Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Dhoodh Pilane K Ehkaam (121 Questions)


Showing 0- 50 questions from 121 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: mere humsae hain un k bacha nai howa 11 sal ho gae hain wo larki thek hai wo mujh se bach chahti hai ye jaez ho sakta hai

Answer: Agar bacha kisi k hawalay karain tu is baat ka khiyaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ta’al’luq mehfooz rahay.or agar bacha 2 saal say kam hu tu bacha wusool kerna wali khatoon dhoodh pila ker is ko mehram bhi bana jasakteen hain laikin agar bacha 2 saal say ziyada ka ho tu phir osko mehram banay ka koe raasta nahi hay. (Ref :E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9410
Mujtahid:
Date:

Question: Agr Kisi Bacche ne kisi aur aurat ka doodh pia ho to kia woh uski maa hogi..???aur agr woh us aurat ki beti se shadi kre to kia ye jaiz hai..???mne to suna hai keh ikhata doodh piya ho to phr woh rishte mn behan bhai honge...plzzzzz answer briefly..mne pehle b yehi sawal kia tha magar jwab nhn dia..plzzzzzzzzz jwb dein

Answer: 1-Jee haan kisi aurat ka 8 sharait k sath dhood peene se wo aurat maan ban jati hay. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ .
2-Dhoodh pilanay wali aurat ki baiti se nikah kerna jaiz nahi hay.
3-Ikhatta dhoodh peena zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428,2438). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
9522
Mujtahid:
Date: 2018-05-29

Question: sir mera Q he ke jis ka doood piya jae os ki betiyon se nikkah jaiz he ya nai hadees ya quran se hawala den ?

Answer: Jis aurat ne aap ko doodh pilaya hai un ki betiya app ki mehram hai lihaza un se nikah karna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2428)(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # before 94eidition 4)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9837
Mujtahid:
Date:

Question: do saal say ziada maa ka dodh pilana wajib h ya nhi agar nahi to Q????

Answer: Bache ko 21 mahine doodh pilana mustahab or 2 saal se ziyada pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10835
Mujtahid:
aurat ka humbestri ke bahad apney bachey ko dodh d Date:

Question: aurat apney shahor ke sath humbestar honey ke bahad apney bachey ko dodh (milk) pila sakti hai ya pehlay ghusal karna lazmi hai?

Answer: Jee haan baghair gusal k doodh pilana jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
12654
Mujtahid:
Bhabhi ke bare mein Date:

Question: Kya badi bhabhi apne chote devar ko apna doodh pe la sakte hai ya nahi

Answer: Jee haan bhabhi apne daivar ko apna dhoodh pila saktai hay agar wo chota bacha ho, nah k baligh lerka ho. Or aurat ko chahiay k ehtiyaat e lazin ki bina per wo apna badan os bachay se chupaey jo jis k bare main ehtimaal ho k o ski jinsi khahish baidaar ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
12670
Mujtahid:
Bhabhi ka doodh Date:

Question: Kya chota devar ko badi bhabhi apna doodh pe la sakti hai ya nahi.

Answer: Jee haan bhabhi apne daivar ko apna dhoodh pila saktai hay agar wo chota bacha ho, nah k baligh lerka ho. Or aurat ko chahiay k ehtiyaat e lazin ki bina per wo apna badan os bachay se chupaey jo jis k bare main ehtimaal ho k o ski jinsi khahish baidaar ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
14189
Mujtahid:
Anti k dodh k bare ma Date:

Question: Assalam-o-alaikum ma pehle bhi 3ya 4 bar swal poch chuka hn k kya ak Anti(chachu ki wife) apne 13ya14 sala nephew(bhatijay) ko apna dodh pila skti ha ya nae plz detail se btana plz........,. And kya nephew ye baat khud anti ko keh skta ha k mjy ap ka dodh pena ha aNd kya nephew na jaiz tor par dodh pene ki koshish kare ya qanoni ya ghair qanoni tareeqay se jismani lazzat or dodh pe skta ha aNd last kya us pay apni anti ka dodh halal ha ya haram answer email kr dena plz

Answer: Jee nahi baligh bachay k liay insan ka doodh pena ehtiyaat wajib ki bina per haram hai. Or aurat ko chahiay k ehtiyaat e lazin ki bina per wo apna badan os bachay se chupaey jo jis k bare main ehtimaal ho k o ski jinsi khahish baidaar ho jaey gi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
14403
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: is it necessary for a pregnant mother to breastfeed her first baby(of one year)?

Answer: It is recommended(Mustahab), if possible, that a child is suckled for full 21 months. And it is not preferred that it be suckled for more than two years. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14784
Mujtahid:
Date:

Question: me puchna chahti hoon k mera 10 mah ka baita hai aur me usey doodh pilati hun kya muj per roza farz hy?

Answer: Ager bache ka doodh pena maan k uper munhasir(depend on) hai or doodh kam ho to ager roza rakhna kud maa k liye ye bache k liye muzir ho to ap per roza rakhna wajib nahi hai or zarori hai k her din k badle 1 mud khana sharai faqeer ko dain aor baad main roze ki qaza karain Ager orat ramzaan ke roze haiz ya nifaas ki waja se na rakhe to ramzaan ke baad is ko us rozoo ki qaza karni ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1700,1673). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16068
Mujtahid:
Date:

Question: islam mein aurat ko doodh pilana farz hai ya apni marzi se nai b pila sakti ager wo seht mand b hai to??plz ans me

Answer: Aurat par doodh pilana wajib nahi chahay wo sehatmand bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2451). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
36775
Mujtahid:
shadi problem Date:

Question: A.A SIR mera masla yeh ha k main apni khala ki beti ko pasand kar ta hoon aur us say shadi karna chata hoon mere family aur us ki family walay kehtay hain ke meri cousin nay childhood main meri maa ka doodh(MILK) piya howa ha mera us say rishta nahi ho gaa.meri cousin nay yeh doodh meri sister k sath childhood main piya tha jo k mujh say 5years chooti ha. aur meri maa nay meri cousin ko sirf ek baar who bhi raat ke andhare main ghalty say meri sister samaj kar meri cousin ko doodh pilaya tha magar laga tar nahi sirf ek bar who bhi mistake say meri sister samaj kar doodh piliya tha. kuch k thought ha k mera meri cousin k saath rishta ho sakta ha kyon k us nay meri sister k saath dooth piya ha lekin mere saath nahi .ek do molvi say bhi meri baat howi jo kehtay haain k shadi kar sakta hoo .aap ka kya khayal ha tell me now koi quran ki surat ke hawalay bhi es problem k baray main batain.

Answer: Is sorat main aap ka nikah aap ki causin k sath ho sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428,2438). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
41097
Mujtahid:
marriage problems Date:

Question: A.A SIR mera masla yeh ha k main apni khala ki beti ko pasand kar ta hoon aur us say shadi karna chata hoon mere family aur us ki family walay kehtay hain ke meri cousin nay childhood main meri maa ka doodh(MILK) piya howa ha mera us say rishta nahi ho gaa.meri cousin nay yeh doodh meri sister k sath childhood main piya tha jo k mujh say 5years chooti ha.kuch k thought ha k mera meri cousin k saath rishta ho sakta ha kyon k us nay meri sister k saath dooth piya ha.lekin mere saath nahi . meri maa kehti ha k raat k andheree main meri maa nay meri cousin ko meri sister samaj ker ghalty say meri cousin ko doodh pilaya ha who bhi sirf ek bar ghalty say kyon k usay pata nahi tha k doodh panay wali bacchi us ki apni beti nahi bul k us ki bhanjji ha. yeh sub ek ghalty say howa ha ek baat aur jo yeh k meri cousin nay mere saath nahi bul k meri chooti sister k saath doodh piya tha yeh sub kuch raat k andhree main acchnak howa jis ka meri maa ko efsoos ha ab aap batain k meri shadi ho sakti ha k nahi. aap ka kya khayal ha tell me now koi quran ki surat ke hawalay bhi es problem k baray main batain. Aap nay es sawal ka jawab bhi diya ha magar main aap ko apna masla puri tarah samjah na saka ab puri tafseel say likha ha .kyon aap kaha ha k (Tauzeehulmasail 31th edition,maslah # 2434 Agr doodh tamam shara-it k sath pilaya gaya hai tou Shadi nahi ho sakti aur wo apki behn hai) magar meri maa nay meri cousin ko doodh sirf ek bar who bhi ghalty say piyalay ha magar taman shara-it k saath nahi piliya bul k 2 ya 3 martaba nahi bul k sirf sirf aur sirf ek bar rat k andharay main ghalty say piliya tha.Ap kya kehtay hain plz tell me .jaldi say batain warna meri cousin ki shadi kar nay walay hain .

Answer: Aap ki shadi aap ki khala ki baiti se ho sakti hay. Q k jaisa k aap ne kaha k faqat 1 mertaba pilaya tha. Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41269
Mujtahid:
Date:

Question: BACHE KO KITNI UMAR TAK DOODH PILA SAKTE HAUN?

Answer: Mustahab hay k kisi bachay ko poray 21 mahinay doodh pilaya jaay or 2 saal se ziyada doodh pilana munasib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 22-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45163
Mujtahid:
muslim Date:

Question: May nay kuch saal phlay ek bachy goud ly thy,,,,ab mjhay meri apny aulad honay wally hn,kya may goad ly hue bachy ko apna dooeh pilla kr mehraam bna skty hn

Answer: Jee nahi, Q k dhood pila ker mehram banana ki 8 sharait hain on main aik shart ye bhi hay k bachay ki umar 2 saal(chand k layhaaz) se ziyada nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46562
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alekum mera sawal ye ha k agr koi pregnant aurat ho or delivery k bad wo roza nhi rkh sake bcz of blood n breastfeeding or us ne fidya de dia ho un rozon ka to kia usko in sab se pak ho k roze rkhne hongy jin ka fidya ada kia ha? Ya fidya dena zaruri nhi ya dono chezen zaruri han? Plz bara e meherbani in sawalo ka tafseel se jawab dijiye ga. shukriya

Answer: wssalam o alykum, ager bache ka doodh pena maan k uper munhasir(depend on) hai or doodh kam ho to ager roza rakhna khud maa k liye ya bache k liye muzir ho to ap per roza rakhna wajib nahi hai or zarori hai k her din k badle 1 mud khana sharai faqeer ko dain aor baad main roze ki qaza karain Ager aurat ramzaan k roze haiz ya nifaas ki waja se na rakhe to ramzaan ke baad is ko us rozoo ki qaza karni ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1700,1673). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46684
Mujtahid:
Masala Date:

Question: Assalamualikum. A child has a right to have breastmilk for two years. Is it right.

Answer: It is recommended, if possible, that a child is suckled for full 21 months. And it is not preferred that it would be suckled for more than two years. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51837
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: agar meri bhatiji ko meri biwi ne doodh pilaya ho toh kia wo mere bete ke lye halal hai shadi k liye.. Mola SALAMAT Rakhe...

Answer: Agar aap ki biwi ne wo 8 shartain jo mehram bannay ka sabab banta hai aap ki biwi k bachay jo peda ho chukay hoon ya baad me peda hongay wo aap k bhatijay k mehram hai or on se nikah haram hay. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428,2438). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53110
Mujtahid:
muslim Date:

Question: Assalamualaikum Kya koi aurat uske bhai ko doodh pila sakti hai

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2448). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53141
Mujtahid:
quran o hadees Date:

Question: Salam main ye puchna chahta hu k main jab 15 month ka tha to meri ami fot ho gai thien aur aik bar jab main bhook se roa ja raha tha to meri khala ne mjhy aik bar feed karwaia tha aur jab main jawan hua to main aur meri un hi khala ki brti han dono aik dusray ko pasand karnay lagay aur ham shadi b karna chatay thay to us wakt hamain pta chala k mjhy us ki ami ne feed karwai hy aur log kehtay hyn hamari shadi ni ho sakti to kia quran o hadees ki roshni main koi aisi rah hy jis ki bina par hamari shadi ho sakay aur dood b ham dono ne pia hy matlb ye k wo us wakt 6 month ki thi aur main 15 month ka tha to kia koi rah hy quran o hadees main shadi honay ki koi surat hy agar kisi majburi k teht dood pilaia gia ho vto

Answer: wssalam o alykum, ager ap ne sirf 1 martaba hi doodh piya tha to wo larki ap ki razaai behan nahi bani aur ap us larki se shadi kar sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2439). Update on dated 18-08-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53292
Mujtahid:
quran o itrat Date:

Question: Asalam o alaikum Sir main ap se do bar pehlay b pooch chuka hu mgar ap ne koi jwb na dia sawal ye hy k main jab 15 month ka tha to meri mother ki death ho gai thi aur us k bad aik bar meri khala ne bhook mitanay aur mjhy rota hua chup karanay k liy apna dood pilaia majburi k tor par he aur phr kareeb 15 16 saal ki umar thi k main meri unhi khala ki beti aur main aik dusray ko like karnay lagay aur sath he is bat se b bekhabar thy khair jab meri khala ney mjhy dood pilaia to meri cousin 6 month ki thi aur wo b dood peeti thi puchna ye chahta hu k kia shadi karna jayz hy Koi aisi soorat jis main shadi ho sakay ku k meri khala ne na to apnay shohar ki ijazat li thi pilanay k liy aur dusry bat ye k pilaia b majburan tha Plz is bar zarur jwb dijiay ga ku k ye jwb meri liy bht ehmiat ka hamil hy

Answer: Aik baar dhoodh pene se koe faraq nahi perhta. Aap ka apni cousin se nikah kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428,2438). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
53490
Mujtahid:
Date:

Question: mery bhai nay meri nani ka doodh piya hai. is hisb sy woh mery mamu kay razai bhai huway to kia ham apny bhai ki shadi apny mamu ki beti sy kr sakty hai ya nai. bhai nay dodh mamu sy jo choti khala thi us time piya tha.

Answer: Agar koi orat apni lrki k bache ko (matlb apne nawase ya nawasi ko) pura doodh pilaye (matlb un sharton k sath jo mehram bannay k leye zarori hain) to wo larki apne shohar pr Hram hojayegi.or aap k mamo ki baiti se aap k bhai k shadi jaiz nahi hogi. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ .
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2436,2428,2438). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54058
Mujtahid:
Date:

Question: maa ka doodh na hone ki koi dua ya koi wazifa?

Answer: Agar aurat chahay k os ka doodh ziada ho jae to surah nahal surah # 16 ki ayat # 66 ko pani par parhay aur pi jae inshallah doodh ziada ho jae ga. (Ref : Payam E Shifa pg # 284) Update on dated 18-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
56241
Mujtahid:
Date:

Question: islam main bachay ko doodh pilanay ka time period kiya hai?agar us time period say ziyada pilaya jaye to usk kiya nuqsanat hain?

Answer: Mustahab hai ke 21 mahine doodh pilaaya jaae, or 2 saal se ziyada pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
56656
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam Walekum kya aap mujhe yeh bataa sakte hai ki bacho ko kithni umar hai milk pelani ki ladka and ladki Masla ke hisaab se Breastfeeding

Answer: Mustahab hai k Aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aur 2 saal sai ziada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57754
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa sir kya razai behn Bhai ka nikah ho skta h????

Answer: Agar koe aurat aik shohar ka dhodh kae bacho ko pilae tu wo sab bache apas mai bhi aur is shohar k or is aurat bache jis ne dhodh pilaya ho mehram ban jate hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2441). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57758
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa sir kya razai behn Bhai ka nikah ho skta h????

Answer: Agar koe aurat aik shohar ka dhodh kae bacho ko pilae tu wo sab bache apas mai bhi aur khud is shohar k aur is aurat k jis ne dhodh pilaya ho mehram ban jate hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2441). Update on dated 18-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
58775
Mujtahid:
Date:

Question: kya 16 sal ka larka apni maa ka doodh pee sakta ha

Answer: Baligh insaan k liay ye kaam Ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
59731
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aurat napaki ki halat main yani f k bd apny bachy ko doodh pila skti ha

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60197
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamualikum Bhaijaan, ... Darasal Mujhe Kuch Sawalat Karne the ... ... Me Bahut Pareshan haal hu.. .... Me Apne ek ladki ko Nikah Karne ki niyat Se Mohabbat karta hu. or wo bhi meri hi tarah khoob mohabbat karti hai .. mere or uske maa-baap or saare karibi bhi yahi chahte the ki humari shadi ho jaye, ! Hum Dono Bade khush the par achanak ek masla aa gaya jisse ki humari shadi me rukawat aa rahi hai ... ... Actually wo mere mama jaan ki dhukhtar hai, jab paida hui thi to uski maa bahut kamjor thi, jisse uski maa ko dudh nahi aa raha tha or meri ammi ne bhi mere chote bhi ko janm diya tha to us ladki ko meri ammi ne dudh pilaya tha. Us Waqt ye baat na to kisi maloom thi or na hi sochne ka mauka mila kyuki us waqt us ladki bhukh badi thi

Answer: Wssalam o alykum, Ager yaqeen ho ke doodh pelane ke waqt tamaam sharait mojood thi to ap us se shadi nahi kar sakte, lekin ager sharait ke hone ka ilm na ho to shadi is sorat main kar sakte hain. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60401
Mujtahid:
Date:

Question: Kaya koi aurat kisi 10 years ka bacha joa abhi baligh naheen ha aur samagh daar bhi naheen ha us ko apna doodh pila sakti ha.

Answer: Aurat k lie ehtiyat e lazim ye hai k apna badn aur sir k baal is larkay sai chupay jo abhi balig to na hua ho laikin itna samajhdar ho k achay aur buray ko samajhta ho aur ehtimal ho k aurat k badan par is ki nazar prnay sai is ki jinsi khowaish baidar ho jae gi.agr wo larka itna samjhdaar na ho tou doodh pilana jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60473
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o Alaiqum !! Baitay (son) ya baiti (daughter) ko doodh kitnay arsay pilana chahyay ? Mehrabani kar k mujay email per jawab day dain mairay pass koi toazee nahe hay or agar aap k pas soft form may toazee ho tho wo b email kar dain khuda hafiz

Answer: Mustahab hai k aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aue 2 saal sai ziyada doodh pilana munasib nahi hai. (yani pilasakte hai laikin accha nahe ) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60480
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam-ul-alikum... Mera ak sawal ha.. Jab mein 9 mnths ka tha meri phopho nay mjhe apna dhood pilaya tha 2 bar.. Lekin ab mein unhe ki beti say shadi krna chahta hn.. Kyn kay hum ak dosre ko pasand krte hain.. Tu kia hum shadi kr sakte hain?

Answer: Jee haan is surat mai shadi ki jaskti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
60694
Mujtahid:
Date:

Question: AOS hambistry k baad mother bachay koo bina ghusal k feed krwa skty hai?? baby mother feed nhe krta

Answer: Jee haan ye kam jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69059
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera question ye hai k humbistri k baad orat just wazu kar k apny bachy ko dood pila sakti hai ya Gusal lazmi karna hai ? jazak allh

Answer: Jee haan ye kam jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: kia meri sister nay jais aurat ka dood paiea ha aus aurat ki sarri ollad meary lay bi meraham ha

Answer: Wo aurat or os ki aulad aap k liay mehram nahi hoon gay. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2463). Update on dated 29-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70631
Mujtahid:
Date:

Question: As Salam alaikum mera sawal yeh hai ki mujhe meri khala ne galti se doodh pilaya tha aur jaldi se hata diya tha toh kya me unki beti se nikah kar sakta hu aur islam me5. Martaba doodh pine se razai' at shamil hoti lekin maine toh ek martaba Doodh piya hu toh plz Mujhe bataye ke me nikah kar sakta hu

Answer: Jee haan, aap apni khalazaad behen se nikah ker sakte hain.Q k dhood pene ki tadaad mukammal nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2438). Update on dated 13-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72651
Mujtahid:
Date:

Question: Meri shadi 5 saal pahle khala ki ladki se tay ho chuki hai or ham ek dusre se mohabbat karte hain ji nahi sakte ek dusre ke bina or ab pata chala hai k ladki ko meri maa ne ek bar doodh pila diya tha to ab ham kya kare hamari shadi 2 mahine bad hone wali hai (please answer)

Answer: Aik baar doodh pelany se mehram nahi hoti balky kam az kam 24 ghanty sirf us aurt ka doodh pelaya jae,ya etna pelaya jae k us doodh ki wajah se bachy ki hadyan ban jaen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438,2439). Update on dated 27-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73010
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera betay ki age iss waqt 22 months hai. Allah ne mje aik aur aulad se nawaza hai.Kia mera pehla beta maa ka dood pee sakta hai

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74116
Mujtahid:
Date:

Question: rat ka time tha mere ammi or khala sab ke pass lete hua thi or rat ko pata ni mai kaise apne khala ke pass puch gya or maine unka milk mai apna muh laga deya or mere khala ko iska kuch pta bhi ni chala or phir todi der bad mare nani ne dekha to mujhe vaha se hataya or mere ammi or khala ko utha to ab ap yr baitye ki keya mere sahdi mere khala ki ladki ke sath ho skte hai ya ni please its vary urgent

Answer: Aik baar doodh pelany se mehram nahi hoti balky kam az kam 24 ghanty sirf us aurt ka doodh pelaya jae,ya etna pelaya jae k us doodh ki wajah se bachy ki hadyan ban jaen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438,2439). Update on dated 17-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74224
Mujtahid:
Date:

Question: rat ka time tha mere ammi or khala sab ke pass lete hua thi or rat ko pata ni mai kaise apne khala ke pass puch gya or maine unka milk mai apna muh laga deya or mere khala ko iska kuch pta bhi ni chala or phir todi der bad mare nani ne dekha to mujhe vaha se hataya or mere ammi or khala ko utha to ab ap yr baitye ki keya mere sahdi mere khala ki ladki ke sath ho skte hai ya ni please its vary urgent or ye masla mere ghar valo ni mufti shab se puch hai to mufti shab ni man kar deya hai ke nikha ni ho skta to ap kisse book ka hawana ke de jisse mai mufti sabh ko bata sako

Answer: Aik baar doodh pelany se mehram nahi hoti balky kam az kam 24 ghanty sirf us aurt ka doodh pelaya jae,ya etna pelaya jae k us doodh ki wajah se bachy ki hadyan ban jaen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438,2439). Update on dated 17-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76143
Mujtahid:
Date:

Question: Maa bachay ko kitna arsa dodh pila skti hai?

Answer: Mustahab hay k kisi bachay ko poray 21 mahinay doodh pilaya jaay or 2 saal se ziyada doodh pilana munasib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 30-01-2017.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77419
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam sir mera beta abi 4 month ka b complete nai hwa or main pregnent hogai to kia ma bachy ko dodh pila sakti hn ?? Or dodh pilane se tklif hone lgi mujhy jbse pregnency ka pta chala

Answer: Mustahab hay k bachay ko poray 21 maah dhoodh pilaya jaey, laikin maan k liay apna dhoodh pilana wajib nahi hay. agar aap k dhodh pilana hamal ko saqit kerne ka sab ban raha ho tu phir aap apna dhoodh nah pilain, Q k hamal ko saqit kerna jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2417,2454). Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Aap doctor se mashwarah karain, or ehtiyati tadabeer apna,ein.

Print

Id:
78541
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: qhala ka doodh piya hi kya mai unki ldki se shdi krskta hu

Answer: Agar dhodh 8 sharaet k sath piya ho tu phir aap apni khala ki baiti se shadi nahi ker sakte. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2483). Update on dated 25-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86977
Mujtahid:
Date:

Question: Do bacchhe so rhe the dono ki alag alag maa h ...ek maa apne bachhe ko dhoodh na pilakar anjaane me dusre k bachhe ko dhood pila deti h to kya yeh bacchha is maa ki beti se nikah kar sakta h

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. Laikin aap k sawaal k mutabiq faqat aik baar is aurat ne doodh pilaya hay is liay is lerkay ki os aurat ki baiti se shadi ho sakti hay. Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88621
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, Mera sawal yey hai jo gunah jhalat main ho jaiye matlab hum nahi jantye key yey gunah hai tou kiya aus ka azab hota hai example 1) aisay 2 logoun key darmiyan nikah hojiye jo kisi waja say aik dosray par haram houn like doudh shareek ya kisi aur waja say aur sari zindagi aunhain nahi pata chala key yey rishta haram tha tou kiya gunah hoga azaab hoga? 2) prize bond ki prize money halal hai ya haram kahin kuch kaha jata hai kahin kuch tou agar kisi insaan nay wo paisay lay liye aur kharch kar liye tou aus key barye main kiya hukam hai?

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta.
agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). 2) Prize bond k zerye hasil hone wali tamaam raqam aap k liay halaal hay. (Ref: Mafhoom e E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011) . Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88707
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum jnab agr maa bchche ko doodh na pilana chahe to kya uska shauhr usse feeding krwane k liye force kr skta h?

Answer: Nahi shohar bache ki maa ko zabardasti doodh pilaane ka nahi keh sakta wo yeh kar sakta hai k wo maa ko ujrta dai sakta hai ya ye bhi kar sakta hai kisi or aurat ko talash ker sakta hay jo muft main doodh pilaaye ya ujrat par doodh pilaaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2451). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Majburi me meri maa ne cousin brother ko doodh pilaya hai or ham ek dusre ko behad pasand karte hai kya hamari shadi ho sakti hai?

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta.
agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ). 2) Prize bond k zerye hasil hone wali tamaam raqam aap k liay halaal hay. (Ref: Mafhoom e E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011) . Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89888
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam. kia bivi ka dhodh peena jaiz hay?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per is ko tark kia jaey. (Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#905). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-01

Question: mera bara bahi jab paida hua tha tab meri ami ki tabiyat sahi nahi thi to doctor ne mana kiya tha ke ye bacha apni maa ka dood na piye or aik bar mere chachu ke beti ne us ko dood pilaya tha but tab mere chachu ke beti ko beta tha us ke baad un ko larki paida hui kiya us ke sath nikah kar sakta hain....?

Answer: Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai us ke teen mayyar hain:
(1) Bachcha dhodh iis had tak peeye keh a’rfan wo gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab ho. Iis ke liay shart yeh hai keh os ka daaromadaar sirf dhodh par ho, dhodh ke sathh koe aur ghiza na ho. laikin agar m’amooli miqdaar mein ghiza khaay to koe haraj nahin. Agar bachcha do auraton ka dhodh peeye aur b’az gosht aur haddiyaan ek se ban kar mustehkam ho jaayn aur b’az dusri ke dhodh se to dono mahran hoongi aur os ki raza’ee maa ban jaygaeegi. Agar dono ke dhodh se mil kar bane hoon to hurmat saabit nahin hogi.
(2) Vaqt ka hisaab: Ii ski shart yeh hai keh bachcha 24 gHaante ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye laikin agar paani peeye, dawayee de jaay ya itnii kam ghiza kaay keh yeh na kaha sa sake keh 24 gHaanton ke dauraan ghiza khayee hai to koe ishkaal nahin. Aur zaruri hai keh poore din raat mein jab bhi bachche ko ghiza ki zarurat pade to dhodh peeye jis se ose na rokaa jaay balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh 24 gHaante ka hisaab os waqt se shuru’ kiya jaay jab bachcha bhooka ho aur os ka aakhir wo waqt shuumaar kiya jaay keh bachcha seer ho.
(3) T’adaad ka hisaab: Os ke liay shart yeh hai keh 15 martaba musalsal osi aurat ka dhodh peeye aur os 15 dafa’ ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye. laikin os dauraan ghiza kHaana zarar ka ba’is nahin aur 15 dafa’ ke dauraan waqt ka faasla ho jaay to bhi koe zarar nahin laikin zaruri hai keh har dafa’ mein bachcha seer ho kar dhodh peeye. Wo iis tarah keh bachche ko bhook lagi ho aur wo mukaamil seer hone tak baghair waqfe ke dhodh peeye. laikin agar dhodh pene eke dauraan zara ruuk jaay ya sabr kare keh chhatti monh mein laine se seer hone tak ko ek dafa’ shuumaar kiya ja sake to koe ishkaal nahin.
(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2439)
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print