Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz Ke Ahkam (249 Questions)


Showing 150- 200 questions from 249 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-07

Question: Mene aaj isha 12 rakat padhi aur so gayi ki tahajjud ke baad witr aur nifal padhungi, per aaj uth nahi saki to isha kaza me 4 farz aur witr dono padhu?

Answer: is web par fiqh e jafferia k mutaabik jawab diye jaatay hai.
[Updated on 07-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94306
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Namaaz k beach agar koi aya to nimaaz toot jate hai kya

Answer: Jee nahi agar koi aap k saamne sai guzar jaaye tou namaaz baatil nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah no 1113).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
102573
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-31

Question: Salam Isha ki nmaz ki dosri rakat main Imam Surah fatiha Ki pehli ayat onchi parhna bhol gea Jab k Monh me parhi ho to os k baad onchi awaz se hi sari Nmaz parhi to kea namaz ho jai gi or sajda Sao kea Wajib Howa?

Answer: Namaz sahi hogi, aur sajda e sahaw ki koi zaroorat nahi hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 982 ).(mafhoom e masla)
[Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Assalamwalaekum mera sawal ye hai ki kya auratein juma k namaz se pehle ghr pe zohar k namaz padh skti h?

Answer: insan namaz mein us waqt mashgul ho sakta hai jab usay yaqeen ho jaye keh waqt dakhil ho gaya hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla # 730).
[Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102598
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-30

Question: Agar ma lambay safar per ja raha ho or mujhy pata hy ky abhi fajar ki azaan ho ny ma 10 min hy lekin mujhy abhi nikal zarrori hy tu kiya ma namaz path sakta ho 10 min pehly?

Answer: Jee nahi, Namaz usi soorat mein parh sakte hain jab apko yaqeen ho keh namaz ka waqt dakhil ho gaya hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah no # 730).
[Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102617
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-28

Question: Kya magrib ki namaz waqt se 5 min pehle start kar sakte hai kya

Answer: Jee nahi, Namaz parhne ke liay namaz ke waqt ka dakhil hona zaroori hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Masla # 730 mafhoom e masla).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: سر جی میرا سوال یہ ہے کہ اگر جسم پاک ہو اور کپڑا بھی اور کپڑے کے اوپر کوئی سوئیٹر وغیرہ ناپاک پہنین تو کیا سوئیٹر کو نکالنے سے نماز ہو سکتی ہے یا اس پر پھر سے غسل واجب ہو جا تا ہے ۔شکریہ

Answer: Najis sweater nikal kar namaz parh saktain hain, is se ghusal wajib nahi hota. (Wajib Ghusal) ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 787).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Namaz padhne ki jagah par roshni ka hona kitna zaroori hai

Answer: Namaz parhne ke liay roshni ka hona ya na hona koi zaroori nahi hai , (khulasa Masla) (Tauzeeh ul masail,Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Masla No 854-886).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102772
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: My ne zohr ki namaz ba jamad ada ki puri. Bhul kar my utkhada hogaye aur 1 rakat ziada padli Kia masla hai

Answer: namaz ke wajibat me se baad us ke rukun hai yani agar insan unhe baja na laye to khuwah aisa karna amdan ho ya ghalti se ho namaz batil ho jati hai aur baaz wajibat rukun nahi hai yani agar woh ghalti se choot se jaye to namaz bati nahi hoti .
NOTE : apne puri rakat me iazafa kar diya to apki namaz batil ho gayi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, Masla no #929).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102967
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-20

Question: Assalwalenkum, ruku m hmari nzr kaha honi chahiye turba p ya pairo ki trg

Answer: halat e qiyaam main apni nazar sajdagaah par or, halat e ruku main dono qadamo k dermiyaan or jab baithnay ki halat main apne daman par nigaah rakain tu ye cheezain namaz main tawajjah paida karne ka sabab banti hai .(Ref:A.Sistani(d.b),Mujtahid se pochay gaye sawalaat,part#3, sawaal#76 )
[Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Aslam o alaikum Maine puchna tha k namaz k doran Mai aksar aesa lagta hai jaese Maine ek br sjda Kia hai to aese Mai kya krna chaye

Answer: agar apko shak hai keh apne do sajday kiye ya nahi aur ap kharay ho chukay hai agly rakaat ke liay ya agla rukun baja lar rahe hai ya la chukay hain to is shak ki parwah nahi karni chahiye. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 1154 ).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103963
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Quran ki taleem Dene ki ujrat /fees lena jaiz Hai ya nhi?

Answer: wajibat( masalan wajib namaz me perhe jane wale quran ki sureh ) sikhanay ki ujrat layna ahtiyat ki bina per haram hay magar mustahbat (ya quran ki wo sureh seekhana jo namaz me perhna wajib nahe hay us )ki ujrat layna jaiz hay. (Ref : toziul masahil Aga Sistani db edi # 2019 masla #986)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104014
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-16

Question: Salam Mere chacha ko urine bag luga Hua he kia wo namaz Ada ker saqty hen?

Answer: Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui (cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 311)
(Note: parh sakte hain.)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: shia namaz mein teesri aur cothi rakat mein alhamd parhnay ka kis mujtahid ki taqleed hai, aur Alhamd k baad surah toheed parhay ki kis ki taqleed hai?

Answer: Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala # 994). Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala # 992).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Assalam u alaikum office ma imam sab ny zohar ki namaz ma qirat kr di. is k bary ma agah kijiay iski tlafi kesy o

Answer: Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaz say parhna zaroori hay usay jaan boojh kar aahista parhay ya jo namaz aahista parhni zaroori hay usay jaan boojh kar buland aawaz say parhay to aihtiyat e lazim ki bina par uski namaz batil hay.laikin agar bhool janay ki wajah say ya masala na jannay ki wajah say aisa karay to sahih hay. neez al-hamd aur soora parhnay kay doraan bhi agar wo mutawajjeh ho jaey kay is say ghalati hoi hay to zaroori nahi hay kay namaz ka jo hissa parh chuka ho usay dobara parhay..Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala # 982,Pg.161.)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104193
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Assalamualikum! Kia hum apni ahsani k liye koi bi namaz apny hisaab sy parh sahkte hai ???jese fajar ki namaz jb hum aram sy uth sahky tuluu e aftab sy 10 15 min pehly Tb parh sahkty hai???

Answer: Parh to sakte hain lekin munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88).
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104360
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2023-08-04

Question: Agar namaz me sajday k doran zehan me gali ajae ar asa mehsus hu k wo zuban sa bhi ada ki h tu kia hamay namax dubara prhni hugi ? Kindly reply

Answer: Agar koi shakhs bhole se aisa kalima kahe jis ke huroof aik ya is se ziyada hon to chahe wo kalima mana bhi rakhta ho us shakhs ki namaz batil nahin hoti lekin ehtiyat ki bina par us ke liye zaroori hai ke namaz ke bad sajdaye sahw baja laye. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 456).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107209
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-04

Question: Kya hm sote hue inssan k samne namaz parh sakte hain kya namaz qabool hoge?

Answer: G han parh sakte hain,lekin kisi inan ke muqabil namaz parhna makrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #885).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107533
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kya Aurat mard k pichy namaz parh sakti hai

Answer: Jee han, aurat mard k peeche jamaat ke sath namaz ada kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#1414)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107867
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: assalam u alikum mera sawal ye hai ke agar namaz mein koi lafz do bar ada kr dia jai tu is se namaz dobara parhni hu gi

Answer: Jee nahin namaz dobara nahin parhni hogi, balke wohi Namaz sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 54,pg # 39)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: Agar namaz parhaty hua samnay khali charpai ho to kya namaz ada ho jati hy

Answer: jee namaz hojaati hai ye namaz k baatil hone ka saba nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1113).
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110382
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-12

Question: Salam Ya Ali a.s Madad: meri ek Islamic Firka k madarse men job hai mera kam managment or computer database ka hai, Men shia aqeeda rakhta hun or wahi namaz parhta hn, wo log shia maslak se nafrat rakhte hen or kafir kehte hen, mene apna aqeeda zahir nahi kiya, wo mjhe force karte hen k jamaat namaz men or hamare sath namaz parho, men agar aqeeda batata hn to dar h k wo mjhe wahan se nikal den or rozgar chala jaey,, Tou kya mujhe un k sath namaz e jamaat ada karni chaiye?? agar karni chaiye to uske kya ehkamat hain or agar nahi karni chaiye to kya ahkamat hain ?

Answer: Aytullah Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat (surah alhamd or dosere surah ) khud perhne hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga).namaz jumma sunni ke sath perhna kafi nahe hoga or namaz maqrib bhe sunni ke sath perhna kafi nahe hoga kyuke sunni,namaz maqrib shia ke namaze maqrib ke waqt se phele perhte hay .(Ref:Istiftaat I-40. , tuiziul masail jame farsi,topic :ahkaam jamaat )
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110607
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-08

Question: Kya asar ki namaz kay sath zohar ki namaz pardh sakty han or kya hm zohar ki puri namaz pardh sakty han

Answer: Jee han parh saktay hain, Q Zuhur or Asr ki namaz ka waqt zawal e aaftab (Zuhur e sharee) k baad se guroob e aftab tak hay. lakin phele zohor ki namaz perhe ghe us ke baad asar ki (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #718).
[Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110791
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-28

Question: Aoa. Agar jan ka khatra na ho magar apna shia hona reveal karein gay to ahle sunnat hamara mazak banain gay to is situation me unkay pichay haath bandh kr namaz parh saktay?

Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayyah ki waja se hath per hath rakna aur taqayya ki waja se aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117)
2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659)
Note: Taqayyah deene istelah me jaan bachane ki khatir apne aqede ko chupaane ke mana me istemaal hota hay, ( sirf sharmindagi se bachne k liay namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna ( maslan namaz me hath baandhna durust nahin)). orahlesunnat imam jamat ke peche ,agar koi shia khud alhamd or surah ki qiraat kare agarche aaista tu namaz sahe ho sakte hay laikin ahlesunnat ke sath namaz juma kafi nahe .ise tarh namaz maqrib chuke waqt se phele hote hay in ke sath sahe nahe hay. (ref: sistani.org,urdu,taqayya,jadeed masail,aqa sistani, jild :4 pg no: 183 )
[Updated on 29-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110815
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-14

Question: BAHI CHAR RAKAT NAMAZ MA SURTH FAITH KA BAD KOI SURTH 4 BAR MILLTAY HA OR DO BAR MILLTA HA

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al hamd ya aik dafa tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he. Yani namaz parhne wala aik dafa kahay “subhaanal laahi wal hamdo lillahi walaa ilaaha ill’lal laa ho wal laaho akbar” aur behter he ke is ko 3 dafa kahain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 992)
[Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: Aoa. Agar jan ka khatra na ho magar ye ho kay agar apna shia hona reveal kia to ahle sunnat hamara mazak urain gay to kia is surat me ahle sunnat kay jammat me ya furada unke saath hath bandh kar namaz ho jai gi?

Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayya ki waja se hath per hath rakna aur aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117)
2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659)
Note: Taqayya os sorat main kia jata hay jab insaan ki jaan o maal ko khatray ka imkaan ho, sirf sharmindagi se bachne k liay roza waqt se pehlay khoolna ya namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna durust nahi.
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111172
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-01

Question: agr hum kisi ko barehna halat ma dekh lyn, or foran nazryn hata lyn, to humyn is sorat ma kia krna hoga next namaz parhany se pehly?

Answer: Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi (haraj) nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani (d.b), Edition 39th, Mafhoom e Masla No. 2397)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-31

Question: AOA, Mera Sawal yeh hy k Kia Namaz Hath Band kr Parhana durust amal hy ? Ahadees Ma Hath khol kr or Bandh kr dono milte hy tu kai Hum bandh kr adda kr skakte hy ?

Answer: W/alaikum o ssalam, (Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein).
1: Ahle sunnat ki mustanad tareen kitab me moujood hai k rasool akram namaaz hath khool kar perhte the. (Ref: saheeh bukhari jild 1, pg: 385).
2: Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay. aur agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karay tu aisa kerna haram bhi he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Before Masla # 1117).
3: Aurat or mard dono ko chahiye k hathon ko raan per rakh kar namaz parhen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 31st, maslah # 964)
[Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111290
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Assalam o Alaikum! mujhey ek masla ka hal chahiyeh, wo ye k mein ik German company mein kaam kerti hoon aur idher hum 5 Muslims hain. woh log nemaz nahi parhtey zuhr aur asr ki, lekin mein pheley parhti thi chup chup ker, q k company mein koi concept nahi k ibadat kerni hai. mein Canteen mein parh liya kerti thi, lekin asal masla ye hai k nemaz k liye dupatta zaroori hai aur jub k mein Hoodie / hood ki topi sir pey pehen ker nemaz parh liya kerti thi. Lekin phir mujhey kisi ney kaha k ye nemaz qabool nahi hoti toh is sey behtar hai k na parha kero office mein. lekin mein bohet bechain rehti hoon k nemaz nahi parh rahi. Please is mein koi relaxation ho sakti hai k mein hoodie pehen ker nemaz parh sakoon. Please rahnumai ki jiye. Thanks

Answer: Namaz kay waqt Aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey, lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahi hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul Masail, 39th edition, Masala No.777.)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111369
Mujtahid:
Ayatullah Khameni rehbar e muazam Date: 2021-11-30

Question: Assalam alaikum mai sunni converted hun aur mere ghar wale sunni hai tou taqayya ikhtiyar karsakta hun aur agar karsakta hun tou kia namaz o roza Sunni tariqe se khol sakta hun?

Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayya ki waja se hath per hath rakna aur aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117) 2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659)
(Note: Taqayya os sorat main kia jata hay jab insaan ki jaan o maal ko khatray ka imkaan ho, aur agar is tarh ka mamla nahin hai to Taqayya nahin kar saktay ya sirif sharmindagi se bachne k liay roza waqt se pehlay khoolna ya namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna durust nahi.)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-06

Question: Sharab pene ke bad kitne din tak namaz nahe hoti

Answer: sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, Albatta nama parhna wajib hai. aur khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref:Tauzeeh ul masasil aayatullah seestani edition 41 maslah no 2596)
[Updated on 06-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111407
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Kya aurat ka namaz parhte waqt pital ki koi cheez pehnna jaiz ha

Answer: Jaiz hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani (d.b), edition#41, Mafhoom e maslah # 820).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111439
Mujtahid:
Don't know.. I am syed.. My name is Sabika Ahmed Date: 2020-11-12

Question: Salam.. Mera sawal yeh he ke ki orton ko mardon ki tarha namaz prhni chiye same to same? Mene bht search kia hadees prhi Par har jaga alag jawab Mila... Ap please sahi tareeka btaden.. Dusra sawal mera yeh he ke kia orton ko bhi Jummy ki namaz prhni chiye or ktni rakat? Ya bas zuhur ki hi prhni chiye? Teesra sawal mera yeh he ke kia orton ko washro sar pe dupatta leke jana chiye?

Answer: 1: Ji han Tariqa aik hihai. Lekin Aurat ke liye zaroori hai k namaz main apna tamam badan yahan tak k sar aur baal bhi dhanpay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is ne badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhanpay laikin mozay (socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 39th edition, maslah # 777)
mardo or aurto ki namaz main baaz farq hain laikin wo farq wajib nahi balkeh mustahab hain. on per amal karna llazim nahi hain.
2: Aurat per namaz e juma wajib nahi hay wo apni namaz e zuhr hi parhe gi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #721)
3: Aurat ya mard dono ke liye rafe hajat karte waqt sunnat (mustahab) hai ke sar ko dhanp kar rakhen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #75)

Print

Id:
111497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-16

Question: Namaz me nigah ka kya hukm hai

Answer: Namaz me dehaan k lye halat qiaam me apni nazar sajdegha per , halat ruku me dono qadmo k darmiyaan aur jab baitha ho to apne daman per nigha rakhe . ye chese kise ki namaz me tawaju paida kare ghi aur is k shak ki halat me kami ka sabab bane ghi. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 76, sawaal # 4 pg #42)
[Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111703
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Kia magrib or isha barish me akhti pri ja skti ha

Answer: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay. yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay. aur bay shak hamary nabi(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111735
Mujtahid:
Through Shariat Date: 2021-11-29

Question: Agr koi insan agy leta jo to Namaz ho jati hy?

Answer: Jee han, parh sakte hain lekin kisi insan k maqabil mai namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Fajar ka waqt aj kal 5:25 ha rawalpindi ma lakin baz masjido ma azan 4:45 py di jati ha kia ye sahi ha ? Jab k namaz ka dhakhili waqt 5:25 ha. Waqt se pehly azan daina sahi ha kia? Hum namaz parh sakty han ??

Answer: Jee nahi, waqt sai pehle namaz nahi parhi ja sakti. aur azan o iqamat musthab hai is ke bager bhi namaz ho jati hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 730,903).
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112406
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-06

Question: Kya ourat geely balon k sth namaz ada kr skti hai?

Answer: agar tamaam sharait poori hai tou bazaat e khud geelay baalon k saath namaz ada karne mai koi maslah nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1113).
[Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112525
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Kya gas rook kh namaz parh sakty hai Agar ap ko gas ki problem Ho tu

Answer: Agar riyaah(gas) ko rok kar pori namaz perhli jaey tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #312-314).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Nikah k bad miya biwi sath sote hain kya namz k liye dusrey kapde pehne chahiye ya wahi same kapde me namz ho jayigi

Answer: Agar kapre pak hon to unhi kapron men parh sakte hain. Q k Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Aur agar koi shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Masla #787)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113630
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Aoa. Kia fajar ke phli azan k sath namaz phari ga sakti hai?

Answer: Agar yaqeen ho jaey k namaz ka waqt dakhil ho gaya hai to namaz ada ki jasakti hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istifta, https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/ ).
Namaz e fajr ka waqt:- Subh ki azaan ke kareeb masshriq ki taraf se ek safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai jab yeh safedi phail jaay to yeh fajr-e-duwwum aur subh ki namaaz ka awwal waqt hai aur subh ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #729)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: As Salam alaikum kya koi bagal me soya ho aur insan namaz waha padh le to kya waha namaz hoge

Answer: Kisi insan ke maqabil(samne) mai namaz parhna makrooh hai. Agar maqabil(samne) nahin hai to makrooh bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).

[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115056
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-06

Question: سلام وعلیکم۔ میرا سوال صرف اتنا سا ہے کہ کیا نماز شب کی وتر نماز میں چالیس مومنین کا نام لینا ضروری ہے یا اس عمل کو رد بھی کر سکتے یا چالیس سے کم مومنین کا نام لیں۔؟

Answer: wsalam.momineen k naam laina zaroori nahi hai.
namaz e shab ka mukhtasar or mufassal tareeka duaon ki kitaab mai moujood hain un ki taraf rujoo karein. (Ref:sistani.org,arabi,,topic salatullail),sawaal no:1)
[Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115676
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-27

Question: Kya nimaz k baid kitab sy b dua kr sakty hai please answer

Answer: Jee kar sakte hain, balke Mustahabb hai ke namaz ke baad insan kuch dair ke liye taqebaat yani zikr, dua aur quran majeed parhay. Ye zaroori nahin hai ke taqebaat arabi zaban me hon (kisi aur zaban {urdu/hindi} me bhi parh sakte hain) lakin behtar hai ke insan wo duaain parhay jo duaon ki kitabon me bataei gaei hain aur tasbeeh e fatimah zahra(s.a) parhay jis ki bohat ziyada takeed aayei hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1109).
[Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116078
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-21

Question: Esy Shakhs ky peechy namaz prhna jaiz hai jo masjid ma imamat krwa rha ho or ausnho ne pehly din shahdat e salsa prha di ho lakin bd ma logon ky manha krny sy aunhon ne nahi prhai kia wo dil ma prh skta hai Shahdat e Salsa or agr wo prhty hein to iska asr hamari namaz pr kia hoga.? Ap iska jwb mujhy mail kr dein agr koi fitna phelna ka dar weghra hai toh

Answer: aytullah sistani sahab ke nazdeek Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa (Aliun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org
Agar mamoom(yani namaz e jamaat main shamil namazi) or imam e jama,at k dermiyaan namaz k ajza(parts) or shara,it main ijtehaad ya taqleed k wajah se ikhtelaaf ho jaay,or mamoom ko maloom ho k imam e jamat ki namaz batil hay(yani imam e jama,at k mujtahid k fatway main ye namaz batil ho), tu ye mamoom is imam e jama,at k peechay namaz mukammal nahi ker sakta.siwaay is sorat k , keh agar imam e jama,at ki namaz main koe aisi ghalati ho jo k jaahil e qasir{Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat/laa,ilmi ka uzr qaab e qobool ho} k liay maaf ho tu phir mamoom k liay jaiz hay k wo is imam e jama,at k peechay apni namaz ko mukammal karay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #810, eidition # 1st ). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 22-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116119
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-03

Question: Asalam o Alikum Mera sawal ye hy k agr Unchi awaz mai qirrat na ki to kya nemaz ho jye gi k nahi?

Answer: 1: Mard par Ehtiyaat ki bina par wajib hai ke subah, maghrib aur isha ki namaazon men Al-Hamd aur Surah buland awaaz se parhe aur Mard aur Aurat par Ehtiyaat ki bina par wajib hai ke namaaz-e-zuhr w asar men Al-Hamd aur Surah aahista parhay.

2: Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaaz se parhna zaroori hai use amdan (jan boojh) aahista parhe ya jo namaaz aahista parhni zaroori hai use amdan (jan boojh) buland awaaz se parhe to Ehtiyaat ki bina par uski namaz baatil hai. laikin agar bhool jaane ki wajah se ya massla na jaane ki wajah se aisa kare to saheeh hai. Neez al-hamd aur surah parhne ke dauran bhi agar wo mutawajjeh ho jaaye ke us se ghalati huei hai to zaroori nahin hai ke namaz ka jo hisa parh chuka hai use dubara parhay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #979,981,982)
[Updated on 04-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116192
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-12

Question: Agr bed samny ho to usk agy namz parhi ja skti h

Answer: Jee han, parh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).
[Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Lohay k keri k sth namaz ho sakti hy ya ni

Answer: Jee han, is ke sath namaz parh sakte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 ,maslah #820).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120454
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: Agr ek nimaz me 12 rakat ho to kya hr ek ka alag neyat krna chaiya mslan 4 sunat 4 faraz 2 sunat 2 nafal to kya hr bar alag alag neyat krni zroori hai mean pelly 4 sunat ki phir 4 farz ki 2 sunat ki 2 nafal ki

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq aisi koi 12 rakati namaz nahin hai ke jis me 4 sunat, 4 farz, 2 sunat, or phir 2 nafal rakaten hon.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752 to 763).
[Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120713
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-16

Question: Bemar insan dill ki sari namzy ak waqt qaza Kar k parh sakhta hn

Answer: Namaz aur dosray wajibaat jo Allah ne wajib kiye hain in ko jaan bojh kar chorhna gunah e kabira me se hai. lihaaza har namaz ko apne waqt par ada karna wajib hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30).
[Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print