Showing 0- 50 questions from 165 questions on this page.
Question: If a person wants to pray a qaza namaz. Please guide which way of praying qaza namaz is right? 1. In morning first pray todays namaz-e-fajar and then qaza one, in after noon first pray todays namaz-e-zohar then qaza then todays namaz-e-Asar then qaza and in night first pray todays namaz-e-magrib then qaza then todays namaz-e-Isha then qaza. Or 2. In morning first pray todays namaz-e-fajar and then qaza one, in after noon first pray todays namaz-e-zoharain and then qaza namaz-e-zoharain, in night first pray todays namaz-e-magrabain and then qaza namaz-e-magrabain
Answer:
Salam un alaikum,
Both are persmissble.
Question: assalam o aliakum, qaza namazoo ko kasy ada kiya jay/ jo namaz qaza ki ho kya uss ko uss k waqet main hi perain jassay zuhar ki zuhar k time.
Answer: Youmia namazoon ki qaza main tarteeb laazim nahi hay siwaey un namazoon kay jin ki ada main tarteeb hay masalan aik hi din ki namaz-e-zohar o asar ya maghrib o Isha..Qaza namaz ko us kay waqt main parhna zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1365.
Question: Assalamu alkum Meri age is waqat 33 saal hai mujh namaz qazai umerei aada karni hai kese ki jai gi
Answer: Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1364
Question: ASSALAM O ALIKUM. ] ALLAH APP KAY ILM MAY AUR IZAFA DAY AMEEN.. mujhey yeh poochna tha kay kisi insaan say qaza namazay hojati hay aur ab us ko yada nahi hay kay kitni namzay thi . aur woh ab tahajjud ki bhi namaz parhti hoon. kia namaz ki maafi hay
Answer:
agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364
aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.
Question: continue jab us nay dua ki hon ya ALLAH meri qazaye namaz maaf farma . aur ab achi tarah namaz parhti hoon.
Answer:
agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364
aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.
Question: Unfortunately I have not been a regular namazi from day one. How should I count my qaza namaz?
Answer: bismehi taala, agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1364)
Question: qaza namaz beth kar barh sakte hain? aur agar age bhai kafi bari ho i.e; more than 60yrs
Answer: bismehi taala, jab tak insan khade ho kar namaz padh sakata ho zaroori he k na bethe masalan agar khada hone ki halat me kisi ka badan harakat karta ho ya woh kisi chiz par tek lagane par ya badan ko thoda sa tedha karne par majboor ho to zaroori he k jayse bhi ho sake khada ho kar namaz padhe lekin agar woh kisi tarh bhi khada na ho sakata ho to zaroori he k sidha beth jae aur beth kar namaz padhe (tawzihul masail Aytullah Seestani masaala no. 979)
Question: Aslam o alikummainy pehli bar ques likha hai mai america mai ho maniny bachpan say lay kar koyi 3 hafty pahly he namzy shoro ki hai but mai isha ki namaz nahi parti mai kia karo our baki namazo ko kaisy pora karo thanks
Answer: w.s. agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364 aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.
Question: Assalam O Alaikum, Mere umer 30 years hai mein apni total zindgi ki qaza namazain ada kerna chahta hoon to please uk ka tarika (way) in detail bata dein.
Answer: w.s. un tamam rozo or namazo ki qaza wajib he jin k sharee tor par baligh hone k baad chhoot jane ka yaqeen ho.(ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamnaie (r.a.) part 1 page no.152)
Question: Assalam O Alaikum, Mera sawal yeh tha keh Qaza namazein kaisy adda ki jain(parhi jain)? Zindgi ki tamam qaza namazein parhni chahein leiken us ka tariqa (way) bata dein..... Thanks
Answer: w.s. kisi ek namaz ko shuru kare or phir unhe panjgana ki tarh padhte rahe.(ref: istiftaat k jawabat past-i Aytullah Khamenaie (d.b.) page no.153)
Question: Assalam O Alaikum, aap ko mah-e Ramzan k rozy mubarak hoon,1. Mein ne Qaza namazoon k adda kerny ka tariqa aap se pucha tha... aap ney us ka jawab dia keh kisi aik namaz ko shoro kerin aur Panjgana ki tarah perhty rahin.... Kia mein Esha k baad Qaza namaz ki niyat ker k.. Pehly Fajar pher Zuhar pher Assar Pher maghrib aur pher Esha..... es tariqa se ekhati 17 rakaat parh sakta hooon.... Ya fajar k waqt fajar, Zuhar k waqt Zuhar, Assar k waqt Assar, Maghrib k waqt Maghrib aur Esha k waqt Esha ki qaza de jay gi... Please in detail mujhy clear ker dein thanks... ALLAH aap ko jazay-e Khair dee... (Aamin)
Answer: w.s., aap esha k baad fajz, zohar, asar, maghrib aur esha ki namazo ki qaza parh sakte hain (ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamnaie (d.b.) part : ebadat page # 153)
Question: Molana sahib. Meri life ki unlimited Namazien essi hai. jin ko mai ginti may nahi laa sakta. jo k mai nay nahi parhi. ab mai oon Qazza Namazo ko parhna chahta hu & ALLAH k samnay tauba karna chahta hu next. K namaz na niklay & Qazza namazo ki Adaighi kesay karu?
Answer: kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni nazain qaza ki hain,tu agar wo jitni namazo ka yaqeen ho k itni tu laazmi qaza hoe hongi, perhlay tu kaafi hay.maslan aik shaks ko ye tu yaqeen hay k oski 5 saal ki namazain tu qaza laazmi hongi,magar dimaagh main ye khiyaal bhi aaraha ho k shaayad is say ziyadah bhi hosakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1358,1364)
Question: As salam,mera sawal hai k mere father wafaat(death) paa chukay hain jb mai 5 saal ka tha aur maine ye suna hai baap ki qaza namazain baray betay per farz hain,kya ye sahe baat hai agr hai tou mjhe kesay pata chaly ga k mere father ki ktni namazain qaza hain aur is k ilawa kiya kiya baray betay py farz (waajib) hai...??? REPLY SOON AND IN DETAIL PLEASE...
Answer:
1- Agar baap k marnay k waqt barha beta Na-baligh ho to os per wajib nahi hay k jab baligh ho jay to bap ki baap ki qaza namazin perhay or qaza rozay rakahy.
2- Agar bbap ne apni khuch namazain nah perhi hoon ya rozay nah rakhay hoon or on namazo qaza perhne par ya rozao ki qaza rakhne qadir hu tu agar os ne khuda k hokum ki na-fermani kertay hoay on ko na chorha ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par os k berhay baitay par wajib hay k baap k merne k baad os ki qaza namazain perhay or qaza rozay rakahay ya kisi ko ujrat day ker perhwaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371, 1378, 1683). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: qaza namaz ka lya kasa ki jaya our kis vakt ada ki jaya our safar main hon our namaz qaza ho gi our vapas gr ah gaya to tb safr ki nyt kr ka safr ki namaz padni chya
Answer:
1)Jis shakhs ki namaz qaza ho jae to zaroori hai k is ki qaza parhnay mai kotahi na karay albetta is ka foran parhna wajib nhi hai.
2)Jis musafir ko namaz qasar kar k parhni ho agar is ki zohar, asar ya isha ki namaz qaza ho jae to agar chah is ki qaza is waqt baja laye jab wo safar mai na ho to zaroori hai k is ki 2 rakati qaza kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1354-58) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera quistion hay kay jb ksi shia ka bap ya man mrr jati hay to log khety hain kay in ki nmaz and rozy brri old per wajib hogy hay iss ka koi quran ya hdees say btay jbky nmaz and rozy ka hisab khud dena hota hay to olad ko kew kha gea hay.
Answer:
agar baap nay apni khuch namazin nah perhi hoon or inki qaza perhnay per qaadir ho tu agar is nay khuda k hokum ki naa-fermani kertay hoay inko terk nah kia ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per os k berhay baitay per wajib hay k baap k mernay k baad is ki qaza namazin perhay.ya kisi ko ujrat day ker perhwaay, or maan ki qaza namazain is per wajib nahi , agarcha behter hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371).
Baap k mernay k baad berhay baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay keh baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay keh namaz k silsilay main maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day.chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683).
Question: Can we Pay Kaffara of all our Qaza Namaz at once like in Roza, we pay to poor people if we cant be able to perform roza?
Answer: Jis shakhs ne apni rozana ki namazain un k waqt me na parhi hoon to zurari he k un ki qaza karain aur is k lie koi kaffara nahi he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Meray do sawal hein: 1. Roza ki halat mein ager namaz qaza ho jayee tu uss ka kuffara kiya ada ker saktay hein? 2. Ager roza ki halat mein masterbution(Istmina) ho jayee aur mani kharj ho jayee tau uss ka kiya kuffara ada kerna parray ga?
Answer:
1) Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay. 2) Agar koe shakhs ramzan k rozay ko istimna k zariay batil karey aur ekhtiyaar se kia ho to us per qaza k alawa kaffara bhi wajib ho ga.
3) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1356 , 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia kisi marhoomeen ki kaza namaz per sakte hai
Answer: Insan k marnay k baad un ki namazoon aur doosri abadatoon k lie jo wo zandigi me nah baja laya ho kisi doosray shakhs ko ajeer banaya ja sakhta he. Yani wo namazain usa ijrut de kar parwhai ja sakhte he Aur agar koi shakhs bagair ijrut lie un namazoon aur doosri ibadatoon ko baja laye tab bhi sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371 , 1514). Was-salam
Question: Assalam-o-Alaikum,i am 16 years old......main puchna chahta hun ke mujhe qaza namaz parhne ka tariqa bta de.........yaani shuru kase ki jaaye aur khatm kaise ki jaye.. thanx allah apki ilm mein izafa kar de...ameen
Answer: Yomiyah namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalaam-o-Alaikum mujhe mughrib ki qaza namaz adda karne ka tariqa bataein.
Answer: Qaza namaz parhnay ka tareeqa ada namaz hi ki terha he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam valikm hame yah janna hi ke kaza namaz ko kese parte hai fajr isha zuhr asror magrib ko kese ek saat parsakte hai or ramzan mai parneki kya fazelat hai
Answer: Yomiyah namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: insan jo farz namazian qareeban 2 ya 3 saal se chor chuka hai toh kisay os ko ada karay?
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza ho jain to zaroori he k is ki qaza parhne me kotahi na karay albattah is ka foran parhna wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: qaza namaz kay sharai daleel kayhawaljat din
Answer:
Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Ahdeees e nabee(s.a.w.w) ahdees e or 12 imam(a.s) se qaza namazo ka soboot milta hay k jo namaz apnay waqt k ander nah perhi jay tu on ki qaza perhi wajib hogi(Ref: usool e kaafi urdu, jild#2, chepter 11, pg#40) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam o alaikm, Mera sawal hy ke mein ibadat krna chahti hon, qaza namazein or roze ada krna chahti hon or esi ibadat krna chahti hon jis se Allah pak khosh hon. Please mujhy kuch esa bta dein ke mein ibadat kr sakon because mein wajib mein hi thak jati hon or sobah neend ki wjah se na fajr ada kr pati na tahajud please please meri madad frmaen mein sobha ko namaz ke liyen kese othon me preshan hon boht. Ek or masla ye he ke molana sahab, mera qad(height) boht choti hy or meri age 19 years , is height ki reason se na mein taleem me age bar paa rahi hon na sahi se prda kr paa rahi hon jahan jati hon log mazak orate hein or batein kehte hein meny koshish ki warzish ki pr mujh se na hoi or kamzoi hogai... please ap se meri gozarish hy mujhy height ke liyen doa ya dawa bta di jye Ek baat mein koi dua ka likhna, wala amal nahin kr sakti. Allah ap ko jaza-e- kher de or ap ka akhir ba iman kare amen summa amen khudara meri madad jald farmaye...
Answer:
Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zaruri hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 31st Edition, page # 216, Masla# 1358)
Agr kisi shakhs kin namazen qaza ho gai hon or wo ye na janta ho ya bhool gaya ho k un qaza namazon ki tadad kiya hai to agr wo chhote adad k hisab se parh le to kafi hai lekin behtr ye hai kn itni namazen parhe k use yaqeen hojaye k saari qaza namazen parhj li hen, misal agr wo bhool jaye k uski subah ki kitni namazen qaza hui thin or use yaqeen ho k 10 se ziyada na thin to ehtiyatn subah ki 10 namazen parhe.
Or yehi hukm rozon k bar men bhi hai.(1668)
(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 31st Edition, page # 217, Masla# 1364)
Neend jis qadr is insan ki tabyat men hoti hai us qadr hi aati hia albatta bazz afrad susti ki bin pr ziyada sote hen or samjhte hen k unhen neend ziyada aati hai, namaz-e-fajr k liye uthne ka behtar tareeka rat ko jald sona hai jitna jald soengi utna sawer taza zehn se uthengi, is k liye ap kuch zaraye or bhi istamal kr sakti hen jese apne cell_phone men alaram set krlen.
Or ibaadat men rohaniyat peda karne ke liye har din men (ALLAHO) ka tawajjo ke sath 1000 baar wird kejye.
(Ref : Naway e salaheen pg # 2763)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay. i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞﱠ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ…………ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh surah # 48, ayat # 29 ka kuch hissa (ﺴﻮﻘﻪ ……… ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ), iv:surah e qalam surah 68 , ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ………ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327)
wazifay par bhi amal karain jo is k alawa qad ko barhanay k lie homoeopathic k drops aatay hain jin k istemal sai bhi faida ho ga. aap apnay qareebi homoeopathic store sai kent 35 khareed kar din mai 3 time aik ghont pani mai 10 drops daal kar istemal karain. Drops k nam (kent 35) hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: can i read my kaza namaz before or after asar? thank you.
Answer: If the time of asar remains after qaza so he can perform qaza before that.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1365 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: mrey sath subhh ki namz bhut ziada qza hoti subha oth ni skta hon plz me kia karoo
Answer:
jis shaks ko yaqeen ho k agar me sogaya to namaaze subh k lie bedaar na ho saku gha to aisa shaks kise k zimme laga sakta hai k wo namaaz k lie jagaye ya timepiece se istefada kar sakta hai jo ise jagaye aur agar ye dono mumkin na ho to sone se ghuna gaar na hogha mager ye k urf(aam louqo) k nazdeek ise namaaz k silsele me suste aur ghaflat samja jaaye.( to phir ghuna gaar hogha) (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 83 , pg # 75, eidition 5)
subhe ki namaaz ki qaza hone se bacne ka tariqa : rasool allah ne farmaaya : jo shaks surah khaf ki aakheri aayat sote waqt jis bhi waqt utne ki niyat se perhe gha jo jis waqt chahe gha bedaar ho jaaye ga.( nawaahe sauleheen,pg:332) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: bismihi ta aa la....mera sawal ye he k qaza namz kis waqt me parh sakte he?kiya zahar ki qaza asar k waqta me parh sakte he? or fajar ki qaza zawal k baad parh saktehe? ya zahar k waqt me? aap ki duaa ka mustahik hu?
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Qaza namaz ko din o raat main kisi bhi waqt perha ja sakta hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#1, maslah# 721). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam 0 alaikum qaza umri ki namaz kis tarha ada ki jae
Answer: Yomiyah namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam alykm Jnab kya koi aisa formula hai jisse fajr ki nmaz kza n ho
Answer:
Jis shaks ko yaqeen ho k agar main so gaya tu namaz e subah k liay baydaar nahi ho sakon ga tu wo kisi k zimmay laga sakta skata hay k wo namaz k liay osay jagaay ya wo timepiece (Alarm) istemaal karay or agar ye dono mumkin nah hoon tu sonay se gunahgaar nah hoga magar ye k urf(awaam) k nazdeek osay namaz k silsilay main susti or gaflat kerne wala samjha jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 83).
Wazifa:
Jo shaks namaz se ghafil rehta ho wo 7 baar sorah e mominoon(sorah#23) ki tilawat karay tub a-qaaidgi se namazain perhne lagay ga.(Ref: dun o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslamualikum mera swal ye hai ke humari umer 40 saal hai life me kabhi namaz padi aur kabhi nahi padi ager khaza padni hai tu kaise hisab lagoon?
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ).
2) kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere betay ki umar 29 hai, us ne namaz 1 mah se regular pardhna shuru ki hae, baki umar nhi pardhi ab us ki qaza namazo ka kia hoga, kia us ko pura karne ka koe hal majood hae please reference k sath bateye ga.
Answer:
Jab say aap ka beta baligh hua ho os waqt say ab tak ki namazain qaza parhni parain gi maslan aap ka larka 1 januray 1998 ko chand k hisab se 15 saal ki umer may baligh hua ho to os ko 14 saal ki qaza namazain parhni parain gi. Aur yaad rakhain k jis ki namaz qaza ho jain to zarori hay k is ki qaza parhnay may kotahi na karay albatta in ka foran parhna bhi wajib nahi hay.
Aur yomiya namazoon ki qaza karnay may tarteeb lazim nahi hay magar in namazoon may jin ki ada may tarteeb hay maslan aik din ki namaz e zohar aur asar ya maghrib aur isha.
Aur jab tak insan zindah ho chahay wo apni qaza namazain parhnay say qasir hi Q nah ho koe doosra shakh oski qaza namazain nahi parh sakhta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356-70 ) . (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: hazrat meri fazr ki namaz chhoot jati hai hamara masinary kaam bunai ka hai aur 3 baje raat me sone chale jate hai lekin dil me ye khyal rahta hai ki 2ghante baad namaz miljayegi firbhi ham sone chale jate hai to kya hamse gunah to nahi horaha hai.Hamri ye majboori hai.Aap ko mera salam jawab jald diji ye
Answer:
Jis shaks ko yaqeen ho k agar main so gaya tu namaz e subah k liay baydaar nahi ho sakon ga tu wo kisi k zimmay laga sakta skata hay k wo namaz k liay osay jagaay ya wo timepiece (Alarm) istemaal karay or agar ye dono mumkin nah hoon tu sonay se gunahgaar nah hoga magar ye k urf(awaam) k nazdeek osay namaz k silsilay main susti or gaflat kerne wala samjha jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 83).
Wazifa: Jo shaks namaz se ghafil rehta ho wo 7 baar sorah e mominoon(sorah#23) ki tilawat karay tub a-qaaidgi se namazain perhne lagay ga.(Ref: dun o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamoalaikum. ager kisi ka fazar,zohar,aur asar ka namaz kaza ho zata hai,wo magreeb ki namaz, pahle kaza namaz ko pura kr ke parega ya fir magreeb ki namaz ko ada kr ke baki kaza namaz parhega.tafsil se batayenge.
Answer:
Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein.
Jis shaks ki guzishta dino ki namaz faqat aik namaz qaza hoe ho,os k liay behter hay k agar os din ki namaz ki fazilat ka waqt khatam nah ho raha ho tu pehlay qaza perhain or os k baad os din ki namaz main mashghol ho. Or agar os ki guzishta dino ki koe namaz qaza nah hoe ho laikin osi din kie aik ya aik se ziyada namazin qaza hoe hoon tu agar os din ki namaz ka fazilat ka waqt khatam nah ho raha ho tu behter ye hay k os din ki qaza namazain ada namaz se pehlay perhain.( Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam u Alikum mera ye sawal ha k ham qaza nimaz ko kis tarah count kar skty ha sal k dino k hisab sy nimaz ko parha jaye or agar aik admi borha ho gaya ha tu kaya wo tauba kar sakta ha ya us po qaznimaz parna wajib ha ya uski umer 60 sy zeada ha ksy qaza nimaz pori umer ki parhy plz koi rasta dekhain
Answer: Agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam allah ka shukar hy mai namaz pharny lag gaya lakin jo mai ny (past) chori howe hy jesi ak din parhe dusry din nahe parhe ramzan mai parhe pir nahe par kiya wo sub par na lazmi hy agr lazmi hy tho mujy kesy yad aye ga ky mai ny ith ni namazy chori hy?aur ak surath ko kith ny bar dora sak thy ?aur dua-e-qonooth kon sy namza mai par jaye ? plz thora jaldi
Answer:
1) Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ).
2) kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain qaza ki hain,tu agar wo jitni namazo ka yaqeen ho k itni tu laazmi qaza hoe hongi, perhlay tu kaafi hay.maslan aik shaks ko ye tu yaqeen hay k oski 5 saal ki namazain tu qaza laazmi hongi,magar dimaagh main ye khiyaal bhi aaraha ho k shaayad is say ziyadah bhi hosakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1358,1364) ).
3) Tamam wajib or musthab namazo me dusari rakaat me ruku se pehle qunoot musthab he.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam maira question yeh hai k ager ek baligh shaks ko ghusal e janabat ka pata nah ho aur woh apne namazon ko anjaam day lakin baad mei ussay is baat ka maloom ho tou kya pechlay saaloon ke sare namaz kaza kerne paray geh ya agay say ahteyat karay. aur jo rozay usnay ishalat mei rakhay hongay. ager wapis adda kerne hain yeh sare cheezain toh kiss terha count ke jae k kitnay saalon mei kitnay din ussay ghalat namazain perhe gain. thnx
Answer:
(1) Chahay koe shaks jahil e qasir ho ya jahil e muqassir os per is sorat main apni saari namazo ki qaaza karni lazim hogi.(Mujtahid se pouche kye sawaalaat part 3# sawaal # 15)
(2) Agar insaan nah jaanta ho k jo batain batae gae hain on main se baaz rozay ko batil kerti hain(maslan jaan boujh ker ghusl janabat nah karna ) or maslah jaan,ne k silsilay main os ne koe ko,taahi nah ki ho or nah hi kisi qisim k taraddud(shak) ka shikaar ho ya ye sher,e hujjat per aitemaad rakhta ho or khane, peene or jima k alawa in af,aal(yani jin chezo se roza toot jata hay) main se kisi kaam ko anjaam day tu oska roza batil nahi hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1625 )
(3) Agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: yani aap k rozay durust qaraar paen gay. Or on ki qaza lazim nahi hogi.laikin namazo ki qaza kerna lazim hogi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam o alikum Mera sawal ye he ke agar kese se namaz qaza hojate he ya kese or kam me masroof ho ya soraha ho or namaz qaza hojaye to qaza namaz parhne ke bad os par koye azab he or agar qaza namaz bhe na parhe os par kya azab hoga? or qaza namazo ko thadad patha na hone ke sorat me kya keya jaye? agar ap muje jawab me koye hadess sharif bayan karna chahe to please ye bhe bata de ke wo hadess kesne bayan keya he! jazak allah
Answer:
1)Ada namaz ka tark karna kabeera ghunah mai shumar hota hai aur har wo kaam tark karna haram hai jo Allah ki taraf sai farz kia gya ho. Aur wo namaz jo kisi shakhs nay os k waqt par na parhi hoon un ki qaza wajib hai. Is lie qaza namaz ka chorna bhi ghunah e kabira mai shamil ho ga.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # abadaat masla # 29)
2)kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya mai ek din me zohar aur asar or koi 3 namaz kaza karloo kya me wo 3 kaza namaz usi din ishaki namaz ke bad ada kar sakta hoo aur kaza namaz ke nuksan aur faeede bataeye pls pls pls
Answer:
Wajib hai k namaz ko waqt k ander perha jay kisi bhi terah namaz ko perhne main itni takheer karna k qaza ho jaay haram hai. (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ). v(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: wajib har os kaam ko kaha jata hay jis ka ada kerna zarori ho or khuda wajib kaam k ada kerne per sawaab bhi ata kerta hay jab haram kaam kaam se bachna zarori hay agar haram kaam ko anjaam diya jay tu khuda is per saza daita.or khuda k naraazgi hi sab se berhi saza hay. Laihaza khuda ki saza or naraazgi se bachnay k liay tamaam haram kamo ko terk kia jay or tamaam wajibaat ko on k waqt k ander(in time) ada kia jay.
Question: Kya me sports wagera kar sakta hu agar sports kar sakta hu to sham me mere 2 wapt ki namaz kaza ho jayegi kya use mai ishake bad kaza ada karunga to kya ye theek rahega
Answer: Wajib hay k namaz waqt k andar parhi jaay kisi bhi wajah se namaz ko qaza kerna jaiz nahi hai (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: FOR QUESTION ID 16159 HOW TO CALCULATE OUR NAMAAZ
Answer: kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salamun Alaikum ! Shamsi aur Qammeri 15 saloon ki dermyan 150 din ka farq hota hai. Mard per 15 qammeri saal pori honi per Nimaz roza farz ho jati hain. Mera sawal ye hai kih ager koi momin masla na janni ki waja se qammri saal ki bajai shamsi 15 saal pori honi ki baad wajib nimaz perha shuru keri to kya masli ka ilam honi ki baad 150 din ki Nimaz qaza ki neyyat se parhna zaroore hai ya nahin.
Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa...mene suna hy k agr kch namazen qaza hui hon to shab e barat pr ek sath 40 namazen parhne sy tamam qaza namazen muaf hojati hen??
Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1356)Note: is hadees par bohat saray ishkal hain jin mai sai aik ye hai k hadees mai ye hai k os namaz k parhnay sai qaza namazoo ka kaffara ada ho jata hai, is sai ye sabit hua k kaffara to ada ho gya magar phir bhi qaza to apni jigha rahi jis terah rozay mai hota hai k qaza k sath kaffara bhi hota hai agar koi kaffara ada kar dai to phir bhi osay qaza roza rahkna parta hai. is k alawa ye hadees aik zaeef shakhs k hawalay sai hai k wo mola Ali a.s. k pas aya aur kaha k meri bohat sari qaza namazain hai aur un ko ada karnay ki taqat nahi hai to mola Ali a.s. nai kaha k tum ye parh lo, is sai ye sabit hua k wo zaeef honay ki wajah sai namaz ada nahi kar sakta tha. Aur bhi bohat sari batain hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalamalikum Plz Mujhe bataey k kaza namazein kasey ada ki jaye jo 3,4 sal ki humari namazein kaza ho gai hon woh kasey phari jaye plz reply
Answer: Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi). ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1361,1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslaam o Alaikum!!!! Sir....Kaza Namaz Kaisy Ada Ki Jati Hai??? I Mean Jis Tarha Waqat Per Parhty Hain Bilkul Usi Tarha Hai Ya Sirf Farz Hi Ada Kiye Jaty Hain Kaza Namaz K........Plaese Zara Tafseel Se Bta Diye Jay Ga..........
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jo namazain Rozana nahi parhi hai in ki Qaza karna wajib hai .(qaza namaz parhtay waqt niyat qaza namaz ki ki jaay gi magar tareeqa wahi ho ga jo ada namaz ka hota hai.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1356 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia asar aur magrid ki namaz ke darmian hum nawafil aur kaza namaz nhi parh saktay quran aur sunat ki roshni main please jawab dain thanks
Answer:
Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zaruri hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai.(Qaza namaaz kisi bhi waqt par parh saktay hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1358).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: waledain ki qaza namaz ada karwanay k lye kisi sy namaz parhwa sakty hain?agar qzaz namaz na ada hogi tou kia waledain per sy qaza namaz ka azab nahi hat sakta?please jaldi reply kardain...please
Answer:
G han bilkul jaiz hai aop apne apne ki qaza namazen kisi se parhwa sakte hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1, Maslah # 752 , eidition # 1st).
Note Azab se der guzar karna ya na karna ye Allah Taala ka muaamla hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam,mera sawal yeh ki ki mere walid ka inteqal ho gaya hai mai unka bada beta hu mai unki qaza namaz pahdna chata hu ,to namaz ki niyat kya hogi aur kya ye namaz baidh kar bhi phad sakte hai
Answer:
1-Niyat ka zaban se kehna ya dil se guzaarna k maslan “walid ki zuhar ki 4 rakat qaza namaz perhta hoon, qurbatan ilallaah” zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #930)
2-Jab tak insaan qaza namaz ko kisi uzr(reason) ki wajah se mukammal tariqay se nah per sakta ho (maslan kharhay ho ker nah per sakta ho) tu agar baad main is uzr k door ho janay ka ilm ho tu ehtiyaat e lazim ye hay k qaza namaz ko perhnay main takheer karay takeh mukammal tariqay se namaz perh sakay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #733)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam Molana Sahib, Mear Sawal ap sy ha k agar ma fajar ke namaz k leye lata utha yani aj kal Fajar ke namaz 5:20am par hoti ha agar ma 6baja utha ya subah 9baje tu kia es waqt mai Fajar ke namaz Qaza ada kar sakta hu Aur agar ha tu 9bje mai kia neyat karo ga Maslan waqt ya phirr zohar ke namaz sy pely ada kar sakta hu 2rikat Faraz Fajar k? Please es ka complete answer dai
Answer:
1)Qaza namaz parhnay mai zaroori hai k kotahi na karay albetta foran parhna wajib bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1358)
2)Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay k 2 rakat namaz, fajr ki sunnat ya qaza ya ada perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AoA... Mujhe ye maloom krna hay k jis insan ne pori life nimaz nahi parhi to uski wo kaza nimazen kaise ada kren kindly email me the full detail. Allah Hafiz
Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazoo ki qaza baja laye. Albetta in qaza namazoo mai tarteeb lazim nahi hai siway in namazoo k jin ki ada mai tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal hai ki mere walid ka inteqal ho gaya hai mai unka bada ladka hu mujhe nahi pata ki ki mere walid ki kitni namaz kaza hai unko mai poora karna chata hu kya karo,kaise kar0,kya mai paisa de kar kisi se namaz phadwa sakta hu,please meri madad kare.
Answer: ap apne walid ki qaza namazain kud bhi phar sakte hain or ujrat per bhi pharwa sakte hain. Or jahan tak namaaz ki tadaad ki baat hai to ager kam tadaad ke mutabiq namaaz phar lain ya ujrat per pharwa dain to kafi hai, garche behtar hai ke itni tadaad main pharain ya pharwaain ke yaqeen hogaae ke un ke zimme koi namaaz nahi rehi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1364 , 1371 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).