Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nijasat Sabit Hone Ke Tarekey (103 Questions)


Showing 50- 100 questions from 103 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93217
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-22

Question: Salam kya sukha Kutta Paak hai ya najis hai.. or kisi jagah sukha kutta bait jaye to kya wo jagah bhi najis ho jaigi.. plz jawab zaroor de

Answer: Kuta najis hai chahay wo sookha ho ya gheela lekin ye kutta agar kisi paak cheez sai lag jaey tu wo cheez osi soorat mai najis hogi jab kuttay ya us cheez main sai koi aik is qadar tar (geeli) ho k wo tari doosre tak pohanch jaey tu wo cheez najis ho jaey gi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 119).
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93249
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-22

Question: Agar bed pe mini nikalay discharge kartay wa or tisu use karay to Kay bed Ki chadar or urnay wali sarf Hai Yah woh b change ho gi

Answer: Mani najis hai jahan jahan mani lagi hai wo wo jagah najis hai or us ko paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 84,119).
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
93433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2019-01-15

Question: Asalamualaikum mera sawal ye hai k mjhy aksar raat ko soty huae shak hota hai k mera peeshab nikal gaya hai aur ye shak roz br br hota hai..aisa shak aksar din mein b hota hai lakin jb b chck kro tow kapry aur jism dry hoty hain aisa aksar namaz perhty huae b mehsoos hota hai kbhi kbhi tb b chck kro tow sb dry hota hai.. ab iss surat mein main kya krun kiun k iss shak ki waja sae namaz perhun ya na perhun ye doubt rehta hai khas kr raat soty wqt k shak bd.. Plz jaldi jawab daen...

Answer: Was Salam. Agar yaqeen hai tu kaprhay najis hoon gay shak ki soorat main koe parwa nahi kia jaey gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 115).
[Updated on 15-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93455
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2019-01-11

Question: Agha sahab sheesha naapak ho jay to kaisay paak kia ja ta hay

Answer: Agar bartan k alawa koe cheez ho tu Aik dafa yun paani baha dia jaey k tamam najis maqamaat tak pohanch jaey tou sheesha paak hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 156).
[Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95441
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-20

Question: Agr ehtam ho or mani shalwar ko lag jaye or kameez ko nahi or shalwar khushk ho jay to baad may may uper koi or kameez pehn lain to wo kameez khushk napak shalwar ko lag k napak ho jaye ge Or ya hmaray pehnnay say he napak ho jaye ga pak kapda ehtlam ke surat may or galat kaam krnay ke surat may bhi dono baaton may meray meslay ka jwab dain

Answer: Agar dono khushk hai tou kameez najis nahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah no 119)
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97796
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: Kya gobar sukhne ke baad paak hai?

Answer: Halal janowaroon ga ka gubar paak hay.(Ref: Urwatul wusqa, part#1, pg#48).
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97833
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-24

Question: Agar khargosh ko hath lgay to hath napak hon gay k nae?

Answer: Jee nahi, Najis nahi honge q k khargosh najis jaanwaro main sai nahi us ka ghosht khana faqat haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition#41, maslah#80).
[Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97956
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-22

Question: Kya jism par chipkali gir jane se napka ho jate hai

Answer: Jee nahi chipkali najis nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 80)
[Updated on 22-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98410
Mujtahid:
Date: 2019-07-11

Question: agr sookhi hui mani ko hath lag jae ya us jagah to kia hath napak hogya

Answer: Agar aap ka haath geela ho or tari muntaqil hojaey tu najis hai warna najis nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#19)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98702
Mujtahid:
Date: 2019-07-20

Question: main jaha rheta hoon wha kafee ped hai (trees) kabhie kabhie waha se guzarte waqt parinde upar se gandagi karte hai kabhie sar ya hath par aur kabhi bareek cheete pe jism par girte hai jiska pata bhi nabi chalta kya aise halaat main namaz adaa kar sakte hai gunaah toh nahi

Answer: Jee, Parindo ka peshaab or fuzlaa paak hai lehaza us mai namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#82).
[Updated on 20-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aoa.main nay poochna tha k hamari car barish k pani mai phas gayee sara pani gari k andar aagaya.. seats dashboard sab pani say bhar gaya..tu gari napak ho gayee..ab kya geelay kapray say gari ko saaf ker saktay hain ..q k pani say nhi dhoya ja sakta...q k gari main khanay peenay ka saman rakhty hain aur paseena bhi aajata hai..tu kapray napak ho jayain gay..answer plz

Answer: Garhi k wo tamaam maqamaat jahan najis pani gaya ho, wahan faqat aik baar qaleel paak pani daala jaey tu wo maqam paak ho jaey ga. Or agar kurr pani(384Ltr ) se paak kia jaey tu os ka ghusala(najis jagah ko dhone k doran girne wala pani) bhi paak shumaar hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #168,174).Update on dated 17-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Note: Gile kaprhay se najis cheez paak nahi hoti.

Print

Id:
102949
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-08

Question: Kutta agr kaprey choley toh kya najis hojaonga?Kaprey bhi khushk aur kuta bhi khushk

Answer: Agar dono khushk hoon tou phir kaprhay najis nahi honge Q keh nijasat tari se muntaqil hoti hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104486
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-27

Question: Asalam o alaikum sir agr kapra dhoona ka bad nijasat ka neshan baki rh jain tu kapra napak hta hai ya pak?

Answer: jab tak ain-nijasat kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar nijasat ki boo (Smell) ya rang (Colour) us me baqi reh jai to koi haraj nahin. lihaza agar khoon libas par hata diya jaye aur libas dho liya jaye aur khoon ka rang (Colour) reh jaye to libas pak hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 39 maslah # 164)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104545
Mujtahid:
Mujtahid Date: 2020-04-24

Question: Agr urine sofa pr dry ho jaye to kya jb koi kpra sofa pr rkhyn gye to kya wo kpra napak ho jaye GA?

Answer: Agar dosra kapra is qadar tar ho ke is ki tari us sofa par puhanch jai to dosra kapra najis ho jai ga lekin agar is qadar tar na ho ke is ki tari us sofa par na punhache to najis nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019 Mafhoom e Maslah #119)
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-23

Question: salam. pani ki tanki may agr najasat gir jaye to is ka kia hukam hy? for example mani k qatry gir jaye to pak ksy kiya jata hy

Answer: wsalam.
Agar tanki mai kur paani moujood hai (384 ltr) or us mai nijaasat gir jaaye or paani ka rang boo ya zaaiqa badal jaaye tou wo paani najis hojaaye ga warna najis nahi.
or agar paani qaleel hai yaaney ( 384 ltr sai kum) tou nijaasat ka aik qatra bhi gir jaaney sai poora paani najis hojaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 15 and 24).
[Updated on 23-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110223
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-23

Question: ASsalam O Alikum sir main jab beee peesab karny jata hu mujy lagta meray pay cheetay parti hai or main paleeet ho gaya main bohaaat preshan hooon kya hal hai es ka

Answer: Kise paak cheez ke bare me shak ho ke najis hoe hay ya nahe tu wo paak hai.(yani jis paak cheez ke najis hojane ke bare me shak ho use paak samjhe )
w/salam Jo shakhs shaki mizaj aur waswason ka shikar ho usay istiaaza(اعوذبالله من الشيطان الرجيم) parhna chahiye. (Ref: Barakat e ism e aazam by doctor sakhawat hussain sandralvi
[Updated on 24-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-13

Question: Sir, mera question y ha k agr kisi bnde ko raat ko ehtelam ho aur wo ghusl krle phir baad mn use pta chle k uske testicles k baalon p manni jammki hoi ha to kia jo usne kpre pehne hua tha ghusl k baad wo pak hain aur wo jahan jahan betha uska bhi btadein (baqi mene y bhi suna ha k manni agr khusk hojae to use hatadein to kpre paak hoojate) lazmi jawab dejiyega.

Answer: Jis gha mani laghe hay srif wo najis hojate hay or baqi hissa Paak rehta hay,or jab Tak dono ya kise aik cheez ki Tari dosere Tak na pouches tu Paak cheez najis nahe hote or aise Tara agar koi pak cheez kise najis cheez ko lag jaay or dono ya kise aik ke tar hone ke mutaelliq shak ho tu Paak cheez najis nahe hoghe.(ref: tuziul masail,aqa sistani.masla no:119,120)
[Updated on 14-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-13

Question: Agr raat ko ehtelam hojae aur bnda subah ghusl krle aur km p chla jae mgr jb aye to nahate hua dekhe k uske testicles ka baalon p manni jammi hoi ha to wo ab jo kpre pehne hua the wo napak hain yad rae k usne geele badan p kpre pehne hua the aur wo jahan jahan betha uska kia krei

Answer: Sab se phele tu jisam ke jitne hisse per mani laghe hoi hay use Pani se pak kare or srif utne hisse ko pak se ghusal janabat ki Niyat se dhoe take uska subha ka ghusal janabat mukaammal hojaae or sahe hojaae us ke baad jisam ya libaas ke jitne hisse per mani ya mani se chu kar Pani lagne ka yaqeen ho srif jisam ya libaas ke utne hisso ko Pani se pAk kare or jisam ya libaas ke Jin hisso ke ke bare me shak ho ke wo najis hoe hay ya nahe use pak karna zarori nahe hay.or ju wajib name is halat me perhe hay ke gusal janabat sahe Tara se mukammal nahe HOA tha in ki dobara perhna zarori hay.(ref: tuziul masail, aqa sistani, masla no:263,117,119,120,356)
[Updated on 14-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111339
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-04

Question: Kya har humbistari k bad Bedsheet change karna zaruri he? Agr uspe kuch laga b na ho.. Kya hum dusre din usi bedshet par soye to namaz qubool hogi?

Answer: Agar chadar najis na hoi ho to tabdeel karna zaroori nahi hai. aur namaz ka is se koi taaluq nahin hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah #119).
[Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111350
Mujtahid:
Ali khamanei Date: 2021-12-27

Question: Piles ka khoon paikhana k bad dhonay k bad, ager pani mai red colour hath pr lga nazer aye to kiya wo najis hoga. Kiyun k paikhana k bad khud ko saaf krnay k bad pani paikhana ki jaga sy neechay bhi ajata hai.

Answer: Jee pile ka khone najis hota hay.(Ref: tauzihul masael, maslah#93)
[Updated on 27-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Assalamualaikum mera sawal ye hain ke agar peshab karne ke waqt maloom no ho ki mani usme me mili hain ya nhi nikal aaye to aadmi pak ho ga ya Nhi?

Answer: Jo ratubat paishab k sath kharij hoti hay osy wadi kaha jata hay or ye mani nahi hoti. Mani uchal ker lazzat k sath kharij hoti hay or is k nikalne k baad badan sust ho jata hay. Is liay aap per ghusl wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: kiya peshab ke bhaap se insan naapak ho jata hae?

Answer: Jee nahin, Peshab ki bhaap pak nahin hai, lekin jis cheez se lage use najis nahin karti.(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 2, sawaal # 36, pg # 30)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-05

Question: 1. Sex ke baad kisi chiz ko haat lagane se wo chiz napak ho jaati hai? 2. "Sex ke baad gusul lene se pehle kisi chiz ko chuna nahi chahiye varna wo chiz napak ho jayegi" Kya ye sahi baat hai?

Answer: 1: Jee nahin, hath se choone se ya hath lagane se koi cheez najis nahin hoti. aur jis hisse k najis hone ka yaqeen ho ke is hisse men mani lagi hai to sirf wohi hissa najis hoga aur osi hisse ko pak kiya jaiga. lekin baqi hissa pak rahe ga.
2: Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya in may say aik is qadar tar (wet) ho k aik ki tari doosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jati hay. Aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in k jis hissay ko najasat lagay gi wo najis ho jay ga or baqi hissa pak rahay ga. (Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeehul masael jamee, Edition# 1435, Mafhoom e Maslah #137,247) & (Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #119,122)
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112182
Mujtahid:
Ayetullah Syed Ali Khamenei Date: 2021-11-28

Question: Salam Alikum qibla .. mera ye sawal he ki agar sote ya jaagte me mani nikal jaye or shak ho ki kis kis jagah mani lagi he to kya karenge jis jàgah shak he najees heya paas ouse bhi gusl karne se pehls paak karna zaruri he ?

Answer: Jis jagah nijasat lagne ka yaqeen ho sirf us ko paak kar lena kafi hai aur paak karne k baad namaaz perhne k lie ghusal e janabat karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #360,119,144,)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112265
Mujtahid:
Xyz Date: 2021-11-28

Question: Aoa..aitalam walay kapry dhny ky bad agr kapry shookny par dagh nazar ah jhain tw kia ho kapry pak hon gy..

Answer: Agar ain nijasat(maslan mani) baqi nah ho sirf nishan baqi ho tu phir kaprha paak shumaar hoga. (Ref: Ayathllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39, Maslah #164).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-01

Question: Agr kapry or mani lagi ho aur go lhusk ho Jay aur os ka koi nishan baki na rahy to kaya asy kapry ko phanny sy namz ho Jay gi.. ¿

Answer: Agar un kapron main mani lagi ho tu sirf khushk hone se pak nahin hon ge, balke un kapron ko pani se paak karna hoga ya tabdeel karna hoga, aur un kapron mai namaz nahi hosakti kyun k mani najis hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 41, maslah #84).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: sardiyun mn urine se bhaap ata ho to kiya insan us bhaap se napak ho jata hae?

Answer: Jee nahin, najis(napak) nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #80,81,189)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113640
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Salam aleikum, haram prindo ka peshab or nazla najis hai ya pak

Answer: Jin parindo ka gosht haram hai un ka peshaab or fuzlaa paak hai lekin is se parhez behtar hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #82).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113728
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: agar koi parinda mar jay to uskay pinjray ko hat ya kapra lag Jaya to Kiya Pak Karna paray GA aur gusal Karna paray GA please jaldi batai main buht parayshan hun

Answer: Jee nahin, is se hath ya kapre najis nahin hote aur pak karna bhi zaropori nahi hai aur na hi is se gusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Masla #322,343,511).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113729
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: agar koi parinda mar jay to uskay pinjray ko hat ya kapra lag Jaya to Kiya Pak Karna paray GA aur gusal Karna paray GA please jaldi batai main buht parayshan hun

Answer: Jee nahin, is se hath ya kapre najis nahin hote aur pak karna bhi zaropori nahi hai aur na hi is se gusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Masla #322,343,511).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Agar biwi mani pee jaye to kya nikah toot jata hai

Answer: Insaan ki Mani najis hai aur is ka pina haram hai aur gunah hai. lekin is ke pine se nikah batil nahin hota.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).
(Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114897
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-29

Question: Assalamualaikum sir wash basen main hum wazu krty hy waha par hmari bhabi aksar apni beti ki poti peshi dhula daikti hy Kia ye thk hy plz answer dain

Answer: Jee han wash besan me wuzu kia jasakta hai , albatta Agar wash besan najis ho tu us per lagne wale pani ki cheetu se perheez kia jaae . (Ref: Touzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #155).
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114991
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-25

Question: Agar washroom k c'mod me kuch for jae Jo uthana zaroori ho aur hath pr shopping bag charha kr uthaya jae laikin agar hath bheeg jae us pani me to kia ghusal wajib ho ga ya hum sirf hath ka wo hissa pak kr k wuzu kr k ibadaat anjaam de skte han?

Answer: Faqat hath ka wo hissa jahan najasat lagi ho use pani se pak karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #154).
[Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-14

Question: Kia napak kapray pehny say gusl wajib hojata hai ??

Answer: Jee nahin, Aisi soorat mai ghusl wajib nahin hota. Han agar najis libas is qadar tar(wet) ho ke us ki tri dosere cheez tak muntaqil ho jaae to is libas ke pehenne ki wajah se badan ka sirf wo hissa najis ho ga jahan nijasat lagi hogi aur baqi badan pak hi rahe ga. aur sirf badan ke us hisse ko pani say pak kiya jaye ga jo najis howa hai. or namaz perhne ke lie badan or libaas ka pak hona zarori hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #119,344,787).
[Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115449
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: Assalamualaikum Sir mera question ye he k agr kpron pe mani lagi ho or un ki achi trah se dhony k bad nichor k sukha lia jaey lekin kpry pehny k bad pta chlay k mani thek trah se kpron se nhi nikli to kia kpry pak hon ge .. or unhi kpron se nmaz bhi parhi ho to kia nmaz qabol he ya batil or jism bhi pak hoga ya napak???

Answer: Jab tak ain-nijasat( nijasat ka maaddah) kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar nijasat ki boo(smell) ya rang(colour) us me baqi reh jai to koi haraj nahin. lihaza agar Mani libas par se hata diya jaye aur libas dho kar paak karlia jaye aur mani ka srif rang(colour) reh jaye to libas pak hoga. aur unhi kapron men namaz bhi sahi hogi.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #164,786,787).
[Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115760
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-06

Question: Assalamualaikum, Muje nightfall ho gaya aur me jab utha to mene Chadar utha kar gadda dekha to niche dhabba gira hua tha but wo sahime semen tha mera ya kuch aur mujhe nahin pata q ki mene shorts pehna tha+ Chadar thi gadde se uppe to ab muje ye Janna hai ki gadda paak h ya napak aur agar napak hai to use saaf kese Kiya jaaye?

Answer: Agar kisi paak cheez ke baare me shak ho ke najis ho gae hai ya nahin to wo pak hai. Aur tehqeeq karna bhi zaroori nahin hai.
Han agar kisi pak cheez ke najis hone ke bare men yaqeen ho ke ye najis ho gayei hai is tarah se ke maslan Agar koi paak cheez kisi najis cheez se touch ho jaey aur donon ya in men se koi aik is qadar tar (wetness) ho ke aik ki tari (wetness) doosray tak phonch jaey to paak cheez najis ho jaye gi.
Agar koi cheez peshab ke ilawa kisi najasat (maslan mani) se najis ho jaye to (pehle us nijasat ko door kiya jaye ga) agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur use juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti cheezon jese qaleen or dari waghaira ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye.

Molty Foam un cheezoon main say hay jin ko nichora ja sakta hay. ya ise daba ke is ke ander se pani nikala jasakta hai laikin Agar najis cheez ko kur pani jo 36 cubic Balisht (1 Balisht taqreeban 22 centi meter) kay bartan ko pur kar day jo kay taqreeban 384 litre hota hay. se paak kia jaey kay pani is kay tamam najis maqamaat tak pohunch jaey to wo cheez paak ho jaey gee or nichoor ke pani nikaalne ki bhi zarorat nahe hai .
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #117,119,156,.14. ,153).
[Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-07

Question: Agr koye apna sperm pee Jaye sex KY dauraan tu pr konsa ghusal karna wajab hota ha ayatullah sistani KY hawaly sy... (if some one drink own sperm during sex which ghusal is required to perform)

Answer: Insan ki mani najis hay. aur is ko halaq say nigalna jaiz nahin. aur is se koi ghusl karne ki zaroorat nahin hai or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay. aur Do cheezon say insaan mujnib ho jata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai.
(Ref: Istiftaat I-2).+ Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), jaame, Edition #1435h, maslah #95,99,233).+ Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #344).
[Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116057
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-24

Question: agar ethlam hojaye aur mani pent par lgi ho bahir ki taraf nazar arahi ho aur mujhe pata na ho ka wo pant ka hissa jis par mani lagi thi niche charpai ya sofa ko laga hai to kaya wo cheez napak hogi ya pak

Answer: Wo kapra jahan mani lagi hoei hai agar wo kisi cheez ko lage aur ye kapra aur wo cheez in men se koi aik bhi tar(gheeli) ho aur aik ki tari doosri tak muntaqil ho jaye to wo cheez najis ho jaye gi warna nahin,
Isi tarah jab tak kisi cheez ke najis hone ka yaqeen na ho tab tak wo pak shumar ki jaye gi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,117,119).
[Updated on 25-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116060
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-23

Question: Aoa,sir mera question yeh he ke agar wazu karne ke bad pata chale ke badan ke kuch mamolo hise pe khoon laga huwa tha tu kia wazoo batil he?

Answer: Jee nahin, Agar aazae wuzu ke siwa badan ka koi hissa najis ho to wuzu saheeh hai, Albatta namaz se pe us maqam ko pak karna zaroori hai
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 maslah #276,156).
[Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116195
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-10

Question: After urinating, some urine also spreads to the nearby area. Does this part need to be washed twice after removal of najasat or is it okay to wash once?

Answer: 1: Agar badan par nijasat lag jaye to badan ke faqat us hisse ko pak karna zaroori hai jahan nijasat lagi hogi.
peshaab ka makhraj ( peshaab nikalne ki jagha ) srif paani ( water ) se pak hote hay or aik dafa dhone se pak hojate hay agarche ehteyaate mustahab (bheter ) ye hay ke do dafa dhohe or afzal ye hay ke teen dafa dhohe albatta peshaab ke makhraj ( peshaab nikalne ki jagha ) ilaawa baqi badan (jisam) ya libaas pe do dafa paani bahana zaroori hai taake woh paak ho jaaye
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #62,119,154,117).
[Updated on 11-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116238
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-06

Question: Mera sawal hai k bait ul khala m aksr jb paani lotay s daalain to uchal kr jism k hissy p lg jata h.. kiya usk bad kpry tbdeel krna ya nahana wajib hai? Agr wo pani ki cheent qamar k kisi hissy p chli jae to nahana wajib h ga?

Answer: 1: Agar aap ke badan ya libas per nijasat lag gayei ho tu Faqat apne badan ya libas ko pak karna hoga, is ke libas tabdeel karna ya nahana zaroori nahin hai.
Agar kisi aisi cheez ko jo peshaab se najis ho gayi ho qaleel paani se dhona maqsood ho to us par aik dafa yoon paani bahaaye ke peshaab us cheez par baaqi na rahe to woh cheez paak ho jaaye gi- Albata libaas ya badan pe do dafa paani bahana zaroori hai taake woh paak ho jaaye laikin jahan tak libaas qaleen dari ya us se milti julti cheezon ka taaluq hai unhein har dafa paani daalne ke baad nichorna chahiye taake ghusala un mein se nikal jaaye-(ghusala ya dhowan us paani ko kehte hain hain jo kisi dhoyi jaane wali cheez se dhulne ke duaraan ya dhul jaane ke baad khud ba khud ya nichorne se nikalta ho)-
2: Agar koi cheez peshaab ke a’lawa kisi aur cheez se najis ho jaaye to najasat door karne ke ba’d ek daf’a qaleel paani oos par daal diya jaaye-jab woh paani beh jaaye to woh cheez paak ho jaati hai-albatta libaas aur oosse milti julti cheezon ko nichodna zaruri hai take oon ka dhowan nikaal diya jaaye.
3:Agar kisi paak cheez k baray me shak ho k najis ho gay he ya nahi to wo paak shumaar hongay.Aur agar is cheez k najis ya paak honay k baray me pata bhi chala sakhtay hoon to tehqeeq zarori nahi he.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,154,156, 117).
[Updated on 07-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116484
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-31

Question: Kia napaki touch hone se pura jism napak Ho jata hai

Answer: Jee nahin, Jab najis cheez aur pak cheez men se dono is qadar tar(gheeli) hon ya in men se aik isqadar tar(gheeli) ho ke aik ki tri dosere tak pouch jaae to faqat jism ka wo hissa napak hoga jahan wo napaki lagi hai, poora jism napak nahin hoga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #119).
[Updated on 01-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Kia napak Kapra Dhona Sa Banda Napak Hota ha?? Aor Kia Mani SA phla katro k lagna SA kapra napak Hota Han?

Answer: 1: Agar koi shakhs kisi cheez ko paani se dhoe to is ke paak hone par is shakhs ka woh haath bhi paak ho jaataa hai jo is ke saath dhul gaya hai. Isi tarah agar libaas ya is jaisi koi cheez ko qaleel paani se dhoya jaye aur itnaa nichor diya jaaye jitnaa aam taur par nichora jaataa ho takeh jis paani se dhoya gaya hai is ka dhovan nikal jaaye to jo paani is mein rah jaaye woh paak hai. lihaza is se insaan napak nahin hota.bus jisam ke jis hisse me najis cheez ki chethe laghe hay or qaleel pani se us cheez ko pak kia jaraha hay tu faqat utne hisse ko pak kia jaay ga or baqi badan ya jisam najis nahe hoga.
2: Agar wo rutubat (jo mani se pehle nikli ho) men neeche bayan ki gayei 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or wo kapre ko lage gi to kapre men jahan wo rutubat lagi hai wo hissa napak hoga aur agar yeh alamatain na hon to wo mani nahin hogi or kapre ka wo hissa jahan ye rutubat lagi hai wo napak bhi nahin hoga. or wo alamatin yeh hain, 1-wo rutubat shehwat k sath nikly, 2-uchhal kar nikalay, 3-uskay nikalnay k bad badan sust ho jaey lekin beemar insan k liay yeh kukum nahin hay k wo rutubat uchal ker nikalay or badan bhi sust ho jaey balkeh us say sirf shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #212,213,119,345).
[Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-30

Question: Agar pishab krty wqt hath pr ik katra lag jye to kia ghusal wajib ha ?

Answer: agar Aap ke hath per peshaab lag gaya hai tu Faqat apne hath ko pak karen, or is se aap par ghusal wajib nahin hota. Q ke insan do cheezon se mujnib hota hai 1. jima se 2. mani ke kharij hone se aur aap ko is tarah ka masamla paish nahin aaya lehaza aap par ghusl wajib nahin hotaor (badan ya lebaas peshaab se najis ho jaae to use qleel pani se do martaba pak karna zarori hay ).(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,154).
[Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-20

Question: Aoa mujy puchna tha k agar condom use karny se bhi larki k kapre napaak ho jaty hai unhy b chnge krna chiye ya sirf ghusal kar k wahi kapdy pehn sakty hai

Answer: agar kapre per nijasat mani nahe laghe ho tu Kapre change karna zaroori nahin hai, Kapron men jis maqam pe nijasat lagi ho use dho kar paak kiya ja sakta hai or ghusl karne ke bad wohi kapre dobara pehen ja sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #154,155,356)
[Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120456
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-22

Question: Agar koi haram kam hogya ho or koi wazifa krna ho toh jism say najasat kaisay dur krain k wazifa jo krna Hai wo kam kr Jaye

Answer: 1: Agar nijasat aisi ho ke jise paani se pak kiya ja sakta ho jese ke peshaab, pakhana, ya khoon wagera to paani us par bahane se paak ho jaye ga.
2: Agar badan peshaab se najis ho gaya ho to qaleel paani se do dafa badan par paani bahana zaroori hai taake woh paak ho jaaye.
3: Agar peshaab ke alawa kisi aur cheez se najis ho gaya ho to najasat door karne ke baad aik dafa qaleel paani us par daal diya jaaye jab woh paani beh jaaye to woh cheez paak ho jaati hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,156).
[Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-22

Question: Kya aurat ki sharamgah main ungli delaney say ungli najis ho jayegi

Answer: Jab kisi kharji cheez (masalan hath,ungli) ko badan ke androoni hisse mein najaasat e dakhali ( masalan khoon,peshaab .mani) lag jaaye laikin badan se Bahar aane per nijasat aaloda na ho to woh cheez pak hay. (Or agar us cheez ke Bahar aane per wo nijasat aaloda ho tu wo pak nahe hoghe )
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #128).
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121101
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Ghar k tiles me bahir ki chappal pehan k Anna aur tiles gandi hojana usk bd aik bar pohchaa mar k namaz parhna. To Kia wo jaga pak kehlaegi ??? Qk bahir fandango me wahi chappl ghr k Andar pehnna ghr k tiles me to wo pak he kehlaengy ??

Answer: Agar yaqeen ho ke chapal najis nahin ya shak ho ke chapal najis thi ya nahin to in dono surton me wo jagah paak hi rahe gi.
Bil-farz agar chapal najis thi or is ki wajah se ghar ke tiles najis ho gaye hon tab bhi aik surat me wahan namaz parhi jaa sakti hai aur wo surat ye hai ke agar namaz parhne ki jagah najis ho aur nijasat aisi ho jo namaz ko batil kar daine wali ho to (agar wo nijasat) itni martoob(gheeli) na ho ke us ki rutubat namaz parhne wale ke badan ya libaas tak puhnche (to is surat men bhi namaz parhi jaa sakti hai). Laikin agar sajde main peshaani rakhne ki jagah najis ho to chahe wo khushk bhi ho namaz baatil hai aur Ehtiyat-e-mustahb (yani behtar) hai ke namaz ki jagah bilkul najis na ho.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #115,117, & After Maslah #873).
[Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121125
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-11

Question: Assalam o alekum I want to ask that if a hand gets najis due to human urine or some other nijasat and after that it comes in contact with a wet thing now that thing is also najis now that wet thing without getting dry comes in contact with another stuff now it also gets najis if this stuff without getting dry comes in contact with something else would that thing would also get najis please reply fast thank you....

Answer: Agar koi pak cheez kisi najis cheez se mas(touch) ho jaye aur dono ya in mein se aik is qadar tar(wet) ho ke aik ki tari(wetness) dosri tak puhanch jaye to pak cheez najis ho jaye gi laikin agar najasat mai wastey ziyada hon to najasat sarayiat nahin karti hai. maslan agar daayan hath peshab se najis ho jaye phir ye hath khusk hone ke bad aik nayi rutubat ke sath baaein hath ko mas(touch) ho jaye to ye mas(touch) hona baayen hath ki najasat ka sabab ho ga. Aur agar baayan hath khushk ho jane ke bad kisi dosri cheez jaise tar(wet) libaas ko nayi rutubat ke sath mas(touch) ho jaye to libaas bhi najis ho jaye ga lakin agar ab wo libaas kisi doosri cheez ke sath nayi tari ke sath mas ho jaye to wo cheez najis nahin ho gi, is bina par teesra wasta najis hai lakin najis nahin kare ga aur agar tari itni kam ho ke dosri cheez tak na punhche to pak cheez najis nahin hogi agrche aein najis tak hi kiyon na punhchi ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119)
[Updated on 12-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121190
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-06

Question: Aoa Agr bada sham ko شیاطانی ھوجائے kapron ma pir agr use kapre ko kise aur wakt pe jab wo khushk hochuka ho bpehn le to kiya ghussal pir wajib hojaega?? Ya aise kapron ko sote wakt istemal karsakte ha?

Answer: Najis libaas pehenne se ghusl wajib nahin hota, Aur use istemaal bhi kiya jaa sakta hai. Han is baat ka khayal rakhna hoga ke agar najis libaas ya badan dono ya in me se koi aik is qadar tar (wetness) ho ke aik ki tari (wetness) doosre tak puhanch jaye to pak cheez (yani badan) bhi najis ho jayegi or use paak karna parega, Lekin agar najis libaas ya badan dono khushk hon ya in me se koi aik is qadar tar (wetness) nah ho ke aik ki tari (wetness) doosre tak puhanche to pak cheez (yani badan) najis nahin hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #119,344).
[Updated on 07-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print