Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qaza Namaz (154 Questions)


Showing 150- 154 questions from 154 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123434
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-27

Question: Kaya koi insan kisi dosry insan k liye roza rakh skta hy

Answer: Wajibaat aur mustahbaat mein murdon ki niyabat jaaiz hai lekin zindah afraad ki niyabat Wajbat mein jaaiz nahin hai agarchay jis ki niyabat ki jaa rahi hai woh khud amal ko anjaam dainay se aajiz ho siwaye hajj ke is tafseel ke mutabiq jo hajj ki fasl mein hajj e niyabati ke ahkaam mein bayan ki jaye gi. aur zindah afraad ki niyabat baaz mustahbaati ibadaton mein jaiz jaisay hajj o umra aur tawaf is shakhs ki taraf se jo shehr-e-makka mein sukoonat nahin rakhta aur Qabar-e-Paighambar Akram(s.a.w.w) aur aayma taahireen(a.s) ki qabron ki ziyarat aur woh namaz jo ziyarat ke baad parhi jati hai. balkay zindah afraad ki niyabat tamam mustahbaat mein reja ki niyat se yani shariyat mein warid honay ki niyat kiye baghair jaaiz hai .

Jin maqamat mein zindah afraad ki niyabat jaaiz hai. farq nahin hai ke niyabat muft mein ho ya ijara, juala aur is ke manind shakal mein ho. is bana par insaan baaz mustahabi kamon ko anjaam dainay ke liye jaisay hajj, umra aur ziyarat zindon ki taraf se ujrat le kar ajeer ban sakta hai.

Mustahbaat aur wajibaat mein amal ke sawab ko hadia karna jaaiz hai. pas insaan ke liye jaaiz hai ke mustahab ya wajib kaam apne liye khud anjaam day aur phir is ka sawab murdon ya zindah afraad ke liye hadia kare.
Qabil e zikar hai ke sawab ka hadia karna un wajibaat ke saqt honay ka baais nahin hoga jo un ke zimmay hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #2136,2137,2138,2139,2140,2141).
[Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123532
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-13

Question: As salam alykum agha.agar meri namaz qaza hai to kya main dusre marhoom ki namaz ujrat lekar phad sakta hoon.wa salam

Answer: Jee han, apni qaza namazen hote hue marhoon ki qaza namaz ujrat pe parh sakte hain. Isi tarah marhoom ke qaza rozay bhi rakh rakhte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #2163).
[Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
125849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-17

Question: Asslamualikum, Zinda Aadmi k liye Qaza namazon ka srf fidya daina hoga ya namazain bhi prhni hngi?

Answer: Rozana ki namazon me se jitni namazen apne waqt me na parhi hon un tamam ki qaza karna zaroori hogi. Qaza namaz k badle fidye nahin hota.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126308
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-15

Question: Kia qza namazain ek Sath kisi b wkt parh skty ha? Or frz k bad prhy ya shro ma.?

Answer: 1: Jee chand dinon ki qaza namazein aik sath parh sakte hai Q ke qaza namaz ka koi waqt muayyin nahin ha.
2: Wajib (farz) namaz se pelhay bhi parh sakte hain aur bad me parh sakte hain.
Rozana ki namazoo ke lie tarteeb lazim nahe hay sewaae un namazoo ke jin ke ada me tarteeb hay maslan aik din ki namaz zohar o asar ya maqrib o esha.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356,1365,1361).
[Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print