Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Hajj (123 Questions)


Showing 100- 123 questions from 123 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122153
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-21

Question: Kia Kisi ka istaimal Kia howa ahram hum Apne Umrah main istaimal kr sakte Hain?

Answer: Kisi musalman ki razamandi ke bager us koi bhi cheez istemal karna Jaiz nahin hai, lekin agar us se ijazat lay kar (or us me ahraam ke tamaam sharaait moujood ho tu ) istemal ki jaye to koi haraj nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394. + Manasik e hajj, Maslah #30,36).
[Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122178
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-11

Question: Kya 1 saal k buchaiy ka umrah ho skta hy?? Aur usko diaper lga sakty hn?? Or kya us k ehraam mn elastic daal skty hn??

Answer: 1. Jee han, ho sakta hai.
2. Jee han, pehna satke hain.
3: Elastic ke zariye se girah(گرہ) nahin laga sakte.

Note: Bachay ki taraf se tamam cheezen us ke wali ko anjam deni hongi wo is tarah ke bachay ko ahraam bandhay, un ko talbiyah kehlawaye aur agar woh seekhnay ke qaabil ho to use sikhaye (yani jo bhi use kehnay ko kahe woh keh sake) aur agar sikahnay ke qaabil nah ho to khud us ki janib se talbiyah kahe aur ahraam walay shakhs ka, jin cheezon se bachna wajib hai bachay ke wali ke liye jaaiz hai ke agar woh fakh(فخ) ke rastay se ja raha ho to maqam fakh(فخ) tak bachay ke silay hue kapray ya jo in ke hukum mein aaye use utaarnay mein takheer kare, isi tarah un afaal mein se jinhein yeh bacha anjaam day satka ho us ko anjaam dainay ko kahe aur jo anjaam nah day satka ho un ko khud wali is ki niyabat mein anjaam day, us ko tawaaf karaye, safa o marwah ke darmiyan saei(سعی) karaye, arfaat aur mushar(مشعر) mein wuqoof karaye, agar bacha rami (kanker maarne) karne par qaadir ho to use rami karne ko kahe aur qaadir nah ho to is ki taraf se khud rami kare namaz tawaaf parhay, sar monde aur deegar aamaal ka bhi hukum yahi hai. isi tarah bachay ki qurbani ka kharcha bhi wali ke zimme hai.
Ahwat(احوط) yeh hai ke ehram ki halat me bachay ki lung ko us ki gardan mein daal kar nah bandha jaye balke kisi jagah par bhi nah bandha jaye aur soi(سوئی) waghera se bhi use mazboot nah kare balkay ahwat(احوط) ki bina par chadar mein bhi girah(گرہ) nah lagayei jaye lekin soi waghera se chadar ko mazboot o muhkam karne mein koi haraj nahin hai.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #8,242,243).
[Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-29

Question: As salam o alikum. Agar madinah se makkah jaty hoye ( makkah k rahaishi) ahram ki niyat na karen tu is surat mein kya ho ga?

Answer: Jis tarah meeqaat se pehle ahraam bandhna jaaiz nahin hai isi tarah meeqaat ke baad bhi ahraam bandhna jaaiz nahin hai.
lehaza jo koi hajj-o-umra karna chahay ya hajj-o-umra karne ka iradah nah rakhta ho lekin makkah aur harm mein daakhil hona chahay to us ke liye ikhtiyaari haalat mein baghair ahraam ke meeqaat se guzarna jaaiz nahin hai. chahay agay dusra meeqaat maujood ho.
lehaza agar koi shakhs kisi meeqaat se baghair ahraam ke guzar jaye to mumkina surat mein wapas lootna wajib hai.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #167).
[Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122200
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-05

Question: سر میرا سوال یہ ہے کے میں عمرہ کرنے کے بعد بال نہیں کاٹ سکا کیا میں احرام کھولنے کے بعد بال کٹوا سکتا ہوں یہ پھر مجھ پہ دم واجب ہو گیا یے

Answer: Salam. agar aap taqseer karna bhool gaey thay tu jis waqt aap ko yaad aey aap taseer karain. Chahaey aap makkah se kharij ho agey hoon.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/14/8175/ question#14)
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-30

Question: Umrah mai Tawap karty Huve Kabah pe Hath raka Hath par khushbo lage Tab Dum faraz Hu Gya Ya Nhe.agr farz huwa tu ise kaise khatam kia jai sirf qurbani se ya koi Or hal Han Is Ka

Answer: Khulooq kaaba (خلوق کعبہ) aik itar hai jo ke zaafa (زعفا) aur dusri cheezon se banaya jata hai aur is se kaaba e muazzama ko muattar kya jata hai.

Khulooq kaaba (خلوق کعبہ aik khaas qism ki khushbu) ko songhne se ijtinab karna ya is ko jism par ya libaas par milne se parhaiz karna wajib nahin hai. aur is se aap par koi cheez wajib nahin.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #237).
[Updated on 31-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-02

Question: Aoa mera swal h kia during umrah or during ziarat husband wife sex krskty h ???or kia aurt ko bhi baal katne hoty h ???

Answer: 1: Ahraam bandhne ke baad 25 cheezen haraam ho jati hain in me aik jima (sex) karna hai. aur namaz e tawaf un nisaa ada karne ke baad jima (sex) karna halal ho jata hai lihaza namaz e tawaf un nisaa ada karne ke baad, husband wife jima (sex) kar sakte hain.

2: Halaq se muraad poore sar ko muondna/mundwana hai jabkeh Taqseer se muraad sar ke kisi bhi taraf se kuch baalon ka kaatna/katwana hai.

3: Umrah tamattu ke ahraam se bahir aana sirf taqseer par munhasir hai (yani umrah tamattu ke ahraam ko sirf taqseer hi ke zariye khola ja sakta hai. sar ka muondna/mundwana kaafi nahin hai balkeh sar muondna/mundwana haraam hai) jabke umrah mufrda ke ahraam se taqseer se bhi bahar aa satke hain aur halaq se bhi bahir aa sakte hain, taaham halaq karna afzal hai. yeh hukum mardon ke liye hai jab ke aurton ke liye taqseer(Yani Apne sar ke kuch baalo ko kaatna ) Muayin hai( yai yehe karna Hoga ) chahe umrah tamattu ke ahraam se bahir aana ho ya umrah mufrda ke.

(Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #139,350).
[Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122273
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: A.o.a Mera swal agr koi bnda umrah k bad ahram utar kr dubara ghr se bandh k haram ja skta

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad, ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. isi tarah jab dusri chadar mein sharaait maujood hon to badla bhi jaa sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122278
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Agr umrah krty waqt chadr ur jay

Answer: Koi haraj nahin, dobara kandhay pe rakh len.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #198).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122316
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-11

Question: Assalam o Alaikum! Mjy pochna tha k Mera beta 1 Saal Ka h or use bukhar h to Kia umerah Mai Jane k liye use ehram skip kra k ghr k kapro Mai le ja skty hai??

Answer: Aik saal ke bache par hajj ya umrah wajib nahin hai lehaza use ghar ke aam kapron le jaa sakti hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), page #10,11,12,99,).
[Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122385
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-15

Question: Main apny hotel main thi or bacha bht roraha tha mujhy pata ni tha main ny ahram (abbaya)utar kar bacha sambhla phir jab pata chala forn abbaya (ahram)phana ..mera umrah hogaya ya ni ????

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. (umrah sahi hai).
isi tarah jab dusri chadar mein sharait maujood hon to badla bhi ja sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122386
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-15

Question: Ihram k nechy underwear pehana ja sakhta hai k nai

Answer: Mard ke liye sila hua libaas pehenna ahraam ki halat main Haram hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), link; https://www.sistani.org/urdu/book/62/2954/).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-21

Question: Kya shadi shuda beti apne baap ke saath hajj pe ja sakti hai? Sirf baap or shadi shuda beti

Answer: Jee han, jaa sakti hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #60).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122573
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-11

Question: صرف احرام بند کے کعبے میں طواف کرنا جائز hay

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad chand cheezen Haram ho jati hain aur sirf tawaf e kaba karne se wo tamam cheezen Halal nahin hotien balke mukhtalif aamaal anjaam diye jate hain jis ki wajah se wo cheezen Halal ho jayen jat hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #155 to 159).
[Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-13

Question: Tawaf ki kitni qisme hain

Answer: Tawaaf ki do qismen: Wajib tawaaf aur Mustahab tawaaf.
Wajib tawaaf me shaamil hain: 1. Tawaaf e ziyarat. 2. Tawaaf nisaa.
Mustahab tawaaf me shaamil hain: 1. Tawaaf e wurood. 2. Tawaaf e widaa. 3. kaabay ke das tawaaf karna, teen ibtida e shab mein, teen aakhir e shab mein, do fajar ke baad aur do zuhar ke baad. 4. Makah mein qiyam ke douran 360 tawaaf karna aur agar yeh mumkin nah to 52 tawaaf karna aur agar yeh bhi mumkin nah ho to jitne tawaaf mumkin hon itnay tawaaf kare.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #216,311,315,369,371).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122755
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Assalamu alaikum. Mera sawal ye hain me madina se Ahram band kar mecca ja raha tha by road mere ahram k halath main ankh lag gai kiya mujh par dam lar gaya ?

Answer: Ahram ki halat me sona (sleeping) Haram nahin hai aur nah hi is se koi kaffara aaye ga.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #156,157,158,159,344).
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123057
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-17

Question: Agr haji kise mushkil mai phans jai ur umrah krna sa pahla ahram khul jai to kia phr bhe us ko dam wajib h.?usa dam dena ho ga?

Answer: Ehraam kholna ya us ka tabdeel karna jaiz hai aur ehraam kholne par koi kaffara nahin lagta Q ke Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bager zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. isi tarah jab dusri chadar mein sharaait maujood hon to badla bhi ja sakta hai. lekin ya baat waazeh rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo Halal nahin hongi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen Halal ho jati hain.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198, pg #155 to 159).
[Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-02

Question: احرام باندھنا کیاھےسنت یا واجب

Answer: Ehraam bandhna wajib hai warna is ke bager hajj ya umra nahin kar sakte. Lekin niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. (hajj o umrah sahi hai). isi tarah jab doosri chadar mein sharait maujood hon to tabdeel bhi kiya jaa sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), maslah #140,158,195,197,198).
[Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123228
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-06

Question: Agr aurat ko bleeding horhi ho lekin 1 2 din chor k kum kum bleeding ho lagatar 5 6 din tk esa hota rhy to kia wo periods hain ya istehaza? Or esay Mai roza or namaz rkha jaye ya nhi? Or Jo rozay ya namaz chori h kia uski qazah h?

Answer: 1, 2: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 3 din se kam yani 1 2 din ke liye khoon aaye to ye haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain.
3: Istehaza ke khoon ke halat me chorhe gaye rozay ki qaza karna zaroori hai aur jan bhooj kar rozay na rakhne ki soorat me qaza ke alawa kaffara bhi aaye ga. aur agar aainda ramzan tak bhi un rozon ki qaza nah kare to ehtiyat e lazim ki bina par har din ke liye aik mudd e taam (yani 750 giram) fidye takheer bhi dena hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439,1356,1681).
[Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123523
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-09

Question: Mere bachey baligh hein, magar abhi unki shadi ni hui, to kia hm umreh pr jaa skte hein? Ya unki shadi ka haq ada krna pehle zruri hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Makka (mecca) aur is ke aas paas 16 kilo meter me rehne wale afraad ke alawa deegar ghaon, shehron ya mamalik logon ke liye Umrah baja lana mustahab ibadaat me se hai wajib nahin hai. Aur bachon ki shadi karana bhi aap par wajib nahin hai. lihaza aap ki marzi hai jo kaam pehlay anjam den.

(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #134,136. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407).
[Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123543
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-10

Question: Aoa ..agar Kisi or at ki Hajj application manzoor ho Gai ho or Hajj pe Janae ki tayari mukammal ho laikn usae talaaq ho jaye to kia iddat main wo Hajj pe ja sakti hai?

Answer: Talaq ki iddat ke dauran jo cheez Haram hai wo shadi karna hai. lekin ghar se baahir nikalna Haram nahin hai iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki ho. Lehaaza Hajj pe jaa sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2365,2475,2481,2482).
[Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-15

Question: Kya berozgaar beta apni Maa ki kamai se Maa k saath Hajj kr skta hai? Uski Maa ko retirement k baad jo fund Mila hai ussi paiso se wo apni Maa k saath Hajj kr rha hai..unke walid hayat hai lekin wo nhi Jaa rhe unke saath.

Answer: Agar maan apne betay ko itni raqam ka maalik banaye ke wo hajj ke liye kaafi ho to wo hajj kar sakta hai, Q ke insaan ke liye yeh wajib nahin hai ke wo apne hi maal se hajj kare lehaza agar maal kharch kiye baghair ya dosray ke maal se (maslan maan ke diye hue maal se) hajj kare to kaafi hai.
(Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #30).
[Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: Aoa mjhy AP sy aik information chahea .. Mari sister Umrah par Jana chahti hai unk husband kis waja sz nahi ja sktay unka beta 6 years ka hai Kya woh Umrah par jaa skati hai... Unk husband kahtay hai nahi jaa skati because unka beta bhalig nahi Kya Umrah par janay k Lea mehram ka bhalig hona zaruri hai???????? Rehnumai farmay.. JAZAK ALLAH

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Agar jaan ka khatra na ho to (hajj ya umrah) pe jane ke liye mehram (baap, bhai, beta, shohar, chacha, mamo wagira) ke sath hona shart nahin hai, aur agar jaan ka khatra ho to zaroori hai ke aurat (ke sath) koi aisa shaks sath ho jis ki wajah se aurat ki jaan mehfooz ho jaaye. lehaza 6 saal ke bete ke sath jaa sakti hai balke agar jaan ka khatra na ho kisi na-mehram ke sath bhi jaa sakti hai.

(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #60, Pg #51).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123777
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-13

Question: If husband is paying for hajj, and wife had a certain khums obligatory, however she does not have enough money to pay all before leaving for hajj. What is the ruling in this case.

Answer: If someone is given money to go only on Hajj, it will be obligatory on him/her to go for Hajj however its better to contact any Wakeel of Ayatullah Sistani for Remaining Khums Amount.
(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani d.b, Page No. 40, Point No. 46)
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print