Showing 50- 100 questions from 126 questions on this page.
Question: umrah kay bad app khud baal kat sakty hain ya koe mehram app ky bal kat sakta ha ???
Answer: Khud baal kaat sakte hain. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Manasik e hajj pg#309). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Umarrh k doran miaan sy sohbat ki ja sakti hy??
Answer:
Halat ahram (chahae ahram umrah ka ho ya haj ka) me Humbistri karna haram hai.(Ref : Manasik haj aqa sistani farsi masla no 209)
[Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia umrah mufrada main lether ki west belt document safe key liye ihram key uper pehni ja sakti hai. 2. kia joton ko kaprey key bag main dal kar kaba main ihram key saath carry kia jasakta hai. 3. makkah aur madina main namazin qasar parhi jayain gi ya puri parni hai.
Answer:
Was salam
1-Jee pehenne ki ijaazat hai q k wo libaas mai shumaar nahi hota.
2-jaiz hay.(Ref:manasik e hajj ayatullah khumeni pg).
3-jis Musafir ko safar main qasar namaz perhne ka hukum ho wo makkah e mukarrima or madina munawwara main mukammal namaz bhi perh sakta hay.(REf: tauzihul masael,edition#39, maslah#1342).
[Updated on 15-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum meny pocha tha k umrah karne wale hazraat ko kya hum Hajji sab keh kar bola sakte hain ?
Answer:
Was Salam. Haaji usay kehte hain jis ne hajj kia ho.
[Updated on 04-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAM O ALIKUM KIA MAIN MAA BAAP SE PEHLE BIWI BACHHU KU UMRAH KARWA SAKTA HU?MAIN SAUDI MAIN KAAM KRTA HU,PLS REPLY\"
Answer: Jee, jaiz hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/)
Question: Assalam o alikum sir mera sawal ye h k mai thoray din tk umrah py ja rha hu to pouchna ye hai k ahram kis jga bandha jaye?kya jeddah airport pr band skty hain?..
Answer: Jaddah air port se ehram os sorat main bandha ja sakta hay jab aap ne aapne miqatse pehle nazar ki ho k aap jaddah aikport se ehram bandhain gay. Nazar in alfaz k sath karni zaroori hay keh main Allah ki khatir nazar karta hoon keh main apne umra e mufrada ka ehram jadah air port se pehnoon ga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e haj, maslah #164,173). Update on dated 01-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai is saal apne shohar aur saas sasur k sath haj pr ja rhi hu.meri do betiya sadhe 5 saal aur 2 sal ki hain.wo apne nana nani k pas rahyngi.to mera haj qubool hoga?
Answer:
ap ka haj sahi hay (manasik e haj safa # 10 masla # 3)
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hajj kai baad tawafe Vida nahi kiya aur jeddah chal Gaye aur 10 din Baad wapa akar kar sakkte hain ya nahi kya dum lazim hoga
Answer:
Tawaaf e wida mustahab hay wajib nahi. aap jab dobara makkah aa kar wapas jaane lagain tu phir aakhri din tawaafe wida karna mustahab hoga.(Ref: Ayatullah sistani, Manasik e haj, pg#338). Update on dated 24-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: nani yha dadi ke sath umarah yha hajj ko ja skte h
Answer:
Hajj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 30-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam o alaikum maine yeh puchna ha K kya hm periods K Dino main quran Pak ki ayat gloves pagan kr likh sakte hain main ma islamiat ke student ho kabhe kabhe quran ke Kuch ayatain likne par jate hain to kya main inhe periods ke halat main gloves pahan kr likh sakte hu
Answer:
Jee, ye amal jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #448). Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-alaikum Mai ny umrah k doran bathroom mai ahram khol diya tha (mujhy pta nhi tha k bathroom mai b ap ahram khol nhi skte) to kya muje dum lag gya hai? 2= agar dum lag gya hai to mujhe makkah mai e ada karna pary ga ya kahin aur kr skta hn.
Answer:
Ehram khoolna ya os ko tabdeel karna jaiz hay or ehram kholne per koe kaffara nahi lagta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e Hajj, maslah #198). Update on dated 24-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 24-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalmalikum mery umrah pa jany ka hoa hy achanak meri dost hy uski family k sath jis mai 12 ladies or 3 gents hain mery sath mehram nhe ja sakta to kia mai un k sath ja sakti hu
Answer:
Hajj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik beti 7 saal ki hai aik 4 saal ki kya main un ko chor k hajj pay apnay shohar k saath hajj karnay jasakti jab k chauti beti shayad mere bagair na rahay
Answer:
Agar aap ko apne taur par wusooq ho keh aap aainda saal haj baja laa sake geen tu osay muakhar kar sakti hain basorat e digar nahi. Albattah agar emtihan ko muakhar karna shaded or naqabil e tahammul mushkilaat ka baes ho tu is sorat main osi saal haj baja lana zarori nahi.(Ref: Ayatullah sistani, Jadeed fiqhi masael, pg#162).
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya main apni phuperi Bahen k Saath Uska mehram bankar Umrah k liye jaa sakta hoon ya nahi??
Answer:
Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60)
[Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachay ko dhood pilana jaeez he ahram ki halat me
Answer:
Jaiz hai. (https://www.sistani.org/urdu/book/62/2953/)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umry k bd khod bal katna jaiz hy?
Answer:
Jee haan, jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2976/).
[Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم Mera sawal te h ki mere ammi ko nana ne hissa ly lo kaha tha us waqt ammi ne nana ko koi jawab ni dya tha ab nana ka death hua h aur mamo ne wo hissa dya h ab us hissy py ammi par hajj wajib hoga kya ??? Aur agr ammi wo hissa mamo ko maaf kre tb b hajj wajib to ni hoga na ..
Answer:
Salam. agar aap ki walida wo meras wusool karain gi or meras ittni miqdar main ho keh hajj k liay kaafi ho tu phir hajj wajib ho jaey ga.(Ref: manasik e hajj, maslah#22)
[Updated on 28-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pahle umrah me baal kaatna kaisa hi....ky pahle umrah me baal kaat sakte hi ya takla krna zaruri hi
Answer:
taqseer se muraad ye hay ke haji ( ya umrah karne wala ) apne sar ya dharhe ya moucho ke khch baal kaate. umrah mufrada me Mard ko kuch sar ya dharhe ya moucho ke baal katwane aur sar mundwane ka ikhtiyar hai or sar munwaana afzal hay laikin umarah tamattu ke ahraam me srif taqseer he karna zarore hay or sar munwaana haraam hay.
or jo shakhs pehli martba hajj par gaya ho us ke liye Ehtiyat e wajib ye hai ke sar ko mundwaye.or aurato ke lie sar munwaana jaiz nahe un ke lie taqseer he moaiyan hay.(ref:manasik hajj,aqa sistani,urdu,pg:205,83,205,236,235)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera sawal te h ki mere ammi ko nana ne hissa ly lo kaha tha us waqt ammi ne nana ko koi jawab ni dya tha ab nana ka death hua h aur mamo ne wo hissa dya h ab us hissy py ammi par hajj wajib hoga kya ??? Aur agr ammi wo hissa mamo ko maaf kre tb b hajj wajib to ni hoga na
Answer:
wa alaikum salam. Agar meras ki raqam wosool kar li ho or hajj k ayam tak raqam maujood ho tu hajj wajib ho jaey ga. or agar hajj k ayaam say qabl os raqam ko mamoo ko tohfay main dya diaa jaey jaey tu phir hajj wajib nahi hoga. (Ref: manasik e hajj, maslah#24)
[Updated on 19-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya maa beti umara krne ja sakti h jabki koi mehram unke sath nahi ho
Answer:
Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 19-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky hum ldkiya shadi sa pahela apna parents ko hajj kr wa shakti hai
Answer:
Jee han kisi ko hajj karwane ke liye paise diye ja sakte hain. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #53).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humare pass agar paisa h to ky hum un logo ko hajj krwa shekta h jin k pass hajj krna k paisa na ho
Answer:
Jee han kisi ko hajj karwane ke liye paise diye ja sakte hain. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #53).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky shadi sapahela hum hajj kr shekta h apna parents k sath
Answer:
Jee han, Kar sakte hain. Fiqh e jafferia ke mutabiq hajj mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah krny k liye ourat ko sirf white colour ka hi libas pehnna ha. K kisi b colour ka pehn skti ha? Like black Abaya.
Answer:
Ehram main kale kaprhe pehenna makroh hay balkeh ahwat ye hay keh isay tark kar dain choonkeh ihraam main safaid kaprha afzal hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e Hajj, Masalah #195).
[Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein saudia mein ho on r qurbani pakistan mein hy. Kia baal katwa sakta hoon
Answer:
Jee han, Baal kaatey jaa sakte hai koi maslah nahin hai. halat e ehram main baal ya nakhun kaatna haram hain.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0271/).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam me sted family say hon shia hon mera sawal yeh hai k kia larki bageir mehram k hajj pe ja dakti hai fiqa e Jaffrey me
Answer:
fiqhe jafferia ke mutabiq jab aurat ( hajj) ke lie mustate ( yani hajj ki istetaat hasil hojaay ) or is ki jaan ko khatra na ho tu mehram (baap,bhai,beta,shohar ,chacha,mamo wagira ) ka sath hona shart nahi hai ( or ) agar jaan ka khatra ho tu zarori hay ke aurat ( ke sath) koi aisa shaks sath ho jis ki waja se aurat ki jaan mehfooz hojaay agrchhe is shaks ko ujrat dene perhe albatta aurat us shakhs ko ujrat dene per qudrat rakhti ho wrna is aurat per hajj wajib na hoga.
(Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj urdu, Masla#60,Pg#51)
[Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sheatan ko kankar mar kar wapus any ko kiya khety hy say yaa ramy
Answer:
Rami e jamarat (رَمْیِ جَمَرات) kaha jata hai. or jamra(جَمْرَہ), jamarat(جَمَرات), or jimaar (جِمار) ye arabi zaban ke alfaz hain jin ka mana ' Aag ka gola ya kankari ke hain ' or deeni istelah men jamarat(جَمَرات) ya jamarat e salasa(جَمَرات ثلاثہ) sar zameen e mina(مِنا) men teen makhsoos jaghon ka naam hai jahan pathar ke sutoon bane hue hain. ise jamra(جَمْرَہ) is wajah kaha jata hai q ke yahan hajiyon ki taraf se shaitaan ke mujasame ki taraf phenkne wali kankriyan jama hoti hain ya is wajah se ke log is ke ird gird jama hote hain, or rami(رَمْی) se murad phenkna ya marna hai.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B1%D9%85%DB%8C_%D8%AC%D9%85%D8%B1%D8%A7%D8%AA )
[Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: حج کے لئے احرام کس دن بنایا جاتا ہے ہے
Answer:
hajj k ehram ka waqt youm e tarwiya(8 zilhajjah) zawat ka waqt hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2969/)
[Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, Yeh joh watsapp per msgs aarahey hain k Zillhaj k 10 din baal na katwaien, kya iski koi sharai haisiat hai? Kya baal katwa saktey hain? Mein Ayatullah Sistani sahab ki taqlid mein hun! Jawab ka muntazir, shukriya!
Answer:
Jee han is ki sharei hesiyat hai lekin ye maslah haaji (jo haj karne gaya hai) ke liye hai, ghair e haaji ke liye nahin hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), before maslah #403).
[Updated on 28-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Hajj k mahinay mn bivi sy hambistari jaiz h
Answer:
Jo shakhs Halat ehram (chahe ehram umrah ka ho ya hajj ka) me ho us ke liye tawaf e nisa karne se pehle apni biwi se Humbistri karna haram hai. lekin jo shakhs ehram ki halat nahin hai (yani hajj ya umrah karne nahin gaya balke wo kisi aur mulk me hai) us ke liye zil hajj ke mahine men biwi se humbistri karna jaiz hai.
(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #219).
[Updated on 30-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hajj ka ehram bandha ho pr ksi waja se hajj na ada krsken or raste se hi lotna pare to kia kaffara ada krna hoga or agar krna hoga to kia kaffara ada krna chaiye
Answer:
1: محصور وہ شخص ہے کہ جو احرام باندھنے کے بعد اعمال حج یا عمرہ کی ادائیگی کے لیے مرض یا کسی اور وجہ سے مقدس مقامات تک نہ پہنچ سکے۔
2: اگر کوئی عورت حج میں محصور(جس کی وضاحت اوپر بیان کی گئی ہے) ہو جائے اور احرام کھولنا چاہے تو اس کا فریضہ یہ ہے کہ قربانی یا اس کی قیمت اپنے ساتھیوں کے ساتھ بھیجے اور ان سے وعدہ لے کہ قربانی کو منیٰ میں عید کے دن کریں گے تو یہ عورت جہاں کہیں پر ہے تقصیر(یعنی سر کے کچھ بال کاٹے) کرے اور احرام کھول دے۔ لیکن اگر ساتھی نہ ہونے کی وجہ سے قربانی یا اس کی قیمت بھیجنا ممکن نہ ہو تو اس کے لیے جائز ہے کہ جہاں ہو وہیں پر قربانی کرے اور احرام کھول دے۔
مذکورہ موارد میں محصور پر شوہر(سے ازدواجی تعلقات) کے علاوہ باقی تمام چیزیں حلال ہو جائیں گی اورشوہر(سے ازدواجی تعلقات) اس وقت تک حلال نہیں ہوگا جب تک حج یا عمرہ میں طواف اور صفا و مروہ کے درمیان سعی انجام نہ دے۔
(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), pg #254,205, maslah #445,446).
[Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo konsi ibadat ha jo orat apny suhar k bgair nie kr sakti
Answer:
Note : Is website per fiqhae jaffaria ( shia mazhab ) k mutabiq jawabaat diay jatay hein. ( or fiqhe jaferia ke mutabiq aurat ka kise ibadat ko anjaam dene me us ke shohar ka us ke sath hona zarori nahe hay ) sawaal se zahir hota hay ke shaayad hajj ke hawale se sawaal kia jaraha hay . aurat jab mustate hojaae ( yani hajj ke hawale se us me sharhe ahtebaar se hajj karne ki qudrat ho ) or us aurat ki jaan ko khatra na ho tu mehram (mard maslan bap,bhai,beta ka) hona shart ( yani zarori ) nahe hay , or jab jaan ka khara ho to kise shakhs ka sath hona lazmi hoga jo uski hifazat kre agrchhe ujrat pr hi sath ho mgr is ki shart ye hai k kisi shakhs ko ujrat pr lene ki qudrat rakhti ho wrna hajj wajib na hoga. (Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj(urdu), 4th Eddition,2013, Masla#60,Pg#45).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hajj kai doran hajji kin maqamat par tahartaian hai.
Answer:
Hajj ke dauran haaji teen (3) maqamat par qayam karte hain. 1) Arfaat. 2) Muzdalifa, ise Mashar ul haram bhi kehte hain. 3) Mina.
(Ref: Manasik-e-Hajj urdu, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #275,281,287).
[Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hajj k doran muqadas maqamaat ke nam
Answer:
1) Khana kaba, 2) Masjid e haram, 3) masjid e nabavi, 4) maqam tawaf, 5) safa wa marwa ki pahariyan, 6) Arfaat, 7) muzdalifa, 8) mina, 9) jamraat, 10) jabal e saur, 11) jabal e kudayye, 12) jabal e abo qubais, 13) kohe khandama, 14) jabal e hajon, 15) jabal e hira, 16) maka ka tareekhi qabristan jahan janab e khadija(s.a) dafan hain, 17) sheab e abi taalib, 18) maqam e hudaibiya jahan sulhe hudaibiya hui thi.
is ke alawa aur buhat se maqamaat hai jo ke is link https://www.shaffak.com/news/details/haramshareef-023210/ pe dekhe jaa sakte hain.
[Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: On kiss on hajre aswad during hajj is wajib or mustahab?
Answer:
Hajj ke dauran hajre aswad ko bosa(kiss) dena, na wajib hai or na hi mustahab.
(Ref: Manasik-e-Hajj urdu, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #365,366).
[Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah m Jo halaq ya kasser kerwatay Hain in dino m Kia faraq h
Answer:
1: Halaq se muraad poore sar ko muondna/mundwana hai jabkeh Taqseer se muraad sar ke kisi bhi taraf se kuch baalon ka kaatna/katwana hai.
2: Umrah tamattu ke ahraam se bahir aana sirf taqseer par munhasir hai (yani umrah tamattu ke ahraam ko sirf taqseer hi ke zariye khola ja sakta hai. sar ka muondna/mundwana kaafi nahin hai balkeh sar muondna/mundwana haraam hai) jabke umrah mufrda ke ahraam se taqseer se bhi bahar aa satke hain aur halaq se bhi bahir aa sakte hain, taaham halaq karna afzal hai. yeh hukum mardon ke liye hai jab ke aurton ke liye taqseer Muayin hai chahe umrah tamattu ke ahraam se bahir aana ho ya umrah mufrda ke.
(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #139,350).
[Updated on 01-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah m Jo halaq ya kasser kerwatay Hain in dino m Kia faraq h kassar ki lion zarorat pash ai Kia waqia hua jiski wajah say kassar ka hukkum Aya
Answer:
1: Pehle sawal ka jawab de diya gaya hai.
2: Aksar ahkam e sharaei ke asabab or illatain (reasons) or shariyat ke bananay walay (yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logon se poshida hay, or hamari aqlain un ko samajhne se aajiz hain. Or wajib yeh hay ke illat or wajah par nazar kiye baghair wazeh hadees ki pairawi (following) karain.
(Ref: Lumah #6, kitab e miraas, nashir maktab e naveed e islam, pg #472).
[Updated on 02-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai ke aik larki ne 1999 men 17 saal ki umr men apne maa baap ke sath hajj kia...us waqt baap ne hajj ki raqm beti ko gift ki takay wajib hajj ada ho...lekin uss time pakistan men NIC 18 saal or banta tha aur waalden ne beti ka jaali NIC bnwaya 18 saal show krke takay documents complete ho...us waqt poocha parents se ke ye to najaiz hoga to jawab mila ke pakistan men aadil islamic hukumat nhi hai is liye koi masla nhi...phr beti mana nhi krski aur hajj krlya Kia uska wajib hajj ada hua? Aur agr ye hajj batil tha to phr ehram men dakhil hona bhi invalid hogya tha? Kiunke uske nxt year uski shaadi hui to kia ehraam ki pabandian baqi thi?
Answer:
Agar Hajj me jo sharaait paayei jaati hain, maujood thien or Hajj ko sahi tareeqe ke mutabiq anjaam de diya gaya tha to agarche fake CNIC banwa kar Pakistan ke qawaneen ki khilaaf warzi ki hai, lekin wajib Hajj ada ho jaye ga.
(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #3 to 72, & pg #10,15).
Aqa sistani sahab, maashere ki falah ke lie banaae jaane wale kise bhe qaanoon ki mukhaalfat ko jaiz qaraar nahe dete .(ref : Deen ke ahkaam,aqa sistani,PG no:346)
[Updated on 10-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alaikum kia umrah krne se Hajj farz hojata he ya agar umrah ki taqqat ho lekin hajj kelie pese na ho kio k umrah per hajj se kam pese laghte he to kia umrah se hajj farz to ni hijata?
Answer:
1: Umrah, hajj ki tarah kabhi wajib hota hai aur kabhi mustahib aur umrah ya mufrda hota hai ya tamattu.
2: Hajj ki tarah Umrah bhi har saahib e sharaait mustatee par wajib hai aur Hajj ki tarah wajib fauri hai lehaza Umrah ki istetaat rakhnay walay par chahay woh Hajj ki istetaat nah bhi rakhta ho Umrah wajib hai. lekin zaahir yeh hai ke jis ka fareeza Hajj e tamattu ho aur is ki istetaat nah rakhta ho balkay Umrah Mufrada ki istetaat rakhta ho to is par Umrah Mufrada wajib nahin hai isi tarah woh shakhs jo Hajj tamattu kare to yaqeenan is par Umrah Mufrada wajib nahin hai. Hajje tamattu un afraad ka fareza hay Jin ke watan or Makkah ke darmiyaan 16 farsakh (Yani taqreban 88kilometers) se zaada faazla ho jab ke Hajje ifraad or hajje qeraan makkeh me rehne walo ka or un louqo ka fareza hay Jin ke watan or Makkah me 16 farsakh (Yani taqreban 88 kilometers ) se Kam fazla ho.
Note: Jin louqo per ummrah ke ilawa alaq se Hajj karna bhe wajib hay un ke lie tanhaah ummah karne se Hajj ke zimmedaare khatam nahe hoghe balke agar Hajj karne ki istetaaet hay tu Hajj alaq se wajib hoga
Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #135,136,143).
[Updated on 11-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u Alaikum. Mera sawal ha k agr koi khatoon umra ki garaz Sy jy . To Kya wahn pohnch k direct umra k Liye hi rawana ho jy ya phir 2 4 ghnty araam kr k nikl jy ?
Answer:
Wahan puhnch kar direct umrah ke liye rawana zaroori nahin, balke kuch waqt tak araam kar sakti hain. Han! agar makkah mein, balkay Haram mein bhi jana ho to baghair ahraam ke daakhil hona jaaiz nahin hai. lehaza agar koi hajj ke mahino (shawal, zil-qada, zil-hajj) ke alawa kisi mahinay mein daakhil hona chahay to is par wajib hai ke umra mufrada ka ahraam bandhay.
(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #141).
[Updated on 17-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiss on the hajre aswad during hajj is wajib or mustahab or sunnat?
Answer:
Hajj ke dauran hajre aswad ko bosa(kiss) dena, na wajib hai or na hi mustahab.
(Ref: Manasik-e-Hajj urdu, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #365,366).
[Updated on 13-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Razai Behan ke Sath hajj kesa hai
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Jaiz hai, Rizai behen ke hajj pe jaa sakte hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA Main ne Ehraam baandh kr nakhin kaat liye mujhe pata nai tha to ab kia ho ga ???
Answer:
Muhrim (ehram bandhne wale) ke liye naakhun kaatna jaaiz nahin hai. agarche kuch miqdaar mein kaatay, siwaye kisi majboori o zaroorat ke maslan naakhun baqi rakhnay mein aziat o takleef hoti ho. yani agar naakhun ka kuch hissa toot gaya ho aur baqi hissa mein dard ho raha ho to baqi naakhun ko kaatna bhi jaaiz hai.
Haath ya paon ka aik naakhun kaatnay ka kaffara aik mud yani taqreeban 750 gram khana hai. chunanche agar do naakhun kaatay to kaffara do mud tuaam aur isi tarah 9 nakhunon tak (naakhun katnay ke lehaaz se kaffara hoga) lekin agar haath aur paon ke poooray naakhun mutadid nashiston mein kaatay to kaffara do bakriyan (aik haath aur doosri paon ke nakhunon ke liye) hoga aur agar aik hi nashist mein kaatay to phir aik bakri kaffara wajib hoga.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #274, pg #156,157,158,206,207)
[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: احرام کے دوران اگر واشروم آجاے
Answer:
Agar Ehraam ki halat me washroom aa jaye to koi haraj nahin, washroom ke jaaya jaa sakta hai or agar masalan ehraam najis ho ( bhe jaae) to pak kiya jaa sakta hai. Q ke Ehraam ke sahi hone mein hadas e asghar (yani peshab, pakhana) ya akbar (yani janabat, haiz wagera) se pak hona shart nahin, chunanche woh shakhs jo hadas e asghar ya akbar ki wajah se muhaddas hua ho maslan peshab, pakhana mujnib, haaiz aur nufasa waghera to is ka ehraam sahi hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #183. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #119,154).
[Updated on 13-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ahram band kr sir pr topi pehni hui thi kisi k kehny pr utar di umra se pehly koi masla to ni ?
Answer:
1: Ehraam mein teen (3) cheezen wajib hain:
1. Niyat. yani mukallaf irada kare ke umra ya hajj qurbatan elallah anjaam don ga.
2. Talbiah. Talbiah is tarah kahe. 'labbaik allahumma labbaik, labbaik laa shareek lak labbaik' aur ahwat aula hai ke is jumlay ka izafah kare. 'innal hamd wanniamata lak wal mulka laa shareek lak' aur jaaiz hai ke is jumlay ke aakhir mein labbaik ka izafah kare aur youn kahe 'laa shareek lak labbaik'.
3. Ehraam ke do kapron (lung aur chadar) ka pehenana. magar inhen us libaas ko utaarnay ke baad pehna jaye jis ka pehnana ehraam walay par Haram hai.
2: Jab mukallaf ehraam bandh le to pachees (25) cheezen is par Haram ho jati hain: in me se aik ye hai ke mardon ke liye silaa hua ya aisa libaas pehnana jo silay hue ke hukum mein ho Haram hai. lihaaza agar ehraam bandhne ke baad lekin Talbiah kehne se pehle topi utaar di thi to aap par koi zimmedari nahin aayegi. lekin agar ehraam bandhne ke baad Talbiah bhi keh diya tha aur is ke baad topi utaari thi to wajib hai ke aik bakri kaffara dain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #141 to 184).
[Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As Salam alaikum.. umrah kis umar se farz hai ? Or umrah ke baad haj farz hojata hai
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Larki 9 qamari (chand wale) saal pooray karnay ke baad balig hoti hai aur jab insaan baliq aur aaqil ho jaaye to is par namaz, roza, hajj aur dosray sharaei ahkaam wajib ho jatay hain.
2: Hajj ki teen qismain hain. tamattu, ifraad aur qiran. Hajj e tamattu un afraad ka fareeza hai jin ke watan aur makka ke darmiyan solah(16) farsakh yani taqreeban 88 kilo meter se ziyada faasla ho jabkay ifraad or qiran makka ke rehne walon aur un logon ka fareeza hai jin ke watan aur makka mein solah farsakh se kam faasla ho.
lekin umrah ke baare me maslah ye hai ke jis ka fareeza hajj e tamattu ho aur is ki istetaat nah rakhta ho balkay umra mufrada ki istetaat rakhta ho to is par umra mufrada wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #2215. + Manasik e hajj, maslah #04,136,143).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Kisi k husband ki death ho Jaye or koi mehram ho hi Nahi toh Kia ourat Umrah kr Sakti hai
Answer:
Aurat ke liye Hajj ya umrah pe ke liye kisi mehram ka hona shart nahin hai, lihaza wajibat ka khayal rakhte hue aurat na mehram ke sath bhi Hajj ya umrah par jaa sakti hai.3
(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #119, pg #63).
[Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum tawaf karte waqt agar koi ek shoulder bhulkar khula na rakhe to kya hoga?
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Agar ehraam ke dono kapre pehne hue hain chahe jis tarah se bhi pehne hon, is me koi haraj nahin hai, Q ke ehraam ke in do kapron ke pehne me koi khas tareeqa mutabar nahin hai, lihaza agar bhool kar ya jaan boojh kar aik khanda khule rakhe bager tawaf kiya jaye to tawaf sahi ho jaye ga.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), page #151,152).
[Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Karachi say Jeddah(night flight) jate Howe Dubai mai stay ho to kiya Dubai say umrah ka ihram pehn sakte hai or niyat kahan say Karni hogi??
Answer:
Jo shakhs makkah se bahir ho us ke liye door wale miqaat (masjid e shajrah ya juhfah wagera) se ehram bandhna wajib hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #140).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalikum. Ma ne makkah umrah kya 2 umrah 2 islamic month m. Phr madina gya. Wapsi makkah pr miqat se ahram nhi bsndha. Q k umrah ki neyat nhi the. Please rehnumai krain. Kya ye sahi ha??
Answer:
Jis tarah meeqaat se pehle ahraam bandhna jaaiz nahin hai isi tarah meeqaat ke baad bhi ahraam bandhna jaaiz nahin hai. lehaza jo shakhs hajj-o-umra karna chahay ya hajj-o-umra karne ka iradah nah rakhta ho lekin makka aur harm mein daakhil hona chahay to us ke liye ikhtiyaari haalat mein baghair ahraam ke meeqaat se guzarna jaaiz nahin hai. chahay agay dosra meqaat mojood ho. lehaza agar koi shakhs kisi meeqaat se baghair ahraam ke guzar jaye to mumkina soorat mein wapas lootna wajib hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #167).
[Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]