Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Dharhi (95 Questions)


Showing 50- 95 questions from 95 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
41063
Mujtahid:
Shiastani saheb Date:

Question: Salam janab mera sawal ye hai ki kya mard apne chehre ke bal mudwa(clean shave ) sakte hai ki mana hai.

Answer: Ehtiyaat e wajib k taur per merd k liay darhi mundwana jaiz nahi hay or ehtiyaat e wajib ki k taur per merd ko ye huq nahi pohanchta k sirif thorhi k baal rakhay or baaqi mundwaay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 473). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42366
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alekm mein ne pechley 10 years se darhi rakhi ho he pehley to bari thi as per sunnat ..aur darhi ki niat bhi ki thi. phir mein ne choti krwa li ... jaisey shave barh jati he 1inch hogi ab mei darhi remove krna chahta hon .. kya mein remove kar sakta hon ?? is ka kaffara kya hoga ??

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai laikin majboori ho to jaiz hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 2042 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
49363
Mujtahid:
Date:

Question: dhari kitni rkhni chiye baz afrad kehte hen ke dhari lambi rkhni chiye ager nahi rkho ge to gunah he kya dhari lambi rkhni chiye ya coti dhari rkh kte hen na

Answer: Dhari ki kam se kam miqdaar itni honi zarori hai k aam loog osay dhari wala khain. Or aik balisht se ziyada darhi behter nahi. (Ref : mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 159,pg # 80+ http://www.sistani.org/english/qa/01136/ ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49528
Mujtahid:
Date:

Question: ramdaan me saving aour satar ke baal kaat sakte hai.

Answer: Dharhi mondna ehtiyaat ki bina jaiz nahi hai.is k ilawa jism k baal kaatna jaiz . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2042,1553 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49880
Mujtahid:
Darhi Date:

Question: Asslam O Alaikum Darhi Islam Main Lazmi Hai Ya Nahin Yani Dari Rakhna Sunat E Moaqda Hai Ya Ghair Moaqda Aur Janab Ghalti Se Jhooti Qasam Khanne Ki Sorat Main Pata Chalne Par Us Ka Kafara Kea Hai Jawab Jaldi Dijiye Ga Ap Ki Mehrbani Ho Gi

Answer: 1)Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai.
2)Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram he laikin is ka koi kaffara nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042, 2638)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52490
Mujtahid:
Date:

Question: Kya Azaan dene aur namaaz padhane ke lia dadhi(bread) ka hona zazuri hia agar dadhi nahi hai to wo azaan nahi de sakta give me ans in light of Quran and hadith

Answer: Imaam e jamaat ke liye dadhi zarori hai, lekin azaan dene wale ke liye zaruri nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 903 , 1434 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Darhi mondhna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2042) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52862
Mujtahid:
Aaytullah sistani sahab Date:

Question: Salaam mera sawal ye hai ke kya dadhi itni rakhna zaruri hai ke kuchh faasle se nazar aa jaaye? kya zero machine se halki dadhi rakh sakte hai? shukriya

Answer: Ager aam loog kehain ke is ne dahri rakhi hoi hai to itna kafi hai, or ager ye miqdaar zero machine se hasil na ho to ye machine nahi lagwa sakta.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 159 , pg # 80 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)

Print

Id:
53243
Mujtahid:
Date:

Question: janab mere age abe chote ha 16 sall or mene apne bhae ko dekh kr mun(face) par machine marna shoro kr de jis k waja se mere 1 haftey bad boht zaida baal a jate hen or mein machine se sideo se or thore k baal kaat deta hn jis k waja se mere chere par gair zaruri baal be nikalna start ho gae ab ap he btaen islam k roashni me k kya me apne chehre k gair zarure baal jur se nikal dun or jur se nikalne se dobara baal to ne ate ?? or me har hafte machine mar sakta hn??? plz explain k sath jaldi answr dijye ga or asan lafzo mein k mje samaj a jae JazakAllah

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #2042 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53507
Mujtahid:
Date:

Question: assalam-o-alaikum! mein aap se ye pochna chahta hun k daari(beard) rakhna sunnat ha agr mangeetar kahay k tum daarhi(beard) kato werna mein tum se shadi nahi kerti to kia hukam ha mere liay k mein daari katwaon ya shadi chor dun,,,,kyun k daari mje apni jaan se aziz ha....please mje meri ID pe mail ker dain bohat meherbani hogi.....i shall be very thankful to you.

Answer: Dhari k moondhna (shaving karna ) ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai..(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042,) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56468
Mujtahid:
Date:

Question: Roze me dadhi

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. Laikin darhi mundwane se roza batil nahi hota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042, 1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57534
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum...mujhy ap c ye puchna h agar koi darhi rakhny ki niyat karly or wo abi barhi na ho usi douran wo darhi mundwa k khat rakhna chahy tou kya jaiz h?? or kch wajuhat ye b h wo darhi k ehkamaat p pura nai utar sakty

Answer: Wssalam o alykum, Ehtiyaat e wajib ye hai k dhaari moondhna jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 158 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60422
Mujtahid:
Date:

Question: sir darhi kitne rakhni chaye 1 mothe ya is se ziada

Answer: Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam log is dhari rakhne wale shakhs ko dekh kr kahen k ye dhari wala hai.(Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80) Dhari ko darmiyana rakhna sannat hai. yani na ziyada lambhi ho na buhat kam aur aik muthi se ziyada dhari barhana makroh hai.( ref: tehzeeb ul islam ,pg: 181) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61815
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam oalikum mera sawal hai kia job k liye dhari choti karana jaiz hai

Answer: Dharhi Choti karane me koi harj nahi. Ahtiyat-e-wajib ki bina per mard k liay dharhi mundhwana (clean shave) jaiz nahi. Or Ahtiya-e-wajib ki bina per mard ko ijazat nahi ke sirf thori ke baal rakhay or baqi mundhwa de. (Ref : Aqai Sistani,Jaded Faqhi Masayl, Masla # 473,474 Pg # 255). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61902
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: as salam o alikum sir mera sawal ye ha ke khya dahri ke baray me quran me khoi zikar ha ?

Answer: Quarn main darhi ka zahiran koe hokum nahi laikin bohot si ahadees main is ka zikr aya hay in main se aik hadees paish e khidmat hay.
Rasool Allah ne farmaaya: Aatish parast apni dhari mondte hain aur mouche barhaate hain aur magar hum musalmaan mouche chuti aur dhari lambi rakhte hain aur ye fitrat k mutabiq hai. Update on dated 17-04-2015.(Ref: Jadeed masail,jild#1,Mafhoom e pg# 78). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: a o a janaab mera swal hi k fiqa jafria k mutabaq darhi ketni honi chahyia ahdees r quran ka hwala b din thnks

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina thorhi(chin) ki darhi k baal moondna(shave) jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), al-masel ush shariyah,Mafhoom e Question #14). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63805
Mujtahid:
Date:

Question: kya french darhi islam ma jayez ha ?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per french cut rakhna jaiz nahi hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 158, Mafhoom e pg #80). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71804
Mujtahid:
Date:

Question: majburi mai darhi katana kesa (majburi:job na milna log jaha b jao kaha jata ha darhi katni padgi maine kai job chod di h dadi katne ki bat ko le kar par job kana b zaruri h to please bataye mai kya karu )

Answer: Ehtiyaate wajib ki bina per dhari mundwana jaiz nahe hai aur kise company me job ki khatir is ka mundwano halaal nahi hota. (Ref: Jadeed fiqhe masaail,pg:258,masla:486).
Mashwara: aap aisa karain keh French cut drahi ayatollah sistani d.b k fatwe main ehtiyaat e wajib ki bina per durust nahi laikin aap is ehtiyaat main fal alam(2nd aalam mujhtahid) ki jaib ruju ker lain, agar on k fatwe main frenchcut darhi jaiz ho tu phir aap frenchcut rakh ker job ker lain. Or yun loog bhi aap per ayteraaz nahi karain gaey or aap ko job mil jaey gi or aap haram se bhi bach jain gaey.

Print

Id:
74078
Mujtahid:
Date:

Question: Kia Mard ka apni biwi ki ijazat k beghair darhi rakhna jaiz hai ya ni. Agar darhi rakhny pa biwi nakhush hai to mard ko rakhni chya ya ni ?

Answer: Darhi rakhne main bivi ya waldain ki ijazat ki zarorat nahi or on ki is kaam main naraazgi se bhi keo faraq nahi perhta. Allah ko naraz ker k makhlooq ko khush nahi kia jaasakta.(Ref: tauzihul masael jaame, part#1, maslah#2291). Up to date: 15-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81720
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya me ramjaan me shaving aur cutting kara sakta hu

Answer: Shaving kernaharam hay lekin cutting karwa sakty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2042+ Mujtahid say poochay gaey sawalaat jild#4, maslah#196). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86327
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir mein huquq Allah aw huquw ul ebad ka zeyada khyal rakta ho. darhi rakne ke buhut koshish ke liken barqrar nahi rak sakta ho. Darhi tora barhi karti ho aik no. Tak .Per mundwata ho. Ke ye gunaeh kabira mein shumar hota hai ya saghira mein.

Answer: Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam log is dhari rakhne wale shakhs ko dekh kr kahen k ye dhari wala hai.(Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80.2) Dhari monda ehteyaat ki bina jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39 th edition, maslah #2042,1553 ). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya roze me shaving krna jaiz he

Answer: Darhi mondna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2042). Update on dated 17-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-20

Question: Kia khat rakhny k baad clean shave krna gunh hy?

Answer: Daarhi ka moondhna (clean shave) ehtiyaat e waajib ki binaa par haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042),
[Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: darhi rakhna sunnat hai Lekin kya kiya darhi rakhna sy koi bhi nabi ho jata h

Answer: Darhi mundna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02752/).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
1

Print

Id:
108092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-05

Question: dhari k baal kutrna haram hai ya nahi kindly mujhe daleel k sath btata kisi b kitab ya hadees ka hawala dy kr

Answer: Dhari ka mundwana ehtiyate wajib ki bina par jaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02752/).
[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-12-01

Question: Sir meri Ammi mujhe darhi katwany ka bar br kehti hn k meri darhi abhi cheeks per sahi sy nahi ayi but thodi per agae hai is liye mera shou hai darhi rakhny ka aur meinahi chahta hn k darhi puri tarhan ajay tu uski seeting krwa lon ? Any suggestion From Hadees e Nabwi SAW?

Answer: Darhi mundna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02752/).
Dhari ki Sharie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam log is dhari rakhne wale shakhs ko dekh kr kahen k ye dhari wala hai.(Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111691
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: mangal k din darhi or sir k bal mundwana theek hai ya nhi?

Answer: Din chahe mangan(tuesday) ho ya koi aur, Darhi ka mundwana ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai. lekin sar ke baal mundwana jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 33rd, maslah #2042)
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-05

Question: A.O.A Mera sawal ye hai ka fiqa jafriya ma darhi sunat ha ya wajib.

Answer: Daarhi ko mundwaana ehtiyat e wajib ki bina par haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042).
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112048
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-16

Question: Dhadi aur moochh katwane se gusal toot jati hai ya nahi namaz padh sakte hai ya nahi quran sharif padh sakte hai ya nahi

Answer: Daarhi ka mundhwaana ehtiyaate wajib ki bina par haram hai.
Laikin ye amal mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai lehaza aap ka wuzu salamat hai or aap namaz o quran bhi parh sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-28

Question: Dharhi mund Kar(chips Kar) namaz padhna kaisa hadees ki roshani me

Answer: Daarhi mundwana ehtiyat e wajib ki bina par jaaiz nahi hai. Lekin is amal sai namaz saaqit nahi hoti adaa karna wajib hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042).
[Updated on 28-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114800
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Darhi ki niyat kr k darhi rakh li jaye or phir kisi majboori ki vaja se mundvana jaiz he?

Answer: Darhi ka moondna(mundwana) aur is ki aujrat lena ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin hai laikin majboori ho to jaiz hai ya is ka tark zarrar ka sabab banay aur mushaqat bhi aisi k aam tor par osay bardasht na kia ja sakay. Chahay tamaskhur aur ahanat q na ho.(yani koi mazaq hi q na karay).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2042).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114866
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-31

Question: جو شخص داڑھی رکھنے کا وعدہ کرے پہر منڈوا دے کیا حکم ہے

Answer: 1-Daarhi mundwana ehtiyat e wajib ki bina par jaaiz nahi hai. Lekin is amal sai namaz saaqit nahi hoti adaa karna wajib hai.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042).
2- wada ki mukhaalfat karna gunah e azeem hay. (Ref: Minhajus saliheen, ayatullah sistani jild, 1, maslah#30)
[Updated on 28-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
[Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115463
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: Can we remove pubic hair between 1 to 10 of zulhajja

Answer: Yes ,you ( can remove pubic hair between 1 to 10 of zulhajja ) and There is no problem in it. . (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0271/).
[Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120686
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-10

Question: Dhari 40din ke bade mundwae tu kaffara Dena chahiye

Answer: Dharhi ka moondna(mundwana) ehtiyat e wajib ki bina par jaiz hi nahin hai. chahe jitne din bhi guzr jayen. Dharhi ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam loog ise dhari wala kehain . (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80)
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2042).(is ka maali kaffara tu koi nahe hay bas ehteyatan ) Tauba karain.Khudawand-e-Alam nay Quran-e-Majeed main wada kiya hay kay agar insaan khud is kay khilaaf amal na karay to Tauba qubool ki jaey gee.Ref:Istiftaat A.Sistani I-53.
[Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-28

Question: AoA. Kya darhi na rakhna gunah e kabira hai? Aur kya darhi moondhna bhi gunah e kabira hai?

Answer: Mard par daarhi moondhna ehtiyaat e wajib ki bina par jaaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2042).
[Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-28

Question: AoA. Kya darhi na rakhna gunah e kabira hai? Aur kya darhi moondhna bhi gunah e kabira hai?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120940
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-28

Question: AoA. Kya darhi na rakhna gunah e kabira hai? Aur kya darhi moondhna bhi gunah e kabira hai?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-28

Question: AoA. Kya darhi na rakhna gunah e kabira hai? Aur kya darhi moondhna bhi gunah e kabira hai?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120942
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-28

Question: AoA. Kya darhi na rakhna gunah e kabira hai? Aur kya darhi moondhna bhi gunah e kabira hai?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-11

Question: Agr 18 saalki umar ma darii na aye to kia kry kyy darii a jye?

Answer: Agar darhi nahin aa rahi to is ka laana (yani koi bhi cheez istimal kar ke ugana) wajib nahin, Han albatta aane ke bad mard par daarhi ka moondhna ehtiyaat e wajib ki bina par jaaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2042).
[Updated on 11-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-09

Question: Plz explain the minimum size of beared ?

Answer: Dhari ki Sharaei miqdaar ye hai ke zaroori hai ke ( itni miqdar me rakhi jaye ) aam log ise dhaari wala kahen.

(Ref: Mujthid se poushey gye sawalaat, part #1, ques #159, pg #80).
[Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121620
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: بیوی سے رومانس کرتے وقت اگر میری داڑھی کی وجہ سے بیوی کے چہرے پر دانے آ جاتے ہیں، کیا میں اس بنا پر شیو یا مشین کر سکتا ہوں؟؟

Answer: 1: Is surat me bhi daarhi ka mondnaa (clean shave) ya machine se is tarah se banana ke mondnay ki tarah ho to Ehtihyat e wajib ki bana par jaaiz nahin hai.
2: Daarhi mondnay ke Haraam honay mein meyaar yeh hai ke dosray log insaan ko jab guftagu aur mulaqaat ke waqt dekhen to ye kahen ke daarhi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #425,427).
[Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121791
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-04

Question: Dari mundwana ya choti dari rakhna kya bhtr hai ?

Answer: 1: Daarhi ka mondnaa (clean shave) ya machine se is tarah se banana ke mondnay ki tarah ho, Ehtihyat e wajib ki bina par jaaiz nahin hai. balke dharhi rakhne ki Sharaei miqdaar ye hai ke zaroori hai ke aam loog use dhari wala kahen.
2: Daarhi mondnay ke Haraam honay mein meyaar yeh hai ke dosray log insaan ko jab guftagu aur mulaqaat ke waqt dekhen to ye kahen ke daarhi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #425,427).
[Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123160
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-28

Question: Mangal k din hair cutting krwana k Bary mein kya hukam hai

Answer: Din chahe manganl (tuesday) ho ya koi aur din ho, Daarhi mondna ya mundwaana (Shave karna ya karwana) ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hain. lekin Mangal ke din sar ke baal kaatna (hair cutting) riwayaat main mana nahin aaya.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2042. + Tehzeeb ul Islam, Allama baaqir majlisi(r.h), pg #185-188).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124023
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-31

Question: dhari rakhna Shoru ki ho Aur dhari bharny kay kuch Din bad bivi Kahy kay ahbi dhari nhi rakhk mjhy achy nhi lgrahy jab ALLAH Umrah par bulaay tab say rakh lena tu isky leey kiya hukum hai dhari kam krwa sakty hen?

Answer: Ehtiyaat e wajib k taur per merd k liay darhi mundwana jaiz nahi hay..
Dhari ki kam se kam miqdaar itni honi zarori hai k aam loog osay dhari wala khain. Or aik balisht se ziyada darhi behter nahi.
(Ref : mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 159,pg # 80, ,Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 473, http://www.sistani.org/english/qa/01136/ )
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124024
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-31

Question: dhari rakhna Shoru ki ho Aur dhari bharny kay kuch Din bad bivi Kahy kay ahbi dhari nhi rakhk mjhy achy nhi lgrahy jab ALLAH Umrah par bulaay tab say rakh lena tu isky leey kiya hukum hai dhari kam krwa sakty hen?

Answer: Ehtiyaat e wajib k taur per merd k liay darhi mundwana jaiz nahi hay or ehtiyaat e wajib ki k taur per merd ko ye huq nahi pohanchta k sirif thorhi k baal rakhay or baaqi mundwaay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 473).
Dhari ki kam se kam miqdaar itni honi zarori hai k aam loog osay dhari wala khain. Or aik balisht se ziyada darhi behter nahi.
(Ref : mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 159,pg # 80+ http://www.sistani.org/english/qa/01136/ ).
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print