Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (478 Questions)


Showing 350- 400 questions from 478 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
96792
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-25

Question: AOA mera sir mera question yh ha k m ne sehri ki rozy ki niyt b ki namz k bad mjhy chakr any lgy bhot zaida vomiting wli tabiyt na btha ja rha tha na soya ja rha tha ajeb se tabiyt thi to m ne namk salt khaya 5 bjy rozy ka Tim khtm hogya tha 4 tk to phr kuch aram aya to m ne soty hwy niyt ki thi sbha tabiyt sahi hogi to roza rkhn GI wrna ni kia MRA an roza ha k nj

Answer: Agar aap ne dobara roze ki niyat nah ki ho tu aap ka roza batil ho jaey ga or agar dobara roze ki niay ki ho tu ehtiyat e wajib ye hay keh is din ka roza poora kare or baad main is ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1551). Update on dated 26-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-30

Question: Roza ki halt me istmna krna Jab is ka shaore Na tha to us ka kafara Kia hai

Answer: Agar jahil e qasir ho or roze main istimna karte waqt is k mubtilaat roza hone ka shak bhi nah ho tu phir roza batil nahi hoga.(Ref: Ayatullah sistani, tauzihul masael jaame, part#1, maslah#2028).
[Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
97176
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-30

Question: Mra sawal ye h sehri se phly must zanni k ho or ghusal na kia ho to roza rkh skty h

Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th, edition maslah#1591, 1630).
[Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97339
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-24

Question: Assalamo alykum sir.. kia rozy ki halat may agr husband wife aik dosry ko touch karny se feelings generate ho jayn lekin koi discharge or intercourse na hua ho to kia roza batil ho jata hy?

Answer: Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se cherh chaarh or hansi mazaq kare or osay itminaan ho keh mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, tu os ka roza sahi hay. albattah agar osay itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b maslah#1576).
[Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97340
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-24

Question: Asalmu Alikum agemr rozay ki halat mai mai apny husband sy baat kro or shehwat a jaye tw kya maira roza tot jaye ga? Plz guide me?

Answer: Faqat shewat aane se roza batil nahi hota. Agar humbistari ki jaey ya shewat k sath mani nikal aay tu roza batil hoga. (Ref: Tauzeeh e ul masael, Ayat ullaha sistani d b, maslah#1629, 1565, 1576).
[Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-24

Question: Kia rozy mein waxing kr sakty hain?aur eyebrow b banwa sakty hain?

Answer: Roze main eyebrows banwana or waxing karwana jaiz hai aur is sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Deen k ahkaam pg 242 ques 760, Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition, maslah#1553).
[Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97629
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-15

Question: آگر حالت روزہ گوش میں سرنج لگانے سے روزہ باطل ہے یا نہیں

Answer: Jee nahi is sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1557)
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: hambistri karne se roza toot jaata he

Answer: Hambistari roze ko batil kardiati hay, chahay uzu e tanasul supari tak hi dakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1565). Update on dated 23-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103757
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-02-11

Question: روزے کی حالت میں نسوار منہ میں رکھنے سے روزہ باطل ہوتا ہے کی نہیں اور اسی طرح سگریٹ کے بارے میں کیا حکم ھے

Answer: Niswaar se roza os waqt toatay ga jab wo ya os ka arq(rus) halaq se nechay chala jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1554).
Ehtiyaat e wajib ki bina per roze daar sigrait or tambako ka dhuaan halaq tak nah pohchaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1587).
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Aslam u Alaikum Mera swaal yeh hai ke agr sehri ke waqt Mazi ka niklna aur namaz Fajr na parh panna! Kya roza hoga yan nei ?

Answer: Mazi k nikalnay se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107119
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalam o Alaikum Sir, Mane roza rkha h Lekn mjy fajar ki Namaz k bad se din bhar Khatti dikar Jo k bad hazmi wali hoti h arai h Kia Mera roza hai?

Answer: Nahi, is se roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107148
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Kya rozy ki halat me ulti hone sy roza tot jata hai

Answer: Agar roze daar jaan boogh kar ulti kare tu agarche wo bimari wagira ki waja se aisa karne per majboor ho is ka roza batil hojata hay laikin Agar sehwan(yani iraday k baghair) ya be-ikhtiyaar ulti ho jaay to roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: bach ko wash ( nahlany, poty, peshy ) krwany sy wadu toot jay ga??

Answer: G Nahin ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 322).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107331
Mujtahid:
Pari Date: 2023-08-04

Question: As a female rozy ki halat me najayez khyal ana.. Or isi halat me apny sath cherh char kr leny se roza toot jata ha? Khuk k baat kru to.. Finger insert kiye bgair. Bas bahir se cherna.. Or kesy in khyalo ko khud se dur rkha jaye

Answer: Nahin, is se roza batil nahin hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107333
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-23

Question: Rozay me zanjeer maarnay ka Kia hukm hai?Aaya roza baatil hojaata hai ya nhi?

Answer: G nahin is se roza batil nahin hota lekin Rozaydar k lie har aisa kaam krna jo kamzoori ka sabab ho makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629).
[Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Asalam o alikum, Mery py gusal e janabt wajib ho to kia main tayamum kr k roza rkh skta hon ya mujhy gusal krna hoga? JazakALLAH

Answer: Agar Azaan e Subha se pehle gusal e janabat nahi kar sakte to tayammum karain, or ager ye bhi na karain to roza batil hai, qaza o kaffara dono wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1594 , 1596 ,
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107548
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalam o Aalikum Cutting of Under arm hair and zare naff hair cleaning in Roza.

Answer: wsalam.jaiz hai is sai roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1553).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107549
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalam o Aalikum Cutting of under arm and zare naff hair in Rooza

Answer: wsalam.jaiz hai is sai roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1553).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107628
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-05-22

Question: Rozy ki halat m ghusal irtimasi kiu nahi kiya ja sakta or agar koi bhuly sy karly tou is ky bary m kia hukum hai???.

Answer: Roze ki halat me irtimasi gusl kiya jaa sakta hai kiyon k pore Sar ko pani me dbone se roza batil nahe hota. Albetta shaded makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360-70)
[Updated on 23-May-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110702
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-28

Question: Roza kitni chezon se batil hota hai

Answer: Rozay ko 8 chezain batil kar deti hain:
1)khana aur Pina,
2)Jima (Intercourse) karna,
3)istemna (Hand practice) karna,
4)Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna,
5)Gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par,
6)Azan e subah tak janabat , haiz, ya nifas ki halat mai baqi rehna,
7)Kisi sayal (liquid) cheez sai huqna (anima) karna,
8)Ulti karna.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)
[Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112558
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-15

Question: Salam..Qaza Roza tha galti se kuch khaya ha abhi roza batil ha hua ha ya nahi?

Answer: wsalam.
Ghalti sai khaane sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1556).
[Updated on 15-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113033
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Salam mun Alykum Sawal yeh hai ki rozah mai musterbation kary or pata nah ho ki usper kaffarah lagai ga uska kiya hukum kaffarah dena zarori hai.

Answer: W/Salam. Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar sai mani nikaalna) haraam or gunah e kabira mai sai hai hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #1, Edition #2009, Maslah #30)
Istimna(masturbation) roze ko batil(torne) kerne wali chizon men se hai lekin agar ap ko pata nahi tha k istmna se roza toot jata hai or ye baat poochhne men ya in masaail ko janne men apne susti or kotahi bhi nahi ki thi or aap istimna k bare men shak or pareshani men mubtila bhi nahi the (ke aya is se roza toot jata hai ya nahi), ya ap kisi sharaei hujjat par etemaad rakhte thay agr ye tamaam baaten aap k ander mojood hon to phir is surat men apka roza batil nahi hoga lekin is k baraks agar ap ko pata tha ya phir apne puchhne men susti ki ya apko is bare men shak tha k ye roze ko torh daiti hai ya nahi ya phir ap kisi sharaei hujjat per etemaad bhi nahin rakhte the to is soorat men ap ka roza batil hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #1553,1625).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114207
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-16

Question: Urine leakage se roza tut jata hai

Answer: Rozay ko 8 chezain batil kar deti hain: 1. Khana aur Pina, 2. Jima(Intercourse) karna, 3. Istimna(Hand practice) karna, 4. Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna, 5. Gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par, 6. Azan e subah tak janabat , haiz ya nifas ki halat mai baqi rehna, 7. Kisi sayal(liquid) cheez sai huqna (anima) karna, 8. Ulti karna.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #1553).
(Note Upar bayan ki 8 cheezon ke zarie se roza batil ho jata hai. baqi aap ne jis ka zikr kiya hai us se roza batil nahin hota ).
[Updated on 16-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114220
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-16

Question: Roza ki halat main nahany k baad sarsun ka tail ya koi aur tail/oil lga skty hain? Aur isky ilawa Sarr main tail/oil lga sakty rooza ki halat main han ya ni?

Answer: sir par tail laganay sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553).
[Updated on 16-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114253
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-17

Question: Kya roze Mai private hisse Kai bal kat sakte hai

Answer: Ramazan main rozay ki halat main baal kaatna jaaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114262
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Kya roze main photo ya selfie lene se gunah hota hain?

Answer: Jee nahin. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0385/page/2/).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114265
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-19

Question: Mera sawal yeh hai ky mein aj sham 6 40 py wozo krny laga tou ik Qatra ghalti sy pani ka qoli karty waqat halq Mein utar gya jab ky mery sehar mein roza 6 46 py aftar hota tou kya mera roza batal ho gya hai ya nai.please answer.

Answer: Aap ka roza saheeh hai. Q keh Agar rozedar wuzu karte waqt kulli kare or pani bay ikhteyaar pait main chala jaey tu is ki qaza nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #1556).
[Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114305
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Aslamualikum,kia rozy ki halat main sugar check karskty hain bilkil ek dout k barabar blood niklta hai jaiz hai?

Answer: hah karskte hay.(.Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.1553)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: kya rozay ki halat main sar k baal katwa sakte hai or agr cut lagne se blood agaya tw roza toota hai? Ya makhru?

Answer: 1). rozay ki halat main sar k baal katwa sakte hay ,is se roza batil, nahe hota . or agr cut lagne se blood agaya tu roza nahe toota hai or na he roza makroh hota hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1553,1629).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Kya roze m husband wife sex krskte hai ? Or krlia ho toh ?

Answer: Roze ki halat main jima karne se roza batil ho jata hay.

Agar koi shakhs ramzan k roze ko jima(hambistari) se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. 5) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #1554,1630, 1632)[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114340
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Agar hum me roza rakha howa ha Aur hum doopehr ma so rahe hain or koi na munasib khawab dekh lete hain Matlab wet dream Tu kiya humara roza batil hoga?

Answer: Is se roza batil nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #344,1571).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-20

Question: Roze ki halat me Agar mard apne nafs ko biwi ki sharmgah me daalne k baad v mani kharij na ho to kya roza baqi rehta h

Answer: Jima(Hambistri) karne se roza batil ho jata hai, chahay uzu e tanasul supari tak hi dakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho. Agar koi shakhs ramzan k rozay ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar(zabardisti) aur nachari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to is par rozay ki qaza k ilawa kaffara bhi wajib ho ga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1565,1630).
[Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114371
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Bv k sath sex kr k ghusal k bgair agr sehri kr ly to kya roza ho ga ya nahi

Answer: Azan e subah tak janabat ki halat mai baqi rehna rozay ko batil kar deta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-21

Question: Neeend ki HAlat m Daanton Se Khoon Nikalker Halak Se Niche Utra Aur Khoon Thoonk Se Zyada Ya Barabar Tha Magar Iska Maza Halak May Mehsus Hua To Roza tutt geya?

Answer: Agar daanton ki reekhon say nikalnay wala khoon luab-e-dahan say makhloot hokar khatam ho jaey to is luab say parhaez laazim nahin hay. Agar Khoon luab-e-dahan say makhloot na ho to jab tak usay nigla nahin jaye ga Roza batil nahi hoga. Isi tarah agar be ikhtiyar halaq men chala jaye tab bhi Roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #97,1554).
[Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114443
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-17

Question: Rozy ki halat main agr ehtalam ho jaye ya mani nikl jaye tw roza toot jata hai?

Answer:
ehtilam (nightfall) hona roze ko batil nahin karta.
[Updated on 18-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114453
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-12

Question: During ramzan can we do masturbation at night or after iftaar....??? Plzz answer

Answer: Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar sai mani nikaalna) haraam or gunah e kabira mai sai hai hay. Chahe ramzan ka mahina ho ya is ke elawa koi aur mahina ho. Aur ramzan men to khas tor par is se mana kiya gaya hai Q is roza batil(toot) ho jata hai aur kaffara bhi wajib ho jata hai. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #2009, Maslah #30)Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (ghuna karne wale ko allah se sacche tuba karne chaie).
[Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114455
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-12

Question: Kia sehry napakae m karsakty hain r us k bad haiz sy pak ka wazu kar ley phr namaz fijr parhe tou kia es sy roza nhe hoga yah roza kaza karna hoga?

Answer: Aurat ke liye halat e haiz aur nifas me namaz parhna aur roza rakhna haram hai.
Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se phele haiz ya nifaas se paak ho jaay to namaaz fajar ke waqt se phele ghusal haiz ya nifaas kar lena zaroori hai(or shere karna zarori nahe hay) aur agar wo ghusal karne me laparwaai kare ke namaaz fajar ke waqt tak ghusal na kare aur waqt kam hone ki surat me tayammum bhi na kare to zaroori hai is din ka roza pura kare aur qaza bhi kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,1614)
(Note: Aap roza saheeh nahin hai ).
[Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114481
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Kia thook nighlne c roza tut jata hai

Answer: Munh(mouth) ka pani(thook) nigalnay sai roza batil nahin hota hay chahae kisi wajha say bhi Munh mai aajae.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1560).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114482
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Kya rozy ki halat mai ladki sy baat kry to roza tot jata hai?

Answer: Na mehram sai baat karnay sai roza batil nahin hota. laikin na-mehram sai aam mamool ki baat cheet karnye me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahin hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me parnay ka khof ho. Warna haram hai.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
(Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat, part #3, ques #115, pg #57).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114483
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: Kia roze ki halat main phone pr larki say baat karny say roza toot jata haii ya ni?

Answer: Na mehram sai baat karnay sai roza batil nahin hota. laikin na-mehram sai aam mamool ki baat cheet karnye me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahin hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me parnay ka khof ho. Warna haram hai.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
(Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat, part #3, ques #115, pg #57).
[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Agr rozay k doran kisi larki say fahesh baat krnay par mazi ya wadi k qatra ya qatray aa jain to kya roza batil ho jata?

Answer: 1). Roze ki halat men Agar nikalne wali ratubat mani hay or ikhtiyaar se nikli hay tu roza batil hay or agar ratubat mazi ya wadi hay tu is se roza batil nahi hota.Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1) Uchal kar niklay.
2) shehwat k saath niklay
3) badan sust hojaye.

jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or roza bhi batil nahe hota Biwi k alawa kisi doosray sai fehesh batain kerna haram hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156),(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114540
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Agr kise ko bht zaroorat ho rozy mai dawai khany

Answer: roze main dawai khana roze ko batil kardeta he.
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114553
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-12

Question: Kia mazi nikalny se roza toot jata ha

Answer: Mazi se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 13-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
114624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-15

Question: Aisa hoa he keh mera penis pehle erect tha lakin main ne us ko chhoa nai. Penis ne underwear se ragar khai to mujha aisa laga keh mani khaarig hona lagi to mujha kuch samj nah aya to main ne mani rokne ke lia jaldi se penis ko underwear se nikaal kar hath main pakr lia our mere pakrne se hi mani khaarig ho gai to kia mere roza baatil ho gaya

Answer: Agar bay ikhteyaari ki halat main kisi ki mani kharij ho jaey tu os ka roza batil nahi hhay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 44,Mafhoom e Maslah #1569).

Print

Id:
114646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-12

Question: Assalamualaikum mujhe yeh poochna hai mere haiz khtm hone k bad me pak ho gyi thy sehri k bad or so gyi 10 bje qarib meri ankh khuli to thora blood aara tha kya is halat me roza makruh ho jata hai ya dubara gusal kr sakte hain

Answer: 1) Haiz men roza nhin rakh sakte or ramzan k baad in rozon ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #).
2) Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)

Print

Id:
114653
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-13

Question: Sehri k bad roza rakh k soya tha lekin kuch ghnton bad hi mey neend se uth gya magr pore hosh o hawas m nhi tha aur ma apni sharam gaah ko hilane lg gya jis se mani kharij hogyi. Mera ye krne ka koi irada nhi tha aur mujy khud nhi smjh arhi k ye mene kyu kiya. Ma aksar neend m boht gehra soo jata hun aur pta nhi chlta kya bolta hun. Ma muqamal taur p hosh m nhi tha lekin mujhey yad. Kya mera roza batil hua ya makrooh aur mene kitna brda gunah krdiya hai.

Answer: Is se aap ka roza batil nahi hoga, Q keh aap ne jaan boojh kar istimna nahi kia balkeh neend ki halat main mani nikali thee.(Ref: tauzihul masael, maslah#1569) .
[Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114657
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-04

Question: Rozay ki halat mai agr (periods) yani dag lge to kia rozay rahe ga ya tut jaye ga?

Answer: Roze main din k doran jab bhi haiz(periods) aa jaey chahay maghrib se chand minutes pehlay bhi tu roza batil ho jata hay. (Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #1923).
[Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114679
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-30

Question: Main aik diabetic insulin dependent aur Heart patient hon. Kia main roze main akhri time main agar meri sugar 60 yani low sugar ho jati hey tu kia main roza thori se sugar aik ya do chamach lekar k anpi sugar raise karon taqe behosh na hon tu kia mera roza qaim rahega ya batil hoga aur agar batil hoga tu kia iss ke qaza mugh par wajib hogi? Wizahat se bataie pls.

Answer: Faqat kamzori maah e ramzan k roza chorhne k jawaz ka sabab nahi ban sakti chahay(kamzori) shadeed hi ho siwaey ye keh baais e mushaqqat(istni ziyada sakhti jo keh aam taur per qabil e bardasht nah ho) ho keh is sorat main khana ya peena ehtiyaat e wahib ki bina per faqat zarorat ki miqdaar main jaiz hhay or baqya din parhaiz kia jaey isi tarah zarori hay keh maah e mubarak e ramzan k baad os roze ki qaza ki jaey laikin is per kaffara wajjib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1539).
[Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114695
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-29

Question: Sir mera swal ye hai k agar bnde ko ikhtilam ho jae aur sehri kartay waqt baghair ghusal k sehri kar k rozay me dakhil ho aur bad me ghusal karle to kiya roza rakh sakta hai

Answer: Agar junub shaks maah e ramzan main jaan bojh kar azan e subah tak ghusl nah kare ya jis shaks ka fariza tayammum ho or wo jaan boojh kar taymmum nah kare tu zarori hay keh is din ka roza poora kare or phir aik din or roza rakhe or choon keh ye taey nahi hay kkeh ye doosra roza qaza hhhay ya saza, lehaza maah e ramzan ka os din ka roza bhi maa fizzah ki niyat se rakhe or maah e ramzan k baad jis din roza rakhee or os main qaza ki niyat nah kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531).
[Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114705
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: I was sleeping after Sehri when felt mouth full of bitter water. I woke up but swallow it as I was not fully awake . Did it affect my fast ?

Answer: Thookh peene se roza batil nahin hota. Aap k liay thook phaikna jaiz hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1560).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print