Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Baitul khala k ahkam (87 Questions)


Showing 50- 87 questions from 87 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
88624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mere sawAL YE H KI JB BHI ME PESAB KR KE UT THA HU PENT PAHNANE KE BAD PESAB KA KATRA NIKLNE KA EHSAS HOTA YA NIKALA JATA H TO KYA MUJE DOBARA GUSAL KRKE KPDE CHANGE KRNE HONGE

Answer: Peshaab k katre nikalne sai ghusl wajib nahi hota lekin agar badan ya libaas par peshaab laga ho tu paak karna hoga. Agar peshab karne k baad istibraa kar liya jaey or phir koi rutobat kharij ho or us k baarey mai shak ho tu phir us rutobat ko paak maana jaey ga or badan or libaas ko paak karne ki zarorat bhi nahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 70,344,119). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Pehab k baad pani lena bhool gaye to kya kare

Answer: Peshaab k baad pani se paak karna zaroori hai lehaza yaad aaney k baad badan ya libaas par jo peshaab laga hai usay paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 154). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
89130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir, Peshab k bad agr stanja nhi lia jaiya to kya unn mard ya aurat p gusal farz hota hai ya nahi ?

Answer: Agar peshab k baad istinja nah kia jaey tu namaz se pehlay sharamgaah ko paak kerna zarori hoga or isi tarah agar najis sharamgaah se badan ya libas najis ho jaey tu os ko bhi paak kerna zarori hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #62). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-19

Question: Wo Imam Zamin jo ajkal Bana banaya Stalz se milta h jis ko bazu py pehnty hain jis py Naqash e Nad e Ali or Qurani Ayat likhi hoti hain Insaan har time pehn sakta h agar chaye Wazu mai h ya nhi or Washroom Mai janay se pehle usy utarna zarori h ya nahi?

Answer: Ji han har halat men usy pehin sakty hen lekin ,Wuzu k bagair qurani ayaat ko choona jaiz nahi hai or agar washroom men pehin kar jany sy qurani ayat ki behurmati hoti ho to usay utarna wajib hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 315/16)
[Updated on 19-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-02

Question: I want to ask kay Agar potty( (پاخانہ ) kartay waqt aksar zor laganay say peshab kay muqam say mani jaysa white aur lust jaysa liquid aajata hai to kia wo mani hai? aur gusal e janabat wajib ho jata hai??

Answer: Mard ki sharam gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hoti hain or nah hi mani wo ye hain 1-wadi, 2-mazi, 3-wazi or ye teno paak hain na in se wazo totta hai or na hi ghusl wajib hota hai (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail edition 41 maslah#70).
[Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-22

Question: mera sawal yeh hai ky agar pata na chaly ky mazi shalwar per kahan lagi hai toh kya aise surat main namaz ada kar sakty hain??

Answer: mazi k sath agar paishab nah ho tu mazi paak hai lehaaza libaas bhi paak hai or us mai namaz bhi ada ki jaasakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edtition 41 maslah no 70)
[Updated on 22-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100026
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa.. Mera sawal ye ha k jb me kisi larki se phone pe baat krta ho tou mazi ati ha iski waja kya ha or isko. Kese Ruka jae

Answer: Wo rutubat jo kabhi kabhi shehwat ubharne per mard k aala e tanasul se kharij hoti hay is mazi kehte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #70). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Advice: lazzat k tasawwur or khayalaat se door rahain tu mazi se mahfooz rahain gay.

Print

Id:
100930
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-09

Question: Mazi K qatre kapre se lagne ki surat ma kapre ki us jaga ko dhona zaroori ha?

Answer: ِMazi paak hai lehaza libaas najis nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 70).
[Updated on 09-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr kisi larki se call pe bat karty hue qatre aa jyein to kya shalwar or azaw tanasul dhone se namaz ho jati hy ya ghusal krna prta?

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70). Update on dated 18-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102399
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-13

Question: Kia shukrana nafill me just Sajda Kia jata ha ya 2 nafil namaz ada ki jati ha

Answer: Agar mannat 2 rakat nafil namaz ki maani thi tu namaz hi perhna hogi or agar mannat sajdah e shukr ki maani thi tu sajdah e shukr kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2614).
[Updated on 13-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102786
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-31

Question: Sir Aoa agr pishab karty waqat hum pishab kr k Khady hoty hai or pishab k katry nikalty hai Mani k nhi pishab k tu gusal wajab ho ga...

Answer: peshaab k baad ghusal wajaib nahi hota han jahan peshaab laga hai faqat un maqaamaat ko paak kar lein.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 344).
[Updated on 31-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103018
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-10

Question: A.o.A Agar urine k sath sperm k kuch drops nikal jayen to us halat me gusal krna lazim hai ya sirf wazu me namaz hoskti hai?

Answer: Agar aap ko yaqeen hia keh yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga yani aghr wo ratoobat 3 sharton k sath ho to mani ka hukm rakhti hai, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti.( Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 345/351/352)
[Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103284
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: sir mra masla ya h k jb me larki sy bt krta hu to mra pani nekalta hy jis ki waja sy me namz b chor dayta hu... to plz mujy jwb day gay .agr pani jo aata h wo pani shalwar ya pant me or tango me lag jay to kia hum namz par skty h

Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose Maziمذی kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise Wazi مذی kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise Wadiودی kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. aur uske sath namaz bhi parhi ja sakti hai.(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#70).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-01-24

Question: Asklm Mai jab bhi underwear pehnta hun to pehne ke todi der bad ek aad khatra thodi si mazi nykal thi hai mai kya karun hamesha waisa hi hota hai kab tho ek nahi nekal tha hai han mazi gusul farz hai hota magar utni jagah tho saaf karna padth na mazi bilkul thoda hi nikaltha hai mai kya karun pareshn hogaya

Answer: Mazi k sath agar peshab mila hoa nah ho tu mazi paak hai or is sai ghusl wajib nahi hota, or wuzu bhi batil nahi hota or usi kapron mai namaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah#345).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: SALAM alikum My question is regarding mazi akraj, if anybody has mazi eruption can he recite different ziarat like namaz.

Answer: Agar mazi k sath peshab mila hoa nah ho tu mazi k kharij hone par ghusl wajib nahi hota or nah hi wuzu batil hota hay or mazi paak hai lehaaza mazi libaas ya badan ko lug jaaye tub bhi wo paak hi rehte hai or us mai wajib or mustahab namazon,ziaraton ko parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103475
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: Bathroom me peshab karna sahi hai ya ghalat

Answer: jin jahon par peshab karna haram he un me ye nahin he. lihaza bathroon me peshab karna jaiz he.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, mafhoom e maslah # 60)
(Note: lekin jab bathroon me peshab kren ge to aap ko bathroom ko pak karna wajib hoga.)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-13

Question: Aslaam o alikum My question is regarding mazi , If we have eruption of mazi, I have learned in your question and answer session that it's pure and we can perform our prayers , plz tell me can we hold and read Quran, recite ziarat, attend or listen majalis and marsiyas, visit the holy shrines and perform hajj and umra.

Answer: Yes, you can do all these work after discharging of mazi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#70).
[Updated on 14-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-05

Question: AOA If we dont have water and we use stone or dhaila to clean uzutanasil after passing urine then after getting water we have to pak it but what for libas that we were wearing that time. Means libas pak hoga ya na pak.

Answer: Paishab ka makhraj paani k alawa kisi cheez se paak nahi hota or osay aik martabah dhoona kaafi hay or afzal ye hay keh 3 martabah dhoay. or agar libas per paisahb ya gilahat lagi ho tu laibab najis hoga.(Ref: Tauzihul masael, maslah#62).
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-11-20

Question: Assalamualaikum Ji mera sawaal yeh hai ki mai jab peshaab karke farig ho gya to ek peshaab ka katra nikal gya to ab mujhe namaaz padhne ke liye kya karna hoga?

Answer: 1. Istabrah aik mustahab amal hai jo mard peshab karne ke baad is gharz se anjam detay hain take itminan ho jaye keh ab peshab nali me baqi nahi raha, iski kaey tarkibein hain jin me se aik yeh hai keh peshab se farigh ho jane ke baad agar maqaad najis hogaya ho to pehle use paak kare aur phir teen dafa baein hath ki darmiyani ungli ke sath maqaad se le kar uzu e tanasul ki jar tk sonte aur uske baad angothay se uzu e tanasul ke upar aur angothay ke sath wali ungli ko uske niche rakhe aur teen dafa sipari tak sonte aur phir teen dafa sipari ko jhatke. Agar aap ne istibra anjaam dai dia or us k baad rutoobat niklay jiske baarey mai shak ho k peshaab hai ya koi or tou wo rutoobat paak hai lehaaza usi haalat mai aap namaz parh saktay hai.
2. Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora ratoobat hai to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 42, Mafhoom e Maslah # 69,70)
[Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111917
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-09

Question: Assalam O Alaikum sir agr ehtlaam hjata hai bstr pr lg jye fir agli raat wha sony sy hum napak hjay gy kya? Jb k ehltam sukh chuka h 2)ehtlam ki halat mai khi chlna phrna jha paoo lg jye kya woh jgga b napak hjati h? 3) pishaab krty wqt ghlti sy pishab k qtry ya flash ko lg k pani k qtry jism pr ya kpro mai pr jye to kya napaki hjati hai? Kindly lzmi guide kry

Answer: 1: Agar bistar par mani lagne ke baad mani khushk ho jaey to bhi bistar najis hi rahay ga, lekin koi dosri khushk cheez is bistar ko lag jaye to najis nahin hogi.
2: Jee nahin, wo jagh najis nahin hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani Edition #41st, maslah #119)
3: Agar jism ya kapro par peshab k qatray lag jaen to jism ya kapre najis honge. aur 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jaen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154)
[Updated on 09-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111995
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-18

Question: asllamulekum... mola ALi as madad. sir ye swal ha k beshab k bad ratobat ati ha hallki halki. isk elava prolactin level b bhra hua ha body ma. mardana timing issue.. koi wazeefa anayit frmae .. jazaklALLAH

Answer: Mani ki alaamat ye hai k 1: uchal kar nikle 2: shehwat k sath nikle 3: nikalne k baad badan sust hojaaye siwaaye ye k beemar na ho jis rutoobat mai in teen alaamaat mai sai koi aik alaamat bhi na ho tou wo mani nahi kehlaayegi.
peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70 and 345).
Homeopathic store se mektum T-10 le kar is ke under di gaae malomaat ke mutabiq istemaal karain. (Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
[Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112008
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-17

Question: Assalam allaykum beitul Kuala me bidi ya cigarettes pi sakte he ya nah I.

Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 76)
[Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112230
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-28

Question: Assalmu Alaikum.... Mera sawal hai ke wo lisdar qathray jo shehwat mai nikalthay hain agr wo kapro pe lag jaye tho kya namaz ada karnay se pehlay kapray ki wo jaga doni chahiye ya nhi? Ap ke jawab ka intizar rahega. Shukriya.....

Answer: Wo Rutobat (liquid qatre) jo kabhi shehwat ubharne par mard ke Aal e Tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hen, or wo pak hai or is se gusl bhi wajib nahin hota, or kapre bhi najis nahin hote. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 31st Eddition, maslah #70,344,345)
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112454
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-07

Question: Agar bagair kisi waja k Wadi nikal to un kapro mey namaz hoskti

Answer: peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota or us kapray may namaz b sahi hay.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70 and 345).
[Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Assalamoalaikum sir ma Australia ma student houn or job or boht tensions ma gira hva houn,Khair actually jab ma peeshab krta hu tow din main 1 ,2 baar subah uthny k baad or raat ko peeshab krta houn to jb peeshab sy farigh hota houn to end py boht zoor lgta ha or jb zoor lga k peeshab nikalta houn to money nikal aati hai sir is baat sy bohat parershan houn plz plz mjhy whatsapp py lazmi text krdena plz +61414326937,Thank you soo much

Answer: Peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #70 and 345).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-15

Question: Salam Alarming, Janab mera sawal hai ke jab mein peshab kar leta hoon aur uske baad istebra bhi kar Leta hoon phir jab me toilet ke bahar aata hoon kuch qatra peshab ka nikal jata hai. Kya ye peshab najis hai. Aur jis trouser me nikla hai kya wo bhi najis hai ? Please mujhe batayaae.

Answer: wsalam.
agar aap ne sahi istibra kar lia ayr us k baad bhi koi rutoobat kharij ho jis k baare mai aap ko shak ho k ye peshab hai ya nahi tou wo rutoobat paak maani jaaye gi or libaas bhi paak raha gay. or agar aap ko yaqeen ho keh ye paishab hi hay tu phir ye qatre najis hoon gay or libas ko bhi najis kar dain gay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 70).
[Updated on 15-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114765
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: Poty krne k baad kitni bar nahana chahiye? Or poty kpray phrn k ki ja skti ha?

Answer: Paishab ka makhraj paani ka alawa kisi cheez se paak nahin hota or osko 1 martaba dhoona kafi hay laikin afzal hay k 3 martaba dhoya jaey. Aur agar pakhanay ki jaga(anus) ko paani se dhoya jay tu zarori hay k pakhanay ka koe zarrah(spot) baqi nah rahay laikin agar colour ya smell baqi reh jaey tu koe haraj nahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #62,63).
(Note: oper biyaan kiay gay fatway ka khulasa ye hay k maqaam e paisah ko 1 baar dhona wajib hay or pakhanay k maqaam ko is terah dhoya jay k pakhanay ka koe zarra baqi nah rahay. Yani agar 1 baar pani daalnay se hi maqaam e pakhana saaf ho jay tu phir 2 ya 3 baar dhona lazim nahin hoga ).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114819
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Aj kal mery penis pr off white liquid ajata ha jisko saaf krny pr thori dair bd phr ajta ha kia yeh na pak ha?

Answer: Aam tor wo ratubat jo peshab k baad niklti hai agar peshab is sai mila hua na ho to wo pak hai. mazeed ye k jab kisi shakhs nai peshab k bad istebra kia ho aur is k bad ratubat kharij ho jis k baray mai shak ho k ye peshab hai ya koi aur to wo bhi pak hai. 2)Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya peshab ya koi aur cheeze, agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is k niklne k bad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai .laikin agar in teen alamat mai sai sari ki sari ya kuch mujood na ho to wo ratubat mani k hokum mai nahi aye gi laikin agar insan bemar ho to phir zarori nahi hai k wo ratubat uchal kar nikly aur is k niklne k waqt badan sust ho jay bal k agar sirf shewat k sat nikle to wo ratubat mani k hokum mai ho ge (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69, 345)
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-10

Question: Kya mard ho ya aurat ko Islam mei Nahane ke bad pura kapda uttar kar (nude ho kar) tel ya body lotion lagana jaiz he?? Jaha pura room saro taraf se bandh ho,,,aur sirf aap hi akela hoo???

Answer: agar koi aisa insaan daikh na raha ho ke jis se mard ke lie apne sharamgha chupana wajib ho tu ye kaam Jaiz hai balke riwaat men to badan par tel malne ke buhut se faaide zikr kiye gaye hain.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #53).
(Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #168,169).
[Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-26

Question: Imam zamin ko bazo ka kis kis waqat utara ja skta h washroom jaty hovy phn skty ya utar dety hn

Answer: Imam e zamin har waqt pehna jasakta hen lekin wuzu k bagair qurani ayaat ko choona jaiz nahin hai or agar washroom men pehin kar jany sy qurani ayat ki behurmati hoti ho to usay utarna wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #315,316).
[Updated on 27-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-07

Question: Agr gusal karte waqt rukh kabutula ke pass huwa to gusal hoga ya nhi

Answer: Peshab ya pakhana karte waqt Ehtiyat e lazim ki bina par badan ka agla hissa yani pait aur seena qible ki taraf na ho aur na hi pusht qible ki taraf ho. lekin ghusl karte waqt is cheez ka khayal karna zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #55).
[Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-11

Question: Kea washroom ma wazu krna sahi ha??

Answer: Jee han, washroon me wuzu Jaiz hai. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-28

Question: Agar kisi bhi wajah se bathroom ka door khula rakhna pade to kya alternate option hai..??

Answer: Insaan par wajib hai keh peshaab aur paakhana karte waqt aur dusre mawqe par (maslan nahate waqt wagera) apni sharamgahon ko un logon se jo mukallaf hon chahe wo maan aur behen ki tarah is ke mehram hi Q na hon aur isi tarah deewane aur un bachhe se agar mumayyiz hon yani jo ache bure ki tameez rakhte hon, chhupa kar rakhe, Laikin biwi aur shohar ke liye apni sharamgahon ko aik dusre se chhupanaa laazim nahin. Aur apni sharamgahon ko kisi makhsoos cheez se chhupanaa laazim nahin. balke agar apne haath se bhi chhupa lay to kafi hai. jabke mustahab hai keh insaan jab bhi rafae haajat ke liye jaaye to aisi jagah baithe jahan use koi naa dekhe.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #53,54,75).
[Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122504
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-24

Question: Sir peshaab ky baad moni jaisa kush kharij ho to bnda napaak ho jata hai kia

Answer: Wo rutoobat jo baz awqat mard ki sharamghah se peshaab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua nah ho to ye paak hai, aur is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #70).
[Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-09

Question: Kia pakhana k bad hatho ko kalma parh kr pak krna wajib hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Peshab ya pakhane ke maqam ko pak karne se hath bhi khud ba khud pak ho jata hai, alag se hath ko pak karna zaroori nahin hai aur kalma parhna bhi zaroori nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #212).
[Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Istibra karnay k bad ultay hath k anghotay or sath wali ungli pr peshaab k katray lag jate hen. Ab kia pehlay hath ko dhoo kr uzo pr pani daltay hoay hath sy dhoen. Ya chonkay pani ki miqdar ziada hay to hath dhoay bagher pani dalty hoay uzo ko hath pr lagay peeshab k katron k sath pani daltay hoay dho len. Jana yeh chahta hn k uzo ko dhotey hoa peshab k katre hath pr lg kr uzo pr lg rhe hen lekin pani bhi sath sath dala ja rha hy to kia es tarha paki hasil hojay gi. Ya pehlay hath pr lagay peeshab k katron ko dhona zaroori hai phir uzo ko pani or hath sy mal kr dhoen.

Answer: Agar hath per bhi peshab k zarrat mujood hoon to 2 martaba ki pani daalna hoga. hath ko alag se paak karna zarori nahi hay. sharamgaah ko dhote hoay bhi paak ho ajey tu kaafi hay. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 154)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Aslam walaikum mera sawal hai ki mere office me khade hokar peshab karne wala hai aur dhone wala bhi hai to kya paak saaf hun na

Answer: Khare ho k peshab krna makroh hai. Peshaab ka markhraj ( peshaab nikalne ki jagha ) ko aik dafa pak karna kafi hay or afzal ye hay ke 3 dafa dhoya jaay.
Agar insaan ka badan ya lebaas peshaab se najis hojaae tu qaleel pani do dafa dhona zaroori .
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 53,56,62,154)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print