Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (582 Questions)


Showing 550- 582 questions from 582 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122096
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-14

Question: Aoa Sawal ye ha k jesy k sab janty hain najis mani k nishani ye houaty hain ki uchal kr nikly ya mazay aa kr niklay ya jism sust par jaye.. and jo qatre thory nikalty hain wo to maazi kehlaty hain . Question: kya intercourse k doran jitny b qatre nikalty hain lekn mukammal farigh hony se pehly tk ka jo mani kharij hui hogi wo najis shumar houga ya paak?? Kya ye mazi nhi shumar hongy? Mukammal kharij houny k bad to sab ko maloom hai ki najis hogi but mukammal farigh houny se pehly doran e intercourse jo mada kharij hoti hai kya wo b najis shumar hoga ya paak?? Thank you ye bht important topic hai jo ki smjnay ki zrurtt hain bht hi technical question hai bara mehrbani jawab asap dydijiyega. Jazakallahh

Answer: Sab se pehle aap ke liye ye baat waazih ho ke jo cheez ghusl ka sabab banti wo alag hai aur un qatron ka najis aur pak hona alag hai.

Jahan tak un qatron ki baat hai to agar intercourse ke waqt agar insaan teenon (1. uchal kar nikalna, 2. shehwat ke sath nikalna, 3. badan ka sust hona) sharton ke sath mukammal faarigh hua ho to wo mani kehlaye gi aur najis bhi hogi lekin agar intercourse ke waqt agar insaan teenon sharton ke sath mukammal farigh nahin hua balkeh mukammal farigh hone se pehle koi rutoobat nikle to wo rutoobat mazi kehlaye gi, Ab agar wo peshaab aur mani ke sath mili huei na ho to paak hai, aur agar peshaab aur mani ke sath mili huei ho to najis hai.

Albatta ye baat bhi waazih rahe ke jo cheez ghusl ka sabab banti wo ye hai ke agar uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil ho jaye to chahe ye dukhool farj (agli sharamghah) me ho ya dubur (pichli sharamghah) me, aur chahe mani kharij ho ya na ho, dono junub ho jate hain. (yani intercourse hote hi mard or aurat dono par namaz wagera ke liye ghusl e janabat wajib ho jata hai).

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70,344,345,348).
[Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-16

Question: Assalam o alaikum. Agr intercourse k bad nahana mushkil ho pani ki wja sy 1 partner shower lai ly but dosra thandy pani ki wja sy na naha paye but nijasat saf kr ly to kya 1 sath so skty hn ?

Answer: Ghusl e janabat kiye bager sona jaiz hai, aur nah haram hai aur nah hi makrooh hai. lekin jab namaz ka waqt ho to namaz aur is tarah ki ibadaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai.

(Ref: Minhaj ul Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #5. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #356).
[Updated on 17-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-23

Question: A/S Aagha, Mera Question ye h ki kya kisi bachchi pr bhi Ghusl e janabat wajib ho jata hai kisi khayalat ko sochne se ya gandi chizen dekhne se (Abhi wo baaligh na huyi ho ya baaligh ho gyi ho to abhi menstration na aata ho, but use yaad na rahe ki vagina se fluid nikla h ya nhi) (But use ye bilkul bhi maloom na ho ki is type ki chizen bhi kuchh hoti h use ye bhi maloom na ho ki aisa koi ghusl bhi hota hai) ?? Aur jb baaligh ho jaye aur jb Menstruation bhi aa jaye to jb uske baad ghusl e Haiz ko anjam de to bhi use ye maloom na ho ki uspr ghusl e janabat wajib h aur ghusl e Haiz krte time bhi ghusl e janabat ka khayal na rahe . Jb wo 17-18 years ki ho jaye tb use ye maloom ho ki uspr ( ye kaam krne se) Ghusl e janabat wajib ho gya tha to Kya Tb se pure Saal ki abadaten (Namazen w Roze,mustahab namaze etc. ) bekaar ho jayenge aur uspr saari abadaton ki qaza wajib ho jayegi??? Jb use maloom ho jaye to use bahot sharmindagi ho aur apne gunahon pr tauba kare to kya wo bakhshi jayegi Maafi ki talabgaar hogi kya Allah use muaf karega??? Please tell me she is very upset.

Answer: 1: Larki chand ke lihaaz se 9 saal mukammal hote hi baaligh ho jati hai (yani chand ke lihaaz se 9 saal, esvi ke lihaaz se taqreeban 8 saal 8 mahine 20 din ke barabar hote hain).
2: Agar larki baaligh nahin hai to us par ghusl e janabat wajib nahin hota, lekin agar larki chand ke lihaaz se 9 saal poore kar lay to baaligh ho jati hai aur jaise hi baaligh ho jaye to us par ghusl e janabat wajib ho sakta hai.
Albatta ghusl e janabat wajib hone ki chand shartain hai: Agar un sharton ke sath koi rutoobat kharij ho to ghusl e janabat wajib hota hai, lekin agar wo shartain na hon to ghusl e janabat wajib nahin hota.
Wo shartain ye hain ke; agar kisi insaan ke badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye nah janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo rutoobat shehwat ke sath aur uchal kar nikli ho aur us ke niklne ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai. Lekin agar in 3 alamaaton me se saari ki saaari ya kuch maujod nah hon to wo rutoobat mani ke hukum me nahin aaye gi. Lekin agar insan beemar ho to phir ye zarooori nahin ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke niklne ke waqt badan sust ho jaye, balke agar sirf shehwat ke sath nikle to wo rutoobat mani ke hukum me hogi. Aur wo rutoobat jo Khawateen mulaabat(ملاعبت) ya shehwat angez tasawuraat ke waqt apni sharamghah me mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar me nah ho ke dusri jaghon ko aaluda kare, to wo pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi baatil nahin karti. Haan! Agar rutoobat is qadr ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aaluda kar day, jab ke sath sath aurat hijan sehwat ki intiha ko puhunch jaye aur mukamal raza mandi (aurgasm) ho to wo najis aur janabat ka sabab hai. Balke agar hijan sehwat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat-e-lazim ki bina par najis aur janabat ka sabab hai aur un maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhunchi hai ya nahin aur ya khud ruatoobat ke kharij hone me shak kare to ghusl wajb nahin hai.
3: Farz karen agar wo larki baaligh ho aur tamam sharaait ke sath wo rutoobat kharij ho to us ne kabhi nah kabhi, wajib ghusl (jaise ke haiz ka ghusl) ya mustahab ghusl (jaise ghusl e jumma ke jis ka mustahab hona sharan saabit hai) me se koi na koi ghusl to kiya hoga, to jab aisi surat ho to is surat me bhoole hue ghusl se lekar agle ghsul (jo bhoole hue ghusl ke bad kiya ho jaise ke haiz ka ghusl kiya ho) tak jitni namazen usi haalat me parhi hon faqat un ki qaza karna lazim hai, poore saal ki namazen qaza karna lazim nahin hain. lekin rozon ki qaza karna lazim nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #353,345,1606,2215).
[Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-23

Question: Salaam If a girl feels liquid emission while talking to his husband online and it wet her clothes. I read it's probably semen. The girl didn't know if it was semen. Questions is: Is it allowed for girl to talk again like this if she knows that she might discharge like this again? Please answer specifications and not general ones. I've read tauzeeh and still confused.

Answer: Agar is ke nateeje me aurat ki sharmghah se mani kharij ho to ghusl wajib hoga warna nahin.

1: Wo rutoobat jo Khawateen mulaabaat(مُلاعَبَت) ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamgah mein mehsos karti hain aur wo rutoobat itni miqdar me na ho ke dusri jaghon ko aaluda kare, to wo pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko b batil nahin karti hai.
Haan agar rutoobat is qadr ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aalooda kar day, jabke sath sath aurat heejan shehwat ki inteha ko puhunch jaye aur mukammal raza mandi (Orgasm) ho to najis aur jinabat ka moujib hai. Balke agar heejan shehwat sath nah bhi ho to bhi Ehtiyat-e-lazim ki bina par najis aur janabat ka moujib hai aur un maqamat par jahan aurat shak kare ke ratubat is had se ziyada puhunchi hai ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone me shak kare to ghusl wajb nahin hai aur wuzu aur ghusl bhi batil nahin hain.
2: Biwi, shohar ke sath phone par fehesh(sexy) batain kar sakte hai lekin is baat ka khayaal rahe ke is had tak baat nah ki jaye keh khud par kabo nah rahi ho aur mushtzani karne par majboor ho jaye Q ke Mushtzani haram aur ghunah e kabira hai.
(Note: Mulaabaat(مُلاعَبَت) yani aik dusre ke sath khelna ya milna, hansi mazaaq karna, chairr chhar, bose o kinar, gilaay lagana).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,344,345. + Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #5,11).
[Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122167
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-24

Question: Kya ehtelam ki halat mai padai kar sakhtay hain?

Answer: Jee han, parhai kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #354,355).
[Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-24

Question: If the girl experienced weat dream but the three sings of mani are not present then does she will perform gusal?

Answer: Agar sirf is tarah ka khuwab aaye to is se ghusl wajib nahin hota.
Lekin agar badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janti ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karne ka sabab bane gi), lekin agar in teen alamaat main se saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Lekin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakhe gi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345).
[Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122203
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-29

Question: A.o.a sir my name is naaz. Mai Lahore sy hu apsy poochna tha KY Meri shadi ko 2 month hogay hai sur jb hm dono intercourse krty hai to wo poochty hai Ap discharge huy aur Mai kehti hu pta nah mjy to aur wo hasny lgty hai discharge to mrd ka hota hai kia aurt ka b hkta ha?mjy is bat ki smjh nah arahi aur mjy NH feel hota asa wesa discharge plz mjy guide kry gy aur ye b btay gy plz KY discharge kitna zaruri ha kia bacha leny KY liye ye zaruri hota agr NH hota to kia kia jay

Answer: Jee han, aurat bhi munzil (discharge) hoti hai aur wo is tarah ke jab aurat hijan sehwat ki intiha ko puhunch jaye aur mukamal raza mandi (aurgasm) ho to us waqt wo munzil (discharge) hoti hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, mafhoom e maslah #345).
[Updated on 30-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122256
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-04

Question: Sir agr monee Kay kxh Qatar fahish video deknay say kapray par lagain to kapray napak Hun gay?

Answer: Jis rutoobat me ye 3 nishaaniyan hon wo mani kehlaye gi.
1) Uchal kar niklay.
2) shehwat ke saath niklay.
3) badan sust ho jaye.
jis libaas par mani lag jaaye to wo jagh napak ho jati hai jis jagh mani lagi ho aur use qaleel pani se aik dafa dhone ke baad agar nichor liye jaaye to libaas paak ho jaata hai. aur mani ke nikalne se ghusl bhi wajib ho jaata hai.
Albatta jis rutoobat me ye 3 ya kuch nishaaniyan na hon to wo mani nahin hai misaal ke taur par agar sirf shewat ke sath nikle aur baqi 2 nishaaniyan na hon to wo mani nahin mazi kehlaye gi aur mazi paak hai, aur is se ghusl wajib nahin hota aur libaas bhi napak nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345).
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: AOA Mera sawal yah hai k ma jab b apny husband k sath betho to mara white Pani kharish Ho jata hai or mujhy phir shak ho jata hai or ma ghusal kr laiti ho Kia ap batye gay k yah Pani Pak hai yah najis plz guide me

Answer: Wo rutoobat jo Khawateen mulaabaat(مُلاعَبَتْ) ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamghah mein mehsos karti hain aur wo rutoobat itni miqdar me na ho ke dusri jaghon ko aaluda kare, to wo pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko b batil nahin karti hai.

(Note: Mulaabaat(مُلاعَبَتْ) yani aik dusre ke sath khelna ya milna, hansi mazaaq karna, chairr chhar, bose o kinar, gilaay lagana).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: ٱلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ ٱللَّٰہ Sir mera question yeh hae ky husband ka money wife ko lagy intercourse ky bina to wife py be gusal wajib ho jaye ga? Dusra husband wife ky private part sath play kary to kia es sy be gusal wajib ho jata hae

Answer: 1: Biwi pe ghusl wajib nahin hoga lekin mani lagne ki wajh se wo jagh najis ho gayei hai lihaza namaz ke liye us jagh ko pak karna hoga.

2: Agar is surat me biwi mani mikle to ghusl karna hoga lekin agar mani na nikle to ghusl wajib nahin hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #119,345).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122275
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Salam mera sawal yeh hai ky halat e haiz ky baad or ghusal sy pehly jamah kar skty hain ya nai?

Answer: Haiz se paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad, jima kiya jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barakatahu/ mera sawal a hai ki na Pak ki halat me Qur'an ki aayat suna sakte hain ya nahi

Answer: Jee han, halat e janabat me Quran ya Quran ki aayat sun sakte hain is me koi gunah nahin hai. balkeh halat e janabat main Quran majeed ka parhna bhi jaiz hai. lekin 7 se ziyadah ayaat ka parhna makhroh hai (yaani 7 ayaat ke baad se sawaab kuch kam milay ga), aur wo 4 aayat parhna jin ke parhnay par sajda wajib ho jata hai, parhna Haram hain lekin sunna jaiz hai. aur janabat main Quran majeed ki tehreer (writing) ko chona bhi Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122417
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Agr ahtlam ho jaye or jisam ganda na ho to wazu kar ky namaz ho jaye gi?

Answer: Agar ahtilam ho jaye to namaz aur is jaisi ibadaat ke liye ghusl janabat wajib ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,356).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-02

Question: Assalamualaikum. Baz auqat waise hi bethe bethe koi khayal sex ka ah jata he, us se erection ho jati he. Phr dayan kahin or hota he to erection khatam ho jati he, par pennis par white Mani ki Tara ki ratoobat ah jati he. Us ka pochna he k kia is se wuzu toot jata he or kia kapre napak ho Jate han or kia ghusal b wajib ho jata he

Answer: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed rutubatain kharij hoti hain: In me aik ye hai ke wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti (yani wuzu aur ghusl nahin tootata).
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70).
[Updated on 03-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122529
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: ghusal e janabat ka tareeqa

Answer: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar aur gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360).
[Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: janabat ki halat me imam bargah ja sakty hain

Answer: Jee han, janabat ki halat me imambargah me, jaa sakte hain. lekin masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, ya masjid e haram aur masjid e nabvi ke alawa men theherna, ,asjid men koi cheez uthane ke liye daakhil hona haraam hai or ehtiyat e wajib ki bina par imaam e masoom ke asal harm me daakhil na ho jaaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 08-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-11

Question: Agr janabat krte qlwaqt aurat farigh na ho or mard farigh hojaye tou kiya aurat pr gusal hota?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar (khatnagha ke maqaam )tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe mard aur aurat faarigh ho ya nah hon, dono junub ho jate hain. (yani mard aur aurat dono par ghusl e janabat aa jata hai).
Lekin agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar se kam dakhil ho ya sire se dakhil hi na hua ho balke sirf upar upar se touch hua ho to is surat me aurat par ghusl wajib nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348).
[Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122669
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-20

Question: ASSALAMOALAIKUM AGAR KOI ISTIMNA KARE AUR APNE MUSCLES KO CONTRACT KR K MANI KO NIKALNE RAUK LE TO KYA US PAR GHUSAL WAJIB HAI AUR SHEHWAT BHI HO LEKIN MANI NA NIKLE

Answer: Istimna (masturbation, mushtzani) aur khud lazzati karna Haram aur Ghunah e kabira hai, aur jab tak mani baahir nah aaye ghusl wajib nahin hota. Lekin agar mani baahir aa jaye to chahe kam hi q nah ho ghusl wajib hoga.agar mani apni jagha se harkat kare laikin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij hoe hay ya nahe tu is per wajib nahe hay.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #351,344,345).
[Updated on 21-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122692
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-25

Question: Agr gusul wajib hojaye nimaz aayegi

Answer: Agar ghusl wajib ho jaye to is halat me (yani bina ghusl kiye) namaz parhna sahi nahin hai (yani jo namaz ada karna wajib thi wo ada nahin hogi aur apni wajib zimme daari ada karne ke liye ghusl karna wajib hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,356).
[Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-03

Question: اگر ہم حالت جنابت میں ہو اور غسل سے پہلے ہمیں حیض ہو جائے تو کیا ایسی حالت میں قبرستان جا سکتے ہیں

Answer: Halat e janabat aur halat e haiz me qabristaan jaa sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-15

Question: Ghusle Janabat kiye bgair Quran prh skty h?

Answer: Halat e janabat me Quran majeed ki tehreer (writing) ko chona Haram hai. isi tarah Quran majeed ki un chaar aayaton ka parhna bhi Haram hai ke jin ke parhnay se sajda wajib ho jata hai, lekin in chaar aayaton ke alawa baaqi poora Quran parh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122840
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-31

Question: Aoa. Men ne pochna he k aurat halat e junabat men bachy ko doodh de sakti he

Answer: Jee haan, Halat e janabat men maan apne bache ko doodh pila sakhti hay Q ke Halat e janabat main mujnib par 5 cheezain haram or 9 cheezain makrooh hain. lekin in main doodh pilana shaamil nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122958
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-28

Question: Sehri se pehle agar mila jae husband ke sath kia fajar se pehle lazmi hai paak hona ?

Answer: Jee han, maah e ramazan main azaan subh se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye.
Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630).
[Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: Paikhana karte waqt pennis se safed(white) paani nikal ta hai wo kya hai aur isse gusul karna zaroori hai?

Answer: Woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. aur ye rutoobat is surat mein paak hai jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab nah hon.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70).
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123032
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-17

Question: Assalam alaikum... Kya aurat ka aane wala paani najis hai ya paak.... Aksar aurto ko musalsal paani aane ki shikayat rehti hai aise me namaz roza kaise ada ho... Bara e karam wazahat farmaye ?

Answer: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat ke waqat apni sharamghah men mehsoos karti hain or wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda karay wo paak hay or us kay liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi batil nahin karti hai, Han! agar rutobat is qadar ziyada ho ke inzal kehlaye or libbas ko aalooda kare jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intihaa ko puhnch jaye or mukammal razamandi (orgasm) ho to najis or janabat ka moojib hai balke agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis aur janabat ka moojib hai aur in maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhnchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak kare to ghusl wajib nahin hai aur wuzu aur ghusl baatil nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345).
[Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-24

Question: میرا سوال ہے کی لڑکیوں سے باتیں کرتے ہوے مزی نکل جاے تو کیا حکم ہے نیت منی نکلنے کی نہیں ہو

Answer: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen (3) tarah ki mazeed rutoobatain kharij hoti hain:
1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti.
2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai.
3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.

2: Na-mehram se baat cheet ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koe aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai.
3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510).
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-26

Question: Humbustri k Doran agr Biwi discharge na ho aur mini b usky andr dakhil na ho tou kiya biwi p gusl Wajib hai?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me, mard aur auart dono junub ho jate hain. {yani sirf uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me dakhil ho jaye to mard aur aurat dono par ghusl e janabat aa jata hai}.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348).
[Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123610
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-21

Question: Agr sex krny k bad miyan bivi ka discharge kharij na ho to is surat m ghusal wajib h?

Answer: Insaan do cheezon se junub (halat e janabat) ho jata hai jis me se aik jima (intercourse) karna hai. aur agar koi shakhs aurat se jima karay aur azu e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil ho jaye to ye dukhool faraj (agli sharmgha) me ho ya dubr (back side) aur chahe balig ho ya na balig aur chahe mani kharij ho ya na ho dono mujnib ho jatay hain. Aur namaz ya is jaisi doosri ibadaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348,356)
[Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123630
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Agar husband wife sex krain laikin uzwe tanasal kaheen bhi ander daakhil na ho Sirf bahir hi agy peech touch hota rhy r waisy body parts suck hoty rahain ya khelty rahain to aurat p ghusal waajib hota hai?

Answer: Ghusl e janabat sirif 2 cheezo ki wajab se wajib hota, 1-mani k kharij honay se or 2-jima kerne se chahay mani kharij bhi nah ho or aal e tanasul (penis) supari(aal e tanasul ka agla chikna sira) ki had tak ya os se ziyada aurat k sharamgaah main dakhil hoa ho chahay agli sharamgaah main ho ya pichli sharamgaah main. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 344, 348).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123634
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-22

Question: AoA my Question is that My ek story read kr raha tha Jo k romantic hi samjho or Mera na koi irada tha ghlt Kam krny Ka na Kuch or or Kuch time bad jab my choty pishab k liye utha to meny Dekha k zary k Barabar chiknahat Ka Pani (azu e khas) k uper nazar Aya or na Mera badan sust hwa or na Kuch orr & bad my peshab b krliya ab plz ye bata den k Ghusal wajib ho Gaya ya Nahi plz Reply...

Answer: 1: Agar wo ruboobat zel me bayan ki gayei in 3 alaamaton ke sath niklay to ghusl karna hoga warna nahin.
1-Agar wo ruboobat shehwat ke saath niklay.
2-Uchal ka niklay.
3-Nikalne ke baad badan sust ho jaye to ghusl karna hoga.
Lekin agar ruboobat me in 3 alaamaton me se saari ki saari ya kuch mojood nah hon to ghusl wajib nahin hoga

Is ke alawa Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen (3) tarah ki mazeed rutoobatain kharij hoti hain:
1-Wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti.
2-Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai.
3-Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345,356)
[Updated on 23-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125914
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: اگر اس بات کا یقین نہیں کے منی نکلی ھے یا نھیں تو انسان پاک ھے یا نھیں ؟

Answer: Jab tak mani kharij hone ke baare me yaqeen ya aqalmandana itmenaan na ho ghusl wajib nahin hota. Isi tarah agar mani apni jagah se harkat kare lekin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij huei hai ya nahin to us par ghusl wajib nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #351).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126339
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Kya ghusli janabat Mai Ghar ka koi Kam nhi Kiya Cha sakta

Answer: Janabat ki halat me ghar ka kaam kiya jaa sakta hai, is me koi haraj nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print