Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nijasat Sabit Hone Ke Tarekey (103 Questions)


Showing 100- 103 questions from 103 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121262
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-22

Question: Agar gusal e janabat wajib hogaya ho or Kisi majboori k tehat us waqt gusal Karna mumkin na ho or insan gusal k baghair hi kapre change krk office Chala jaae or waapis aakr gusal Kare, to is soorat me Jo kapre subah change kiye they wohi kapre gusal krk pehan sakte hen?

Answer: Agar kapre najis nah hue hon to pehen sakte hain.
Aur agar najis hue bhi hon to kapron me se jo jagah najis huei ho use pak kar ke wohi kapre pehen sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #119,156,356).
[Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-19

Question: Agar underwear napak hojae to lazim pant bhi napak hogi

Answer: Chunkay underwear aur pant aik sath mili huei hoti hain, is liye pant bhi najis (napak) hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123313
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-22

Question: Sir muje koi bhi len den ki cheez me unclean feel hota he jese kuchh purchase karna aur use paani se saaf karna vaha tak apne aapko unclean samajna.aur kisi ke yaha visit ke liye jaye rishtedar ke yaha to ghar aakar apne app ke cloth change karna apne kids ko bhi vo hi karana.aur Har cheez ko unclean samajna jo me touch kar rahi Bahar jati hu vaha Har chhez ko unclean samajna ..aur ye sab cheeze muje 2saal se ho rahi he pehle aisa mind Mera nahi tha.bahot hardship feel hota he Pura din

Answer: 1: Jab yaqeen ya aqalmandana itmenaan na ho ke koi cheez najis huei hai ya nahin us waqt tak wo cheez paak samjhi jaaye gi aur waham aur shak ki soorat me cheeron ko paak maana jaye ga.
2: Jo koi (mard o aurat) kaseer-ul-shak ho (yani buhat ziyada shak karta ho) aur waswasay ki beemari main mubtela ho to us ko apne shak ki parwa nahin karni chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.
3: Shaki mizaj aur waswason ke shikaar hone wale ko istiaaza (اَعوذ باللہ) parhna chahiye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #117.
+ Istiftaat A.Sistani I-49. + Barakat e ism e aazam by doctor sakhawat hussain sandralvi).
[Updated on 23-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print