Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 2 (866 Questions)


Showing 800- 850 questions from 866 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
114749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-23

Question: Assalamalikum mera sawal yeh hai ke meri abhi shdee hui hai,aur mera plan tha bahr jane ka phir wahn jakar Bucha paida kaarna pr halt dunia ke khrb hain to bahr jna abhi mushukil hai,meri biwi mujh se bar bar bolti hai buche ka to ab mjy btade ke mein kis islamic date pr planning kro Aur bucha mjy esa chaie joh allah aur uske rasool ki batao pr chale aur khusbsurt hou aur joh bhi hou bus pora hou aur shi se hou

Answer: 1: Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa be kalemateka astahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”).
2: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho, or Allah taala se dua kare ke Allah use naik, baa barkat or pakiza aulad ataa kare. or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1. soraj or chaand gerhan ka hona, 2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4. chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5. fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6 .islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main, 7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna, 8. qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9 .berhana (naked) halat main jima kerna, 10 .ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11. jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena, 12 .jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
(Note: Biwi se jima ke waqt in baton ka khayal rakha jaye to Inshallah naik aur saalih aulaad ataa hogi ).
[Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Kya biwi ko video chat par bina libaj( kapre) me dekh sakta hai

Answer: Biwi ko online barhana daikhna jaiz hay laikin khayaal rahe keh is amal ki wajah se musht zani nah karne lagain Q keh mushtzani karna jaiz nahi hay or gunah e kabira hay. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
114798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Agr shad ki bad husband and wife 1 month sath rahy or husband bv ka haq ada na kara to talak ho jati kia

Answer: 1: Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada muddat k liye humbistri tark nahin kar sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382).
2: Jab tak shohar apni biwi ko talaq na dede tab tak inke darmiyan izdiwaji hesiyat qaaim rehti, lehaza faqat hambistry na karne se nikah khatam nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: A.O.A MERA SAWAAL YEH HAI K KIYA HUSBAND APNI WIFE K DONO BOOBS (BREAST) K DARMIYAAN MEIN PENIS RAKH SAKTA HAI YA AISA KARNA ISLAM MEIN HARAM HAI

Answer: Shohar or biwi ke liay jaiz hai ke wo aik dosray ke jism ke tamaam hisso(parts of body) ko jism ke kisi bhi hissay(part) say chhoo(touch) saktay hain ye chhoona chaahay lazzat ke iraday say ho ya baghair lazzat ke, jaiz hai.
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1439, Maslah #11).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114815
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: AoA Mera shohar meri jisami zarurat pura nahi karta hai or is baray mae kae bar mae un se bat kar chuki hun par koi fraq nahi para shadi ko 4 sal ho gaye hain or mae eik bar bhi satisfy nahi hue hun aisy mae gunah mae parny ka dar bhi hai kyun kay insan kab tak khud ko rok sakta hai is hawaly se agar koi gunah o jae to kia hukam hai?

Answer: 1) Shohar par laazim hai k apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark na karay lehaza agar shohar apni zimedaar poori nahi kr raha tou woh gunehgaar hoga lekin is sai biwi ko ijaazat nahi milti k wo khud ko kisi gunah mai mubtilaa karay.
2)Aap apne shauhar se hambistari se pehle digar lazzaat hasil karain, takeh aap jinsi lehaaz se mutmaen ho sakain, maslan shauhar k zarye se baghair hambistari k discharge hona jaiz hay, yani aap ka shuhar apne hath ko aap ki sharamgaah per rigrhay ya ungli ko sharamgaah main dakhil kare, waghair, is tarah ki lazzat hasil karna jaiz hoga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012). Update on dated 04-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2382).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115084
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: Janab mera sawal hai k periods se phele 1 2 din stain lgta hai or proper blood ki thra nhi hota tu kya us mn husband k sath sex kr skte hn ya nhi

Answer: 1) Haiz ke ayyam men doosri lazzaat haasil ki jaa sakti hai kyun k haiz ki haalat mai biwi sai faqat farj (agli sharamgah) mai jima karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
2) Aurat halat e haiz main ho ya nah ho Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, Jab keh agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.
(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)1) Shohar k huqooq men se ek ye he k jab bhi shohar jinsi lazzat hasil (sex) kerna chahe to biwi uski khwahish puri kare, or jab tak shara`ee uzar nah ho (e.g periods) tab tak shohar ko hambistri se mana nahi ker sakte.
2) Shauhar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah k liay hambistari tark nahin kar sakta, Magar yeh keh hambistari us ke liay nuqsaandeh (harmful) ya bohut ziyadah takleef ka ba’is (reason) ho ya os ki biwi khud 4 mahine se ziyadah ke liay hambistari tark karne par raazi ho, ya shaadi karte waqt nikaah mein 4 mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gaee ho.
Aur is hukum mein ehtayaat-e-waajib ki bina par shauhar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai iis liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahin keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair 4 mahine se ziyadah tool diya (lamba kiya) jaay.
Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 35,39,Mafhoom e Maslah #2376,2382)
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-21

Question: Assalam alaikum Pregnancy ke time wife k sath sex na krne ko bola jata h.to kya wife apne husband ka hand practice krke mani gira sakti h

Answer: wsalam
jee aisa karna jaiz hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/).
[Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-15

Question: Asalamalikum Periods aa gy thy lkn mujhe pta nai chala or meray shohr ny mubashrat kr li ...ab yh sb unjane m huwa Lkn iska koi kafara hai to bataien

Answer: Haalat e haiz mai aurat ki farj mai jan buj kar dukhool karna haram hai is ka koe kaffara nahi hai albta agr galti say kia ho to guna nahi hay .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 448).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115217
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-30

Question: Can wife masturbate her husband

Answer: Yes, it is lawful between husband & wife. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/ sawal #7).
[Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-30

Question: Agar husband wife ko finger kare aur zor zor se fingers ander bahar kare jis se wife se liquid nikle leken wife release na ho sirf liquid hi bahar nikle to kiya aisi soorat main wife pe gusal wahib hoga? Ayatullah sistani ke hisab se bata dein

Answer: Wo rutoobat jo aurat say shahwat k saath khaarij hoti hai agar is hud tak ho ke use inzaal kaha jaa sake aur libaas ko aaloodah kar de, jo aam taur par os waqt nikalti hai jab aurat jinsi shahwat tak pohanch jaaye, to yeh najis bhi hai aur aurat mujnib bhi ho jati hai. ( wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat k waqat apni sharamghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda karay, to wo paak hay or us k liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan aghr rutoobat is qadar ziada ho k inzaal kehlaye or libbas ko aalooda karay jabke sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaye or mukammal razamandi (orgasm ) ho to najis or janabat ka mojib hay balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis or janabat ka mojib hay or in maqamaat par jahan aurat shak kary keh rutoobat is had say ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat k kharij hony men shak karay to ghusl wajib nahi hay or wuzu or ghusul bhi batil nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #345).
[Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-01

Question: Kya shohar ki ijazat k beagir larki apne ma bap se nai mil sakti ?

Answer: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aaye ya ghar mein rehna us k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar us k monahsib nah ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376).
[Updated on 01-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-11

Question: Kia sex medicine ya sex cream ka kam krna jaiz hai ya nahi

Answer: Jaiz hai. (Ref: email rcvd from sistani)
[Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-15

Question: Janab Assalam alaikum Apni biwi ke sath hambistari karna kisi khas din ya kisi khas time mana hota h? Please iske bare thoda details batane ki zahmat kare

Answer: 1: Sigay nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard par hamesha ke liye halal ho jate hain yani (shadi or ruksati ho jaane ke baad) jab bhi chahen mian biwi wale taluqat qaim kar sakte hain siwaye chand dinon men ke jin men Shohar ke liye apni biwi k sath jima(intercourse) karna haram hai. 1. Haiz (wo khoon jo umoman har mahinay chand dino ke liye aurton ke reham(sharamgah) se kharij hota hai) ki halat mai jima karna. 2. Nifas (jab aurat ko bacha paida honay k baad 10 din tak khoon aata hai) ki halat mai jima karna. 3. Rozay ki halat mai jima karna. 4. Etikaaf ki halat mai jima karna. 5. Hajj ka ehraam bandhnay k baad jima karna. ye wo Auqat(Times) hain ke jab shohar ke liye apni biwi ke sath jima karna haram hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2328. 448,504,1553, pg #479).
2: Jima k waqt jo kaam makrooh(na pasandeedah) hain un main say kuch ye hain 1. Soraj or Chaand gerhan ke waqt jima karna, 2. Zawaal e aaftab ke waqt jima karna siwaay jumeraat k din k, Q ke jumeraat ke din zawaal e aaftab ke waqt jima karna makrooh nahin hai, 3. Gurub e aaftaab k waqt jima karna 4. Chand ki aakhri 3 raaton main jima karna, 5. Fajar k baad soraj nikalnay say pehlay jima karna, 6. Islami mahinay ki pehli taarikh ki raat(chand raat) men jima karna siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main, Q ke Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main jima karna makrooh nahin hai, 7. Islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima karna, 8. Qiblay ki taraf rukh ya pusht kar ke jima karna, 9. Berehna(naked) halat main jima karna, 10. Ehtilaam k baad baghair wuzu k jima karna, 11. Jima k waqt biwi ki sharamgah ko dekhna. ye wo Auqat(Times) hain ke jab shohar ke liye apni biwi ke sath jima karna makrooh(na pasandeedah) hai yani in auqat me behtar hai jima na kiya jaye. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115621
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: shareyat k mutabeq agr Bivi baghar kisi waja k ghar chor kar chali jay r shohar k bulany par wapis na ay tu Shohar par Bivi k kharchy (nan o nafqa) k bary main kya hukam hy

Answer: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke
baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Agar aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti kapray makaan ka shohar zimedaar nahin hai. Lekin agar aurat shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikal jaye to ehtiyat e wajib ki bina par Naan o nafaqa saakit nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377)+Minhajus Saleheen, part #3, maslah #351).
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115659
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Shadi shuda Aurat kitni dair hambistri kiye bgair reh skti hai Shohar bahir k mulk ho or ata bhi na ho 2 saal guzar chuky hain. Or khwahish bhi feel hoti hai7

Answer: Shohar par wajib hai k wo apni jawaan biwi se chaar(4) mahine se ziyadah muddat k liay hambistari. magar yeh ke hambistari os ke liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka baais ho ya os ki biwi khud chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shauhar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahin keh ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar(4) maah se ziyadah tool diya jaay. Ref: Tauzeeh ul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-24

Question: Assalamualaikum sir me ne ap se sawal ye puchna hai k JB husband farig ho k Mani ko kharij krtay Hain to wo Mani ko hum husband wife ik hi kapray se saaf kr sktay Hain mujhay confusion hai plz answer me suna hai k aisa nahi krtay Alag Alag kpra chahy HOTA hai saaf krnay k Liye plz ans de jazak Allah

Answer: wa alaikum salam.
Is kaam se ijtenab kia jaey, Q keh riwayat main aay hay keh shohar or biwi dono aik kapre se saaff nah karain Q keh is se pehle tu dono k nafrat paida hoti hay or akhir main judae paida hojati hay. (Ref: Tehzibul islam, Allama maajlisi, pg#133)[Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116118
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-15

Question: assalamoalaikum meri shadi ke do mahine baad hi apne ghar pe jaa kar baith gayi or jhoote jhoote ilzam lagana shuru kar diya or ab kehti hai mujhe faisla chahiye apke sath nhi rehna . bataiye mujhe kya karna chahiye

Answer: (Note: Aap apni zauja ko in masaail se agah karen) k Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. or Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna jaiz nahin hai. Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai.
Aur kisi par ilzaam tarashi karna gunah e kabira hai.
Albatta aap ko ikhtiyar hai ke chahen to talaq de ya na den.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01767/
[Updated on 15-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-04

Question: bv agr shukar sy batamezi kry or usk ghr walo pa na jaiz ilzamat lgay ..or apny male cousins k sth batein kry to is k liye kiya hukam hai

Answer: Yeh tamaam kaam ilzamat lagana, shohar sai bad ikhlaqi karna yeh haraam hai lehaza aap ki duty hai k aap maratib ka lihaaz rakhte howe amr bil maroof or nahi anil munkar karein.Ref:Tauzeeh ul masail aytaullah seestani edition 41 maslah no 2010).
[Updated on 04-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116247
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-14

Question: Agr nikaah k waqt larki k father ne shart rakhwai ho k agr wo naraz ho k ajae kbhi to Ap usko uska monthly khrcha do gay. Agr esi surat ane pe larka nikah ki shart Puri nai krta mahana adagi nai krta khrchy ki to kya nikaah ko koi nuksan hai?

Answer: Bivi ka shohar ki ijazat k baghair os k ghar se nikalna haram hay. or aisi sorat main shohar per ehtiyaat e wajib ki bina per naan o nafqa wajib hay or jab tak wo ghar se bahar rahe gi gunahgaar hoti rahe gi. or shadi k waqt jo shart rakhi gae thi os ko poora karna shohar per wajib hay laikin agar wo os shart ko poora nah kare tu shohar is shart ko poora nah karne ki wajah se gunahgaar hoga, lakin nikah per koe farq nahi perhe ga.(Ref: Minhajus saliheen, ayatullaah sistani db, Part#3, maslah#350-351)
[Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116250
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-06

Question: Aurat ke Piche Karne se Koi masla to Nahin

Answer: Biwi ke peechay ke maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi ke raazi nah honay ki soorat main haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay, laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah #70).
[Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-16

Question: Ager shohar k maa baap biwi ko ghr wapis na anny dein. Aur shohar kahe k kahen bahir Milo hum bistri k liye. Tau aesy mein biwi k liye Kya hukam hy plz authentic answer dejega...

Answer: 1: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aaye ya ghar mein rehna us k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar us k monahsib nah ho. Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay.

2: Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. 3: Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 5: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou biwi k roti, kapray aur makaan ka shohar zimedaar nahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377).

3: Hadees manqool hai jis main me aik aurat ne kaha keh ya rasool allah shohar ka haq zauja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us aurat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, aurat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka shohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us aurat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho
(Ref: Tahzib ul islaam, baab #4, topic hoqooq e zaujain, pg #140,141).
[Updated on 16-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-18

Question: Assalamu alaikum. Meri shaadi hoke 2years ho gaye he lekin allah taala abhi tak aulad nahi diya.Mere shohar doosre shahar me job karte hai.Shaadi se pehle unho ne kaha ki shaadi ke baad vo mere saath hi rahenge job transfer kar lenge lekin ab vo nai kar rahe he vahinpe rehte he. Mujhe usi city ko lejakar ghar bhi nai basa rahe he. Ghar me saas sasur sab log he lekin mere shohar ke bina mujhe yeha pe rehne ka mann nai kar raha he. Weekly once hi vo ghar aate he. Mai mere shohar ko kaise samjhaun ki unke bina mai akeli mehsoos kar rahi hu vo samajh nai pa rahe he. Mujhe bhi unke saath le jane ke liye mai unhe kaise samjhaun. Koi to aayat bataiye plz ham saath me rehna chaahte he. Vo unke maa baap se bahut darte he agar poochenge to vo log maanenge mai poochi to galti samajhte isliye mere shohar ko hi poohni chahiye mai kya karun reply dijiye please

Answer: 1)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota). Update on dated 14-12-2015. (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).
[Updated on 18-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116389
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-10

Question: sir mujhay ya pouchna hai .... sex kartay howa meri biwi apni vagina ko khud apni ungli sai rub karna shuru kar deti hai....kya ya karna theek hai or kya mai usay ya kartay daikh sakta hun ????

Answer: Jee nahin, ye kam jaiz nahin hai Q ke ye Istimna or khud lazzati hai aur Istimna or khud lazzati haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai. lehaza aap apni biwi ko is kam se mana karen. or aap ye kaam khud kar sakte hain or is ko is sorat main isstimna nahi kaha jaey ga.
Han Abatta Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. lekin aurat ka apni ungli apni sharamgah men daal kar mani nikalna jaiz nahin hai.(Ref: jaded fiqhi masayl, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #4006, pg #236, email rcvd from a sistani(d.b).

(Advice:- Koe bhi shakhs apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati raan waghaira ko haath se masalna sehlana cheerh chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima kerne par merd ki mani jaldi se kharij ho jane ki soorat main merd ki khahish tu pori ho jati hay laikin aurat ki khahish pori nahin ho pati jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay shayad isi liay deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas bosah baazi (kissing) cherh chaarh hansi mazaaq piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liye poori terah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaaye tu wo bhi merd ki terah se poori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad fermaya k jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh cock ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay (playing) tu kaisa hay aap (a.s) ne fermaya khuch muzaiqa nahin (no problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu (part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay. (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146). 3: Jima se pehlay masaas orgasm k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay merd se chumtay liptay apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaay tab merd bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah ho jaaye phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag ho jaay.(Ref islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #151).
[Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116392
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Aslam o alaikum Nikaah k baad husban wife kia har tarh ki baten kr sakty hen Kise kisam ki koe rok tok ya hadden hen to please guide kren

Answer: Jee han, har tarah ki baten kar sakte hen is mai koi harj nahin hai Q k nikah k baad husband wife aik doosre k liye halaal ho jaate hain.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328, pg #357).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116397
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Mujhe sex karne mann karta hai kya biwi mujhe rok sakti hai

Answer: Jee nahin, Biwi ka apne shohar ko hambistri se rokna jaiz nahin hai. Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Hmara nikaah hwa h 2 mnth pehly or rukhsati ko 6 mnth dair hai hum etna qreeb agaey raha ni gaya or humny milna start kr dea orr sab kuch hogaya hmary darmian orr hamen dar h pregnancy ka Is k bary men islam kia kehta hai please guide kr den

Answer: Aqd e nikah ke zariye aurat, mard per aur mard, aurat per halaal ho jate hain (yani mian biwi wale talukat qaim kar sakte hai). Aur nikah k baad rukhsati hona zaroori nahin hai. aur miyan biwi wale talukat qaim karne ki soorat men hamal ka ho jana jaiz hai. ye dono nikah k baad hasband o wife hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before Maslah #2328).
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116492
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Shadi ko derh Saal guzar Chuka hy bhht Kam haqq e zojiat ada kartay hen .

Answer: Shohar par wajib hai k wo apni jawaan biwi se chaar(4) mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tarak na kare. magar yeh ke hambistari os ke liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka baais ho ya os ki biwi khud chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar(4) mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jaiz nahin keh ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ke ya baghair aurat ki razamandi ke chaar(4) maah se ziyadah tool diya jaaye.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382).
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116545
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-27

Question: Asalam O Alaeikum, Maulana Sahab, Meri shadi ko taqreeban 3 saal honay waley hain, mein jab bhi apni zoja se intercourse ki khawish karta hun to wo ya tou mana kar deti hai ya koi bahana bana leti hai, wo aksar apne maikey chali jaati hai aur hafto wohin rehti hai, humara humbistri karna bohat hi kamm hai taqreeban na honay k barabar. Alhamdulliah Allah ne aik aulad se nawaza hai lekin uski paidaish k baad se frequency jo pehle hi kamm thi ab tou wo bhi nahi.. aap ki tajweez ka muntazir.

Answer: (Note: Aap apni zauja ko in masaail se agah karen). Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. or Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna jaiz nahin hai. Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377).
[Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116584
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-04

Question: Agar biwi apni galati ki maafi mange aur uska shohar maaf karna chahta hai to kya maaf karna chahiye

Answer: Agar us ki galati qabil e maafi hai to maaf kar dena chahiye Q ke islami aitebar se shohar aur bivi ke huqooq men se hai ke shohar Bivi ki lagzishon ko darguzar karay.(Ref: Islam aur Jinsiyat, pg #170).
[Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-07

Question: Mery husband ko sex k foran shru sy mujh main koi kashish mehsoos nhi hoti or Koshish k bawajood kr nhi party...Kya unka sex sy pehly koi internet pr sexy pictures dekh k phr mery pas aana jaiz ho ga? Or is Amal sy paida hony Wala bacha jaiz ho ga?

Answer: Haram hay .(https://www.sistani.org/urdu/qa/search/785927/).
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120445
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-27

Question: کیا بیوی شوہر کی اجازت کے بغیر ناک بنوا سکتی ہے ؟

Answer: Bazat e khud is kaam ke liye shohar ki ijazat lena zaroori nahin hai, lekin agar ye kaam aisa ho ke jis ke liey ghar se baahir jane parhe to ghar se bahir jane ke liye shohar ki ijazat lena zaroori hai. Q ke jis aurat ka daaimi nikah hua ho us ke liey ghar se baahir jaana shohar ke ijazat ke bager jaiz nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376).
[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120502
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-02

Question: Assalamualaikum sahab meri shaadi ho kar 25 saal hogaya aur mai aur mere bacche joint family mai rehate hai,jahan mere sasural Wale mere aur mere baccho se nafrat karte hai aur humara bura chahate hai aur mere shohar Jo sab kuch jaante hai kabhi Mera aur mere baccho ka saat nahi dete aur har bar hame hi galat bata kar zalil karte,izzat nahi dete, hamare zarurat ku bhi nazar andaz karte.aur mere susral Wale mere shohar ko galat aur jhoot baat bolte hai vo unki baat ko hi sahi Maan te hai ,mere sohar hamare bare mai nai sonchte hamari baat nai Maan te, aap se ae guzarish hai ki aap koi aisa wazifa bata ae ki mere sohar mere aur mere bacchon ki baat Mane ,hame Kushi aur sukoon de aur hamara bura chahane walon se hame dur le ja ae.

Answer: Koshish ki jaye k ayse kamon ko anjam diya jaye jis se dubara shohar aur biwi k darmiyan taluqat behtar ho jaen.
Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. Or halaat behtar ho jaen ge
(Ref: kitab Naway-e- saleheen, pg #404).
[Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120545
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-10

Question: Can I give sex booster to make our night lengthy and have good sex experience can we both take sex drivers tablets???

Answer: Yes it is lawful.(Ref: istifta from ayatullah sistani)
[Updated on 10-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-05

Question: I M 30 YEARS OLD WOMEN AUR MAIRE AUR MAIRE SHOHAR KE DARMAIN AZDWAJI TALUKAT NAHI HAI 5 YEARS SE AUR WO MUJHE TALAK BE NI DAITE TO IS HALAT ME MUJHE KIA KRNA CHAHIE.

Answer: 1: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari (intercourse) tark nahin kar sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye k(except) hambistari us k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay ki shart rakhi gae ho.
2: Jab shohar biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke na wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. laikin jahaan shohar biwi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per poora nah karta ho jis se us ka gunah ke murtakib honay ka khatra ho, is soorat main agarchah wajib yahi hay k shohar biwi ki khahish poori karay ya us ke talaq ke mutaalbay ko poora karay. liakin agar shohor aisa nah karay tu biwi ko sabr or intezaar kerna chahiay.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #428).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120639
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-05

Question: Galti se biwi ke maa se zina karne se biwi se nikah toot jata he

Answer: Jee nahin, is se in ke (shohar or biwi) nikah me koi farq nahin pare ga or nikah sahi or halal rahe ga. Han! abatta saas or damaad ke darmiyan is tarh ke taluqaat jaiz nahin hain. Q ke agar koi shakhs kisi aurat ke sath nikah kare to us aurat ki maan (saas) is mard (damad) par haram ho jati hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2349,2360).
[Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120641
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-04

Question: Hais ki halat me aurat farig hona chahe Bina dahol kiye Sirf husband k chone se farig hona chahe to kiya krna chahye

Answer: 1: Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima ke ilawa baqi lazzat maslan lams (touching) or bos-o-kinar (kissing) wagera karna jaiz hai. Is men koi haraj nahin hai shohar aur biw aisa kar sakte hain.
2: Aur faarigh hone ki surat men aurat chahe tu haiz se pak hone ke baad haiz ke ghusl ke sath janabat ka gusl kar le. Q ke jis par chand ghusl wajib hon (maslan gusl e janabat or gusal e haiz) to wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,451,387).
[Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120654
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-03

Question: Kia Mazi or Mani dono ka biwi k halaq tk jny se nikah toot jata ha ya sirf Mani k jany se Kindly explain krke bta dein

Answer: (Note: Is website per fiqha e jaffaria {shia mazhab} ke mutabiq jawabaat diye jata hay)
Fiqh e jaffaria ke mutabiq dono se nikah nahin totata. Agarcheh bivi k liay jaiz nahi hay keh wo rutubat ko halaq se niche utaray.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472+istifta ).
[Updated on 03-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120936
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-31

Question: Assalam o alaikum , agha mujhe bataye k hambisteri Bivi ya shohar share Kar sakte ? Aur dosra sawal ye hai Bivi Buland awaz main humbistri sb k samne Bata de Tou ye Amal theek hai ?

Answer: Aam mamool ki baten share ki jaa sakti hain, lekin aisi baten karna ke jis me fuhush kalami (bay houda alfaz) maujood ho or jo miyan, biwi ke darmiyan makhsoos hon, jaiz nahin hai. (Ref: Minhaaj us Sliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #34).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120953
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-01

Question: Salam, Biwi ki duri hone ki waja nafs ko kese mutmain kare? Khandani maslo ki waja se biwi ke sath hambistri hona mushkil h. Jald jawab ka muntazir hu. Shukria

Answer: 1: Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho.
2: Apne aap se ehed or wada karain ke gunah ko anjaam nahin dain gay, or hameshah yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or gunah ko anjaam day kar shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. koshish karain ke khuch mufeed kamon main khud ko masroof ker lain jaisay sport, parhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa saktay hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay mai dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
3- Agar haram main mubtilah hone ka khoof ho tu phir bivi ko lay kar ain ye aap per wajib hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani db, maslah#2406)
[Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120967
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-01

Question: Salam ..Mera shohor 2 month sy bivi or bachy ko maiky main Chor k apny MAA bapp k pass reh Raha h or MAA bapp ki waja sy hi chora h biwi or bachy ko Saman BHI wahi hai susral main agar biwi susral main na rehna chati ho or shohor alag rehny p razi na ho Tu Kiya kary biwi ?

Answer: Biwi alag ghar ka mutaalba kar sakti hai, lekin agar shohar mukamal taur par naan o nafaqa ada kar raha ho jesa ke khana, libas aur makan, to phir biwi shohar ko alag ghar lene par majboor nahin kar sakti (yani shohar chahe to is mutalbe ko qubool kare chahe to nha kare).
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376).
[Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121001
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-06

Question: a.o.a ..abi nika ko ak month hua h ...kya husband k samny dopty k bina ja skty hn video call me??? or agr bivi shadi k bd shoher ka nafs muh me na lena chahti ho lkn shoher es bt pe mutafik na ho or khaish rkhta ho k nafs muh me lia jay...es surat me kya krna chahye ???

Answer: 1: Jee bilkul jaa sakti hai. Q ke Mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka razi hona lazim hay.
2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. shohar bivi ko ghair maomooli kamo per majboor nahi kar sakta. is tarah ki khahish per amal karna bivi per lazim nahi hay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2397,2399,2400. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15).
[Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-31

Question: Talaqyafta larki say us k pehle nikahki baten pochna jaiz he ya najaiz or bilkhasus agar wo baten us kay pehle shohar kay sath azdawaji taluqat k hawalay sy houn to haram amar ho ga?

Answer: Nikah ke hawale se aam mamool ki baten ki jaa sakti hain isi tarah us se poochi jaa sakti hain, lekin aisi baten karna ke jis me fuhush kalami (bay houda alfaz) maujood ho or jo miyan, biwi ke darmiyan makhsoos hon, jaiz nahin hai.
(Ref: Minhaaj us Sliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #34).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121230
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-15

Question: Meri ami n dusri shadi ko ha ab wo jo.un ka 2 shohar hy wo huk sy milny nhi deta asy ainsan ky liya kay saza hy jo ma ko uld sy dur krta hy

Answer: Shohar, apni biwi ko ghar se bahar jane se rok sakta hai. Albatta mard ke liay munasib hay ke apni biwi ko ijazat day ke wo apne rishtedaron se mulaqaat karay.
Shohar ke jo wajib huqooq bante hay shohar par apni biwi ko paband kar sakta hai ke biwi un ko ada kare or jo cheezien shariyat me biwi par wajib nahin hain shohar us se us ka mutaalba nahin kar sakta ya biwi ke jaaiz kaamon par pabandi nahin laga sakta (jab tak shohar ke huqooq me rukawat na bane) Shohar apni biwi par ghar se bahir nikalne par to pabandi laga sakta hai laikin ghar me reh kar kisi rishtedar se phone par ya wese he baat karne par pabandi nahin laga sakta, shohar ke liye munaasib (behter) hai ke apni biwi ko ijazat de ke wo apne qareebi rishtedaron se mulaqaat kare or us ke khaandaan walo me se jo mareez hon un ki ayaadat kare or apne khaandaan walo ke marhomeen ke janazon me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upper ye (cheez) wajib hai ke ijazat de itni miqdaar me ke (khaandaan waalo ke sath) niaki ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hai or shohar ko ye haqq hasil nahin hi ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke liye ho jo biwi par wajib ho (jaise ke biwi ka wajib hajj ke liye nikalna) or jis aurat ka daaimi nikah hua hay us ke liye apnay shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir nikalna hi haraam hay ,siwaay is surat ke us ka ghar main rehna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zaroorat paish aajaye.

(Ref: sistani.org , arabi. silat-ul-reham, sawaal #4, https://www.sistani.org/arabic/qa/0575/ + Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #337,338,339).
[Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121254
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-25

Question: Assalamo alaekum Agha sahab na mardi kya he iski iqsaam kya he iski iqsaam kya hen?

Answer: Na-mardi ki kayi aqsam hain
1) : Aisa mard jisay mubashrat ke douran shehwat nahi aati lekin baad mein ajati hai jaisay khud lazzati ya porn dekhnay se ya mard ke sath. (lekin sprem sahi hotay hain).

2): Aisa na-mard jisay chand saa-at(Time) ke liye barri khincha tani ke baad shehwat
aati hai kaafi mushaqqat aur mehnat kar kay. ( lekin sprem sahi hotay hain ).

3) : Aisa na-mard jisay mukammal shehwat aati hai lekin uss ke sprem is qabil nahi hotay ke hamal thehra saken

4) : Aisa na-mard jis ko sirf is soorat shehwat aati hai jab tak uss k maqad
( back hole ) mein kisi dosray mard ka aala nah jaye

5) : Aisa na-mard jis ko aurat ke paas jatay hi khauf taari ho jata hai nateeja shehwat nahi aati

6) : Aisa mard jis ko kisi khaas Khayalaat (Fantasy) baghair shehwat nahi aati waghera
nateeja. .. .. .. .. .. .. .. . .

In mein se siwaye number 3 ke baqi tamam bachay peda karne ki salahiyat rakhtay hain. . kyunkay aurat ko hamal thehranay ke liye mani ke aik qatray ka sawa hissa bhi kaafi hota hai jo jaisay kaisay andaam Nihani mein dukhool ho jabkay aurat
ka bhi inzaal sun-hwa ho chahay kisi bhi tareeqay se. .. .(https://free.facebook.com/1544879679128350/posts/1563375630612088/?_rdc=1&_rdr&fbt_id=1563375630612088&lul&ref_component=mbasic_photo_permalink_actionbar#s_5c0f3d8c2c7992251ec5fe3000072bbf)

[Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: 1: shadi ki pehli raat se bacha paida hone tak biwi mein farig hote rehna chahiye 2: YA shadi k pehley 9 months meh kitni dafa biwi meh farig ho sakety hein? Mera kehney ka matlab yeh h k without condum kitni dafa farig ho saktey biwi k andr?

Answer: Jin halaton me biwi se jima(intercourse) karna Haram hai jaise ke Haiz, Nifaas, Ehraam ya Rozay wagera.... ki halat me biwi se jima karna Haram hai lekin in halaton ke awala shohar aur biwi ki marzi hai ke jab chahen jima kar sakte hain ya maslan biwi agar hamila ho jaye to doctor ki hidayat ke jima kar sakte hain. Han doctor jin surton me mana kare to waha ehtiyat karni chahiye.

Is ke awala chand fiqhi masail se aap ko aghaah kiya jata hai:
1: Aurat ke liye zaroori hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer (late) karna jaiz hai.
2: Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar na kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari biwi ke liye nuqsandeh ya bohut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaye.
3: Mard ke liye jaiz hai ke family planning ke liye wo condom ya is tarah ke cover istemaal kare laikin ehtiyaat e wajib ye hai ke istemaal karne se pehle apni biwi say ijazat lay lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,504,2376,2382. + Jadeed fiqhi masail, Ayaullah Sistani(d.b), maslah #465, pg #254).
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121289
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-02

Question: Aik khatoon k sohar....kafi saal se la pata hai.... 5 saal ho gaye hai.....kaya wo ab kisi or k saat nikkah kar sakti hai...

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agar wo dosra shohar karna chahe to zaroori hai ke mujtahid e aadil se ruju kare taake wo (halat ka jaiza lekar) is ke masle ko hal kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #2504).
[Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121298
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-06

Question: Salam, Hamla aurat k sth wuzu bhul jana aur shahadat ki raat jima karna. In dono kaam ka aik sth hona kia nuqsan de h, maslan gunah ya bache per kuch asraat.??? Kindly guide. Shukria

Answer: Jee nahin, q ke hamila aurat se jima karne se pehle wuzu karna mustahab hai aur mustahab agar chhoot jaye to is se bache par muzir asraat nahin aate. isi tarah shab e shahadat or roz e shahadat ya maslan ayyam e azaa me biwi se jima karna, nah to haram hai or nah hi makrooh hai lihaza is surat me bhi bache par koi muzir asraat nahin aayenge.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah sistani(d.b), Part #3, edition #1443, Maslah #5. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ ).
[Updated on 06-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121556
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-18

Question: Agar biwi aur shohar ek dusre s dur ho is waja s sex na kr payen tw biwi apni sex k xrurt kis trh puri kre Kya wo khud discharge krskti hai khudko??

Answer: Biwi apne shohar ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil nahin kar sakti Q ke shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. ye Haram or Gunah e kabira hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544).
[Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121641
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-08

Question: Agr shohar ka mani, biwi k hath ya pair pr lag jaye, or unky beech intercourse na hwa ho, bs biwi ko mani laga ho, to kya wo apny hath pair dhokr paak hogi ya biwi pr ghusal krna wajib hojayega?

Answer: Biwi par ghusl wajib nahin hoga faqat apne hath, pair dho kar paak karegi.
(Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,119,156).
[Updated on 08-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121643
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-08

Question: A0gr shohar biwi ko andar na daly bs bhaeyr touch kry to kia ghusal wajib ha

Answer: Faqat lams (touching) karne se biwi mujnib nahin hogi ke us ko ghusl karna pare. Q ke insaan us waqt mujnib hota hai jab shohar biwi se jimma (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho shohar, biwi dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai) lekin agar aisa nahin hua yani uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil nahin hua (na farj me aur nah hi dubur me) to aurat mujnib nahin hogi, aur mard ki bhi agar mani kharij huei hai to mard mujnib hoga lekin agar mani kharij nahin huei to mard bhi mujnib nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,348).
[Updated on 08-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print