Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz-e-Juma (135 Questions)


Showing 100- 135 questions from 135 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
110709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-09-29

Question: نماز جمہ سے پہلے ظہر کی نماز پڑھنا واجب ہے اور جمہ کے بعد عصر کی نماز بھی فرض ہے

Answer: Is zamane main namaz e juma wajib e takhyiri hay. yani juma or zuhur k darmiyan ikhteyaar hay keh jise chahay perhe, albattah juma afzal hay or zuhur ahwat(Ehtiyaat ki bina per) hhay or ziyada ahwat ye hay keh namaz e juma or zuhur dono perhi jaen, namaz e juma perhne wale se alal aqwaa namaz e zuhur saqit ho jaati hay. Laikin ahwat yehi hay keh namaz e zuhur ko juma k baad perhna cchhahiay or namaz e juma, namaz e subah ki tarah 2 rakat perhi jaati hay.(Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 3154).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110802
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-18

Question: AsSalam Alaikum Aagha se mera sawal ye hai ki Jis aalim ki namaz Qasr ho Kiya woh Namaz e Juma ki Imamat kar sakta hai ?

Answer: musafir aalimedeen namaaz jumua ki imaamat ke faraaiz anjaam desakta hay. or namaz jumua ki jamaat qaaim hone ke lie kam as kam 5 musalmaan mardo ka hona zarore hay or musafir ke zarea 5 louqo ki taadaat ku pura nahe kia jaaega ,(Ref:sistani.org,farsi,topic: namaz jumua,que no:7,tuziulmasail jame aqa sistani,urdu, masla no:1788,1798)
[Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
111941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-12

Question: Asalamo alykum Mera sawal ye h ki agar hum kissi wajah se Juma me shamil nhi ho skte to kya Namaz-e-Zohar buland awaaz se padhna h

Answer: jume k din zuhor ki pehli do rakaat ko buland awaaz se perhna mustahab hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#617, eidition 1439).
[Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-19

Question: agar jumma ki namaz qurantine me rhen ki waja se na parhi jae to kia zuhr parh saktey hn ? hadith or Quran ki roshni me Jawab dijeya

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jume k din ikhteyaar hay k agar namaz juma ki shariat majood hon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain. Jume ki namaz ko chorhna gunah nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullaha sistani (d.b), maslah #720)
(Note: Agar jume ki namaz na parhi ho to namaz zuhr hi parhi jaye gi,)
[Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112351
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: AoA Question: kia Jummah ki 2 rekat Nmaz parhny k bad zohr ki b namaz parhna zrori h plz details k sath batiey Ga.

Answer: Namaz jumma fajar ki tarah 2 rakat he. Aur Jumma ki namaz wajib e takhyiri (optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.) Editon 41st, maslah #720).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-08

Question: AssalamoAlaikum mn kpk ka rehny wala hon mn karachi aya hn 10 din k leye yaha chavho k gar rehny to kia mn ba jumat nimaz ada karon ya safar ke nimaz jo 2 rakat hai.wo adha kron or agr mn 10 din se zyada raha to kia per puri nimaz adha kronga?

Answer: wsalam.
jumma namaz wajib e takhyeeri hai yaaney aap ko iktiyaar hai chahay tou zohar parhein ya namaz e jumma. Agar aap ka 10 din rehne ka irada hai or deegar tamaam sharait bhi poori hai tou aap ko namaz poori parhni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 720 and 1321).
[Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112610
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Assalamu o Alaikum, mien Agha sistani Ka follower hon. Kiya jumay ki namaz wajib hai. Mien nay last one year say nai perhi Kiya koi kaffarah pah kerna hoga

Answer: 1: Imam (a.s) ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhtiyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood hon to jume ki namaz parhain ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain. 1, Waqt ka dhakil hona, 2. Namaz parhnay walon ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hon. 3, Imam ka jamia sharait imamat hona. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain. 1, Ba-jamat namaz parhna. 2, Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna. 3, Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho.
2: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hay or awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwajuh hay k agar khutba 40 mint ka ho or phir foran baghair faasly k namaz e jumma tamam sharaet k sath baja laen to wo namaz sahi or kafi hay or namaz e zuhur parhany ki zarorat nahi hay or agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaye to ehtiyaat ki jaye or ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laaen, or agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hay or zuhur ki namaz bhi parhana hogi, or os k baad asar ki namaz ada ki jaye.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh ul masail, maslah #722,720)
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/25586/ ).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113564
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Asalamu alaikum agr koi shaks bina user k ghr ma namaz jumma pade uske liye kya riwayat ha

Answer: Jee nahin, Namaz e juma furada( jamat ke bager) nahin hoti. Is k alawa Jumma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hen jin me se aik shart yr hai ke jumme ki namaz ka baa jammat perhna zarori he, dosri shart namaz e jumma se pahle 2 khutbey, tesri shart jumma ki 2 namazoon k dermian aik farsakh(taqreeban 5/2 kilometers) se kam ka fasla na ho. Is k alawa jumma namaz parhnay waloon ki taadat jo k imam k sath 5 afrad he aur jab tak 5 afrad jama na hon jumma ki namaz wajib nahin hoti.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition #42, maslah #720).
(Note: In sharait ke bager namaz juma sahi nahin hogi ).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113583
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Mera sawaal yeh hy ky, agr insaan ghr sy wuzu kr ky masjid ki taraf rawaana ho aur masjid my jaaty he wuzu toot jaye aur agr masjid my wuzu krny ki ijaazat na ho ( ajkl corona ki waja sy ijazat ni hai ) kia insaan namaaz( Jummah) pr skta hai ky ni ? Kyun k ghr bi door hai aur my Germany my rehta hun.

Answer: Jee nahin, Wuzu ke bagair namaz ada nahin ki ja sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #315,322)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-17

Question: agar juma ki namaz nahi hoti to zohar bazamat padh sakte hai

Answer: Agar jumme ke din namaz e jumma nah parhi ho to zuhur parhna zarori hai.or namaz zohar ko jamat ke sath perh sakte hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #720,1380).
[Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114736
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Kya hum jummay Kay din Aza Kay foran bad he namaz zohr or asar padh saktay hay ghr pay, females.

Answer: Jee han, Parh saktay hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #721).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-27

Question: ٱلسَّلَامُ وَعَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ ٱللَّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ Kya Juma ke din Zohar ki azaan se pehle 4 sunnat adaa kar skte hai. ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Fiqh e jafaria main Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jumme k din k ilawa 34 rakat hain jin me se 8 rakat zohar ki (jo zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen) or 8 rakat asar ki (jo asar se pehle parhi jati hen) laikin Jumme k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai ke ye poori ki poori 20 rakatain zawal (yani azan) sai pehlay parhi jaen siwaye 2 rakat ke jin ka zawal k waqt parhna behtar hai or 4 rakat magrib ki (jo maghrib ke bad parhi jati hen) or 2 rakat isha ki (jo esha ke bad beth kar parhi jati hen) or 2 rakat namaz subha ki (jo fajar se pehle parhi jati hen) or 11 rakat namaz shab ki hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752).
[Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116213
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-07

Question: Assalamualaikum masla yeh hy k Jumma kis Trah ki masjid main ho sakta hy Maslan koi ilaqy ki shart hoti hy ya logon ki quantity.... Vaghera

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Imam (a.s) ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din namazi ko ikhtiyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood hon to jume ki namaz parhain ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain. 1, Waqt ka dhakil hona, 2. Namaz parhnay walon ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hon. 3, Imam ka jamia sharait imamat hona. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain. 1, Ba-jamat namaz parhna. 2, Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna. 3, Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho.
2: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hay or awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwajuh hay k agar khutba 40 mint ka ho or phir foran baghair faasly k namaz e jumma tamam sharaet k sath baja laen to wo namaz sahi or kafi hay or namaz e zuhur parhany ki zarorat nahi hay or agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaye to ehtiyaat ki jaye or ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laaen, or agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hay or zuhur ki namaz bhi parhana hogi, or os k baad asar ki namaz ada ki jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #722,720)
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/25586/ ).
[Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116386
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-10

Question: Mera sawal yeh hy k kya orat namaz e juma prh skti hy agr han tw kya treeka hy or agr nahi tw kya zorhrein ka waqt dakhil hny k bad namaz e zohrein ada kr skti hy ya jumy ka waqt guzrny k bad namaz e zohrein ada krni chye

Answer: Aurat per namaz e juma wajib nahin hay aur jese hi namaz ka waqt ho jaye to wo apni namaz e zuhr or asr hi parhe gi.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #721).
[Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116481
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-18

Question: Asslam o alikum.dear sir agr aik.security.guard ya police wala ki.mjbori ho k.wo post chour ni skta.r us.waqt juma.ka.time ho jaiy to.kia wo.apni post pr hi namaz.zohar ada krn.ga ya phr es ka r kia hal.ha plase reply me

Answer: wsalam.
muqallid ko ikhtiyaar hai k agar jummay ki sharait moujood hon to yaa tou namaz e jumma ada karey ya phr namaz e zohara adaa kar ley.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 42 maslah no 720).
[Updated on 18-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116483
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-18

Question: Aoa Namaz Jummah Ki niyat kis trah krain .kya namaz ki niyat fajir sy masoob kr k krain ya nhe?

Answer: Namaz e jumma ki niyyat yahi karein gay k namaz e jumma adaa karta hoon qurbatan ilallah.
niyyat zaban sai ada karna zaroori nahi hai bus iraada kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1531).
[Updated on 18-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116490
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: کیا مسافر جمعہ پڑھ سکتا ہے

Answer: Musafir namaz juma men shirkat kar sakta hai lekin us par namaz e juma men shirkat karna wajib nahin hai chahe wo musafir aisa ho jis ki zimedari poori namaz parhna ho jaise wo musafir jis ne kisi maqam par das din theherne ka Irada kiya ho.(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #1797,1798).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116514
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-22

Question: Islam mai sabse pehla jumah kab kahan or konsi hijri mai ada kia gya ?

Answer: Pehla juma Rasool e khuda(s.a.a.w) ne apne ashaab ke sath us waqt parha jab Aap(s.a.a.w) ne madine ki taraf hijrat ki or madine main muhalla e bani saalim main parha gaya. or us waqt se hijri saal ka aagaz howa tha. (http://www.tebyan.net/index.aspx?pid=131244).
[Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116586
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-29

Question: Assalam o Alaykum sir me saudia me security ki duty krta hon din me aor mujhe koi chutti nai hoti jiski waja se me juma nai prh skta jis jaga duty krta hon wahan koi masjid nai ha to is bare me thora guide kr de

Answer: (Note: Is website par Fiqh e Jafferiya (Shia Mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jume k din ikhteyaar hay k agar namaz juma ki sharait majood hon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain. Jume ki namaz ko chorhna gunah nahin hai, agar jume ki namaz na parhi ho to namaz zuhr hi parhi jaye gi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #720).
[Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-09

Question: I am a university student and Jumma prayer in our university masjid is offered by Sunni Ulma. So my question is, is it correct if I offer Jumma prayer behind Sunni ulama?

Answer: Ahle sunnat ke sath namaz juma parhna kaafi nahin hai.
(Ref: Jadeed masail,muqtalif maraje,aqa sistani part #4, pg #183).
[Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121041
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-12

Question: SalamunAliekum.....Jummay ki takeed main or Jummay fazaiel main Allah me puri Sure Jumma naazil ki or bataya ke jaisay he Azan ki awaz Suno tu masjid ka rukh karo Allah ki tasbeh karo or namaz se farigh ho Jao tu Zameen per phel Jao or Allah fazal talash karo or hum logo ke "Ikhtiyari" batatay hain or doosri taraf quran Jummay ki namaz per zore de raha hai balkay Pura surah nazil ho giya. Rehnumai farmaye.

Answer: Sharaei masail ke samajhne ke liye sirf Quran kaafi nahin hota, balke riwaayaat ka sahara bhi liya jata hai. Quran ki konsi ayat wujoob par dalalat karti hai aur konsi mustahab hone par ye sab riwaayaat se samajh men aata hai, theek hai surah juma men hukum maujood hai ke juma ke din namaz ke liye jaao lekin kuch riwaayat men hai ke ye hukum Nabi(s.a.w.w) ya Imam(a.s) ke zamane se makhsoos hai aur gaibat ke zamane men mukallaf ke ikhtiyar par chhor diya gaya hai ke wo namaz zuhr aur juma men se kis ko ikhtiyar karta hai? Sharaei masail ko haasil karne ke liye Quran ke sath sath riwaayaat ki ashad zaroorat hai aur riwaayaat men ikhtilaaf paaye jaane ki wajah se mujtahideen ke fatawa me bhi ikhtilaaf ho jata hai. har koi apni research aur tehqeeq ki bina par fatwa deta hai.
(Ref: link, https://www.erfan.ir/urdu/74780.html. + https://www.aqaed.com/faq/2499/ ).
[Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121042
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-12

Question: SalamunAliekum.....Jummay ki takeed main or Jummay fazaiel main Allah me puri Sure Jumma naazil ki or bataya ke jaisay he Azan ki awaz Suno tu masjid ka rukh karo Allah ki tasbeh karo or namaz se farigh ho Jao tu Zameen per phel Jao or Allah fazal talash karo or hum logo ke "Ikhtiyari" batatay hain or doosri taraf quran Jummay ki namaz per zore de raha hai balkay Pura surah nazil ho giya. Rehnumai farmaye.

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: سلام نمازِ جمعہ کا وقت زوال کا وقت ختم ہونے کے بعد سے کتنی دیر تک باقی رہتا ہے؟ کراچی میں زوال کا وقت 12:04 بجے شروع ہوتا ہے اور 12:34 بجے ختم ہمارے نزدیکی امام بارگاہ میں جمعہ کے لیے جماعت 01:35 بجے کھڑی ہوتی ہے تو کیا نماز صحیح ہے یا اس میں اشکال ہے؟

Answer: Namaz e jumma ka waqt awwal e zawaal e Urfi hai aur awwal e zawaal e Urfi mein yeh nuqta qabil tawajjuh hai ke agar khutba (40) minute ka ho aur phir fauran baghair faaslay ke namaz e jumma tamam sharaait ke baja laayei jaye to woh namaz sahih aur kaafi hai. aur namaz zuhar parhne ki zaroorat nahin hai aur agar namaz e jumma ka khutba (40) minute se le kar sawa ghantay (1:15) tak ho jaye to Ehtiyaat ki jaye aur Ehtiyaat wajib ki bana par namaz e zuhar bhi baja laaye aur agar is se (75) minute se ziyada ho jaye to zaahiran is soorat mein jumma kaafi nahin hai aur zuhar bhi parhni hogi aur mukallaf (yani namazi) shak ki soorton mein mazkoorah dastoor ke mutabiq anjaam day to kaafi hai.
(Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #2002, hashiya #1, Link https://www.sistani.org/urdu/qa/02704/ ).
[Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121077
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-19

Question: Salam Mera sawal hai ki Jaunpur Uttar Pradesh me Jume ki namaz 1:20 baje shuru hoti hai kya ye sahi hai jabki zawal ka waqt 12 baje ke aas paas hota hai

Answer: Namaz e jumma ka waqt awwal e zawaal e Urfi hai aur awwal e zawaal e Urfi mein yeh nuqta qabil tawajjuh hai ke agar khutba (40) minutes ka ho aur phir fauran baghair faaslay ke namaz e jumma tamam sharaait ke baja laayei jaye to woh namaz sahih aur kaafi hai. aur namaz e zuhar parhne ki zaroorat nahin hai aur agar namaz e jumma ka khutba (40) minutes se le kar sawa ghantay(1:15) yani (75) minute tak ho jaye to Ehtiyaat ki jaye aur Ehtiyaat e wajib ki bana par namaz zuhar bhi baja laaye aur agar is se (75) minutes se bhi ziyada ho jaye to zaahiran is soorat mein jumma kaafi nahin hai aur zuhar bhi parhni hogi aur mukallaf (yani namazi) shak ki soorton mein mazkoorah dastoor ke mutabiq anjaam day to kaafi hai.
(Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #2002, hashiya #1, + Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02704/ ).
[Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-02

Question: Namaz juma ke khutbe me lakri uthana lazmi hy ya nahi?

Answer: Jee nahin, Zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #720).
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121423
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-23

Question: JUMMA ki Azan sab say pehle kis Nabi nay di

Answer: Azaan, ka hukum Paighambar Islam(s.a.w.w) par nazil hua is se pehle kisi nabi ke zamane me azan nahin thi.

1: Kulaini ne sahi sanad ke sath Imam Baqir(a.s) se riwayat ki hai ke aap ne farmaya: Jis waqt Rasool khuda(s.a.w.w) ko shab e meraaj aasman par le jaya gaya aur aap ki sawari bait ul maamoor par punhchi to namaz ka waqt hua Jibraiel(a.s) ne azaan o iqaamat kahi Paighambar Islam(s.a.w.w) agay kharray hue farishtay aur deegar Anabia aap ke peechay saf basta kharray ho gaye.

2: Aik aur riwayat me hai ke Kulaini ne sahi sanad ke sath Imam Sadiq(a.s) riwayat ki hai ke aap ne farmaya: Jis waqt Jibraiel(a.s) azaan le kar Paighambar Islam(s.a.w.w) ki khidmat mein haazir hue to us waqt aap ka sar mubarak Ali(a.s) ke zaano par tha Jibraiel(a.s) ne azaan o iqaamat kahi jab Paighambar Islam(s.a.w.wi) bedaar hue to Ali(a.s) ne farmaya ya Rasool Allah(s.a.w.w) aap ne kuch suna to Rasool Islam(s.a.w.w) ne farmaya ke haan mein ne suna hai. is ke baad aap ne farmaya: Ya Ali kya tum ne hifz kar liya? to aap ne farmaya jee haan mein ne hifz kar liya is ke baad aap ne farmaya ke bilal ko bulao aap ne bilal ko bulaya aur Paighambar Islam(s.a.w.w) ne bilal ko azaan o iqaamat ki taleem di.

(Ref: https://makarem.ir/main.aspx?typeinfo=23&lid=4&catid=24945&mid=252401 ).
[Updated on 24-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121427
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-22

Question: Juma Mubarak ka hukam kue dia ghai

Answer: Is ke jawab ke liye aap zail me diye gaye link ko mulahiza farmayen.
https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=104678&catid=6479&pid=321543
[Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122148
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-21

Question: میرا سوال یہ کہ کیا سردی ہونے کی صورت میں نمازجمعہ چھوڑ سکتے ہیں؟ اللہ ناراض تو نہیں ہو گے؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jab jumme ki aik aisi namaz qaaim ho jo sharaait ko poora karti ho aur wo namaz qaaim karne wala imam e waqt ya uska naaib e khaas ho to is surat me namaz e jummah me haazir hona wajib hai. is surat ke alawa hazir hona wajib nahin hai. pehli surat me bhi chand afraad par namaz me shirkat karna wajib nahin hai. In me se aik ye hai ke wo afraad jin ke liye jumme ki namaz me barish ya sakht sardi ki wajah se haazir hona zehmat ya takleef ka baais ho, to i ke liye shirkat karna wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #721).
[Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-17

Question: Salam Agr jumaa namaz 75mint waly option se start krengy to kia niyat hogi 40 mint k bad to wajib ki niyat hy 75 mint ka kia hukm hy aur agr 75 mint ka time bhi guzar jye to kia niyat hogi

Answer: Namaz e jumma ka waqt awwal e zawaal e urfi hai aur awwal e zawaal e urfi mein yeh nuqta qabil tawajjuh hai ke agar khutba (40) minutes ka ho aur phir fauran baghair faaslay ke namaz e jumma tamam sharaait ke baja laayei jaye to woh namaz sahi aur kaafi hai. aur namaz e zuhar parhne ki zaroorat nahin hai aur agar namaz e jumma ka khutba (40) minutes se le kar sawa ghantay(1:15) yani (75) minute tak ho jaye to Ehtiyaat ki jaye aur Ehtiyaat e wajib ki bana par namaz zuhar bhi baja laaye (yani juma aur zuhar dono me wajib ki niyat nahin karni balke dono Ehtiyaat ki niyat se karni hain) aur agar khutba (75) minutes se bhi ziyada ho jaye to zaahiran is soorat mein jumma kaafi nahin hai aur zuhar bhi parhni hogi (yani zuhar wajib ki niyat se parhni hogi) aur mukallaf (yani namazi) shak ki soorton mein mazkoorah dastoor ke mutabiq anjaam day to kaafi hai.

(Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #2002, hashiya #1, + Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02704/ ).
[Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-30

Question: Who established the first Friday?

Answer: Baaz islami riwayaat mein aaya hai ke madinay ke musalmanon ne Paighambar(s.a.w.w) ki hijrat se pehlay baaham mil kar baat ki aur kaha ke yahodi hafta mein aik din (Hafta/Saturday) ijtima karte hain aur eisaei bhi ijtimai ke liye (itwaar/sonday ka) aik din rakhtay hain. lehaza hum bhi aik din muqarrar kar letay hain taakay is mein jama ho kar zikar khuda karen aur us ka shukar baja layein. unhon ne hafta se pehlay ka din ke jisay us zamane mein "yaum al-urooba" kehte thay, is maqsad ke liye muntakhab kiya aur (buzurgan e madina mein se aik shakhs ) Asad bin zurara(اسعد بن زرارہ) ke paas gaye. is ne un ke sath mil kar jamaat ki soorat mein namaz ada ki aur unhen waaz-o-naseehat ki. pas wohi din" roz-e- jumma" ke naam se mosoom ho gaya Q ke wo musalmanon ke ijtima ka din tha.
"Asad اسعد" ke hukum par aik ghosfand ziba kiya gaya aur sab ne dopeher aur shaam ka khana isi ghosfand se khaya, Q ke us waqt musalmanon ki tadaad buhut thori thi.
yeh pehla jumma tha jo islam mein parha gaya.
lekin wo pehla jumma jo Hazrat Rasool(s.a.w.w) ne apne ashaab ke sath parha woh is waqt parha gaya jab aap ne madina ki taraf hijrat farmaei. jab aap madina mein warid hue to us din peer(monday) ka din 12 Rabiey al-awwal aur zuhar ka waqt tha, Hazrat chaar din tak "qaba" mein rahay aur masjid qaba ki buniyad rakhi, phir jumma ke din madina ki taraf rawana hue (qaba aur madina ke darmiyan faasla buhut hi kam hai aur mojooda waqt mein qaba madina ka aik dakhli muhallah hai) aur namaz-e-jumma ke waqt aap muhallah "bani saalim" mein puhnche, wahan namaz-e jumma ada farmaei aur yeh islam mein pehla jumma tha jo Hazrat Rasool Khuda(s.a.w.w) ne ada kiya, jummay ki is namaz mein aap ne khutba bhi parha, jo madina mein Anhazrat(s.a.w.w) ka pehla khutba tha.
Aik muhaddis ne "Abd-ul-Rahman bin kab (عبدالرحمن بن کعب)" se naqal kiya hai ke mera baap jab jummay ki azaan ki aawaz sunta to Asad bin zurara ke liye rehmat ki dua kiya karta tha, jab mein ne is ki wajah poochi to us ne kaha: is ki wajah yeh hai ke wo pehla shakhs tha jis ne hamaray sath namaz jumma ada ki, mein ne kaha: us waqt kitne afraad haazir thay? is ne kaha: sirf chalees nafar.

(Ref: https://makarem.ir/compilation/reader.aspx?pid=321543&lid=0&mid=104676 ).
[Updated on 31-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-02

Question: Woh koc c Namaz hai jo zahoor e imam as k bad wajib ho Jay gi?

Answer: Nama e Eid ul fitr aur Eid e qurban ,namaz juma
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1497,721).
[Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123498
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Hamara Han kuch log ik masjid me Juma nahi parhta wo kehta hain ke iska dosri masjid se fasla kaam hai islya yaha Juma nahi ho sakta Agha iska bare me agah kejya ga ki masjid ki had kia hai

Answer: Jumay ki namaz ke sahi hone ki chand sharaait hain: in me se aik shart ye hai jumay ki do namazon ke darmiyaan aik farsakh se kam faasla na ho. pas jab jumah ki namaz aik farsakh se kam faasle par qaayem ho aur do namazein aik hi waqt parhi jaayen to dono baatil hongi aur agar aik namaz ko dusri par sabqat haasil ho chahe wo takbeeratul ehraam ki had tak hi q na ho to wo (namaz jise sabqat haasil ho) sahi hogi aur dusri baatil hogi. lekin agar namaz ke baad pata chale ke aik farsakh se kam faasle par jummah ki aik aur namaz us namaz se pehle ya us ke sath sath qaayem huei thi to zuhur ki namaz baja laana waajib nahin hogi. Jummay ki namaz ka qaayem karna mazqoorah faasle ke andar jummay ki dusri namaz qaayem karne mein us waqt maaane (rukawat) hota hai jab wo namaz khud sahi aur jaame-us-sharait ho aur agar aisa na ho to phir yeh jaamaait maaane nahin hoti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #720).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123819
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: Namze jumma kase ada karte hn

Answer: Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)
Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720.
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123848
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Assalam-o-alikum. Mjhy kesi nay kaha hay imam e zamana a.s k bagir kesi k pechy jumma nae parh skty or ye wajab b nae hay ...imam nay manah farmaya hay ? Mjhy es ka thooos jawab chiye

Answer: Gaibat k zamanay mai namaz e juma wajib e eini nhi hai bal k wajib e takhyiri hai, is se muraad yeh he k jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood hon to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126014
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Assalamualaikum Kya agr aik masjid jis ma rozana or namazy adah ke jate hu os ma logo ke tadad b ziadaa na hu kya Kuch asa ha k log kahay es ma jumme ke namaz nahi adah ke ja skte blky jumme ke namaz ka Lia ose jagah bari masjid ko Jana paray ga or mulve khud b waha jumme ke namaz na parhaty hu

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Agar pesh imam aur baqi namaziyon ko mila kar kam az kam in ki tadaad 5 ho to wahan namaz e juma ho sakti hai. Q ke namaz e juma ke wajib honay ki sharaait me se aik shart ye hai ke Namaz parhnay walon ki tadaad pesh imam ke sath 5 afrad hon. Albatta is ke alawa namaz e juma ke wajib honay ki chand doosri shartain bhi hain jin ki pabandi karna zaroori hai warna namaz e juma sahi nahin hogi. 1, Waqt ka dhakil hona, 2. Imam ka jaamay sharait imamat hona. Is ke alawa Jumay ki namaz ke sahi honay ki chand shartain hain. 1, Ba-jamat namaz parhna. 2, Namaz se pehlay 2 khutbay parhna. 3, Jumay ki 2 namazon ke darmiyan aik farsakh se kam fasla nah ho. pas jab jumah ki namaz aik farsakh se kam faasle par qaayem ho aur do namazein aik hi waqt parhi jaayen to dono baatil hongi aur agar aik namaz ko dusri par sabqat haasil ho chahe wo takbeeratul ehraam ki had tak hi Q na ho to wo (namaz jise sabqat haasil ho) sahi hogi aur dusri baatil hogi. lekin agar namaz ke baad pata chale ke aik farsakh se kam faasle par jummah ki aik aur namaz us namaz se pehle ya us ke sath sath qaayem huei thi to zuhur ki namaz baja laana waajib nahin hogi. Jummay ki namaz ka qaayem karna mazqoorah faasle ke andar jummay ki dusri namaz qaayem karne mein us waqt maaane (rukawat) hota hai jab wo namaz khud sahi aur jaame-us-sharait ho aur agar aisa na ho to phir yeh jaamaait maaane nahin hoti.

2: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hai aur awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwajuh hai ke agar khutba 40 mint ka ho aur phir fauran baghair faaslay ke namaz e juma tamam sharaait ke sath baja laen to wo namaz sahi aur kaafi hai aur namaz e zuhur parhany ki zarorat nahin hai aur agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaye to ehtiyaat ki jaye aur ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laaen, aur agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hai aur zuhur ki namaz bhi parhana hogi, aur os k baad asar ki namaz ada ki jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #722,720)
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02704/ ).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print