Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qaza Namaz (154 Questions)


Showing 50- 100 questions from 154 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
47487
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: mera ek doubt hai..k agar koi namaz e shab ki jagah apne marhoom baap ki qaza namazein parhay tou kia utnahi sawab hy jitna namaz e shab ka hy??aur kia is ka sawab baap ko bhi pohonch sakta hai ? plz reply

Answer: Agar baap ne apni khuch namazain nah perhi hoon or on namazo qaza perhne par qadir ho to agar os ne khuda k hokum ki na-fermani kertay hoay on ko na chorha ho to ehtiyaat e wajib ki bina par os k baray baitay par wajib hay k baap k marnay k baad os ki qaza namazain perhay ya kisi ko ujrat day ker perhwaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1371)Note : Marhoom baap ki qaza namazain alag wajib hai aur namaz e shab parhna alag mustahab hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48066
Mujtahid:
- Date:

Question: Gunnaho se bachne ka tarika? Agr din me ek wakt ki namaz qaza hojae tou usey hum bad me kese parhein.

Answer: 1)Gunahon sai bachnay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).
2)Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. Is ka tareeq wohi ho ga jo aam namaz parhnay ka hota hai faraqt niyat kartay waqt qaza ki niyat ki jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
48694
Mujtahid:
Date:

Question: agr nmaz qza ho jaye to kb ada krain usi din ya aglay dn?

Answer: is shaks ki qaza namaz ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na karain albetta is ka foran perhna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1358 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50664
Mujtahid:
Date:

Question: Jis Shaks Ki Namazain Qaza Hoi Hon Aur Tadaad Maloom Na Ho, Tou Wo kya kare ???

Answer: Agar koi shaks apni qaza namazo ki tadaad nah janta ho ya bhool gaya ho maslan ye na janta ho k qaza namazain 3 thi ya 4 ya 5 tou chotay adad k hisab sy(yani 3 namazain) parh le tou kafi hai laikin behtr hai k itni namazain parhay k usay yaqeen hojaey k us nay sari qaza namzain parh li hain. (Ref:Ayat#ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50701
Mujtahid:
muslim Date:

Question: swal hy k agr kisi ko apni qaza namazon ki tadad ka ilm na ho to wo four rkt nmaz nfl ada kry,surt fatiha k bad seven bar aeytul kursi phir is k bad fifteen time surt kousr prhen tp seven hundred yearz ki qza nmazon ka kfara ho jaye ga. kya ye true h agr true hy to book ka hwala dy den plz..

Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)
Misaal k tour per agar kise ki chnd subah ki namaze ya chnd zohar ki namaze qaza hogai ho aur wo in ki tadad na janta ho ya bhool gaya ho maslan ya na janta ho k wo 3,4 ya 5 to agar wo chhote adad k hisab se perh le to kafi hai.lekin behter ya hai k itni namaze perhe k ise yaqeen ho jaay k sari qaza namaze perh le hai.maslan agar wo bhool ghya ho k is ki kitni namaze qaza hoye thi or use yaqeen ho k 10 se ziyada na thi to ehtiyatan subah ki 10 namaze perhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1364 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).Albatta jis namaz ka apne zikr kiya aysi koi namaz sabit nahi hai k jisko ada krne se 700 saal qaza shuda namazen ada hojaen. ( Ref: Official site of Ayat_ul_Sistani www.sistani.org )

Print

Id:
50959
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: assalam o alikum mera question yeh hai k ek majlis mai molana sahab ne bataya tha ke jis shaks per uski qaza namazein hun woh na amaal kr sakta hai na mustahib namazein parh sakta hai aur na namaz e shab ada kr sakte hai..please es ke barey mai kch bataye k kia yeh baat sahe hai?? please answer my question

Answer: Agar aap per koi wajib roze ki qaza hai to jab tak aap us roze ki qaza nahi kerte tab tak to ap mustahab roza nahi rakh sakte albatta agar aap k zimmay wajib namazo ki qaza hoto is se koe faraq nahi parhta aap mustahab namazen parh sakte hen or namaze e shab bhi mustahab namazon men se hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaj-ul-saliheen,msla#513). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52547
Mujtahid:
Date:

Question: Khaun se halat me namaze kaja padha jata hai

Answer: jis shaks ki namaz qaza hojae tou zarori hai k uski qaza parhnay mai kotahi na karay al-batta uska foran parhna wajib nahi hai. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1358)

Print

Id:
54181
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Qaza namaz parhni ho mean zuhar or asr ki parhni ho to kia tarteeb ho gi phle zuhar ki farz or phr zuhar ki kaza phr asr or phr asr ki qaza ya zuhar frz or asr frz parh k zuhar ki qaza r phr asr ki qaza parh sakty hain?

Answer: Ager zuhar o asar ki qaza namaazain 1 din ki pherhna maqsood ho jese zuhar o asar ya maghrib o isha(jumme ke din ki) indono ke dermiyaan tarteeb lazim hai, or ager in ko yoomiya farz namazoo ke saath pharna ho to ager farz namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to behtar hai k pehle qaza phare phir farz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1361 , 1365 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54530
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A. sir i want to ask main jinko chahti hon kia un k hisay ki namaz ada kar skti hon? wo bht masrofiyat ki wjah se 5 wkt ki adaegi nae kar paatay. please mjhay jawab dain jaldi plz

Answer: Gee nahi ye jaiz nahi hai apki us ki taraf se namaz ki adaigi se us pr se namaz ki zimedari khatam nahi hogi, chahe kitni hi masrufiat ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1368 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaye)

Print

Id:
56214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Can we pray qadha namaz in tahajud namaz. Eg. Instead of 2x4 nnamaz shub, if can pray 4 rakat namaz zuhar and aasaar qadha

Answer: Wssalam o alykum, yes you can. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1359 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56625
Mujtahid:
Date:

Question: Sr Muje ik msg aya ha kya ap muje uska jwb dye de ge. Irshad e Nabvi SAW ha k jis shakhs ke namazain Qaza Hoi hon or taadad maloom na ho to wo ramzan k akhari Juma k din 4 Rakat nafal 1 salam k sath parhay, Har rakat main Surah Fatiha k baad Ayatal-Kursi 7 Baar, Surah Kauser 15 bar parhay. agar 700 saal ki namzain bi qaza hoi hon to is ka kafary k liye ye namaz kafi hai. Please ap muje se Hadees ka Mukamal maloomat dye skte ha agr to ye thk ha to phr ma agye logo tk forward kro. -- Please reply as soon as possible time.

Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1356)Note: is hadees par bohat saray ishkal(doubts) hain jin mai sai aik ye hai k hadees mai ye hai k os namaz k parhnay sai qaza namazoo ka kaffara ada ho jata hai, is sai ye sabit hua k kaffara to ada ho gya magar phir bhi qaza to apni jigha rahi jis terah rozay mai hota hai k qaza k sath kaffara bhi hota hai agar koi kaffara ada kar dai to phir bhi osay qaza roza rahkna parta hai. is k alawa ye hadees aik zaeef shakhs k hawalay sai hai k wo mola Ali a.s. k pas aya aur kaha k meri bohat sari qaza namazain hai aur un ko ada karnay ki taqat nahi hai to mola Ali a.s. nai kaha k tum ye parh lo, is sai ye sabit hua k wo zaeef honay ki wajah sai namaz ada nahi kar sakta tha aur bhi bohat sari batain hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57745
Mujtahid:
Date:

Question: Agar meri koi nmz reh jay to main usy kasy perh skta hun

Answer: Jo namaz waqt per nah perhi jay tu os namaz ko qaza ki niyat se perha hoga. Or namaz ko jaan bojh ker waqt per nah perhna gunah hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57976
Mujtahid:
Date:

Question: Assalaamoalekum, Mera sawaal ye hai ki kya fajr ki qaza mein sunnat bhi ada kar sakte hain. Ahar haan to kis waqt tak.

Answer: Wssalam o alykum,G Han kisi bhi wqt ada kr sakte hen mager qaza ki niyat se.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 57 , pg # 36 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya namaz nafila ki qaza padh sakte hai yaa padhni chahiye

Answer: Nafla namaazo ki qaza karna mustahab hai waajib nahe hai.(ref:minhaajus sauleheen, aqa sistani,jild :1,masla:723,eidition:2009) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61583
Mujtahid:
Date:

Question: Assamo alaikum agar fajar ki namaz qaza hogai hai to kya jumme ki namaz aada hogi yta pehle fajar ki qaza namaz aada karni hogi

Answer: Wssalam o alykum, fajar ki namaaz ka pehle ada karna zarori nahi hai, pehle juma namaz ada ki ja sakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
62575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aghar mari bhot sari namaz kaza hwi hai or mai buzurg ho chuki hu pairo mai bhot dard raita hai or mai bait kai kaza namaz par rahi hu to kya sahi hai

Answer: Jis k liay kisi majbori ki wajah se mukammal tariqay se namaz perhna mumkin nah ho or ilm ho k baad main uzr(majbori) door ho jay gi tut u ahwat e lozomi hay k wo qaza ki adaegi ko uzr k door hone tak taker kare., or agar os ko ilm ho k aakhri urma tak uzr door nahi hoga tu os k liay fuaran qaza namaz ko perhna jaiz hay , balkeh agar os ko ehtimaal bhi ho k uzr aakhiri umar tak baqi rahe ga or door nahi hoga, laikin agar uzr door ho jay tu ehtiyaat e wajib ye hay k agar kharabi o khalal arkaan main that u dobara namaz k qaza baja laay , or dobara bajalana wajib nahi agar khalal arkaan k alawa kisi or main ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #733 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
63782
Mujtahid:
Date:

Question: agar asar namaz qza ho gya aur magrib ka waqt ho gya to hum ko kya krna chahiy pahly magrib ki namaz ada kry ya asar ki namaz ada kry.agar asar ki namaz ada kry pahly to us ki niyat qza ki kry ya kuch aur.

Answer: Agar kise ki namaaz asar qaza ho jaay aur namaaz maghrib ki fazilat ka waqt baqi ho to behter ye hai k phele qaza namaaz perhi jaey aur phir namaaz e maghrib perhe jaey laikin phele maghrib perhna jaaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1365). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63827
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Assalam o alikum Guzre howe din ke qaza namazin agle din ke ko qaza ada karne ho to kunse time ko behtar hoga

Answer: Jis shaks ki namaz qaza ho jaey tu zarori hay k oski qaza perhne main kotahi nah kare albatta os ka fori perhna zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1358). Update on dated 01-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: my ny zwal k wakt nimz e fajr ada ki mjy nhi pta tha k ye zwal ka wkt hy....kisi ny btaya k ye zwal ka wkt tha ap thori dyr bad dubara prh ly....to my dubara ada kr li......ub wo jo zwal k wkt prhi thi kya us py ALLAH ki pkr to ni ho ge?

Answer: Qaza namaz har waqt perhi ja sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1381). Update on dated 17-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72736
Mujtahid:
Date:

Question: Agar ek sath kisi wajah se hamari do char din ki namaz qaza ho gai to un sab namazo ko kaise ada karein..? Kya sab waqt ki alag alag ada karni hogi ya ek hi baar.. Kaise..?

Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye.
Jis shaks ki qaza namaz ho jaay zarore hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(balke toure toure kar k bhi perh sakte hai.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 37th edition, maslah #1356,1358 ) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76540
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya nimaz asar k baad zuhr ki kaza nimaz pad sakty hain ....shukria

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1365). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78759
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum mera sawal ye hai k Fajar Namaz ki sunnatain agar Reh jain to unhe Parhne ka kya Hukam hai.... Jazak Allah

Answer: Nafil namaz ki qaza takeedi mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 04-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81756
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam mera swal ya ha k agar koi shuks numaz purhna ma galti kra or bat ma us ko pta chla k vo numaz galt purh rha tha to is k bat kya kra jaya

Answer: Agar ghalti ghair wajib-e-rukni main ho or wo shakh jaahil e qasir nahi to namaz sahi hay or jo ghalat parh raha tha usay seekh lia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #929 ). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81765
Mujtahid:
Date:

Question: gunah ki waja se mujh par gusul farz hua lekin jab mujhe gusul ke bare mei kuch pata nhi tha or mwi ne is doran tamam namazein ada karien ab toba Karli hai lekin jo ye lamba arsa guzra or mei ne gusul nhi kiya tha to ab meri namazein kya zaaya hogai fiqhae hanafi sunni mei jawab dejiye ga

Answer: In tamaam namazo ki qaza kerna hogi jo halat e janabat main perhi then.(Ref: Ayatullah SIstani d.b, Al-masael ul muntakhaba, pg#153). Update on dated 25-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81780
Mujtahid:
Date:

Question: Subha kazab se ly ker fajar tak koi kaza nemaz perhi ja sakti he

Answer: Jee qaza namaz har waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Mera swal ye h k insan ne ghunao se toba kr li ho pr uski pichli nimazo ko kesy ada kr skta h kia koi kfara ada kr k ya kesy?

Answer: Jis shakhs ne apni rozana ki namazain un k waqt me nah parhi hoon to zaruri he k un ki qaza karain aur is k lie koi kaffara nahi he lekin orat say jo nemazen panjgana haiz ki wajah say choten hen unki qaza nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1367 ). Update on dated 07-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85120
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u Alaikum Mera sawal ye hai mein foreign mai rehta hu kya mein job pe duty ki wajah se namaz qaza kar sakta hu kiun ke boss muslim nahi ha or wo namaz ke liye time nahi deta tou muje kya karna chahye

Answer: Wajib hay k namaz waqt k andar parhi jaey kisi bhi wajah se namaz ko qaza kerna jaiz nahi hai. (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85132
Mujtahid:
Date:

Question: fajar k sath asar maghrib aur isha ki kaza namaz parhee ja skhti hai?

Answer: Jee haan, parh saktay hen, laikin namaz qaza kerna gunah hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 1361,1365). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88397
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Murde ke qaza nimaz par sakte hain

Answer: Jee parh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1375). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88969
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam aleikum. Agar asar ki namaz qaza hojae to magrib parh sakte hen ? Ya pehle asar ki qaza parhna lazmi ha warna magrib qabool ni hogi?

Answer: Agar asar ki namaz parhanay say maghrib ki namaz ki fazeelat wala waqat khatam nahi hota to behtar hay k asar ki namaz pehlay parhi jaey . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1365). Update on dated 21-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: agar koi chahe ke meri zindagi me jo pehle namazen qaza howi hen un ki qaza parhi jae tu us ka kiya tarika he

Answer: Agar kisi shaks ko yeh yaad na ho keh us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay adad k hisab se namaz parh lay to kafi hai maslan yeh na janta ho keh 3 saal ki namazain qaza huwi theen ya 4 ya 5 saal ki, to agar woh 3 saal ki namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali misal k eytibaar se behtar yeh hai k 5 saal ki namazain parh lay. (Ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1364)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93389
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-07

Question: Aoa. Agr kisi ki kafi saal ki namaz qaza ada krni hy toh niat kese ki jae gi.? Jese k fajar k 10 qaza namaze parhni hy toh kese niat ki jae? Alag alag niat ya eik bar niat ?

Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazo ki qaza baja laey. Albatta in qaza namazo main tarteeb lazim nahi hai siwaey in namazo k jin ki ada main tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356).
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-15

Question: Kya apni zindagy main apni pichli jo qaza namazain hain unka fidya desakty hain ham? Agar qaza karny ki himat taqat na ho....

Answer: jee nahi aisa koi fidya nahi hai qaza karna lazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356)
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101180
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia fajar ki namaz qaza karnay k liye is ki 2 sunnat pehle ada karna zaroori hay ya khali 2 farz parh k qaza namaz ho jati hay fajar ki?

Answer: Fajar ki wajib namaz agar qaza ho jaey tu oski qaza namaz perhna zarori hay laikin fajar ki sunnat namaz ki qaza mustahab hay zarori nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1356). Update on dated 19-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-05

Question: Assalamo alaikum Hazrat kaza umri namaz kaise padhe

Answer: Yoomiya namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1361)
[Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-27

Question: Aoa Agar Namaz e Fajr aap sy inteha e waqat mein ada ho jaye, air baad mein pata chaly k ye inteha e waqat tha. Tu kya Namaz ki adaigi dobara krna hogi?

Answer: Namaz dobara parhne ki zaroorat nahi hai ku keh namaz waqt ke andar hogayi hai. (mafhoom e masla) (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, 41st edition, Maslah no 730).
[Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: As'Salamu Alaikum Wa Rehmatullahi WaTa'ala Wa Barakatuhu Mera sawal yeh hai ki Kya Fajar Aur Asar mea khaza namaz padh sakte hai ya Nahi? Please bataye

Answer: Yoomiya namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-18

Question: Kya na mehram ka umrah krna jaiz hai agar jaiz hai tau kis tara niyat kar kai kar sakhtai hai umrah na mehram kai liyai

Answer: insan ke marney ke baad un namazon aur dosri ibadaton ke liay jo woh zindagi mein na baja laya ho kisi dosray shaks ko ajeer banaya ja sakta hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 1514)
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103363
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: Sir Mera wala ye hai k QAZA namaz kis Waqt Ada kr skte hai ????

Answer: Qaza namaz kisi bhi waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-17

Question: women ki period ky duran ki namazy maaf ho jai ge ya period katam hony ky bad namazy complete karni ho ge .please es bary mai koi hadis bata den . shukria

Answer: 1) Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456)
2) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459)
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-15

Question: Kya asar ki namaz k saath qaza namaz adaa hojati hai ya nai

Answer: Asr ki namaz k baad qaza namaz perhi jaa saktti hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1367).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107884
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-02

Question: Agar Sony ke waja sy koi namaz qaza ho gai ho tu us ke qaza agli namaz ma ada ho skti hai or qaza namaz bd ma ada ke jahy ge ya phely masaln Meri zohr qaza ho gai ab asar ka time hai ma phely asar parho ga ya zohr ke qaza namaz paro ga

Answer: Note: Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain.

Print

Id:
107919
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-27

Question: Assalamualekum agar fajr ki namaz choot gaye kisi ye wajhe se ki woh namaz ki niyaat kara aur phir namaz ke waqt soo gaya? Toh us waqt keya kaaree

Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazo ki qaza baja laey. Albatta in qaza namazo main tarteeb lazim nahi hai siwaey in namazo k jin ki ada main tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107931
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-08-24

Question: Kiya Apni Qaza Namaz ojrat de kar parhwai ja sakti hai?

Answer: Jab tak insaan zinda hai chay wo apni qaza namazen perhne se qasir he kyu na ho koi dosera shaks is ki qaza namazen nahen perh sakta . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1368)
[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108283
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-12

Question: fajar ka waqt guzarnay kay baad us ki sunnat parh sakty hen

Answer: waqt guzarny k baad nawafil ki qaza karna mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/0736/)
[Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108477
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-26

Question: Fazr ki qaza subah 9am tak padh sakte hai sunnate bhi ada karni hongi ya farz hi pade jayenge

Answer: 1) Jee parh sakte hain qaza k liye koi khaas waqt nahi hai lekin itni takhher na karay k la parwahi shumaar ho.
2) Nafil (sunnat) ki qaza zaroori nahi hai.
(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02674/)
[Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Magrib ki namAz k baad asar ki kaza namAz padh skte hai ya nahi

Answer: Jee han, Qaza namaz magrib ki namaz k baad ya kisi bhi waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1367).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110285
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-16

Question: Kis farz namaz ki qaza nahi padhi ja sakti

Answer: Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zarori hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 31st Edition, page # 216, Masla# 1358)
[Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110286
Mujtahid:
Tabrez Date: 2022-10-27

Question: Kis farz namaz ki qaza nahi padhi ja sakti hai

Answer: 1: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi ho to zarori he k us namaz ki qaza baja laye. 2: Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356,1358).
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110401
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: As salamu alaikum. Ji me 20 saal ka hu or "poland" country me rehta hu or yaha fajr ka waqt raat 3 baje hota he aur mera kaam raat ka he or me ghar per subha 8 baje ata hu toh mujhse fajr ki namaz ada nhi hopati to kya karu me? Kis waqt padhu me. Intezar rahega aapke jawab ka. Jazakallah

Answer: W/salam agar job karne k wajah se namaz qaza hoti ho tu phir is jagah job karna jaiz nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5)
Note: aap aapne office ke owner se job ke timing ke duraain faqat itne permission le le ke aap namaz fajar qaza hone se pehle sirf ,short ,short wajibat namaz perh sake or kise bhe halat me namaz ko qaza na hone de
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print