Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Aqiqa (83 Questions)


Showing 50- 83 questions from 83 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
108723
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-12

Question: Maytat ka aqiqa keya ja skta hai

Answer: jee marne k baad bhi aqeeqa kia jaa sakta hai.Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/).
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109554
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-08-07

Question: Meri shadi ho rhi ha kiya hm behan bhai aqeeqa kr skty hain baraat k khaany ma aqeeqa ka gosht shamil kr skty hain

Answer: Jee haan, albatta Makrooh hai k walid or wo afraad jin ka kharcha walid uthate hai, aqeeqe ka gosht khaye or khaas tour par maa or us k bache k liye makrooh hai. (Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
110228
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Kya muharram main aqeeqah karna jaiz hay ya kisi ka aqeeqah attend karna?

Answer: Aqiqa karna wase tu jaiz hay or mustahab hay
,اور محرم اور سفر میں اس طرح کے کام شرعاً حرام نہیں ہیں جب تک کہ ان طرح کے کاموں سے ایام عزاء کی ہتک حرمت نہ ہوتی ہو جیسا کہ روزعاشوراء خوشیاں منانا اور زیب و آرائیش کرنا،البتہ مناسب یہ ہے کہ انسان اہل بیتؑ کے ایام مصیبت میں ان کاموں کی انجام دہی سے اجتناب کرے کہ جو کام عام طور پر وہ اپنے احباب کی مصیبت میں بھی انجام نہیں دیتا مگر یہ کے عرفاً ضروری کام ہو

(Ref : Ayatullah sistani, Minhaajus Saliheen Part # 3, Maslah #394,sistani org ,urdu ,topic :shaare hussainia ,sawaal no:11)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-15

Question: Assalam Alaikum Mera sawal hai k aqiqah kab karna chahiye aur ladka k liye kitne karne chahiye

Answer: aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahi hai lekin mustahab hai k wiladat k saathwein din (7th day) aqeeqah kiiya jaaye.
aqeeqah zaroori hai k oont (camel) ya gaaye (cow) ya dumbay ya bakray ka ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho.
(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)
[Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110450
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-15

Question: Agar mera aqiqa nahi hua to kya main apne beti ka aqiqa kar sakta hoo

Answer: Jee bilkul kar sakte hain, aqeeqa mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/).
[Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110519
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: Mein ne apnay bachay ka aqeeqa kia us mein jo dua e aqeeqa wo Ahle sunnat hazrat ki phar li ...kia ye aqeeqa jaiz hai ya wapis se karna hoga ??

Answer: Aqiqe me Dua perhna zarori nahe hay ,srif bacche ki traf se kise bhe aik jaanwar ko aqiqe ki niyat se zibha kardia jaae tu ye kaafi hay,or is trah se us ki traf se aqiqa hojaaega . (Ref:minhaajussuleheen ,aqa sistani,jild:3, masla no:1384
[Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-17

Question: 8 month ki ladki ka aqiqa kr skte hai

Answer: Jee han kar saktay hain, Aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahi hai lekin mustahab hai k wiladat k saathwein din (7th day) aqeeqah kiiya jaaye. aqeeqah zaroori hai k oont (camel) ya gaaye (cow) ya dumbay ya bakray ka ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)
[Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110906
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2022-02-27

Question: Assalamualaikum 1 cow me kitne ifrad ka aqiqah ho sekta hai ya kitne hisse hote hain

Answer: Aqiqay ke janwar ka qurbani ke jaanwer ki terah hissay nahi hote aur nah hi wo qurbani k osool k mutabiq taqseem hota hay, Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan aik bakra,ya baqre wagaira srif aik fard ke lie hoghe or ) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay. khaas taur per( jis ka haqeqa kia jaraha hay ud ki ) maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij).
[Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111002
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-13

Question: Kia larka ka aqaqa ma aik bakra ker sakta han

Answer: jee kar sakte hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/).
[Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-17

Question: Salam aqeqa ke bare may sawal hay ke 1, suna aqeqa wale janwar ki hadi or khaal wagaira dafan ki jati hay ya zameen may daba di jati hay kia ye zaruri hay. 2, jaise aajkal bohat se falahi idare qurbani kerte hain to wahan qurbani kerwa ke kch hisa aqeqe ke liye ghr laya ja sakta hay baki usi idare ko dedia jai.

Answer: 1- Aisa koe hukum aqiqe k hawale se nahi hay.
2- Aqaiqe k gosht se bache k maan or baab k baab k ayaal kliay khana makhrooh hay or maan k liay khas taur se ehtiyaat e mustahab hay keh is ko tark kia jaey. (Ref: minhajus saliheen, Ayatullah sistani, maslah#395).
[Updated on 17-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111510
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-16

Question: Mera beta huwa hai Saturday raat 8:30 pay to is hisab say aqiqa kab krna chayeh

Answer: Aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahi hai lekin mustahab hai k wiladat k saatwein din (7th day) aqeeqah kiiya jaaye. aqeeqah zaroori hai k uont (camel) ya gaaye (cow) ya dumbay ya bakray ka ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)
[Updated on 17-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111916
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-08

Question: Aqiqa karna zaruri hai

Answer: Nahi, balkeh aqiqa karna mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/).
[Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-22

Question: HAQIQA KARNE K LIYE BAKRA YA BAKRY KI AGE KAYA HONI CHAHYE OR KAYA ISS MEIN BHI QURBANI WALY ASOOL ISTIMAL HON GY ?

Answer: Aqeeqa kerna mustahab hay. Aqiqay ke janwar ka qurbani ke jaanwer ki terah hissay nahi hote aur nah hi wo qurbani k usool k mutabiq taqseem hota hay, Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay. khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal ye hai ke 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. aqeeqay ke janwar main zarori hay k bherh, bakri ya bakra, gaay ya bail, aont ya aontni ho. Aur Aqiqe ke Janwar ki umer ki koi shart nahi hai or aibdaar jaanwer bhi aqaiqay k liay kafi hay. Lekin mustahab hay k jaanwer mota ho. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #394,395).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112664
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-25

Question: Kya aqeeqa ka gosht ki dawat karna jayaz hai ya nahe

Answer: Jaiz hai. Aqiqe ka gosht kacha(raw) taqseem kerna ya paka ker momineen ko khilana jaiz hay or afzal ye hay k 10 ya os se ziyada momineen ko dawat di jaay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #395).
[Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-03

Question: Aslamalykum Kay aqiqa paidaish ki tarek pe karna monasib hi

Answer: Aulaad ka aqeeqa karna mustahab hai is ko kisi khaas waqt par anjaam dena zaroori nahin hai. albtta mustahab hai k wiladat(pedaish) k saatwein din(7th day) aqeeqa kiiya jaaye. aur aqeeqe ke janwar men zaroori hai k uont(camel) ya gaaye(cow) ya dumba ya bakra ho or mustahab hai k aqeeqah ka jaanwar mota or taaza ho. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01847/)
[Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Kiya Aqiqa ka liya bansa use kr skta.

Answer: Jee han, Istemal kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #394).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114041
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-07

Question: Assalam o Alaikum! Aqeeqa ka gosht aam tareeqa se bnaya jata hai ya haddian (bones) nahin torni chahiyen? Agar bones bhi gosht ke sath hon to koi haraj to nahin?

Answer: Sazawar ( behtar ) hai keh aqiqay ka gosht baghair haddi tootay huay kaata jaye, aur mustahab hai ke aqiqa ka gosht ka 1/4 hissa daya ko diya jaye jis mein janwar ki raan aur pair shaamil hoon. aur chahain to aqiqa ka gosht paka kar ya kachcha taqseem karen, aur yeh bhi jaiz hai keh pakaya jaye aur momnin ko dawat di jaye, aur behtar hai keh 10 afraad ya is se ziyada is mein se khaein aur bachay k liye dua karen aur makrooh hai ke baap kahay or jo is ki kifalat mein hoon is mein se khaein, balkah ehtiyaat mustahib hai keh maa is mein se nah khaey, aik aqiqa faqat aik ( insaan ) ka shumaar hoga .
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-07

Question: قربانی کے جانور کے ساتھ عقیقہ ھو سکتا ہے

Answer: jis ki janib se eid ki qurabani ki jay os ka aqaiqa bhi hojata hay.
Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/
[Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-26

Question: کیا سید، سنی کےعقیقہ کا گوشت کھا سکتا یے۔

Answer: Jee han, syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay. (Ref email rec from Ayatullah Sistani(d.b), dated : August 1, 2011).
[Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116474
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Aqqeqa ziada mustahib hai 7th day ko karna. Meri baiti 3 safar ko paida hui hai? Kia uska aqeeqa 7th day karna jaiz hoga jabke yeh ayyam e ghum hain. Aqeeqa ke din humne majlis karne ka soucha hai or aqeeqay ke gosht ki nazar dilwane ka soucha hai. Please guide.

Answer: Aqaiqa aik mustahab amal hay jo bache ki paidaesh k 7th rooz karna mustahab hay or agar is din se takheer ki jaey tu bhi ye mustahab amal saqit nahi hoga or is ka karna mustahab hi rahe ga.(Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#394).

Note: Aqiqa koe khushi ki taqreeb ka naam nahi hay, ye bache ki sehat k liay hay.
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120795
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-06

Question: Assalamu alaikum mujhe meri beti ka aqiqa krna hai wo 4 saal ki hai par mere shohar mere sath nahi hai to kya aese halat me nana aqiqa kr sakte hai bachi ka

Answer: Jee han, Nana bhi apni nawasi ka aqeeqa kar sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #373).
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121483
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-03

Question: Agr Syed Kisi bachy ki haqeeqa ka gosht kha lain Jo Syed na hn TU guide kar dain gunah hai agr hai TU kia krna chahiye?

Answer: Syed aqiqay ka gosht kha sakhta hay is me koi haraj nahin hai.
(Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011).
[Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: Assalam o alaikum..kia ek janwar m 2 bchun ka aqeeqa hoskta h?? Ya donu k liye alag alag bakra lena hoga?

Answer: Zaroori hai ke har bache ke liye alag alag janwar hona chahiye, yani aisa nahin ho sakta ke aik janwar me sab ka aqeeqa ho.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-12

Question: AOA aqeeqa kernay k liye bachay ka naam pahlay rakhna zarori hai? bagir naam rakhay aqeeqa ho jata ha.,?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Zaroori to nahin hai balke naam rakhe bager bhi aqeeqa ho jaye ga lekin chunke aqeeqa jab kiya jata hai to aqeeqe ke janwar ko zibah karte aik dua parhi jati aur us dua me lafz fulan(فلاں) ata hai aur us waqt ye kaha jata hai ke fulan ki jagh bache ka naam liya jaye to is liye phir naam rakhna parhta hai warna agar aqeeqa karte waqt ye dua na parhi jaye to naam rakhne ki bhi zaroorat nahin parhti.
Aur dusri baat ye ke riyawat me aaya hai ke Imam Jaffar Saqid(a.s) farmate hain:
'hamare han koi bacha paida nahin hota magar ye ke hum us ka naam Muhammad rakhen, pas jab saat din guzar jayen to hum chahen to us ka tabdeel kar den chahen to tabdeel na karen'.
lihaza is riwayat par bhi amal karte hue naam rakhe jate hain, warna to aqeeqe se pehle naam rakhna zaroori nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #381. + Wasail-us-shia, part #21, pg #392).
[Updated on 13-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122122
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-19

Question: *Kya Aqeeqah kay bakray ka goshth sadqa hota hai?

Answer: Aik tarah se aqeeqe ke gosht ko mustahab sadqa kaha jaa sakta hai Q ke mustahab sadqa bhi museebat talne ke liye nikala jata hai aur aqeeqa bhi museebat talne ke liye kiya jata hai, lekin wajib sadqa nahin keh sakte. jis tarah mustahab sadqa agar maliyat ke aitebaar se ziyda ho to syed aur gair e syed dono ko diya jaa sakta hai, isi tarah aqeeqe ka gosht bhi syed aur gair e syed dono ko de sakte hain.
Albatta kuch farq bhi hai wo is tarah se ke;
1. Mustahab sadqe me koi bhi cheez di jaa sakti hai (chahe raqam, libaas ya janwar ho) lekin aqeeqa sirf janwar (ount, gaye, bhair, bakri) zibah karne se hi sahi shumar hoga. aur aqeeqe me janwar ke alawa koi aur cheez di jaye (chahe us janwar ki qeemat hi Q na ho) to wo aqeeqa nahin kehlaye ga.
2. Mustahab sadqe me (chahe raqam ho ya libaas ho ya janwar ho) chand afrad shamil ho sakte hain lekin aqeeqe me aik janwar me aik fard hona zaroori hai yani aqeeqe me janwar aik hi fard ke liye zibah kar sakte hain, chand afraad ke liye zibah nahin kar sakte.
3. Mustahab sadqe me agar janwar zibah kiya jaye us ka gosht har momin mard aur aurat khaa sakte hain (yani bache ke ghar ke wo afraad bhi khaa sakte hain, jin afraad ka nafaqa(kharcha) us bache ke baap par wajib hai) lekin aqeeqe ka gosht bache ke ghar ke wo afraad jin ka nafaqa(kharcha) us ke baap par wajib hai wo bhi aqeeqe ka gosht khaa to sakte hain lekin makrooh hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374,375,377. + Minhaj us Saliheen, part #2, maslah #1604).
[Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-02

Question: Aoa. Mera bhai ka aqeeqa nh hua. Or us ki death ho gai ha 16 saal ki Umar ma... Kia ab us ka aqqeqa ho skta ha.

Answer: Jee han, us ki wafat ke bad us ke liye aqeeqa kiya jaa sakta hai.
(Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, maslah #371).
[Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122466
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-26

Question: Assalam o Alaikum I need to ask if the mother unknowingly eats the meat of her child’s (daughter’s) akeekah and realize it later that it was forbidden, what should She do? I look forward to hearing from you soon.

Answer: Aqeeqe ka gosht bache/bachi ke ghar ke wo afraad jin ka nafaqa (kharcha) us ke baap par wajib hai wo bhi aqeeqe ka gosht khaa sakte hain lekin makrooh hai, Albatta Haraam kisi surat me nahin hai. aur maan par koi zimme daari nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #380).
[Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-07

Question: salam, 1, kia lerke (boy) ka aqiqa kerne k liye bakra zaruri hay ya bakri se bi hojaiga lerke ka aqiqa. 2,jaise aajkal bohat se falahi idare qurbani kerte hain to wahan qurbani kerwa ke kch hisa aqeqe ke liye ghr laya ja sakta hay baki usi idare ko dedia jai.

Answer: 1: Nahin, bakra hona zaroori nahin hai balke bakri ke zariye se bhi aqeeqa ho sakta hai.
2: Aisa kiya jaa sakta hai, albatta aqeeqe ka gosht bache ka baap aur ghar ke wo afraad jin ka nafaqa(kharcha) us ke baap par wajib hai wo aqeeqe ka gosht khaa to sakte hain lekin makrooh hai khas taur par maan ke liye, balke ehtiyat e mustahab ye hai ke bache ki maan is me se nah khaye.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #375,379).
[Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Aqiqa kis ghost sy Kiya jata hai ?

Answer: Ount, ountni, gaye, bail, bains, bainsa, bhair, bairi, bakra, bakri. in me se kisi aik janwar ko aqeeqay ke taur par zibah kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #375).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122879
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Kya hum ek cow lekar uska ek hissa aqiqa ke liye baqiya sadqe me de sakte hain bakraid ke alawa me

Answer: Aqiqay ke janwar me hisse nahin kar sakte. balke poora ka poora janwar (chahe chota ho ya bara) aqiqay ki niyat se zibah karna zaroori hai, warna aqiqa shumaar nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122918
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-21

Question: Assalamualaikum mere walid ka aqeeqa nhi hua hai unki umr 56 saal hai, kafi mushkil aur azmaish ka samna krna pd rha hai unko, aise mein nikah aur aulad jayaz hai? Aur kya mai unki beti ho kr unka aqeeqa krwa sakti hu ,qk unki income itni nhi k wo janwar le ske?

Answer: 1: Agar kisi ka aqeeqa nah hua ho to koi haraj nahin hai Q ke aqeeqa karna mustahab hai, lazim nahin aur agar kisi ka aqeeqa nah hua ho to nikah aur aulad dono jaiz hain.
2: Beti apne walid sahb ki taraf se aqeeqa kar sakti hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #370,371,373).
[Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-15

Question: Asalam o alaikum Kya Haqeeqa k liye barhy janwar (bail) k 7 hissay kar skty hain? Kya 7 hissay daal kr 7 logon ka haqeeqa ho skta ha?

Answer: Aqeeqay ka janwar chahe bara hi q na ho us me hisse nahin hote balke laazim hai ke har fard ke liye alag alag janwar ho, yani aisa nahin ho sakta ke aik janwar me sab ka aqeeqa ho jaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374).
[Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123579
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-15

Question: Beti or batejy ka haqiqa 1 sath ho sakta hai ya alag alag karna zaruri hai

Answer: Aqiqay ke janwar me hisse nahin kar sakte. balke poora ka poora janwar (chahe chota ho ya bara) aqiqay ki niyat se zibah karna zaroori hai, warna aqiqa shumaar nahin hoga. lehaza aqiqay ke taur har bache ke liye alag alag janwar
zibah karna hoga to hi aqiqa sahi shumar hoga.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374).
[Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print