Showing 0- 22 questions from 22 questions on this page.
Question: gyar syed insan jo kay shia hai hum us kay illaj kay liay haq-e-sadat ki raqam say madad kar saktay hain?
Answer: ye JAIZ NAHI hay,is say zimmedaari poori nahi hogee. (Ref.Istiftaa)
Question: Kindlly quote quranic refrence for "Khums".with related surah and parah.
Answer: Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10).
Question: Kindly quote quranic reference of Khums? Can we rely on The Shawal moon which was declared by government?
Answer:
Ayat of Khums : Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10)...
Agar chaand honay ka Yaqeen ya Itmeenaan hasil ho jaey to manna zaroori hay.
Question: salam!baalig hone kay baad nabaligiyat kay zamane mein kisi cheez kay aik saal say zaid gairistemaal shuda rehne par mukallif ki kiya zimmedaari hai?
Answer:
Salam un Alaikum,
Us par wajib hey wo us cheez ka khums dey.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 1802
Question: 1.is it allowed for a women on do a intercorse in istehada? 2.if a child becomes balightoday so things which were his milkiayat khums will be wajib the day he becomes baligh or after bologiyat one yr more should passs that the thing is un use then it will be wajib??
Answer:
Salam-un-alaikum
1) It is allowed for women to do intercorse in istehada, but if she is in istehad-e-kasira or mutawassita then it is ehtiyat e mustahib to do gusul before intercorse.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 435
2) Na-bailgiyyat key zamanay mein us key paas jo maal tha us par baligh honay key pehlay din ya baad mein koi khums wajib nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 1802
Question: I am a serving person and get salary on monthly basis. I hardly manage the monthly expenditure with that salary for whole month. The due date for KHUMS is 3rd Ramzan. The salary which I got this month will be consumed only in current month. If I pay KHUMS from this salary then I cannot manage the expenditure for remaining month. So the question is that, IS the KHUMS is due for me or not? Thanks
Answer:
Salam un alaikum,
Khums is due on you on 3rd Ramzan.
Ref: Istiftaat Aqai Sistani.
For the probelem of monthly expenditure, contact Maulana Ali Raza Mehdavi at Quran-o-Itrat Academy.
Question: asalumalykum my question is abt KHUMS.do the khums implement on pocketmoney.i am a student of age 17 i have some pocket money FROM ABT 02 YEARS and i never paid the KHUMS. SEND ME THE ANSWER IN DETAIL. WASALLAM BAQAR.
Answer:
Salam un Aliakum
You have to pay the khums on your "Pocket Money" on your khums date.
Refrence: Tauzeeh ul Masail A.Sistani Prob No 1762
Question: Molana Sahab kia aup hame yeh bata sakte ho keh Khums ka zikar Quran Sharif ke kis surah me bayan hua hai aur ayat Number kia hai, dusra sawal yeh hai keh ahle -Sunnat mai Zakat per bahot zor diya jata hai aur Khums ka Zikar hi nahi karte kia us fiqah me khums ka taswoor nahi tafsily jawab dijiye
Answer:
Salam un alaikum,
Khums ka zikar Sora e Anfaal kee aayat no.41 mein aaya hai jo 10th paray kee pehli aayat hai.
Ahl e sunnat kee fiqh mein khums ka tasavvur hai laikin wo aam tor par faqat zakat hee ka tazkira kartay hein.
Sorry for the late responce.
Question: Reminder dated 17-03-04 Assalomoaliquam, 1 Moulana saib merasawal ye hi ke agar kisi pe Khums bari mikdar meai wajib ho aur woo Mujathed ki wakill se ijzat lay yien quistoo main ke her mahn farz Karin 5000/ ada kere ga. Ab ius ki karobar main musalsal barkat ho rehi hai to us nain wakill se rujoo kia to unhoo nain kha ki theek hai app quistten jari rakheen magar abb app ki monthly kisteen 5000/ se bar kar 10000/ ho jai gee . Too us waqat us nain hami bhar lee magar aub woo chaa ra hi ki quistten whoi 5000/ hi rahin ya kisi month 5000/ aur kisi month 10000/ jab ki us mein her month 10000/ deine ki taqat hi. 2 Agar koi lain dain ki doran jalli curreny note 500 yan 1000 ki de da to is bare main kia hukamm hi jab ki abb denin walla dastaras se bhar hai ? kia main bi woo note agaee bara doon yahn yee nuksan bardasht kar loo akhar kab tak kaiunkee hamer yehain too ahi din yee hota rate hai. please reply me at your earliest.
Answer:
Salam un alaikum,
1) Aap mujtahid key vakil sey dobara musalihat kijye.
2) Aap yeh note aagay nahi dey saktay, albatta bank ko yeh note dia ja sakta hai.
Question: Asslam O Alaikim. aik kahtoon appnai shor k intaqal k bad appnai bachoo ki taleem o terbiyet kerti hain.or appnai shor k gher waloon k sath hi rehti hain.un ki amadni ka koi zerya nahi tu kiya un ko khumooss ka adah hissa hum kud say ada ker saktay hain.
Answer: Khums kay 2 hissay hotay hain,aik hissa kisi syed faqeer ya yateem syed ko diya jata hay ya aisay syed ko jo safar main na-chaar ho gaya ho,usko diya jasakta hay.jabkay khums ka dosra hissa sehm-e-Imam(as) hay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush Sharait Mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoon par kharch kiya jaey jis ki mujtahid nay ijazat dee ho,aur Aihtiyaat-e-Lazim ye hay kay wo Marja-e-Alam ho aur umoomi maslihatoon say aagaah ho.jis shakhs kay paas apnay aur apnay aihl-o-ayaal kay liye saal bhar kay akhraajaat na hoon aur uska koi roozgaar bhi na ho jis kay zariye wo apnay aihl-o-ayaal ka saal bhar ka kharcha poora kar sakay wo faqeer hay..Bayan karda masalay ki roshni main aap jis khatoon ko apna khums dena chahtay hain agar wo syeda hain aur faqeer hain to khums ka aadha hissa yani sehm-e-sadat day saktay hain,agar wo faqeer hain laikin ghair syed hain to phir mujtahid ki ijazat kay baghair khums nahi day saktay..Sehm-e-Sadat mujtahid ki ijazat kay baghair khud mustahiq tak pohuncha saktay hain ,agarchay aihtiyaat-e-mustahib hay kay ye bhi mujtahid ya is kay wakeel ko diya jaey.Ref:Istiftaat I-35,Tauzeehul Masail Pg.No.272,294.Masala No.1804,1953.
Question: maray dada nay aik makan apnay naam say kharida aur us ka khums nahi diya. wo makan hum ko rehnay kay liye dey diya(tofay kay tor pay) magar meri dadi kay naam hay. kia is makan may namaz parhna sahi hay? agar sahi nahi to hum kahan namaz parhain? meri mammi kahan namaz parhain?
Answer: Jis marhoom nay zakat aur is jaisay dosray maali wajibaat (masalan khums) ada na kiye hoon,uski jaaidad main koi aisa tasarruf karna jo wajibaat ki adaigee main maanai na ho masalan us kay ghar main namaz parhna wurasaa ki ijazat say jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.145,Masala No.863...Agar koi shakhs kisi shia isna asheri musalmaan ko koi aisi cheez batoor atiya day jis ka khums na diya gaya ho to us kay khums ki adaigee ki zimmedari atiya denay walay par hay aur jis shakhs ko atiya diya gaya ho us kay zimme kuch nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.263,Masala No.1733.
Question: salam o alaikum, mai matric kar ke job par laga ,us ke bad mai ne har month 100Rs khums kei niyat se us mai nikalta thaa, us waqt maire pass koi extra amount nahi thi jo alag se rakhi hon laikn ab kuch saving hui hai to ab mai kis tara khums nikalo or kia jo mai phelay kar raha tha woh tariqa sahi tha yah nahi. or us doran meri kooi ro zimadari hai to mujhe batye. plz is ka jawab jaldi dijye allah hafiz
Answer: Jab Insaan kisi Kaam Dhanday say Paisa Kamaey Agar wo Kamai Khud Us kay aur Us kay Aih o Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say Ziada ho to Zaroori hay kay ZAID kamai ka Khums yani Panchwaan Hissa Mujtahid ya us kay Wakeel ko daey,Lihaza jo pehlay aap har maheenay bawajood bachat na honay kay Rs.100 diya kartay thay wo khums nahi kehlaey ga. Ref:Tauzeehul Masail(A.Sistani)Pg.262 Masala No.1722.
Question: salam... mere pass khums kei 15-20 hazar rupess maujud hai.aur pakistan mei jo earthquake aaya hai ussei hamare bohot sare syed logo ka nuksan hua hai..karachi mei shia masjids mei paise jama kiye jaa rahe hai for helping those syeds..toh kya mei yeh khums kei paise waha dei sakti hu??please reply as soon as possible.
Answer:
zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar
ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.
Question: WILL U INFORM ME ABOUT THE PROBLEMS OF KHUMS IN BUISENESS.I HAVE AN ONLINE ACCOUNT IN STOCK EXCHANGE.MY INVESTMENT IS ONE HUNDRED THOUSAND.HAVE I PAY KHUMS OR ANY CHARGES ON PROFIT AND KHUMS ON MY INVESTMENT.PLZ INFORM ME IMMIDIATELY.
Answer: Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.
Question: assalamum alikym kya khums ke raqam zalzala zadgaan ki imdaad main de ja saktey hai jab ke is baat ka moqamal ilm ho key ye momineen ke hatoon se he motaseereen taq pohchi jaye gi.
Answer:
zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko
Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.
Question: main aik rishtedarsay qarz lay ker car kharidna chahta hun kya muhay khums dena hoga?
Answer: Qarz ki raqam main qarz lenay walay par mutaqan khums nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae.Pg.No.301.Masala No.890.
Question: I got Prize of Rs. 15000 from prize Bond. Khums is due or not for me on the prize. Khums for this year is not due because i have already paid khums for this year. Question is that "Is khums due from prize of Prize Bond which I got? Thanks
Answer: Is par khums nahi hay laikin aap ko inaami raqam ka nisf(Half) hissa kisi momin deendaar faqeer ko dena wajib hoga.Ref:S-39
Question: Assalam alaikum. kiya main sahm e sadat ki raqam khud kisi mustahaq sayed ko de saktahoon.wazah ho ki main Aytullah Sistani ke kahne ke Mutabiq marhoom Khomaini ki taqleed par baqi hun. wassalam
Answer: Aqwa ki bina par sehm-e-sadat ka maamla Haakim-e-shara kay ikhtiyaar main hay pas zaroori hay ya is tak pohunchaey ya is ki ijazat say kharch karay.Ref:Tehreer-ul-Waseela Imam Khumaini Pg.No.107,Masala No.7.
Question: Assalam alaikum. mera sawal Aqae Sistani se ye hai ki -keya main sahme saadat ki raqam khud kisi mustahaq sayyed ko de sakta hun? vazeh ho ki main Aqae sistani ke kahne ke mutabiq Aqaae khumaini ki taqleed par baaqi hun. wassalam. jawab jald dene ki zahmat karke shukriye ka mauqa den.
Answer: Aqwa ki bina par Sehm-e-Sadaat ka maamla Hakim-e-Shara kay Ikhtiyaar main hay,pas zaroori hay kay ya us tak pohunchaey ya us ki ijazat say aur us kay hukum say kharch karay.Ref:Tehreerul Wasila A.Khumaini Part-2 Pg.107.
Question: Assalam Alaikum, Aap ka jawab mila shukriya .Janab Aqai Khumaini ka fatwa mujhe maaloom hai.magar ab main kisse aur kahan se ijazat loon? jabki dusre mjtahdin sahme saadat khud se mustahaq sayed ko dene ki ijazat e aam dete hain .Please aap Rahnumai farmaen. wassalam.Ques. ID-1314 ke hawale se
Answer: Choonkay aap A.Khumanini kay masail par amal kar rahay hain lihaza aap kay liye is baat ki ijazat nahi hay kay Sehm-e-Sadaat apni marzi say kharch karain lihaza zaroori hay kay aap marja kay wakeel tak raqam pohunchain ya un say ijazat laikar kharch karain.Ref:Tehreerul Wasila A.Khumaini Masala No.7,
Question: 1) Agar Mujh par Pehlay ka khum wajib hai laikin main ab wo khum dainay k qabil nahin hoon to iss soorat main kia main apni marzi say aur baghair wakil ki ijazat k installment main khums ada kar sakta hoon. 2) Agar main nay kisi ko gift diya hai to uss par bhi khums wajib ho ga. Yeh Gift main nay apni haisiat say barh kar diya hai.
Answer:
wakeel ki ijazat kay bagair is tarhan karna jaiz nahi hai. aur us tuhfay (gift) par bhi khums ho ga jo aap ki haisiyat se ziyada hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 1761 & Mujtahid say poochay gae sawalat, question no. 99.
Question: if any person gives khums each year but not on a fixed date & also not as much as is due on him. Now we heard from a moulana that if anyone never give khums in his life then he has to make a list of all over things that he has , whether used or unused & after that he will have to give khums on the present cost of all those things. Is it true? if yes then how isit possible to count all the used /unused things because nowadays a family person have a lots of things that are used /unused. please tell me a simple & easy way.
Answer:
ji haan, is ki maujooda qimat ka khums daina zaroori hai. REF: www.sistani.org, khums, Q 45.
agar kisi ko yaqeen ho ke us par khums wajib tha lekin shak ho ke us ne khums ada kar diya hai ya nahi, to zaroori hai ke khums ki adaigi karay. REF: mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 1, ques no. 87.
aur agar yeh maloom na ho ke us ne saal ke dauraan walay munafay se cheezain khareedi hain aur ussi saal me unhain istimaal bhi kardiya hai ya nahi, to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke hakim-e-shara ya un ke wakeel se ehtimaali nisbat par mufahamat kar lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1767.
lehaza agar aap kay liyay hisab-o-kitab karna mushkil ho raha ho to is ka aasaan hal yeh hai ke apnay mujtahid ya sher (city) mein maujood unkay wakeel se raabta kar ke is masla ko hal kijiyay.