani ho rahi hai mai sara din bathroom me reheti ho agar pani kapde ko nahi laga tu gusul wajib hai,gusul wajib hone ke waqt agar namaz ka time nahi ho to mai duse kaam kar sakti ho kapde dhu sakti ho pani chu sakti ho is se pani kharb nahi hogana plz mujhe jaldi baatayi ye hazrat mai buhat pareshan ho

Answer: 1)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Hadd tak ho k osay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki intihaa tak pohunch jaey to ye najis bhi hay aur is aurat ko mujnib shumaar kia jae ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.
2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48628
Mujtahid:
sunni Date:

Question: asalam alekum gande khyal ane ke wajhe se sharamgha me jo mehesus hota hai kapde ko nalaga tu ghusl karna zaruri hai,kapde me dikhai nahi diya tu sharamgha ko chukar dekhna zaruri hai agar sharamgha gila raha tu ghusl zaruri hai plz baatai mujhe shak ki bimari bhi hai har chiz par shak hota hai sari rath neend nahi athi hai discharch ke dar se plz jaldi baataiye apne me sawalo ka jawab diya uska shuriya

Answer: Jo ratubat insan shehwat angaiz tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48712
Mujtahid:
sex relative Date:

Question: Mera sawal ye hai ki agar kisi ne nahate waqt muth mar li aur us,ke baad bahut acche se nahaya aur sharmgaah ko acche se dhoya fir gusl kiya to kya woh paak hai aur kis surat me wo paak hota.

Answer: 1)Istemna karna haram hai.
2)Ghusl karnay sai pehlay zaroori hai k najasat ko hata kar os jigha ko pak kia jae. Phir ghusl karain to pak ho jain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553, 371)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48850
Mujtahid:
Date:

Question: sir Mara sawal hain ka mubasirat ka duran kis waqat ghusal wajib hoti hain

Answer: Ghusl e janabat mubashirat k waqt wajib nahi hota bal k ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zaroori nahi hai. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48997
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum, gusl e janabat ki dua kya h?

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahab hai. (Allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen)( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين) (Ref : sistani(d.b), urwatul wusqa part # 1, [683] ka masla # 22). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49047
Mujtahid:
gusal Date:

Question: Asalam alekum hazrat humne apse ise pehele humne 2 bar apse pocha apne jawab ny diya mai buhat pareshan hun mai kitni koshish karti hun mujhe gande khayal ate hai mujhe ny pata discharg kaise hota hai mujhe sharamgha me kuch mehsos hota hai kapde me kuch ny lagta mai din me 5 ya 6 bar gusul karti hun mai kya karo meri help karo agar kapde ko ny laga tu sharamgha ko chu ke dekne ke zarurat hai kya plz bataiye mujhe sari rath neend ny ati hai is dard se kahi mujhe discharge na ho jaye mai gusul kar karke thak gai hum ise roza tot ta hai kya ya roza kafara hota hai kya plz mujhe bataiye mai sara din pareshan reheti ho plz hazrat jaldi jawab diji ye

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k sath Kharij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay inzal kaha ja sakay aur libas ko aaloda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki intiha tak phonch jae to ye najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumar kia jae ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49137
Mujtahid:
islam Date:

Question: sir meri aik lerki dost hai.main jab bhe os k sath bat kerta hon phone per ya wesay hee tu mujay qatry aana start ho jaty hain,chahy koe office ki hee bat keon na hoo,main bahot pershan hooon.aor mujay erection problem bhe hai

Answer: 1)Jo ratubat shehwat angaiz tasaworat k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #345 )
2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49176
Mujtahid:
Date:

Question: Kya rozy k bad rat ko hasbnd biwi ki chati choose or us pr kya orat pr gusal wajib hai char char kry lakin hambistari na kry us pr orat ko gusal wajib hai is doran mard ki mani nikly to 2no pr gusal wajib hai .

Answer: 1)Sohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay, laikin agar sohar biwi ki breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jaay(yaani halaq say neechay nah utara jae).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org).
2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k sath Kharij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzal Kaha ja sakay aur libas ko alooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intiha tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. Chahay jima kia ho ya nahi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49264
Mujtahid:
sunni Date:

Question: salam mujhy yah pata karna hai main apny feoncy say rozy main bat karti hon to sirf bat karny say hi pani kharij hony lagta hai kia us say roza qaza ho jata hai aur aurat ki mani ki shakal kia hoti hai wo thick hoti hai ya thin ya bat meri samhj nahi ati hazrat jaldi jawab day dain mujhy main buhat parishan rehti hon

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.


Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49359
Mujtahid:
Janabat Ke Ahkam Date:

Question: Kya koi seducing tasvir dekhne se(newspaper,magazine,book,internet par) ya phir biwi se phone par baat karne se ya phir biwi k bare me sochne k baad koi kyal anay se jo 2-3 qatray sperm(pani k jaisa) kharij hone se roza toot jata hai??kya aise me unhi kapdo par namaz pad sakte hai?kya namaz muqammal hojati hai?ya phir gusul karna padta hai??main roze me hun so pleeeeeeeeeeez jaldi iska jawab dijiye...jazakallah.

Answer: 1-Jo ratubat insan shehwat angaiz tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo paak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. Aur roza bhi batil nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345.1553)
2- Ethiyaat e wajib k toor per fahash tasweeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k baghair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49467
Mujtahid:
gusul ki dua Date:

Question: salam , nikha ke baad apni bivi ke saath sex hone ke baad gusul ki dua plz batai

Answer: Ghusl e janabat se pehlay dua wajib nahi balkeh mustahab hay .(Allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen)( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين) (Ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
49903
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam... Agha agar wife se phone per baat karte hue agar mard ki sharam gah se koi ratoobat nikle aur wo ratoobat uchal kar nikle Lakin us ko ye shaq ho ke shohwat ke saath nikli hai ya nahi per ye itminan ho ke Badan main sukoon wali alamat mojod nahi to Kya ye ratoobat mani ka hukm rakhti hai? Plz is scenario ka specific jawab di jiye..... Shukriya

Answer: Agar kisi shakhs ko shak ho k mani kharij hui hai ya koi aur ratoobat to agar os mai wo 3 alamatian jo bayan ki gae hain agar sari pae jain to hi mani k hokum mai aye gi warna nahi. Albetta jo ratubat shehwat anghaiz tasaworat k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50621
Mujtahid:
Date:

Question: assallam alekum mera sawal ye hai ke rat mai mani ke nikalneke bad ise dune se jism pak karne se namaz hungi ya nahi gusal karna zaruri hai

Answer: Ghusl e janabat wajib namaz parhnay k leay aur aisi dusri ibadaat k leay wajib hota hai.(yani jb ap namaz parhna chahay tu us sy pehlay ghusl ker lein,foran kerna zarori nahi.) (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50625
Mujtahid:
Date:

Question: salam sir jab mara khara ho jatha hai to halka pani (wani) nilktha hai is wqt muja par gosul wajib hotha hai ya nhi or mari pant napak hoti hai ya nhi.

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat (sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par ghusl bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50671
Mujtahid:
Date:

Question: agar subah banda paleed ho to sehri paleedgi mein kr sakta hai

Answer: jis shaks per ghusl e janabat wajib ho us ko namaz fajar se phele ghusal janabat karna wajib hai aur agar wo jan booj kar fajar se pehle ghusal janabat na kare to us ka roza batil ho jaay gha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1591 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50682
Mujtahid:
- Date:

Question: mera yeh sawal hai kay ihtelaam se kisi bhy qism kay maday ya kisi bhy cheez ka koi nuqsaan hota hai ya nai???? aur ghusul kis tarah kia jaiga??

Answer: Agar ehtilam ho jae to namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.
1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 )
2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.
1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.
2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70).
Note ehtilaam se nuqsaan hota hai ke nahi is ke liye doctor se mashora karian.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50822
Mujtahid:
Date:

Question: sir.mere sath masla ye hai k main jb apne boy frnd se bat karti hun to mere mine nekalti hai.main 5 time namz bhe parhti hun bht try karte hun k galat bat bt phr bhe ho jate hai.mujhe hr waqt weham rehta hai k main napak hun.kuch asa btaen k mere soch se ye galat chez kahtm ho

Answer: 1)Wo ratubat jo aurat sai shehwat k sath Kharij hoti hai Agar is Hadd tak ho kay usay Inzal Kaha ja sakay aur libas ko aloda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intiha tak phounch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jae ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50850
Mujtahid:
sistani Date:

Question: agar me shahwat angaiz tasurat k waqt mani ka nikalna mehsos karo to ghusal wajib h???????

Answer: Gee bilkul ghusl wajib hota hai. 2 chizon se insan mujnib hojata hai aik jimaa or dusra mani nikalne se , chahay wo neend ki halt men nikle ya jaagte men, kam ho ziyada, shehwat k sath nikle ya bagher shehwat k or uska nikalna ikhtiyaar men ho ya nah ho har soorat men ghusl wajib hojata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#344). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50851
Mujtahid:
sistani Date:

Question: shehwat se kya murad h?????????

Answer: Shehwat se murad jinsi lazzat,khwahish-e-jimaa,jinsi khwahishat. (Ref: Feroz-ul-lughat urdu , page#852). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50963
Mujtahid:
islam Date:

Question: assalamualaikim mera sawaal yeh hai ke kya apni sharamja se urine ke alawa jo cheez ati hai agar wo jism pe lag gaye or usse dho dia gaye to kya usske baad insaan napaak hota hai ya usse gusl karne ki zarorat hai wo namaz or quran padsakta ha

Answer: Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 31th, Maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51569
Mujtahid:
Date:

Question: Main jab laterine karne jata hoon to mera dhaat nikal jata hai to kya mujhe gusl karna padega. Kya isse main naapak ho jata hoon aur main iske baad bina gusl ke namaaz padh sakta hoon. Pls tell me.

Answer: Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #345 )

Print

Id:
51904
Mujtahid:
ayatullah sistani sb. Date:

Question: janabat k baad wajibai k ghusal kr k e ap kitchen ka kaam kr skty ho....agr jldi ho to kitchen ka kaam kia ja skta hai k nhi...

Answer: G han karsakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
51927
Mujtahid:
muhaqiq kabuli Date:

Question: kia janoob kay liye khanaa khaana ya paani peena jaiz hai?

Answer: G han jaiz hai, lekin hath moon dhoye to karahat khatam hojati hai or agr sirf hath dhole to bhi karahat kam hojati hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52067
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, maira sawal yeh hay k Kia aurat pay mubashrat k ilawa Bhi kisi tariqay say ghusal e janabat wajib hota hay, maslay khud lazzati ( jismani chair char) or apnay shohar say he mutaliq shehwat angaiz khayalat to badan may jhatkay paida karain or agar us waqt koi ratubat sharmgah say niklati mehsoos ho to Kia ghusal wajib hay??? Or agar jerks lagain, khayalat Bhe hon magar ratubat na niklay to Kia ghusal wajib hay? Ek lazzat or Latif kaifiyat k bad jism sakoon may aa jaey chahay ratubat na khatir ho to Bhi Kia ghusal wajib hay? Kia ghusal e janabat k matlab sirf shohar say humbisteri or uska uzw dakhil Hona he hay tab he sirf ghusal e nanajib farz hoga?? Wassalam.

Answer: Wo rutubat(liquid) jo aurat sy shewat k sath kharij hoti hai agr is had tak ho k usay inzaal kaha jasakay aur libaas ko alooda krday,jo amm tour sy us waqt nikalti hai jb aurat hejaane shewat ki inteha tak pohnch jaey tou ye njis bhi hai aur is sy aurat mujnib bhi hojati hai aur is trha ehtiyate wajib ki bina par agr haijan shehwat ki inteha tak na pohncha ho magr pani itna ziada ho jitna puri razamandi k moqay par kharij hota hai tou bhi gusal wajib hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #345). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
52116
Mujtahid:
Agha sistani sb. Date:

Question: Sir g, swal hai ka, jb koe film dakh rha hota ur romentic seen jb ata hai usa mahsos hota hai nafus sa kuch discharge ho rha hai.tu usa ghusal karna pra ga.ur is duran kuch khana haram hai. Plz sir give answer with detail.

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
52123
Mujtahid:
Date:

Question: Girl friend se bath karthe samay mere ko ehthilam hotha hi. Iske liye gusul karna jaroori hi kya

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345)

Print

Id:
52330
Mujtahid:
any Date:

Question: kya phone sex krty wakat wo nikal jay to ghusal krna zarori ha?

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.
(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345)
Zina, lawat (mard ka mard k sath bad-feli), Sihaq(orat ka orat k sath bad-feli), Istimna (kisi bhi na-jaiz tareeke se Mani ka kharij krna), or hr qism ki jinsi lazzat hasil krna(chahe wo bat krne k zriye ho, dekhne k zriye) ye sab bare gunahon (Gunah-e-kabeera) men se shumar hote hen.
(Ref: Ayatullah_Sistani(d.b) Minhaj_ul_Saliheen, Part#1, Masla#30)(Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
52355
Mujtahid:
White pani ka lag jana Date:

Question: Assalam o alaikum..mai ye dusri bar ques post kr rha hu...plz ans me..mujhe raat me undrwear me 2-3 drop pani jaisa penis se gir jata hai..mai underwear change krke namaz padh leta hu..but kya pajama aur baki ke kapde jo mai us time pahne rahta hu..sb chnge karna jaruri hai ya only undrwear chnge krne se ho jata hai? Plz ans me mai bahut pareshaan hoon..aapka shukar hoga...

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.
(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345)

Print

Id:
52474
Mujtahid:
Date:

Question: agar kio admi napaak hai to kya wah aaytal kursi ,darud sarif or sureh fateha padh sakta hai kya

Answer: G han parh sakta hai lekin ayaatoo (jin ki waja se sajda wajib hota hai) ke ilawa dusri 7 se ziyada ayat pharna makrooh hai. Isi tarah quran k alfaz ko hath bhi nahi laga sakta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52563
Mujtahid:
Mujtahid Date:

Question: assalamualaikum wr wb.. Mera sawal ye hai k gair shadi shudda ladki ko apni sharamgah se kis kis rutubat ke nikalne ke baad gusul zaroori hojata hai? Aur shawat ya chone ki wajhe se lutf ke saath nikalni wali rutubat ka kiya hukum hai? Plz zaroor jawab dein.. Allah hafiz

Answer: Wssalam o alykum, 3 terhan ki ratobatoon se orat per gusal wajib ho jata hai, 1

Print

Id:
52565
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u walikum Mera sawal ye hai k ghusl e janabat kya hai or is ka tareeqa kya hai Mai ap ki jawab ki muntazir hu

Answer: Wssalam o alykum,Ghusl ka matlb hai ek khas andaz se jism ko roohani tor pr pak krna hai, or iska tareeka ye hai k ehtiyat e lazim ki bina pr niyat e ghusl kr ke pehle pura sar or garden or bad men adan dhona zaruri hai or behter ye hai k badan ko pehle daeen(right) taraf or bad men baeen(let) se dhoye.
Or insane 2 chizon se mujnib hojata hai ek jimma (biwi k sath relationship krne se) or dusra Mani nikalne se, chahe mani neend ki halat men nikle ya jagte men kam ho ya ziyada, shehwat k sath nikle ya bger shehwat k or iska nikalna ikhtoyar men ho ya na ho.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344 , 360 to 370 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52651
Mujtahid:
Date:

Question: ham quran kis waqt padh sakte hai aur kis waqt par nahi padh sakte?

Answer: Mard ka haalat e janabat main Quraan k wajib sajde wali ayaat ki tilawat karna haraam hai, or is hi terah orat ka halat e nifaas o haiz main Quraan k wajib sajde wali ayaat ki tilawat karna haram hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 503 , 448 , 354 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52704
Mujtahid:
hasy sha Date:

Question: mara sawal ya hay kay mary peshab wale jaga sy din may kafe dafa qatry nekalty hay boht ziada nahi 2 ya 3 drops patly pane ke thara ya kia wja hay plzz tel me

Answer: jab mard ki shehwat ubharti hai to uske aalaa e tanasul se ik ratoobat nikalti hai jis ko mazi kehte hai.
Or basa uqaat mani ke baad ik ratoobat nikalti hai jis ko wazi kehte hain. Or basa uqaat ik ratoobat pishaab ke baad nikalti hai jis ko wadi kehte hain.
Ager in ratoobatoo ke sath pishaab na mila howa ho to ye paak hai or nahi in se wuzu tootta hai or nahi gusal wajib hota hai.
Or ager kisi ne pishaab ke baad istabra kiya ho or phir us koi ratoobat mehsoos ho or wo ye na jaanta ho ke mazkoora baala teen ratoobatoo main se koi ik hai ya pishaab to wo paak hai or mujib e wuzu o gusal nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52747
Mujtahid:
Date:

Question: raat ko ahtalaam (night fall) ke waqt me apne azoo ko zor se dabakar money(sperm) ko bahar nikalne se rok leta hon jisse ke money wapas chali jaati hai aur shehwani shiddat bhi khatam ho jaati hai.....aur phir baad me peshab ke waqt bahar nikal jaati hai.....kya is soorat me mujh par ghusul waajib hua ya nhi

Answer: Mani ko nikalne se is tarah rookna wajib nahi hai. Ager ap ko pata hai ke pishaab k sath nikalne wali mani hai to ghusl wajib hai, warna wajib nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1572 , 70 , 344 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52863
Mujtahid:
Date:

Question: kya husband k sath humbistri krny k bad nahay bgair khana pkaya ja sakta ha?

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52964
Mujtahid:
zeeshan Date:

Question: Kiya musht zani k bad ghusal kiye bgher khana khana haraam hai?

Answer: Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana, peena makrooh hai Hram nahi hia lekin agar hath moo dho le or kulli kar le to makrooh nahi hai or agr sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53089
Mujtahid:
Date:

Question: السلام وعليكم Naapak haalat mai baal cut kar sakte hai

Answer: Jee haan janabat ki halat main baal kaat saktay hain or katwa saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354+355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53142
Mujtahid:
Date:

Question: A/A kia ourat ka janab ki halat ma apny bachy ko doodh pilana jaiz hy ??????????

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53279
Mujtahid:
Date:

Question: Wife k sath spec krny k bd Agr Gusal nai kia to Kuch kha pe sakty hain? Agr nai to q or Agr wife ko kiss krty hi mard k 1 2 katry nikal jay to kya phr b Gusal farz Ho jata hy??

Answer: Halat e janabat main khana pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath moonh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355).
Ager ap ko yaqeen hai ke wo mani ke qatre hain to ghusal wajib hai, warna wo qatre paak hain, na un se wazoo toota hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 344 , 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53402
Mujtahid:
nasir Date:

Question: agr ehtlam ho aor mani kharij na ho to ghusal krna zrori hy ?

Answer: Ehtalam usi amal ko kehte hen jis men mani kharij ho lehaza ye kehna hi ghalt hai k ehtilam hua lekin mani kharij nahi hui or mani kharij na ho to ghusl wajib nahi hota, Albatta wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos krta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kri hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-345)

Print

Id:
53495
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Salam.mera phla sawal ap sa ye hai..... kia meri bv intercourse k bd ghusal kiay bgair bachy ko feed krwa skti hai??? Dosra sawal mera ye hai....kia intercourse k doran sath mai bachy ko feed krwaya ja skta hai??

Answer: Halat e janabat main aurat k liay apne bachay ko doodh pilana jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 )
Jima(intercourse )k douraan aurat apne 2saal se kam umar wale bachay ko doodh pila sakte hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5,4th edition). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print