Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Hafzay k liay wazifa (103 Questions)


Showing 100- 103 questions from 103 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
98042
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-28

Question: Salam sir. Meray etea test hoga august me IN SHA ALLAH TA'ALA.. Ye meri teesri dafa a.. Me bhtt mehnat karti hun par clear ni huwa.. Plz aap koi wazifa bata dain is br k leay

Answer: 1 agar dil ilm k hasool may nah lagta ho to surah e alaq ki ayat 1 ta 5 likh kar is k galay may dalain aur pani par parh k pelain to zehen aur aqal ki tezi k liay bhi mujarrab hay ref kitab naway salaheen pg 346 2 riwayat ke mutabiq surah taha ki ayat 25 26 27 28 ko har roz 3 martaba parhay tu ye har qisam ki faramoshi ko khatam kerti ha or hafizay ko mazboot banati ha ref nawa e saliheen pg 333 agar koi talib e ilm chata ha ke is ko sabaq yad ho jay tu is ko chaye ke sura aaraaf ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagas ko apnay mazmoon sabject ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko insha allah yad ho jay ga ref naeemul amaal pg 354 3 imtihaan me kamyabi ke liye ye nihayat mujarrab ha lihaza imtihaan me asaan exams ke liye center jane se pehle 7 martaba surah al infaal ayat 62 ko awal or akir 3 martaba durood perh ker jaey. (Ref: Naeemul amaal#354)
[Updated on 28-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108059
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-06-06

Question: Study me mann nai lagta.mujhe bas apne past aur future ka khayal aata rehta hai. Mobile me anytime pass karti hu. Plz mujhe bataye ki continue study karne ke liye wajifa ya dua. Kyuki study se hi mai kuch kar sakti hu.

Answer: Perhae main dil lagne k liay: Surah e Taha ki ayat#25 se 28 tak ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326).
[Updated on 06-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
112876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-02

Question: Aslkm bhai ma jobhi kaam karta hu thode din bad bhoul jata hu zahaz me nahi raheta iska kuch ilaj batana plz

Answer: Surah e taha(surah#20) ki ayat #25-28 ko rozana 3 martaba parhnay say hafza taiz hojaey ga aur har cheez yaad rahay gi. (Ref: book nawaey saleheen, pg #326).
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print