Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Istekhara (93 Questions)


Showing 0- 50 questions from 93 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
144
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: Please quote the quranic refrence of "Istkhra"and it is true to act according to it.

Answer: Salam un Alaikum,
We are extremely sorry for the late reply. We will reply you soon next time insha-allah.
We have sent your question to A.Sistani and we got the answer as:
"Its not good to act against quranic istekhara".
Ref: Istifta A.Sistani

Print

Id:
982
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AS SALAM ALIKUM KYA EK SE ZIADA MARTABA ISTEKHARA NIKAL SAKTE HAIN YA NAHI. ALLAH HAFIZ

Answer: Agar aitibaar say bhi Mukhtalif ho to koi Haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-4.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2113
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: hum quran pak say faul kasay nikaltay han plz batayee or agar ma apsay apni anay wali zindagi k baray me kuch pochoo to ap mujay bata dain gay.mery rishtay k baray may.

Answer: bismehi taala, quran se istekahara kiya ja sakta he, aur is k liye kitab mafatihul jenan me tariqe likhe huve hain, shadi k mutalliq yeh istekhara kiya ja sakta he k phulan jagah par rishta karna kaisa he ?

Print

Id:
2128
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mulana sahab ma kisi ko pasand karti ho agar ma apko apna apni mama ka us larkay ka or uski mama ka naam bataoo to ap istihara ya faul nikal k batayee gay k rishta behtar ha k nai plz plz mujay apki madad ki zaroorat ha plz.

Answer: bismehi taala, is k liye aap par ruju karain.

Print

Id:
2140
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mulana sahab manay apna or us larkay ka nam bataya tha or apsay kaha tha istihara ya quran say faul nikal k bata dain k rishta behtar ha k nai apnay jawab nai diya agar diya to kis topic may answer ha meray mail id p bata dain main wahan us topic say say jawab par longi

Answer: bismehi taala, istikhare k liye aap sirf yeh niyyat kare k phula shakhs k sath shadi karna kaysa he ?, istikhare k liye kisi k nam ki zaroorat nahi hoti, istikahre k liye aap istikhara@shjnaqvi.com par ruju karain, hamari site par istikhara nahi dekha jata.

Print

Id:
2141
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mulana sahab apnay jo site batayee thi waha p manay sawal kiya tha lakin waha par mera sawal complete nai howa ap hoi plz meri madad karain or jo nam batayee thay ap hi mera istihara kar k bata dain ya unsaytak mera sawal pohancha k jo jawab ayee ga muj tak pohancha dain plz molana sahab plz

Answer: bismehi taala, istekhare k liye aap maulana Ali Raza mahedavi saheb se monday ko bitween 6-00 pm to 10-00 pm phone no. 7695169 par rabeta kar sakte hain

Print

Id:
2411
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam.. Maira sawal ye hai kay shaadi k silsilay main istekhara nikalna zurur hai aur aik dafa mana honay kee surat main dobara nikala jaa sakta hai ya nahi??? Aur khud istekhara nikala jaa sakta hai ya nahi??

Answer: Jee nahi, istikahra kerna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay.istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istikhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).

Print

Id:
3939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Istekhara result says it is better not to but no harm in doing something.What should be my choice if I dont want to do(as also the result shows) but husband feels we should?Please reply soon as we have to take a decision regarding travelling soon.

Answer:
Istimnah(mani ka kisi bhi zarye jism say nikaalna) haram hay.os lerki ka nikah kerna jaiz hay,laikin os ka kisi na-meram lerkay ko apna jism or sharamgaah ko dikhana or kiss kernay ki ijazat daina haram tha or os lerkay ka os na-mehram lerki k jism or sharamgaah ko dikhana or kiss kerna bhi haram tha. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #462).

Print

Id:
5091
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam, Mera nam Shameel hai aur mai Istikharey k barey mai maloom karna chahta hun. Mai nikah karna chahta hun aik larky sey lekin us larky ne istikhara kia aur sahy nai aya. us ky maa and behan ney bhy istikhara kia aur sahy nai aya. mai aur jinhein mai pasand karta hun wo bht sakht pareshan hain. ab kia humein ye rishta karna chahyey? kia istikhara per amal karna wajib he? kia istikhara k baghair shady nai ky jasakty? plz reply soon Allah Hafiz

Answer: 1)Istikharey ka mahal heerat he k insane k liay maslehat jaannay ka rasta na ho. 2)Istikharey per amal karna wajib nahi he.(ref : kitab jaded masail ayat ullaha sistani (d.b.) part 4 pg # 137)
3)Istikhara karne mein koi haraj nahei lakin ye wajib nahei he aur shadi ke lie istikhara karna ke baray me koi khas rawayat nahei aai. (Ref : mujtahid se poche gay sawalat part # 3, ques # 114, pg # 56)

Print

Id:
5341
Mujtahid:
Date:

Question: assalaam-o-alikum sar istkara karne ka tarika bta de?

Answer: Istekhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muth’thi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar karta jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daa’nain bachein to is kaam ko na karain.
(ref:sistani(d.b),website address, http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=47&sid=0&eid=0&page=2)

Print

Id:
6377
Mujtahid:
aqa-e-sistani Date:

Question: salam alekum,janab mera masla ye hai k kya istikhera behatar aane k baad us kaam ko karna wajib hojata hai,

Answer: Istekharay per amal karna wajib to nahi he magar is baat ka khaof zaroor he k is ki mukhalifat se naqsaan pounch sakhta he. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 204, pg # 93)

Print

Id:
14201
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: kya istikhara dekhne k koi auqat mukhtas hain? ya istikhara kabhi bhi dekha jasakta hai??

Answer: Marhoon mohaddis e kashani nay quran say istekhara karnay ka waqt ayyam hafat may zikr kia hay. Aur ye bhi farmaya hay k ye matlab mashoor hai aur phir farmaya:
Sunday ka din zohar tak aur asr say lay kar isha tak naik hay.
Monday ka din suraj niklnay tk aur ohir nihar say lay kar zohar tk aur asr say lay kar isha tk naik hay
Tuesday ka din nihar say lay kar zohar tk aur phir asr say lay kar isha tk naik hay.
Wednesday ka din zohar tk aur isha tk naik hay
Thursday ka din suraj niklnay tk aur phir zohar say isha tk naik hay.
Friday ka din suraj niklnay tk aur aur phir zawal say lay kr asar tk naik hay
Saturday ka din nihar tk aur zawal say lay kar asr tk naik hay. (Ref Mafatihul jinan pg no 214-15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16235
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Istekhara kb krwaya jata hai? Kia shadi k silsilay mai tehqeeq aur koshis aur bareek bini k baad istekhara krna jaiz hai?

Answer: Istekhara os waqt kia jata hai jb insan mashwara k baad bhi koi faisla na kr pae aur kisi aisay natejay tk na phonch sakay jo is ko pereshani sai nikal dai. Shadi bhi inhi mqamaat mai sai aik hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 112, pg # 55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
22158
Mujtahid:
Date:

Question: ma istikhara karwana chhati hu .larky ka nam (M.Asif.mother name zahida father name M.Ashraf) larki ka nam madiha jabar .mother name khalida parveen .father nam abdul jabbar

Answer: Istekhara karwanay k lie Pakistan k time k mutabiq dopahar k 2 bajay sai sham k 6 bajay tk aap is phone number par rabta karain : 0092 21 32226948. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
22438
Mujtahid:
Date:

Question: mera naam wassia ha....mere liye aik larkay ka rishta aya ha jis ka naam zeeshan ha....wo england ma rehta ha...mere barun ne us se bat ki ha....ap istekhara kr k bata dain k ye rishta mere liye behtr ha ya nai?plz mjy aj he jawab de dain

Answer: Aurat or os k wali(baap/dada) k liay behtr hai k larki k rishtay mai larkay mai on sifaat or khasaais par ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay k wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or burai or mohliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Istekharay k lie is number par rabta karain 021 32226948.

Print

Id:
32734
Mujtahid:
ISTEKHARA Date:

Question: Asalam o Alaikum mujhy apse istekhara karwana hai shadi k silsily main larket ka name hai saeed ur rehman walid ka name hai aziz ur rehman or mera name hai ismat walid muhamad naseem mother name haleema plz ap yeh istekhara zaroor nikalain or jald hi apka buhat shukar guzar hungi .

Answer: istekhara k lie Madrasa quran o Itrat Academy me contact kare number 021-32226948, 021-32237207 hay.( (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
36773
Mujtahid:
istakharaa Date:

Question: mjhy istkhara krwana h nam sehrish amin mother name sofia or lrkay ka nam rizwan kashif or us ki mother ka nam parveen h

Answer: For Istekhara please Contact # 02132226948,02132237207(2 pm to 6 pm)

Print

Id:
47307
Mujtahid:
mulana ayatollah sistani Date:

Question: as salaam alikum mulana saab i wanted ask can u do a istkhara for my brother syed askari hassan his age is 29 his getting so many musibat my ami abu are stressed out for him can u tell me when will his problems will finish and what should we do can u help me please and can u tell me a dua to read for him and for him to read to. and we are very pershan for him and thing more we got to many problems in over family can u do a istkhra for that to please tell me back ill be waiting for your replie thank you

Answer: Wssalam o alykum, you should ask the answer of istikhara to Alim who is near to your area or contact in Madrasa Quran o Itrat Academy, the contact number is 021-32226948, 021-32237207.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. Pakistan).
Recite the sura e Yaseen before him and make him drink the water of Sura e Yaseen. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 102).
Writ the sura e Inshiqaaq and make it hang on the wall of house so Inshallah all problem whice related with home will be finished. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 128 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)

Print

Id:
50921
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alikum mara naam burhan hai mari ami ka naam razia hai mari mangetar ka naam Perbhat hai aus ki ami ka naam afroz hai ap se ye puchna chahta hu ke perbhat se mari shadi thek rahe gi hum dono ke lea muj ap astkhara kar ke btaea plz z

Answer: Ye Madrasa quran o Itrat Academy ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay, ap yahan se istikhare ka jawaab hasil kar sakte hain.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. Pakistan , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52047
Mujtahid:
Date:

Question: 1. can we perform Namaz istekhara to know cure to illness? 2. Can we perform Namaz Istekhara to know if the marraige is going to be success or not if already married. 3. We perform namaz istekhara to know if the treatement which is already goingon is right for us there is cure from it?

Answer: 1.Nahi.
2.Nahi.
3.Haan. (Ref: istekhara e quran,taleef mujahid hussain hurr, pg#4,5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
101085
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya ham istakhara me pure waqaya pata laga skte ha ? Jese kisi ne jhut bola ho hamse aur us jhut se behad pareshan ho ham to kya ham ishtekhara karhke puri sachai pata kr skte hai

Answer: Istekhara in kamo k liay nahi hota.(Re: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-13

Question: Kya peshab ke naad pair pe paani daalna zaruri jai.?

Answer: Jis qaleel pani se peshab ya pakhane k makharij dhoye jain wo agar kisi cheez ko lag jain tu 5 sahraet k sath osay najis nahi kare ga: 1) Pani main nijasat ki boo, rang ya zaiqah paida nah hoa ho. 2) Bahar se koe nijasat os se nah aa mili ho. 3) Peshab ya pakhane k sath or koe nijasat maslan khoon kharij nah hoa ho. 4) Pakhane k zarraat pani main dikhae nah dain. 5) Peshab ya pakhane k makharij k atraf main mamool se ziyadah nijasat nah lagi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #26). Update on dated 13-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 13-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Kya shadi k lyae istekhara lrki k ghar walu se milnay se pehly krna chaheyae ya badd mae?

Answer: Istekahra larki k ghar walo say milnay say pehlay ya gar walu say milnay k bad bhi karwaya ja sakta hay...(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #114)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104205
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-11

Question: Aima k faal nikalnay ka tareeqa kya hai koi ac app jisk zariye ap fall nikal skaay ..

Answer: Faal ka koi aytebaar nahi hota hai aur faal kernay walon k liay zaroori hai k wo yaqeen k sath peshan-goi nah karen. Albatta Quran ya tasbeh waghaira se istekhara kerna islam main jaiz hay.(Ref :Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=827020&id=993+ http://www.sistani.org/persian/qa/0829/ )
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104287
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalomoalaikum mein kafi confusion mein hun..aik taraf meri khala ki beti he jis se mein chahta hn k shadi kr ln wo achi bhi h pr ziada parhi likhi nhi he or mein ne engineering ki hui he..ab meri confusion ye he k mujhe apni iss cousin se shadi kr leni chahie ya phr mujhe koi apne standard ki larki se karni chahie jo mere jitni parhi likhi ho..pr 2sri taraf se mein ye bhi sochta hn k parhi likhi ziada na bhi ho to koi masla nhi bcz mein ne job to karwani nhi usse..I really need some serious suggestion..Thankyou in advance

Answer: Aap is muamlay me istikhara karwain aur usi ke mutabiq amal karain.
Istikhara karane ke liye Madrasa Quran o Itrat Academy ke contact number 021-32226948, 021-32237207 par 2pm se 6pm ke dermiyan call karain ya kisi qaribi Masjid ke Imam e Jamat se maloom karain.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. Pakistan.
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-06

Question: Agar istikhara na kia jaye tw iska koi nuqsaan hoga.. Or istikhaara kin mamlaat me krna chahyea.. Agr aap kisi cheez ko psnd krty ho dil se krna chahty ho tw kia istikhara krna chahyea??

Answer: istikhaara aam tor par shak ya faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad.Iskekhara karna wajib nahi hay.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/)
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Istekhara normal ane ki Surat ne kia paigam hy?

Answer: mayyana (medium) Istekhara yani nah bura hay or nah hi acha. (Ref: kitab Istekhara e Quran,pg#435).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108910
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-11

Question: Mangni k baad istikhara krna thk ha agar koi masla hojae?

Answer: istikhaara aam tor par shak or faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad
lehaza agar koi aisi soorat e haal hai tou aap istikhaara kar sakti hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/).
[Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109039
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-16

Question: Asalamoaliakum mai jana chahti hu agar shadi ka istikhara krwae or jwb na pouchein or shadi hojae tw masla tw nhi ha koi or shadi pasand ki ho?

Answer: wsalam.nikah ki tamaam sharait poori thi tou nikah durust hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 2335).
[Updated on 16-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110183
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-02

Question: Asalam o Alikum Janab mujhay Quran say Istekhara kerny ka tariqa janna hai is k lia rehnumai farmain.

Answer: wsalam.
0213 2226948
2-6 pm
[Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: Istekhara kaise kare sunnat tarika shadi ko leke karna hai

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatay hain. Or fiqhe jaferia ke mutabiq
Istekhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muth’thi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar karta jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daa’nain bachein to is kaam ko na karain. (ref:sistani(d.b),website address, http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=47&sid=0&eid=0&page=2)
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110341
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-10

Question: Aoa sir Maine istikhara kiya tha lekin mujhe kuch nazar nahi aaya aur dil us kam ki taraf nahi hain main ab kya Karun app raye dai

Answer: istekhara kerna wajib nahe hai or mustahab bhe nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istekhara karay istekharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istekhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istekhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istekhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 11-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110740
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-04

Question: Kia istakhara krwana jaaaez h?? ki haathon ki lakeeron ka ilm na jaiz h ?

Answer: istikhaara alag cheez hai or ye ( jaiz hay or )
dua ki terah hay k jab insaan soochnay ( or kise se mashwara karne ) k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karsakta hay .istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istikhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
or haathon ki lakeeron sai istekhare ka koi taluq nahi hai .pamestry(dastshanasi) ki shareyat me koi haqeqat nahe hay or jab tak yaqeen na ho is ki khabre dena jaiz nahe hay.(ref:deen ke ahkaam,aqa sistani,pg no: 338)
[Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110853
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-03-05

Question: As salaamu alaikum, Istekhara khud se karne ka sahi tarika kya hai?

Answer: Istikhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa durood parhey aur aik muthhi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir 2 2 kar ke ginte jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daanain bachein to is kaam ko na karain. (Ref : Sistani(d.b), website)
[Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111400
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Mere bhai ke liye ek ladki ka istekhara dekha 6 saal pehle to mana aayi thi. 3 saal pehle phir hamne usi ladki ke sath ka istekhara dekha phir mana aayi thi. Ab ghar ke halat bahut badal gye .Bhai Africa me hai aur settled hogya hai ab Kya phir se usi ladki ke sath shaadi ka istekhara dekh sakte hai. Kindly reply de

Answer: Sadqa Nikal kar Dubara Istekhara karen Inshallah behtar goha.(Ref :Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=827020&id=993+ http://www.sistani.org/persian/qa/0829/ )
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111421
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-11

Question: Agar flat lyne k liye istikhara mana aye to dobara istikhara dekh sakhty hn kiya

Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzo (yani subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 11-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111886
Mujtahid:
Mujtahid Date: 2021-11-28

Question: Assalam o alaikum, sir meri mangi hochuke hai os ne ilam kia hua hai mai je ghar walo ki marzi se mangni ki hai lkin mujhy abhi b smjh nhe araha k mai shadi krlun ya nhe aor na mery dil koi aor larki hai jo mujhy pasand ho aor na ye hai kia mujhy istikhara krna chye ya na koi b solution hai to btue plz ami ghar walo k khilaf nhe jaskta aor dhadi shadi krna chahta hun os se matlb mai os ke zindagi khrb nhe krna chata

Answer: Istikhara aam tor par shak or faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad lehaza agar koi aisi soorat e haal hai tou aap istikhaara kar sakte hain.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-28

Question: kya be namazi istikhara kr skta hy.

Answer: Jee han, Kar sakta hai. Q k Isikhara karne ke namazi ya be namazi ka hona shart nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/ )
[Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Aslam o alikum, agar istakhara theek na ay or wo kam krna chahty hon tou us ka kya solution ha?

Answer: Dobara istikhara kiya ja sakta hai. Lekin doosri marataba istekhara us soorat mai kara saktay hai jub sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/)
Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker istikhara kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112362
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Istakhray ma soty wakt hawa kharij ho jaye to istakhra ho jata h ya ni ? Mtlb istakhry krne waly ko khud pata na ho k hawa kharij hoi h ya ni , liken koi aur batye k ap ka wazu tot gya tha raat ko ... To kia istakhra ho jaye ga ya ni ????

Answer: 1: Neend bhi wuzu ko batil karti hai. Q ke neend agar aisi ho k jis ki wajah sai aankhen dekh na sakay or kaan sun na sakey to wuzu baatil ho jata hai, lekin agar aankhen nah dekh rahi ho magar kaan sun rahay ho tu wuzu baatil nahi hota. Aur Isi tarh Riyaah(hawa) ke kharij hone se wuzu baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatollah Seestani edition 39 maslah #322)
2: Istikhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muthi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar kartay jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do danain bachein to is kaam ko na karain. (Ref: Sistani(d.b), website)
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Kiya dost apni dost ke rishty ke lia istikhara kr skti ha? Aur agr kry to usko sahi ishara ay ga?

Answer: ye tou istikharay k bad pata chalay ga
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112637
Mujtahid:
ayesha Date: 2021-11-26

Question: Assalamoalikum! Umeed ha ap khairiyat se ho ge . Agr koi fasla krne ma tangi a rahe ho ya smj na a rahe ho bilkul b k kia karna chaheye to kon se surah parhe jai ge Allah ki raza shamil o jaie .

Answer: Aap is muamlay me istikhara karwain aur usi ke mutabiq amal karain. Istikhara aam tor par shak or faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad lehaza agar koi aisi soorat e haal hai to aap istikhaara kar sakti hain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/ )
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112912
Mujtahid:
Moulana Mohammad kumail Date: 2021-02-04

Question: Istakhary ma wazu kr k so jayen ,aur wazu tot Jaye aur Subha koi aur humen bataye k ap Ka wazu tot gya tha hawa kharij Hoi thi ,usi Ka istakhara kr ray hun jis nay batya k ap Ka wazu tot gya tha.. Aur behtar b ajaye istakhara ma , to kia istakhara ho jaye ga ya ni????

Answer: Istikharay k liye wuzu karna wajib nahi hai. Agar koe wuzu kar k is tarah so jaey k aankh dekh na sake or kaan sun na sakay tu wuzu baatil ho jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seetani edition 41 maslah no 322).
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Kia istakhra na ajane k bad haan hone ka koi tariqa nahi h?

Answer: Istekhara doosri martba bhi kiya ja sakta hai, lekin doosri martaba istekhara us soorat mai kar saktay hain jab sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), website, https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/ ).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114353
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-20

Question: Agar aik ka istikhara bht achah aaya ho or dosray ka dil mutmain nhe ho raha to nikah kar saktay hain is hawalay say wazahat kren

Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat(some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114627
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-28

Question: Istikhara kitni bar karna chahiha?

Answer: Baar baar istikhara karna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal diya jaye aur aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liye sadqa day kar kiya jaasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaye sawalaat, Part #4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 28-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114914
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Assalam o alaikum Myra swal ye hai k myra rishta ghr walon ki rzamandi r myri rzamandi sy hoa jisk sath hoa wahan b sb khush thy inshort hr bnda agree tha khush thy sb final hogya phr end py aa k lrky k walid ny kaha k wo ek br istkhara b krwa lyn jo k istkhara blql opposit aya ha ab istkhara kisi r sy krwaya ha usny kaha shadi kamyab nai ha e predictions b kein r at the end 4 jga sy istkhara r hisab krwany k bd lrky k walid ny khud istkhara kia jo k boht ghlt aya khwab mein mayat dykhi r kch esy r unhon ny is bt sy inkar krdia mein ny b khud istkhara kia pr myry pas sb acha ha mein mutnaeen hon abi b udhr krny k lie ap kia suggest krty hain krna chahiye?

Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahin hay. laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahin is liay k baaz auqaat(some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115004
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-25

Question: Assalam o Allaikum mera sawal yeh hai kay meri mangni ho gai hai or rishta hone se pehle mere susral walo ne istikhara nikal waya tha wo sahi aya tha ab main nikkah karna chahta hn or shadi aik saal bad karna chahta hn tou kiya main nikkah karne k leye dubara istikhara nikal wa sakta hoon. Name:Shoaib Ahmed

Answer: istikahra kerna zarori nahi hay, balkeh istikahra tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay ( or dosero se mashwara karne ) k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay.istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay..(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-29

Question: I want to start new business with my friend which he has good knowledge and I am adding one Partner . My self and My partner both invest and my friend has good skills also be a partner. A good potential in new business but today I go for Istikhara and result is " Istekhara acha nehi hay and kuch mushkilat a sakti hay" I am confisued after this because almost all thing done . Please advice what should I do. I left from banking industry due to RIba and try to start new business with techical person. Kindly sincer advice to me .

Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahin hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat karna munasib nahin is liay k baaz auqaat(some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
(Note: Aap sadqa de kar dobara istikhara karen Inshallah behtar hoga ).
[Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-23

Question: Meri ankh ka pardah kyun hatta hai istkhara see bataen Aur iss ka ilja b bataen Doctors se shifa nahen mil rahi

Answer: 1) Istikhara is lie kia jata he take khuda se kher talab kia jae ke men yeh kaam karun ya nahin,
2) Istikhara ghaib ke ilm se agahi nahin deta.
3) Agar koe shaks surah qaaf ki ayat#21 or 22 ko subah k waqt aisi aadmi ki aankho par parhein jis ki aankho main koe takleef ya bemaari ho ya roshni kam ho tu in ayaat e qurani ki barkat say saari takaleef door hojain gi.(Ref:naeem ul aamaaal page no 318)
[Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print