Showing 0- 50 questions from 88 questions on this page.
Question: Islamic law/order about aqiqa, which is normally takes place on the 7th day of the new born child.
Answer: Aqaiqa is mustahab act. Just slaughter anyone of these animals she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel. And then distribute the meat, its better to invite 10 or more momineen on meal of made by meat of aqiqa. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aqiqa krana zruri he ager na kraen to us baby ko kia nuqsaan ho sukta . kia koi Hadeeth he?
Answer:
1-Aqiqa kerna wajib nahi musthab hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij).
2- Riwayaat main hay k jab tak aqiqa nahi hota bacha afatoon main mubtila rehta hay.(Ref: Tauhfatul awaam, pg#277). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam. kia ghair syed k aqeqay ka gosht syed kha skta hai. jab k wo us k walidain mai nahi hai...mtalb mai syed hun tu kia mai ksi b syed ya ghair syed k aqeeqy ka gosht kha skti hun ya nahi....
Answer: Jee haan syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Aqiqa wajib hai aur aqiqa ka ghosht kon kon kha sakta hai family main
Answer: Aqiqa wajib nahi balkeh mustahab hay, Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam, Aqiqa ke sharayet kiya hain. janwar ki umr ki koyi had hey ya koyi sa bi janwar zabah ker saktey hain?
Answer: Aqeeqa kerna mustahab hay.aqeeqay main zarori hay k bherh bakra ya bakri gaay ya bail ya aont ya aontni ho{i.e: she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel}. Janwar ki umer ki shart nahi hai or aib(fault) daar jaanwer bhi aqaiqay k liay kafi hay. Mustahab hay k jaanwer mota ho.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam aqeeqa jiska krna ho usk parents hi krskte hai ya koi aur kre to jaise hai? humne mere jethji ke bacho ka aqeeqa kiya because unki income me aqeeqa nthi hota tha to kya ye jayaz hai?
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 388, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ma apnay dono bacho ka aqiqa karna chahta hoon ek beta 5 saal ka ha aur dusri beti 9 months kia par masla yah hai ka hum dono mia biwi yanee maa baap ka nahi hua ha to hamara hona zaruri hia aqeeqa pahlay ya bacho ka karayee...plz answer
Answer: Aqaiqa kerna mustahab hay , bacahy k aqaqay kerne main ye shart nahi k pehle maan baap ka aqaiqa hoa ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Maamlaat, Mafhoom e Maslah #1383 , Eidition 1431 hij, published by Daralmahaja albaiza). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: My daughter and her husband live in uk.Son born on7/6/2011.Want to do Aqika in Karachi.What will be the procedure & how the meat of the goat to be distributed.
Answer: just slaughter anyone of these animals she-goat,he-goat,sheep,cow,bull,she-camel,he-camel. And then distribute the meat, its better to invite 10 or more momineen on meal of made by meat of aqiqa. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya syed aqiqa ka gosht kha saktay hain
Answer: Jee haan syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AGAR BUCHA BAHAR PAIDA HO MULK SE BAHAR TOU KIA UN KEY NANA NANI AQIQA KAR SAKTEY HAI.
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Want to perform aqeeqah of my daughter kindly give detail masail and shara hukm on it. 92-323-2760638
Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay.Aqiqe ka jaanwer ont, gae,bhairh or bakri main se ho. Mustahab hay k aqiqay k jaanwer main qurbani k jaanwer ki tamaam sharait hoon. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalmoalikum, janab main ye janna chahta hoon kai qurbani key janwar Cow main Aqiqa ho sakta hai. Quran & Hadise ki roshni me islah ferma dejiya.
Answer: Jee haan, jis ki janib se qubani ki jaay ,wo qurbani aqiqe k liay bhi kaafi ho jati hay or osko alag se aqiqa nahi kerna perhe ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main aqiqa kistarah karange
Answer: Aqiqe ka jaanwer ont, gae,bhairh or bakri main se ho. Mustahab hay k aqiqay k jaanwer main qurbani k jaanwer ki tamaam sharait hoon. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera Swal Yeh Hai K Mai haqeqa K Barey mai Janna Chahta hoo.kia Yay Eid ezha par bi ho sakta hai aur es barey mai Tafseel Se btay.
Answer: Jee haan, jis ki janib se qubani ki jaay ,wo qurbani aqiqe k liay bhi kaafi ho jati hay or osko alag se aqiqa nahi kerna perhe ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Humari Tallaq ho chuki hai 1 beta hai jo maa k pas hai kia main bete kighiar mojoodgi main uska AQIQA ker sakta hon please meri rehnumai farmaen. Shukriya....
Answer: Jee haan bachay ki ghair haazri mai aqiqa kia jasakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o alikum! Muje Janna hay k kya ek beta apne walidain ka aqiqa kr skta hay? aur ek mard apni bivi ka? aur ek suser apni bahoo ka?
Answer: Jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya aqeqa ho sakta hay bachy ki sunnat k bgair
Answer: Jee haan,Khatna(Sunnat e Ibarahemi) kiay baghair aqeeqa ho sakta hay, laikin mustahab hay k khatna bhi sathwain(7th ) rooz ki jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As salam alakum haqeqa ka ganwar katne hone chaye . Larke Ka leya 2 bakre ya ak bakra. ya 2 bakre. aur us ka goast ghar wale istmal kar sakte he ya nahe . aur agar istmal kar sakte he to katne maqdar me. aur is ke dua ho sake to bata de.
Answer: Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij). Aqiqay kid au k liay aap is link per click karain (http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=2327:1391-03-18-07-45-47&catid=61:mafatihul-jenan&Itemid=99). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Biwi ghar k maal mai sai apna aqiqa kar sakti hai?
Answer: Agar shohar razi ho to biwi os k ghar k maal mai sai apna aqiqa kar sakti hai. (Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqay ka ghost bachay k waldain kha saktain hain?
Answer: Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqay ka ghost hindu khasakte hai?
Answer: Aqiqay ka ghost hindu kha tu sakta hai magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394-5, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal hai aik larki jis ka aqiqa na hua ho uski shadi ho jay to kya us ka aqiqa sasural walon pe lazim hai ya mekay walon pe
Answer: Aqaiqa kerna mustahab hay , aqiqa kerna kisi par lazim nahi hai or agar kisi ka aqiqa nah kia gaya ho tu tu wo khud baligh ho ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: walima ku kerty hain walimy k mutalik sari detail mjy bta dain plz
Answer: Valima(khane ki dawat) karna islam mai 5 maqamaat mai mustahab hai 1-hajj k baad 2-makan khareednay k baad 3- Shadi k baad 4- bacha k paida honay k baad 5- bacha k paida honay k 7 din baad. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #4,388 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bachy ka aqiqah kitni age tak kia ja sakta hai.??
Answer: Agar kisi majbori ya baghair majbori k aqaiqa kerne main takheer ho jaey tu bhi aqaiqa kerna mustahab rehta hay or agar bachay ka aqiqa nah kia gaya ho tu tu wo khud baligh ho ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ladke ke Akeeka ke liye ek bakra hona chahiye ya do.
Answer: Aik bakra kafi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya hum bacche ka aqiqa paida honey ke baad pachway din bhi ais to manaker saktey hai? Ye jaaiz to mana jayengana?allha ke barga may kabul kiya jayenga naa?
Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: haqiqa k barey shriat k ahkam kya hain aur sahi trika kya h
Answer: Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay.Aqiqe ka jaanwer ont, gae,bhairh or bakri main se ho. Mustahab hay k aqiqay k jaanwer main qurbani k jaanwer ki tamaam sharait hoon. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sllam kya aqeqa ka gosht imam HUSSAIN a. S ki nyaz jo mjalis e aza main taqseem hoti ha main pka kr taqseem jar saktay chain
Answer: Jaiz hay. Aqiqe ka gosht chacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: what is saying of islam about aqeeqah of child?
Answer: Aqeqa is recommended (mustahab) according to islam.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia ham qurbaani kay ghosh mai haqiqa ho sakta hai
Answer: Jee haan, jis ki janib se qubani ki jaay ,wo qurbani aqiqe k liay bhi kaafi ho jati hay or osko alag se aqiqa nahi kerna perhe ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394 , Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam Alaikum Mera sawal ye hai ki aik ladki jiska Aqeeqa uske waaldain ne nahin kiya , shaadi ke 35 saal baad uska shauhar karta hai, ab aqeeqe ka gosht kaun log nahin kha sakte ? wassalam
Answer: Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam un Alykum Kya koi apny AQIQA ka Gosht kha sakta hi ?
Answer: Jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/ ). Update on dated 12-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqa ma srf bakra ki qurbani dy skty ha k agr aik sy zyada bacho ka aqiqa ha to gay (cow) ki 7 qurbaniyo k hisaab sy usy bhi qurban kiya ja skta ha ??
Answer: Aqiqa karna mustahab hay, har aik bachy k liay alag janwer hona chahiay. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ma apna aqiqa khud kr rahi hoon... Mere maa baap foat ho chuke hein... Us k b 3 hisse hon ge or qurbani k asool se hi taqseem hoga? Kya mere husband kha sakte gosht? Or kya jo siri paye hote istemal kiye ja skte???
Answer:
Aqaiqay k qurbani k jaanwer ki terah 3 hissay nahi hoteor nah hi wo qurbani k osool k mutabiq taqseem hota hay,aap k shohar is main se kha sate hain, or siri paey bhi istemaal kiay jasakte hain.
Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij). Aqiqay kid au k liay aap is link per click karain (http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=2327:1391-03-18-07-45-47&catid=61:mafatihul-jenan&Itemid=99). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal ke moharram ke dino me aqiqa karna sahi hoga
Answer: jazi hay.(Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1383). Update on dated 03-10-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal kya moharram me aqiqa kar sakte hai
Answer: jazi hay.(Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1383). Update on dated 03-10-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam Larka k leya 2 bakra or larke k leye 1 bakra q he?
Answer: Lerka ho lerki do ki janib se aik jaanwar hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah #394) Update on dated 30-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalaam walaikum Haqeka ka ghost maa or baap kha sakte hai ya nahi
Answer: Makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum, aqiqa Ka cost koyii bhi bare krsakta hai kya,parents ke alawa?
Answer: Koe bhi ker sakta hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masla#394). Update on dated 05-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya haqiqa ka gosht phoophi kha sakti h jab ki unka kharcha mere walid par nahi h
Answer:
Walid aur sirif un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per bache ki maan k liay makhroh hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 395 , Eidition 1417 hij)
[Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam! SIR KIA AQIQA KA GOSHT KACHA(BAGIAR PAKAY) BANTANA CHAYE YA PAKA KY?
Answer:
Aqiqay ka gosht kacha yap aka kar dono tarah daina jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/ ). Update on dated 09-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqe Ke Janwar Ki Kiya Sharayat Hen??
Answer: Aqaeeqay k janwar main wajib qurbani k janwar wali sharaet lazim nahi hain, mustahab hay keh aqaiqay ka janwar mota ho. (Re: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aqiqah pe nana nani ko kya kapry zewar dena parta hai ye zarori hai kya?
Answer:
Aqiqa karna mustahab hay is kay ilawa nana nani ko kaprhy ya zaver dana zarori nahi hay. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ).
[Updated on 06-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Akeekah ka host kon kon nahi kha sakta
Answer: Makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aik bachi jis ki 7 months me death hojaey tu uska aqeeqa karna zruri hai usky marny k baad?
Answer:
Aqiqa karna mustahab hay na ky wajib hay. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ).
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik bachi jo 7 din ki ho aur uski death hojaey uska aqeeqa zruri hai us k marny k baad?
Answer:
Aqiqa karna mustahab hay na keh wajib. (Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0970/ ).
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqiqa par wacha Kar saktey hai hadees batayen
Answer:
Aqaiqe main bakra(Goat) ya gaey(Cow/Bull) ya aunt(Camel) kia jaa sakta hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia bachy ka aqeeqa ho skta hai agar bap ya maa ka aqeeqa na hoa ho tow?
Answer:
Aqaiqa kerna mustahab hay , bacahy k aqaqay karne main ye shart nahi k pehle maan baap ka aqaiqa hoa ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Maamlaat, Mafhoom e Maslah #1383 , Eidition 1431 hij, published by Daralmahaja albaiza).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hadees ke andar aqiqah kitnay din k andar laina chahiye?
Answer:
Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein(7th )rooz aqaiqa kia jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqikah k gost ka kya krna chahye kya pura gost taqseem kr dena chahye ya istemal kr sakte hai
Answer:
Gosht ka khaana tou sub k liye jaaiz hai lekin makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]