Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Question & Answers << Go Back

Topic: Zina (430 Questions)

Showing 400- 430 questions from 430 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
120735
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: kya ik zina kaar aurat mehr ki haqdaar hai ya nahi?

Answer: Zina bil jabr karne per zina karne wala mehr e misl ka zaamin hota hay. Agar aurat zina me mashoor ho to ehtiyat ki bina par us aurat k tauba karne sai pehle koi us sai shaadi nahin kar sakta, lekin jab wo tauba kar le or koi us se nikah karna chahe to use mehr dena zaroori hai. ( yani wo bhi mehr ki haqdaar hai ).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani, edition #42, maslah #2364. Tauzeeh ul Masail Jaame, part #4, edition #1443, Maslah #217+ https://www.sistani.org/persian/qa/0930/#13016).
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120801
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: Ma yeh pochna chahta hun ka zina kb hota .....agr upar upar kiya ho or andar na dala ho to zina kya? Larki ki Sharamgah ka upar upar hi kr ka discharge ho jao or andar ni dala to zina kya ? Mtlb sharamgah ko khol ka upar upar malta rha to zina kyA? Ma bhtt preshsn hon kch btayen

Answer: Zina ye hota hay ke aik baaligh or aaqil mard (yani jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vegina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liay halal na ho. ye zina kehlata hai. or aisa karna Haram or gunah e kabira hay.
(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hij, Maslah #30).
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
120823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: Agar aap kisi unmarried ladki ke sath neend main zina karte hai toh kiya hota hai?

Answer: Is sawal ka jawab diya gaya hai
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120903
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-24

Question: Assalam o Alaikum ek sunni larki ki zaberdasti shadi hojati hai phr wo kisi na mehram se zina krti hai usky bad kisi wajah se uski shohor se talaq hogai phr us larki ne nikah krlia jisky sath zina kia tha kya wo nikah jaiz hai? larki sunni hai or larka shia.. shia Islam mein wo nikah haram hai jb k sunni Islam mein wo nikah jaiz hai agr sachi tauba ki jaye tou. dono ne dill se sachi taubah ki hai kya wo nikah jaiz ho sakta hai koi na koi tou rasta hoga Allah boht kareem h rehem krny wala hai beshak asman k barabr bhi gunah hojayen tou Allah tala muaf krdeta hai pls koi hal bta den k wo sachi taubah k bad nikah kr saken

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120904

121040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-17

Question: Assalamualaikum agar kise ko pata ho ka zina karna Guna hai fir be galti sa ho jaya tab ka usna phele be mafi maagi thi to usko 2 mafi Mila gi kya ???

Answer: Agar koi shakhs aik martaba zina ka gunah anjam de kar Allah taala se maafi mang lay to agar dobara usi gunah ko anjam de to zaroori hai dobara Allah taala ki baarghah me sachay dil se tauba talab kare. lehaza Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki barghah me tauba kar lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur yaqeenan use bhi bakhsh degi.
Aur tauba is tarah se ki jaye ke sub se pehlay shermindagi ka ehsaas kare or Allah se maghfirat talab kare or khud se ehed or wada kare ke is gunah ko dobara anjaam nahin de ga, or hameshah yaad rakha jaye ke Allah daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar wo shaitan ka hokum maan raha hai or Allah ki na-farmani kar raha hai. aur koshish ki jaye ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker le jaisay sports, study (parhayi), duniyawi kaam kaj waghaira, aur har us cheez se bache jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar khud par qabo nah paa sakta ho to roza rakhe Q ke roza ghunahon ke muqabilay main dhaal ka kaam karta hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121287
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: Kapdon ke upar se ek dusre ki sharmgah touch karne se zina ho jata hai kya?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-06

Question: Agr aik larki k Sath mai nai zina kia or wo virgin thi or aik dusri larki k Sath kia jo virgin ni thi .kia dono surton mai mjhy utna hi gunnah ho ga?

Answer: 1: Zina karna Haram or gunah e kabira hai chahe larki virgin ho ya virgin na ho.
2: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho.
3: Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
4: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.

(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121380
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-15

Question: Muj sy zina hogya hai kawari larki k sath kafi dafa..mane usy shadi ka jhoot bol kr zina kiya uska istamal kiya ab mai kiya krn mujy is per bhoot pachtawa hai.wo larki mujy shadi k liye kha rhi hai.mane usy kha hai mai ni kr skta...mujy ab bhoot guilty feel ho rha hai.kiya mai usy chor dia hai.or ALLAH sy mafi mangi hai kiya mera gunha maf ho jaye ga...kue mane suna hai qiyamat k din her shaks ko usky sath na insafi ka pur badla dia jaye ga.kiya mery mafi mangny sy ALLAH is harket ko maf kr skta yai mujy phely us shaks sy mafi mangni chahiya jis ka dil dukaya hai.

Answer: 1: Agar koe shakhs aisi bay shohar aurat ke sath zina kare jo iddat main na ho to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala) is larki ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo mard is larki se nikah nahin kar sakta, Han agar tauba kar le to nikah kar sakta hai. or dosri baat ye ke larki agar kunwari hai aur larki ka wali (yani baap ya dada) maujood hai to wali se nikah ki ijazat leni hogi, lekin agar larki ka wali (yani baap ya dada) maujood nahin hai to phir is se tauba karne ke baad nikah sakti hai).
2: Is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2341,2342,2364,2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 15-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-14

Question: Hi sir muj say gair muslim larki say zina ho gya tha abi wo apnay gahr chali gye hay us ko hamal ho gaya is ke liye kiya karon main bohat parshan hoin us ko 5 months ho gye hain

Answer: 1: Zina karna Haram or gunah e kabira hai chahe larki muslim ho ya gair muslim. Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi.
3: Qarar e nutfa (yani mani ke rehem main thehernay) ke baad isqaat e hamal jaiz nahin hai magar ye khauf ho ke hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi ke liye nuqsandah hai to hamal main agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal me jan parnay ke baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahin hai.
4: Agar maan khud bachay ko zaya kare to is ki diyat maan par wajib hai aur zaroori hai ke wo diyat bachay ke baap ya doosray worsa ko day aur agar baap hamal ko zaya kare to is ki diyat baap par wajib hai aur zaroori hai ke wo maan ko ada kare agar geraane wala doctor ho to diyat doctor par wajib ho gi agarche doctor ne maan aur baap ki darkhaast par hi isqaat kyuon na kiya ho magar ye ke waris ise diyat maaf karde.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #72, pg #466. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-31

Question: Mujhe maloom hua k mera shohar jis se meri arrange marriage hui hai wo 4 saal pehlay kisi gair larki k saath zina kr chuka hai liken usi saal umrah k baad wo namaazi wgera bn chuka tha aur mai ek shareef paak larki hun. Mai ne poochna tha k kya mujhe apnay shohar ko maaf kr dena chahiye us k maazi p k us ko confront krna chahiye? Aur agar nhi confront krna chahiye kyun k wo us ka maazi hai tow mai apnay dil o dmagh ko kaise sukoon dun?

Answer: 1: Zina Gunahan e kabeera men se hai lehaaza lazim hai ke zina karne wale Allah se tauba talab karay. aur agar maazi me us ne zina kiya hai to sache dil se Allah taala ki barghah me tauba kare to yaqeenan khuda wand-e-mutaal Ghafoor-o-Raheem hai aur apne bandon ko muaaf karne wala hai aur yaqeenan use bhi muaaf kar dega.
2: Albatta aap dono apni shadi shuda zindagi ko behtar banane ke liye zaroori hai hai ke aik doosre ki chhuti chhuti baton ko nazar andaz karen, aik doosre ke sharaei huqooq ka khayal rakhte hue aik doosre ki ghalation se darguzar karen, or is baat ki koshish ki jaye ke zindagi ki bunyad piyar o muhabat par ho. aur koshish ki jaye ke aise kamon ko anjam diya jaye jis se aap dono ke darmiyan taluqat behtar ho jayen.
3: Miyan, biwi ke piyar o muhabat ka wazifa: Miyan biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #30. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ + Kitab Naway Saliheen, pg #404).
[Updated on 01-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121652
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-09

Question: Shadi k bad agr Zina ho jaay tou IMAM (as) k aqwal ki Roshni mein iski Toba r kufara kaisy amaal kiya jaay ?

Answer: 1: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taal ki barghah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala, Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur ise bhi yaqeenan bakhsh dega.
2: Inssan jab tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi naadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izaala or tadaruk karta hay. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab day. Or agar huqooq e naas (logon ke huqooq) os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se us haq ka apnay upar halal honay ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah k tark karnay ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobara tauba karay. Q ke Khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay. or tauba karnay walon ko dost rakhta hay. Hadees shareef main hay k: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or us ka apnay bandon par haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.

(Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011).
[Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121739
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: Meine zina kiya hai aur mein touba bhi ki bohat bohat sharminda hn mera ek dost hai usko.iska maloom hai wo mujhe bulne nhi deta aur mujhe touba k bad bhi aaisa dukh rehta hai k mujhe maafi nhi mile gi

Answer: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega.
2: Inssan jab tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi naadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izaala or tadaruk karta hay. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab day. Or agar huqooq e naas (logon ke huqooq) os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se us haq ka apnay upar halal honay ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah k tark karnay ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobara tauba karay. Q ke Khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay. or tauba karnay walon ko dost rakhta hay. Hadees shareef main hay k: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or us ka apnay bandon par haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.
(Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, tauba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121922
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-26

Question: Khwab me zina krne pe ghusle janabat karna hota hai?

Answer: Agar koi Khuwab me zina karte dekhe to is wajah se ghusl nahin karna hota, Han agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij hui (yani ihtelam hua) hai to phir ghusl karna hoga.

Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344).
[Updated on 27-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Zina ka kiya kafaara ha.

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or gunah e kabira hai.

2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega.

3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain:
1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga.
2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122453
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-26

Question: Zina howa ho mgr gawa na ho is or kia kiya jay

Answer: 1: Zina Haram or gunah e kabira hai, ab agar is par koi gawah maujood na ho phir bhi is ke liye tauba karna aham tareen umoor aur wajibaat me se hai.

2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. Aur parwardigar ne quran me wadah kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai.
Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122472
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-26

Question: جناب ایک شادی شدہ عورت سے زنا کیا اس سے ایک بچی ب پیدا ہوئیں اگر وہ اپنے شوہر سے طلاق لے لے تو کیا میں اسے نکاح کر سکتا ہوں اس کا شوہر اس کے حقوق پورے نہیں کرتام

Answer: 1: Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna Haram or ghunah e kabira hai.

2: Ehtiyat e wajib ki bina aap us se nikah nahin kar sakte Q ke agar shohar daar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne wale) par hamesha ke liye Haram ho jati hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2366).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-24

Question: Zina ki mafi kya ho sakti hai

Answer: 1: Zina Haram or ghunah e kabira me se hai aur is se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.

2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega Q ke Parwardigar ne Quran me wadah kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain:
1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga.
2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407. + sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ).
[Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: Kam Umar bachi k saat zina Ka Kia saza hai

Answer: Zina chahe kam umer bachi se kiya jaye ya bari umer ki aurat se kiya jaye dono soorton me ye Haram aur ghunah e kabira hai. Aur kabira ghunah se muraad ye hai: baaz mufassreen ne un gunaahon ko kabira qarar diya hai jin par quran Majeed mein azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai. Isi tarah baaz hazraat ka yeh kehna hai ke ghunah e kabira woh ghunah hai jis ke irtikaab karne walay par ”had e sharaei“ jari hoti hai. lekin sab se behtar yeh hai ke hum yun kahen ke baaz ghunah ko Kabira kehna khud is ke azeem honay par Dalalat karta hai, lehaza jis ghunah mein darj zail sharait mein se koi aik shart payei jaye to woh ghunah kabira hai:
1. Jin gunaahon par azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai.
2. Jin gunaahon ko quran o sunnat mein aham qarar diya gaya hai.
3. Jin gunaaho kon sharaei manaabe mein ghunah kabira se bhi azeem qarar diya gaya hai.
4. Jin gunaahon ke baray mein muatabar riwayaat mein kabira honay ki wazahat ki gayei hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Link: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60134&catid=6478 ).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-17

Question: A.o.a! , mera sawal ye hai kay agar mard ki sharamgah aurat ki sharamgah kay sth touch ho or shak ho kay uska monh thora sa aurat ki sharamgah mai gia ho to kia ye zana mai ata hai ..mukamal intercourse na howa ho...

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or ghunah e kabira hai.
Lekin agar is miqdaar ke daakhil hone me shak ho to ye zina to nahin kehlaye ga lekin is ke baawujood bhi na-mehram mard aur aurat ke choone ke aitebaar se ye kaam Haram or ghunah e kabira hoga.

2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123589
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-18

Question: agar koi kisi ke sath zina kare unki marji k bagir jab wo so rahi ho aur use pata hi nahi ke uske sath maine zina kiya hu to kya tauba ke liye mujhe us ladki se bhi mafi mangni zaroori hai

Answer: 1: Us se maafi mangna zaroori nahin hai lekin sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kar lain to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega.

2: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

(Ref: link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010)
[Updated on 19-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123704
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-02

Question: Assalam o alikum Moulana sahab. Ek larki se meri engagement hui hai . Ab engagement k bad pata chala hai k wo larki jab 6 months ki thi tou apne maa baap ki shadi me bhi thi . Mtlb us larki k maa baap ne shadi se pehle hambistri ki thi tou yeh larki hogyi phir wohi maa baap ne nikkah karlia bad me . Ab me is larki se shadi krne wala hon . Tou mere ghar wale khilaf ho rahe hain kehte hain k larki hamare ghar pe bhari pre gi . Tou aap batayen kia mere ghar wale sahi bte hain . ? Yaa wo larki thk hai ? Koi gunahegar tou nhi hai ? .yeh rishta sahi rahega .?

Answer: Zina ke baray me surah israa, ayat #32 me kaha gaya hai ke "Aur zina ke qareeb bhi nah jao, yaqeenan yeh barri be hayaei hai aur buhat bura rasta hai".

Note: zina un tamam iqdaar ko darham barham kar deta hai jin par khandan ki tashkeel ka daar o madaar hai. zina ke nateejay mein peda honay walay bachay ka nah koi zimma daar hota hai aur nah hi aurat ki izzat o aabaroo ka koi maqam baqi rehta hai.

(Ref: Al-kausar fi Tafseer e quran, jild #4, pg #512 se 514. + jild #5, pg #422 se 430).
[Updated on 03-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123727
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-07

Question: Agha zina me or zbardsti zina me kya farq h agr koi insan ab use yad nhi ki wo us wqt baligh tha ya nhi..kisi nabaligh ladki k sote hue apna sharmagah ko uski sharmgah se touch kre kya yh zina h..or koi kaffara hoga..or wo ladka allah k huzoor mafi mangle..lekin uske dilme bht sal bad yh khalish uthe ki usne us ladki se mafi nhi mangi..or gunah ka izhar krnhi sakta wo haram h..kya kre allah se hi tauba kare..mehrbani ap jwab

Answer: Zina us fel e haram ko kaha jata hai k baqaida Mard apni sharamgah ani zouja k ilawa kisi khatoon ki sharamgah me insert kre.
Agr dono ki riza mandi se yh kaam anjaam paya hai to iss gunah e kabira me dono shareek hai lekin agr Kisi aiik ne jabran yh haram kaam kia hai to majboor pr haram nhi hai or yh Zina e Jabari kehlata hai aisi sorat me Uss aurat ko mehr e misli(Jitna umomi tour pe uss khaton ko mehr dia jata hai) bhi dena lazim hai..
Agar toh faqat sharamgah se touch kia hai to yh haram hai lekin zina shumar nhi hota
(Reff: Website Agha Sistani d.m)
[Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123852
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Kyo biwi sohar ki ijaat se zina kar sakti hai

Answer: Nahi kar saktay khud Zina karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30).
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Sallam ak aurat say zina k bad us aurat ki bathi k sath nikah karsakte hai plz answer

Answer: Agar wo aurat (jis se zina kiya hai) khala ya phuphi nahin hai to us ki beti se shadi kar sakte hain. lekin behtar ye hai ke us ki beti shadi na karay.
Lekin agar wo aurat (jis se zina kiya hai) khala ya phuphi hai to phir us ki beti se ehtiyat-e-wajib ki bina par shadi nahin kar saktay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2359,2361).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125581
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-03

Question: asalam o alikum .Agar koi mard kisi larke se zina kare to os mard ka beta ose larke sa nikah kar sakta ha?

Answer: Zaani (zina karne wale) karne wale ke alawa koi doosra shakhs us larki se nikah kar sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2364).
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125815
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: Agr Kisi ladki ka rape ho gya ho past ma or jis sy aus ki shadi honi hai aus ko pata chal jahai toh Kya larka aus ladki sy shadi kar sakta hai

Answer: Zina karne wale ke alawa koi doosra shakhs us larki ke sath shadi kar sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #2364).
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125932
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: mn bht sharminda hu ye baat puchty hue b k mene aik larki k sath sex to nahi balke apna uzzu tanasul uski sharamgah mn thora sa insert kiya par mene proper sex nahi kiya na he meri manii kharij hui to kya yeh b zina hy? agar hay to uski kia maafi ya kaffara hy? mn ussi larki se shadi karlu

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh aur aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glans penis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vegina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. ye zina kehlata hai. aur aisa karna Haram or Ghunah e kabira hai.

2: Zina kise kehte hain ye bayan kiya gaya ab agar is tarah ka kaam kiya ho to us aurat ke tauba karne se pehle aap us se ehtiyat-e-wajib ki bina par shadi nahin kar sakte Q ke agar koi shakhs aisi bay shohar aurat ke sath zina kare jo iddat main nah ho to Ehtiyat e wajib ki bina par zaani is aurat ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo aurat is zina se tauba nahin kar leti, ehtayat-e-wajib ki bina par aap us se shaadi nahin kar sakte).

3: Jo shaks shadi na karne ki wajah se haram kaam (jaise zina) me mubtela hota ho to us par wajib hai ke shadi kar lay.

4: Is ka kaffara to nahin hai lekin chunke zina karna Haram or Ghunah e kabira hai lehaza zaroori hai ke sharmidagi ke sath aur sachay dil se Allah taala ki barghah me tauba kar lain to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur aap bhi yaqeenan bakhsh dega.

5: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain:
1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga.
2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1439 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2364,2407). + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126314
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-15

Question: Assalamualaikum Meri magni hoi but hum dono ki ki mulqat mein agye sy sex ho gya us is Amal ka irada ni tha back side Sy krta howy agye dakhol ho gya kia is Amal KY bad hamra nikah ho ga ya ni or is KY koi ettiyaat adha krny pary gye

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh aur aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glans penis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vegina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. ye zina kehlata hai. aur aisa karna Haram or Ghunah e kabira hai.

2: Zina kise kehte hain ye bayan kiya gaya ab agar is tarah ka kaam kiya hai to ehtiyat-e-wajib ki bina par larki ke tauba karne se pehle larka us se shadi nahin kar sakta Q ke agar koi shakhs aisi bay shohar larki ke sath zina kare jo iddat main nah ho to Ehtiyat e wajib ki bina par zaani is larki ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtayat-e-wajib ki bina par wo larka is larki se shaadi nahin kar sakta).

3: Jo shaks shadi na karne ki wajah se haram kaam (jaise zina) me mubtela hota ho to us par wajib hai ke shadi kar lay.

4: Chunke zina karna Haram or Ghunah e kabira hai lehaza zaroori hai ke sharmidagi ke sath aur sachay dil se Allah taala ki barghah me tauba kar lain to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur aap bhi yaqeenan bakhsh dega.

5: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain:
1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga.
2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye.

(Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1439 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2364,2407). + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
[Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Sir ek dost hai mera uska uski behen ke sth zina hogya hai iska kya kaffara hai ?

Answer: 1: Zina karna gunah e kabira hay aur mahaarim aurton (maan, behe, beti) se zina karne me is me ziyada shiddat hai. lekin aap par tauba laazim hai.
2: Zina ka kuffara sache dil se tauba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura #66) ki tilawat karte hue Allah Taala ki baarga main tauba kijye.
3: Tauba ka sahi mafhom ye hai ke sab se pehlay to aap ko apnay is ghunah par nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay ke is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahin dain gi. or hamaisha yaad rakhain ke Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day kar shaitan ka hukum maan rahay hain or Allah ki na farmani kar rahay hain.
4: Is ghunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (Jaise jinsi filmen dekhne, mushtzani e.t.c........) me mubtila hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj-us-Saliheen, part #1, maslah #30. + Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #37. + (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407).
Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print