Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Music & Song (56 Questions)


Showing 50- 56 questions from 56 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
110753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-22

Question: Aoa. Qawalli sunnay ka kia hukum he Jese Nusrat fateh ali khan ki?

Answer: Wo moseeqi jo aisi ley(Tune) k saath gae jaey jo lahv o laheb ki mehfilon sai makhsoos ho us ko gaana,sunna,seekhna ,sikhaana jaiz nahi hai.chahey agar quraan dua wagera bhi aisi tune k saath parhi jaey, jo lahvo lahab ki mehfilon sai makhsoos hai tu jaiz nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2043).
[Updated on 22-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111998
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-17

Question: Bagair music k singing Karna gunaah hai kiya ?

Answer: Gana gunah e kabeera hay or music alag gunah hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2043).
[Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
113294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: As Salam O Alaikum Ahle bait (a.s.) pr durood o salam hon Mjy phli bt ye puchni ha k aj kal jo manqabat and naat bn rai ha jis m Ahle bait (a.s.) k zikar k sth sounds effects hn wo ya music ha ya kuch or to ye sb deen k mutabiq jaiz ha kia? Deen m Ahle bait(a.s.) k naam k sth ye sb krni ki ijazat ni hn haina?

Answer: Wo qasiday jo kisi khoobsorat awaz me parhe jaen lakin in me gina(song) ki kefiyat na ho to is me koe haraj nahin hai. aur jo mosiqi lahw o laib(bayhoda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal he. Lekin jis men gina(song) ki kefiyat ho to jaiz nahin hai. aur jo mosiqi lahw o laib(bayhoda mahaafil) se munasibat rakhti ho wo haram hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 557 pg # 281)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: Kya English song sunna jaiz hy?? Kiu k English song may smjh ni ati lakin us ka music acha hota hy aur mujhy kisi bury kaam ke trf maeel ni krta. Aur may motivate hota hu. Mairy dimag may koye bura khyal bhe ni ata. Tou kya English song sunna jaiz hua mairy leya??

Answer: Ghina(song) chahe kisi bhi zaban me ho or burayei ka ehtemaal ho ya na ho Haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hai jisay aisi lai (tarz) ke sath gaya jaye jo lohv o laeb(faajir o fasiqo) ki mehfilon sai makhsoos ho. aur gina ka sunna bhi Haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2043. + Alfiqho lilmugtarebain , Aqai Sistani, pg: 62).
[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-04

Question: Aalat e musiqi qaseedy me halal hai

Answer: Aalat e mosiqi ki do aqsam hain:
1: Agar wo mosiqi se makhsoos aalaat mein se ho to is ka banana, istifada karna, seekhna aur maamla karna haraam hai.
2: Agar wo mosiqi ke mushtarik aalaat mein se ho (yani wo aalat jo halal or haram dono me istimal hote hon) to mein koi harj nahi hai magar is se haraam istifada karna jaiz nahi hai. yani mosooqi aalaat ko is tarah bajana jo lohv o laeb ki mehfilon se mutabiqat rakhay to haram hai is ke alawa Haram nahin hai. ab wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhe jayen lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koi haraj nahin hai. jo mosiqi mahafil e lahw o laib (behuda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal hai.
Lekin jis men gina(song) ki kefiyat ho to jaiz nahin hai. aur jo mosiqi lahw o laib (behuda mahaafil) se munasibat rakhti ho wo Haram hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail ,Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 2043).
Jadeed Fiqhi Masail, Maslah #557, pg #281).
link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02871/ ).
link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01794/ ).
[Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122186
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-26

Question: Assalamun Alaikum Sir Kya Daf Pe Naat Ya Maqebat Padh naa Kaisa hai Jaise Nadeem Sarwar Ne Padh hai us Daf Pe Ya Kohi bhi Daf pe ham Padh Sak te hai Kay Plz Ans Dena...

Answer: Dayara (daf) lahw o lab(لہو و لعب) ke alaat mein se hai aur daf - chahe ghanti wala ho ya ghanti ke baghair - shadi aur ghair shadi mein is ka bajana jaiz nahin hai;
lekin kisi aur cheez ke zariye bajana jaisay thaal, pateela, tasht waghera jo aalatِ lahw o lab mein se nahin hai shadi aur ghair shadi mein agar mamool ke mutabiq ho to bazat khud jaaiz hai;
lekin agar aik khaas tareeqay aur andaaz se bajayen jo lahw o lab ki bazm ke munasib ho to ashkaal rakhta hai, aur ehtehyat e wajib hai ke use tark karen.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #413).
[Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print