Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Khums Ke Ahkam (158 Questions)


Showing 0- 50 questions from 158 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
82
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: gyar syed insan jo kay shia hai hum us kay illaj kay liay haq-e-sadat ki raqam say madad kar saktay hain?

Answer: ye JAIZ NAHI hay,is say zimmedaari poori nahi hogee. (Ref.Istiftaa)

Print

Id:
114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Kindly quote quranic reference of Khums? Can we rely on The Shawal moon which was declared by government?

Answer: Ayat of Khums : Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10)...
Agar chaand honay ka Yaqeen ya Itmeenaan hasil ho jaey to manna zaroori hay.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: salam!baalig hone kay baad nabaligiyat kay zamane mein kisi cheez kay aik saal say zaid gairistemaal shuda rehne par mukallif ki kiya zimmedaari hai?

Answer: Salam un Alaikum,
Us par wajib hey wo us cheez ka khums dey.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 1802

Print

Id:
158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: 1.is it allowed for a women on do a intercorse in istehada? 2.if a child becomes balightoday so things which were his milkiayat khums will be wajib the day he becomes baligh or after bologiyat one yr more should passs that the thing is un use then it will be wajib??

Answer: Salam-un-alaikum
1) It is allowed for women to do intercorse in istehada, but if she is in istehad-e-kasira or mutawassita then it is ehtiyat e mustahib to do gusul before intercorse.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 435

2) Na-bailgiyyat key zamanay mein us key paas jo maal tha us par baligh honay key pehlay din ya baad mein koi khums wajib nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 1802

Print

Id:
205
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: I am a serving person and get salary on monthly basis. I hardly manage the monthly expenditure with that salary for whole month. The due date for KHUMS is 3rd Ramzan. The salary which I got this month will be consumed only in current month. If I pay KHUMS from this salary then I cannot manage the expenditure for remaining month. So the question is that, IS the KHUMS is due for me or not? Thanks

Answer: Salam un alaikum,
Khums is due on you on 3rd Ramzan.
Ref: Istiftaat Aqai Sistani.

For the probelem of monthly expenditure, contact Maulana Ali Raza Mehdavi at Quran-o-Itrat Academy.

Print

Id:
232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: asalumalykum my question is abt KHUMS.do the khums implement on pocketmoney.i am a student of age 17 i have some pocket money FROM ABT 02 YEARS and i never paid the KHUMS. SEND ME THE ANSWER IN DETAIL. WASALLAM BAQAR.

Answer: Salam un Aliakum
You have to pay the khums on your "Pocket Money" on your khums date.
Refrence: Tauzeeh ul Masail A.Sistani Prob No 1762

Print

Id:
618
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Reminder dated 17-03-04 Assalomoaliquam, 1 Moulana saib merasawal ye hi ke agar kisi pe Khums bari mikdar meai wajib ho aur woo Mujathed ki wakill se ijzat lay yien quistoo main ke her mahn farz Karin 5000/ ada kere ga. Ab ius ki karobar main musalsal barkat ho rehi hai to us nain wakill se rujoo kia to unhoo nain kha ki theek hai app quistten jari rakheen magar abb app ki monthly kisteen 5000/ se bar kar 10000/ ho jai gee . Too us waqat us nain hami bhar lee magar aub woo chaa ra hi ki quistten whoi 5000/ hi rahin ya kisi month 5000/ aur kisi month 10000/ jab ki us mein her month 10000/ deine ki taqat hi. 2 Agar koi lain dain ki doran jalli curreny note 500 yan 1000 ki de da to is bare main kia hukamm hi jab ki abb denin walla dastaras se bhar hai ? kia main bi woo note agaee bara doon yahn yee nuksan bardasht kar loo akhar kab tak kaiunkee hamer yehain too ahi din yee hota rate hai. please reply me at your earliest.

Answer: Salam un alaikum,
1) Aap mujtahid key vakil sey dobara musalihat kijye.
2) Aap yeh note aagay nahi dey saktay, albatta bank ko yeh note dia ja sakta hai.

Print

Id:
892
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: maray dada nay aik makan apnay naam say kharida aur us ka khums nahi diya. wo makan hum ko rehnay kay liye dey diya(tofay kay tor pay) magar meri dadi kay naam hay. kia is makan may namaz parhna sahi hay? agar sahi nahi to hum kahan namaz parhain? meri mammi kahan namaz parhain?

Answer: Jis marhoom nay zakat aur is jaisay dosray maali wajibaat (masalan khums) ada na kiye hoon,uski jaaidad main koi aisa tasarruf karna jo wajibaat ki adaigee main maanai na ho masalan us kay ghar main namaz parhna wurasaa ki ijazat say jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.145,Masala No.863...Agar koi shakhs kisi shia isna asheri musalmaan ko koi aisi cheez batoor atiya day jis ka khums na diya gaya ho to us kay khums ki adaigee ki zimmedari atiya denay walay par hay aur jis shakhs ko atiya diya gaya ho us kay zimme kuch nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.263,Masala No.1733.

Print

Id:
1014
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam o alaikum, mai matric kar ke job par laga ,us ke bad mai ne har month 100Rs khums kei niyat se us mai nikalta thaa, us waqt maire pass koi extra amount nahi thi jo alag se rakhi hon laikn ab kuch saving hui hai to ab mai kis tara khums nikalo or kia jo mai phelay kar raha tha woh tariqa sahi tha yah nahi. or us doran meri kooi ro zimadari hai to mujhe batye. plz is ka jawab jaldi dijye allah hafiz

Answer: Jab Insaan kisi Kaam Dhanday say Paisa Kamaey Agar wo Kamai Khud Us kay aur Us kay Aih o Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say Ziada ho to Zaroori hay kay ZAID kamai ka Khums yani Panchwaan Hissa Mujtahid ya us kay Wakeel ko daey,Lihaza jo pehlay aap har maheenay bawajood bachat na honay kay Rs.100 diya kartay thay wo khums nahi kehlaey ga. Ref:Tauzeehul Masail(A.Sistani)Pg.262 Masala No.1722.

Print

Id:
1051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: WILL U INFORM ME ABOUT THE PROBLEMS OF KHUMS IN BUISENESS.I HAVE AN ONLINE ACCOUNT IN STOCK EXCHANGE.MY INVESTMENT IS ONE HUNDRED THOUSAND.HAVE I PAY KHUMS OR ANY CHARGES ON PROFIT AND KHUMS ON MY INVESTMENT.PLZ INFORM ME IMMIDIATELY.

Answer: Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.

Print

Id:
1251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: main aik rishtedarsay qarz lay ker car kharidna chahta hun kya muhay khums dena hoga?

Answer: Qarz ki raqam main qarz lenay walay par mutaqan khums nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae.Pg.No.301.Masala No.890.

Print

Id:
1291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I got Prize of Rs. 15000 from prize Bond. Khums is due or not for me on the prize. Khums for this year is not due because i have already paid khums for this year. Question is that "Is khums due from prize of Prize Bond which I got? Thanks

Answer: Is par khums nahi hay laikin aap ko inaami raqam ka nisf(Half) hissa kisi momin deendaar faqeer ko dena wajib hoga.Ref:S-39

Print

Id:
1359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1) Agar Mujh par Pehlay ka khum wajib hai laikin main ab wo khum dainay k qabil nahin hoon to iss soorat main kia main apni marzi say aur baghair wakil ki ijazat k installment main khums ada kar sakta hoon. 2) Agar main nay kisi ko gift diya hai to uss par bhi khums wajib ho ga. Yeh Gift main nay apni haisiat say barh kar diya hai.

Answer: wakeel ki ijazat kay bagair is tarhan karna jaiz nahi hai. aur us tuhfay (gift) par bhi khums ho ga jo aap ki haisiyat se ziyada hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 1761 & Mujtahid say poochay gae sawalat, question no. 99.

Print

Id:
1490
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: if any person gives khums each year but not on a fixed date & also not as much as is due on him. Now we heard from a moulana that if anyone never give khums in his life then he has to make a list of all over things that he has , whether used or unused & after that he will have to give khums on the present cost of all those things. Is it true? if yes then how isit possible to count all the used /unused things because nowadays a family person have a lots of things that are used /unused. please tell me a simple & easy way.

Answer: ji haan, is ki maujooda qimat ka khums daina zaroori hai. REF: www.sistani.org, khums, Q 45.
agar kisi ko yaqeen ho ke us par khums wajib tha lekin shak ho ke us ne khums ada kar diya hai ya nahi, to zaroori hai ke khums ki adaigi karay. REF: mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 1, ques no. 87.
aur agar yeh maloom na ho ke us ne saal ke dauraan walay munafay se cheezain khareedi hain aur ussi saal me unhain istimaal bhi kardiya hai ya nahi, to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke hakim-e-shara ya un ke wakeel se ehtimaali nisbat par mufahamat kar lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1767.
lehaza agar aap kay liyay hisab-o-kitab karna mushkil ho raha ho to is ka aasaan hal yeh hai ke apnay mujtahid ya sher (city) mein maujood unkay wakeel se raabta kar ke is masla ko hal kijiyay.

Print

Id:
1787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aslialamualikum main nay abhi tak khums ki tareekh fix nahi ki hai or january main BC dali hai jo march main milay gi to is per khums kaisay niklay ga ?

Answer: w.s. Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.

Print

Id:
1789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asalamualikum molana sahab kia hum her mahinay k akhir main apni bachi hoi raqm main say khums nikal saktay hain ya nahin

Answer: w.s. jee, nikal saktay hain aur agar maloom k saal k ekhtetam tak is bachi hui raqam ki zaroorat nahi padegi to ehtiyate wajib ki bina par fawran khums ada karna zaroori he(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1736)

Print

Id:
1790
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asaalamualikum ager pooray saal bachat nahi ho rahi laikin fix ki hoi tarikh per us mahinay ki bacht per kia khums ho ga ?

Answer: w.s. fix ki hui tarikh taq ki bachat par khums hoga (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 3 page 48)

Print

Id:
1826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Alekum . shadi say pehlay main bara bar har sal khums dia karta tha shadi k bad banks k qarzoon or shadi k liye mukhtalaf logon say jo qarz lia hua tha wo itna ziada tha k main khums ada nahi karsaka ab kuch bojh kam hua hay to ab mujhko khums kis tarah nikalna hoga kia rubba dena hoga?

Answer: w.s., Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222. Qurz par khums wajib nahi hota (ref: mujthid se puchhe gaye sawalan part 2 page 50 Aytullah Seestani (d.b.)

Print

Id:
1868
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: we have applied for a plot and some amount has been also deposited as an installment but yet we have not got the full ownership so do we need to pay the K hums on the amt.AND what will be the condition for Khums when we will have the full ownership of the plot.

Answer: bismehi taala, Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.

Print

Id:
1875
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Alaykum, 1. My Savings on 1/1/08 = 5000. Mukhummas Money left after paying khumus = $4000 On 6/1/08 I bought a car from Mukhamas money for $4000. My account became zero On 1/1/09 (my khumus date) I have my savings = $6000. How much khumus is due. 2. I bought the stocks of a company for $1000 from Mukhamas money. After one year its value is $1500. But in the middle of the year its value reached $2000, I did not sell hoping its value will go higher. Is Khumus due $500 or $1000. 3. I maintain two accounts, one for regular income, the other where I keep mukhammas money. Is it true I can spend during the year money from the Mukhammas account and as long as I put it back in the account before my khumus date, there is no Khumus due if I have no money left my regular account on my date of Khumus

Answer: w.s. Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.

Print

Id:
1926
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aoa, molana sahib meray paas kuch raqm aik saal say bank(current account) main rakhi hoe hai, aur hr maheenay main apni salary ka bara hissa us main add kr daita hn. us raqm pr zakat aur khums kis tarah apply hogi. plz reply in detail. aap ka buhat shukariya. iltimas-e-dua.

Answer: b.t.(1)Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222. (2)Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29.

Print

Id:
1928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: PLZ HADEES E RASOOL S.A.W OR QOOL E ALI OR QURAAN KI AYAAT SY KHUMS KI TOZEH DALEEL DAIN

Answer: b.t. aap apne sawal k liye www.sistani.org ya www.rafed.net par ruju karain.

Print

Id:
1981
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Dear Sir, I want to ask that Khumas ka Fattwa Ghar ke Zameen per Laghoo hota hai? Please reply me Urgently.

Answer: Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.

Print

Id:
2016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: B.c per khums key barey mai kia ahkam hai.for example agar kisi ney b.c per month 2000 rakhi hai aur woh b.c 3 saal per khatam hoti hai lekin us shaks ko b.c 8 month mai mil jati hai 72000 tu kia us ko 16000 per khums wajib hai ya 72000 par

Answer: b.t. agar 8 kiste bharne ke bad hi aapki khums ki tarikh aa gai hain or apke pass in 72000 me se 56000 se zayed koi raqam bachi hui hain to 56000 se zaid bachi hui raqam par khums wajib hoga, 56000 par abhi khums wajib nahi hain.(ref:tawzihul masail, Aytullah Sistani (d.b.) masaala no.1761)

Print

Id:
2026
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I have last paid Khums on 28-June-2008 and next due date is 28-June-2009. 1- I have a bank account where my cash saving is hold. 2- I have Shares of some companies. 3- I am also investing some money in DHA Plot since Nov-2008. Please answer me on what amount of the following items i have to khums: 1- Account Balance 2- Shares 3- Investment

Answer: b.t.Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.

Print

Id:
2086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salamun alaikum,agar kupray or gold ki jewellary un paison say khareeday gaye hon jin paison pay khums nikal chukaa hai,laikin woh kupray or gold ki jewellary aik sal say zada arsay say istemaal na kiye hon to kya un pay khums dobara nikalna hoga ya aisay hi use kar saktay hain,plz is main mery rahnumaye farmayye,JAZAK ALLAH.

Answer: w.s. is ka khums nikalna wajib nahi he. (ref: istiftaat aur jawabat part 1 Aytullah Khamenai (d.b.) page 280)

Print

Id:
2273
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Salam Sir, Mara sawal Khums kay bara main hay. Jo saman Bache ko jahaz main dia jaia aor woh zaroorat ka saman saal poora guzarna kay baid bhe astaimal naheen hua ya us main say kuch saman astaimal hua hay. is kay khums ada karna ha ya naheen. wazahat karain

Answer: w.s., agar kasb (kamaee) k bagair koi mal hath aa jaye maslan koi mal kisi ne baksh diya ho to ayse mal par khums wajib nahi agar che ehtiyate musthab yeh he k agar ayse mal se salana akhrajat nikal kar jo kuchh bach jaye to us ka khums ada kare. (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala no.1750)

Print

Id:
2454
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-06-07

Question: salam, kia gold k sets or sikkon per khums vajib he agar usay 1 saal ka arsa ho gaya ho

Answer: Agar gold k set ko kareednay (purchasing) k baad pehlay 1 saal k anadr istimaal hi nahi kia tha tu is per khums wajib hoga.isi terah jab purchasing date wapas aajaay or sikkon main say jitnay sikkay maujood hon on per khums wajib hoga.(ref:Ayat Ullah Khoie.Tauzee hul masail,Maslah #1774).

Print

Id:
2798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Salam, Kya Khums ke liye koi date fix karna wajib hai, agar koi date fix nahi ki aur andaze se ek saal ki bachi hoi rakam aur savings par khums nikal lete hai to kya yeh theek hai? agar koi shaks apna ghar sale karta hai aur us me koi profit hota hai aur woh profit 1 saal ke andar hi use ho gai to kya us par khums ho ga jabke ghar 5 saal ke baad sale kiya tha? Can u provide a little detail abt Rade Mazalim? Iltimas-e-dua,

Answer: Khumus k liay date fix kerna wajib nahi hay.or her os raqam or maal jis per saal guzar gaya ho, khumus daina wajib hay. jitnay maal ya raqam per khumus wajib honay ka yaqeen ho,otni raqam ka khumus daina wajib hoga, sirif andazay say kaam nahi chalay ga.
Ghar k sale kernay k baad jo raqam haasil ho tu agar ghar aisi raqam say khareedah tha jis ka khumus diya jaachuka tha ya miraas ki raqam say khareedah tha, tu sirif profit ka saal k baad baqi bacnay wali raqam ka khumus daina wajib hoga. (Ayat ullah khoe(d.b),minjaa jus saliheen,maslah #1218).

Print

Id:
2800
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: khums kia hai? aur kia syed khums ada karta hai? aur kia syed kisi dosrey syed ko khums ki amount de skta hai?

Answer: 1) Khumus ki tareef:Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain.or jo shaks kamata nah ho,or os ka kharcha koe dosra bardaasht kerta ho tu,agar itifaaq say is ko koe samaan,ya raqam haasil ho tu ,jab osay ye samaan milay ho aik saal guzar jaay,or is main say jo baaqi bacha ho tu is ka khumus day.isi terah ye shaks her raqam ya maal k liay aik alag saal muqarrar ker sakta hay.

2) khumus syed or ghair syed dono per wajib hay.

3) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dainJis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon.
1) 12 imamo ko imam manta ho.
2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga.
3) Sharabi nah ho
4) Namaz or rozah rakhnay wala ho
5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho.
6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain.
7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1735,1804-1819).

Print

Id:
3176
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: A.O.A I HAVE TO PAY KHUMS SEHIM IMAM RS. 51,631/-. WHERE I PAY TO THIS AMOUNT? ISO AND MAJLIS WEHDAT MUSLIMEEN REQUESTED ME FOR DONATION CAN I GIVE THEM ABOVE AMOUNT TO ISO / MAJLIS WEHDAT MUSLIMEEN PAKISTAN OR OTHERWISE ADVISE WHERE I PAY THIS AMOUNT BY INSTALLMENT AS SOON AS POSSIBLE. WAITING FOR REPLY. ALLAH HAFIZ

Answer: 1. Ehtiyaat e wajib ki bina par khums osi mujtahid ko diya jaay ga jis ki aap taqleed ker rahay hoon ya phir os maqam par kharch kia jaay jis ki os ne ijazat di ho.( Ref: mujtahid se pochay gay sawalaat, part#1, sawaal#109)
2. Is qisim ka istemaal hakim e shara(Mujtahid) ki ijzat k baghair jaiz nahi he or ehtiyaat e wajib ye hay k is ki ijazat alam mujtahid se talab karay.(Ref: mujtahid se pochay gay sawalaat, part#3, sawaal#101).

Print

Id:
3579
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: My father has retired and got the pension of amount Rs.8,93,000/- (Pakistani Currency) is the Khums is on whole amount? while we have no own house.

Answer: Agar ye raqam aik saal tak istemaal k baad bach jay to is raqam per khums ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722).

Print

Id:
3910
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: we hav recived money frm govrnmnt then please guid us how we pay khumas and plasw tel how we talk with you please tel the timing.we also spend money for build our house .and how we used this mony in majlis .and want to spend for the marriage of my daughter.we consult from our hia scholar about the use of this money.

Answer: Agar ye money saal bhar k tamaam jaiz akhrajat karney k baad bach jaay to zurari he k zaa’id money ka khums nikalain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722).

Note: Aap mazeed malomaat k liay 9 am say 1 pm k darmiyaan in telephones numbers per raabta ker saktay hain.
Tel: 021-32226948, 021-32237207.
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mery marhoom walid ny mery liy one lakh ky saving cerificate chory thy.jo 7 yeas tk aisy hi rkhy rhy un per 2 year profit mila aor phir un ko main ny cash krwa lia.mery walid ny ye raqm meri shadi ky liy rkhi thi likn shadi meri job ky paiso sy ho gye.walid ny is p qhums nhi dea aor na hi wo khums dea krty thy.kia ab 12 years guzrny p mjhy is per sy qhums niklana ho ga aor kesy niklana ho ga???

Answer: Agar ye one lakh k saving certificate aap k walid nay apni zindagi main hi aap ko ata ker diay thay or aap ki malkiyat thay or aik saal tak istemaal nahi hoay tu os raqam ka khumus(1/5 ) daina wajib hay.or agar ye certificate ki raqam aap ko meraas main mili ho tu os per khums nahi ku ke meraas par khumus nahi hota chahay wo baghair istemaal k jitney saal bhi parhi rahay.or agar waris ko yaqeen ho k jis shaks say osay raqam ya maal wirsay main mila hay os shaks k zimmay khums wajib tha tu agar wo shaks khums daynay ka aqeeda hi nahi rakhta tha ya khums daita hi nahi tha tu in dono sorato main zarori nahi keh waris wo khums ada karay jo merhoom k zimmay tha.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1724-25,1735).

Print

Id:
3973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia khums ko qisto main dy skty hain jb ikhta na dy skty hn.is bat ki kis sy aor kesy ijazzt lija skti hy.plz mery id p reply dain.

Answer: Aap is silsilay main ayaullah sistani(d.b),k vakeel se rabita karain. Aur on k saath is haq ki adaigi ki musaali’hat karain jis k natije me wo cheez aap ki zimadari per aa jaay gi aur phir rafta rafta baghair la perwaahi aur susti k khums ada kartay rahain laikin agar is silsilay me vakeel se musalihat na ki to phir jaiz nahi he k un cheezon ko jis per khums wajib ho chukka ho apne istemaal me la’ain. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 118, pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4625
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: As salaam ale kum,Meri mummy ek sarkari teacher hain unko har mahine salary milti hain usme se wo kuch paise bacha k jama kartin hain to wo janna chahitin hain ki kya un paison pe har saal Zakaat deni chahiye agar haan to kaun sa hissa..?

Answer: 1) Raqam per zakat nahi balkeh khumus daina hota hay.or khumus ki tareef ye hay k :Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain.or jo shaks kamata nah ho,or os ka kharcha koe dosra bardaasht kerta ho tu,agar itifaaq say is ko koe samaan,ya raqam haasil ho tu ,jab osay ye samaan milay ho aik saal guzar jaay,or is main say jo baaqi bacha ho tu is ka khumus day.isi terah ye shaks her raqam ya maal k liay aik alag saal muqarrar ker sakta hay. Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dainJis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imamo ko imam manta ho. 2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Namaz or rozah rakhnay wala ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1735,1804-1819).

Print

Id:
4709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Sir, Hamar han ak Bahot ghareeb banda jo syed naheen hay jis ka bata Hamara madrisa Darul Wafaz chaniot main parh raha hay wahan sy us nah Hifz be karna hay aor Dunive taleem bhe hasil kar raha hay. Mara sawal yah hay kah kay main Apna khums ke raqam main say (Mala Imam) is bacha ke aianat kar sakta hoon ya naheen jabkah us bacha ka baap Ghar main niaz bhe data hay aor matam bhe karwata hay magar namaz abhe tak hath bandh ka parhta ha matlab ahla sunat main sa hay.

Answer: Maal e imam(sehm e imam(a.s)) apne mujtahed ko dia jaay ga. Kisi bhi fard k lie mujtahid ki ijazaat k bageir is hissa me tassaruf(istemaal) karna jaiz nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 110, pg # 61).

Print

Id:
5076
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asslam o Alaikum. Mere Uncle december 2009 mein retire howe aur un ko March 2010 mein pension mili hai. uncle k pass na apna ghar hai aur na land. is key elawa unhon ne bachon ki shaadian bhi karni hein. 1. kya wo khumus ki adaigi pension ki amount milne k saal baad karein ge ya apne leye ghar/land ya bachon ki shaadi wagera ke baad jitni amount bach jane par?

Answer: Agar hiba maqsood he to jab bhi wasool karay ga dosry aamdani k hukum me shamil he. (ref : jaded masail part # 3 , pg # 47)

Print

Id:
5227
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: assalam alekum, maulana saheb main pehlay bhi yeh sawal poochh chuki hoon kui bar phone bhi kia magar mujhay mera jawab nahi mila plz mujhay juld uz juld jawab day dain sawal yeh hay k hum nay apni beti ki fees pay kernay k liye loan lia thaa magar phir us ka us jaga admission nahi hua ub hamaray pass loan ki raqam rukhi hui hay or hamari khums ki date bhi aa gui hay jo hamari apni saving hay us per hum nay khums nikal diya hay kia is loan ki raqam per khums niklay ga plz plz juldee jawab day dain

Answer: kuin k ye aap ki rakam nahi he is lie is per khums wajib nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 103, pg # 50)

Print

Id:
5247
Mujtahid:
Date:

Question: assalaam o alaikum, mera sawal yeh hai ke mere husband pakistan my job krte ...unki salary mai se kuch save naheen hota lekin last year unki ami ki death kay baad unko kuch paise mile thay goverment se..to kia yeh zaroori hai kay ham un paiso main se khums dain? coz woh paiso se ham ghar khareedna chah rhe hain ...agar hamne khums diya to ghar nhi khareed paeengay...coz jo unki salary aati ahi us mai se kuch save nhi ho paata.. please kindly help me with ur kind response.

Answer: Meeras k mutaber qawaid ki ru se jo meeras insane ko mile us per khums nahi hota. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1724)

Print

Id:
5331
Mujtahid:
Sistani Sb Date:

Question: Salam! Eid E Mubahila Mubarik ho Dears Mujhay please Khumes o Zakat ka Form send kardan,us form main man apni details donga phir janab Ali Raza Mehdavi sb mary zemandari zakat o khumes k hawalay say meray fil kar k ap ko bhejay hua form ko par kar mujhay bataengay. aisa form Jamia-Tul-Kousar Islamabad walon ne bhe banaya hua hai ap please mujhay kahin sey arrange kar dan thanks

Answer: w.salam. aap se guzarish hay k aap 9:00 am se 1 pm tak 021-32226948, 32237207 per Maulana ali raza mehdavi se raabta ker k apna masalh poch lain.

Print

Id:
5429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam. Please tell me regarding khums, If a house wife saves money from his montly expenses, khums is payable on it & also if house wife saves money out of her pocket money, khums is paybale or not.

Answer: 1) If your husband did no asked about remaining money from monthly expenses and gave authority to you for it. Then it is obligatory for you to pay khums on it, if it is remain and not used during one year after receiving it in your property.
2)yes, if house wife saves money out of her pocket money, khums is payable, if it is remain and not used during one year after receiving it. (ref: ayatollah sistani(d.b),minhajus saliheen part#1,Pg#1242 &mujtahid say pochay gay sawalaat, part#4,sawaal#99).

Print

Id:
5879
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Sahab Date:

Question: Assalam u Alaikum. Mera sawal aap se khums k bare mein hai k agar kisi ne khums do saal pehle saving pe diya ho , for example us ne 210,000 pe khums diya or is sall khums nikalna chahta hai per is saal us k pas 150,000 ki saving hai...kia khums apply hoga ya nh??

Answer: 1)Agar koi aisa maal jis ka khums nikal dia gya ho ,aik saal tak aur baqi rah jay to phir os per dubara khums nahi lagay ga. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 120, pg # 55).
2)pehlay saal 2,10,000/= per khums dainay k baad baqi khums shuda raqam 1,68,000/= bachi thi, tu agar ye khums shuda raqam saal k akhrajaat k liay istemaal ki jay or aglay saal aap k paas 1,50,000/= ki saving hoe hay, laikin Q keh pichlay saal aap k paas 1,68,000/= khums shuda raqam thi is liay is 1,50,000/= per is saal khums wajib nahi hoga.( ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 95).

Print

Id:
6428
Mujtahid:
Aga Sistani Date:

Question: ma na gold saving purpose ka lye lia tha, kia us par 1 sal guzar jana ka bad "Khums" laga ga.

Answer: Agar ye khums k date anay se pehlay tak istemaal nahi hoa to is per khums nikalna wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722+1735) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6432
Mujtahid:
AYATTULLA SISTANI Date:

Question: ASAALAM ALYAIKUM ,JANAB MAI GOVERMENT SERVICE MAIN HOON,MAINAY EK POLICY 4000/PER YEAR 15 SAAL KI LEE 15 SAAL KAY BAAD MUJHAI 149000/RS VAPAS MELAY ES PER KHUMS KITNAY PER DENA HOGA,

Answer: Agar wo 4000 rupay jo aap har saal policy main jama keratay thay aisi raqam se thay jin ka khums diya ja chukka tha ya wo aisi raqam se thay k jis per khums nahi hota maslan meraas ki raqam se tu in per tu khums nahi daina hoga agar aisa nahi tha tu khums ki date per her saal 4000 ki raqam per 800 rupay dainay hongay.or rahi baat 1,49,000 rupay ki raqam jo aap ko 15 saal baad mili tu jab ye raqam aap k account main aay thi tu aap k khums ki date anay tak jitni raqam baqi ho tu osko ka khums(fith part) daina hoga.(A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il,pg#159, masalah # 261+Mujtahid se pochay gay sawalaat, part# ,pg#53 ,sawaal# 115) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asalamualikum wa rehmatullah sawal ye hey ki mary doo bai han beyroozghar un ky aolad ky kharchy ky alawa kich muhtajoo ky madad bi kartah hon is lye ijazat magtah hoon ky mal imam me se kich raqam me kharach kar sukta hon is ky ijazat chahiy wasalam

Answer: Khums k 2 hissay hotay hain, jis me se aik hissa kisi syed faqeer ya yateem syed ko diya jata hay ya aisay syed ko jo safar main na-chaar ho gaya ho,usko diya jasakta hay. or dosra hissa imam(A.S) ka hay jo zarori hay k maujoda zamanay main jaamush shra,it mujtahid ko diya jay ya aisay kaamo main jis ki wo mujtahid ijazat day kharch kia jay or ehtiyaat e lazim ye hay k wo merjay aalam ho or umumi maslihato se agaah ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1804) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6600
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asalamualikum warehmatullah. mera siwal ye hy ki marey pinshan ki jo raqam hy us per khomas hy ki nahi jab ki ye raqam milne ka koi garenti be nahin aghar mil gaya to us sorat man khomas hy ya nahin, wasalam.

Answer: Is pension per khums isi sorat main wajib hoga jab wosooli ki tareekh se aik saal guzar jay or os ne apne saal k akhrajaat main se osay istemaaal nah kia ho, is liay k insaan islami mulko ki hukoomat se milne wali tankha ya raqam ka malik osi waqt banta hay jab tankha ya raqam os k haath main aati hay. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, part#2 ,pg#53 ,sawaal#115+ A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 256 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6747
Mujtahid:
Ayatul-e-Sistani Date:

Question: Assalam-oAliokum AP say meraa sawal yeah hay kay Karachi Pakistan mahn Agah Sistani kay mustanad Wakil Kun Kun say hain.. Bhut Nawazesh ap kee Parwardigar app kay darjaat buland farmayee

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sistani Date:

Question: A syed family of four.Husband & wife with 2 children needs a home to live & monthly expenses along with educational fees for their children.The husband is sick and does odd jobs now and then.Can I built a home and support the family from my Khums.

Answer: Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain Jis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imamo ko imam manta ho. 2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Namaz or rozah rakhnay wala ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1804-1819). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7824
Mujtahid:
Syed Ali Khamanei Date:

Question: Salam! Agha sb mujhe khums se mutaliq sawal krna tha k 1000 or 50000 pr kitna kums nikalna hoga?

Answer: 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5)
2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804) Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print