Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz Ke Ahkam (249 Questions)


Showing 200- 249 questions from 249 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
120759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-28

Question: KYA NAMAZ M KHAYAL ANE SY NAMAZ QUBOOL HOTI H??

Answer: Is se namaz par faraq nahin pare ga, namaz sahi hogi, Han albatta qubool karne ya na karne wali zaat Allah ki hai.
Insaan ko khayaal rakhna chahiye ke namaaz jaldi jaldi na parhe aur namaz ki haalat mein khuda ki yaad mein rahe aur khushu aur khuzu aur waqar aur yaksooi se namaz parhe aur yeh khayaal rakhe ke kis hasti se kalam kar raha hai aur apne aap ko khuda wande aalim ki azmat aur buzurgi ke muqable mein haqeer aur naacheez samjhe. agar insaan poori tarah in baaton ki taraf mutawjjeh rahe to woh apne aap se bekhabar ho jaata hai jaise ki namaz ki halat mein Hazrat Ammer-ul-Momineen Imam Ali(a.s) ke paaon se teer khench liya gaya aur aap ko khabar tak na hui. alawa azen namaz parhne waale ko chahiye ke woh tauba, Istighfaar kare aur na sirf un Ghunaahon ko jo namaz qabool hone mein maane hote ho - maslan hasad, takkabur, gheebat, haram khana, sharab peena aur khums aur zakaat ka na ada karna - tark kare balke tamaam Ghunaah tark kar de. neez behtar hai ke jo kaam namaz ka sawab ghatatay hain woh na kare. maslan uongne ki halat mein ya peshhab rok kar namaz ke liye khara na ho aur namaz ke mauqay par aasmaan ki taraf na dekhe aur woh kaam kare jo namaz ka sawab barhate hain msalan aqeeq ki anghoothi ya paakeeza libaas pehenna, kangi aur miswaak karna aur khushbu lagana.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, page #122,181, and Maslah #1113).
[Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120816
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: mere ghr ke nazdeeq aik mazar ha aur waha bajamat namaz ka Ehtemam b keya jata ha. Q: Kia waha namaz ho jati ha? Note: (jb jamat khari hoti ha tu samne 2 qabre han lakin unho ne waha per parda lagaya hoa ha jis se qabare nazar nai ati lakin imam ki jaga ke right side per qabar han)

Answer: Jee han, Qabristan me namaz parhna jaiz hai or namaz ho jati hai, lekin wahan namaz parhna makrooh hai.
Tafseeli maslah: Qabristan me 4 maqamat par namaz parhna makrooh hai; 1. Khud qabristani me, 2. Qabar ke samne, 3. Qabar ke upar, 4. Do qabron ke darmiyan. Ab agar do qabron ke darmiyan, qabar ke upar, isi tarah qabar ke samne namaz nahin ho rahi to ye amal makrooh nahin hai. Han! khud qabristani me namaz ho rahi hai to ye amal makrooh apni jagah baqi rahe ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
120831
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-08

Question: After how many days a man and a woman should remove his/her hair from his/her private parts? With that, if one has not removed his/her hair for quite many days, (more than the told period) is it alright to offer namaaz?

Answer: Jee nahin, baal remove karna zaroori nahin hain namaz phir bhi sahi hai. Han, albatta mardon par har 40 din baad or khawateen par har 20 din baad sharamgaah ke baal remove karna mustahab hai lekin wajib nahin.
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0504/#8632).
[Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120856
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-13

Question: Assalamalekum, fajr Aur asr ki namaz padhane ke baad Imaam Sb apna rukh namaziyo ki taraf kyu karte hain

Answer: Ye baat tu aap khud Apne imam sahab se pouch sakte hay,shayad namziyon ko waaz o naseehat or hidayat karne ke liye
[Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120858
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-12

Question: Namaz Khatam Karnay Ke Baad Teen Martaba Allah Hu Akber Kehna Kis hadees se sabit Hai ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (yani shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Hazrat Shaikh e Sadooq ba isnaad e khud safwan bin mehran jamal se riwayat karte hain, un ka bayan hai ke mene Hazrat Imam Jaffar Sadq (a.s) ko dekha ke jab namaz parh kar faarig hote the to apne dono hathon ko apne sar ke uppar tak buland karte the.
2: Aik aur Hadeen me Mufazzal bin umar bayan karte hain ke mene Hazrat Imam Jaffar Sadq (a.s) ki khidmat me arz kiya ke kis wajah se namaz guzar salam pherne ke baad teen baar takbeer kehta hai aur apne hathon ko buland q karta hai? Aap(a.s) ne farmaya: Janab e Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne jab makka fatah kiya to Aap(s.a.w.w) ne apne ashaab ke sath hajr e aswad ke pass namaz e zuhr ada ki. jab salam phera to hathon ko buland kiya aur teen baar takbeer kahi, aur kaha: (لا اِلٰہَ اِلاَّ اللّٰہُ وَحْدَہُ وَحْدَہُ وَحْدَہُ، اَنْجَزَ وَعْدَہُ، وَ نَصَرَ عَبْدَہُ، وَ اَعَزَّ جُنْدَہُ، وَ غَیْبَ الاَحْزٰابَ وَحْدَہُ، فَلَہُ الْمُلْکُ، وَلَہُ الْحَمْدُ، یُحْیِیْ وَیُمِیْتُ، وَیُمِیْتُ وَیُحْیِیْ، وَھُوَ حَیٌّ لَایَمُوْتُ، بِیَدِہِ الْخَیْرُ، وَھُوَ عَلٰی کُلِّ شَیْئٍ قَدِیْرٌ) phir apne ashaab ki taraf mutawajjeh hue aur farmaya: Har namaz e fareeza ke baad ye takbeer aur ye dua parhna tark na karna q ke jo shakhs salam ke baad aisa kare ga to salam aur us ke shukr ki taqwiyat ki wajah se us par khuda ka jo shukr ada karna tha wo us se subukdosh ho jaye ga.
3: Namaz ke salam ke baad hathon ko bulan kar ke teen martaba takbeer (Allahu Akbar) kehna taqeebaat me shumar kiya gaya hai, nah ke namaz ka juz hai.

(Ref: Masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #14, pg #356,357. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hij, Page #275).
[Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-03

Question: Kiya biwi apne shohar k samne chhoty kapre nahi pehen sakti ? Jese k tshirt ya trouser waghera

Answer: Jee bilkul pehen sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2397,2399,2400).
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121450
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-29

Question: Kya namaz main namaz k ilawa Allah ki barrhai kar saktay hain Matlab kalmat ya Allah ki Shan bayan karna ?

Answer: Jee han, namaz men kisi bhi jagah par quran parhnay, dua karne zikr e elahi karne me koi haraj nahin or namaz me kisi bhi zaban may dua mang saktay hain is se namaz batil nahin hoti lakin ehtiyaat mustahb (yani behtar) ye hai ke arabi ke alawa kisi zaban men nah ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1122).
[Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121566
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-24

Question: Aurat mobile mein kisi jaga ki namaz laga k audio k saath saath wajib namaz parhsakti hai

Answer: Aise namaz parhi jaa sakti hai, lekin makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #1311,1484).
[Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-10

Question: Asslam o Alikum Mje fiqa jafria K mutabik Beth KR 2 rkt nimaz ka treeka BTA dain

Answer: Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai keh na bethe masalan agar kharay hone ki halat mein kisi ka badan harkat karta ho ya woh kisi cheez par tek lagane par ya badan ko thora sa terha karne par majboor ho to zaroori hai keh jaise bhi ho sake kharay ho kar namaz parhe lekin agar woh kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai keh seedha (jis tarah tashhusd me betha jata hai) beth jaye aur beth kar namaz parhe.

Jo koi Al-hamd aur surah parhne ke baad khara ho sakta ho aur ruku kharay ho kar baja laa sakta ho to zaroori hai ke khara ho jaye aur qayam ki halat me ruku me jaye aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai ke ruku bhi beth kar baja laye aur ruku me is qadar jukhna zaroori hai ke us ka chehra us ke ghutnon ke bil-muqabil (saamne) jaa punchy. Isi tarah sajday me chala jaye.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #957,959,1014).
[Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121683
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-15

Question: Kya qaza namazo ki tasbeeh chori ja sakti hai?

Answer: Agar tasbeeh se aap ki muraad namaz e zuhr, asr aur isha ki teesri aur chauthi rakat aur magrib ki teesri rakat me parhi jaane wali tasbeehaat e arba hai to is ko nahin chor sakte, Han ye kar sakte hain ke teesri aur chauthi rakat me tasbeehaat e arba ke bajaye Al-hamd parh len Q wajib namaz chahe ada ho ya qaza is ki teesri aur chauthi rakat me aik dafa Al-hamd ya aik dafa tasbeehaat e arba ka parhna wajib hai. Lihaza aik dafa Al-hamd ya aik dafa tasbeehaat e arba me se kisi aik ko qaza namaz ki teesri aur chauthi rakat me bhi parhna hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #992).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121873
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-19

Question: Agar zohr ki namaz ka time nikal jaye tu asr ki namaz ky sath parh sakty hai ya nhi? Ya phir maghrib ky sath parhy?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Namaz e zuhar or asar ka waqt zawal e aftab se guroob e aftab tak hai. aur guroob e aaftaab (yani maghrib) se pehle zuhar or asar dono parhi jaa sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #718.+ link: http://www.sistani.org/urdu/qa/02699/ ).
[Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121874
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-28

Question: Agar zohr ki namaz ka time nikal jaye tu asr ki namaz ky sath parh sakty hai ya nhi? Ya phir maghrib ky sath parhy?

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121891
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-21

Question: What is Fazilat time for Zuhar and Asr according to Shia maktab

Answer: Namaz-e-zuhr ki fazeelat ka waqt, zuhar sharaei ke waqt se shuru ho jata hai aur us waqt tak jari rehta hai ke shakhis ka saya zuhar ke waqt, saat batta chaar (4/7) shaakhis ki lambaei tak barh jaye, aur behtar yeh hai ke is waqt tak ke shaakhis ka saya zuhar ke waqt, saat batta do (2/7) shaakhis ki lambaei tak barh jaye, namaz-e zuhar parh sakta hai aur is waqt se takheer nah kare.
namaz-e asar ki fazeelat ka waqt, us waqt se shuru hota hai ke shaakhis ka saya zuhar ke waqt, saat do (2/7) shaakhis ki lambaei tak barh jaye aur is waqt tak jari rehta hai ke shaakhis ka saya zuhar ke waqt, saat batta chay (6/7) shaakhis ki lambaei tak barh jaye aur behtar yeh hai ke is waqt tak ke shaakhis ka saya zuhar ke waqt, saat batta chaar (4/7) shaakhis ki lambaei tak barh jaye, namaz-e asar parh sakta hai aur is waqt se takheer nah kare.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #966).
[Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-12

Question: Salam mjhe ye janna hai kya azaaan ka wqt na mloom ho aur namaz azaan se kch minutes pahle adaa kr li jaaye anjane me toh namaz sahi hai ya phir se padhni hogi

Answer: 1: Agar namaz waqt dakhil hone se pehle parh li jaye to namaz batil hai aur waqt dakhil hone ke bad dobara namaz parhan zaroori hai.
Namaz parhne ke liye azaan ka hona wajib nahin balke jab insaan us waqt namaz parh sakta hai jab us ko yaqeen ho jaye ke namaz ka waqt dakhil ho gaya hai ya do aadil mard namaz ke waqt ke dakhil hone ki khabar de den balke kisi aise shakhs ki azaan ya gawaahi par bhi iktifa kiya jaa sakta jis ke bare me jaanta ho ke ye waqt ka bari shiddat se khayaal rakhta hai jab ke is ki baat par itmenaan bhi aaye.
2: Agar mazkurah baala kisi tareeqe se kisi shakhs ko itmenaan ho jaaye ke namaaz ka waqt ho gaya aur woh namaz mein msahghool ho jaaye lekin namaz ke dauraan use pata chale ke abhi waqt daakhil nahin hua hai to namaz baatil hai aur isi agar namaaz ke baad pata chale ke us ne saari namaz waqt se pehle parhi hai tab bhi us ki namaz baatil hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #730,732).
[Updated on 13-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122095
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-12

Question: Assalam O Alaikum Main dewbandi ho. Main Lahore mi job krta ho aor Karak si belong krta ho. Main karak gya ho 10 din k liye. Kia main safar ke nimaz parho ga? Aor kitny rakat parho ga. Aor agr pore nimaz parho to kia kabahat hai?

Answer: Namaz to har surat me parhna wajib hai lekin maslah sirf ye hai ke safar ke dauran namaz, qasar kar ke parhni hai ya poori parhni hai. Lihaza agar wo sheher aap ka watan hai phir to aap ke liye namaz poori parhna zaroori hai. Bil farz agar wo sheher aap ka watan na bhi ho phir agar insaan jis jagah 10 din rehne ka irada kare to zaroori hai ke wahan poori namaz parhay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1321,1315).
[Updated on 13-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122193
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-28

Question: I got confused whether this is my 4 th or 5 th rakat

Answer: Agar kisi ko chaar rakati namaz ki rakaton ki tadaad ke baare mein shak ho to zaroori hai ke fauran gaur o fikr kare aur agar yaqeen ya gumaan, shak ki kisi aik taraf ho jaye to usi ko ikhteyaar kare aur namaz ko tamaam kare warna un ahkaam ke mutabiq amal kare jo zail mein bataye ja rahe hain.

1. Agar kisi ko dusre sajde ke dauran shak ho ke chaar rakatein parhi hain ya paanch to ye samjhe ke chaar rakatein parhi hain aur is buniyaad par namaz ko tamaam kare aur namaz ke bad do sajde sahw baja laye.
2. Agar qayaam ke dauran kisi ko chaar rakaton aur paanch rakaton ke baare mein shak ho jaye to zaroori hai ke beth jaye aur tashahhud aur namaz ka salam parhe aur aik rakat namaz e ehteyaat kharhe ho kar ya do rakat beth kar parhe.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1186).
[Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: اگر کسی مشرق نے میرے لبار کو گیلے ہاتھوں سے چھو لیا تو کیا وہ نجس ہے اسمیں نماز ہو سکتی ہے؟

Answer: Agar wo kaafir, but parast aur mushrik ho to us ke gheele haath lagne ki wajah se libas najis ho gaya hai aur is me namaz nahin hogi, aur agar us libas ko pak kar liya jaye to usi libas me namaz parh sakte hain.
lekin agar wo shakhs kaafir e kitabi (yahoodi, christens, majoosi) ho to us ke gheele haath lagne ki wajah se libas najis nahin hoga aur usi libas me namaz parh sakte hain aur namaz sahi hogi.

(Ref: https://www.sistani.org/persian/qa/01011/#13638 ).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122322
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Kia masjid k bahir namaz hoti hai? Aksar log road par namaz parhty hain?

Answer: Sarkon, galiyon, kochon aur umomi raaston mein namaz parhna agar logon ke guzarnay mein zahmat nah ho to makrooh hai, aur agar zahmat ho to un ke rastay mein rukawat daalna Haraam hai, lekin namaz phir bhi sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #1146).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122387
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-20

Question: Wajib namaz ke 3rd or 4th rakaat me suarh fatiha k baad tasbih-e Arba ke bajaye koi or surah purhi ja sakti hai

Answer: Teen rakati namaz ki 3rd rakat me or chaar rakati namaz ki 3rd or 4th me surah al-hamed or tasbehaat-e-araba dono nahin parhni hoti balke in dono me se koi aik parhn zaroori hai, ab ya to faqat aik dafa surah al-hamed parhen ya to faqat aik dafa tasbehaat-e-araba parhen lekin behtar ye hai ke tasbehaat-e-araba teen dafa parhen.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #992).
[Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Agar koi shaks magrib ki namaz k bd so jae to kia isha ki nmaz k witar khtm ho jtay?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Maghrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs ke liye aadhi raat tak rehta hai lekin jin logon ko koi uzr ho maslan bhool jaane ki wajah se ya neend ya haiz ya in jaise dusre umoor ki wajah se aadhi raat se pehle namaaz nah parh sake hon to on ke liye maghrib aur isha ka waqt fajar tuloo hone tak baaqi rehta hai.

2: Isha ki nafila namaz yani witar ka waqt namaz e isha parhne ke baad aadhi raat tak hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #724,759).
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-16

Question: Insaan pak hokar Napak kapre pehan kar namaz par sakhta ha Q ki mene kal hi pak kapre pehne the to ab wo napak hogye ha to me gusul kar ke wo napak kapre pehan kar namaz par sakhta ha ya nhii

Answer: Namaz parhne walay ka libaas paak hona zaroori hai. lihaza agar halat e ikhtiyari me jan bhooj kar najis libaas ke sath namaz parhi jaye to namaz baatil hai. Ab agar yaqeen ho ke libaas najis hai to us libaas me namaz nahin parh sakte, Han! agar us libaas me jo najis jagh hai agar use pak kar liya jaye to usi libaas me namaz parh sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,154,156,787).
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-03

Question: aslm.o.alkum agr zalazala ho rha ho or hum namaz parh rhy ho tu according quran majeed kia hukam ha hmeyein namaz continue rkhni chye yah torh k apna ap bechana chye.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq, sharaei lihaaz se Ayatullah Sistani(d.b), ke fatawa ki roshni me sharaei masail ke jawabat diye jatay hain).

Agar is baat ka ehtemaal (chance) ke koi jagah kisi wajah se girne waali ho to aisi jagah theherna haram hai, aur agar wahan namaz parhi jaye to insaan ghunaghar hoga lekin namaaz sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #870).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122971
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: Sajdy my jaty hoy do dafa takberr perna kisa hy

Answer: Jaiz hai Q ke agar koi shakhs jan bhooj kar ya ehtiyaatan Al-hamd ya surah ke kisi hisse ya azkaar-e-namaaz ki takraar kare to koi haraj nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1123).
Note .namaz me apne traf se kise zikar (maslan allah o akbar wagaira )ko dobaar ya ziyada perhna namaz ki juz ki niyat se na ho yani is ko namaz ka hissa na samja jaay
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-03

Question: Main na pehli rakat main jo surah parhi the wohi surat dosrii rakat main dobara parh le kya is sy mare namaz par to koi faraq nai paryga?

Answer: Namaz sahi hai lekin aisa amal ajnaam dena makrooh hai(is se muraad ye hay ke sawaab kam mele ga). Han! agar surah e ikhlas dono rakaton main parhi jaye to makhrooh nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1008).
[Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123000
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-02

Question: السلام علیکم محترم. میرا ایک سوال ہے دوست کہتے ہیں کی نماز وقت سے کچھ دیر پہلے بھی پڑھی جا سکتی ہے. جیسا کہ زوال کا وقت ختم ہوتے ہی ظہر پرھی جائے. کیا احکامات ہیں. اصلاح فرمائیے گا.

Answer: Jaise hi zawal e aaftaab (yani zuhr e sharaei) ho us waqt se namaz e zuhr ka waqt shuru ho jata hai to insaan us waqt namaz e zuhr parh sakta hai aur is ke baad namaz e asr parh sakta hai. lekin zawal e aaftaab se pehlay nahin parh sakte.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #718,730).
[Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: Mera sawal ye hai Kay tajweed se namaz parhna zaroori hai or agar ab tak anjane me ap Kuch namazen tajweed Kay Sath na parhpae ho or tadat maloom na ho to uska kia hukum hai?

Answer: 1: Agar koi lafz jaan bhoojh kar ya jehle-e-taqseeri(yani aise jahalat jis me qable qabool uzur na ho) ki wajah se na parha ho ya aik harf ke bajaaye dusra harf parha ho maslan zuwad(ض) ke bajaaye zaal(ذ) ya ze(ز) kaha ho ya zer aur zabar ka is tarah khayaal na rakha ho ke ghalat ho jaaye ya tashdeed na parhi ho to namaz baatil hai aur dobara parhni hogi. lekin agar is had tak tajweed ka khayal rakha ho to namaz sahi hai.
Agar insaan ne koi lafz jis trah yaad kia ho ise sahe samageta ho or namaz me ise trah perhe or baad me ise pata chale ke isne galat perha hai tu is ke lie namaz ko dobara perhna zarori nahe .
(Namaz ) ki qiraat me huroof ko is trah se ada karna kafi jo arabo ke yaha sahe samge jaae or tajweed ki kitaboo me ilkhe ghe qawaneen ka khayaal rakhna zarori nahe (yani tajweed ki kitaboo me ilkhe ghe har aik qanoon ka kayaal rakhna zarori hai ) hay agar in huroofu ko is trah se ada kiya jaae ke araboo ke yaha sahe na mana jaae tu namaz batil hay .

2: Agar tadad maloom na ho maslan ye na janta ho ke 3, 4 ya 5 thi to agar chotay adad ke hisab se sahi qirat ke sath parh len to kaafi hai lakin behtar ye hai ke itni namazain parhen ke yaqeen ho jaye ke saari namazain parh li hain maslan agar pata na ho ke kitni namazain galat qirat ke sath parhi thein aur jabke yaqeen ho ke 10 se ziyada nahin thein to ehtiyatan 10 namazein parh len.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #987,988,1357, mujtahid se pouche ghe sawalaat hisa :2,pg no:37,sawaal no:60).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123039
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: Assalamualikum, mera sawal y hy ki, meri roz ki zuhr ki namaz qaza hojati h due to job, mn roz qaza prti hu kya rozana ka mera nimaz ko qaza prna shi nhi ya fr shi h?

Answer: Jaan bhooj kar namaz ko apne waqt pe na parhna Haram aur ghunah e kabira hai. aur namaz ko apne waqt parhna zaroori o wajib hai.
Note:aap namaz ke srif wajebaat (zarori cheze ) perh lia kare or namaz ke mustahabbaat (wo cheze jo wajib nahe hain) or azaan o iqamat or taqebaaat namaz bhe mustahab hain un ko chora jasakta hain.
(Ref: Minhaj us saleheen, Ayatullah Sistani(db), part #1, maslah #30).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123079
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-20

Question: Kia azan hone k forun baad Namaz parh sakte hai? ya jo time hoti ussi par parhni chahye?

Answer: Azaan ka hona zaroori nahin hai balke mustahab jabke Insaan namaaz me us waqt mashgool ho sakta hai jab use yaqeen ho jaaye ke waqt dakhil ho gaya hai ya do aadil mard waqt daakhil hone ki khabar den. Isi tarah agar ke kisi shakhs ke azaan dene aap ko yaqeen ya itminaan aa jaye to namaz parh sakte hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #730,903. + Istifta, https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/ ).
[Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123102
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-22

Question: AOA rafulyadain krna jaiz hai ya mansookh ho chuka hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Mustahab (sawaab ka ) hai ke namaz ki pehli takbeer (takbeera-tul-ehraam) aur namaz ki darmiyaani takbeeren kehte waqt haathon ko kaano ke barabar tak lay jaye. [yani rafa-ul-yadain karna jaiz hai aur jaiz hone ke sath sath mustahab bhi hai laikin agar na kia jaae tu namaz batil (galat ) nahe hoghe .

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #942).
[Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123107
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-22

Question: Assalamualaikum kia namazoo ko ikata parna chahye ya alag

Answer: 1: Aik waqt main 2 namazain parhna jaiz hain. yani namaz e zuhar se farigh ho kar namaz e asr ko parha jaaye aur isi tarah namaz e magharib se farigh ho kar namaz e isha ko parha jaaye. aur beshak hamary nabi(s.a.w.w) ne is tarah zuhar aur asr ki namaz aur maghrib aur isha ki namaz ko baghair majboori ke jama kar ke parha tha. lekin afzal ye hai ke tamam namazon ko alag alag un ke fazeelat ke waqt main parha jaaye balkeh awwal e waqt main parha jaye.
2: Namaz e Zuhar ki fazeelat ka waqt zawal aur shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdaar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say char 4 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai.
3: Namaz e Asr ki fazeelat ka waqt shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say 6 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai. (ye waqt os waqt ka hay jab shadeed garmi na ho aur jab shadeed garmi ho to in dono namazon ki fazeelat ka waqt shakhis ke barabar aur shakhis ki dugni (double) miqdaar ke darmiyaan baghair faaslay ke hai).
4: Namaz e Magharib ki fazeelat ka waqt us ke liye jo musafir nahin hai magharib se shafaq ke chale jane tak yani humrae magharibiya (magrib ki surkhi) aur jo musafir ho us ke liye fazeelat ka waqt raat ke 1/4 hissay tak hay.
5: Namaz e Isha ki fazeelat ka waqt shafaq ke chale jane se yani humrae magharibiya se raat ke aik 1/3 hissay tak hai).
6: Namaz e Subah ki fazeelat ka waqt fajr se lekar subah ke asmaan par zaahir hone tak hai, aur awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz parhna afzal hay. Isi tarah tamaam fazeelat ke waqton me jaldi karna pehle bataye gaye waqtoon par afzal hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #964 to 969).
[Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-22

Question: Is it necessary to read another surah after Allhamdulillah

Answer: Agar aap ka sawal eisaal e sawab ke taur par parhe jaane waale surah Alhamd aur is ke baad surah ke baare me to phir is me surah Al-hamd ke baad koi dusra surah parhna zaroori nahin hai.
lekin aap ka sawal rozana ki wajib namazon me parhe jaane waale Al-hamd aur is ke baad surah ke baare me hai to is me zaroori hai ke insaan rozaana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehle Al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat kare aur ehteyat e wajib ye hai ke aik mukammal surah ki tilawat kare.

Note: agar aap ka sawal in doi soorton ke alawa kisi aur cheez ke baare me hai to aap use waazih karen.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #965).
[Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123350
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Assalam O Alaikum Qari Shb mujhey namaz parhne mein or Quran parhne mein masla hota hai lafz sahi tarhan parhe nhi jatey boht ghlti hoti hai or us ghlti ko sahi karta hun to rakat nikal jati hai ya Salam perh liya jata hai plz meein boht pareshan hun

Answer: Aap ke zaroori hai ke aap darj zail sharaei maslon ke mutabiq amal karen.

1: Insaan ke liye zaroori hai ke namaz ki qiraat ko sahi parhe aur jo shakhs kisi tarah bhi poore surah-e-hamd ko sahi na parh sakta ho to jis tarah bhi parh sakta ho parhe jabke Al-hamd ki sahi parhi jaane waali miqdaar bhi aik qaabil tawajjuh miqdaar ho. lekin agar wo miqdaar buhut kam ho to ehteyat-e-waajib ki bina par Quran ke doosre suron mein se jis qadr sahi parh sakta ho us ke saath mila kar parhe aur agar aisa na kar sakta ho to tasbeeh ko us ke saath mila kar parhe aur agar koi shakhs al-hamd ke baad parhe jaane waale poore sureh ko na sheekh sakta ho to zaroori nahin hai ke us ke badle kuch parhe. har haal mein ehteyaat-e-ustahab yeh hai ke namaz ko jamaat ke saath baja laaye.

2: Agar kisi ko Al-hamd achi tarah yaad na ho to zaroori hai ke apni zimmay daari ada karne ki koshish kare chahe is tarah se ke Al-hamd seekh lay, ya koi use parhaye aur woh parh lay. ya namaaz-e-jamaat mein kisi ki iqtedaar kar lay ya shak ki soorat mein namaaz ko duhraa lay aur agar waqt tang ho aur woh is tarah parhe jaise ke ghuzishta masaleh mein kaha gaya hai. to us ki namaz sahi hai lekin agar Al-hamd na seekhne mein us ka apna qusoor ho to agar mumkin ho to azaab se bachne ke liye jamaat ke saath namaaz parhay.

Note: Jamaat ke sath namaz parhne ki soorat me Al-hamd aur doosra surah parhna paish Imam ki zimmay daari hai, muqtadi ki nahin balke muqtadi ke liye khamosh ho ke sunna hai, albatta Al-hamd aur doosra surah ke alawa baaqi tamam zikr jo parhe jate hain wo muqtadi ko bhi parhne hon gay. Q ke zaroori hai ke maqtadi Al-hamd aur surah ke alawa namaz ki sab cheezein khud parhe. Lekin agar maqtadi ki pehli aur dusri rakat jabke Imam ki teesri aur chauthi rakat ho to zaroori hai ke maqtadi Al-hamd aur surah bhi parhay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #984,985,1442).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-18

Question: kya namaz ma phli rakat ma surah iskhlaas prh lein or dusri rakat ma surah al kosar kya ye theek ha??

Answer: Jee yeh sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1005,1006).
[Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123459
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Assalamualaikum meraa sawaal hay k agr koi chotaa peeshaab(urine) aisi jgaa krtaa hay jhaan paani naa hoo too usk urine k ak yaa 2 drops kapdoon pe lagnain say kapday napaak hoo jaien gay un me nmaaz padhi jaa sakti hay yaa ni

Answer: Urine chahe 1 qatra hi qu na ho libas ko najis krdeti hai and uss libas k sath halat e ikhtiyari (Pak krna mumkin ho) namaz nhi hoti lekin agr uss k ilawa koi or libas na ho ya vo usi najis libas me namaz prhne pr majboor hon to namz shih shumar hogi.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 44th edition, maslah # 786,801)
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Kya mard ka namaz me satar ka Chhota sa hissa dikh Jane se namaz or wazoo dono toot jate hai? Jab ki kisi aurat ki nigaah ek hi martaba padi ho behen ya biwi.

Answer: Agar namaz ke dauraan pata chale ke namazi ki apni sharmghah barehna hai to zaroori hai ke apni sharmghah chupaye aur us par laazim nahin ke dobara namaz parhay. lekin ehteyat-e-wajib ye hai ke jab use pata chale ke us ki sharmghah barehna hai to us ke baad namaz ka koi juz anjaam na day. Aur agar use namaz ke baad pata chale ki us ki sharmghah barehna thi to us ki namaz sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #780).
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: Salam agha Sahab Mera sawal ye hai k Jo Iran or Iraq m 7 ya 9 aqeeq ki ring milti hai wo hr shakhs pehn skta hai? Or us ko pehnny k bd koi nuksan to nhi hota na?

Answer: 1: Har shakhs pehen sakta hai aur koi nuqsan nahin balke har pathar (stone) ki apni apni fazeelat hai. Albatta Mujtihideen ne namaz parhne wale ke liye aqeeq ki anghuthi (ring) pehene ko mustahab qaraar diya hai.

2: Rasool Allah(s.a.w.w) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaaya: Laal (red) aqeeq ki anghuthi (ring) pehno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat (unity) aur meri nabuwat aur Hazrat Ali(a.s) aur un ke aulaad ki imamat ka iqraar kiya. Allah ne farmaya ke jis haath me aqeeq ki anguthi (ring) hogi me aatish e jahanum me us haath ko azaab nah karon ga. Imam Ali Raza( a.s) ne farmaya yaqoot ki anghuthi (ring) pehenne se pareshani zaail hoti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #852. + Tehzeeb ul Islam, Allama baaqir majlisi, pg#32,36,38,39).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123732
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-06

Question: Age Safar ki wajah se Maghrib ki Namaz reh gai ho or Isha k Waqt Namaz ka time mily or Ap Namaz jama kr k parhna Chaho tou Pehly Maghrib Parhein gy Ya Isha?

Answer: Fiqh e Jafariyya me Zohar aur Asar ko isi tarah Maghrib aur Isha ko mila k parhna jaiz hai..
Zarori hai k Zohar k bad Asar isi tarah Maghrib k bad Isha parhi jae..
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Namaz k Ehkam)
[Updated on 07-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123747
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-31

Question: Agar koi soo raha ho to us ka peechy namaz parh sakty hai? By aaqa seestani

Answer: Jee, parh sakti hain, lekin kisi insan ke muqabil namaz parhna makrooh hai.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885).
[Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123799
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Assalam-O-Alaikum-wa-rehmatullah-e-wa-barakaatuh! Sir, mera question ye hy ke agar koi shakhs panchon waqt ki Namaz padhta ho, or wo bhi namaz ki jo sahi positions hen wo apna ke padhta ho (mislan sajde men pet or raanon ke darmyan munasib fasla ho or baazo khule hue hon, or rukoo men peeth bilkul seedhi 90° ka agle bnay tangon ke sath etc) or poore din men wazish/excercise ka bas yahi kaam kre, to esay shakhs ki warzish/excercise us shakhs ki nisbat kitni hogi jo aadha ghanta daily paseena bahanay wali warzish ya walk krta ho? Kya namazi ko jismani lihaz se ziada faida hoga ya khule men paseene wali walk/excercise krne wale ko?

Answer: Namaz prhne wale k lie zarori hai k namaz qubatan ilallah ki niyyat se prhe yaani Parwrdigar e Alam ki bargah me pasti o khuzo k izhar k lie namaz prhe.
Agar koi namaz excercise krne k lie prhe to usski namaz batil hai..
Albatta namaz se jismani fawaid bhi hasil hote hai lkn zarori hai k niyyat faqat Allah ki riza hi ho.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 930)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123802
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Namaz me mard ka kitna parda hona chae hai

Answer: Zarori hai k mard chahe use koi na bhi daikh rha ho namaz ki halat me apni sharamgaho ko chupae or behtr yh hai k naaaf se ghutno tak badan bhi chupae..
Albatta mukammal,saaaf o pakiza, khushbodar libas k sath namaz prhna mustahab hai..
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 776)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125571
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-03

Question: Aurat ka buland awaz se naamaz parhna jab ke ghr main koi namehrm na ho . Kia isse namaz batil hai?

Answer: 1: Mard aur aurat dono par ehtiyaat ki bina par wajib hai ke namaaz-e-zuhr aur aser mein Al-hamd aur surah aahista parhen.

2: Agar na mehram wahan maujood nah ho to Subh, maghrib aur isha ki namaz mein aurat Al-hand aur surah buland ya aahista awaaz mein jaise chahe parh sakti hai. lekin agar na mehram us ki awaz sun raha ho aur kaifiyat ye ho ke use apni awaz sunana haraam ho to zaroori ke aahista parhe. aur agar jaan bhoojh ke buland awaaz se parhe to ehtiyat e wajib ki bina par namaaz baatil hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #979,981).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125718
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Ma janna chahta hun k kia Pyshab ka zoor ho or us k bawajud namaz peh sakty hain ya nai.

Answer: Namaz parh sakte hain lekin namaz se pehlay peshab karna mustahab hai. Albatta peshab rokna makrooh hai aur agar badan ke liye muzir ho to haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #78,79).
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-05

Question: Assalam O alaikum.. Mera sawal ye hai k darwazay ki chokhat pe namaz parh sakty hain.. Jahan kamry mai jany ki guzargah hoti hai. Kindly tell me..

Answer: Parh sakte hain. lekin darwazay ke saamne namaz parhna isi tarah logon ke guzarnay ki jagh pe namaz parhna makrooh hai aur agar aane jaane walon ke liye zahmat ho to un ke rastay mein rukawat daalna Haraam hai, lekin namaz phir bhi sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #1146).
[Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Assalam o alikom Kia ramzan ma Ghar par fajar ki namaz par Sakta ha .Kia Ghar par namaz parna SA rooza par koi farq to nahe para ga.

Answer: ghar me namaz parh sakte hain, aur rozay ke hawale bhi koi haran nahin, roza sahi rahe ga. lekin mustahab hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid me jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke parhoos me rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-12

Question: Agr shor bivi se hambistri na kry sirf apna penis bivi kay munn main daal k nikal ly to kia bivi is surat main mun dhoo k namaz parh skti hai ?

Answer: Agar hambistri nahin huei to pe biwi pe ghusl wajib nahin hoga. Agar monh ka androni hissa najis ho jaye to nijasat ke door ho jane se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zarorat nahin hoti. aur namaz parh sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #344,348. + Tauzeeh ul masail Jaame, part #1, maslah #237).
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126034
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Fajar ki namaz ke bad kab tak jagna zaroori he

Answer: Jee, jagna zaroori nahin hai, Albatta riwayaat men waarid hua hai ke namaz e fajr ke waqt se sooraj nikalne ke darmiyan dua or ibadat men mashgool rehna mustahab( acha ) hai.

(Ref: kitab masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #36, pg #379,380,381).
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-14

Question: Bena taraweeh ke namaz roza ho sakta hai ya nahi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Or fiqhe jaferia ke mutabiq bina tarawee ke namaz roza hosakta hay.
[Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126131
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Agar billi ka ziada bal kapron pr lagay hon to namaz hojaigi?

Answer: Agar libas par billi ke itne kam baal hon jisay nah hona shumaar kiya jaye jaisay k 1 ya 2 ya 3 baal maujood hon to namaz durust hay. lekin agar ziyada baal libaas par hon to namaz nahin hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #995).
[Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Kya mustahab namaz k darmiyan sajde mai zikr count karne k liye hatheli utha sakte hain?

Answer: Nahin utha sakte Q ke Namaz main sajday ki halat main wajib hai ke 7 aazah zameen par rakhay jain. 1. Peshaani. 2,3. Dono hatailiyaan. 4,5. Dono ghutnay. 6,7. Dono poun (legs) ke angothay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 1032).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print