Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (584 Questions)


Showing 500- 550 questions from 584 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
114665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-02

Question: Assalam o Alaikum mra sawal yeah tah kia na paki ki halat me sehri kr ke roza rkh skte hen

Answer:
Urdu: roze se pehle sehri karna wajib nahi he. laikin agar ramzaan ki raat me gusal janabat wajib ho tu namaz fajar time se phele ghusal karna wajib hai take fajar se paaki halat me roza shuru kia jaseke.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531,1591).
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114672
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-02

Question: Ji mera sawal ye hai ke Ghusul e wajib ho or culli or nak me pani dal na bhol jae or wasu kar ke namaz padle to kya namaz ho jae ge

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. tartibi ghusal ka tareqa ye hai : Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai.( ghusal me kulli karna or naak ke andar pani daalna zarori nahe hai ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rdEdition,maslah # 360)
[Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
114678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-30

Question: Salam.. Agha jaan.. Sex ke bad agar femail apni sharam gha ko kapre se na saaf kare balke pani se dho kar ajaye.. Ye sahi hy ?? Iska Kia hukm hy?

Answer: Jee han, ye sahi hai. Q najis jagh ko pani se hi pak kiya jaye ga, agar kapre se use saaf kiya jaye to wo pak nahin hogi.
Aur us maqam ko pak karne ke bad namaz aur is jesi ibadton ke liye ghusl karna zaroori hai. Q ke Jima(intercourse) karne ke baad namaaz aur is jesi ibadton ke liye ghusl e janabat wajib ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,344,356).
[Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114734
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: اگر روزہ کی حالت میں احتلام ہو جائے سوتے ہوئے دن کے وقت تو کیا غسل جنابت واجب ہو گا اسی وقت یا افطار کے بعد کرنا ہوگا اور اگر واجب ہے اسی وقت تو روزہ کے حالت میں غسل کا طریقہ کیا ہے

Answer: 1: Agar rozedaar roza rakh kar so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahin hota. lekin is par gusl e janabat (namaz aur is jesi ibadaton ke liye) wajib ho jata hai albatta is per fouran ghusal karna wajib nahin. (yani din me kisi bhi waqt kar sakta hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571,1605).
2: Ghusl e Janabat ka tariqa:- Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hoti ho wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360,373).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-09

Question: Haiz ki halat me Agar koi aurat mushy zani Karle to uspe ghusal laazim hoga ya haiz or janabat ka ghusal sath hosakta hai

Answer: 1: Musht zani (Istimna) or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. or baaz riwayaat mai isay zina ki manzil par qaraar dia gaya hay. Istimnaa k baad insaan jub tak ghusl e janabat anjaam nahin daita paak nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296).
2: Halat e haiz main ghusl e janabat karna sahi hay, isi terah haiz k khatam hone k baad ghusl e haiz or janabat dono ki niyat ker k aik ghusl kia jasakta hay or isi tarah In dono ghusl main se kisi aik ki bhi niyat ki ja sakti hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Mafhoom e Maslah #233).
[Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115671
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Agr eik insan sperm mouth ma Daly r pee Jaye tu konsa ghusal karna chahye

Answer: Insan ki mani najis hay. aur is ko halaq say nigalna jaiz nahin. aur is se koi ghusl karne ki zaroorat nahin hai or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay. aur Do cheezon say insaan mujnib ho jata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai.
(Ref: Istiftaat I-2).+ Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), jaame, Edition #1435h, maslah #95,99,233).+ Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #344).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116326
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-16

Question: kya halate haiz me farshe aza pr baith sakte h taboot ki ziyart kr sakte h

Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna, 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta Aurat haiz ki halat Farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116393
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Janabat ke bad haiz aa jaye to bina gusal ke khana bna kar khila sakte hai ya nhi

Answer: Jee han, Ye Jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116449
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-07

Question: Aslam o Alaikum sir mujy jab bra pishab qawaz k Sath aata ha tu Sath white qatry aaty han kia es sorat me ghusal wajib hu jata ha nemaz nhi parh sakta please help Kar dain

Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaeye gi.
Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhi jayen geen. 1) Shewat k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin beemar honey ki sorat mein pehli aur dosri alaamat zaroori nahi hay.
(Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani, Maslah# 351 & 352).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-02

Question: Kya janabat ki halat me imambargah me jaa skte hai

Answer: janabat ki halat me imambargah me, Jaa sakte hain. laikin . Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, ya . Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna,. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona haraam hay or ehteyaate wajib ki bina per imaam masoom ke asal haram me dakhil na hoa jaaye.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116538
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-27

Question: subh Uthata he agr shak ho k Ikhtilam hua ha par na hua hoo to Kia krain? Gusal krain ya Nahi? Banda Pak ha Kiya ya Nahi? aor wahem ko kisa khtam krain?

Answer: 1: Agar insan ko shak ho k mani kharij hoei hay ya nahin to us par ghusl wajib nahin hai.
2: Jo shakhs buhat ziyada shak karta ho aur waswasay ki beemari main mubtala ho us ko chahiay keh wo apne shak aur waswase ki parwah nah kare aur apnay aamaal ko durust samjhay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #351. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/)
[Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120364
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-20

Question: During washroom i have to put in finger due to issue in my back is gusl is compulsory for me i am boy

Answer: Jo cheez ghusl le janabat ka sabab banti hai wo aik Jima (intercourse) karna hai or dorsri Mani(semen) ka nikalna hai ab chahay wo mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho, lekin jo condition aap ne bataei hai wo ghul ka sabab nahin banti. lihaaza is ke wajah se aap par ghusl wajib nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #344).
[Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120375
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-07

Question: Kya ek bar Jima krne ke baad kapre vagaira se saf karke bagair gusl aur vazu ke dobara Jima Kiya jasakta hai

Answer: Jee han, jaiz hai.
(Ref: Minhaj ul Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #5).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120388
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-07

Question: Asalam O Alaikum .. Sir Mera Sawal Ye Hai K Agr Mainy 4,5 Dafa Masturbation Ki Ho To Kiya Mery Uper 1 Dafa Ghusl e Janabat Krna Wajib Hoga Ya 4,5 Dafa Ghusl E Janabat Krna Hoga? Kindly Pls Ans My Question Jazak Allah

Answer: aise surat me Aik dafa gusal janabat karlena kar lena kafi hay . Aur aap ko aik, do or masle ki taraf mutawajjuh karate hain keh jis ki aap ko zaroorat hai. aur wo ye hain ke
1: Istimna or khud lazzati(hand practice/masturbation) haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho.
2: Jo koi bhi shadi na karne ki wajah sai haram fel e haram(masturbation) mai mubtila hota ho tu us par wajib hai k shaadi kar lay.
3: Is gunah ke liye tauba karna lazim hai. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaen. sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gi, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahi hain or Allah ki na-fermani ker rahi hain. Aap koshish karain ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker lain jaisay sport, parhai ghar ke kaam kaj waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar aap khud par qabo nah paa sakti hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon k muqabilay main dhaal ka kaam karta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296)+Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,2407)+(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120558
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-21

Question: Assalamualaikum I wanna ask please can you clarify with the authentic hadith that if a mother can give milk to her baby after having sex without bath or not and what is the impact on baby if mother give milk to her baby while having sex . فی امان اللہ

Answer: Jee haan, Halat e janabat men maan apne bache ko doodh pila sakhti hay Q keh Halat e janabat main mujnib par 5 cheezain haram or 9 cheezain makrooh hain. in main doodh pilana shamil nahin hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120786
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-05

Question: Qari sab mara seal ya ha Kay ma rat ko soya hwa tha or mujhay Ganda khawab aya lakin ahyilam honay hi wala tha Kay Mari ankh Khul gai ha or ma washroom gaya tha or nafs ko onglion sa dabaya nichay sa laikin khuch NAHI nikla 3 dafa dabaya khuch na nikla tuphir kia muj par ghusal wajib ha Kay NAHI or phir pishap kia osi time tu mujhay shak ha ka maray pishap ma sa kahin Mani na niklo ho ku Kay mainay pishap ko NAHI daikha that Qari sab tafseel sa batatya ga or jaldi

Answer: Agar mani apni jagah se harkat kare lekin kharij na ho ya Insan ko shak ho ke mani kharij hui hai ya nahin to us par wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #351).
[Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120828
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-09

Question: Can we perform ghusal e janbat agar nail paint lagi hui ho tw ? kia yeh gusal durust hoga ?

Answer: 1: Jee nahin, balke pehle use hatana hoga, Q ke jo cheez badan tak pani puhunchne me rokawat ho zaroori hai ke insan use hata day aur agar is ke hat janay ka yaqeen karnay sai pehlay ghusl karay to is ka ghusl batil hai.
2: Agar ghusl k waqt kisi shakhs ko aqlan ehtimal ghuzray k koi aisi cheez is k badan par hai ya nahi jo badan tak pani puhunchne mai rohuwat ho to zaroori hai k chhaan been karay yahan tak k itminan ho jaye k koi aisi rokuwat nahi hai.
3: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl batil (yani galat) hay. laikin agar ghusl ke baad shak kare ke ghusl sahi kiya hay ya nahi to dobara ghusal karna zarori nahi. or agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahi dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kafi hay is tarah ghusl sahi ho jaaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #376,377,364,356,373,383).
[Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120920
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Salam mera sawal yeh hy k jab me gusul e janabat karta hun to mujhy ghanto lag jaty hain please meri madad karen mujhy bataen k maximum ya minimum Kitna time lagta Hy Gusul e Janabat me, yeh kahty hain Gusul e Janabat se Pahly sary jism ko sabun se nijasat dor karen pak saf karen me wahim ka shikar ho gaya hn bht pareshan hn Gusul se Pahly 3 4 dafa sary jism ko sabun lagata hn us k bad Gusul e Janabat shoro karta hn frr jism pe pani dalta hn frr jahan pani dalta hn hath se mas karta hn har ek jism ka hisa kiya yeh zarori Hy? ta k pak ho jae mujhy bataeye ki Kitna sabun lagana chahiye or Kitna time lagta Hy mere or bhi sawal Hy me poshna Chahta hn please help me Allah salamat rakhy apko

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120921
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Salam mera sawal yeh hy k jab me gusul e janabat karta hun to mujhy ghanto lag jaty hain please meri madad karen mujhy bataen k maximum ya minimum Kitna time lagta Hy Gusul e Janabat me, yeh kahty hain Gusul e Janabat se Pahly sary jism ko sabun se nijasat dor karen pak saf karen me wahim ka shikar ho gaya hn bht pareshan hn Gusul se Pahly 3 4 dafa sary jism ko sabun lagata hn us k bad Gusul e Janabat shoro karta hn frr jism pe pani dalta hn frr jahan pani dalta hn hath se mas karta hn har ek jism ka hisa kiya yeh zarori Hy? ta k pak ho jae mujhy bataeye ki Kitna sabun lagana chahiye or Kitna time lagta Hy mere or bhi sawal Hy me poshna Chahta hn please help me Allah salamat rakhy apko

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120922
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-04

Question: Salam mera sawal yeh hy k jab me Gusul e Janabat karta hun to mujhy ghanto lag jaty hain please meri madad karen mujhy time ka andaza bataen k zyada se zyada kum se kum Kitna time lagta Hy sahih Gusul e Janabat karne me ? Kiya Gusul karne se pahle balti tub mug ko dhona zarori hy ? Gusul e Janabat karne se Pahly Hatho ko sabun se Kitni dafa dhoen? yeh kahty hain na k Gusul e Janabat se Pahly sary jism ko sabun se nijasat ko dor karen pak saf karen me wahim ka shikar ho gaya hn bht pareshan hn Gusul e Janabat se Pahly 3 4 dafa sary jism k hisay ko sabun lagata hn us k bad Gusul e Janabat shoro karta hn dar h k kahen sabun se skin na khrb ho jab Gusul e Janabat k niyat se jism pe pani dalta hn frr jahan pani dalta hn ragar k hath se mas karta hn ta k nijasat khatam ho or pakae ae kiya Gusul e Janabat k nyat se pani dalne k doran jism pe hath se mas karna zarori hy ? Gusul e Janabat k mustahbat kiya hen peshab karna hath dhona kuli nak me pani kab or Bismillah konsa kalma kab padhna zarori hota hy Gusul e Janabat karne se pahle doran ya bad me BHT confused hn, is lye BHT time lag jata Hy jism pe bina chiknahat k sahiiiii Gusul e Janabat karne k lye jism pe Kitni dafa sabun lagana zarori hy ? Kiya sabun use kye bagair sirif pani se Gusul e Janabat karna sahih jaiz hy ?? mujhy bataeye k Gusul e Janabat karne se Pahly Kitni dafa jism pe sabun lagana zarori ? Gusul e Janabat se pahly Peshab karna jo mustahb h to kiya an Gusul e Janabat Karte waqat peshab karna zarori Hy ya ager koi ek 2 ghanta pahle peshab kar ly or frr bad me kabhi bhi Gusul e Janabat kary ? Kiya jis sabun se Gusul e Janabat kiya jae wohi same sabun se kae dafa Gusul Janabat kar sakty hain ? Or Kya wohi sabun hath mo dhone k lye use kar sakty hain ? Ya wo Gusul Janabat karne k bad najis to nae ho ga ? Long Question k lye mazrat please help me Allah salamat rakhy apko

Answer: 1: Ghusl se pehlay Jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi hoi hai us jagh ko pak karen aur pak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai.
2: Aap buhat ziyada shak karne ka shikaar hain aap ko chahiye ke mamool se ziyada waqt sarf na karen, dosron ki tarah ghusl karen waqt ke lihaz se bhi aur paani kharch karne ke lihaz se bhi, q ke israaf karna haram hai, aur shaitan ke fareb se parhez karen.
3: Jo insaan buhat ziyada shak karta ho use ye naseehat hai ke khud ki islaah kare aur is beemari se nijaat pane ke do raste haim:
1. Is baat par tawajjuh kare ke ye halat islaam aur aqal ke nazdeek na-pasandeedah hai Q ke insaan miyana rawi ki halat se kharij ho jata hai aur bager kisi nateeje ke apni insaani salahiyaton ko zaaya karta hai, aur ye kaam hargiz parhezgari nahin hai, islaam me is ki sakht mazammat hai aur ye shaitaan ki pairawi hai, Pas Agar insaan is baat ko samajh raha ho to is beemari se nijaat paane ka dosra marhala ye hoga.
2. Apne nafs par qaboo paane ki poori koshish kare, is ke behkawe me na aaye aur us ko apne par musallat na hone day aur ye yaqeen rakhe ke khuda wand use shak par tawajjuh na karne ke liye sarzanish nahin kare ga, masalan agar shak kare ke badan ke kisi hisse par paani punhcha ya nahin aur apne shak ki parwah na kare aur ye soche ke taharat haasil ho gayei hai, aur jitna bhi shukook se be tawajjuhi kare, khayal aur waswasa kamzor hota jaye ga yahan tak ke shaitaan is se mayoos ho jaye ga, taharat aur nijaasat ke masale me aik miyana rawi is ke andar paida ho jaye gi, yaqeen rakhe ke agar is mukhalifat ke silsile ko jaari rakhe to yaqeenan shaitaan par kamiyabi haasil hogi aur Allah ki madad is ke shaamil e hal hogi, shaitaan ka fireb kamzor ho jaye ga, khuda wand quran me faramata hai: ke( beshak shaitaan ka makr o fireb kamzor hai ).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360. + https://www.sistani.org/urdu/qa/02843/ ).
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-04

Question: Salam mera sawal yeh hy k jab me Gusul e Janabat karta hun to mujhy ghanto lag jaty hain please meri madad karen mujhy time ka andaza bataen k zyada se zyada kum se kum sahih Gusul e Janabat karne me Kitna time lagta Hy ? Kiya Gusul e Janabat karne se pahle balti tub mug ko dhona zarori hy ? Gusul e Janabat karne se Pahly Hatho ko sabun se Kitni dafa dhona zarori hy ? yeh kahty hain na k Gusul e Janabat se Pahly sary jism ko sabun se nijasat ko dor karen pak saf karen me wahim ka shikar ho gaya hn bht pareshan hn Gusul e Janabat se Pahly 3 4 dafa sary jism ko sabun lagata hn us k bad Gusul e Janabat shoro karta hn dar h k kahen sabun se skin na khrb ho jab Gusul e Janabat k niyat se jism pe pani dalta hn to ragar k hath se mas karta hn ta k nijasat khatam ho or pakae ae kiya Gusul e Janabat k nyat se pani dalne k doran jism pe hath se mas karna zarori hy ? Gusul e Janabat k mustahbat kiya hen peshab karna hath dhona kuli nak me pani kab or Bismillah konsa kalma kab padhna zarori hota hy ?Gusul e Janabat karne se pahle doran ya bad me BHT confused hn, is lye BHT time lag jata Hy. jism pe bina chiknahat k sahiiiii Gusul e Janabat karne k lye jism pe Kitni dafa sabun lagana zarori hy ? Kiya sabun use kye bagair sirif pani se Gusul e Janabat karna sahih jaiz hy ?? mujhy bataeye k Gusul e Janabat karne se Pahly Kitni dafa jism pe sabun lagana zarori hy? Gusul e Janabat se pahly Peshab karna jo mustahb h to kiya an Gusul e Janabat Karte waqat peshab karna zarori Hy ya ager koi ek 2 ghanta pahle istbra se peshab kar ly or frr bad me kabhi bhi Gusul e Janabat kary to yeh bhi musthb me h gya? Kiya jis sabun se Gusul e Janabat kiya jae wohi same sabun se kae dafa Gusul Janabat kar sakty hain ? Or Kya wohi sabun hath mo dhone k lye use kar sakty hain ? Ya wo Gusul Janabat karne k bad najis to nae ho ga ? Long Questions k lye mazrat please help me Allah salamat rakhy apko

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: Agar ek bar humbistri kr len to dosri bar bina ghusal k aur bina istsnjs k Karen ye koi gunnha hai ya nahi

Answer: jima (intercourse/hambistri) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5)
[Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120945
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Agr koi bunday ka ahthilaam ho jayeah or ussay pata bhi nahi chala or wo namaz ba jamaa-ath paray or ossy 2 din baadh patha chalay (kapday k oper daagh ki waja say ) k onka ahthilaam howa tha ,tou kia usski namaz nahi hogi ? or agar nahi hogi tou jammath may namazio ka bhi namaz bathil hogi ?

Answer: Agar aap ko yaqeen hai keh wo rutubaat mani hai to ghusl e janabat karna wajib hoga or mani nikalne ke baad baghair ghusl e janabat ke bagair jitni namazain parhi hon un ko dobara gusal janabat karne ke baad parha jaey ga. lekin agar jamaat me dosere namaaze Jo is ke baare me nahe jaante the tu un namaziyon ki namaz sahi hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #353,1400).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120997
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: Agr aurat sir main pani dalna bool jaye to kiya nimaz ho gi

Answer: Agar aap ka sawal ghusl ke hawale se hai aur ghusl me aap ne sar ko nahin dhoya to ghusl sahi nahin hoga aur jab ghusl sahi na ho to namaz bhi sahi nahin hogi.
Ghusl ka tariqa: Ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar or garden dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad men baaen taraf se dhoya jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 , maslah #356,360).
[Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120998
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-05

Question: Agr aurat sir main pani dalna bool jaye to kiya nimaz ho gi

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121039
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-12

Question: A.O.A sex k baad pata chala k menses hoye hai to menses khtm hony k baad pehly haiz or pir janabat ka ghusal alag alag kr skty hai ya pir ik saath krna zaruri hai?

Answer: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai.
(Note: is fatwe se 2 baatain wazeh ho rahi hain:
1- Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz or ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai. Maslan kisi aurat par ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hai to agar aurat ghusl e janabat niyat se ghusl kar lay to phir us par wajib nahin ke ghusl e haiz bhi anjam day.
2- Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam de or phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day ).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #387).
[Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-13

Question: Kya halat e janabat Mai hambistari jaiz hai

Answer: Jee han, jaiz hai.aik dafa jima karne ke baad dobaara gusal janabat ke begaire jima karna jaiz hay or makroh bhi nahe hay laikin ahtelaam (mani nikalne ke baad ) gusal karne se phele jima karana makroh hay ,laikin jaiz hay .
(Ref: Minhaj us saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1439, jild #3, maslah #5).
[Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121284
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-24

Question: ky janabat ki halat mai majlis karsakte hai?

Answer: Janabat ki halat men 5 chizien haram hain:
1) Apne badan ka koi hissa Quran Majeed ke alfaz ya Allah taala ke naam se mas(touch) karna.
2) Masjid ul haram aur Mausjid-e-Nabawi mein jaana, khuwah aik darwaze se dakhil ho kar dosre darwaze se nikal aaye.
3) Masjid ul haram aur Mausjid-e-Nabawi ke alawa dosri masjidon mein theherna, aur ehtiyat-e-wajib ki bina par aimah(a.s) ke harm mein theherne ka bhi yehi hukum hai. Laikn agar in masjidon mein se kisi masjid ko ubour kare, maslan aik darwaze se dakhil ho kar dosre se bahir nikal jaye to koi harj nahin.
4) Kisi masjid mein koi cheez rakhne ke liye dakhil hona. Ahtiyat-e-wajib ki bina par yehi hukum masjid se koi cheez uthaane ke liye bhi hai chahay masjid mein dakhil nah bhi ho.
5) Un aayaat mein se kisi aik ka parhna jin ke parhne se sajdah wajib ho jaata hai. wo aayatien: (1) Surah-e-Mubaraka Sajdah aayat #15. (2) Surah-e-Mubaraka Haa-meem Sajdah aayat #37. (3) Surah-e-Mubaraka Wan Najam aayat #62 (4) Surah-e-Mubaraka Alaq aayat #19 mein hain.

Albatta agar Aurat mimbar par beth kar zakiri kar sakti hai, majlis ke farshe aza par ja sakti hai or majlis karsakte isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai. laikin agar ye cheezen kisi masjid me hon ya kisi Imam ke Harm me hon ya majlis, masjid ya kisi Imam ke Harm me ho rahi ho to Janabat ki halat me wahan nahin theher sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354).
[Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-04

Question: Agar shuhar sirf hip main sex kry to kya aurat par ghusal wajib hoga?

Answer: Agar koi shakhs aurat se jimma (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho dono junub ho jatay hien. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai)
lekin agar aisa nahin hua yani uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil nahin hua (na farj me aur nah hi dubur me) to aurat mujnib nahin hogi, aur mard ki bhi agar mani kharij huei hai to mard mujnib hoga lekin agar mani kharij nahin huei to mard bhi mujnib nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348).
[Updated on 05-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121311
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-12

Question: Salam,meri shadi ko 9 saal ho gay ha mere 3 bchy ha , mere husband mere paas b rahy ha or ab bahir ki country me hoty ha mera sawal ye ha ke mere husband mujhy se har rooz sex karna chahty ha or me sex ke doran thak jati hun means ke wo bht time lagaty ha , baki i am very happy but thak jati hun is ka koi hal btay? Or dusra sawal aik baby abhi mother feed le rha ha kea sex karne ke baad mera nahana zaroori ha ya me sbho tak wait karun or feed karwati rhun koi masla nahi.

Answer: 1: Halat e janabat main aurat ke liye apne bache ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahin hay ke ghusl e janabat karnay ke baad ya wuzu kar ke bachay ko doodh pilaye.
2: Sharaei maslah to ye hai ke Biwi ka apne shohar ko hambistri se rokna Haram hai. yani aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari se na rokay. Han! shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hai.

(Note: Aap apne shohar keh sakti hain ke jima (sex) ke waqt aisa tareeqa apnaye ke jis me aap ko kam se kam takleef ho is silsile me kuch na kuch thakawat aur mushkilaat bardaash karen or mazeed malomaat ke liye kisi lady docter se ruju karen).

3: (Advice:- Mustahabaat e jima main ye bhi milta hay ke koi bhi shakhs apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana, cheerh, chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima karne par merd ki mani jaldi se kharij ho jane ki soorat main mard ki khahish to poori ho jati hay laikin aurat ki khahish pori nahin ho paati jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay shayad isi liay deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas, bosah baazi(kissing), cherh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain karne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima ke liye poori tarah aamadah ho jaay or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sakay shayad isi liay Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad fermaya k jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh (cock) ki tarah os ke paas nah jaaye balkeh pehlay masaas, orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay (playing) tu kaisa hay aap (a.s) ne fermaya khuch muzaiqa nahin (no problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu (part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay.
4: Jima se pehlay masaas (orgasm) k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay merd se chumtay liptay apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaay tab merd bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah ho jaaye phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag ho jaaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,2376. + Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146,151).
[Updated on 13-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121330
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-09

Question: In our masjid, no time is give for 16 rakat asr nafila prayers. As soon as zuhr jamat prayer is done, asr is started right away. My question is: Should I skip Asr jamat so that I can read 16 rakat of Asr nafila or forgo nafila and offer Asr with Jamat?

Answer: 1: Namaz e asr ko jamaat ke sath parhen aur nafila ko baad me qaza kar ke parhen is liye ke jamaat ke sath namaz parhne ki buhut fazeelat warid hui hai.
2: Mustahab hai insaan yomiya namaz ko jamaat se parhay, muatbar riwayaaton mein manqool hai ke jamaat ke sath namaz parhna furada namaz se 25 guna afzal hai aur namaz subah, maghrib or isha khusoosan masjid ke parosi ke liye aur is shakhs ke liye jo azaan ki aawaz ko santa hai ziyada takeed ki gai hai aur isi tarah mustahib hai ke doosri wajib namazon ko jamaat ke sath parhay lekin ehthyat e wajib ki bana par namaz tawaf aur namaz ayaat, sooraj aur chaand girhan ke alawa jamaat se parhna saheeh nahi hai.
2: Mustahab hai insaan intzaar kare taake namaz, jamaat se parhay aur woh namaz e jamaat jo mukhtasir parhi jaye us furada namaz se jis me tool di jaye, behtar hai aur isi tarah namaz e jamaat, us namaz se jo awwal e waqt me furada parhi jaye, behtar hai.
3: Be ehtinahi barattey howe namaz jamaat main shareek nah hona jaiz nahin hai aur insaan ke liye yeh munasib nahin hai ke bagair uzr ke namaz jamaat ko tark kare.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1873,1874,1875).
[Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-09

Question: Asalamualaikum. Kya napaki halat main paaki ki niyat se wazu karke namaaz aada ki jasakhti hai ?.Aur agar karli ho to kya kare.2.Agar soba uthne ke baad mlm chale ke ehtelam hogaya hai aur namaaz ke liye kuch hi waqt baaqi hai jismain ghusl karne ka waqt nahi ho sirf wazu karsakhte ho ushalat main kya karna chahiye.mard jab napak hota hai aur agar farz namaaz ka time jaraha ho aur uska jism napak ho aur ghusl ka time na ho to kya kare ?

Answer:

1: Jab namaz ka waqt itna tang ho ke agar koi wuzu ya gusl kare to saari namaz ya namaz ka kuch hissa waqt ke baad parha jaa sake ga to zaroori hai ke wuzu ya gusl ke badle tayammum kare.
2:agar kise ki mani kharij hoghe hon or us per gusal Janabat wajib ho tu us wuzu karna us ke lie kafi nahe hogha balke use gusal janabat wajib hay,or ju namaze begaire gusal ,srif wuzu se perhe us ki qaza zarori hay.
3: Teen surton main agar namaz parhne wale ka badan ya libaas najis bhi ho to us ki namaz sahi hai is me se aik surat ye hai: ke wo shakhs, najis badan ya libaas ke sath namaz parhne par majboor ho. maslan namaz ka waqt itna tang ho ke agar koi badan ya libas ko paak kare ya libaas tabdeel kare to saari namaz ya namaz ka kuch hissa waqt ke baad parha jaa sake ga zaroori hai ke usi halat me namaz parhe.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #668,356,835).
[Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-09

Question: assalamoalaykum condom se humbistari kare our mani ka katra wife per na gire to kya us halat me wife per gusal wajib he

Answer: Aurat par ghusl phir bhe aaye ga Q ke agar koi shakhs, aurat se humbistari kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij (exit) ho ya na ho, chahe condom ya is tarah ka cover use kiya ho ya na kiya ho, dono junub ho jatay hien. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib ho hata hai).

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348).
[Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121397
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-18

Question: nend mai mani nikal jaye tho ghusal kar k namaz padna padega ya wahe jaga saf kar namaz aida kar sakte hai

Answer: Sotay (yani neend ki halat) men mani k kharij hone ko ehtilam kehtay hain.
Aur do cheezen ghusl e janabat ka sabab banti hai: aik Jima (intercourse) karna aur dorsri Mani(semen) ka nikalna, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. lihaaza sote me mani kharij ki wajah se aap par namaz aur is tarah ke ibadaton ke liye ghusl karna wajib hai.
Aur us jagah ko bhi paak karna zaroori hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,344,356)
[Updated on 19-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121440
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-28

Question: Husband wife close hone ke baad jaldi pani q nahna chahiye??

Answer: 1: Insaan do cheezon se mujnib ho jata hai. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani (semen) ke nikalne se, chahay mani neend ki halat main nikle ya jaagte main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikle ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin. aur namaz aur is jesi dosri ibadaat ke liye gusl karna wajib ho jata hai.

2: Agar koi kisi bhi tarh (Jima se ya Mani (semen) ke nikalne se) aur kisi bhi waqt mujnib ho jaye to usi waqt ghusl kar sakta hai. lekin is par fouran ghusl karna bhi wajib nahin hai balke namaaz se pehle ghusl kiya jaa sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #344,356,1605).
[Updated on 28-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121466
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-31

Question: Agr Mani nikly ehtlam ma pr kapro pe na lagy or fori Tor pe peshab kr k saaf kr li jaye agy se rok kr kia namaz parh skty wazo kr k

Answer: Jee nahin, agar ehtilaam hua hai to chahe mani kapron pe nahin na bhi lagi ho tab bhi namaz ke liye ghusl karna zaroori hoga. Q ke Insaan do cheezon se mujnib ho jata hai. 1. Jima(intercourse) se 2. Mani (semen) ke nikalne se, chahay mani neend ki halat main nikle ya jaagte main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikle ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin. aur namaz aur is jesi dosri ibadaat ke liye gusl karna wajib ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,356).
[Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121555
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-17

Question: Napaki ki halat me ksi ko sadqa dee saktey hain ?

Answer: Namaz, roza, ya is tarah ki ibadaten jin ke liye wuzu, ghusl ya tayammum ka hona zaroori hai un ke liye pak hona shart hai, lekin sadqa, khairaat ke liye pak hona shat nahin hai, lihaza napaki ki halat me bhi sadqa de sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,356).
[Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-18

Question: Maine mushtzani Kari jiska maani aur apni sharmgah ko dho lia haath ko bhi dho lia maani khi pe bhi nhi lga to kya uske baad Qur'an padh skte hai

Answer: 1: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. Aur istimna karne ki wajah se ghusl e janabat bhi karna parhta hai, ghusl e janabat kiye bager insaan hadas e akbar se pak nahin hota.
2: Quran ki wo ayaat jin ke parhne ki wajah se sajda wajib hota hai in ke alawa poora Quran parh sakte hain albatta is ke ba wujood bhi Quran ki 7 se ziyada aayaat ka parhna makrooh hai.
3: Janabat ki halat me insan ke liye apne badan ka koi hissa Quran majeed ke alfaaz ya Allah Talaa ke naam se chahe woh kisi bhi zabaan mein ho mass karna Haram hai aur behtar yeh hai keh Ambiya(a.s) aur Aimah(a.s) aur Hazrat Zahrah(s.a) ke naamon se bhi apnaa badan mass naa kare.
4: Is gunah ki wajah se Allah taala ki barghah me Sache dil se tauba karen, Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Surah e Tahreem (surah #66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main tauba kijiye.
5: Tauba ka sahi mafhoom ye hai ke sub se pehlay sharmindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain ke is gunah ko dobara anjaam nahin dain gi.
6: Taqwa e ilahi k zariye se is se nijaat hasil ki jaa sakti hai or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jaye. or Allah talaa ka kasrat se zikr kiya jaye or is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke aap apne ghar walon ko shadi ke liye kahen aur unhen manayen.
7: Isi tarah gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (jaise ke masturbation, mushtzani) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (yani wese to shadi karna aik mustahab amal hai lekin aap ke liye shadi karna wajib ho gaya hai Q ke agar shadi nahin karen ge to gunah me mubtela hon ge).
8: Ghunah ka jab khayal aaye to hameshah yeh yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na-farmani kar rahay hain. aur koshish karain ke khuch mufeed kaamon main khud ko masroof kar lain jaisay sports, parhayei waghaira, or har os cheez se bachain jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa sakte hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai.
9: Hazrat Imam Ali Riza (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq waqt e zawaal(e aaftab) 150 baar "yaa quddoos" ka wird karne se dil noorani ho jata hay or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hay. aur waswase ke liye "Laa haula walaa qoowwata illaa billaah" parhain.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + link: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 . + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #344,354,355,2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. Mafati jinah, pg #208).
[Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121673
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-16

Question: kia janabat ki halat mai face wash kr k towel use karay to kia bo towel nijs ho jae ga isi tarha janabat ki halaat mai kisi bhi fheez ko geelay hathon sai pakray to go mijs hy?

Answer: Janabat ki halat me insaan ka poora badan najis nahin hota, sirf wo maqaam najis hota hai jahan mani lagi hui hai lekin is ke alawa baaqi poora badan paak hota hai, Han agar wo mani badan ke kisi dosre hisse ko lag jaye to wo hissa bhi najis ho jaye ga lekin jahan mani nahin lagi wo hissa paak hai chahe gheela hi q na ho aur kisi doosri cheez (jese towel wageera) ko najis bhi nahin kare ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #115,119).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121691
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-24

Question: Biwi Sirf Apne Haath Se Shohar Ki Mani Kharij Kiya To Kis Par Gusl Farz Hota Hai. Kis Par Gusl Nahi.

Answer: Shohar par ghusl wajib hoga, Biwi par ghusl wajib nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344).
[Updated on 25-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-02

Question: Kiya jinabat k 3 bar gusul k badlay mai 1 bar gusul kr kay pak ho sakty haii Matalb k agar kesi pay jinaba wajib hogaya our gusul nahi kiya tha phir dosray den phir say jinabat wajib hogaya toh kiya in dono gusul k badlay mai 1 gusul karsakty ho plz mujy tafseel sy bata dejiye

Answer: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai.
Note:agar kise per janabat ka gusal wajib ho tu rozana ki wajib namazo ke lie gusal janabat karna wajib hay or gusal janabat se pehle wajib namaze nahe perh sakte or wajib namaazo ko ikhteyari halat me un ke waqt me na perhna. Jaiz nahe hay ,lehaza gusal janabat me janboge kar isqadar dair karna ke wajib namaz ka waqt Nikal jay jaiz nahe.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #387).
[Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-02

Question: Assalamualaikum.....Agr Ahtalam ho jai ksi mard ya aurat ko aur bimar ho lakin ghusal na karo sakta sakti ho tu shariyat ka kiya hukam ha.

Answer: Namaz aur is jaisi ibadaat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Han agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib(عیب) ya marz ke paida hone ya maujooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne ya kisi tareeqe se zarar ko door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ( khatam ) ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,659,709).
[Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121820
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-09

Question: Salam Kya masturbation k zarye insaan baligh hoskta he? Bulugat se pehle hi agr masturbation ki adat ho ye na jaante hoe k haram he,aur ghusl na kia ho to aya wo baaligh shumar hnge aur namzon ki qaza krna hogi? Phir kich time baad aetiyat masturbation k baad ghusl krliya krta ho namaz,roze k liye,to ye aetiyatan ghusl krna,aehtiyatan se murad ye pata chl jai k mani niklne k baad ghusl krna hota he,lekin ye na confirm ho k masturbation se jo liquid nikl rha he issi ki waja se ghusl wajib hota he, To aaya ye ghusl kaafi he namaz aur rozon k liye? Uss period men jb k ghusl na krta ho masturbation k baad ye comfirm na ho k aaya ramzaan k roze bhi us period men guzre hen bgair ghusl k ya nhi,to un rozon ka kia hukm he?

Answer: 1: Insaan do cheezon se mujnib hota hai (yani us ko ghusl karna parhta hai chahe wajib ki niyat se ho ya is ke alawa ki niyat se ho): 1. Jima (intercourse) karne se. 2. Mani (semen) ke nikalne se, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho.
Aur jab mani kharij ho jaye chahe masturbation ki wajah se hi ho to insaan baalig ho jata hai.
2: Baalig hone ke baad insaan par namaz, roza ya is tarah ki ibadaten wajib ho jati hain aur jo insaan baalig hone ke baad namaz, roza wagera anjaam na day chahe jaan boojh kar ya bhool pan aur gaflat ki wajah se, to zaroori hai ke in ki qaza baja laye.
3: Ghusl e janaabat har waqt wajib nahin hota balke sirf us waqt wajib hota hai jab namaz ya is tarah ki ibadaten anjaam deni hon ke jis ke liye taharat shart hoti hai. aur ghusl karte waqt ye bhi zaroori nahin ke ye niyyat kare ke waajib ghusl kar raha hon balkeh faqat Qurbatan ilallah yani barghaah e ilaahei me farotani-o-aajzi ke iraade se ghusl kare to kaafi hai. Isi tarah agar yaqeen ho ke namaz ka waqt ho gaya hai aur ghusl waajib kar lay lekin baad me pataa chale ke us ne waqt se pehle ghusl kar liya hai to us ka ghusl sahi hai. lihaza ye ghusl sahi hai.
4: Rozon ke liye bhi yahi hukum hai ke jitne roze nahin rakhe hon un ki qaza baja lani hai
5: Jis ne apne ramazan ke roze ko khaane, peene, Jimaa, istimna(masturbation) ya janabat pe baaqi rehne ki wajah se baatil kiya ho jabke jabr aur lachaari ki bina par nahin balkeh jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to us par qaza ke alawa kafffara bhi waajib hoga
6: Jin umoor ka zikr kiya gaya hai agar koi un me se kisi fail ko anjaam de jabke use pukhta yaqeen ho ke us amal se us ka roza baatil nahin hoga to us par kaffara waajib nahin hai. Yahi hukum us shakhs ka bhi hai jise maloom hi na ho ke us par roza waajib hai jaise woh bacha jo bulugh ke baad ke ibtedaayei dino me ho.
6: Ramazan ka roza torne ke kaffare ke taur par zaroori hai ke insaaan musalsal do maah roze rakhe ya 60 faqeeron ko pet bhar ke khaana khilaaye ya har faqeer ko aik mud yani 3/4 kilo taam yani gandum ya jau ya roti waghaira de aur agar yeh afaal anjaam dena us ke liye mumkin na ho to baqdr-e-imkaan sadqa dena zaroori hai aur agar yeh mumkin na ho to tauba aur istighfaar kare
aur ehtayaat-e-waajib yeh hai ke jis waqt (kaffara dena ke) qaabil ho jaaye kaffara de.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #344,356,1356,1630,1631,1632,2215).
[Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-10

Question: Humbistari ke baad aurto ka sar se nahana jaruri hai ya bas shoulder se naha ke namaz padh sakti hai jabki thand ka mausam hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Aurat ho ya mard sab ke liye ghusl ke tareeqa aik jaisa hi hai.
Tarteebi Ghusl ka tareeeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar or gardan dhona aur is ke bad me badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad me baaen taraf se dhoya jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360).
[Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121842
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-14

Question: salaam mera salam yeh hai kia aurat ki sharmgah main ungli dal ke hilane se kia gusal wajib ho jata hai aurat

Answer: Agar is ke nateeje me aurat ki sharmgah se mani kharij ho to ghusl wajib hoga warna nahin.
Wo rutoobat jo Khawateen mulaabeat ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamgah mein mehsos karti hain aur wo ratubat itni miqdar me nah ho ke dosri jaghon ko aaluda kare, pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko b batil nahin karti hai. Haan Agar rutoobat is qadr ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aalooda kar day, jabke sath sath aurat heejan shehwat ki inteha ko puhunch jaye aur mukammal raza mandi (Orgasm) ho to najis aur jinabat ka moujib hai. Balke agar heejan shehwat sath nah bhi ho to bhi Ehtiyat-e-lazim ki bina par najis aur janabat ka moujib hai aur un maqamat par jahan aurat shak kare ke ratubat is had se ziyada puhunchi hai ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone me shak kare to ghusl wajb nahin hai aur wuzu aur ghusl bhi batil nahin hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,345).
[Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-22

Question: AOA. mera ye sawal hai k agar mani bagair uchlay bahir nikl jae. Yani aik bnday ko shehwat ai aur usay laga k mani niklne lagi hai. Lekin usne hud pr qabu pa lia aur jb shehwat khatam hogai phir thori si mani nikli. To kya is surat mai ghusl krne ki zarurat hai ya nahi?

Answer: Agar mani apni jagah se harkat kare lekin kharij nah ho to us par ghusl wajib nahin hota. lekin agar bahir aa jaye to gusl wajib ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345,351).
[Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121991
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-16

Question: Aoa 1.Doran e Intercourse Kya full shehwat any se pehly and jatky se mani kharij hony se pehly jo ratobat and mani kam miqdar ma kharij hoti hai doran e intercourse wo pak ha? 2. Or jb full shehwat tak jism ponch jaye or mani jatky se jharij hona shru hojaye tab hi najis shumar hoga ? right ya wrong?

Answer: 1: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard ke aala e tanasul se kharij hoti hai use "mazi" kehte hain aur wo paak hai.
2: Wo rutoobat jo Khawateen mulaabeat (chair chaar ) ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamgah me mehsos karti hain aur wo ratubat itni miqdar me nah ho ke dosri jaghon ko aaluda kare, pak hai.
Albatta ye yad rahe ke faqat jima (Intercourse) ke zariye se hi mard or aurat dono junub ho jate hain yani ghusl ki zimmedari aayid ho jati hai is me mani ka kharij hona shart nahin hai.

3: Agar koi shakhs aurat se jima (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib ho hata hai).

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70,344,345,348).
[Updated on 17-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121992
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-16

Question: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. Mera sawal ye ki shehwat k saath to mazi b kharij hojati hai to kya mazi b najis hui? Lekn mazi to pak shunar kya jata hai na?

Answer: Mani ka mazi, wazi or wadi se farq
Insaan ke badan se nikalne wale deegar mayaat (liquids) aur mani ke darmiyan fuqha ne farq bayan kia hai aur mani ke alawa nikalne wale mayaat (liquids): mazi, wazi or wadi ka naam liya hai.

Mazi: aisa maaye (مایع liquid) hai jo kam shehwat ya mulabat (ملاعبت) {khaas taur jinsi mizah, chher chhaar waghera} ke mauqa par insaan ke uzoo makhsoos se nikalta hai. yeh maaye (مایع liquid) chiknahat par mushtamil hota hai lekin mani ki alamtain nahin payei jati hain. aur mardon ki nisbat aurton mein ziyada paayei jati hai.
Wazi: aisa maaye (مایع liquid) hai jo kabhi kabhar mani nikalne ke baad nikalta hai.
Wadi: aisa maaye (مایع liquid) hai jo kabhi kabhar peshaab ke baad kharij hota hai.
Shia fuqha ke mutabiq mazi, wazi or wadi najis nahin hain aur is se wudu, ghusl bhi baatil nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70, 344,345. + link: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D9%86%DB%8C#%D9%85%D9%86%DB%8C_%DA%A9%D8%A7_%D9%85%D8%B0%DB%8C%D8%8C_%D9%88%D8%B0%DB%8C_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D9%88%D8%AF%DB%8C_%D8%B3%DB%92_%D9%81%D8%B1%D9%82 ).
[Updated on 17-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122003
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-19

Question: Mera sawal ye ha k agr husband apni bv k hath se mushtzani krwata ha or husband ka discharge bv k hath pr lg jata ha to bv pr gushal wajab ho ga? Note bv disharge nhi hoi just husbnd ka discharge us k hath pr lga ha?

Answer: 1: Faqat shohar mani(semen) biwi ke hath par lagne se biwi par ghusl wajib nahin hota.

2: Albatta ye yad rahe ke agar dono ke darmiyani jima(intercourse) hua hai to faqat jima ke zariye se hi mard or aurat dono junub ho jate hain yani dono par ghusl wajib ho jata hai.

3: Agar koi shakhs aurat se jima (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib ho hata hai).

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,348).
[Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122055
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-01

Question: Assalam Alykum... Agr kissing ke duran mard auraat ko penis se onke vigina ko touching krke os se aurat discharg ho aur mard discharg na ho to kya ghussal wajib ho gya dono pr? Ya sirf auraat pr ghussal wajib ho gya?? Aur mrd pr nahi ?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jate hain. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib hoga).
Lekin agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar se kam dakhil ho ya sire se dakhil hi na ho balke sirf upar upar se touch ho to is surat me faqat aurat jo ke discharge ho chuki ho, junub hogi. (yani sirf aurat par ghusl e janabat wajib hoga).

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,348).
[Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print