Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Istekhara (83 Questions)


Showing 50- 83 questions from 83 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
115738
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-08

Question: Agr istekhara miyana aye to iska kya mtlb he

Answer: Mayyana (medium) yani nah bura hay or nah hi acha.(Ref: kitab Istekhara e Quran, pg #435).
[Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-03

Question: Sir agr hum nay istakhara Kia aur us k bd humen weham ho Jaye jese hum nay istakhara ko bol dia yakeen ni halaky humen Pura yakeen ho istakhara ho ... Liken koi BAAT ki Jaye aur bhol Jaye insan aur humen ASA lagy shaid hum nay istakhara k bary ma to kahai ye ni keh dia k yakeen ni ... Halaky yakeen ho istakhara par to Kia istakhara phir krna pary ya ni ?

Answer: 1: Aap ko chahiye keh aap apne wehem, shak, waswase ki parwah nah karen.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/).
2: Baar baar istikhara karna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal diya jaye aur aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liye sadqa day kar kiya jaasakta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaye sawalaat, Part #4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
115825
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-10

Question: اسلام علیکم۔ قبلہ میں آغا سیستانی صاحب کا مقلد ہوں الحمدللہ۔ اور جہاں نکاح کرنا چاہتا ہوں وہ بھی مقلد ہیں آغا کے۔ اور یہ کہ قبلہ دونوں خاندان رضا مند ہیں اور اب انہوں نے استخارہ یا فال نکالی ہے، جس میں آگے نا بڑھنا موزوں قرار پایا ہے۔ قبلہ رہنمائی فرمائیں کہ فال پہ عمل کرنا واجب ہے ؟ اور اس سلسلے میں آگے کیسے بڑھا جائے۔ جزاک اللہ۔ اللہ آپکے علم و رزق میں برکت عطا فرمائے

Answer: Shareat men Faal ka koi aytebaar nahin hota hai aur faal karnay walon k liay zaroori hai k wo yaqeen k sath peshan-goi nah karen. Albatta Quran ya tasbeh waghaira se istekhara karna islam main jaiz hay.
Istekharay par amal karna wajib nahin hai balke is ki mukhalifat karna jaiz to hai lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan puhnch sakta hai.
(Ref: http://sistani.org/index.php?p=827020&id=993 + http://www.sistani.org/persian/qa/0829/ + Mujtahid se pouchey gaey sawalat part #4, sawal #204, pg #93).
[Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115922
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-28

Question: Istekharah karte wakth pehle din sahi nahi aaya Dusre din kisi aur ko leke aaya Aur teesre din tabiyat bhout bigad gaye

Answer: Doosri martaba istekhara us soorat main kar saktay hai jab sadqa de diya jaey ya unwaan badal jaey.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/).
[Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115996
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-11

Question: Asalam 0 Alikum Sir mujhy apny dost k lia istkhara krna hy to please p mujhy bt a dan k kya tika ho ga us k us ke niyat kaya ho ge

Answer: Istikhara ye hai k jis kaam k kerne men mashware kerne k baad bhi faisla nah ker pa rahe hoon to phir istikhara k zerye se madad li jaey.or istekhara kerna aik mubah amal hai, Istekhara na to wajib hai or na hi mustahab, Istekhara kerne k liay ye kafi hay k 3 baar salawaat(dorood) perhi jaey, or is k baad tasbeeh k daano per haath dala jaey or jitney daanay haath main aaen onko 2 2 ker k gintay jaen or aakhir main agar aik daana bacahy tu istekhara behter aya hay or agar 2 danay bachain tu ye samjhay k istekhara bad (yani sahi nahi) aya hay.(Ref: Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10 + Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e Sawaal #114).
Ya Istikhare k liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207 ).
[Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120852
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-12

Question: Salam hum na makan lia ha jis ka istekhara mara abu ka nam pa behter ka ishara aya lakin meri walida (ami) ka nam pa mana ka ishara aya ha ....hum ghr ki adhi rakm tk da chuka hain pichy bhi nhi hat skty is baray ms rhnami farmay shukria

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hay. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat karna munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. or baar baar bhi istikhara karna sahi nahi hay, siwaay ye ke mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqah day kar kiya jaa sakta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113, & part #4 sawal #203 & Jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 12-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121006
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: 1 bar Jawab milny k bad bhi Kya 3 din lga tar istakhara krna lazmi Hy?

Answer: Istikahra karna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki tarah hay ke jab insaan sochnay ke baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay. istikharay par amal karna wajib nahin hay. laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liay ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalifat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. or baar baar istikhara karna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaaye or aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day kar kiya jaasakta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203).
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121007
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: 1 bar Jawab milny k bad bhi Kya 3 din lga tar istakhara krna lazmi Hy?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-11

Question: Kya hum ksi aur se isthikara krwa skty h ya khud krna lazim h?

Answer: Jee han, kisi aur se bhi istikhara karwaya jaa sakta hai Q ke Istikhara aik jaiz amal hai aur jaiz amal me kisi aur ko apna wakeel bhi bana sakte hain.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1439, maslah #1265).
[Updated on 11-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-02

Question: Aoa sir mera istikhara ek karobaar k krne k liye hai lekin 3 bar tasbeeh se krne k bawajood darmiyana aya or jumma k din fajar ki namaz k baad teeno dafa kiya or pehli dafa b darmiyana aya dusri dafa b or is trhan 3rd time b ab meri rehnumaye farmayein k muje kya krna chahye kya mein woh kaam karun yan na karun kindly detail analysis dijiye ga JAZAKALLAH

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hay (yani wo amal kar sakte hain) Lekin istikhaaray ki mukhaalifat karna munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. or baar baar bhi istikhara karna sahi nahi hay, siwaay ye ke mauzoo(subject) hi badal diya jaye or aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqah day kar dobara istikhara kiya jaa sakta hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113, & part #4 sawal #203. + Jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 02-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121160
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: Aoa sir mera istikhara ek karobaar k krne k liye hai lekin 3 bar tasbeeh se krne k bawajood darmiyana aya or jumma k din fajar ki namaz k baad teeno dafa kiya or pehli dafa b darmiyana aya dusri dafa b or is trhan 3rd time b ab meri rehnumaye farmayein k muje kya krna chahye kya mein woh kaam karun yan na karun kindly detail analysis dijiye ga JAZAKALLAH Or kya sadqa ham baad mein de skte hain or sadqa kitna dena chahye

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: Aoa sir mera istikhara ek karobaar k krne k liye hai lekin 3 bar tasbeeh se krne k bawajood darmiyana aya or jumma k din fajar ki namaz k baad teeno dafa kiya or pehli dafa b darmiyana aya dusri dafa b or is trhan 3rd time b ab meri rehnumaye farmayein k muje kya krna chahye kya mein woh kaam karun yan na karun kindly detail analysis dijiye ga JAZAKALLAH Or kya sadqa ham baad mein de skte hain or sadqa kitna dena chahye

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121165
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-04

Question: Asalaam o alikum Mera sawal yeh hai k agr istikhara krna ho ksi shakhs k bare mei to kia Jo shakhs hamare dimagh mein hi jis per humen shak ho hum us k bare mein soch rhy hain or istkhara kr rhy hain k yehi hai or istkhara mein usin ka ishara mil jaye to yeh istkhara theek hoga??? Ya istkhara krte wqt ksi shakhs ko na sochen or pta krna matloob ho k Kon hai??? Kyu k aksr khuwab aise hote hain Jin k bare mein hum sochte hain usi se related humen khuwab aty hain. Kindly yeh chez clear kr den jaldi az jald

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Istikhaara aise muamilaat ke liye nahin hota.

(Re: https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/ ).

[Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-02

Question: Asalaam o alikum Istkhara krne wale ka parhezgar hona zruri hai ya koi bhi shakhs kr skta hai??? Matlab istkhara k ly Kon shakhs ahell hai or Kon c ehtiyat or tadabeer ikhtyar krni chahyen?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Istikhara ke liye aisi koi sharait nahin jo namaz ya deegar ibadaton me zaroori hoti hain. or istikhara khud bhi kar sakte hain or kisi aur se bhi istikhara karwaya jaa sakta hai Q ke Istikhara aik jaiz or mubah amal hai aur jaiz amal me kisi aur ko apna wakeel bhi bana sakte hain.
2: Istikhara ye hai ke jis kaam ke karne men mashware karne ke baad bhi faisla nah kar paa rahe hon to phir istikhara ke zariye se madad li jaey. or istekhara karna aik mubah amal hai, yani istekhara na to wajib hai or na hi mustahab, or istikhara karne ke liye ye kafi hay ke 3 baar salawaat(dorood) parhi jaye, or is ke baad tasbeeh ke daano par haath dala jaye or jitne daanay haath main aaen onko 2 2 kar ke gintay jaen or aakhir main agar aik daana bache to istikhara behtar aaya hai or agar 2 danay bachain to ye samjhay ke istikhara bad (yani sahi nahin) aaya hay. Ya Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1439, maslah #1265. + Mafhoom e https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/ + Mujtahid se pochay gay sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e Sawaal #114).
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121530
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-11

Question: Kya hum istikhary me sehat ki bahali ka pta kr skty hen k nai??

Answer: 1: Istikhara is liye kiya jata hai taake khuda se khair talab kiya jaye ke men yeh kaam karon ya na karon.
2: Istikhara ghaib ke ilm se agahi nahin deta.
(Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/ ).
[Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: Istikhara krne k bd us agr agr uski khilaf warzi ki jaye tw kia yeh thk hai ya gunah mai shumar hga ?

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hay. yani istikhaaray ki mukhalifat karna jaiz hai, Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay.
(Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #4 sawal #204).
[Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121629
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: Aslam_o_alekum Meri sister bemar hn bht skht smjh ni aa rhi na damm sy na he doctor sy bemari sort out ho rhi. Kia is bat ka istekhara kka ja skta k unhy kia masla hy Bemar hn ya nazar wghera hy ya koi aur masla hy

Answer: Is tarah ke kaam ke liye istekhara nahin hota.
(Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/).
[Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121819
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-09

Question: Aslam o alikum. Mjy ye malomm krna ha kaay kya es trah ho sktaha kaay 2dfa istakhara kiya jaye larki bh kray or larka bh . Dono mein saay kisi aik ka thk a jaye or doray ka sae na aye. Kya esy ho skta ha?

Answer: Hairat aur pareshani ke mauqe par aur ghor o khoz aur mahsware ke baad mukhtalif ihtemaalaat mein se kisi aik ko tarjeeh nah day sakne ki surat mein (rehnumayei ki) umeed se istikhara kiya jaye aur baar baar isstikhara karna sahi nahin hai magar yeh ke mauzoo(subject) hi badal jaaye aur aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqa day kar kiya jaa sakta hai.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #593).
[Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121884
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-21

Question: Kia koi waps aaega ya nhi yeh jaanney k liye istakhara kr sakhty ?

Answer: Is tarah ke kaam ke liye istekhara nahin hota.
(Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/).
[Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121885
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-22

Question: Kia koi waps aaega ya nhi yeh jaanney k liye istakhara kr sakhty ?

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-23

Question: mein new kam shuro kana chahta hn mera nam ameer hamza date of birth 1998.02.26 ha walda ka nam khalida zareen ha mjhe 20 wali seal ka kam smjh ata ha usmein mixx item hte hn 20 wale to kia mein ye kam kr skta hn ya nhi faida hoga ya nuqsan

Answer: Hairat aur pareshani ke mauqe par aur ghor o khoz aur mahsware ke baad mukhtalif ihtemaalaat mein se kisi aik ko tarjeeh nah day sakne ki surat mein (rehnumayei ki) umeed se istikhara kiya jaye aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai magar yeh ke mauzoo(subject) hi badal jaaye aur aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqa day kar kiya jaa sakta hai.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #593).

(Note: Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207 ).
[Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-01

Question: Sir ma apne career k baray ma istikhara karwana chahti hu k konsi field mere liye best hogi. Kindly meri help kar dyn it's really very urgent

Answer: Hairat aur pareshani ke mauqe par aur ghor o khoz aur mahsware ke baad mukhtalif ihtemaalaat mein se kisi aik ko tarjeeh nah day sakne ki surat mein (rehnumayei ki) umeed se istikhara kiya jaye aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai magar yeh ke mauzoo(subject) hi badal jaaye aur aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqa day kar kiya jaa sakta hai.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #593).

(Note: Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207 ).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122371
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-15

Question: Agar istekhara sakht mana aaye to dobara dekh sakte hy??

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hai.
Lekin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai. aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai, siwaay ye ke mauzoo(subject) badal jaaye jis ki aik surat ye hai ke Kuch maal sadqah diya jaye.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593).
[Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122374
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-15

Question: Agar istekhara sakht mana aaye to kya dobara dekh sakte hy ? Aur agar dobara dekh sakte hy to usko kitne time baad dekhe?

Answer: 1: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai. aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai, siwaay ye ke mauzoo (subject) badal jaaye jis ki aik surat ye hai ke kuch maal sadqah diya jaye.

2: Sadqa de kar usi waqt dobara istikhaara kar sakte hain.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593).
[Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122596
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-20

Question: Asslam o alaikum Mera sawal ye he k agr istikhara sahi ane ke bad bhi jo 5 martaba kiya gya ho, apki shaadi us Shakhs se naw ho tu is ka KIA matlb he?

Answer: Istikhara gaib ki khabar aur ittilaa dene ke liye nahin hota.

Mazeed tafseelaat jaane ke liye darj zel link par click karen.
https://drive.google.com/file/d/1dyV22Mn7BitWdY6VsiUUsEIw8Zx363os/view?usp=drive_link

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #525).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-14

Question: AOA, There are how many types of "Niyat e Istikhara" to comply accordingly? I heard there are 3 types of Niyat. Please elaborate.

Answer: Istikhara ye hai ke jis kaam ke karne me mashware karne ke baad bhi faisla nah kar pa rahe hon to phir istikhara ke zirye se madad li jaye. aur istekhara karna aik mubah amal hai, Istekhara na to wajib hai aur na hi mustahab, Istekhara karne ke liye ye kafi hai ke 3 baar salawaat(dorood) parhi jaye, aur is ke baad tasbeeh ke daano par haath dala jaye aur jitney daanay haath main aayen un ko 2, 2 kar ke gintay jayen aur aakhir main agar aik daana bacahy to istekhara behtar aya hai aur agar do danay bachain to ye samjhay ke istekhara bad (yani sahi nahin) aya hai.
Mazeed tafseelaat janne ke liye darj zel link par kar ke "Istekhara" ki file download ki jaye.
file:///C:/Users/pc/Desktop/Downloads/Telegram%20Desktop/8-Istekhara.pdf

(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e Sawaal #114. + Mafhoom e link; http://sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10 ).
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Sir mere dost ne istikhara kia tha aik office ki meeting pr Karachi jane ka, aor jwab han me tha, lekin ab mosam ki khrabi aor flights delay hone ki wja se double-minded ho gia h q k wo pehle kbi flight pr ni betha. Kia ap bta skte hen k agr wo mosami soorat e haal ki wja se na jana chahe to kia kafara dila skta h ya kis trha Allah se maafi aor raza paa skta h?

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. lihaza wo nah to ghunagar hoga aur nah hi koi kaffara dena hai, Lekin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai.

(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, part #3 sawal #113. & part #4 sawal #203,204).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122906
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-18

Question: Assalamualaikum sir ...sir shadi sy phly istkhara krwaya ho or wo shi nhi Aya isthkara ..ap Wohi shadi kr lain jhaa isthkra shi nhi Aya to kia agy jaky life mae koi muskil paish askti hy.. plzzz mjy bta dain ..Mae bht preshn hn

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. balke istikharay ke bar khilaaf amal kar sakte hain. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat karna munaasib nahin is liye ke (har waqt nahin) baaz auqaat istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593).
[Updated on 19-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122907
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-19

Question: Kia istkhara py yqeen krna chyae....?

Answer: Karna chahiye, Q ke is liye to kaha gaya hai ke istikhaaray ki mukhaalifat karna munaasib nahin is liye ke baaz auqaat istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593).
[Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-19

Question: Mera nam Huma hy meri walida ka nam Nusrat Zahra hy lrky ka nam taqi hy uski walida ka nam firdos fatima hy mjhy istakhara kr dyn kya hmara nikkah ho jaye ga?

Answer: Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207.
[Updated on 20-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123638
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: I wanted to marry someone and without investigation of anything, his mother took istikhara. jo k sureh Ahzaab ayat 36 aai. molana said it is not good or 2 logon ne kaha k ye achi ayat hai. Ab mere ghr wale nae maan rhy(dar rhy hen). kindly guide k ye kaisi ayat hai agr shadi k istikhare k liye aaye? or mjhe shadi krni hai tuo iska koi munasib hal hai. buhat pareshan hun please reply

Answer: G is Ayat k aitibar se Istekhara bura hai .. Aik Tariqeqar yh bhi hai k ap iss niyyat se Sadqa nkallein and phr dobara istekhara krlein phr jo Aayat aye usi hisab se amal kijega.
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123771
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-13

Question: Meri shadi nh ho rhi h jo b rishta ata h uska istkhara sahi nh ata ek ka sahi aya h unhony rishta phone py paka kr deya ab usko rk sall hony wala h phr sy koi bat hi nh ki is bary m sahi say rabta b nh krty plz meri help karain

Answer: Istekhara last option hai islam me pehle zarori hai k insan khd tehqeeq krle agr us se bhi mamla solve nhi hrha ho to kisi deendar jannewalo se mashwara krein agr uss se bhi mamla hal na ho isekhara kia jata hai..

Jald shadi k lie kuch wazaif hai unhe anjam dena intehai mufeed hai:
1) 11 times durud aur phir 101 times Ya Allaho Ya Rahmano Ya Rahimo Ya Kareemo Ya Hayyo Ya Qayyum padhe (ref:naeemul aamal page no.314)
2) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.)
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126340
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Slam mera ye swal ha k agr shadi k liye istakhra thk na b ho to kya phr b whan shadi kr lni chaiye ya ni

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. balke istikharay ke bar khilaaf amal kar sakte hain (yani wahan shadi kar sakte hain). Lekin istikhaaray ki mukhaalifat karna munaasib nahin is liye ke baaz auqaat istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print