Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl K Ahkam (725 Questions)


Showing 200- 250 questions from 725 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
50616
Mujtahid:
Date:

Question: salaam.. muja GHUsal ka sahi tareeqa pataee plz tafseel sa asaan alfaaz ma SHukriya

Answer: Ghusl ka tareqa ye hai k ehtiyat e lazim ki bina par niyat k sath pehle pura sir o garden aur baad mai badan dhona zarori hai.Is baat ka yaqeen hasil kernay k leye k donu hissay (sir o garde) aur (badan) ko mukammal tour par dho liya hai,jis hissay ko doein us k sath dusray hissay ki kuch miqdaar dhona zarori hai yani sir aur garden ko dhotay waqt kuch hissa ziada dhoya jaey baqi badan ko bhi shamil krtay hue ta k yaqeen ajaey k pura sir aur garden dhoya hai.is trha badn dhotay waqt thora upper garden ki janib sy shuru kia jae. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #360,362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50728
Mujtahid:
Ghusal janabat Date:

Question: Ager foot pay bangage ho to or wo na utari ja skay to ghusal kaysay ho ga

Answer: Ghusal miyat k ilawa tamaam kisam k ghusalo me jabira (wo chease jis se zakam ya toti hohi haddi bandi jati hai aur wo dawa jo zakam ya aise hi kise cheese per lagaai jati hai jabira khelati hai.) wazu ki tara hai laikin ehteyate lazim ki bina per zarori hai k ghusal ko tertibi tariqe se anjaam diya jaay (yani phele sar o qardan dhoi jaay per baqi jasam dhoya jaay) aur agar badan per zakam ya phora ho to insaan ko ghusal ya tayamum ka ikhteyaar hai . agar wo ghusal ko ikhteyaar karta hai aur zakham ya phore per jabira na ho to ehteyat mustahab ye hai k zakam ya phore per pak kapra rakhe aur is kapre k upper masa kare .agar badan ka koi hissa tota hua ho to zarori hai k ghusal kare or ehtiyatan jabira k uper bhi masa kare aur agar jabira per masa mumkin na ho ya jo jagha toti hoi ho wo khole ho to tayamum karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 338) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
50778
Mujtahid:
masla Date:

Question: agar ksi person ka roza hai,aur neendh me roze ke waqt uski mani nikal jaaye,to per gusal ka tareeqa kese hoga?

Answer: Ghusl krne ka ek hi tarika hai or wo ye h k ghusl ki niyat k sath pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behtar ye hai k badan ko pehle daaen taraf or bad men baen taraf se dhoye ab chahe ye ghusl jinabat ho(ehtalaam , istimna ya biwi k sath muqarbat krne ki wja se) ya koi or ghusl ho.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 360 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50789
Mujtahid:
sistani Date:

Question: agar ghusal e haiz sai se anjam na diya ho to namaz aur rozay k baray me kia hukam h?

Answer: Namaaz o Roze ke liye ghusl haiz karna wajib hai or is ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai, garche ke behtar hai ke gusal se pehle wazoo kare. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 456 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50916
Mujtahid:
Date:

Question: A-O-A , sir mai ye janna chahta hun ki bathroom ke andar bina kapde ka gusul kar sakte hain ki nahi ?

Answer: Gee han kar sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 360 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50938
Mujtahid:
namaz Date:

Question: mera sawal ye hai ke agr gusal keen bina namaz pad li to kya insan gunahgar hoga

Answer: Namaz bhi un kamon men se hai jin k liye ghusl e jinabat kerna wajib hai Q k ghusl k bagher namaz sahi hi nhi hai or parhna jaiz bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaj-ul-saliheen,maslah #bab-e-ghusl-e-jinabat). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50942
Mujtahid:
MUSLIM Date:

Question: KYA GUSAL KI NIYYAT KAR KE BADAN PE PAANI DAAL DIYA HO AUR PURA BADAN DO LIYA AUR GALE ME PAANI NAHI UTAARA KULLI NAHI KI KYA GUSAL HOJAYEGA RAMZAAN ME GUSAL KESE UTAARE BATAAO PLEASSSS........

Answer: Agar koi shakhs badan ko sar or garden se pehle dhole to uska ghusl ko dubara kerna zaruri nahi hai balkeh agr badan ko dubara dhole to uska ghusl hojayega. Lekin kulli nah kerne men koi harj nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #361). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50953
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM O ALAIKUM mera sawal ye hai k ghusal kartay waqt kan main pani dalna chahiye ya nahi

Answer: Ghusl men baal baraber badan bhi ager nah dhulne paay to ghusl batil hojata hai , lekin kaan or naak k andori hisson ka or her us cheez ka dhona jo batin(androoni) shumar hoti ho wajib nahi hia. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #373). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51119
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: kaisay pta chalay g k ehtilam hua ya nai agr kpron pr dagh na laga ho ? ya phr kpron ka material esa ho js pr mani k nishanat na lga hon ? agr ek ya do qtrey b kpron ko lg jaen tb bhe ghusl or kpray paak krna zaruri ha?

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.mani chahay neend ki halat mai niklay chahy jagtay hue,chahay kam ho ya ziada ho,wo najis bhi hai aur gusal bhi wajib hoga. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: Ehtilaam k honay ka yaqeen ho tu ghusl wajib hay.

Print

Id:
51591
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera sawal hai ki, jab gasool karte hai kya badan par kapada(cloths) hone ki jaroori hai?

Answer: Ghusal karte waqt badan per kapre hona zarori nahe hai.balke agar kapare pani k pouchne me rukawat ho to us ko door karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #379, 376 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51707
Mujtahid:
Date:

Question: AOA Mera sawal yeh hai k agar 1 aurat menses se free hoti hai aur use hair remove b karne hain to kya 1 he ghusal mein pak ho jaye gi ya hair remove k lye alehda ghusal karna ho ga aur kya hair removal k lye ghusal zaroori hai?

Answer: Hair remove ka koi ghusl nahi hota faqat ghusl e haiz kerna hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #after 343,Pg#62).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
51852
Mujtahid:
Date:

Question: Sir sawal ya ha k.. Sakht sard aor dhund ma(Pani thanda) agr ahtalaam ho jaye.. Aor sbho namaz b parhni ho to gussal kis trhan kia jaye...plzz ans

Answer: Agar pani ko garam ker k ghusl kerna mumkin ho tu pani garam ker k ghusl karay. Laikin agar ye mumkin nah ho or pani istemaal karna aisay harj-o-mushakkat ka baa`is ho jisay aam tor par bardasht nahi kiya jata to wo tayammum kar sakta hay laikin agar wo mushaqqat bardasht kertay hoay ghusl karlay to is ka ghusl sahi ho ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #+659+663). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51984
Mujtahid:
seestani Date:

Question: janab e wala likha he mani nikalne ke bad peeshab mustahib he na karo aur ghusal karlo to uske bad jo ratubat shak men mubtila kare kw mani he ke nahin woh mani ka hukum rakhti he sawal yeh he ke kya is men mani nikalne ke bad foran peeshab ka hukkum he ya kabhi bhi ghusal se pehle peeshab karlo to yeh hukum khatam hojayega shukriyah

Answer: Ye hukum ghusl say pehle k leye hai,mani nikalnay k foran bad peshab zarori nahi blkay jab bhi ghusl e janabat kerna chahay pehle peshab kerna musthab hai takeh pashab ki nail main agar mani k qatre maujood hoon tu nilkal jain. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#79). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52057
Mujtahid:
Lahore Date:

Question: AOA Sir meira sawal ye hai ke agr ihtalam ho jaye aor nahae na to is sy kya koi aor tareeqa hai jis sy pak huwa ja sake

Answer: Jima(mubasharat) karnay k baad ya mani nikalne k baad mard aur aurat donoo par namaz aur is jaisi doosri ibadat k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqon sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phelay pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoae aur baad mai left side ko dhoya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52288
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal ye a k janabath k gushl kese karte .please anwser me

Answer: Tarteebi ghusl men ehtiyate lazim ki bina pr ghusl ki niyat k sath pehla pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hia, or behtar ye hai k badan ko pehle daaen (right-side) taraf se or bad baaen (left-side) tarf se dhoye.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah # 360)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52539
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum Sir mjhy ghusal karny ka sahi or asan tarika btadn or sath ye bhi k agr ghusal k bad bhi hairs rah jae choty choty to ghusal nhi hota?

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.
1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 )
2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.
1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.
2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho.
Note gusal main un chote chote baaloo ka dhona wajib hai jo badan ka juz shumaar hote hain, lekin lambe baaloo ka dhona wajib nahi hai, ager badan ko is terhan dhoya jaae ke jild tak pani poch jaae or baal tar na ho to gusal sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-378 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52700
Mujtahid:
Date:

Question: ahtalam agar her roaz ho to rozana ghusal karna phary ga ya nahi

Answer: Ge haan. Ehtilaam k baad ghusl e janabat kerna wajib hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 344 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52746
Mujtahid:
mazee Date:

Question: Janab mujhe mazee Ki bahot zyada shikayat hai jab bhi apni ke pass hota Hu mujhe kaafi zyada mazee aati, aapne aksar farmaya hai ke mazee pak hai lakin Mai ye janna chahta Hu k pajame par Jo mazee lag jaati hai kya use dhona zaruri hai aur agar mazee ka katra biwi ke kapdo ya for uske jism par lag jata hai to use bhi dhona hoga aur agar rat main shohar aur biwi sohbat na kare balki ghanto tak lipte rahe aur kboob pyar kare aur baar baar mazee nikalti rahe aur mard ke kapdo ke sath sath aurat ke kapdo aur badan par bhi lag Jae to kya kiya jae

Answer: Mazi paak hay or agar jism dhona zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53430
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alaikum main chahti hun k aik wazoo main 2 nmaz ada kr lon laikin peeshab ki jga say pani ata hai peeshab ki jga geeli mhsos hoti hai shaid lekoria ki wja say kia is wja say wazoo toot jata hai

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53508
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A SIR MJY LIKORIA KA BHT MSLA HAI KOI QURANI HALL BTA DEN BHT TENS HU SAFAID PANI BHTATA HAI.

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain.
Jo kohe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajar pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53596
Mujtahid:
Date:

Question: Kya insan apny bibi ke sath sex krne se napak ho jata h

Answer: Do cheezo say insaan (napak) junub hojata hay. i) jima (intercourse) or ii) mani(semen) k nikalnay se,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he.Lakin namaz e miyat, sijda e sahv, sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k liye ghusl e janabat zurari nahi he.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: assalam u alaikum,mene aj ap se chand bohat hi zaruri or aham sawalat karne hai hai umeed hai ap muje is ka jawab jald de ge,1 bat ye ke jab bhi me kabhi rat ko sota hun to fajar ki namaz se thori der pehle mani ka ikhraj ho jata hai musht zani nai krta me or ap muje ye btaye ke is surat me agr mani kharij hojaye to kya mani pak hoti hai na nai or kya gusl farz hota hai agr hota hai farz to agr us waqt bnda ghusl kisi bhi halat me kr hi na sake to kya kiya jaye.2 bat ye ke ap muje ye btaye ke muje ye problem hai ke meri 24 ghantey ke doran mani ke 3 ya 4 qatre bila nagha nikal hi ate hai halan ke me kuch ganda sochta bhi nai or na hi dekhta hun to us halat me kya ghusl farz hai?3 bat ye ke agr mani ka ikhraj kisi gandi cheez ko dekhne ke bad ho jaye ya phr dimagh me koi ganda khyal a jaye ya phr koi or tarah ki lazzat a jaye to kya us mani ke nikalne se ghusl farz hota hai ya nai. mere bas ye 3 questions hi hai umeed hai ap jald jawab dege or mayoos nai kre ge,thanks.

Answer: 10 chizen najis hen jin men se ek mani bhio hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 80)
7 Ghusal wajib hen un men se ek Gusl_e_jinabat hai
(or ye mani k kharij hone ki waja se hota hai)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 344&Heading of Ghusl Pg#62)
7 suraton men wazu or ghusl k badle Tayamum krna zaruri hojata hai,
1. Pani na hona(Matlb pani ko ziyada se 480 ziraa (220 Meters) tk k elaqe tak talash krne k bad agr na mile to Tayamum wajib hota hai)
2. Pani tak rasai na hona.
3. Pani k istamal men khoaf ho.
4. Harj or mushakat ho.
5. Pani piyas bhujane k liye zaruri ho
6. Wazu ya ghusl ka takro aysi sharaee takleef se horaha ho jo in se ziyada aham ho ya in k brabr ho
7. Waqt tang ho(nmaz k liye sirf itna wqt bacha ho k agr wazu ya ghusl krega to namaz qaza hojayegi)
Agr ye suraten insan ko pesh agai hon to phir ghusl or wazu k bajaye tayamum krke namaz parhna wajib hai, or jab pani mahiya ojaye to ghusl krle.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 638& Headings of Tayamum, Pg#111-to-115)
Ans#2&3)- Wo Ratoobat(liquid qatre) jo kabhi shehwat ubharne pr Mard ak Aal_e_Tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hen, or wo pak hai, is k elawa wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai jise wazi kaha jata hai ya wo ratoobat joa baz oqat peshab k bad nikalti hai jise wadi kaha jata hai agr in dono k sath peshab in k sath mila hua na ho to pak hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 70)
Do chizon se insan mujnib hita hai ek jima se duse mani kharij hone se , chahe wo neend ki halat men niklae ya jagte men, kam ho ya ziyada , shehwat k sath nikle ya ya bagher shehwat k us ka nikalna ikhtiyar men ho ya na ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 344)
Agr kis Shakhs k badan se koi ratoobat kharij ho or wo ye na janta ho k mani hai ya peshab ya koi or chiz , to agr wo ratoobat shehwat k sath or uchhal kr nikli ho or usk nikalne k bad badan sust hogaya ho to wo ratoobat mani ka hukm ra khti hai lekin agr in 3 nishaniyon men se sari ki sari ya kuch mojud na hon to wo ratoobat mani ka hukm nahi rakhti. Isi tarh wo ratoobat jo orat k sath mula`abat ya shehwat angez tasuwrat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos krta hai wo pak hai us se ghusl waib nahi hota or na hi ye wazu ko batil krti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I am totally confused about ghusal e janabat.As I read on ur website that it can be delayed and necessary for prayers but my sister in law is stressing that it Is compulsion to take bath exact after jimaa an even nothing can be eaten without taking bath and but it is not possible for me to take bath at nite as I live in joint family and we have only one bath room in our home.Please help me by clarifying the view.Jazak LLL|AH

Answer: After jimaa the ghusl e janabaat is wajib for those works in which the wuzo is provision and condition, and it is not wajib that you have to ghusl e janabat after jima immediately, but it can be delayed, but the wajib is you must do it before those works, suppose the person had jima in night so he can delayed ghusl e janabat till the time in which he can performe namaaz e fajar after the ghusl.
And to talk about eating and drinking so after jima and before ghusl e janabat it is makroh not haraam, and also if you wash your face and hands and rinsing the mouth so it is not makroh. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356 , 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54207
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-0-alikum mara masla ye hai ke jab bhi ma bath room jata hun to peshaab karney ke baad mujhe aisa lagta hai ke mara thora sa qatra nikal gia hai jabke mujha al hamdullilah qatron ki bimari bhi nahi hai. shaid ye waham hota hai magar aik do dafa manay khud dekha bhi hai.aur is waja sai ma tissue use karta hun.ap marae iss barey ma madad karey ka iss ka kia ilaag hai aur tissue use karna sahe hai ya nahi jabke.plz marey madad kia ma bohat pareshaan hun

Answer: Wssalam o alykum, ye ratobat mani nahi hai, or paak hai, or is se ghusl wajib nahi hota, or is ko wadi kehte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54258
Mujtahid:
Date:

Question: Agr bina sex kia aurat ki sharm gah se pani nikal aye to b kia wo gusalnk bina namaz nae parh skti kindly aurst par gusal wajib hny ki suratn bta dain shukriya

Answer: Orat per sirf 8 soortoon main ghusl wajib hota hai, 1

Print

Id:
54490
Mujtahid:
Date:

Question: Sir assalam.o allaikum sir meri friend ko likoria ki problem hai us ney homeopatic ka elaj karwaya us ka elaj jari hai per koi faraq nhi para din ba din problem bat ti ja rahi hai r wo kamzoor hoti ja rahi hai us key parents usey kisi doctor key pas nhi lekey jatey wo kehtey hain medicane key bht side effect hotey hain sir plz ap meri help karein r is ka elaj ya wazifa batayein sir is bemari ki waja sey wo namaz bhi nhi par pati hai

Answer: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain. Aur namaz aur doosri ibadaat is ki waja se saqit nahi hoti.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54671
Mujtahid:
Date:

Question: Salam. Myra sawal yeh hai k inter course k bad jab hum nay gosal lyna ho tu baaloo ko geela karna zarori hai. Ya baloo ko geela kye bagair Naha lay or allha pak ka koi kalam pheray tu yeh sahi hoga..

Answer: Ghusl k waqt un chote chote baaloo ko jo badan ka juz(hissa) shumaar hote hai in ko dhona zarori hai, or lambe baaloo ka dhona wajib nahi hai, balke ager pani ko jild tak is terhan pohchaen k lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai, laikin ager inhain dhooe bagheer pani jild tak pohchana mumkin na ho to inhain bhi dhoona zarori hai take pani pore badan tak pochn jaae.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 378 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
55876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam o alaikum.. Mein Subha Apni Girlfriend Se Bat Kar Raha Eid Ke Bare Mein But Achanak Thodi Der Bad Meine Apne Pant Par Pani Ka Drop Dekha Jo Kapdo Par Lagawa tha Isse Kia Mera Roza Tot Gia

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
Jis se ghuna hoya ho wo Suche dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba)
Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56235
Mujtahid:
Date:

Question: Salam..plz mjy ye bata day husband se hum bistari k foran bat mensis ajay tu hum ghusal jinabat kar sakty hai?or mensis k Dino main agar mensis and hojay or us waqt hum bistari karay tu ghusal harz or ghusal jinabat sat ho sakta hai ..thanks

Answer: Wssalam o alykum, G HAN 1 gusal main dono ki niyat kar sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 387 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
56289
Mujtahid:
Date:

Question: Ek aur sawal hai woh yeh k koi cheez padhne ya sunne se agar white liquid release ho jaaye aur kabhi bhi Asia hota rahe to jitni bhi baar hoga utni baar ham napak honge.? Aur baar baar nahana Hoga..???

Answer: Ager wo mani nahi hai (jesa ke ap ke sawaal – white liquid – se zahir hai yani jese mani nikalti hai us se mukhtalif alamaat ke sath nikal raha hai ) to wo paak hai or na hi gusal wajib hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part #1st , Maslah # 169 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56290
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar mubashirat kar k ghusal k baad b koi paani ayay to kia wo paak hoga ya mani tasawur kia jaega??

Answer: Ager gusal se pehle pishaab kiya hai or peshaab ke baad istabra bhi kiya hai to wo paak hai or na hi gusal wajib hua or nahi wazo tota hai. or ager gusal se pehle peshaab nahi kiya to wo mani hai or gusal wajib hai sewaae is sorat main ke yaqeen ho ke nikalne wali ratobat mani nahi hai. or ager gusal ke baad pishaab kiya hia lekin istabra nahi kiya to wo pishaab hai or wazo ko baati kar de gi, siwaae is sorat main ke yaqeen ho ke wo pishaab nahi hai to wo paak hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3 , 1 , Maslah # 198 , before 65 , eidition # 4th , 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ager shoher or bv Masthi k Dawran Shoher se Mony khraj ho jay Or mony se bv ka badn harb ho jay kia bv per b Gosal wajab hy.

Answer: Biwi par ghusl e janabat wajib nahi hai. Faqat badan per jis jagah mani lagi hay os ko paak kerna lazim hay. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
57260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam..mera question ya hai..k jab main apnay shohar say rat ko fone pay baat karti ho tou apnay sharmgaah main pani mehsos karti ho hamasha..kiya wo pani hai yak mani or ghusal janabt wajib ho jati hai ya nahi?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hogaNote: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57275
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jab phone pay kuch aesi bqtai ho jis say kuch nikal jaye aurat ka to kia gusul wajib hai???

Answer: 1)Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair laszat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66)
2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hogaNote: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57877
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualaikum, Kya Chhipkali ko haath se marne par napak ho jaate hain aur gusl karna hoga ya fir sirf haath ka dho lena kaafi hai. ?

Answer: Wssalam o alykum, G nahi Gusal karna o haath ko paak karna wajib nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # Een e Nijasaat ki 3rd, 4th, or 5th shart , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57954
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamoalaikum, me ye poochna chahti hoon k agar koi bura khayal zahin me aaye aur 2 second me Wo khayal chala jaye aur itna current b nhi jaaga aur libaas b aallooda nhi Hua aur 10,15 min baad bathroom Gaee to peshab Kr k khatam kiya phr kuch thick sa nikla to kiya ghusul wajib hogya? Jab k bina kisee khyal k bina kisee lazat k b mujhe aksar aisa hota hai.. Kia ye koi beemari hai? Plzz jald jawab deejiye ga.

Answer: Wssalam o alykum, gusal wajib nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # before 169 , eidition # 1st).
Note Nekalne wali ratobat ko maloom karne ke liye doctor se maloom karain ke ho sakta hai ke wo likoriya ki ratobat ho, jo ke paak hai lekin ye bemari hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57961
Mujtahid:
Date:

Question: kya khare hokar gusal krna jaiz hai?

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 379 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
58897
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal h. Ke jab hum monthly periouds hote h. To pak kaise hote h. Oska tariq aap mujhe. Bataye with detail gusul ka tariqa

Answer: Tertibi ghusl me ehtiyat e lazim ki bhi per ghusl ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me pora badan dhona zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59861
Mujtahid:
Date:

Question: AOA, agr koi namehram larke larki ek dosry ko husbnd wife smajh k mobile py sirf baton sy kissing wagaera kryn k jis sy ejaculation ho jaey, to kia is sorat mey ye zina ho ga????? or kia ghusl wajib ho ga is sorat mey??????????? plz reply

Answer: Wssalam o alykum, sirf samajhne se nikah nahi hojata,or is terhan ki dosti o guftago o muhabbat haraam hai, or ager mani nikli hai to gusal e janabat Namaaz or is jesi ibdaat ke liye wajib hai k jin k taharat shart hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 356 , 2335) , (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60139
Mujtahid:
Date:

Question: kia penis ko vagina say sirf touch krny say ghusal wajib ho jata hay..?? bech mai koi kapra hail ho ya ni...

Answer: Nahi sifr touch krne se ghusl wajib nahi hota,Albatta ager mani nikal jaae ya shohar ki sharam-gaa bivi ki sharam-gaah main dakil ho jaae to gusal e janabat wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60574
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal hai k ladki kisi ladka ka barey m socha aur woh subha ko uth k nanaz parh sakti hai ya paak ho k?aur ladki ne ladka se sex keya hai tou us ke maafi maaghne ka tarika kya hai?

Answer: Ager mani (ager orat ki sharam-gaah se nikalne wali ratobat – pani jesi cheez – main 4 kososiyat mojood hon to wo mani hoti hai, 1 – is se nikalne se pehle orat lazzat o shewat ke urooj o bulandi main ho, 2 – ratobat lazzat ke saath nikle, 3 – inzaal kaha ja sake – yani nikalne ke baad lazzat o shehwat katam ya kam ho jaae –4 – shalwaar ko gila kar de) nikli hai to namaaz se pehle gusal wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345). Muafi ke liye zarori hai ke dobara sex na kare or Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Gafoor o Raheem ki Baargaah e Muqaddasa main sache dil se toba o istigfaar karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60693
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum, Agar koi ghusal k 2 faraiz ada kr le yani kulli kr le or naak mein paani daal le or poray jism pe pani bahanay se pehle uski gas nikal jaye ya wo poray jism pe pani baha raha ho ya baha chuka ho or phr gas nikal jaye to kya dobara ghusl start krna pary ga

Answer: Wssalam o alykum,G nahi ghusl to kisi surat men b dubarah krne k zaurt nahi hai, or khlli krna or naak men pani dalna ghusl k faraiz men se nahi hai hai, balkr sar or garden or pura jism dhona farz hai, or agr is k darmiyan men reeh (gas) kharij hohjaye to phir ehtiyaat e lazim ki bina per namaz ke liye wazoo karna hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 384 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60714
Mujtahid:
Date:

Question: salam alaikum. mera sawal ye hai ki kya chipkali body par girne se gushal jaroori hai ya bed par gir gayi to bed sheets wash karna jaroori hai or agar kapda wash kar ke sukhne ke liye wall par rakha hai or wash kiye huye kapde pa chal jaye ya touch kar de to usko fir se wash karna padega kya ya pahna hua kapda tanga hua hai uspar gir jaye ya uske pichhe ya upar chal de to usko wash karna padega kya namaz padhne ke liye plz answer me or is question ka answer mujhe mere id par send kar sakte hai plz

Answer: chipkali paak hai . Chipkali k body per girne se ghusl wajib nahi hota hai . Aur body ko dhona ya ghusl karna zarori nahi hai aur baghair ghusl k namaaz perh sakte hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #80,before 344 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Likoria jab ho Tu without ghusal nmaz jaiz ha ya Ni.. Lakoria Ki halat MN insan nijas ho jata ha??????

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), email rcvd) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60784
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera sawal ye hai ke agr koi shaks ghusal nai karta matlab 3 ya 4 din ke baad karta hai tou uska kitna ghuna hai? aur namaz duran agr peshaab ke qatry aa jaein tou namaz shor ke phr se wazu karna chaiye?

Answer: Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota(ghusal k baighair srif wazu kar k namaz nahe perh sakte he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)
Pheshab najis hai aur agar aam insaan ( jise musalsal pheshaab aane ki beemari na ho) se namaz k doran pheshaab k qatre kharij ho jaay to us ki namaz batil ho jate hai aur libas tabdeel kar k ya use libaas ko pak kar k dobara se wazu kar namaz perhna zarori hai laikin ghusal karna wajib nahe hai,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #81,1113 ,322)
1) agar koe shakhs ayse maraz me mubtala ho k ise pheshaab k qatre girte rehte ho to Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2) Agar apko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3) jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
60868
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Haiz ka padh ke ghusl karne ki duwaa details me bataye

Answer: Haiz k ghusl kerne k liay koe dua wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), urwatul wusqa, part#1, pg#228, 229) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60880
Mujtahid:
Date:

Question: Sir assalam waliekum. Sir jab mein pisahaab karta ho . pishaab kein saath dhaat (protine) safaid sa jaata hai . kya mein napaak ho. Ya mujein gusul karna padega. Ya bina gusul kare mein namaaz pad sakta ho..........

Answer: Wssalam o alykum, ager ye on sifaat ke saath (shehwat, uchal ke nikalna, nikalne ke baad badan ka sust ho jana) nikal raha ho jin ke sath mani ehtilaam ki halat main nikalti hai to ye mani hai, or ager in sifaat ke sath nahi nikal raha to mani nahi hain or gusal wajib nahi hai or na hi wazo batil pas namaaz phar sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61023
Mujtahid:
Date:

Question: 1 aur hy my ladki sey pyar karta hu o ladki sey bth karte k baad kuch kharij hojata hy usey ghusl toot jata hy lekin o mere pishab saath aata hy kabi peshab k baad aata hy plz batana shukrika

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)
Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Print

Id:
61234
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum Agha mujey Ghusl e Janat ki Niyat or information bata sakte hain ab ki merbani hogi

Answer: Tertibi ghusal me ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat( yaani ghusl janabat karta hoon qurbatan ilallaah ) k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,357)
Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Note: Niyat zaban se ya dil main kerna zarori nahi balkeh agar aik shaks tamaam afaal Allah taalah k hokum per amal kerne k liay baja lay tu kafi hay.

Print

Id:
61266
Mujtahid:
Date:

Question: If a man reproduced 3 times with history wife in a night how many time he will do gusul in morning

Answer: A person who has more than one Ghusl to do can do one Ghusl with the niyyat of the rest. In fact, one Ghusl with its niyyat is enough to represent all others.. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 387). (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print