Showing 0- 50 questions from 138 questions on this page.
Question: Is namaz e jumma wajib in this period(during gaibat)????
Answer: It is Wajib-e-Takheeri (Optional).
Question: Is namaz e jumma wajib in this period(during gaibat)????
Answer: It is Wajib-e-Takheeri (optional).
Question: asslamo likom. namaz e joma key bad zoher ki namaz parni chaey ya nahen. agr parni cheay tu iss ki neayet keya ho ge. walikomsalam. hamid shah
Answer: Agar Namaz-e-Juma ki tamam sharait maujood hoon aur phir juma ki namaz parhay to phir ye Namaz-e-Zohar ki kifayat karti hay.(yani Zohar parhna zaroori nahi hay)Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.720.
Question: SALAM KIA JUMA NAMAZ PHARNA WAJIB HAI OR KHUTBA SUNE K KIA EHKAM HAI TAI PHANA HARam hai ya nahi
Answer: Ghaibat e Imam(AS) kay zamanay main Namaz-e-Juma Wajibe-e-Aini nahi hay,balkay Wajib-e-Takheeri hay.Is se muraad ye hay kay Juma kay din mukallaf ko Ikhtiyar hay kay Agar Namaz-e-Juma ki Sharait maujood hoon to Juma ki Namaz parhay ya Zohar ki Namaz parhay.Lihaza Agar insaan Juma ki Namaz parhay to wo Zohar ki Namaz ki Kifayat karti hay.(Yani phir Zohar ki Namaz Parhna zaroori nahi hay)...Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay...Tie pehenna bazaat-e-Khud Haram nahi hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.722,720...Book-2 Q.No.185,Pg.185.
Question: aok, if a person wants to offer jumma as well as zohar prayers then what will be his niyat for both zohar and jumma prayers?
Answer: Agar Namaz-e-Juma apni tamam sharait kay saath ada ki ja chuki hay to zohar ki namaz parhna jaiz nahi hay...Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720,I-23.
Question: asslamo likom. app ney ik sawal key jawab mey kaha,(key ager joma ki namaz ki tamam saraid mojod hon). baraey karm. keya app wo sharaet bata saktey han walikom salam . hamid...madina gujrat
Answer: Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720.
Question: asslaam-o-alikum agar namaaz-e-jumma ko wabib-e-tehreemi perhain (jaisa ky ayatullah seestani ki tozeh main likha hy) to zoher ki namaaz ko sunnat ki neyat say perhain ya wajib ki. 2nd Q. namaaz-e-jumma main aik masjid say doosri masjid mian kitna fasla hona chahey.
Answer:
1. juma (friday) ki namaz wajib-e-takhyeeri hai. lihaza agar namaz-e-juma ki sharait (conditions) maujood ho to juma ki namaz parhay. aur agar insaan juma ki namaz parh lay to phir zuhar ki namaz parhna wajib nahi hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 720.
2. juma ki 2 namazon kay darmiyan 1 farsakh (means 5.485km or 3.409miles) se kam ka fasila nahi hona chahiyeh. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 720.
Question: Q.1- Agar main Naamaz-e-Jumma agar wajib-e-tehremi ki neyat say perta hoon to zoher ki namaaz sunnat ki neyat say perhoon ya farz ki. please jawab jald dain. shukriay
Answer: B.T. jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
Question: agar masjid jaymusalla ho awar loogon ke tadad bhe kam ho awar dosre masjid bhe 100 meter kay fasilay per ho to kya nimaz jumma she towr par ada hojayge ya nahi
Answer: bismehi taala, jume ki do namazo k darmiyan ek farsakh se kam phasela nahi hona chahiye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 720)
Question: jummey ke khutbey main bhetney ka kia tarika hai
Answer: bismehi taala, Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.742) (bethney k liye koi makhsoos tariqa zaroori nahi he)
Question: Asalam Elekum Juma ki namaz na parhna, ghar per bhtey rehna, kia 3 juma na perhna tajdid e iman krana perhta hey.
Answer: w.s., jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
Question: Hazrat Zain-ul-Abideen(a.s) nay namaz-e-juma parhne walay ko malamat ki hai. Bcoz ye haq IMAM ka hai .. and I have never seen Hazrat Sistani or Hazrat Khamanie k wo Juma ki namaz parhye ho. What is the reason then ?
Answer: bismehi taala, masoomeen alhemus salam ki janib se ham par kya zimmedari ayed hui he is ka tayyun sab se ziyad ilam rakhne wala jameush shrayet mujtheed hi kar sakate he, aur wo ham se yaqeenan seerate masoomeen alhemus salam se ziyada waqif he, jahan taq marajeen ki namaze juma ka talluq he to aap iran k televisions par Aytullah Khamenei ki namaze juma ko mushaheda kar sakte he. namaze juma k mutalliq Aytullah Seestani farmate hain: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
Question: Salam Agar ek shaks ko namaz jamat per etraz hy tu woh uc jamat ma namaz parh sakta hay ya nahe. uc shaks ka kahna hay ke ma neyat furada ke karta hun or jamat ke sat namaz parta hun or woh namaz juma hay aya woh thek karta hay ya nahe. Talib e dua. Syed Khawar Abbas Zaidi
Answer: w.s. namaze juma ke sahih hone ke liye jamat ke sath padhna zaroori he, ise furada ada karna sahih nahi. (tawzihul masail Aytulla Sistani (d.b.) masala no.720)
Question: Assalam O Alaikum, 1. Namaz-e Jumma farz hai ya nahin?
Answer: w.s. namaze juma dore hazir me wajibe takhyeeri ha, is ka maani hain k jume k din mukallf ko ikhteyar he ko wo namaze juma padhe ya namaze zohar.(ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamenai (d.b.) page no. 173)
Question: Mera sawal ye he ke namaz e juma farz he ya mustahab agar farz he to mustahab ki niyat se kewn parte hen agar mustahab ki niyat se parte hen to imam ke farman ki nafi karte hen. to is surat men juma ki namaz parni chahye ya nahi.
Answer: bismehi taala, jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)shariyat ne kis masle me kiya hukam lagaya he yeh Quran aur farameene Masoomeeen alhemus salam k sab se bade janne wale mujatheede aalam hi bata sakata he, ham faqat ek ya do hadees ko padh kar yeh jane bagair k is ke alawa digar ahadees kaya kaheti hain, in hadees k rawi kon he, riwayat k alfaz kya hain, yeh sab kuchh jane bagair yeh nahi keh sakte k Imam alhis salam ka kaya hukam hain, gaybat k jamane me hamari zimmedari mujthide aalam k fatwe par amal karna he, chunke mujthide aalam Imam alhis salam ki tarf se ham par hujjat he.
Question: Assalamulalikum, Jume ki namaz imam ne wajib ke hai magar is dor me wajbe tekhyeeri kis ka hukm he kewnke imam ne to iski wajib qarar kia he agar imam ke farameen ko koi badal de to wo gunnah kar raha he. Men sirf ye pochna chahta hon ke wajbe takheeri kis ka hukm he. shukria
Answer: w.s. shariyat ne kis masle me kiya hukam lagaya he yeh Quran aur farameene Masoomeeen alhemus salam k sab se bade janne wale mujatheede aalam hi bata sakata he, ham faqat ek ya do hadees ko padh kar yeh jane bagair k is ke alawa digar ahadees kaya kaheti hain, in hadees k rawi kon he, riwayat k alfaz kya hain, yeh sab kuchh jane bagair yeh nahi keh sakte k Imam alhis salam ka kaya hukam hain, gaybat k jamane me hamari zimmedari mujthide aalam k fatwe par amal karna he, chunke mujthide aalam Imam alhis salam ki tarf se ham par hujjat he.
Question: SALAMWALEYKUM,MERA SAWAL YEH HAI KI HAMJUME KI NAMAZ ADA KARTE HAI USKE BAD JOHAR KI NAMAZ WAJIB KI NIYAT SE[FURADA] ASR KI NAMAZ HAM KIS NIYAT SE PARLHE GE.
Answer: w.s., jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)(namaze asr to wajib ki niyyat se hi padhni hogi)
Question: mere job ke vajase juma ki namaz nahi ho rahi hai kya mera liya wo job sahi hai? mai 2 mahenia se yeh job kar raha hoon aur meri 8 juma ke namaz nahi hove hai.
Answer: bismehi taala, namaze juma me shirkat karna sawabe azeem ka baes he aur agar is me namaze juma ki sari sharayet majood ho to phir zohar padhne ki zaroort bhi nahi raheti. lekin b-har-hal is ka wujoob takhyeeri he, taayyoni nahi. (yaani aap ko ekhteyar he k is me shirkat karain ya zohar ada karain). (ref: www.qoitrat.org/Books/book3/p36)
Question: Aslam kya hum us masjib may jumeh ke nemaz ada karsakte hain jaha panch waqat ki nemaz nahe honti hai khali 2 waqat ke he hote hai
Answer: w.s., agar namaziyo ki taadad imam ko milakar kam-s-kam panch ho aur dusri namaze juma qaim hone ki jagh aur is masjid k darmiyan ek farsakh ka fasela ho to ho sakti he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.720)
Question: agha sawal yai hai kai namaz-e-jumma ka asal waqt kab sai shoro hota hai aur kab tak rehta hai? tafseel sai jawab dain
Answer: Namaz-e-jumma ka asal waqt Zawaal e Aaftaab(awal waqt e zuhar) say shoro hota hai aur insaani qad(hight) k saya(shadow) k 2/7 honay tak rehta hai.(ref: Ayat ullah Khamnaie (D.B),Tazee hul masail,maslah # 641)
Question: agha sawal yai hai kai namaz-e-jumma ka asal waqt kab sai shoro hota hai aur kab tak rehta hai? tafseel sai jawab dain
Answer: namaz-e-jumma ka waqt bohat qaleel hay.is ka awal waqt ye hay k jab awam ki nazar main zawaalay aaftaab hojaay.or jab bhi is waqt say takheer hojay to phir zarori hay k namaz e zuhar ada ki jay. ). (Ref: Ayat ullah Seestani(D.B) tauzee hul masail maslah #720.)
Question: namaz-e-jumma kai waqt ka aghaz aur ikhtitma ka waqt bayan kar dai? tafseel kai sath
Answer: Namaz-e-jumma ka waqt zawaalay aaftaab say shoru hota hay or insaani qad k saya k 2 /7 honay tak rehta hay.or jab bhi is waqt say takheer hojay to phir zarori hay k namaz e zuhar ada ki jay.)Ref: Aytullah Khamnaie (d.b.) tauzee hul masail maslah #641.)
Question: Namaz-e-Juma wajib hai ya sunnat , Ya farz, aur namaz-e-juma kay baad kiya namaz-e-zuhr parhna wajib hai aur kitne raqt parhna hai. Ya namaz-e-Zuhr nahi parhne hai.
Answer: Namaz jumma fajar ki tarah 2 rakat he. Aur Jumma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Howmany rakats are joma pray?
Answer: Jummay ki namaz subah ki tarha 2 rakaat hein. farq ye he k jummay ki namaz me namaz se pehlay do kuthbay hotay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha khoei (r.h.) Masla # 740) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam,in pakistan jummah prayer starts at 1:30 to 1:45 pm is this time is correct for this prayer we have to wait for 20 minutes is this prayer is valid or invalid.
Answer: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi he. Pas jab bhi is se takheer ho jay is ka waqt khatam ho jata he.aur phir zurari he k zohar ki namaz parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sahife kamela main safa no.363 par 4the Imam farmate hai ki ye maqaam namaze juma hamara haq hai jisko tune hamare liye khaas kiya tha aur logo ne ise cheen liya jab imaam dua me keh rahe hai ki ye mansab hamara hai to ye namaaz padhane ka haq sirf Imaame Zamana ko hai,aur kisi ko ye haq nahi ?????????
Answer:
jummay k din insan zuhar k badlay 2 rakat namaz e jumma perhsakta hay laikin behter ye hay k namaz e jumma perhay or ehtiyaat e mustahab ki bina per namaz e zuhar bhi perh lay or ye ehtiyaat bohat matloob hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha khumeni (d.b.) masla # 733).
Note: zarori hay k aap apnay mujtahid k fatway k mutabiq amal karain.in jaisi ahadees ka matlab ye nahi hay k namaz e jumma perhna haram ho.balkeh in ahadees se muraad ye ho k jumma imam(a.s) ka haq hay or bano umayya or banu abbas jaisay zaalim hukmaraan namaz e jumma ki imamat karain.is ko daikh ker imam(a.s) ka dil dukhta ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: What is the niyat of Jummah prayer? What is the niyat of before and after 2 rakat fraz of jumah sunnat?
Answer: Zarori hay k insane namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 4 rakat namaz e zuhar perhta hon qurbatan illal laah {ya maslan 2 rakat namaz e jumu’ah perhta hon qurbatan illal laah}.(Ref: seestani d.b, tauzeehul masa’il maslah # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aap nay farmaya namaz-e-juma wajib--e-takhiri hai... kiya koi fail takhyiri bhi hota hay isay ahadis ki ro say prof karen...
Answer:
Jee haan. islam main kuch amaal aisay bhi hain k jo takhyiri(optional) hain.maslan
1) ramzan k wajib rozay torhnay ka kaffarah main zarori hay k aik ghulaam ko azaad kia jaay ya 2 mahinay k rozay rakhay jain(jin main say shuru k 31 raozay lagataar rakhna zarori hain) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaya jaay ya 60 faqiro main say har aik ko ¾ kilo khana(yani aata, roti waghaira) day.
2)qasam k torhnay ka kaffarah ye hay k aik ghulam azaad karay ya 10 faqiro ko pait bhar k khana khilaay ya unhain kaprhay pehnaay or agar in amaal ko injaam nah day sakta ho tu zarori hay k 3 din musalsal rozay rakhay. .(Ayat Ullah Seestani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1632, 2633).
Question: namaz-e-eid aur juma k baray mian mutadad ahadis rawayat hoi hain k is namaz k parhanay ka haq sir IMAM -E-MASOOM ka ha? aap bataeen is ki rad mian dalil ...
Answer: Namaz e eid aur namaz e juma imam e zamana(a.s) ki maujodgi main wajib hain.or in ka jama’at k saath perhna zarori hay.laikin hamaray zamanay main jab keh imam asr(a.s) ghaibat main hain,tu namaz e eid mustahab hain or jama’at wa furadah(akailay) dono terah perhi jasakti hain) or namaz e juma imam asr(a.s) ghaibat main wajib e takhyiri hay.is say muraad ye hay k juma k din ikhtiyaar hay agar namaz e juma ki shara’it maujood hoon tu juma ki namaz perhay ya zuhar ki namaz perhay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), maslah #720,1497).
Question: namaz e juma ki neeyat
Answer:
jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he ke agar namaz e juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lay haza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he).
Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir main pochna chata ho k nimaz e juma main nimaz e juma ki hi niyat karain gain. tu kia nimaz e zohar parhna lazmi nahi hai.tell
Answer: Agar namaz juma ki shara,it maujood hoon to ikhtiyaar hay k juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain layhaza agar insan jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahi ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jume ki namaz ke liye kisi villege ya dehat me kin-2 sharto ka hona jruri hai? yah ek hafiz ne kaha tha ki jish basti mai bus stand,raiway stand , tahsil ,kbristan aur aabdi ho usi basti mai jume ki namaz ho sakti hai
Answer:
Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka daakhil hona,jo k Zawaal-e-Aaftaab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zarori hay k zohar ki namaz ada ki jaay.
2:Namaz parhnay waloon ki tadaad jo k Imam e jama’at k saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan jama na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti.
3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti.
Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain .
1:Ba-Jama’at parha janay.
2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna.
3:ye k Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 Kilo Meter ka fasla maujood ho.) (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.720.)
Question: kiya aurat per namaz e juma aor eid ki namaz parhna lazim hey hanfi maslak me
Answer: Sorry. Is web-site per fiqh e jaafriya(shia) k mutabiq jawabaat diay jatay hain
Question: kia koi adami namaz juma ghar mein ada ker sakta hai.aur iss ke niet ka teriqa be .
Answer: Jumma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein jin me se aik jumme ki namaz ka baa jammat perhna zurari he, dosri shart namaz e jumma se pahle 2 khutbey, tesri shart jumma ki 2 namazoon k dermian aik farsakh se kam ka fasla na ho. Is k alawa jumma namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k sath 5 afrad he aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
Question: kya namaz-e- jumma kai baad 4 farz zohrain nahi parhne chaye
Answer:
Ans : agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insane jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin )
(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
Question: Assalamualaikum i hear that jumma ki namaz ke 14 sharayat hai can i know what are that sharayat
Answer:
jumma ki 14 shariat nahi hein. Juma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein :
1) Juma ki namaz ka baa jammat perhna zarori he. Juma ki namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k saath 5 afraad ho. aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti.
2) Namaz e juma se pehle 2 khutbey perhain jay.
3) Juma ki 2 namazoon k dermiyaan aik farsakh se kam ka fasla na ho.
(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namze juma farz hai ya wajib
Answer: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistani d.b. masaala no. 720)(namaze asr to wajib ki niyyat se hi padhni hogi) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: juma namaz wajib ki niyat se parhna kesa hai ?
Answer: agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insane jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
Question: salam:nimaz-e-juma farz hai ya wajib explain karain
Answer:
1)Wajib or farz ka matlab aik hi hota hay. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479).
2) Jumma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ha k agar ap safar kr rahain hain to juma ke namaz parahin gain ya zohar ke namaz or agar ap ka pass time ha to sunnat or nawafal parh saktain hain
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1) Musafir k lie namaz e juma main shirkat wajib nahi he. Chahay wo musafir aisa ho jis ki zimadari puri namaz parhna ho jaisay wo musafir jis ne kisi maqam per 10 din thehernay ka irada ker liya ho.yani os ko jumay k din ikhtiyaar hay k jumay ki namaz perhay ya zuhur ki namaz perhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720-21).
2)zuhor or asr k knawafil safar main nahi perhni chahiay or agar isha k nawafil rija(yani kisi amal ko matloob e khuda honay ki ummeed main anjaam daina) ki niyat se perhain tu koe haraj nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 755). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: is juma namaz farz,wajib or sunnat?....and why?
Answer:
wajib aur farz me farq :
1. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479).
2. Juma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se muraad ye he ke juma k din mukallaf ko ikhtiyaar he k agar namaz juma ki shara’it majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain layhaza agar insaan juma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zarori nahi ) (ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (tamam ibadaat kurbat ki niyat se anjam de jati hein.).
Question: Namaz e Juma k sharaait kis hadees men hen wo references chahye
Answer: jumma ki 14 shariat nahi hein. Juma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein : 1) Juma ki namaz ka baa jammat perhna zarori he. Juma ki namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k saath 5 afraad ho. aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. 2) Namaz e juma se pehle 2 khutbey perhain jay. 3) Juma ki 2 namazoon k dermiyaan aik farsakh se kam ka fasla na ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jumay ki neyat batien? tafseel kay saath
Answer: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he ke agar namaz e juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lay haza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jumma ke din kitni rakat padhni chahiye aur kaun kaun si pls batao
Answer:
jume ki namaz wajib e takhyiri he. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz layhaza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he).
Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salawale kiun, i read some books and find that namaze juma is not vlid in the absent of Imame Zaman. the writer gave some proof from the hadis?
Answer:
jummay k din insan zuhar k badlay 2 rakat namaz e jumma perhsakta hay laikin behter ye hay k namaz e jumma perhay or ehtiyaat e mustahab ki bina per namaz e zuhar bhi perh lay or ye ehtiyaat bohat matloob hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha khumeni (d.b.) masla # 733).
Note: zarori hay k aap apnay mujtahid k fatway k mutabiq amal karain.in jaisi ahadees ka matlab ye nahi hay k namaz e jumma perhna haram ho.balkeh in ahadees se muraad ye ho k jumma imam(a.s) ka haq hay or on k hotay hoay bano umayya or banu abbas jaisay zaalim hukmaraan namaz e jumma ki imamat karain,tu is ko daikh ker imam(a.s) ka dil dukhta ho.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamo alikum..agar juma ki pehli rakat choot gayi ho to kya karna chahiye???
Answer: Jab muqtadi namaz e jumma ki doosri rakat k rukhu se pehlay imam k sath shamil ho jay to oski namaz sahi he aur wo os k baad aik rakat furada(akailay) parh le ga aur agar doosri rakat k rukhu me shamil ho to ethiyaat e wajib ki bina per is namaz e jumma per iktefa nahi kar sakhta aur zarori he k zohor ki namaz parhain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 124) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr jume ki namaz hum wajib ki niyat se padh le to kya hm iske baad zohar ki namaz bhi wajib ki niyat se padh sakte hain...
Answer:
jume ki namaz wajib e takhyiri he. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait mawjood hoon to jume ki namaz pehay ya zohar ki namaz perehay hayhaza agar insan jume ki namaz{wajib ki niyat se} parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he
(yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jummah kin logon pe farz nahi he
Answer:
Chand afraad per namaz e jumma me shirkat karna wajib nahi he.
1. Aurat
2. Ghulam
3. Musafir
4. Bimaar, nabina aur barhay afraad
5. Aisay afraad jin ka faasla qaim shuda namaz e jumma se 2 shrie farsakh(11 km) se ziyada ho
6. wo ifraad jin k lie juma ki namaz me barish ya sakth sardi waghaira ki wajah se hazir hona zehmat ya takleef ka baaes ho.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 761) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: juma ki namaz me kitne rekat hoti hai (yani ki kitne sunnat, farz nafil etc.)
Answer:
jumma ki namaz subah ki nmaz ki tarah do0 rkat hai, us men or subah ki nmaz men farq ye hai k juma ki nmaz se pehle do khutbe hote hen, juma ki nmaz wajib-e-takhyeeri hai us se murad ye hai k jumma k din mukallaf(nmaz parhne wale) ko ikhtiyar hai k agr nmaz ki sharait mojud hon to juma ki nmaz parhe lehaza agr insan jume ki nmaz parhe to wo zuhr ki nmaz ki kifayt krti hai (yani phir zuhr ki nmaz parhna zaruri nahi hai),
or jume k din zuhr or asar ki mila kr 16 rkat pr 4 rkat ka izafa hojata hai or behtr ye hai k 8 zuhr ki 8 asar ki 4 jume ki , jin ki tadad 20 tk hoti hai puri ki prui zawal se pehle parhi jaen siwaye 2 rkat k k jinka zawal se pehle parha jana brehtr hai.
(Ref: Tozeeh-ul-Masaail, Ayat-ullah-Sistani (d.b), 31th Eddition, Pg#123-130,Masla#720-752)
(Khuda Ap ki tofeeqat men izafa frmaye)
Question: IK MASJID KA DOSRI MASJID SE FASLA 5KM AUR 200METRE HAI JABKE FASLA SARAY 5KM HONA CHAIY TO KIA IN DONO MASAJID MAIN NAMAZ JUMMA KI ADAIGI HO SAKTI HAI
Answer:
Jume ki namaz k sahi hone ki chand sharten hen.
1.Bajamat parha jana.
2.Namaz se pehle do khutbe parhna,
3.Jumme ki do namazon k drmiyan 1 Farsakh(tqreeban 51/2 kilometers) se kam fasla na ho, bs jab jume ki dusri namaz 1 frsakh se kam fasle pr qaaim ho or do namazen ek hi wqt men parhi jaen to dono batil hongi or agr ek namaz ko dusri namaz pr sabqat hasil ho(mtlb ek wqt k etbar se pehle ho dusri bad men) chahe tkbeerat-ul-ahraam ki had tak hi q na to wo namaz jo wqt k aytbar se pehle hui hai sahi hogi or dusri batil hogi(leikn ye us wqt hoga jab dono namazen sahi or tmam sharton k sath ada horahi hon albatta agr aysa na ho to dono men se jo namaz sahi or mukammil sharait k sath ada ki jarahi ho wo hi sahi shunmar hogi chahe wo wqt k aytbar se bad men hi ada ki jarahi ho).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 720).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).