Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Dhoodh Pilane K Ehkaam (113 Questions)


Showing 100- 113 questions from 113 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-09

Question: Meri bachi doodh sahi se nahi pi pati to me breast se Pump krke deti hun. doodh ko thande mausam me rkhna chahye AC chala kar mgr mene adhay ghante tk bahar rkhdia. Ab pilanay se pehle kia aurat apna doodh chakh skti hai? Takay bachay ko koi nuksan na ho.

Answer: Jee han, check kar sakti hain Albatta halaq se neeche na utaaren.kyu ke ehteyaate wajib ki Bina per insaan ka doodh Pina jaiz nahe hay.

(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, mafhoom e maslah #905).
[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-18

Question: Dudh pilane wali maa kya khaye aur kya na khaye

Answer: Is silsile me hum aap do links provide kar rahe hai aap un me dekh sakti hain ke kaunsi cheezein istemal karni chahiyen or kausi nahin.

Link:
https://ur-m.iliveok.com/food/dwdh-plny-khy-dwrn-gdh_111921i15882.html
https://www.marham.pk/healthblog/doodh-plany-k-doran-muzir-ghizaen/
[Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-16

Question: Meri Ammi ne apni Chachi ka doodh piya tha bachpan Mai or Mai unki Chachi ki beti ko Pasand karta ho nikkah Karna Chahta ho kia hamara nikkah ho sakta hai

Answer: 1: Is hawale se zel me chand sharait bayan ki jaa rahi hain agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye aap ki ammi ne apni chachi ka doodh piya tha to aap apni chachi ki beti ke mehram ho jayen gay, aur us se nikah nahin kar sakte Q ke doodh peene ki wajah se chachi ki beti aap khala ban gayei hain;
Lekin agar in sharait ko madde nazar nah rakhte hoye aap ki ammi ne apni chachi ka doodh piya tha to aap apni chachi ki beti ke mehram nahin bane gay, aur us se nikah kar sakte hain.

2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath(8) sharten hain.
1. Bacha zinda aurat se doodh piye.
2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho.
3. Bacha pistan se doodh piye.
4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho.
5. Doodh aik hi shohar ka ho.
6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day.
7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane.
8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon.
In tamam sharaait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide (faraham) kar rahe hen aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jayen gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/
3: Doodh pilanay se mehram banay ke teen miyaar hain:
1. Bache ne is had tak doodh piya ho ke awaam ki nazar main gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab banay.
2. Chaubees (24) ghante ke dauran is bache ne kisi aur ka doodh nah piaya ho.
3. Pandra (15) martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho.
Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye, bache ko doodh pilaya jaye to mehram ho jayen gay warna nahin.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #116,117. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2438,2439).
[Updated on 17-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122194
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-28

Question: بچے کو ماں کا دودھ کتنی مدت تک پلا یاجاے؟

Answer: Mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, aur 2 saal se ziyada pilana munasib (behter )nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2454).
[Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122363
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-14

Question: Asalam alaikum sir mera sawal hai kya 1 saal aur 4 mah ke bachi ko maa ka doodh band karwa saktay hai ?

Answer: Jee han, band karwa saktay hain lekin mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, aur 2 saal se ziyada pilana munasib (behter) nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2454).
[Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122523
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: Kia bri bhen apni choti bhen ko apna dhoodh pila sakti ha aur es se ristha pr koi asar tu ni hoga?

Answer: Jee pila sakti hai aur dono behnon ke rishte me to koi asar nahin hoga albatta itna asar zaroor hoga ke bari behen ka shohar is choti behen ka razaai baap ban jaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2428,2438,2439).
[Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123311
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-20

Question: Assalam walikum mere khala ke beta hy us se mere mangni ke bat paki ho gayee ab hamra reshtadar hy wo kehty hy ke apki ami ne us larke ko dhood de hy mere cousin ko lekin mere ami qasam kahte hy ke ye jhoot bol raha hy main ne dhood nahe de our os larke ke pass gawah be nahe the mere ami ke bat per sab yakeen karte tu abb ye nekah ho sakta hy plxxxx answer jalde denaaa plxxxx

Answer: 1: Is hawale se zel me chand sharait bayan ki jaa rahi hai agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye aap ki walida ne doodh piya tha to aap us ki razaei behen banen gi aur us se shadi nahin kar saktien, lekin agar in tamam sharait me se koi bhi aik shart na paayei jaye to mehram nahin banen gi, aur us se shadi kar saktien hain.

2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath(8) sharten hain.
1. Bacha zinda aurat se doodh piye.
2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho.
3. Bacha pistan se doodh piye.
4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho.
5. Doodh aik hi shohar ka ho.
6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day.
7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane.
8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon.
In tamam sharaait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide (faraham) kar rahe hain aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jayen gi.
Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/

3: Doodh pilanay se mehram banay ke teen miyaar hain:
1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay.
2. Chaubees (24) ghante ke dauran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho.
3. Pandra (15) martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho.
Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh pilaya tha to aap dono mehram hain, warna nahin.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2428,2438,2439).
[Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-21

Question: Naani nawasi ko bhi dudh pila sakti hai kya

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Agar koi Aurat apni beti ke bache ko (yani naani apne nawase ya nawasi ko) poora doodh pilaye to wo larki apne shohar par Haram ho jaye gi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2436).
[Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123502
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Asalsm o alikum meney apni bateji ko 2 dafa doodh pilaya hey qk unki walida ka doodh nahi tha aur dno dafa paet bhar k doodh pea hy bchi ney. To kiya ase ma doodh shareek maa ban jati hon air kia mere bchon ky liye wo mehram hon gi plzzzz plzzzz jawab lazmi dijiye ga

Answer: Doodh pilanay se mehram banay ke teen miyaar hain:
1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay.
2. Chaubees (24) ghante ke dauran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho.
3. Pandra (15) martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho.
Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh nahin pilaya tha to aap doodh shareek nahin bane gien aur bachay bhi apas me nahin mehram hon gay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2439).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-14

Question: Assala walikum mara sawal ye hy ke mere cousin se mere reshty ke bat ho raheel hy abbb hamara Aik rshtadar hy wo kehty hy ke ye larka bchpn main ham ne larke ke maa ke pass ke Aya our larke ke maa ne dhood pilaya lekin mere maa qassam kahte hy ke ye jhoot hy ham ne dhood nahe de tu kyaa abb ye Nekah ho sakte hy plz jawab zaror dena main bohut parishan ho??

Answer: 1: Is hawale se zel me chand sharait bayan ki jaa rahi hain agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye aap ki walida ne doodh piya tha to aap us larki ke razaei bhi ban jayen gay aur us se shadi nahin kar sakte, lekin agar in tamam sharait me se koi bhi aik shart na paayei jaye to mehram nahin banen gay, aur us se shadi kar sakte hain.

2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai, is ki aath(8) sharten hain.
1. Bacha zinda aurat se doodh piye.
2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho.
3. Bacha pistan se doodh piye.
4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho.
5. Doodh aik hi shohar ka ho.
6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day.
7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane.
8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na hue hon.

In tamam sharaait ki taseelaat maloom karne ke liye hum aap ko aik link provide (faraham) kar rahe hain aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jayen gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/

3: Doodh pilanay se mehram banay ke teen miyaar hain:
1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay.
2. Chaubees (24) ghante ke dauran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho.
3. Pandra (15) martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho.
Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh pilaya tha to aap dono mehram hain, warna nahin.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2428,2438,2439).
[Updated on 15-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-25

Question: Assalam o alaikum. Maine apni khala ka doodh peya 1 bar 2 Saal say Kam umer main kia Maine apni khala ke os beti say Jo mera ek bar doodh pelana k 2 saal badh paida hoe nikkah kr sakta hon.

Answer: Jee han, kar sakte hain Q ke aik baar doodh peene se wo mehram nahin banti.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2428,2438,2439).
[Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-24

Question: Maine apni chachi ka ek bar dhudh pi liya tha q ki mai ro raha tha or meri ammi ko dhudh nahi tha toh chup karane ke liye ek bar meri chachi ne dhudh pilayi ab mai uski beti ko pasand karta hu or nikah karna chahta hu kya ye ho skti hai?plzzzzzzzzzzzzzz sir jabab de bahut problem me hu

Answer: Aik, do martaba doodh peene se wo aurat aap ki rizaei maan nahin banti balke wo na-mehram hi hai aur aap us ke beti se shadi kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2439).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125894
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-15

Question: Plzz ans me mai bahut bar puch chuka hu Meri chachi ne mujhe ek bar dhudh pilaya hai kya mai uski beti se nikah kar skta hu?plzzzzzzzz....plzzzz ans me

Answer: Jee han, kar sakte hain Q ke aik baar doodh peene se wo mehram nahin banti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #2428,2438,2439).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print