Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (478 Questions)


Showing 250- 300 questions from 478 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
65746
Mujtahid:
Date:

Question: Removed

Answer: Moonh ka pani(thook) nigle se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1560). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65750
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Rozay ki halat mai agr nightfall ho jye tou kya karna chaye?

Answer: Roza durust rahe ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
65755
Mujtahid:
Date:

Question: Kia roze ki halat main miswak kar sakte hain

Answer: Tooth brush kerne Roza Batil nahi hota jab tak halaq k ander koe cheez(paste waghaira) nah jay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #101 , Pg #88 , Eidition# 5).

Print

Id:
65758
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM .... SIR MUJHE AP YE BATAYEN KE HUSBAND AUR WIFE RAMZAN KAREEM ME KIA HAQ HAIN .... AUR humbistri KAR SAKTE HAIN ???

Answer: Ramzan main din k waqt shohar apni bivi se hambistari nahi ker sakta laikin maghrib se lay ker fajar se pehle tak haumbistari ker sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1565). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65777
Mujtahid:
Date:

Question: Kya rozai ki halat m kiss krnai s roza toot jata h

Answer: Bosa lenay(kiss) se roza batil nahi hota. Laikin ye makhrooh hay roze main insan apni bivi ka bosa le. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65780
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salamun alaikum! mai ye puchna chahta hu jase roze ki halt mai khati dakar aaja jaye aur andr se kuch cheez hmre muhh tk aaye aur waps undr chli jaye to kya iss halt mai roza batil h??

Answer: Agar roze daar dakaar lay or koe cheez os k halaq ya monh main aajaey tu zarori hay k ose ugal de or agar wo cheez bay ikhtiyaar pait main chali jaey tu os ka roza sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1624). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65829
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Kia roza k doran farz ghusl ka saktay hain

Answer: Roze main ghusl e tarteebi ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #). Update on dated 24-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65830
Mujtahid:
Date:

Question: assalamoalyekum roze ki halat me kya me apne bal saf kar sakta hu

Answer: Jazi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65889
Mujtahid:
Date:

Question: kya ramzan main daramay and films dkhna jaiz hy and rozay par eska kya asar ho ga

Answer: 1) Agar is main koe haram manzar(scene) nah ho tu daikna jaiz hay.or is se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553).
2) Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa(parts of body) ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1004 , published by darul hujjah). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65896
Mujtahid:
Date:

Question: ROZA BATAL HO GANA OR TOOT GANA MA KEA FARK HA?

Answer: Roza batil ya toot janay main koe faraq nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65904
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: rozy may agar soty way janabat ho jaye to roza toot jata hai k nai ?

Answer: Ehtilaam se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65905
Mujtahid:
Date:

Question: aslam o alaikum agr rat ko ehtlam ho jaye to bnda subha uth k roza rakh skta h?

Answer: Agar ramzan k mahine main raat ko ehtilaam ho jaey tu fajr se pehle ghuls e janabat kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1591). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65962
Mujtahid:
Date:

Question: salam...i want to ask kay agr rozay kay doran agr koi buri cheez dekh li jai...buri cheez in the sense keh kisi movie may koi bura scene between a male and female(whether intentionally or acciedently) tou roza kia toot jata ha? another question ha keh agr koi buri cheez isi type ki jo upr walay queston may mentioned ha wo yaad aye tou b kia roza toot jata ha?

Answer: Faqat daikhne se roza batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65978
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam Alikum Jinab: Sir mera Saawaal bhut he common hai Kia Dewai yani (medcn) laeny ya niglany say roza toot jata hai yani bgahir pani kay niglany say agar roza bnd ho gea ho or kisi shaks ko yad na rha ho tu kia wo apni dewai yani medcn nigal sakta hai k nai ??

Answer: Khane ya peene se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1554). Update on dated 28-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65980
Mujtahid:
Date:

Question: Sir agr rozay k doran kch pics ya videos dykhnay say pins say kch nikalta mehsos ho to roza tot jata ha...?

Answer: Agar mani k qatre hoon tu roza batil hay or agar mazi k qatre hoon tu roza batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1974). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65982
Mujtahid:
Date:

Question: Mai gehri neend me tha aur sperm nikal gaya mai gaflat me tha kya is se roza toot jata mujhe plz jald bataiye mai bahut pareshan houn

Answer: Ehtilam se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 28-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65987
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu aalai kum kya transpent wala semen nikal ne se kya roza toot tha hai Kya, is halat me kya hum Namaz pad sakte hai kya ghusl wajib hai.

Answer: 1)Agar koe shaks mani nikalne k k irade se chairh charh or dil lagi kare laikin o ski mani nah nikle tu agar dobara roze ki niyat nah kare tu roza bati hay or agar dobara roze ki niyat ker le t ehtiyaat lazim ki bina per zarori hay k roze ko tamaam kare or o ski qaza bhi baja laey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1575).
2)Is ratubat ko mazi kaha jata hay or is halat main namaz bhi perhi jasakti hay or ghuls bhi wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65995
Mujtahid:
Date:

Question: Sir me Roza ki halat me apni girl friend sa bt kr rha tha or jb utha tu or washrom me gya tu mere 2 drops nikal gae tha tu kya mera Roz Makrooh ho gya

Answer: Roze main ye makhrooh hay k mani nikaalne k qasd k baghair koe shehwat angaiz karaam kia jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 27-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66047
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhe hapititis b hai. Rozo se pehle main ne test kia tha SGPT ka wo 70 tha. Ab rozo k waja se 145 tak punch gaya hai. Tu is halat main kia karo waqpe waqpe se roze rako ya na. Is maraz main dard nai hota magar Liver ke lie intehai khtarnak hai jo k jaan lewa be hota hai.

Answer: Agar aap k liay roza rakhna qabil e tawjjah zarar ka sabab ho tu aap k liay roza rakhna wajib nahi hay. or ramzan k baad qaza kerna wajib hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame, Mafhoom e Maslah #1960). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66096
Mujtahid:
Date:

Question: Agr roze ki halat main zina ho jay to is ka kafara kesy adaa ho ga?

Answer: Agar roze daar ikhteyaar se jima kare tu os ka roza batil ho jata hay.or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1567,1632). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66098
Mujtahid:
Date:

Question: sehri khatam hony k bad olti ajay to roza hoga?

Answer: Agar be-ikhteyaar ulti ho jaey tu roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1618). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66106
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Sallam Mara sawal hai ager Mani ka test Dana hai us say roza toot jata hai plz jaldi answer dana

Answer: Roze main mani nikalne roza toot jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66125
Mujtahid:
Date:

Question: I m medical student I wnt to ask kya female and male pateints k private part examine karny se roza makro hojata ?Hai?

Answer: Is se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66202
Mujtahid:
Date:

Question: Mai roza thi bt sehri k bd, nimaz k baad mjy boht pyas lagi ki mjy neend na aaye aur behoshi si mehsus hone lagi agr aisa lage tou kya ap roza toad sakhte hai ki nai?

Answer: Agar behoshi taari ho jaey or din main kisi waqt hosh aa jaey tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay is din ka roza tamaam kare or agar tamaam nah kare tu oski qaza baja laey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1539). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66203
Mujtahid:
Date:

Question: salam... mai roze ki halat me hand practice kardy o sperm nikal gaya ...kia is se mere roza toot gya ???? agar roza toot gaya tu ab main kia karu koi islami hal bataye ...

Answer: Istimna(hand practice) se roza tut jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569,1632). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66204
Mujtahid:
Date:

Question: salam ... rozai ki halat mai may nai hand job krtai huai sperm nikala matlab pora kaam krdia ... kia mera roza toot gaya ? agar mera roza toot gya tu ab mai kia karu koi islami hal batain ...

Answer: Istimna(hand practice) se roza tut jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569,1632). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66205
Mujtahid:
Date:

Question: sir ager kisi tasweer ko dekhny ka bad peshab wali jaga sa qatra pani nikly to roza toot jai ga

Answer: Agar nikalne wali ratubat mani hay or ikhtiyaar se nikli hay tu roza batil hay or agar ratubat mazi hay tu is se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1570). Update on dated 04-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kya roza rahete hue mai apne bibi s sex kar sakta hu?

Answer: Bivi se hambistari kerne se roza tut jata hay.agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair apni bivi se cherh chaar or hansi mazaq kare or ose mani kharij nah hone ka itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1593,1604). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66210
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: kya nind me mani kharij hone ke bad jab goosal karte hai aur uske bad liquid nikata hai to kya roza batil ho jata hai ? please reply on email asap.

Answer: Jab roze daar ko ehtilaam ho jaey tu agar os ko ilm ho k paisab ki nali main mani baqi reh gae hay ab agar wo ghusl se pehle paishab nah kare or ghusl kare tu ghusl k baad mani nikal aey,tu ehtiyaat e wajib hay k ghusl se pehle paishab kare. Laikin phir bhi roza bati nahi hay. Agar ghusl k baad koe ratubat kharij ho jis k bare main ilm nah ho mani hay ya koe or ratubat tu wo mani ka hokum rakhti hay. Or is k baad ghusl kerna hoga. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1588). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66233
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-Alikum mra sawal ya ha k rozy ki haalt ma gusal kr skty hain.????

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kiya halat roza main khusal karna sahi hai jo wajib na hoo

Answer: jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66256
Mujtahid:
Date:

Question: roze me mast zani karo tu kya roza tut jata ha.

Answer: Istimna(hand practice) se roza tut jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569,1632). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66272
Mujtahid:
Date:

Question: Kya porn dekhne se roza tut jata h kya

Answer: 1)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he.Albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629,-1576).
2) Ehtiyat e wajib ki bina per fahash filmo aur tasweero ka dekhna haram he, agarchah shak aur lazzat k baghair dekha jaey. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 463 , Pg # 254 , Eidition# 5). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kaya rozy ki halat mei pani mei guta laga sakte hai?

Answer: Pora sar pani main dibonay se roza batil nahi hota laikin ye shaded makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1590). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66459
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o walaikum roza k waqt girl friend ya kharab soch se peshab ki jagah se chikna pani nikal na roza tut jata hai

Answer: Mazi se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 13-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66462
Mujtahid:
Date:

Question: Sir. mera sawal ya hai ka,rozay ki halat main main apni biwi ka sath payar karta rha aur mera koi irada ni tha rozay ki halat main pani or mani discharge ho ,lkn payar kartay hovay meri mony or pani nikal gaya,kw ka body warm aur hot ho gi thi,to sir kindly mujay bataya ka mera roza kya toot gaya hai aisa karnay sa?? aur sir kya biwi ko kiss karnay ki ijazat hai rozay main ?? Plz give me the answer of my question thanks sir

Answer: 1)Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair apni bivi se cherh chaar or hansi mazaq kare or ose mani kharij nah hone ka itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1593,1604).
2)Bosa lenay(kiss) se roza batil nahi hota. Laikin ye makhrooh hay roze main insan apni bivi ka bosa le. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 16-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66505
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam. main aap se ye pochna chahta hoon k kia istimna haram hay or is se roza toot jata hay?

Answer: ye haram hay or is se roza tot jata hay.

Print

Id:
69384
Mujtahid:
Date:

Question: salam agr roza toot jaye tu kia karay khaa pee sakty hn kia phir?

Answer: Agar koi ramzaan me din k waqt khuch kha le to ehtiyaate (wajib) ye hai k baqi pura din roza batil karne wali cheezo se ijtenaab kare laikin agar ijtenaab na kare to is per koi kaffara nahi hay. (Mujtahid se pochay gay sawalaat roza,pg:22,sawaal#13) . Update on dated 17-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71802
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kay rooze mey naak mey dawai (spray) dal saktey hain agr bhut zarorat hu.

Answer: Roze ki halat me naak me dawa daalna jab k ilm na ho k halaq tak pouche ghi makroh hai aur agar ilm ho k halaq tak pouche gi to is ka istemaal jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 35th edition, maslah # 1629). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71807
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u Alaikum agar fajr k baad haiz ka ghusal kar k roza rakha to roza hoga?

Answer: Agar koi aurat subah ki azaan k baad haiz k khoon se paak ho jaay to is ka roza batil hai or agar Ramazan ke rozo mein Aurat subh se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaay aur jaan boojh ker ghusl na kare ya oska fariza tayamum karna ho aur wo tayammum nah kare to zaruri hai k os din k roze ko poora kare aur oski qaza bhi kare. Or agar Ramazan k qaza roze main agar jaan bhoojh k ghusl ya tayammum nah kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo os din ka roza nahi rakh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612,1608 ) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71808
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam u Alaikum fajr k baad haiz ka ghusal kar k roza rakh lya to kya roza hoga?

Answer: Agar koi aurat subah ki azaan k baad haiz k khoon se paak ho jaay to is ka roza batil hai or agar Ramazan ke rozo mein Aurat subh se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaay aur jaan boojh ker ghusl na kare ya oska fariza tayamum karna ho aur wo tayammum nah kare to zaruri hai k os din k roze ko poora kare aur oski qaza bhi kare. Or agar Ramazan k qaza roze main agar jaan bhoojh k ghusl ya tayammum nah kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo os din ka roza nahi rakh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612,1608 ) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71853
Mujtahid:
Date:

Question: Mai ne rozze mai biwi k sath humbistri ki or jis ka kaffar 60 bando ko khana kehlana hai jab k mari itni istaat nai k 60 bando ko kehla sakoo kia koi or hal hai jis se kaffara ada ho jay 2 mah rozze b nai rakh Santa plzz tell me.

Answer: Agar koi sa bhi kaffara dena mumkin nah ho to baqdr-e-imkaan sadqa daina zaruri hai aur agar yeh mumkin na ho to tauba aur astaghfaar kare aur ehtayaat-e-waajib yeh hai ke jis waqt (kaffara daina ke ) qaabil ho jaay kaffara de. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1632). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71854
Mujtahid:
Date:

Question: Roze ki halat me din me sote waqt agar kuch waja se mazi nikal aae or muje khabar na pade to kya rpza tut jata hai?

Answer: Agar rozedaar ko neend me ahtelaam (mani kharij ho jaay) to is ka roza batil nahe hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71861
Mujtahid:
Date:

Question: Assllamallekum mai jitna bar waju karta hun utni bar pani halk se niche jata hai to kya meri roja tut gayi pls jald bataieee...

Answer: Wuzu me mou me pani daalna (kulli karna) zarori nahi hay.
Agar koi wuzu karte waqt kulli kare aur pani beikhteyaar mou me chele jaay to roza batil nahi hota .
Agar kise shaks ko maloom ho k kulli karne se beikhteyaar ya bhool jane ki waja se pani is k halaq me chala ja.ay ga to zarori hai k kulli na kare aur is surat me agar kulli kare laikin pani halaq se na utre to ehteyaate wajib ki bina per roze ki qaza kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1659,1664). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71869
Mujtahid:
Date:

Question: Kia rozy ki halat mein sir sy juain (lice) nikal k marna jaiz hy?

Answer: Is se roze per koi faraq nahe perta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ). Update on dated 04-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71872
Mujtahid:
Date:

Question: Kya MaI ramadan ke roza rakh sakti hu priods ki halte me

Answer: Haiz ki halat main roza nahi rakha jasakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1612). Update on dated 28-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Meri halat bohat kharab hogayi aise laga k ulti ajaye gi tou me ne jaan k thooken pehnki phir ulti agai tou roza. T

Answer: Aap ka roza durust hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, ,Mafhoom e Maslah #1655). Update on dated13-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: agar gusal karte time brife karte samay galti se pani naak me janese kya roza Toot jata he ?

Answer: Agar galti se pani chala jaay to roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah khoe ,Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1584 ). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72273
Mujtahid:
Date:

Question: Rozy ke doran brus kia ja sakta he

Answer: Roze ki halat me tooth burush karna jaiz hai haan agar rozedaar toot burush mou se nikaale aur dobara mou me le jaay aur is ki tari nigal le to roza batil hai sewaey is surat k is ki tari luaab dehan me gol mil kar is tara khatam ho jaay k ise behroni tari na kaha jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553,1554). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72274
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamualaikum mera dawal ye hai roze me ganda sochne se roza toot jata hai ya nahi

Answer: Is se roza nahe toota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print