Showing 50- 100 questions from 121 questions on this page.
Question: Sir my mother feed her milk to my czn when he was 1 day old because of death of his mother....mom remember that thy feed only one time at night after that she did not remember any thing because this is 25 year old accident .....is rahzahat establish....plz help....that what islam says ...about it..can i marrage to my czn or not.....allah help us
Answer:
Wo cousin aap ka na-mehram hi rahe ga or aap us say shadi kar sakte hain q keh doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is aurat ki baiti se shadi nahi ker sakta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2438 ).
[Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Razai behan bhai ka leya ap ny 8 Sharait ka zikar keya wo Kya hain? Or agr 1 dafa dodh beya ho tu wo Behan Bhai ban jatay hain?
Answer:
. Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai, oski 8 shartein hain:
(1) Bachcha zinda aurat ka dhodh peeye. Pas agar wo mard aurat ke pistaan se dhodh ki kuchh miqdaar peeye jo razaat mein motabar hai to os ka koe faida nahin.
(2) Aurat ko dhodh sharee (jayez) zachgi ki wajah se ho, agarcheh wait shaba ki bina par ho. Pas agar farzan dhodh baghair zachki ke uutara ho ya aise bachche ka dhodh ho jo waladul zina ho kisi dusre bachche ko diya jaay to os dhodh ke tausat se wo dosra bachcha kisi ka mahram nahin banegaa.
(3) Bachcha pistaan se dhodh peeye. Pas agar dhodh os ke halq mein uondela jaay to bekaar hai.
(4) Dhoodh khaalis ho aur kisi dusri cheez se mila hua na ho.
(5) Dhoodh ki jo miqdaar maujib hurmat hai wo dhodh ek shauhar ka ho. Pas dhodh pilaane waali aurat ko agar talaaq ho jaay aur wo aqd saani kar le aur dusre shauhar se haamla ho jaay aur bachcha janne tak os ke pahle shauhar ka dhodh os mein baaqi ho maslan agar os bachche ko khud bachcha janne se qabl pahle shauhar ka dhodh aathh dafa aur waza haml ke baad dusre shauhar ka dhodh saat dafa pilaay to wo bachcha kisi ka bhi mahram nahin banta.
(6) Bachcha kisi beemari ki wajah se dhodh ki qay na kar de aur agar qay kar de to bachcha mahram nahin banta.
(7) Bachche ko iis qadr dhodh pilaaya jaay keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot hoon aur badan ka gosht bhi ooa se bane aur agar iis baat ka ilkm na ho keh iis qadr dhodh peeya hai ya nahin to agar os ne ek din aur ek raat ya 15 dafa pait bhar kar dhodh peeya ho tab bhi (mahram banne ke liay) kaafi hai jaisa keh os ka (tafseeli) zikr aane waale mas,ale mein kiya jaay ga. Leikin agar iis baat ka ilm ho keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot nahin huyegaee aur os ka gosht bhi os se nahin bana hala na keh bachche ne ek din aur ek raat ya 15 dafa dhodh peeya ho to os jaisii suurat mein ehtayaat-e-waajib ka khayaal karna zaruri hai. Pas mazkura mawarid mein shaadi na ki jaay aur mahramana nazr bhi na daali jaay.
(8) Bachche ki do saal mukammil na huye hoon aur agar os ki umr do saal hone ke baad ose dhodh pilaaya jaay to wo kisi ka mahram nahin hota balkeh agar misaal ke taur par wo umr ke do saal mikammil hone se pahle aathh dafa aur os ke baadd saat dafa dhodh peeye tab bhi wo kisi ka mahram nahin banta. laikin agar dhodh peelane waali aurat ko bachcha jane huye do saal se ziyadah muddat guzar chuuki ho aur oo ka dhodh abhi baaqi ho aur wo kisi bachche ki dhodh pilaay to wo bachcha on loogo ka mahram ban jata hai jin ka zikr opar kiya gaya hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2438 )
Note: 1 dafa dhoodh pilana se mehram nahi bacha ya bachi ban jatay.
[Updated on 17-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA meri khala ki betti jis ko meri mother ne majboori main ak bar dodh pilaya ho us k sth mera nikah ho skta ha ans me plz
Answer:
wsalam.jee aik baar pilaane sai mehram nahi ban jaati balkeh us ki kuch sharaet hain lehaaza wo aap k liay na-mehram hain or us say nikah ho sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#39, maslah#2438).
[Updated on 16-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya bachche ko 2 year se Jyada doodh pilana haram hai
Answer:
Haram nahi. Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2454).
[Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: main ek SHIA larka hun , mene bachpan men ek dafa apni walida ki khala ka doodh piya tha , tu kiya ab main unki beti say nikaah kar sakta hun?
Answer:
Aik dafa doodh peeney sai mehram nahi hotay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2428)
[Updated on 18-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy ko dodh pilany ke Umar ke had kitni h
Answer:
Mustahab hai k 21 mahine doodh pilaaya jaey or 2 saal se ziyada pilana munasib nahi hai (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#35 mafhoom e maslah#2454)
[Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya apne behan ya bhai ko apni ulaad di ja sakti hai ?
Answer:
Bachay ko adopt karna jaiz hai or agar bacha 2 saal say kam hu tu bacha wusool kerna wali khatoon dhoodh pila ker is ko mehram bhi bana sakti hai laikin agar bacha 2 saal say ziada ka ho tu phir osko doodh pila kar mehram banay ka koe raasta nahi hay. (Ref: Ayatollah sistani d.b, maslah# 2428).
[Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum meri ammi jaan ne galti se unki bahen ki ladhki ko doodh pilaya ek bar hi Kiya islam Mai doodh pilaye huwe maa ke bete ke sath shadi karsakte
Answer:
Aik baar doodh pilane se mehram nahi banta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2439). Update on dated 20-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bari behan apna dhoodh choti behan ko pelha sakti hai
Answer: Behen ka apni nabaligh behen ko apna doodh pilana Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2448). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Baade Salam Arz Hai ki bachche ko Hindu doodh wale ke Haath ka Doodh pila sakte hain ya nahi?
Answer: jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Jaame, part#1, maslah #135). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu alaikum Bache ko doodh pilane ki middath kitni honi chahiye
Answer: Mustahab hay k bachay ko poray 21 maah dhoodh pilaya jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2417,2454). Update on dated 09-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya larka or larki jo bhn bhai na ho but unhy aik aurat ny feed (dhodh pilaya) kya ho. Wo nikah kr skty hn?
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta.
agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ).
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mri behan bayaulad hy. My apni beti ko feed krati hu. Kia wo koi bacha bahr sy adopt kr k mra dood pila skti hy js sy wo bacha uska mehram hojy. Kindly roly. Jazakallah
Answer:
Jee Han, agar apki behen kisi bache ko adopt kare keh ap use doodh pilayen takeh woh apka mehram ban jaye to agar yeh doodh pilana tamam sharait ke sath hon jo keh tauzeeh ke masla (2438) me zikar ki gayi hain, to woh bacha apki behen ka mehram ho jayega. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani (D.B) ,Tauzeeh Ul Masail,Masla no #2428).
[Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ksi larki ne larkay ki dadi ka doodh piya or fori ughal diya mtlb ulti krdi tab bhi us larkay se nikah jaez nhi?
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta.
agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 )
[Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assallam alaikom janab Mayra sawal ap say ye hy k agar 1 larka our 1 larki 1 aourat ka doodh piyay our musalsal piyay tu un dono ka tu nikah nhe huta laykinn sawal hy k uss larki k badd jitney behnay hey unka nikah uss larkay k sath jiss k sath is larki nay doodh piya hy ya uss k baiyu k sath nikah hu sakta hy k nhhe
Answer:
Agar aurat ne pori sharait ke sath doodh pilaya hai to phir woh larka sirf us larki ka mehram hoga , aur uski behnon ka nahi , isi tarah woh larki sirf us larkay ki mehram hogi baqi uske bhaiyon ki nahi , iske ilawa us aurat ki tamam betiyan (jis ne doodh pilaya hai) us larke ki mehram hoongi , aur isi tarah us aurat ke tamam betay (jis ne doodh pilaya hai) woh us larki k mehram hoon gey. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 2428,2431 ).
[Updated on 01-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ak ladki ladka ki maa ka didh pia ho to kya donu mn nikah ho skta hy dodh bs ak br pia hy
Answer:
Agar is qadr doodh piaa hai k us ki haddian usi doodh ki wajah sai mazboot hoi hai tou wo dono aik doosre k mehram ban jaaye gay or un ka nikah durust nahi hoga lekin agar aik ya do dafa doodh peene sai aik doosre k mehram nahi bante or aapas mai nikah kia jaasakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2438)).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri Tai be mujhy apni chohti beti k sath doodh pilaya Hy or Mera nikah in k pehle bete se hua Hy Kya Mera nikah jaiz Hy?
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ).
[Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nani apni nawasi ko apna dhodh pila sakti hai
Answer:
Agar nani apne nawasay ya nawasi ko pora dhodh pilaay tu wo lerhki apne shohor par hameshah k liay haram hojaay gi dhoodh pila ker mehram bannay ki sharaet or mehram bannay k 3 miyaraat ki tafseel jaanay k liay is link par click karain https://www.sistani.org/urdu/book/61/3649/.
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar maa bete ko 2 and half year doodh pila de. To is ka kafara Kia ah?
Answer:
Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai or is ka koi kafara nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2454).
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr ik orat dsri lrki ko feed krwadey to kia gunah hy ? niyat maa bchy ki ho to ? koi ghlt niyat na ho to kia feed krwana jaiz hy?
Answer:
doodh pilana jaiz hai. lekin agar mukammal sharait ke sath jin ka zikr masla # 2438 me kiya gaya hai. doodh pilaya jaye to wo larki us aurat ki mehram ho jai gi.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani (D.B) ,Tauzeeh Ul Masail,Masla no #2428).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alaikum kia larki apni 5 saal ki nand ko doodh pila sakti hai kiun k us bachi ne kisi waja se maa ka doodh nhi peya. Ap Plz bta dein
Answer:
Jaiz hay..(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2448)
[Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik bachy ki umar 20 din ha us sy bhari bhan ha jis ki umar 2 saal ha kia yah dono bachy apni maan ka dhoodh pi sakty hain
Answer:
Jee pilana jaiz hai, Lekin Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454).
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. G mera nam Syed Ali Hassan. aur maen lahore ka rehnay wala hon. maen aik maslay ka hal pouchna tha kay. kay meri Biwi ki pichlay maheny death ho gaye thi. meri aik beti hai 6 saal ki. us ko maen nay apni sister ko dia tha kay woh is parwarish karen. lakin jab maen 15 din kay baad gaya usy milnay to meri beti nay kaha maen nahen rahna phopo kay paas. phir maen us ko apnay sath wapas ghar lay aya. lakin meray bhai nay kaha ap wapis is ki phopo ko day do. maen us ko phir apni sister ki taraf day aya. magar us ka dil udhar nahen lag raha. phir us ki phopo nay us ko rakha howa hai. mehrabani kar kay mujay is maslay ka hal bata daen
Answer:
Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k jab tak bacha doodh ki muddat (yani 2 saal) main ho, is main maan baap baraber k hissedaar hote hain,or jab os ka dhood choot jaay tu phir maan ki nisbat baap ziyada haqdaaar hota hay.or jab baap mar jay tu doosre rishtedaaro k nisbat maan ziyada huqdaar hoti hay.(Ref: wasaelush shia, baab e nikah,hadees#1, chapter#81.).
(Note: Aap apni beti ko apnay pass rakh kar us ki parwarish karen)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai larki hu Mai ny apni mami ka dhoodh peya hai tu kya un ka beta Jo mujy sy kuch mah hi bara hai wo mera bhai ban gaya hai or mai ny 1 month peya hu ga shayad ye bhi pata de kitni der tak penye per razi bhai behan ban jate hain
Answer:
Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai, oski 8 shartein hain:
(1) Bachcha zinda aurat ka dhodh peeye. Pas agar wo mard aurat ke pistaan se dhodh ki kuchh miqdaar peeye jo razaat mein motabar hai to os ka koe faida nahin.
(2) Aurat ko dhodh sharee (jayez) zachki ki wajah se ho, agarcheh wati shuba ki bina par ho. Pas agar farzan dhodh baghair zachki ke utara ho ya aise bachche ka dhodh ho jo waladul zina ho kisi dusre bachche ko diya jaay to os dhodh ke tawssut se wo dosra bachcha kisi ka mahram nahin banegaa.
(3) Bachcha pistaan se dhodh peeye. Pas agar dhodh os ke halq mein uondela jaay to bekaar hai.
(4) Dhoodh khaalis ho aur kisi dusri cheez se mila hua na ho.
(5) Dhoodh ki jo miqdaar mujib e hurmat hai wo dhodh ek shohar ka ho. Pas dhodh pilaane waali aurat ko agar talaaq ho jaay aur wo aqd saani kar le aur dusre shohar se haamla ho jaay aur bachcha janne tak os ke pahle shohar ka dhodh os mein baaqi ho maslan agar os bachche ko khud bachcha janne se qabl pahle shohar ka dhodh aath dafa aur waza hamal ke baad dusre shohar ka dhodh saat dafa pilaay to wo bachcha kisi ka bhi mahram nahin banta.
(6) Bachcha kisi beemari ki wajah se dhodh ki qay (ulti) na kar de aur agar qay (ulti) kar de to bachcha mahram nahin banta.
(7) Bachche ko is qadr dhodh pilaaya jaay keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot hoon aur badan ka gosht bhi usi se bane aur agar is baat ka ilkm na ho keh iis qadr dhodh peeya hai ya nahin to agar os ne ek din aur ek raat ya 15 dafa pait bhar kar dhodh peeya ho tab bhi (mahram banne ke liay) kaafi hai jaisa keh os ka (tafseeli) zikr aane waale masale mein kiya jaay ga. Leikin agar is baat ka ilm ho keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot nahin huye aur os ka gosht bhi os se nahin bana halankeh bachche ne ek din aur ek raat ya 15 dafa dhodh peeya ho to is jaisi surat mein ehtayaat-e-waajib ka khayaal karna zaruri hai. Pas mazkura mawarid mein shaadi na ki jaay aur mahramana nazar bhi na daali jaay.
(8) Bachche ki umr do saal mukammal na huye ho aur agar os ki umr do saal hone ke baad ose dhodh pilaaya jaay to wo kisi ka mahram nahin hota balkeh agar misaal ke taur par wo umr ke do saal mikammal hone se pahle aath dafa aur os ke baad saat dafa dhodh peeye tab bhi wo kisi ka mahram nahin banta. laikin agar dhodh peelane waali aurat ko bachcha jane huye do saal se ziyadah muddat guzar chuki ho aur us ka dhodh abhi baaqi ho aur wo kisi bachche ko dhodh pilaay to wo bachcha mahram ban jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2438)
Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai us ke teen mayyar hain:
(1) Bachcha dhodh is had tak peeye keh urfan wo gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab ho. Is ke liye shart yeh hai keh os ka daaromadaar sirf dhodh par ho, dhodh ke sath koe aur ghiza na ho. laikin agar mamooli miqdaar mein ghiza khaay to koe haraj nahin. Agar bachcha do auraton ka dhodh peeye aur baaz gosht aur haddiyaan ek se ban kar mustehkam ho jaayn aur baaz dusri ke dhodh se to dono mehram hongi aur os ki razaee maan ban jaygaeegi. Agar dono ke dhodh se mil kar bane hoon to hurmat saabit nahin hogi.
(2) Waqt ka hisaab: Is ki shart yeh hai keh bachcha 24 Ghante ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye laikin agar paani peeye, dawayee de jaay ya itnii kam ghiza khaay keh yeh na kaha sa sake keh 24 Ghanton ke dauraan ghiza khayee hai to koe ishkaal nahin. Aur zaruri hai keh poore din raat mein jab bhi bachche ko ghiza ki zarurat pade to dhodh peeye jis se ose na rokaa jaay balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh 24 Ghante ka hisaab os waqt se shuru kiya jaay jab bachcha bhooka ho aur os ka aakhir wo waqt shumaar kiya jaay keh bachcha ser ho.
(3) Tadaad ka hisaab: Is ke liye shart yeh hai keh 15 martaba musalsal osi aurat ka dhodh peeye aur os 15 dafa ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye. laikin os dauraan ghiza khana zarar ka baais nahin aur 15 dafa ke dauraan waqt ka faasla ho jaay to bhi koe zarar nahin laikin zaruri hai keh har dafa mein bachcha ser ho kar dhodh peeye. Wo is tarah keh bachche ko bhook lagi ho aur wo mukaamal ser hone tak baghair waqfe ke dhodh peeye. laikin agar dhodh pene ke dauraan zara ruk jaay ya sabr kare keh chhatti monh mein laine se seer hone tak ko ek dafa shuumaar kiya ja sake to koe ishkaal nahin. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2439)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Razi bhai behan kitni time Mai bhai behan ban jate hai saal ya month mai
Answer:
Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai us ke teen mayyar hain: (1) Bachcha dhodh is had tak piye keh urfan wo gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab ho. Is ke liay shart yeh hai keh os ka daaromadaar sirf dhodh par ho, dhodh ke sathh koe aur ghiza na ho. laikin agar mamooli miqdaar mein ghiza khaay to koe haraj nahin. Agar bachcha do auraton ka dhodh peeye aur baaz gosht aur haddiyaan ek se ban kar mustehkam ho jaayn aur baaz dusri ke dhodh se to dono mahram hoongi aur os ki razaee maa ban jaygaeegi. Agar dono ke dhodh se mil kar bane hoon to hurmat saabit nahin hogi. (2) Waqt ka hisaab: Is ki shart yeh hai keh bachcha 24 Ghaante ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye laikin agar paani peeye, dawayee de jaay ya itni kam ghiza kaay keh yeh na kaha sa sake keh 24 ghaanton ke dauraan ghiza khayee hai to koe ishkaal nahin. Aur zaruri hai keh poore din raat mein jab bhi bachche ko ghiza ki zarurat pade to dhodh peeye jis se ose na rokaa jaay balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh 24 ghaante ka hisaab os waqt se shuru kiya jaay jab bachcha bhooka ho aur os ka aakhir wo waqt shuumaar kiya jaay keh bachcha seer ho. (3) Tadaad ka hisaab: Is ke liay shart yeh hai keh 15 martaba musalsal osi aurat ka dhodh peeye aur os 15 dafa ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye. laikin os dauraan ghiza khaana zarar ka baais nahin aur 15 dafa ke dauraan waqt ka faasla ho jaay to bhi koe zarar nahin laikin zaruri hai keh har dafa mein bachcha ser ho kar dhodh peeye. Wo iis tarah keh bachche ko bhook lagi ho aur wo mukamal ser hone tak baghair waqfe ke dhodh peeye. laikin agar dhodh pene ke dauraan zara ruk jaay ya sabr kare keh chhatti monh mein laine se ser hone tak ko ek dafa shuumaar kiya ja sake to koe ishkaal nahin. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2439)
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghr larki ny dhoodh peya hu larkye ki maa ka tu un ka nika hu sakta hai kiyaa
Answer:
Agar is larki ne larkey ki maan ka dhoodh sharaet k sath piya ho tu phir on dono ka apas main nikah nahi ho sakta. Dhoodh piya ho dhodh pila kar mehram banne ki (8) shartein hain: Pass Agar kisi larki ne tamam sharait k mutabiq kisi aurat ka doodh nah piya ho to is surat men wo larki na-mehram hi hai aur us auart ke bete se shadi kar sakte he. aur agar tamam sharait k sath dhodh pia ho tu wo aap ki mehram hain aur us aurat ke bete se shadi nahi ki jasakti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 33 Edition, masla #2428, 2438).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Razi bhai behan kitni time Mai bhai behan ban jate hai saal ya month mai
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is auratki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 ).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ny istakara krwayaa wo sahi nikla likin sab ye kahte hai mera wo razi bhai haai Mai ny 1 month dhoodh peya hai
Answer:
Istekhara kisi halal kaam k karne k liay kia jata hay ilm ghaib k hosool k liay nahi. jab aap ko ye ilm dia ja raha hay keh wo aap ka doodh shakeek bhai hay tu phir aap k liay os k sath nikah karna jaiz nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2441).
[Updated on 27-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr larki ny larke ki maa ka dhoodh peya hu phir wo is ki razi behan hai kiyaa
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay nikah haram hojaaye ga warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 )
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye ha ka agar aik oorat bacha oor doosri oorat ki bachi teesti oorat ka doodh pee lien to on ka nikah jayz hota hai
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain:
1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay.
2. Ya 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho.
3. Ya 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaayen gay, aur nikah haram hojaaye ga. warna nikah sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2438 )
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir ap se swal pochna ha k meri walda ne meri mamo ke bety ko 2 Ya 3 martba dod pilya tha sirf 14 ganto me Wo bhe majbori ke waja se actually mere mama mami ka jagra ho gya tha or meri walda ne un ko dod pelya ha or jis ke sath pelya ha Wo bhai muj 3 jaga chota ha to plz sir Hume guide kr de me us larki se shadi krna chata ho
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain:
1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay.
2. Ya 24 ghanton k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho.
3. Ya 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. Agar mazkoora tareekon mai sai kisi aik k mutaabiq doodh nahin piyaa hai tou phir aapas mai mehram nahin banen gay, aur nikah bhi sahi hoga, warna nikah sahi nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 2438)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum Agar bachay k delivery k 9 mah Bad dobara pregnant hojae to doodhe pene Wale bache ko kitne mahine tak doodh pila sakta he? Kab doodh churana chahiey?
Answer:
Mustahab hay k bachay ko poray 21 mahine dhoodh pilaya jaey, laikin maan k liye apna doodh pilana wajib nahin hay. agar maan ka dhodh pilana hamal ko saqit karne ka sab ban raha ho tu phir aap maan apna dhoodh nah pilaye, Q k hamal ko saqit karna jaiz nahin hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #2417,2454).
[Updated on 13-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.A. Please mujy guide kren k mere sawa saal ki baite hy ab Allah Pak ny mujy phir baite dy d hy... Mere pehli baite mere feed bnd nhi kr rhi....m ny hr trh sy koshesh kr li... Pochna yeh hy k Kya main in dono ko ik sath feed kra skti hon??? Mere bri baite khati peti hy feeder b laite hy mgr mere feed us ny lazmi ly k sona hy.... Yunh Keh laen jaisy nasha hy pora krna hy bs..... Chahy 2/4 munh mar ly..... Please es bary detail main bta daen
Answer:
Aap dono bachon ko doodh pila sakti hain Aur Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2454)
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hamla aurat (3rd month pregnant) apny pehly baby ko jo k 14 months ka hai doodh pila sakti hai?
Answer:
Jee han, hamila aurat apne pehly pache ko doodh pila sakti hai. Aur Mustahab hai k bache ko poore 21 mahine doodh pilaya jaey or 2 saal sai ziada doodh pilaana munasib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2454)
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam! Main ny suna hai k aghr bacha 3 raat maa k food na pita toh us bachy phr maa k dhood haram hinata hi please guide dijiye mera beta 3 din se mera feed nhii kar that hai
Answer:
Jee nahin, Aisa kuch nahin hai. Aur aurat par bache ko doodh pilana wajib nahin hai, agarche bache ko doodh pilane ka haq man ko hi hasil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2451).
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sallam bachay ko kitnay mahenay maa ka dood daina chahaiy
Answer:
Mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2454)
[Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamwalekum mera sawal tha ki maine apni fupi ka dudh pithi ek baar to kya unka beta jo merese 2 mahine bada hai usse mera nikah nhi ho skta hai ab?
Answer:
Aik dafa doodh peene sai mehram nahin hotay. lihaza aap dono nikah kar sakte hain Q ke aap dono apas main na mehram hain.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2428)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ya hai .main or ak or bandy hai hum donon ny ak orat ka dood peye hai os orat ky alag alag beton ky sth dood paye hai ab mri shadi os bandy ki beti ky sth ho skti hai kiya kindly refernce ky sth jawab deyan
Answer:
Jis shaks k sath aap ne doodh piya hay os ki baiti aap k liay na-mehram hay, or aap ki os se shadi ho sakti hay.(Ref: tauzihul masael, maslah#2440).
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri wife mere mamu ke beti he.hamari shadi ko 3year hogye he.or hamara 1bacha b h ab pta chala k meri wife ne meri nani ka doodh piya he.ab Quran ki roshni me hamara liye Kya hukum he.
Answer:
Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay nikah haram ho jaaye ga warna nikah sahi hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438).
[Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir kindly bta den keh larki k breast mn doodh kb ata hai..?
Answer:
Aam taur par Pregnancy ke dauran dudh ata hai lekin har koi aurat same nahin hoti. Kisi ko 5th months mein aa jata hai to kisi ka 9th month mein aur kisi ko to bilkul nahin ata hai.
[Updated on 25-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek maa apne 1 sala bachy ko apna dudh chorva sakti he takleef ki vaja se, q k vo us ko kati (bite) krta he? Maa ko gonah to ni mele ga k us ne bachy ka haq pura ni kya... Apni takleef ki vaja se
Answer:
Jee han, Churwaya sakta hai aur koi gunah bhi nahin hoga Q ke Maan ke liye bache ko doodh pilana wajib nahin hai agarche bache ko doodh pilane ka pehla haq Maan ko hi hasil hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2451).
[Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri khala be ghalati se mujhe apni beti samajh kr apna doodh pila diya tha Kya Meri shadi in ki beti sa ho sakti ha
Answer:
1: Agar zel me di gayei tamam sharaait or tareeqe ke sath doodh piya tha to nikah jaiz nahin hai. warna jaiz hai.
2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath (8) sharten hain. 1. Bacha zinda aurat se doodh piye. 2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho. 3. Bacha pistan se doodh piye. 4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho. 5. Doodh aik hi shohar ka ho. 6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day. 7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane. 8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon.
In tamam sharait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide(faraham) kar rahe hen aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jaye gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/
3: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banne or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. chaubees (24) ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piya ho. 3. 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho. Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh pilaya jaye to dono mehram ho jayen gay, warna nahin.
4:agar is baat me shak ho ke bache ne itne miqdaar me doodh piya ha ya nahe jo mehram banne ka sabab hai ya nahe piya hay ya gumaan ho ke usne itne miqdaar me dooodh piya hay tu bacha kise ka mehram nahe hota laikin behter ye hay ke ehtiyaat ki jaay.( or jab mehram nahe hoga tu shadi hosakte hay)
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2439,2461).
[Updated on 24-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar pehla Bacha abhi ek sal ka ho r pregnancy ho jaey to bachy ko kb tak dudh pila skty hy
Answer:
Aap ki marzi hai jitne arse tak bache ko doodh pilayen albatta sharaei taur par Maan ke liye Mustahab hai ke bache 21 mahine doodh pilaaye or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42 Maslah #2454).
[Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum sir meri chach ny meri aik behn ko dudh pilaya hai to kia us k bety k sth meri dusri behn ki shadi ho skti hai?
Answer:
Jee han, ho sakti hai Q ke wo dono aapas men na-mehram hain. jis larki ne dhoodh piya tha faqat wo os larkay ki behen shumaar hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2428).
[Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia maa apnay 13 sal k nabalig bachay ko apna dhoodh pila skti hay, dwaye k tor pr agr wo bemar ho to.
Answer:
Agar balig nahin hai to pila sakti hai. lekin agar bache ki umr do saal se ziyada ho jaye to use doodh pilana munasib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2454).
[Updated on 03-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye hy k hum 2 bhi or 2 behan meri mom mere sath rehti hai or me unmarried hon ek din me apni ammi ko malish kar raha tha back per to poocha k ammi sub se ziada kam doodh kis ne piya apka to ammi ne kaha tum ne. To mene ammi se zid ke k mujhe abhi pilaen to ammi ne kaha beta ab to khali hen to mene zid ke k nhn abhi peena hy to mujhe ammi ne pilae to ab ye kya gunah hy ya koi eska kafara
Answer:
1: Agar balig nahin hain to pila sakti hai. lekin agar bache ki umr do saal se ziyada ho jaye to use doodh pilana munasib nahin hai.
2: Ehtiyat wajib ki bina par maan ka doodh pina baligh ke liye jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2454). + Minhaj us Saleheen, part #3, maslah #905).
[Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar maa ka dudh nahi aa raha ho or kisi muslim aurat ka dudh arrange nahi ho raha ho or kisi ghair muslim(Hindu) aurat ka dudh arrange ho to kia us hindu aurat ka dudh apni bachi ko pila sakte hain ?
Answer:
Jee pila sakte hain Q ke mustahab hai keh bache ke liye jo daya moontakhab ki jaaye woh musalmaan ho, aaqil ho, jismaani, akhlaaqi aur nafsiyaati aitbaar se pasandida safaat ki maalik ho. Yeh munaasib nahin keh daaya kaafir, ahmak, burhi ya badsurat ho. Yeh makrooh hai keh kisi aisi daaya ko muntakhab kiya jaaye ho zina zaadi ho ya jis ka dhoodh aise bache se ho jo haraam kaari se paida hua ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #2452).
[Updated on 03-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager Mari bahan na Mari saki khala ka dood pia ho or usi khala ki bate see mara Nika ho to jayaz ha ya ni
Answer:
Jee han, jaiz hai Q ke aap ki khala ki beti aap ki Rizayei behen nahin hai aur wo aap ki na mehram hai, lihaza aap ka us se nikah jaiz hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2438).
[Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager Mari bahan na Mari saki khala ka dood pia ho or usi khala ki bate see mara Nika ho to jayaz ha ya ni?
Answer:
Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Man kitny arsa tuk bachy ko doodh pila sakti hai?
Answer:
Maan ki marzi hai jitne arse tak bache ko doodh pilaye, Albatta sharaei taur par Maan ke liye Mustahab hai ke bache 21 mahine doodh pilaaye or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42 Maslah #2454).
[Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]