Showing 0- 50 questions from 95 questions on this page.
Question: Kiya A.Sistani kay Fatwa kay Mutabiq French Cut Darhi rakhna theek hay ya nahi?
Answer:
French cut darhi "Aihtiyat" ki bina par jaiz nahi hay.
Ref:Question No.160 Book-1 (Mujtahid se pooche gaye sawalat)
Question: Aap nay French Cut darhi kay masalay main jawab diya hay kay ye Aihtiyat ki bina par sahih nahi hay to kiya is Aihtiyat main kisi aur Mujtahid ki taraf rujoo kiya ja sakta hay?
Answer:
Kisi bhi Masala main AIHTIAT-E-WAJIB OR LAZIM aaney ki soorat mai FAL AALAM ki taraf rujoo kia jasakta hia.
Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Fiqhi Istelahat
Question: What is the fatwa of mujtahid regarding french cut Darhi. Is Islam encouraged family planning.
Answer:
French cut darhi ahtiyat-e-wajib kee bina par jaiz nahi hay.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 160.
Family planning aik detail topic hay jis key liye munasib yeh hay keh aap kisee aalim e din sey rujoo kijye.
Question: is french cut beared is allowed in any present mujtahid??
Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par French Cut darhi rakhna kaafi nahi hay.Ref:Book-3 Q.No.154.
Question: asalamoalikum,sir main poochna chahta hoon kkiya fiqha e jaafriya main beared wajib hai ya nahi?aur kiya french{beared} rakh saktay hain ya nahi
Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par darhi moondna JAIZ NAHI hay aur Aihtiyat-e-Wajib ki bina par ye bhi JAIZ NAHI hay kay sirf thouree par darhi kay kuch hissay ko rehnay diya jaey ,haan thouree kay nichlay hissay aur gaaloo kay ubhray hoay hissay par khat banana JAIZ HAY.French Cut Aihtiyat-e-Wajib ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:Book-1 Q.No.158,160.
Question: Darhi(beard)rakhna wajib hay?kya quran main iskay mutalliq koi hukm hay?
Answer:
Jee haan Darhi rakhna wajib hay. aur tamam marajieen apnay jawabaat quran o sunnat ki roshni main hi diya kartay hain.
Ref: Istiftaat Ayatullah Khaminae Masala No.328
Question: Molana Sahab Salam, kia French cut beared( Dari ) shariat ke mutabik hogi plz tafsily jawab de thanks
Answer: Jee haan French Cut darhi rakhna sahih hay.Ref:Siratun Najat A.Khoie Part-2 Q.No.906.
Question: Ayatullah seestani kay mutabiq darhi ka kiya masala hay ,kiya French Cut Darhi rakhna jaiz hay ?
Answer:
Salam un Alaikum
Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai.French Cut Darhi Ehtiat e Wajib ki bina par jaiz nahi hai.
Ref:Prob No 158&160 Book (Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part1)
Question: Many people argue that beard is not an important wajib - I dont understand that- either it is wajib or not? need a clear answer with details.
Answer:
Daarhi Moondhna Aihtiyaat ki bina par jaiz nahi hay aur Aihtiyaat ki bina par sirf French Cut bhi kaafi nahi.
Ref:Mujtahid say poochay gaey Sawalaat(QIA) Part-3 Q-154,Pg-71.
Question: kya frenchcut darhi sahih hay?
Answer: Darhi kay baaz hissoon ko kaatnay ka hukm khud darhi kaatnay jaisa hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae Pg.No.176,Q.No.331.
Question: Salam, yahan western countries mein dharhi walay aadmi ko job bohat mushkil say milti hay. Kia Aisee sorat mein jab aadmi mujboor ho jaey tu kia dharhi mundwana jaiz hay ? Please reply. Allah Hafiz.
Answer: Darhi ka moondna Aihtiyat ki bina par jaiz nahi hay laikin agar is ka tark karna zarar ya aisi mashaqqat ka sabab banay kay jisay aam toor par bardaasht na kiya ja sakay to phir jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038.
Question: Asalamoalikum, dari kum say kum kitni honey chahey aur dari ko khazab lagana jaiz ha?
Answer: is had tak ho ke urf mein issay dari kaha ja sakay. aur khizaab lagana sahi hai. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. Tehzeeb-e-aal-e-muhammed, pg 15.
Question: husband ka apni wife kay baal katna kya hokam hay noramla halat mein.
Answer: bismehi taala, agar koi dusra haram kam na ho raha ho to koi haraj nahin he.(ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)
Question: is it not a sin to perform machine on beard rather than shaving?
Answer: b.t. agar is k amal par dathi katna sadiq aata ho to all ahwat haram he.(page. no.177, istiftaat k jawabat part-2 Aytullah Khamenaie)
Question: salmo e aliqum i write urdu ok u send english i can read sir eajh say takreban 2year phaly may nay sonat rasool kay ain mutabik darrey rakhey they may shatan ke bato may agay tha or kat dey us kay bad mujh par kuch arsay bad parayshaney ana shoro ho gai abhi take koi na koi nai parshani ka samna karna parta ha app batai kay may kaya karo es ka koi kofara ha plice sed answer fast
Answer: w.s. Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai.Ref:Prob No 158 Book (Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part1)(is k kaffare k tor par sachche dil se tuba kar k dubara rakh lain)
Question: kia blade se khat banana jaiz hai?
Answer: Salam un Alaikum Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai.French Cut Darhi Ehtiat e Wajib ki bina par jaiz nahi hai. Ref:Prob No 158&160 Book (Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part1)
Question: Salam un Alaikum. meri abhi pori darhi (beard) nhn nikal ai hai. khali mochey ai hai aur meri age 15 saal hai kiya muj par wajib hai key mey mochey rakho ya pher mey onhey trimming machine aur scissor sey katwa sakta hun (razor sey nhn) ?
Answer: w.s. Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai.French Cut Darhi Ehtiat e Wajib ki bina par jaiz nahi hai. Ref:Prob No 158&160 Book (Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part1)
Question: ASSALAMu alaikum... muhje yah pocha hai kay kiya waxing karna haram hai... matlab seenay aur hath k baal cut karna haram hai plss rep okay
Answer: w.s. Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay (ref:www.qoitrat.org/QA/other/q.198)
Question: Plz Mujey Clean Shew k Hawaley sey BAtaeyn
Answer: bismehi taala, Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai. French Cut Darhi Ehtiat e Wajib ki bina par jaiz nahi hai. Ref:Prob No 158&160 Book (Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part1)
Question: AOa gu9ide me m i allowed to cut hair in fasting during ramzan??is it permisiable to shave?? iltimas e dua
Answer:
Ramazan main rozay ki halat main baal kaatna jaaiz hain.Daarhi mondna ya mundwaana(Shave kerna ya kerwana) tu aam dino main bhi ehtiyaat e wajib ki bina(base) per haram hain.(Ayat ullah Khumeni,Tauzee hul masail, page #534).
Question: salam. Is trimming of beard is allowed with electric machine
Answer: Agar ye electric machine darhi(beard) ko itna bareek kerday k ye darhi ka moondna (cleane shave) kaha jaay tu ye ehtiyaat e wajib ye hay ye amal haram hoga.isi terah French darhi bhi ehtiyaat e wajib bina per jaiz nahi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #477).
Question: darhi kitni bari honi chaya
Answer: DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7.
Question: Dir Sir, Will a farz namaz of a person becomes void If he offers it without having beard on his face? Looking Forward
Answer: Shaving of beard is unlawful act for men as an obligatory precaution (haram). But without beard prayers will not be void.(Ref : A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah #473, Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717-1530).
Question: plz tell me method of doing halal of beard
Answer:
1) Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
2) DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Allah khoobsurat hai or khoobsurat cheezon ko pasand karta hai is hadeeth se muje dari mundwane k bare main btayain?
Answer:
Rasool e Akram(s.a.w.w) say manqool hay keh jab Allah nay hazrat Adam(a.s) ki taubah(jo k tark e aula{behtareen kaam ko chorhna ya os par amal nah kerna})qabool fermae tu unho nay sijdah e shukar ada kia or sijday say sar utha ker aasmaan ki taraf dikha or arz kia k Allah maira husun or jamaaal berha day,thurhi dair nah guzri thi keh on k cherah e mubarak per darhi nomodaar hogae.q k is say pehlay on ki darhi nah thi.Adam(a.s) nay arz ki aay Allah!ye kia hay? Wahi e ilahi hoe keh ye qiyamat k din tak tumhari or tumhari aulaad e narinah(muzakkar) ki zinat hay.(Tehzibul Islaam,muallif Allama Muhammad Baqir majlisi(a.h),Pg#182).
Fatwa:Ehtiyaat e wajib ki taur par merd k liay darhi mundwana(clean shave) jaiz nahi hay or ehtiyaat e wajib k taur par merd ko ye haq nahi pohanchta keh sirif thorhi(chin) k baal rakhay or baaqi(jabrhay) k mundwaay(Ayat Ullah Seestani(d.b),jaded fiqhi masail, maslah #473)
Question: French darhi sahi hai?
Answer: Ethiat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf thorhi k baal rakhay aur baaqi mundaay day. (ref : jadeed faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
Question: Assalam o alaikum janab bari mehrbaani ho gi agar aap mujhe DAARI se mutaaliq ahaadees ka hawala de dain!!!!! Aap k jawab ka muntazir hun!! Jazaq allah hul khair
Answer: Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
Question: mujh se mere dost aksar sawal pohte hain or me jawab tasdik kiye bina nahi deta or me tasdik bhe mangta hun kia yeh sahi hay??? or 2nd sawal yeh hay k mere 1 dost ne pocha jo k quran me darhi rakhne ka zikar kaha kiya gya hay kon se sipare me zikar hua hay or isko na rakhna gunah hay kia???? is ka zara tafseel se javab de deian Shukriya...
Answer:
1)Har bat ki tasdeeq karni chahea aur bagir ilm k bat karna azeem ghunahoo me se he (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 30)
2)Darhi moondna ethiat ki bina per jaiz nahi hay.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2042 , Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3 , ques #154 , pg # 71)
Question: kya egypt me dari rakhna allaowd hai
Answer: Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi aur ethiat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam.agar kisi shaks k itnay darhi k baal ho k wo sirf french hi rakh sakta hai to is baray main kya huqm hai?qabi baaal itnay aatay hain k agay sirf wo rakhi gy to darhi dikhay gi nh?
Answer:
Agar kise shaks ki pure dhari na aati ho us k lie is niyat se dhari mounwana k pure dhari aajaay ehteyaate waajib ki bina per jaaiz nahe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 196,pg # 89)
Ehteyat wajib ki bina per French cut rakhna jaiz nahe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 158, pg #80) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai... iska matlab smjha dain zara k ehtiat e wajib kia h?
Answer:
Ehtiyate wajib wo hukm jo ehtiayat k mutabiq ho or faqeeh ne us k sath fatwa na diya ho, ayse maslon men muqallid us mujtahid ki taqleed kr sakta hai jo aalam k bad ilm men sab se bara ho. Misal k tor pr, Agr mujtahid e aalam fatwa de to is ka muqallid is masale main kisi doosre mujtahid ke fatwe per amal nahi karsakta, han ager mujtahid e aalam fatwa na de balke ye kehe ke ehtiyaat is main hai ke yoon aamal kiya jaae( is ehtitiyat ko ehtiyaat e wajib kehte hain) , masalan kahe ke ehtiyaat is main hai ke namaz ki pehli or doosri rakat main sura e al hamd ke baad ik pori sorat phare to zaroori hai ke muqallid ya to is ehtiyaat per aamal kare(yanui surah alhamd k bad ek pura surah parhe) ya kisi doosre mujtahid ke fatwa per aalam fala aalam ka khiyaal rakhte howe aamal kare(yani jis mujtahid ki taqleed wo krta hai us k bad wala wo mujtahid jo dusron k muqable men sab se ziyada islami ahkamat ko samjhne ki salahiyat rakhta hai),pas agr wo mujtahid faqat sura e al hamd ko kafi samjta ho to dosri surat chhori jasakti hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 6& Fiqhi istlahat, Pg#486).(Khuda tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asslam u alikum mulana sab mara question ya hy ky maray dost ny sharii darhi krr cut dii abb who kiyaa kerayy plzz jawab dayein kiyaa is ka koi kafara hyy
Answer:
1)Darhi ka moondna Aihtiyat ki bina par jaiz nahi hay. Aur is per koi kaffar nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038.)
2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
3) Aap apnay dost ko amar bil maroof karain. Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay.
Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain:
1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna.
2) Zabaan say waaz o nasihat kerna
3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna
Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: a.sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: beard ka khat ka sunnat ka tareeqa bata den
Answer: Rukhsar per ubhri hui jigha k baloo ko saaf karna haram nahi. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 487 pg # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: FRENCH DHADI ISLAM MAI JA YAJ HAI
Answer:
Ethiat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf thorhi k baal rakhay aur baaqi mond day. (ref : jadeed faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mein teen saalon say berozgar hoon, kuch log khete hain daari kaat do tau tumhein job miljai gi kion ke majboori hai ghar chalana hai bewi bhi job kar rahi hai aur mere bhi credit cards bhar chukai hain. janab aap say guzarish hai mujhe jald jawab dein khuda hafiz.
Answer:
1) Darhi ka moondna ehtiyaat ki bina par jaiz nahi hay laikin agar is ka tark karna zarar ya aisi moshaqqat ka sabab banay k jisay aam taur par bardaasht na kiya ja sakay ho to phir jaiz hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038.)
wazifa :
1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425).
2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal,pg#315).
3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KYA SHAVING MACHINE SE DADHI(BEARD) ITNE CHOTY KAR SAKTEY HAIN KE BAL NAZAR NA AYE.
Answer: Agar ye electric machine darhi(beard) ko itna bareek kerday k ye darhi ka moondna (clean shave) kaha jaay tu ehtiyaat e wajib ye hay ye amal haram hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #477). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAM WA ALEKUM kya dadhi katna bada gunah hai kya allah ke nabi ne kahi bhi dadhai rakhne ko kaha hai agur kaha hai to kaha kaha kaha hai Quran me kaha hai ya Hadees me kaha hai plz tafseer ke saath bataye
Answer: Ehtiat-e-wajib ki bina par jaiz nai hai aur ehtiat-e-wajib ki bina par ye bhi jaiz nai hai kay sirf tohri par daarhi kay kuch hissay ko rehnay diya jaye (Ref: mujtahid say pochay gay sawalaat part#1, Maslah#158) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ap ne aik jaga kaha k mard k liye jaiz nai k thori k baal rakhe n baqi mundwale n dusri jaga kaha k mard k liye itni darhi rakhna jaiz he k urf keh sake k ye darhi he magar aj kal tou urf french ko bhi darhi mein shumar krti he tou kya french rakhna jaiz he??
Answer: Dono fatway durust hain or in main koe ikhtelaaf nahi Q k fatwa ye hay k Ehtiyaat-e-wajib ki bina per mard k liye jaiz nahi k thori k baal rakhe or baqi mundwaay or darhi k baal kam az kam itnay chotay hona tu zarori hay k urf kahay k darhi wala hay nah k baghari darhi wala kahay. Yani urf se faqat darhi k baal ki lambay ya chotay honay ka pocha jay nah k darhi kis maqam per rakhi jay or kis jagah per nah rakhi jay ka nah pocha jay. (Ref: mujtahid say pochay gay sawalaat part#1, Maslah#160)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASLAM-O-ALAIKUM Q: Nimaz mein immam ki umer kiya honi chahiye aur kiya immam k liye darri ka hona zarori hai ?
Answer:
Dhari monda ehteyaat ki bina jaiz nahi hai.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2042,1553 )
Imam e jamaat ki shriat ye hain. 1)Baligh ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashari ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho.(ref : tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1434 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A-0-A, kia daari rakhna farz hey ya sunnat?? agr sunnat hey to daari na rakhna gunah hey??
Answer: Darhi ka moondna ehtiyaat ki bina par jaiz nahi hay laikin agar is ka tark karna zarar ya aisi moshaqqat ka sabab banay k jisay aam taur par bardaasht na kiya ja sakay ho to phir jaiz hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mujy bata hay kay dhari complate kasay rakay jahay ya dhari kei sunnit kia ha
Answer: Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam loog ise dhari wala kehain . (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam Alaikum Janab Mujtahid-e-Taqleed: wala column smjh nahi aya isliye blanck chor raha hu.. Humne Dadhi Rakhi hui ha or humare sare dost or gharwale yeh keh kar hume tana marte hn ke humne sunniyon ke jaise dadhi rakhi hui ha, hum samajh nahi sake ke dadhi me shia or sunni ka kya masla a gaya? fir sab yeh kehte hn ke agar walda kahe to (maaz allah)na jane kis imam ka qaul ha dadhi kaat sakte hn... hum is bat se ittefaq nahi rakhte ke humare imam maaz allah aise koi baat keh sakte hn jo deen ke khilaf ho.. please hume kisi aise kitab ka naam bataeye jis se hum yeh bat sabit kar saken ke dadhi katna ghalat ha or aise jhuti batein karna bhi ghalat ha.. log trim kar ke allah ko dhoka dene ki koshish karte hn.. inshallah ap meri mushkil asaan karge..
Answer:
1) Ehtiyaat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi neez ehtiyaat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (Ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
2) Darhi is had tak hona tu wajib hay k urf(awaam) mein issay darhi kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ma jb bhi dari trim krwata hn tou electric machine se karvta hn or neck k neche wale ball blade se clean kra leta hn lekan meri khat rkhne ki neyat nahi hoti tp mje bta dain k keya ye khat ho jata ha plz
Answer:
Jis darhi ka bataur e ehtiyaat mundwana haram hay wo dono jabrho per ugay hoay baalo ko shamil hay. Rukhsaar per ubhri hoe jagah k baalo ko saaf kerna haram nahi hay.(Ref: Jaded fiqhi masail, A.Sistani d.b, masal#487).
Note: khat banwanay ki niyat kerna zarori nahi hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia ramzan ma hajamat(shaving) karna jaiz ha
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai chaye ramzan Mubarak ho ya na ho. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 2042 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: darhi rkhna frz ha ka nhe
Answer: Darhi mondna(clean shave) ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hai . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2042 )
Question: Assalamualaikum, mera sawaal ye hai k kya daarhi rakhnay ki koi "Niyyat" in proper words hoti hai? agr hai to kya hai?
Answer: Clean shave karna ehtiyat-e-wajib ki bina per jaiz nai hai. (is k liye kisi niyat k hona zaruri nahi hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah#2042)(Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: assalam o alaikum mera sawal hay dari chornay pr 3 number machine pr dari lena kesa hay.
Answer: Agar ye electric machine darhi(beard) ko itna bareek kerday k ye darhi ka moondna (clean shave) kaha jaay tu ehtiyaat e wajib ye hay ye amal haram hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #477). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir plz kindy tell me dhari farz hay yea sunnat? or kya wajib ka mtlb ye hay k dhari rakhni he rakhni hay....? meri behas social media pay aik ale sunnat k molvi se hu gyi hay muje Quran ki rooh sy b refernce dejye ga app..?
Answer: Darhi ka moondna aur is ki aujrat lena ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai laikin majboori ho to jaiz hai ya is ka tark zarrar ka sabab banay aur mushaqat bhi aisi k aam tor par osay bardasht na kia ja sakay. Chahay tamaskhur aur ahanat q na ho.(yani koi mazaq hi q na karay) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera question yeh hai me ne daarhi rakhne ki neeyat ki thi mgr jobs per darhi rakhna ki ijazat nhi hai or mujhe is surat me kia karna chahye? or agr neeyat toot jati hai to kya kaffara hai iska??
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. laikin agar majboori ho to jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya dhari na rakhna gunnah hai ..
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 2042 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).