Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qaza Namaz (155 Questions)


Showing 100- 150 questions from 155 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
110406
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-09-30

Question: Zuhr aur Asar Ki Qaza Namaz Maghreb ke farz namaz ke baad ada kar sakte hai kya? Zuhr ki 4 rakat sunnat e muakkadah bhi ada karni padegi?

Answer: Jee han Zuhr aur Asar Ki Qaza Namaz Magrib ki namaz ke baad qaza ki niyat say parh saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358)
2)Zuhr ki sunnat namaz ki qaza mustahab hay zarori nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1356).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-29

Question: Kya qaza namaz is izhar gunah hai ?

Answer: Nahi, qaza namaz perhna gunah ka izhaar shumaar nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
110738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-23

Question: Kya farz juhar asra aur magrib ki qaza Isha me path sakte h

Answer: jee qaza namaz kisi wakt bhi alag se adaa ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356).
[Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-20

Question: Salam mujhe puchna tha k agar muj se isha or fajar ki namaz qaza hojae or mujhe dupehr me parhna pare to kiya me parh sakti hun or dusri baat k isha ki namaz ki kitni rakat me qaza me parhungi? Barahe meherbani is ka jaldi jawab den (khuda aap k ilm me or rozi me barkat de ameen)

Answer: Jee han, qaza namaz kisi wakt bhi parhi jaa sakti hai. aur jis namaz ki jitni rakatain hain utni hi rakatain parhi jain gi misal ke tor par isha namaz ki 4 rakat parhna wajib hai to qaza namaz me bhi 4 rakat parhi jain gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356,1358).
[Updated on 21-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-12

Question: Assalam.o.Alakum. Muja ye maloom karna hai k main jo hu apni qaza namaz parha raha hu. or mara walid ki be qaza namaza hai to main apni qaza namaz k sath apna walid ki qaza namaz ek sath niat kar k parha sath hu ye phir walid ki qaza namaz alag say parhni ho gi muja. reply zaror kijiya gay.

Answer: Note: Marhoom baap ki qaza namazain alag wajib hain aur apni namazain parhna alag wajib hain dono ke liye aik niyat nahin ki ja sakti. Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazo ki qaza baja laey. Albatta in qaza namazo main tarteeb lazim nahi hai siwaey in namazo k jin ki ada main tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356). Agar baap ne apni khuch namazain nah perhi hoon or on namazo qaza perhne par qadir ho to agar os ne khuda k hokum ki na-fermani kertay hoay on ko na chorha ho to ehtiyaat e wajib ki bina par os k baray baitay par wajib hay k baap k marnay k baad os ki qaza namazain perhay ya kisi ko ujrat day ker perhwaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1371).
[Updated on 12-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110874
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-02

Question: Waledain ki qaza namaz ka tariqa

Answer: Waldain ki Qaza namaz parhnay ka tareeqa wohi hai jo apni ada namaz parhnay ka tareeqa hai. Sirf niyat tabdeel karni hogi (yani niyat ye karni hogi ke maslan me marhoom ki 2 rakat namaz e fajr parhta/parhti hon qurbatan ilal laah.zarori hay ke ( maiyat ki taraf se namaz perhne wala ) jo amal baja laae is ke lie niyat kare ke jo khuch maiyat ke zimme hay wo baja laraha hoon or agar ( amal ko anjaam dene wala) koi amal anjaam de or srif is ka sawaab maiyat ko hadiya karde tu ye kafi nahe .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1369,1518).
(Note: Khayal rahe k niyat k tour per koe alfaaz zabaan se ada karna ya dil se guzaarna zarori nahi hai. sirf zehan mutawajjah rahe k khuda ka hukum bajalane ki gharz se yani qurbatan ilal-laah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. Albattah agar zabaan se yun kahain tu bhi koe haraj nahi. “Namaz perhta/perhti hoon marhoon ki subah ki 2 rakat qurbatan ilal laah.)
[Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110932
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-31

Question: aslom o alikum g mera sawal hai agr fajar namaz kaza hojati hai or usi din parna mumkin nahi to dosri din kun parni hai ? fajar nimaz ke sath ya soraj nikalni ke bad?

Answer: Qaza namaz ka waqt muayyan nahin hai qaza namaz kisi bhi waqt parhi ja sakti hai, Jis shaks ki qaza namaz ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1358)
[Updated on 01-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111136
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Kya asr ya zuhar ki namaz k waqt fajr ki qaza namaz ada ki ja skti hai?

Answer: Jee han, Qaza namaz zuhrain ki namaz k baad ya kisi bhi waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1356,1358)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Asar ki namaz agar Baki Jo air magrib Ka qaqt aa Jaye to asar kab padh sakte he

Answer: 1: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi ho to zarori he k us namaz ki qaza baja laye. 2: Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356,1358).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111416
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-09

Question: ASSALAMOALIKUM, MAI EK OFFICE MAI JOB KARTI HU JAHA SARE GAIR MUSLIM M YAHA TAK KI MERE BOSS V ,TO MAI WAQT PER NAMAZ ADA NAHI KAR PATI HU TO KYA MAI SARI QAZA NAMAZ ESSA KE WAQT ADA KER SAKTI HU??

Answer: W/salam agar job karne k wajah se namaz qaza hoti ho tu phir is jagah job karna jaiz nahi hay. Tamaam namazo ko waqt per perhrhna wajib hay. qaza karne ki ijazat nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5)
[Updated on 09-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-11

Question: Assalam o Alikum mughe pochna he ke kya namaz choot jaye aur us ki qaza parh li jaye to kya namaz jo choti he uska gunnah ho ga ?

Answer: Agar koi shakhs namaz keh pore waqt k doran soya rahay aur bad men pata chalay ke namaz ka waqt nikal gaya hai ya us ne madhoshi ki wajha se naamaz na parhi ho to gunahagar nahin hoga, lekin Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera hai, aur in donon surton men namazon ki qaza baja lana zaroori hai.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 39th, maslah # 1356). and (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Maslah #30, Edition 1439 hij).
[Updated on 11-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111733
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Mera sawal hai... K agar insaan ghusal ki halat me ho or namaz qaza ho rai ho to is surat haal me kya kiya jaye???

Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi ho to zarori he k us namaz ki qaza baja laye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356).
(Note: Gusl kar ke namaz parh lain.)
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-11-29

Question: Fjr ki nmaz kis nmaz ky sath parh sakti hu qaza kr ky?

Answer: Fajar ki wajib namaz agar qaza ho jaey tu oski qaza namaz perhna zarori hay. Aur qaza namaz ka waqt muayyan nahin hai qaza namaz kisi bhi waqt parhi ja sakti hai, Jis kisi ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 39th, maslah #1356,1358)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112534
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-13

Question: Fajr aur zohr ki namaz qaza karne kitni rakat padhni hai?

Answer: utni hi rakaat ki qaza karni hai yaane fajr k 2 or zohar ki 4.
nawafil ki qaza mustahab hay lehaaza parhna zaroori nahi hai chahein tu us ki bhi qaza kar saktay hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-01-21

Question: Kya asar ki Namaaz se pahle usi din ki Fazar ki qaza namaaz padh sakte hai ?

Answer: Jee han, Parh sakte hain, Lekin Qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356, 1358).
[Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112655
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Agr koi namaz kaza ho jaye ya mostly isha ki kaza ho jaye to kya hum tahajjud ki namaz padh skte h..., kya ye important h k namaz 5 time ki ho tabhi tahhajud hogi..??

Answer: Jee han, Namaz e shab parh sakte hain, Lekin jo namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna alag se wajib hai. aur qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356,1358)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112656
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Asalam o alaikum Jin hazrat ki apni qaza namazein houn Kia Woh namaz e shab ki 11 rakat parh saktay Hain?

Answer: Jee han, Namaz e shab parh sakte hain, Lekin jo namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna alag se wajib hai. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #752,1356,1358)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112696
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Asalam o alaikum MERI qaza namazein Hain tou nvafil ki namazein namaz e shab ki 08 rakat parh sakta houn ya Uske badlay qaza e umri parhoun? Please reply soon meray pehlay sawal Ka jawab bhi abhi tak MERI Gmail ID par nai Aya.

Answer: Jee han, Namaz e shab parh sakte hain, Lekin jo namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna alag se wajib hai. aur qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356,1358)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Assalam u Alaikum sir agr fajar ki namaz choot gai ti oski kaza uthte hi adda kare ke zohar ke saty ada kar len zayada afzal kiya hai

Answer: Agar kisi shakhs ki namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna wajib hai. lekin qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356,1358)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112890
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-02-05

Question: Agar qaza namazon ka total pata nhi ho to kaise puri krni chahiye hain ?

Answer: Jis par qaza namaz hai to wo us ke qaza parhne men kotahi na kare lekin ye wajib nahin ke fauran baja laye. Jis shakhs se kayei namazen qaza hoi hen lekin un ki tadad nahin janta maslan nahin janta k chaar(4) thin ya panch(5) to agar kam wali miqdar parh le to kafi hai. aur agar un ki tadad to janta tha lekin bhool gaya he to ab bhi agar kam wali miqdar parh le to kafi hai. (Ref: Ayatullah Khomeini, Tauzeeh ul Masail, Maslah #1369,1380).
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-10

Question: Ek roz hame neend ni a rhi thi fir hamne keh dia ki hm har roz fazir padhenge kbhi ni chorenhge hm alarm laga ke uth jate the dailt lekin ek roz mera alaram bazja aur hm so b gye ab hme kya krna chaiye btiye

Answer: Aap par laazim hai k namaz ki qaza karein or tauba karein.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356).
[Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Namaz, kaza krna kesa h

Answer: Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera hai, lekin Agar koi shakhs namaz keh pore waqt k doran soya rahay aur bad men pata chalay ke namaz ka waqt nikal gaya hai ya us ne madhoshi ki wajha se naamaz na parhi ho to gunahagar nahin hoga, aur in donon surton men namazon ki qaza baja lana zaroori hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Edition #1439 hij, Maslah #30).
(Ref: Ayatllah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #1356).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Roza khulne se adha ghante phle haiz hogaya ha tou roza toot gaya ha ???

Answer: Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. or jo roze aurat ne haiz ki waja se na rakhe ho un ki qaza karna zarori hay. laikin jo namaaze haiz ki halat me na perhe ho un ki qaza nahe hay(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612,459)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114383
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Isha azan ke baad asar ki kaza Namaz padh sakte hai

Answer: Jee han, Parh sakte hain, Lekin Qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi parhi ja sakti hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1356,1358).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114456
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-14

Question: aslamualikum Mera Sawal Hai k mei 2 se 10 ki job krta hun too meri Zuhr , asar ,magrib ki nimaz qaza ho jati hai kya unki qaza mei job se wapis aa kr adda kr skta hun .. Agar haan to kya qaza k liye mujhe sunnat b pdhne hun gye ga srf farz Aur kya qaza nimaz agr farz pdhne hain too jaise zuhr k 4 farz hain 4 hi qaza pdhne hun gye ya zyada..

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hai. Aur fiqh e jaffariya men Namaz e zuhar or asar ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. Har namaz apne wakt par adaa karna wajib hai . or namaz ko qaza karna bhi gunah hay.
Aur isi tarah Namaz e magrib aur isha ka waqt mukhtar shakhs (yani jise koi majboori na ho) k liye aadhi raat tak hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 730,718,724).

(Note: Upar bayan kiye gaye 2 masalon ki bina par Aap ko chahiye ke zuhar aur asar ko aik sath mila kar zawal ke bad aur 2 baje se pehle parhain namaz zohar ke time hojaane ke baad Q ke zuhar or asar ki namaz ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. aur isi tarah magrib aur isha ko aik sath mila kar 10 baje job se aane ke bad parhain Q ke magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs (yani jise koi majboori na ho) k liye aadhi raat tak hai ).
[Updated on 15-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115171
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-24

Question: 2 din se namaz nhi pad saka to maslan 10 time Ka Sare namaz padna hai

Answer: Jee jo namaz qaza ki hain aap par laazim hai k un ki qaza karein or gunah ki taubah bhi karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)
[Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-12

Question: Qaza nmazo ka tareeqs

Answer: qaza namaz bilkul usi tareekay sai adaa ki jaaye gi jis tarah waqt k andar adaa namaz parhi jaati hai bus niyyat sirf aap qaza namaz ki karein gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356).
[Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-16

Question: Agr qaza nimazon k tadad maloom na ho … phr hr aik nimaz kai sath agr us ki qaza phrtai jayein toh is sai qaza nimazein puri ho skte hai?? Is tarah krna jaez hai??

Answer: Agar kisi shakhs ko yeh yaad na ho keh us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay adad k hisab se namaz parh lay to kafi hai maslan yeh na janta ho keh 3 theen ya 4 ya 5, to agar woh 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yani upper wali misal k etibaar se behtar yeh hai k 5 namazain parh lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masalah #1364).
[Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116367
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-14

Question: Agr hum zohar ya kisi bhi waqt ki namaz prhny lgy hen or qaza namaz prhna chahen to kya qaza namaz us namaz sy phly prhni hy ya bad main..?

Answer: 1: Jis shakhs ki namaz qaza ho jaye to zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi nah kare albata is ka fouran parhna wajib nahin hai.
2: Jis shakhs ki guzishta dino ki faqat aik namaaz qaza hue ho us ke liye behtar hai keh agar us din ki namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to pehle qaza parhe aur us ke baad us din ki namaaz mein mashghul ho. Neez agar us ki guzishta dino ki koi namaaz qaza na huye ho, laikin usi din ki ek ya ek se zayada namaazein qaza huye hon to agar us din ki namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to behtar yeh hai keh oos din ki qaza namaazein adaa namaaz se pahle parhe.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1358,1365).
(Note: Qaza namaz wese to kabhi bhi parhi ja sakti hai Q ke qaza namaz ke parhne ka koi waqt muayen nahin hai jese ke upar bayan kiya gaya lekin agar jis din namaz qaza hue hai usi din parhna chahen to agar us din ki ada namaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to qaza namaz ko us din ki ada namaz se pehle parh sakti hain. maslan agar aik din ki namaz e fajr qaza hue ho or usi din parhna chahen or us din ki namaz e zuhr ki fazilat ka waqt khatam bhi na ho raha ho to namaz e fajr ko us din ki namaz e zuhr se pehle parh sakti hain).
[Updated on 15-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Puri life me jitni namaz chout gayi h usse kaise ada kre?

Answer: Agr kisi shakhs ki namazen qaza ho gai hon or wo ye na janta ho ya bhool gaya ho k un qaza namazon ki tadad kiya hai maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhay k usay yaqeen ho jaye k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gaya ho k os ki kitni namazain qaza hui thin aur usay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1364).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116576
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-27

Question: Kya Namaz e fajr rozana qaza kr k parh Skte Hein ??

Answer: Jee nahin, Qaza nahin kar sakte Q ke Jaan bojh ker namaz ko waqt par nah parhna (yani qaza karna) gunah e kabira hay. aur jo namaz waqt par nah parhi jaye tu os namaz ko qaza ki niyat se parhna wajib hoga.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. +Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1356).
[Updated on 28-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120372
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-07

Question: If a person get up late like after 8 am his namaz qaza what should he do immediately perform or better to perform with zohrain

Answer: Agar namaz qaza ho jaye to zaroori hai k is ki qaza perhne me kohtae nah kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai.
Agar isi din ki aik ya aik se ziyada namaz qaza hoe hoon tu agar os din ki namaz ki fazilat ka waqt khatam nah ho raha ho tu behter ye hay keh os din ki qaza namazin ada namaz se pehle perhay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1366).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-18

Question: Aoa.. kia qaza namazein ikhatay jese 1000 rakat tamam qaza namazo me se parhte hain.. na k zuhr ki alah asar ki alag. Mtlb rakatein poori krein tou theek he?

Answer: Jee nahin, balkeh qaza namaz me bhi har namaz ko us ke usi tareeqe ke mutabiq anjam dena zaroori jo tareeqa ada namaz ke baare me bataya gaya hai. jaise ke namaz e fajr ki do rakat parhni zaroori hain, zuhr ki chaar rakat parhni zaroori hain, wageraa......
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sitsani(d.b), edition #42, maslah #930 to 1092,1356).
[Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121305
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-06

Question: Salam, manay apni Qaza namaz pharna Shuro ki han jin ki tartib manay ya rakhi hai k Phalay main apni sari Fajar ki qaza namaz khatam karoga Phir zohar phir Asar Etc kia main asay qaza namaz phar sakta hon or kafi sari Fajar ki Namaz phar bhi chuka ho lakin log atraz kar rahay han k asa nai kr sajatay roz pori pori namaz pharo gay to he Qaza namaz pharogay warna nai hogi Main Sistani Sb ko follow krta ho kindly rahnumai Farmai

Answer: Yaumiya namazon ki qaza mein tarteeb zaroori nahin hai, siwaye un namazon ke jo tarteeb ke sath ada ki jati hain, jaisay ke aik hi din ki zuhar aur asar ki namaz, ya aik hi shab ki maghrib aur isha ki namaz.
lekin agar aik din ki namaz zuhar aur dosray din ki namaz asar qaza hui ho ya aik shab ki namaz maghrib aur dosray din ki isha qaza hui ho to un ke darmiyan tarteeb ki riyat karna lazim nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1835).
[Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121424
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-22

Question: Kia suba ki nimaz Suraj nikalny k bad par sakty hn

Answer: Subah ki namaz ki adaigi (jis me fajr ki namaz ada ki niyat se parhni hai) ka aik waqt muqarar hai us ke baad namaz e fajr qaza ho jaati hai, lihaaza is se pehle namaz e fajr adaa karna zaroori hai. aur suraj nikalte hi fajr ki namaz qaza ho jaati hai, lihaaza suraj nikalne ke baad namaz e fajr, qaza ki niyat se parhni hogi aur qaza ka waqt muayyin nahin wo kabhi bhi parhi ja sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,, maslah #729,1358).
[Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-24

Question: Kone Sai nimaz hai jo qaza hu nai pai nhy padthi hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).Jin namazo ki qaza nahe hay in se khuch ye hay .

Wo eid fitr aur eid qurbaan ki namaz hai ke agar waqt guzar jaye to in ki qaza nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1829).
[Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-24

Question: Kone Sai nimaz hai jo qaza hu nai k baad nhy padthi hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).Jin namazo ki qaza nahe hay in me se khuch ye Hain

Wo eid fitr aur eid qurbaan ki namaz hai ke agar waqt guzar jaye to in ki qaza nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1829).
[Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Marhom ki namaz e qaza ka tareeqa aur tarteeb kya hai

Answer: Marhoom ki Qaza namaz parhnay ka tareeqa wohi hai jo apni ada namaz parhnay ka tareeqa hai. aur marhoom ki qaza namaz tarteeb bhi lazim nahin hai siwaye un namazon ke jin ki ada me tarteeb hai. maslan aik din ki namaz e zuhr o asr ya maghrib o isha. Sirf niyat tabdeel karni hogi (yani niyat ye karni hogi ke maslan me marhoom ki 2 rakat namaz e fajr parhta hon qurbatan ilal laah.

Marhoom ki taraf se namaz parhne wale ke liye zaroori hai ke jo amal baja laaye us ke liye niyat kare ke jo khuch mayyit ke zimme hai wo baja laa raha hon aur agar koi amal anjaam day aur srif is ka sawab mayyit ko hadiya karde to ye kaafi nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #930,1369,1518,1524).

(Note: Waazeh rahe ke niyat ke taur par zabaan se koi alfaaz ada karna ya dil se guzaarna zaroori nahin hain. sirf zehan mutawajjah rahe ke khuda ka hukum baja lane ki gharz se yani qurbatan ilal-laah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. albatta agar zabaan se alfaaz kahain to bhi koi haraj nahin).
[Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122330
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-11

Question: Qaza umri me Kea fajar ke sari nmaaze pahly ada kr skty he Or pher zuhar ke sari

Answer: Yaumiya namazon ki qaza me tarteeb laazim nahin hai siwaye un namazon ke jin ki ada me tarteeb hoti hai. maslan aik din ki namaz e zuhar aur asr ya maghrib aur ishaa.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1361).
[Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122420
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-22

Question: aslm o alaikum mera ek question h meri kuch namaz qaza ho gai hn ma un ko ada krna chti hun toh please muje thori informed chai thi jesy hum fajar ki qaza namz phry toh sunt frz se ada hogi wesy he zohr asar magrib isha in qaza namaz mein kya phrna zarori h khli farz ya sunt nafil bhi ye ap muje btay k khli frz se qaza hoti h?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq namaz ki qaza karne me tarteeb zaroori nahin hai aur isi tarah jis ke zimme qaza namaz ho wo mustahab namaz parh sakta hai.

Aap ko aik aur masleh ki mutawwajeh kiya jata hai ke Wajib or farz har wo amal hota hai jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nighah me zaroori or laazimi ho. in main koi faraq nahin hai, aik hi matlab hai.
Rozana ki 5 namazen wajib hain zohar 4 rakat, asar 4 rakat, maqrib 3 rakat, isha 4 rakat aur fajar 2 rakat hain.
Isi tarah mustahab, sunnat aur nafil namazein alag alag nahin hain. rozana ki mustahab namazen buhut si hain jinhen nafil namazen bhi kehte hain, rozana ki mustahab namazen ye jumme ke din ke alawa 34 rakaten hain Jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat maqrib ki, 2 rakhate isha ki, 11 rakat namaz shab ki lekin jumme ke din zuhar or asar ki 16 rakaton pe 4 rakat ka izaafa ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752,1361, fiqhi istelahaat, pg #479).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122508
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: Agar ma safar ma ha or Zohar or Asir ke mnz par lata ha lakin gar ponchta ponchta bul jata ha mugrib or ishea ke mnz or subh yad ata ha is ka laya Kya ihkam ha

Answer: Jo namaz un ke apnay waqt me na parhi ho to zaroori hai ke us namaz ki qaza baja layen. aur zaroori hai ke us namaz ki qaza parhne me kotahi na ki jaye albata is ka fauran parhna wajib nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1356,1358).
[Updated on 08-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-05

Question: Agar ma safar ma ha or Zohar or Asir ke mnz par lata ha lakin gar ponchta ponchta bul jata ha mugrib or ishea ke mnz or subh yad ata ha is ka laya Kya ihkam ha

Answer: Jo namaz un ke apnay waqt me na parhi ho to zaroori hai ke us namaz ki qaza baja layen. aur zaroori hai ke us namaz ki qaza parhne me kotahi na ki jaye albata is ka fauran parhna wajib nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1356,1358).
[Updated on 06-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122579
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-12

Question: Baap ki qaza namaz agr bete per farz ha to iska hawala dein kesi imam se hadees se ya quran se

Answer: 1. Muhammad bin abi umair baaz ashaab ke tawassut se Hazrat Imam Jaffer Sadiq(a.s) se riwayat karte hain ke Aap(a.s) se poocha gaya ke aik shakhs mar gaya, jabke us ke zimmay namaz o roza tha? farmaya: jo shakhs (wirasat mein) sab se aulaa(اولیٰ) hai wo (yeh faraiz) ada kare.
2. Abdullah bin sanan Hazrat Imam Jaffer Sadiq(a.s) se riwayat karte hain. farmaya: marnay walay ki mout se pehlay jis namaz ka waqt daakhil ho gaya tha (magar woh parh nah saka) to us ki qaza sab se ziyada qareebi waris par wajib hai.

(Note: kitab wasail-us-shia ke baab e meeras me jo dusri ahaadeen bayan huei hain us me bayan kiya gaya hai ke wirasat mein sab se aulaa(اولیٰ) aur sab se ziyada qareebi waris se muraad bara beta hai).

(Ref: Wasail-us-shia (urdu), part #5, pg #309,311, aur part #17, pg #274,275).
[Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-03

Question: AGR KISI KO GHUSAL KA NA PTA HO OR VHO NA PAK HO TU KYA USKI NAMAZIE QABOOL HONGI?

Answer: Janabat (na-paaki) ki halat me jitni namazen parhi hain wo baatil hain (yani sahi nahin hain), agar un namazon ka waqt baaqi ho to ghusl kar ke dobara parhna zaroori hain aur agar waqt guzar gaya ho to unki qaza karna zaroori hai, Q ke wajib aur mustahab namazon mein se har aik ko wuzu, ghusl ya tayamum ke sath ada karna zaroori hai, warna namaz baatil hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1009).
[Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122878
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Asalam sir main job karti hou main roza rakhouge namaz ka kohi intezam nahi hai office main sare non muslim hain to ky roze main sari namaz Qaza ek sath phar sakti hou ?

Answer: Jee nahin, balke jan boojh kar namaz ka qaza karna Haram aur ghunah e kabira hai aur aap ke liye zaroori hai namaz ke liye koi intezaam karen maslan lunch breack me namaz parh len ya ke aap office management se baat kar apna breack time barha den aur us me namaz parh len. lekin bhi kisi soorat me namaz apne muqarrara me nah parhna jaiz nahin hai.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-06

Question: Kia apni jaga kisi or ko roza rakhwa suktay agar bimari ki waja se na rakh sakain to? Or kia kisi fot shuda admi k nam k rozay rakhwa suktay h?

Answer: 1: Jee nahin, Jab tak insaan zinda hai chahe wo apni qaza namazen (aur roze) baja laane se aajiz hi Q na ho koi dosera shaks us ki qaza namazen (aur roze) nahin baja laa sakta.
2: Jee han, Insaan ke marnay ke baad un ki namazon, rozon aur doosri ibadaton ke liye jo wo zandigi me nah baja laya ho kisi doosre shakhs ko ajeer banaya jaa sakta hai. yani wo namazain, rozay kisi ko ujrat day kar anjam diye ja sakhte hain Aur agar koi shakhs bagair ujrat liye un namazoon, rozon aur doosri ibadaton ko baja laye tab bhi sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1368,1371, 1514).
[Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-15

Question: agar apki Qaza namaz baki ho or jamat hony wali ho tou apko phely qaza namaz parhni chaiye ya jamat wali namaz?

Answer: Aap mukhtaar hain in me se jo chahen parhen, albatta jamaat ke sath namaz parhna ziyada sawab ka baais hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1380,1381).
[Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123284
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-14

Question: Assalam U Alaikum, mera question yeh hai k woh shakhs jisne apni life ki almost namazen qaza ki hon woh kis trah tarteeb de kr ada kre.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq qaza namaz parhne me tarteeb zaroori nahin hai.

Agar kisi shakhs ki namazen qaza ho gayei hon aur wo ye na janta ho ya bhool gaya ho ke un qaza namazon ki tadaad kiya hai maslan wo ye na janta ho ke 3 saal thi, 4 saal thi ya 5 saal thi to agar wo chotay adad (yani 3 saal) ke hisab se parh lay to kaafi hai lekin behtar ye hai ke itni namazain parhay ke use yaqeen ho jaye ke saari qaza namazain parh li hain maslan agar wo na janta ho ya bhool gaya ho ke us ki kitni namazain qaza huei thin aur use yaqeen ho ke 10 saal se ziyada nahin thein to ehtiyatan 10 namazin parhay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1361,1364).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-19

Question: Namaz qaza ko kya short cut parh sakte hai? Jaise roko sajda or subhanallah walhamdullillah 3 ki jaga 1 bar parhe namaz ho jayega..mujhe 6 din ke namaz eksaath pura karna hai

Answer: 1: Qaza namaz parhne ka tareeq bhi wohi hai jo ada namaz parhne ka hai. faraqt niyat karte waqt qaza ki niyat ki jaye gi. is ke baad surah al-hamd aur doora surah, phir ruku aur is ka zikr, phir do sajde aur in ka zikr. is ke baad doosri rakat me bhi yahi karna hai. Albatta namaz ke jitne bhi mustahab zikr ya mustahab afaal hain agar unhen na parha jaye to koi haraj nahin, namaz sahi ho jaye gi jaise ke ruku, sajde aur tasbeehat e arba aik martaba parhna wajib hai lekin doosri aur teesri martaba wajib nahin aur doosri aur teesri martaba na parhen to namaz sahi ho jaye gi, isi tarah mustahab azkaar ko bhi jaan bhooj kar choora jaa sakta hai.

2: Mustahab azkaar jaise azaan o iqaamat, namaz ki darmiyani takbeeren kehna, takbeeren kehte waqt hathon ka buland karna, qunoot parhna, ruk use khare hone ke baad wala zikr (سمع اللہ۔۔۔۔۔۔۔) parhna, do sajdo ke darmiyan wala zik (استغفراللہ۔۔۔۔۔) parhna etc....

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #903,1015,1016,1030,1036,1078,1104,1356).
[Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-25

Question: AOA! mera swal swal yeh heu k agr koi shakhs foot ho jae ur hamein yeh na pata ho k woh suni the ya shia hum ne un ki kaza nimaz parne ho to un ki kaza nimaz parne ho to kis niat se nimaz paren.

Answer: 1: Agar namazein parhne wala shia hai to namazein bhi shia tareeqay ke mutabiq parhni hongi
2: Qaza namaz parhne ka tareeqa bhi wohi hai jo ada namaz parhne ka hai. faraqt niyat karte waqt marhoom ki namaz qaza ki niyat ki jaye gi.
3: Chahe mard ho ya aurat, niyat ke alfaaz dil se guzrna ya zaban se ye kehna ke "me marhoom ki fulan (fajr, zuhr, asr, magrib, isha) namaz parhta hon qurbatan ilallah" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai, yani pata ho ke me marhoom ki namaz parh raha hon ye kaafi hai, alag se alfaaz ada karna zaroori nahin hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #930,1356).
[Updated on 25-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print