Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (583 Questions)


Showing 100- 150 questions from 583 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
6706
Mujtahid:
Siatani Date:

Question: If wife sucks dick of her husband or her husband lick her vegina only no intercourse do gusul e janabat wajib by doing that act only

Answer: A person enters the state of Janabat in two ways:
1. Sexual intercourse
2. Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily.
Result: So if you did not do intercourse or semen is not discharge from your penis and your wife vegina by suking and liking, then no ghusl e janabat will be obligatory on both of you. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6827
Mujtahid:
Date:

Question: This is a very informative forum and I have a question as well.My question is if you see a wet dream and do jama in it but in actual the semen is not released or you wakeup at nearly when somthings about to come out.In this case does ghusl becomes wajib?.Thanks

Answer: A person enters the state of Janabat in two ways:
1. Sexual intercourse
2. Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily.
When one cannot ascertain whether the fluid emitted from ones body is semen, urine or something else, it will be treated as semen if it is thrown out with lust and if the body is slackened. If all or some of these signs are not present the fluid will not be treated as semen. In the case of illness, the fluid may not come out with sudden swiftness and the body may not slacken; but if the emission takes place with lust, it will be treated as semen.
If movement of seminal fluid is felt but not emitted, or if a person doubts whether or not semen has been ejaculated, Ghusl will not be obligatory upon him.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 344,345,351)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
6839
Mujtahid:
ayat ulal sistani Date:

Question: 1.shewat se ratobat nikle to ghusal janabat wajib he yeh sehwat se ratobat nikal ne ka kia matlab he? 2.shewat se ratobat nikle to kia ghusal janabat wajib he ur agar roza raka hoo tho to bee ghusal janabat wajib he?

Answer: 1)shehwat se ratobat nikalnay ka matlab lazzat or khahish k saath ratobat ka jism se kharij hona hay.(Ref: fairozul lughaat pg#852 ).
2)Agar rozay ki halat me bay-ikhtiyaari ki halat main kisi ki mani kharij ho jay to to is se roza batil nahi hota he.Laikin os per ghusl wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6916
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alekum,,, Mera. Sawaal Yeh Hai Ki Mere Koa Baar Baar Aithlam (Money) Nikal jaati Hai . Toa Ab Isse Mai Namaz Pard Sakta Hoa Ki Nahi.Ab Baar Baar Ghusul Kaise Karo Mai. Din Bhar MAi Office MAi Rehta Hoa

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)

2)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7269
Mujtahid:
Ibaadat Date:

Question: Sir,mera sawal hai k jab mai raat ko sota hon aur suba jab utha hon tab mere kapdo par kuch dabhe hote hai aur kabhi small small white dabhe hote hai jo bagair uchle aur kabhi bagair shahwat k nikalte hai tu kia mai ise mazi samjho kyon k ye gair mahsoos taur par nikalte hai

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7527
Mujtahid:
agha seestani Date:

Question: is guslejanabat wajib even if we dont have intercourse and only have foreplay?

Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. Aur ghusl e janabat wajib hota he. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa insan mujnib nahi hota he(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail maslah # 344).

Print

Id:
7553
Mujtahid:
Date:

Question: aoa mera swal ye h k aik urat ki sharam gah se sufid rang ka mada nklta h kia ye napak hota h.kia urat namaz prh sakti h agr namaz kdoran bi a jay

Answer: Wo ratobat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7676
Mujtahid:
Date:

Question: mujhey ghusl ki dua english me aur urdu chaiyea aur dua e janabat ki dua b english me aur urdu me chaiyea

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).

Print

Id:
7704
Mujtahid:
Mani ka nikalna Date:

Question: Ladki ke paas kuch de bait ne se mani nikalti hai to kya mujhe gusl kar ke namaz pad na hoga ya aise hi bina nahaye namaz pad sakta hu

Answer: 1)Agar mani niklnay ka yaqeen he to Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.)
2)wo ratoobat jo khabi khabi shawat ubharnay per mard k ala e tanasul se kharij ho ose mazi kehtay hein. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7713
Mujtahid:
hanafi Date:

Question: salam. kapdo k sath hambistari ki or mard ko mani nikal gaya to kya mard or orat dono per gusl ferz ho gaya??

Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Agar koe shakhs aurat se jima karay aur uzo e tanasul supari ki miqdaar tak ya is se ziyada dakhil ho jay, chahay ye dkhool farj me ho ya pichlay maqam me aur chahay wo baligh ho ya na-balig aur chahay mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.aur ghusul e janabat wajib ho jata he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7714
Mujtahid:
hanafi Date:

Question: salam. kya miya biwi hambistari karte ho lekin mard ki sharmgah biwi ki sharmgah k ander enter nahi hoti to kya miya biwi dono per gusl farz ho jata he?? pls detail me samjaiye...

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Agar koe shakhs aurat se jimma karay aur azo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dkhool fraj me ho ya pichlay maqam me aur chahae wo balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo junub ho jatay hein.aur ghusl e janabat wajib ho hata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7715
Mujtahid:
hanafi Date:

Question: salam. miya biwi sohbat karne k bad agar so jana chahte he to kya gusl kiye bagair so sakte he????

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Jima k baad baghair ghusl k sona makhroh hay.albattah agar wuzu ker lain ya pani nah honay ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlain tu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7720
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam,sir kiya ghusl e janabat se pehlay peshab karna zarori hota hai? logo ka yeah kehna hai k ghusl se pehle peshab karna chahe or nahi?

Answer: Mani kharij honay k baad insan k lie peshab karna mustahab he. Aur agar peshab na karay aur ghusl k baad is k peshab ki nail se ratobat kharij ho jis k baray me wo na jaanta ho k mani he ya koe aur ratoobat to wo ratoobat mni ka hokum rakhti he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 347) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8018
Mujtahid:
Date:

Question: asllam-o-alikum janab mera sawal ha k ager hasband apni wife k sath mushabat karta ha tu ager dono discharge nhi hotey tu kia suba uth kar nahna partha ha namaz or quran parhney k liyey kia ap muj ko is ki tafseel bata saktey ha

Answer: Agar koi shakhs aurat se jima karay aur ezu e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil ho hay to chahae mani kharij ho ya na ho donoo mujnib ho jatay he aur namaz parhnay k lie aur aisi hi doosri abadatoon k lie ghusl e janabat wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348, 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9017
Mujtahid:
aytulla sistani Date:

Question: regarding gusal e janabat after humbisteri when we can take a gusal e janabat is it possible we will take when we get getup after sleep or immegiatly we have to take. please tell me

Answer: Ghusl-e-janabat wajib namaz parhne k liye or aysi dusri ibadat k liye wajib hai. lehaza jab ap aysi ibadat anjam den jis kl liye wazu krna wajib hota to us k ghule-e-jinabat wajib hojata hai ab apko ikhtiyar hai k sone k bad anjam den ya jald anjam den.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354)

Print

Id:
9252
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMUALAIKUM betulkhala jane ke waqt pesab ki nali se mani ke katre nikalne par kiya gushal faraj ho jata hai aur pesab ki nali se sex khayal aane par jo pani jaisa liquid nikal jata hai kiya tab bhi gushal karna faraj hai jaldi jawab de ALLAH AAPKO JAJA E KHAIR ATA FARMAYE

Answer: Ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na janta ho ke pishab hai ke mani, ya koi or ratoobat, to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai, 3 sharait hon ye hen, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti(yani use mani nahi kahenge).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345)
Wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat(sex) ubharne pr mard k aalaa-e-tanasul se kharij hoti hai use Mazzi kehte hen or wo pak hai, or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use Wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use Wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)
S/no:6499

Print

Id:
9318
Mujtahid:
Date:

Question: kai bar apni hone vali biwi se bat kerke mujhe pehab k maqam se ktra nikalta mehsus hota hota hai jise mai dekh bhi sakta hu ? kya is surat mai pak hu dusra saval yeh hai ki mai stomach ka mariz hu lihaza bar bar mujhe aisa mujhe ahsas hota hai ki mujhe riya kharij (gas) ho raha hai. is surat mai kya karu wazu kerke namaz ko dohra lu ya namza ho jayegi jabki mai vakai stomach ka mariz hu. jabki mai pure yaqin k sath nahi keh sakta ki riya kharij hua bhi ki nahi lekin ahsas kai bar hota hai namaz k dauran ap plz meri islah ker de

Answer: Wo ratobat jo kabhi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamgah se kharij hoti h ose Mazi kehte hen or wo pak h. Or wazu ko bhi batil nahi karti(Namaz parh sakte hen.)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)
Wo ratoobat jo baaz oqat peshab k baad niklti hai agar peshab os se mila hua na hua to wo pak hai aur os ko Wadi kaha jata hai.wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ager kisi ko wazoo ke baad shak ho ke us ka wazoo batil howa hai ya nahi(masalan ke us ki gas nikli hai ya nahi) to usko samjna chahiye ke us ka wazoo baqi hai yani batil nahi howa hai.
agr kise ko shak ko ye Aarza lahaq hua k riyah(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un logo k fareeze k mutabiq amal kare jo pheshab or phakhana rokne pr qadir na ho. yani agr ise yaqeen ho ke namaaz ke awal se aakhir tak ise itna waqt mil jae ga jis men wo is tarah namaz pher sakta hai ke gas na nikle to zaroori hai ke us waqt men hi namaaz phare, or agr pata ho ke sirf itni mohlat mile gi ke namaaz ke sirf wajibaat ko anjaam de sakta hai to zaroori hai ke mustahabbat ko tark kar(chhorede) or wajibaat per iktifa kare,or agr ise wajibaat per iktifa karne ki mohlat bhi na mile is tarah k wajibaat ka sirf kuch hissa wazu ki halat men parh sakta hai to zarori hai ke wo kuch hissa wazoo ki halat main parhe, or agr wo namaz ka kuch hissa bhi wazo ki halat men na parh sakta to iska Ek wazu chand namaazo ke liye kafi hoga.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 299, 306 to 314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9360
Mujtahid:
ayatulah sistani Date:

Question: sir muje mazzi k full ahkam malum krne hain? agr ksi ratubat k bary ma shak ho to wo kya samji jaye mazi ya mani? and kya mazi mardana kamzori ka bais banti hy????

Answer: Wo ratobat jo kabhi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamgah se kharij hoti h ose Mazi kehte hen or wo pak h. Or wazu ko bhi batil nahi karti(Namaz parh sakte hen.)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70).Wo ratoobat jo baaz oqat peshab k baad niklti hai agar peshab os se mila hua na hua to wo pak hai aur os ko Wadi kaha jata hai.wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9401
Mujtahid:
Date:

Question: aslamu aleikum mera sawal ye hai kai jab me kisi larki ko dekhta hu to koi katre nikal ay wo katre pani ka tara hotai hai kia ia par gusal lazam hai

Answer: Wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne pr mard k aalay-e-tanasul se kharij hoti hai use Mazi kehten hai wo pak hai, is se ghusal bhi wajib nahi hota hai or na wazu batil hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #345-70).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9494
Mujtahid:
ayatullah sistani Date: 2018-05-27

Question: assalamo alaikum janab me hand practice ki waja se mardana kamzori me mubtila ho gaya hon agar is ka koi ilaaj hai to bataaen plz plz

Answer: Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
1)Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37)

Print

Id:
9520
Mujtahid:
Agha Syed Ali Seestani Date: 2018-05-29

Question: Assalamo-E-Alikum: Before i going to ask question there is a reqeuest please dont mentioned my email ID, Sawal Ye hai, agar sex story ETC parey or rutubat kharish ho tou kia ye money k hukum may aata hai? or agar nhi tou is rutubat ko kia kehtain hai or agar money ya peshab k ilawa koi rutubat kharish howi hai tou kia ghusal wajib hai?

Answer: Jo ratubat shehwat angez tasaworat k waqt insan apni sharamgha me mehsoos karta hai ose mazi kehte hen or wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 ,70 eidition 31)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Aysi kisi(story) jo shehwat ubharne ka sbab bane to in ka parhna jaiz nahi hai.
( Ref: Nigha or libas, pg#60_Edition#1)

Print

Id:
9738
Mujtahid:
Date:

Question: please tell me dua for Ghusl e Janabat in Arabic and in Urdu.

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahab he or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen)
ﺍﮮ اﷲ ﻤﻴﺮﮮ ﺪﻞ ﻜﻮ ﭙﺎﮎ ﻜﺮ ﺪﮮ ﺍﻮﺮ ﻤﻴﺮﻯ ﻜﻮﺸﺸﻮﮟ ﻜﻮ ﻘﺒﻮﻞ ﻜﺮ ﺍﻮﺮ ﻤﻴﺮﮮ ﻠﻴﮯ ﺠﻮ ﺘﻴﺮﮮ ﻨﺰﺪﻴﮎ ﺨﻴﺮ ﮨﮯ ﻮﮦ ﻘﺮﺍﺮ ﺪﮮ ۔ ﺍﮮ ﷲ ﻣﺠﻬﮯ ﺘﻮﺒﮧ ﻜﺮﻨﮯ ﻮﺍﻠﻮﮟ ﺍﻮﺮ ﭙﺎﮎ ﻠﻮﮔﻮﮟ ﻤﻴﮟ ﺴﮯ ﻘﺮﺍﺮ ﺪﮮ
(ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9820
Mujtahid:
Adm Date: 2018-06-07

Question: Salam. Kya hath se mani nikalna jina se bada gunah hai ans. Juldi

Answer: Wssalam o alykum, haraam o guhnaah e kabera hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
9857
Mujtahid:
badalona Date:

Question: mara sawal ya han k mojh ko bewi ko fon karty waqit chand katry aty han kaya alaj han

Answer: Wo ratubat jo kabhi kabhi shehwat ubhrney per mard ki peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10560
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum Mufti Sab agar fahash Film ya koi kam dekh lia jay to ghusal farz hojata hay kia kia wazo kar kay namaz parh saktay hain

Answer: Wssalam o alykum, Ager mani kharij nahi hoi to wazo kar ke nanamz phar sakte hain, garche aysi chizen dekhna bhi haraam hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344) , (Ref : nigaah o lebaas , baab # 2 , sawaal no # 56 , pg # 47 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10579
Mujtahid:
Date:

Question: sex k bad aurat ya mard ka khana khana ya koi aur cheez khana kasa hai jo rizq halal ho

Answer: Janabat ki halat mai khana pena jaiz hai magar makrooh hai,agr khanay say pehlay hath mu dho lain aur kulli kerlain tu makroh nahi rahega.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Edition maslah # 355).(khuda apki toufeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
10663
Mujtahid:
Date:

Question: Ladki Se Baat Kerne Per Qatrey Aatay Hai aur phir mere namaz kaza ho jate hai pls koi rasta batay kay ye koi bemari hai

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
10687
Mujtahid:
allah Date:

Question: assalawalakum warahmath illa hi wa baraktahu mufti saab mera sawaal yeh hai k jab koi girl se milte ho aur unse baat karte ho aur unse kiss karte ho toh mera paint me kaccha lagte hai aur waha se pani nilakte hai toh kya taharat tod jaye ge kya

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi.
Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345)

Print

Id:
11296
Mujtahid:
Answer Date:

Question: Aslmkm mai ye janna chahtu ke agar pesaab karne ke bad kuch khatre chamdi par chipke ho phir hum clean kare to kya taharat hogi ya phir ghusul karna padega

Answer: Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee or ghusl e janabat kerna wajib hoga. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11546
Mujtahid:
Date:

Question: mara sawal hai k mubashrat k bad kitni jaldi ghusal karna chahy yan phir subha uth kar ghusal karna theek hai ?

Answer: Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri ibadat k lie wajib hota(ghusl k baghair srif wuzu kar k namaz nahi perh sakte. Lakin namaz e miyyit , sijda e sahw , sijda e shukr aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zarari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11596
Mujtahid:
AYAT ULLAH SISTANI Date:

Question: asak,during pregnancy i get aroused very fast by any thought of foreplay,love making etc. and release some white substance but cannot understand whether im relaxed after that or not.is it wajib to make ghusl then?is pregnancy counted in illness?

Answer: 1 A person enters the state of Janabat in two ways:
(i)- Sexual intercourse. (ii) - Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily.
When one cannot ascertain whether the fluid emitted from one,s body is semen, urine or something else, it will be treated as semen if it is thrown out with lust and if the body is slackened. If all or some of these signs are not present the fluid will not be treated as semen. In the case of illness, the fluid may not come out with sudden swiftness and the body may not slacken; but if the emission takes place with lust, it will be treated as semen.
2 If movement of seminal fluid is felt but not emitted, or if a person doubts whether or not semen has been ejaculated, Ghusl will not be obligatory upon him. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#351 )

Print

Id:
11607
Mujtahid:
ahlesunnat Date:

Question: AOA, Let me know if any women put some medicine in her vagina did she need to have perform ghusul-e- janabat or any other type of ghusul.?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
No, no ceremonial bath (ghusl) is on her due to this work.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# before 344 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11913
Mujtahid:
Date:

Question: aurat ka halat e janabat mein bachy ko dhodh dena ya pilana.

Answer: Aurat ka halat e janabat main bachay ko dhoodh pilana jaiz hay or makhooh bhi nahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# 354,355).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11940
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Mera sawaal yeh hai keh please INZAAL ke kia meanings hain? Or INZAAL ki soorat se kia muraad hai? Aksar phone per apne Fiance se baat kertay waqt cher chaar se agar wetness feel ho tou kia mujh per ghusl wajib hai? I am a woman. Also aksar finace ke samne atay waqt agar aisa kuch feel ho (or intention ghalat na ho) kia phir bhi ghusl wajib hai?

Answer: 1-Inzaal arabi zaban ka lafz hay jis ka matlab “mani nikalna”(discharging of semen) hay.(Ref: ferozol lughaat ,pg#130).
2-Inzaal ki sorat se murad ye hay k jis shaks k jism se mani nikalay tu is halat ko halat e janabat ya inzaal ki halat kaha jata hay. Is halat main 5 chezain haram hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#354 ).
3-wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11942
Mujtahid:
Date:

Question: mujhay lecuria ka masla hai bht ziada bar bar kapre badlna or nahana mushkil hai kia ap bata sakte hain k jagah saaf ker k un kapron se bgair nahae namz perh skte hain ya ni?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.

Print

Id:
12137
Mujtahid:
ghusal Date:

Question: asslam o alaikum mera question yeh hai kay agr hum raat ko koi bura khyal na dekh kr sotay hai to phir b ihtlam ho jata hai to is ko roknay ki kiya wojohat hai aur ghusal is may wajib hai kia aur ghusla kaisay kia jata hai pori detail btaiye meri se thori ghlti ho jati hai ghusal krtay waqt aur agr hum mani khud kharij krtay hai to ghusal wajib hai aur agr kisi se bat krtay waqt ikhraj ho to phir b wajib hai kia matlb mera kehne ka yeh hai kay mujhe app btaiyen kay ghusal kab wajib hota hai aur kaisay krtay hai bus ye detail chaiye

Answer: 1- Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)
2- Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)
3- Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12278
Mujtahid:
muslim Date:

Question: assalam o alikum! me ye pochna chahti hun k agar hum child plan kar rahe hoon or sex karien per sex kay bad bath na lysakien pore din tu kya iska asar pregnancy pe parega? mera matlab hai iski wajase kya pregnant nahi hoskhte? ya pregnant hone k liye ya pregnant hone k liye nahana zaroori hai

Answer:
1- Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356).
2- Halat e janabat main 9 cheezain makhroh hain jin main se aik ye hay k halat e jabat main khana peena makhroh hay, laikin agar haath monh dholay or kulli kerlay tu makhroh nahi hay or sirif haath dholay tu bhi karahiyat kam hojaay gi. Or is halat main sona bhi makhrooh hay, albatta agar wuzu kerlay ya paani nah hone ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlay yu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12387
Mujtahid:
Date:

Question: Mera swal yeh h k kya adult movie dakne k bad ghusal zaruri h

Answer: 1-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay.
2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12671
Mujtahid:
Date:

Question: mara sawal ye hai k.hy jima ky bad agar aurat jaldi gusul na kar saky to kia islam main ous ky leye koi reyait hai. kia vho ghar ky kamun sy farig ho ky gusul kar sakti hai???

Answer: Jee haan aurat apne gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker sakti hay Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay..(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12711
Mujtahid:
sunni muslim Date:

Question: mera sawal yeh hai ki hu kin kin chizon se naapak ho jate hai,agar oral sex kiya to kya hum namaz nahi padh skte? shaadi k baad gusal ka kya hukam hai ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Note : agar oral sex sai mani kharij ho jae to insane mujnib ho jata hai.
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)

Print

Id:
12959
Mujtahid:
Hanfi Date:

Question: If husband/wife sleeping together and husband discharge semen in dream and semen touch the wife body.Is ghusul farz on wife although it will be farz on husband.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Ceremonial bath (ghusl) is obligatory only for husband not for wife. And wife must wash only her body and where semen has been touched with wetness.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 119,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12980
Mujtahid:
Date:

Question: kya sex karne k bad zaruri hai gusal karna baghair gusal kie kuch kaya jae toh wo haram nai ogah

Answer: Jee haan gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker saktay hain Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13090
Mujtahid:
Mujtahid-e-Taqleed: Date:

Question: mera sawal ye hai ki mere sharamgaah se kabhi kabhi mani nikal jata hai .iski wajah se gusul kana jaruri hai

Answer: 1-Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67).
2-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
3-Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13093
Mujtahid:
Date:

Question: Main ne pehle bi ye sawal pucha hey magar koi Reply nai aya . Sawal ye hey K main Jb koi Gandi Video Dekhta hun to Mere Penis K oper LAIS Dar 1 ya 2 qatrey ateey hain . Mere khayal main un ko Mazzi kehtey hain . Kia Un se gusal Frz ho jata hey ya nai . Agar Gusal Farz nai Bi hota to kia Kapre change karna lazmi hain . Plz Jaldi Answer de dain . Full detail se Jawab de . Khuda Hafiz

Answer: 1- Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
2- wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13136
Mujtahid:
aqae haaj syed ali hussaini seestani Date:

Question: assalamualaikum mne ye syt parhi aur bht kch hasil kia me ALLAH aur ap logon ki bht sukarguzaar hun k mne kafi chizain sekhen mje aik sawal ye puchna tha k me jse ye sawal waghera parh rhi t tu jb mun me lene suck krne waghera ki bten ain tu mre andr se liquid nkla tu kia wo liquid najis he aur kia us k lye ghusl waghera he

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13157
Mujtahid:
aqae seestani Date:

Question: me eighteen saal ki hun n jb me ap k question parhti hun na jis me sex ka zkr ya phr suckin waghera ka zikr ata he tu mra aik liquid ata he kia wo najis he n kia uska ghusl he

Answer: wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13494
Mujtahid:
Brailvi Date:

Question: ager janabat mai mard ny condom use kia ho or aurat k ander sy b kch na nikly to kya aurat wazo kr k namaz parh skti hai ya nhe?

Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Agar koe shakhs aurat se jima karay aur uzo e tanasul(penis) supari( point of circumcision) ki miqdaar tak ya is se ziyada dakhil ho jay, chahay ye dkhool farj me ho ya pichlay maqam me aur chahay wo baligh ho ya na-balig aur chahay mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein,aur ghusul e janabat wajib ho jata he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13577
Mujtahid:
aka sestani Date:

Question: minni ks color ki hoti hai?kia safed pani k anay say gusal wajib hota hai?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)

Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13617
Mujtahid:
nahana Date:

Question: Nahana kb faraz hota hy jb mnie kharaj ho

Answer: Do cheezo say insan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13735
Mujtahid:
Immam abu hanifa Date:

Question: Sir salam: mara question ye hai k mard ki mani say paly jo liquid type pani nikalta hai kia us m pregrency sperum hoty hai our kia us k bad gusal farz ho jata hai our agar nahi hota to jab ham bivi say jimma karty hai our discharge nahi hoty to tab gusal keun farz ho jata hai islam ki rooh say is ki hikmat kia hai our jimma k bad gusal per bhe islam ki hikmat per rooshni dall dayThanks

Answer: 1)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)
2) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
3) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)

Print