Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Khums Ke Ahkam (158 Questions)


Showing 150- 158 questions from 158 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122618
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-17

Question: Kisi shaks pay karza hai ab kiya wo abhi bhi apni kamai me say khums dena wajib rakhta hai?

Answer: Maqrooz hone ki wajah se khums muaaf nahin hai aur woh qarz jo zarooriyat e zindagi ke liye liya ho, us ko usi saal ki dar aamad se kam kiya jaa sakta hai aur phir jo bachay us ka khums day, lekin guzashta saloon ke qarz ko is saal ki dar aamad se kam nahin kiya jaa sakta.
Altbatta ye maslah tafseel talab hai ke jis ke liye aap darj numbers pe contact kar sakte hain. ya office aa kar maloom kar sakte hain.
Timing: 2:00 PM - 6:00 PM
Tel: (0092-21) 32226948
Tel: (0092-21) 32237207

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #704,705. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01797/#25628 ).
[Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122776
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-15

Question: Salamun aleykum Kya khums ka paisa nikaal kar jald hi haqdar tak pahunch na chahiye ya agar ham jama karle or kuch arse baad ada kre to koi harj h

Answer: Apne maal ka khums nikalne ke baad agar fauran ada kar sakte hon to bila wajah aur bager majboori ke apne pass rakhna jaiz nahin hai, balke haqdar tak puhnchana wajib hai, Han! agar koi majboori ho to is silsilay me apne mujtahid ya us ke wakeel ki taraf ruju kar sakte hain, phir mujtahid ya us ka wakeel aap ke liye jo tajweez paish kare, usi ke mutabiq amal karna hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #719).
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122777
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-15

Question: Salamun aleykum Kya khums ka paisa nikaal kar jald hi haqdar tak pahunch na chahiye ya agar ham jama karle or kuch arse baad ada kre to koi harj h

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: Asslamalaikum. Hazart mein rent k ghr mein rehta hai meray paas apna gher nahi hai.. mein ne plot lia hai or meri neyet hai k us plot ko bech ker apna gher bna lon ga. kia aisay plot per zakat hai ya nahi? Rehnamai fermaiye Shukria

Answer: (Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya ke mutabiq, zameen aur plot par zakat nahin hoti. Albatta khums wajib hota hai aur khums se muraad maal ka 1/5 hissa dena hota hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1722,1723).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-04

Question: Ye sawal khums say related hai Meray bank account mai mujooda raqam meray walid ki taraf say gift ki gai thi aur us amount par kabhi bhi khums na nikla tha. Even kay ab wo raqam meri malkiyat hai tu mai nay bhi kabhi khums nahi nikala. Aur ab usi account mai salary bhi arahi hai. Liken salary say sab roz marra kay ikhrajaat pooray hotay hain aur maheenay kay end mai salary mai say thodi hi raqam bachti hai aur wo raqam jo gift ki gai thi wo ziada istemal nahi hoti. Mera sawal hai kay kia khums salary par bhi niklay ga ya sirf gift ki hoi raqam par hi niklay ga?

Answer: Saal ke aakhir me (yani khums ki tareekh pe) salary aur gift me se jitne bach gaye hain un pe khums wajib hoga. Isi tarah is ke alawa agar koi cheezein bach gayei hon to un pe bhi khums aaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1722,1723).
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-04

Question: Salam kia hajj pa janay se pehlay ap ko khums ada karna zarori h

Answer: 1: Agar kisi shakhs par khums ya zakat wajib ho aur is ke paas itni miqdaar mein maal hai ke agar khums ya zakat ada kar day to hajj ke akhrajaat ke liye kaafi nah rahay ga to is par khums ya zakat ada karna wajib hoga. aur hajj wajib nahin hoga. is se farq nahin parta ke khums aur zakat isi maal par wajib ho ya is se pehlay par wajib tha aur maal ab mila ho.

2: Agar kisi par hajj wajib ho aur is khums aur zakat ya aur koi wajib haq ho to zaroori hai ke usay ada kare choonkay safar-e-hajj ki wajah se unki adaigi mein takheer nahin kar sakta. Agar tawaf ya namaz-e-tawaf mein sharamgah chhupanay wala kapra ya qurbani ki qeemat par khums wajib ho to is ka hukum wohi hai jo gasbi maal ka hukum hai aur woh yeh hai ke agar tawaf ya namaz-e-tawaf mein sharamgah chhupanay wala kapra gasbi to ahwat yeh ke is par iktefa nah kare, Agar qurbani ki raqam gasbi ho to hajj nahin hoga. lekin agar qurbani udhaar khareeday aur phir uski raqam gasbi maal se ada kare to is soorat mein hajj sahi hoga.
(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #30,35,36).
[Updated on 05-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123843
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Agar raqam account Mai hai or kharch na hui ho tou uska Kiya hukum hai or abhi sirf 3 months hi huay Hain account Mai add huay

Answer: ( agar aap un louqo me hay ke jin ke khums ki ko date moaiyan hay to) Khums ki date pr uss raqam ka bhi khums nikalna zarori hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Mafhom e Masla No. 1721)
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: If father have no source of income and have some bank loan also can he can take the khums from his own son,

Answer: khums ke do (2) hissy hote hain:
1. Sehm-e-imam, jo ke zaroori hai ke Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ko diya jaaye, Yaa Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ki ijaazat se aise kamon me kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat day Aur ehtiyat e laazim ye hai ke wo marja, aalam ho aur umoomi maslihaton se aaghah ho.
2. Sehm-e-sadaat, jo ke zaroori hai ke kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jaye jo safar mein laa chaar ho gaya ho.

(Note: Aap ke walid agar aap ke wajib-un-nafaqa afrad me se hain [yani aap us ke khane, peene, rehne, aur zindgi ke deegar zarooriyat ka bandubast karte hain] to ehtiyat-e-wajib ki bina par aap use sehme sadaat nahin de sakte).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804 + Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), part #2, maslah #837).
[Updated on 24-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print