Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nijasat Sabit Hone Ke Tarekey (103 Questions)


Showing 0- 50 questions from 103 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: AS-SALAM-UAKUM I WILL LIKE TO KNOW CAN WE EAT FOOD COOKED BY A HINDU COOK

Answer: Salam un alaikum
Agar aap ko maloom hay keh us hindu ney khanay ko mas kiya hay to giza najis hay aur usay khana jayez nahi hay. Agar maloom na ho keh mas kiya hay ya nahi to khana jayez hay.
Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16

Print

Id:
604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salam ager kissi muslim ka passeena lebass per lag jay or ham ko maloom na ho k aaya pak hai ya najees tuo hum kiya uss hi lebass main namz ada ker saktay hain or ager bad main maloom ho k uss nai koi wajeeb gussol nahi kiya tuo ada ki jani wali namz k liye kiya hukum hai wasalam

Answer: Agar kisi paak cheez kay baray main ye na jaanta ho kay paak hay ya najis to wo paak hay,musalmaan ka paseena choonkay paak hay lihaza is main namaz parhnay main koi haraj nahi hay.agar koi insaan koi wajib ghusl anjaam na day to is ka paseena najasaat main say shumaar nahi kiya gaya hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.30,Masala No.114-116

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Salam-o- Aalikum, Mera sawal yeh hai key humari office main tamam peon hindu hain aur Approximately 50% staff non-muslim hai, aur aik hi wash room hai, aik cooler hai jis main sai sun pani peetay hain. main pani tu office ka nahin peta laikin wash room ka bahat masla hota hai ?

Answer: Salam un alaikum,
Aqai Sistani kee nigah mein hindu najis hein laikin esaai, jews aur majosi paak hein. Lehaza agar aap ko office key bathroom key najis honay ka yaqeen ho aur tari key libas ya badan ka koi hissa wahan lag jaye to sirf wohi hissa najis mana jaye ga aur namaz key liye us ka paak karna zaroori hoga.
NOTE: We are sorry for the late reply.

Print

Id:
1063
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: are we allowed to eat from an ismaili or bohora? and if allowed are we allowed to eat the meat cooked by them?

Answer: Jab tak Khanay ki Najasat Saabit na Hojaey koi Haraj Nahi.
Ref:Tauzeeh-ul-Masaail Masala No.115.

Print

Id:
1804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: plz answer urgently my question is that i am working in far area of dubai kya may apnay kapray aisi laundary may dey sakta hoon jaha hindu or muslim dono kam kartay hoon or driver jo kapray layna atta hy wo hindu hy pr wo kah rah hy k wo merya kapray muslim sy he wash karway ga. plz answer me i am waiting for your reply

Answer: bismehi taala, agar apne pak kapray diye the to wapis aane par use pak samjainge aur agar najis kapray diye the to wapis aane par use najis samjainge (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.122)

Print

Id:
5631
Mujtahid:
sistani sb Date:

Question: agar admi halat e janabat main ho magar us k kapro k sath najasat na lage ho to kia ghussal k bad wohe kapray dobara pehn sakta hay or kia wo pak he ho gain

Answer: Agar un kapron per mani na lagi ho to wo kapray pak hein aur dubara pehan sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullaha Sistani (d.b.) Masla # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6314
Mujtahid:
agha sistani shaib Date:

Question: salam. mian .D.V.M. ka student hony. mera dog k sath aksar wasta pahrtha hay.humain dog ko uthana bhe pahrta hay.mean 8hrs aisa he hota hay. agha sistni k tozi main lahkha hay k dog najis hay us k hairs. bones. secerations etc. what should we do.

Answer: Dog najis he magar os ki najasat os waqt muntaqil(transfer) ho gi jab dog ya aap k haath is qadar tari ho k aik ki tari doosray ko muntaqil ho jaay to paak cheez najis ho jaay gi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119)

Print

Id:
10674
Mujtahid:
Date:

Question: agar raat me sotey waqt khwab me aitalam hogaya bistar per tho kya mujhe woh bistar per phir se soya tho kya hum pak rahte

Answer: Agar bister per bhi mani lagi ho tu agar osi jagha soya jay tu agar mani gilahat k sath kaprho per lag jay tu kaprhay najis ho jain gay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #119). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
10681
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam Alikum mera sawal ye he k kia maani teast karna haram he insan islam se kharej hojata he kia or insan apni maani teast kar sakta he kia plzzzzzzz answer jaldi digi ye ga ok plzzzzzzzzzzzzzz

Answer: Mani najis hai or nijasat ko khana haram hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #84, 135). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
14456
Mujtahid:
aga sistani Date:

Question: mere ghar ki zameen khoon se najis ho gae thi mai ne use pak karne ke liye najasat uthane ke baad kaleel pani dala aur phir ye smajhte howe ke jaga pak ho gae hai pani nahi uthaya. ab mere liye kya hukum hai kya mera pura ghar najis ho jae ga kyu ke us jaga daily pocha lagta hai... plz help me.

Answer: Jab tak kisi cheez ki nijasat ka yaqeen na ho wo pak hai aur osi paak kiay baghair dobara istemaal kar sakte hain . (Ref. jadeed Ayatullah sistani(d.b), Jadeed fiqhi masa,il masla #.38) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14736
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal ye hai k are kise chader ko mani lag jae tu wo khushak (dry) ho jae tu pher agr kesi ka hath us chader ko lag jae tu kia haath napak ho jae ga ya nhi

Answer: Agar hath tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigha mani lagi thi to wo hath bhi najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16109
Mujtahid:
ayoutullah ali sistani Date:

Question: bili (Cat) is Najis and if cat died in a water tank more than size of Kur. water tank clean and after cleaning water is Pak or Najis

Answer: Agar billi (cat) ki lash ki wajah say pani ka rang(color) ya bo(smell) ya zaiqa(taste) tabdeel nahi hoa tu pani paak hai aur tank bhi paak hai aur agar in main say koe aik bhi cheez pani ki tabdeel hogae tu pani najis hai aur tank bhi najis hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #17,119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32502
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: some drops of mani(_nijasah)fell on floor.a wet cloth was used to remove manni, now there is no existence of manni on floor but cloth has become nijasah(first medium). if this wet cloth which is nijasah torches the pure(paak) thing such as whole floor on which there are dust particles. is this floor or dust on floor will be nijasah.which is 2nd medium of nijasah whle according to you nijasah can make a pure thing nijasah up to three mediums .if dust is also nijaas and it touches dry feet(third medium),the feet containing dust particles touches a wet pak(pure) cloth.is this cloth will nijasah.while dust particle contain so small effect of mani and I think that a very negligible quantity of mani can not penetrate in to wet cloth physically

Answer: If a Pak thing touches a najis thing and if either or both of them are so wet that the wetness of one reaches the other, the Pak thing will become najis. Similarly, if the wetness of the thing which has become najis, touches a third thing, that third thing will also become najis. It is commonly held by the scholars, that a thing which has become najis transmits its najasat, but indefinite number of transmissions is improbable. In fact, after certain stage it is Pak.
For example, if the right hand of a person becomes najis with urine, and then, while still wet, it touches his left hand, the left hand will also become najis. Now, if the left hand after having dried up, touches a wet cloth, that cloth will also become najis, but, if that cloth touches another wet thing, it cannot be said to be najis. In any case, if the wetness is so little, that it does not affect the other thing, then the Pak thing will not become najis, even if it had contacted the Najisul Ayn.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32958
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: it is said that al-mutnijis-o is not nijis.plz explain the difference between nijis and mutnijis. what is condition by which 1st mutnijis make a paak thig 2nd mutnijis and 2nd make a paak((pure) thing 3rd mutnijis

Answer: If a Pak thing touches a najis thing and if either or both of them are so wet that the wetness of one reaches the other, the Pak thing will become najis(mutanajis). Similarly, if the wetness of the thing which has become najis, touches a third thing, that third thing will also become najis. It is commonly held by the scholars, that a thing which has become najis transmits its najasat, but indefinite number of transmissions is improbable. In fact, after certain stage it is Pak.
For example, if the right hand of a person becomes najis with urine, and then, while still wet, it touches his left hand, the left hand will also become najis. Now, if the left hand after having dried up, touches a wet cloth, that cloth will also become najis, but, if that cloth touches another wet thing, it cannot be said to be najis. In any case, if the wetness is so little, that it does not affect the other thing, then the Pak thing will not become najis, even if it had contacted the Najisul Ayn. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40526
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera sawal ye ha k agar raat ko soty wakt mani nikal jaye tou kya bister wagerah or dosri chezain jin par ham bethty han wo bhi napak hoti han ya nahi

Answer: Agar raat ko sotay huay mani kharij ho jae to wo mani jis jis jigha lagay gi wo jigha najis ho jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43742
Mujtahid:
Aga e sistani s.b Date:

Question: Salam alykum:janab e aali mera sawal ye hai agar machchar badan par khoon pi raha ho aor usi waqt usko mar dya jaye,to kya uska khoon jo badan pe laga hua ho wo paak shumar hoga ya najis? Braye mehrbani jaldi jawab dijiega...khuda hafiz

Answer: Agar koi shakhs apnay badn par bethay huay machar ko mar day aur wo khoon jo machar nai choosa ho is k badn sai niklay to wo khoon pak hai. laikin ehtiyat e mustahab ye hai k is khoon sai is halat mai perhaiz karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 204)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43744
Mujtahid:
Date:

Question: .Kya non Muslim se bartan saf krwana jaiz hai

Answer: Kafir yani wo shakhs jo khuda k wajood ya khuda k aik honay ka iqrar na krta ho wo najis hai aur jo bartan wo dhoae ga wo bhi najis ho jain gai. Laikin ahl e kitab yani christen, yahoodi aur majoosi pak hain aur wo jo baran dhain gay wo bhi pak hon gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 103)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48350
Mujtahid:
Sunnat Date:

Question: Asslam-o-Aliakum! sir mera quetion yeh he k mard k nafas se jo mada moni niklta he kia wo pleed he r agar ise koi mard ya aurat khae to us k lye islam mei kia hukam he r is ka izalaa kis tarha kr sktay hein. 2nd question yeh he k zanaa kon se muqam pr ja kr hoti he yani sharm gah se sharm gha touch hoi he na k dakhool to kia yeh zana he ya mard ka nafas aurat k jisam se kisi b 1 jaga touch houa he to kia yeh zana he ya mard ne aurat ko hath, mouth ya ankhoo k isharaa se choowa he to kia yeh zana he please ask me answer Best Regards,

Answer: 1)Mani najis hai aur najasat khana jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 84) 2)Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49322
Mujtahid:
Date:

Question: Kya janabat ki halat mein insan ka batun for example dil aur damagh aur zaban napak hotay hain ya surf jism napak hota hai please explain

Answer: Jis jagah mani lagi ho srif wo hi hissa najis hota hay aur baqi badan paak ho hota. ( ref: ayatullah sistani(d.b),tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)


Note: rooh najis ho jati hay badan napaak nahi hota.

Print

Id:
49548
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k kapron pe kitni nijasat lgny se kapry gandy yani napak hoty hain?

Answer: Nijasaat say faqat wo cheez najis ho gi jis par nijasaat is qadar lagi ho k aik ki tari dosere me muntakil ho jaay to doseri cheaze najis ho gi. Is k alawa koe aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49567
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, ager kapro per mini leg jaye aur gusal ker leya jaye aur bd me wo kaprey dobara pehan leye jaye without washing kiya jism phir napak ho jaye ga.

Answer: Agar kapro ya jism me se koe is qadar tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigah mani lagi thi to wo jagah bhi najis ho jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50529
Mujtahid:
seestani sahab Date:

Question: salam mera sawal ye hai ki mujhe shak bht zayada hota hai. her waqt najasat ka shak hota rehta hai is wajah se na namaz sahi hota hai aur na hi nazar neyaz aur majliso matam her waqt lagta hai kuch najast kharij ho rahi hai. namaz padte waqt ho ya u hi din bhar rahe. bht pareshan ho gae hai plz shak door krne k liye btaey ki kya kre . kya istikhara dekh skte hai ki namaz pade agar kuch shak hoto behter aae to pade wrna paak ho k phr pade . hum aksar yahi krte hai kyuki aur koi rasta hme samajh nahi aata . her wqat naha to nhi sakte . plz reply fast aur aaj kal ramzan me bht shak badh gaya hai . na amaal sahi se ho pate hai na namaz plz help .meri shadi ho gai hai mere shauhar ko bilkul b shak nhi hota hai wo her waqt pak rehte hai plz hme b kuch btaey ki hum b shak na kre . m hu to up ki bt ab shauhar k sath dusre jagah hu isse koi farq to nhi padta . plz reply

Answer: 1) Agar kise paak cheez k bare me shak ho k najis hogae hai ya nahe to wo pak hai. Aur tehqeeq karna bhi zarori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117)
2) Agar kise taharat o nijasat k maamle me shakki mizaaj shaks ki ye halat ho jaay k ise kise chease k pak hone ka yaqeen na aay agar wo shaks us chease ko mamool k mutabiq dhole to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 223).
3) Agar koe shaks shak kare k us ka wuzu batil hoa hai ya nahi to ise ye samajna chahay k os ka wuzu baqi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #299 ) )
6) Agar namaz k salam namaz k baad shak kare k us ne namaz sahi perhi hai ya nahi to wo apne shak ki perwa nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1166)

Hazrat Imam Ali Raza (a.s) say marwi riwayaat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba

Print

Id:
51813
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alaikum!!!!!!!!!!!kya napak kapre pehne se jism dobara napak ho jata he???????jesa k jo kapre mene humbistri karne k bad pehne,,,,,,wohi kapre mene dobara rat ko pihr pehn lie,,,,,to kya jism dobara napak ho jaye gha????????

Answer: Agar koi paak cheez kisi najis say lag jaye aur dono ya in me say 1 is qadar tar (geeli) ho kay 1 ki tari dusray tak pahunch jaye to paak cheez najis ho jaye gi (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52340
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: asalam oalaikum mera sawal ye ha k etilam k bad jo kapra najis ho jata ha tu kapre ma lagi srif us nijasat ko saaf krna kafi hai ya pura kapra dhona parhe ga

Answer: Q k najis faqt wo hi hissa hota hai jahan nijasat lagi hoti lehaza faqt usi ko pak krna kafi hia.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #24).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52411
Mujtahid:
Date:

Question: Jin kapro pat liquid lag jaye wo napak jo jate hein agar dusre din wohi kapre pehne jayein mtlb un kapro ka liquid sookh chuka he kapre ghile nai hein,,,,,,dusare din wohi kapre pehne se kya jisam napak ho jata he????

Answer: Ager jism gila nahi hai to paak rehe ga najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52733
Mujtahid:
Date:

Question: during washing nijis cloth hands become nijis with nijis water,now wet hand touches tap.after still tap is wet someone touch tap with wet pak hand .is new hand become nijis ,if yes then would it make other pak thing also nijis before drying

Answer: Ager koi paak cheez een e nijasat(jin ki tadaad 10 hain)se najis ho jaae to ye najis hone wali cheez mazeed 2 cheezoo se ziyaada ko najis nahi kar sakti, masalan ager pishaab se sedha haath najis ho jaae or phir ye sookh jaae, to phir jab ulta haath tari ke sath sedhay haath ko laage ga to wo is ko najis kar de ga, phir ye bhi sookh jata hai, phir jab kapre tari ke sath is ulte haath per lagee ga to ye un ko najis kar de ga, or jab is sedhee haath se ye do cheezain najis ho chukain gi to phir is libaas se or koi cheez najis nahi ho sakti. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 119 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53573
Mujtahid:
Date:

Question: English seat walay toilet per Bethany say shower istamal kartay huay kuch cheentay jism per aajatay hai forexample after urinating ...agar wash kar bhi liyay humay yeh shak hai Kai shayad saray cheentay nhin wash hua...tau ub Kya Kia jaye???

Answer: Agar kise pak cheese k bare me shak ho k najis ho gai hai ya nahi to wo pak hai isi tarh agar kise najis cheese k bare me shak ho k pak hui hai ya nahi to wo najis hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #117 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salaam ji mujhe ye puchna h k agr baccha 1 year ka ho aur uska peshab chadar me lag jae to puri chadar dhona zaruri h ya phr jitni jagah peshab hai sirf utna dho len aur sirf pani se dhoye ya sabun use karna zaruri h plz reply me

Answer: agar kise aise chease ko jo pheshaab se najis hoghai ho qaleel pani (jo kurr pani taqleban 384 litre se kam ho) se dhona ho to is per aik dafa youn pani bahade k pheshaab is chease me baqi na rahe to wo chease pak ho jaay ghe . albatta libass aur badan per 2 dafa pani youn bahana zarori hai taake pak ho jaay laikin jaha tak libaas , qaleen , dari, aur in se milti julti cheaso ka tallaq hai inhe har dafa pani daalne k baad nichoorna zarori hai take ghusala(wo pani jo pani men dalne se us kapre wgera men agaya hai) in me se nikal jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #154 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
55861
Mujtahid:
Date:

Question: Agar Jin kapron par peeshab k katray lag Gaye Hon on ko agar pehan lay tu badan napak Ho

Answer: Peshaab najis hai aur jis cheez per pheshaab lage ga wo najis ho jaay gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80)
Nijasat sai faqat wo cheez najis ho gi jis par nijasat ki is qadar tari lagi ho k aik ki tari dosere me muntaqil ho jaay to doseri cheez najis ho gi. Is k alawa koi aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
59943
Mujtahid:
Date:

Question: salam, 1 hindo agar bartan dhoay tu kiya us bartan main khaya peya ja sakta hai?

Answer: Hindu kafir hay or kafir najis hay. kafir agar kisi cheez ko hath lagae tu wo cheez najis ho jati hay.(Ref: Tauzee,A.sistani,maslah#119 )

Print

Id:
60944
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mara sawal ya ha ka agar kisi ka ghar ma cookroge bohat hon aur wo kahna oina ki ashia ma chala jain maslan duddh,salan chawal tall, wagara to kia wo kaha najis ho jaya ga ?

Answer: Laal-baig (cockroach)paak hai, lehaza ager khano k najis hone ka yaqeen o itminaan na ho to un ke khane main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , 115 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya ehtlam k baad sb kupray napak ho jatay hain jaisay shirt, jacket, bunyan or socks etc ?

Answer: Libaas ya badan k jis hisse ko nijasat lage gi sirf wo he hissa najis hoga baqi paak rahe ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 122)
Agar kisi pak cheez k baare me shak ho k najis hoi hai k nahi to wo pak hogi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62550
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam aik patient jin ka sotai waqt aksar peshab nikal jata hai or rat mn her 2 hours k bad washroom jati hain subah uth ker apni shalwar per nami dekhti hain wo isai pani smjhain gi ya peshab doosra sawal laundary per jo kaprai bhaijtai hain aik jo dhobi dhota h dosra jo dryclean hota h kia yah pak hongai

Answer: Pak cheeze os waqt tak najis nahi hoti jab tak oskay najis honay ka yaqeen na ho jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 117)
Lihaza jab tak ye yaqeen na ho jaay k jo pani kaprhoon(shalwaar) per dekh rahi hay wo peshaab hay os waqt tak os kaprhay ko paak samjhay gi. Lekin agar yaqeen ho jaay k wo pechaab hi hay tu wo shalwaar najis ha.
Agar kisi ne (maslan dhobi/ dry cleaner) libaas dhone ki zimma dari li ho or kahe k main ne ise dho diya hay or is shaks ko is k kehne se tasalli ho jaay tu wo libaas paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #222) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62910
Mujtahid:
Date:

Question: Humbistari k baad agar ns nahaya ho.. aur dusre saaf kapde pehne gye to kya ye saaf kapde b napak ho jaengey?

Answer: Agar badan per mani waghaira ki nijasat nah lagi ho tu baghair ghusl e janabat k paak kaprhe pehen sakte hain.kapreh paak hi raheen gay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #119 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63552
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alikum..Mera apsey sawala hey k jin kapron per likoria laga ho kya WO kaprey pehn k namaz parh sktey hn ?

Answer: Likoria ka pani paak hay, is main namaz perhi jasakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71825
Mujtahid:
Date:

Question: agar ehtilam bistar par ho , to kya possible hoga k mani har jagah lag gayi ho jo ki karwatai lene se hosakta hai , agar ho gayi ho to kya bistar ka paak horr agana zaroori hai kya ? aur agar mani kapdai pe lag kar sookh gai ho to paak koi paak kapda uss se lag ka napaak hoga ?

Answer: Koe bhi paak cheeez najis is tarah hote hai maslan Agar koi paak cheez kise najis cheez se touch ho jaey aur donoo ya in me se koi aik is qadr tar(gilay) ho k aik ki tari doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jae gi, albatta agar tari (ghilapan ) itni kam ho k dosere cheez ko na lage to paak cheez najis nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71834
Mujtahid:
Date:

Question: Sir me peeshab karne k bad penis ko dhota hun or washroom se bahar ane k bad mujhy esa lagta hai k mere peshab k katry nikal rahy han kapro me.kiya wo peshab hi hota hai kiya us se napak ho jate han?

Answer: Wo ratoobat jo baaz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #345,70,1553). Update on dated 13-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74423
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Kuttay ko hath laganay say wuzu toot jata hai. Agar Kauttay ki DUm kaproon par lag jaye to kia kapray kharab ho jatey hain?

Answer: 1)Kutte ko hath lagane se wuzu nahi tootta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322).
2) Agar kutta ya aap ka badan geela ho or phir kuttay k badan ka koe hissa aap k badan se lag jaey tu aap ka badan najis ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 09-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75605
Mujtahid:
Date:

Question: Agr napak jism par pak kapry phen leaye jaye tu kya kaory b napak ho jaye ge

Answer: Agar badan najis ho or os per paak keprha pehna jaey tu wo kaprha jaey tu wo kaprha is sorat main najis hoga jab najis badan ki nijasat gilahat(wetness) k sath kaprhay ko lagay.wazeeh rahay k wo shaks jo janabat ki halat main ho ya wo aurat jo haiz ki halat main ho, on ka pasina paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #114,119). Update on dated 18-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75658
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alikum sir mera sawal yeh hai k jab jab ehtelam hota hai to mujhe bad main weham hota hai k bestar ganda ho chuka hain or ye bhi dar hota hai k family main koi member meri ehtelam k kapro ko ghela hat lagaye ya bestar ko to os par bhi ghusal wajib hoga

Answer: Mani najis hay, or agar kisi insan ko mani lage tu os per ghusl e janabat wajib nahi hota. Or jis jagah k najis hone ka yaqeen ho sirif osi jagah ko paak kerna zarori hay shak wali jagah ko paak kerna zarori nahi. Or waswasay ko ehmiyat nah di jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jamee,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #137,247). Update on dated 19-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ehtelaam honay k baad agar kapray ki use jaga ko dhoo k pehn lay to yeh theek hai kia?

Answer: Jee haan, jis jagah nijasat lagi ho faqat osi jagha ko dhoona zarori hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 22-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: میرا سوال یہ ہے کہ اگر رات میی سوتے وقت منی نکل جاے تو کیا اندر والا ہی کپڈا دونا ہے کہ سارے کپڈے دونے ہے کہ نیہیں مگر یہ بی پتا نہیں کس کس کپڈے پر لگیبیے

Answer: Sirif wo kaprha dhoona zarori hay jis k baar e main yaqeen ho k wo najis hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 20-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam u alaikum janab..mujhy ye bata den masht zani karny k bad jo kapry pehny huay hen kia wo b napak ho jaen gy..

Answer: Agar kaprho per mani lagi ho tu najis hay warna nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84995
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASalam o alhekum .. agr mani nikle or wo kapre or jism me na lge to wo jism or kapre pak hain ?? peshab k sth ya nahte wqt ??

Answer: Wa alaikum salam. Agar mani jism k kisi hissay or libas main sai kisi jagah par nah lagey to jism or libaas dono paak rehte hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 119). Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr kaleel pani say kisi cheez ko paak kiya jai tu jo pani neechay girta hai woh paak hota hai ya najis ? Agr bathroom ki zameen ko kaleel pani say paak kar rahay hou tu jo pani jism say lagta hai woh paak hota hai ya najis ?

Answer: 1)wo najis ashya jo qaleel paani sai aik baar dhonay par paak nahi hoti(bartan or libaas) agar us par pani nijasat ko hatanay k liye daala jaye to wo paani najis hojata hai.or nijaasat door honey k baad najis cheez ko paak karne k liye qaleel paani daala jaye tu ehtiyaat e laazim ki bina par najis hai.
2) Bathroom main wo jagah jis k baarey mai aap ko yaqeen hai k wo jagah najis hai or jo qaleel pani us par daala jaye ga wo najis hoga or libas ya jism par lag jaye to usey bhi najis kar day ga lekin agar yaqeen na ho jagah k baarey mai k wo najis hai ya nahi to phir badan najis nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestan edition 39 maslah no 24, 25) Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86698
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ky peshaab ke katra achanak se nikal jaaye to ky gusal wajib hota hai ya wahin hissa dhona kaafi hai?

Answer: Peshaab k katre nikalne par ghusal wajib nahi hota balke usi hissay ko paak karna kaafi hai, jis jagah peshab laga ho. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#154 and 344). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalaikum sir...mera sawal h ke agar so kr uthne pr agar kapde pr bishaab ki ek bund rhe to kya aap naapaak ho jaate aur kya phir se gusal krna hoga?

Answer: Was salaam. Mani k kharij honey ya jima say insaan par ghusal wajib hota hai lekin peshaab sai insaan par ghusal wajib nahi hota balkey peshaab ki wo boond jism or libaas k jis hissay par lagi hogi faqat wo hissa najis hoga. Or osi maqam ko dhona wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#119,344). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kisi kapre me thori si mani lagi ho or Usme koi doosra kapra touch ho jae kuch pal ke lie to wo kapra pak hai ya napak or wo doosra kapra darwaze par touch ho jae to or darwaze par kuch mani jaisi tari nazar bhi nhi aayi to kya us jagah ko saaf krna jroori hai or agar ek jug pani us darwaze ki us jagah mar diya agr wo pani darwaze se neeche jane par kuch cheete idhar udhar chali jae to kya farsh dhona jroori hai or ek baar farsh par pani dal diya kuch pani fail gui to kya wo pak hai ya napak

Answer: Jo najis cheez kisi paak cheez say choo jaey laikin najis cheez ki tari us pak cheez tak nah puhanchy to wo najis nahi hogi to usay pak kerna bhi zarori nahi hay or wo najis cheez jo peshab k alawa najis hoi ho usay dhoonay ka treeka yeh k us ki nijasat ko hataya jaey phir aik bar us per pani dala jaey or phir usay nichorha jaey agar wo nichorhnay wali cheezon men say hay to warna pani bahana kaafi hay is tarah k wo pani ya to beh jaey, ya phir kisi tarah utha lia jaey, or jo peshab say najis hoe ho us ki nijasat hatany k bad do martaba dhoya jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119/145 ). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar peeshab kaproon pa lg jae aor sahi tarah confirm na ho ka peeshab kproon pa laga ha ya nae to kia kre

Answer: Agar kaprhon pai peshaab k lagnay ka yaqeen ho tu phir sharae tareekay sai us ko paak karna zaroori hai. Lekin jab tak itmenaan nah ho k libaas najis hoa hai ya nahi tu phir us ko paak hi shumaar kia jaey ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#115 point 1). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93029
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-09

Question: BustaR agar naPak ho aur hum us me so jaye to kya shar se nahana jaruri hai

Answer: Nahi, Nahana zarori nahi hay bus wo jagah agar ghili ho to aap ka libas najis ho jaey ga lehaza os ka dho kar paak karna kaafi hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 119 )
[Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print