Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 2 (865 Questions)


Showing 850- 865 questions from 865 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
121644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-08

Question: A0gr shohar biwi ko andar na daly bs bhaeyr touch kry to kia ghusal wajib ha

Answer: Faqat lams (touching) karne se biwi mujnib nahin hogi ke us ko ghusl karna pare. Q ke insaan us waqt mujnib hota hai jab shohar biwi se jimma (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho shohar, biwi dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai) lekin agar aisa nahin hua yani uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil nahin hua (na farj me aur nah hi dubur me) to aurat mujnib nahin hogi, aur mard ki bhi agar mani kharij huei hai to mard mujnib hoga lekin agar mani kharij nahin huei to mard bhi mujnib nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,348).
[Updated on 08-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122028
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-08

Question: Shohr ki wo kon c khobi he k jis ki wja se aurat ko khukam hota k wo shohr ko sajda kre!

Answer: osool e kaafi ki riwayat k mutabiq khawateen ko ye hukum nahi diya gaya keh wo apne shoharo ko sajdah karain, balkeh riwayat main ye hay keh nabi saww ne farmaya keh agarghair khuda ko sajdah jaiz hota tu tu main aurto ko hukum daita keh wo apne shohro ko sajdah kia karain. yahan tazeemi sajde ki baat ho rahi hay.(Ref: Ahsanul fawaed, pg#615).
[Updated on 08-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-07

Question: Mery Husband homosexual hy ye bat mujhe shadi k 4 saal bad pata chalo mery bachy bhi hain ab mai na hi shadi khtm kr saktin hn kyun k bachy bohat choty hain na ji us k sath koi talq rakhne ka dil karta hy karahiyat. Feel hoti hai mujhe kia karna chahiye kia mai bina kisi taluq k un k sath el ghr mai rah sakti hn bacho ki wajah se ?!

Answer: 1: Mard ka mard ko shehwat ki nigah se daikhna isi mard ka mard se gair fitri amal anjaam daina ye amal Lawaat (iglaam/homosexual) kehlata hai aur ye Haram aur gunah e kabeera hai.
Aap unhen waaz o naseehat aur amar bil maroof kar sakti hain aur is sharaei masale se aghaah kar sakti hain keh homosexual Haram aur Gunah e kabira hai.
Agar amar bil maroof aur nahi anil munkar ki tamam sharaait maujood hon jin me se aik ye hay ke ghunagaar par amar bil maroof aur nahi anil munkar ka asar ho to aap per amar bil maroof aur nahi anil munkar wajib hai aur shohar ko homosexual se zaban se mana karen balke agar maloom ho ke ghunagaar par koi asar nahi hoga to ehteyat e wajib ki bina par ghunaghaar ke us kaam se naraazghi ka izhaar zaroor karen.

2: Jab tak aap un ke nikah me hain aap dono ka taluq barqarar rahe ga aur jab tak nikah baaqi hai aap ke liye zaroori hay ke jab bhi aap ka shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to us ki khuwahish poori karen aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari se na roken. balke biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai, Haan shohar ki razamandi se taakheer (late) karna jaiz hay.

3: Agar koi aurat jinsi lazzat ke silsile me shohar ki khowish poori na karay to shohar roti, kapray aur makan ka zimedar nahin hai agarche wo shohar ke paas hi rehti ho.

4: Isi tarah ke liye bhi aik sharaei maslah hai wo ye hai ke shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar nahin kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari karna biwi ke liye nuqsandeh ya buhut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shadi karte waqt nikah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2008,2009,2010,2376,2382. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01716/ ).
[Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: Uss aurat keliye kya hukm hai jiska khawind paraplegic ho wo aurat apni sexual desire kaise puri kare Qurano sunat ki roshini mn

Answer: Biwi apne shohar ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil nahin kar sakti Q ke shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. ye Haram or Gunah e kabira hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-09

Question: Assalamualaikum. Biwi par SAS susar ki khidmat kia farz hai..? Or Shadi k Badi biwi par Apnay parents k huqooq khatam hojatay Hain kia ..??

Answer: 1: Biwi par na to saas, susar ki khidmat wajib (farz) hai or nah hi apne shohar ki khidmat wajib hai.
Ye baitay ki zimme daari hai keh apne waldain khiyaal khud rakhe ya un ke khayaal rakhne ke liye koi bandobast kare. Albatta biwi ke liye mustahab hai ke (sawaab ki khatir) wo shohar ki jinsi zaroorat ko pura karne ke alawa bhi shohar ki ghareloo khidmat karti rahe, misaal ke taur par ghar ka khana pakaaye, kapre seeye, ghar ki safaai kare aur kapre waghaira dho kar day.

2: Shadi ke bad aurat par apnay waldain (parents) ke huqooq khatam nahin hote.
Beti ke hawale se waldain (parents) ke huqooq hain ke beti ke liye zaroori farz banta hai ke waldain se behes wa mubahise ke dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghurez kare. apni awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare kahan ye ke bure alfaz istemal kare jo batareeqa e aulaa jaiz nahin. Isi tarah aulad (beta, beti) par waldain ke sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(db), part #3, maslah #340+ Jadeed Fiqhi masail, maslah #509. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ , waldain ke huqooq, ques #1).
[Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122329
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-22

Question: Agr b.v hr gunnah sy paak ho or shohr phr b shk kry ghair mardion k sth kisi b kism k taluq ha or shohar kud meri behn maa or dusri larkiyon k sth taluq kaim kr chuka ha to mjy ek b.v ki hesiyt sy kya krna chye hain mery 3 bachy b hain please mjy sae guide krna sir ? me bht depression me hu wo meri choti choti ghalti py bht akrta ha drata ha me kya kru? me tb tk apni maiky hu ap k jwb pr koi b aml krunge ?

Answer: Agar shohar ghunah e kabira anjaam day raha hai to ye us ke zimme hain agar wo tauba nahin karta to use in ghunahon ki wajah se saza milay gi, Albatta biwi ke liye us ke sath rehna jaiz hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, edition #1443, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2360,2361).
[Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122439
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-23

Question: kia sohr bivi ko apna smna short kpry phna skta?

Answer: Jee han, pehna sakta hai Q ke nikah ke baad shohar, biwi aik dusre ke liye halaal ho jaate hain or aik doosre ki sharamgaah daikh sakte hain.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, jild #3, mashah #11).
[Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122502
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-24

Question: Asalam-o-Alaikum. Kya Islam me husband aur wife dono ek sath Shower ly skty hn? Mny kahin suna ha k yeh sunnat ha? Please es par Wazahat krdyn.

Answer: Miyan aur biwi aik sath naha sakte hain, albatta ye jaiz hai lekin sunnat nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, mafhoom e maslah #2400).
[Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: Bivi s sex ka doran dosri orat ka khyal ata h is s buchna ka lie kia krna cahye jab Keh control bh bht krta hon

Answer: 1: Haram ke bare me sochna maslan kisi na-mehram aurat se sirf khayaal hi khayaal me us ke sath sex karte hue sochna, agar mani nikalnay ka sabab nah bane to ehtyaat e mustahib (yani behtar) hai ke is kaam ko tark kar diya jaye (yani ye kaam Haram nahin hai magar behtar hai ke is kaam ko tark kiya jaaye).

2: Rasoolallah(s.a.w.w) se manqool hadees me hai: jab kisi aur aurat ke dekhne se shewat ya khuahish paida ho to apni aurat (biwi ) se jima (hambistri) na karna Q ke bacha jo paida hoga mukhannas (yani na-amard) ya dewaana hoga.

3: Hazrat Ameer ul mumineen(a.s) ne farmaya: jis waqt koi shaks kisi gair aurat ko daikh lay aur use pasand aaye to usi waqt jake apne biwi se humbistri kare (lekin humbistri karte waqt tasawwur or khayaal dusri aurat ka na ho) Q ke jo khuch us me hai wohi is (biwi) me bhi hai, aur har haal me shaitaan ko apne nafs par ghaalib na hone day.

(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawaalaat, part #2, sawal #199, pg #82. + Tehzeeb ul islam, urdu tarjuma, Allama Muhaamd Baaqir majlesi, pg #132,135).
[Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122802
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Meray shohar ny kaha ziyarat pe janay k lie Pakistan ni ja skty but mujy Pakistn jana h saal bahr hgya meri Ami Abu tarapty h mujy Kia karna chye please answer

Answer: Jis aurat ka daaimi nikaah ho jaaye us ke liye apne shohar se ijaazat liye baghair ghar se baaher nikalna Haraam hai chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nab hi ho. magar yeh keh koi aham zaroorat pesh aaye ya ghar mein rehna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya ghar us ke munaasib nah ho. Aur shohar bhi apni biwi ko ghar se bahar jane se rokne ka haq rakhta hai lekin Shohar ke liye munaasib (behter) hai ke apni biwi ko ijazat de ke wo apne qareebi rishtedaron se mulaqaat kare or us ke khaandaan walon me se jo mareez hain un ki ayaadat kare or apne khaandaan walon ke marhomeen ke janazon me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upar yeh wajib hai ke itni miqdaar me ijazat de ke (khaandaan waalon ke sath) naiki ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hai or shohar ko ye haq hasil nahin ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke liye ho jo biwi par wajib ho (jaise ke biwi ka wajib hajj ke liye nikalna), albatta shohor ko ye haq nahin puhanchta ke wo biwi ko apne walidain se bat cheet karne ya rabta rakhne se roke.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376. + Minhajus Saliheen, part #3, maslah #337,338).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123077
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: Salam Agar bivi ksi na mehram s baat krly or shohar dekh ly or usky baad wo sachy dill sy tauba krly tw shohar ko kia hukum hai k bivi ko maaf krdy or ek moqa dydy? Or bv dill s tauba krchuki ho ek bacha bh h. Shohar s hr tarah s maafi bh maang chuki hai Ayatollah sistani sahib

Answer: Shohar aur biwi dono aik sath zindagi guzar sakte hain, aur aik shadi shuda zindagi ko behtar banane ke liye zaroori hai he ke aik dusre ke sharaei huqooq ka khayal rakhte hue aik doosre ki ghalation se darguzar kiya jaye, or is baat ki koshish ki jaye ke zindagi ki bunyad piyar o muhabat par ho.
Note : agar biwi ka gaire mard se batain karna jaiz na ho tu shohar ,apne biwi ko ghuna se rukhe ,or samjaae ya kise or ke zarie se biwi ki samjaae ke gunah na kare .
(Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ ).
[Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-28

Question: Salam Mere husband bhar rehte hai..wo mjhe bina bataye chle gye rehne..waha jaa kr na to mujhe baat ki na mujhe kharcha behjte hai..matlab mera unse kisi bhi trha ka taluq nhi hai..meri shadi ke 4 mahine baad hi chle gye the...mai zada nhi rahi unke sath...is Surat mai kya hum dono ka rishta abhi tk qayam hai..hum dono ka apas mai koi talooq nhi hai...kya nikha khtm ho gya humara??

Answer: 1(Nikah baaqi rehta hai aur nikah e daaimi ho jane ke baad Jab tak talaq waaqe na ho nikah khud ba khud khatam nahin hota chahe miyan biwi waale taluqaat qaaim na bhi kiye hon.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472).
2)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota). Update on dated 14-12-2015. (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123265
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-05

Question: السلام و علیکم میں قلبہ یہ سوال کرنا چاہتا ہوں کہ اگر ایک خاوند اپنی بیوی سے بے پناہ محبت کرتا ہو اور بیوی طلاق یافتہ ہواور وہ شادی کے وقت کنوارہ ہو اسکے باوجود وہ زمانے سے بچانے کی خاطر اس کو نکاح میں لے جبکے اس عورت کی پہلے سے اولاد میں بیٹیاں موجود ھوں اور اس شخص کی بھی ایک بیٹی اس سے ھو جائے لیکن اور وہ ان میں فرق بھی نہ کرتا ہو اور اس کے نام پہ جائداد اور گاڑیاں بھی کرے اور دنیا کی سیر بھی کرواے سب کچھ کے بعد اگر وہ اپنی ماں کے بارہا اصرار پے دوسری شادی کر لے اور اس کی پھلی بیوی لوگوں اور رشتہ داروں میں اس کو حد درجہ زلیل و رسوا کرے اور اس کو سڑک پہ لائے کی کسر کرے اپنی بہن اور بہنوئی کی مدد سے اسے جھوٹا بیا ن دے کر پابند سلاسل کروا دے اور اس کی تمام پراپرٹی کو بہن کے ساتھ مل کر ھتیا نے کی کوشیش کرے چونکہ اس شخص کی بیٹی سے بھت محبت ہو اور وہ سید زادی ھو جبکہ اس کی بیوی غیر سید ہو اس کو دیکھتے ہوے وہ جیل سے رہا ھو کے اپنی بیٹی کی خاطر دبارہ رجوع کر لے اور اپنی بیٹی کی وجہ سے اور اپنی عزت کی خاطر خاموشی اختیار کر لے اور روبارہ سے پچھلی باتوں کو بھلا کر ذندگی شروع کر دے لیکن اس دکھ کو بھلا نہ سکے اور جب یاد آے تو دکھی ہو اور بیوی کو ویسے ھی پیار کرے جیسے پہلے کرتا تھا لیکن اندر سے ٹوٹ چکا ھو تو ایسے میں اس مرد اور عورت کے لیے کیا حکم ہے اخر انسان ھے اور جس کو اتنا چاہا اس نے اتنا بڑا دکھ دیا دے حالانکہ وہ اس کے ساتھ بھی مخلص ھو دل کی تسلی کے لیے رھنما ئی فرمائیے

Answer: Agr ki Zouja dil se sharminda ho to behtr hai k unhein maaf krdia jae..
Khuda khud gunaho ka maaf krne wala hai or vo maaf krne walo ko dost rkhta hai..
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123837
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-22

Question: Nikah k bagair ager lerki k backside pr pennis Dala jaye ya intercourse Kiya jaye to Kiya koi nuksan Hoga or is ka kufara Kiya Hoga

Answer: Zouja k ilawa kisi bhi aurat se iss tarah ka amal, sharan Zina kehlaega or Haram hai. Mard aur aurat dono par lazim hai k Sidqe dil k sath Allah se toubah kare.. or zuaja ki ijazat se ye amal makhrooh hay.
(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30).
[Updated on 22-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-01

Question: agr kisi ka shohar ussy shadi k 3 sal tak b physical relationship ni banaye intercourse kary hi ni esy me biwi ko kia krna chaye ku k hm js mashry ka hissa hai yaha susral walay. srf lrki ko hi blame dety hai k wo sabar krly or agr esy me divorce hujye iddat krna lazmi haii? Ku k kbhi b shohar ny intercourse nahi kia srf sath suty thy kabhi kuch kia ni 1 dafa srf koshs ki thy lakn wo b wo nahi kr sakay

Answer: 1: Aurat ki koi zimme dari nahin hai albatta shohar ghunahgar hoga Q ke bager kisi uzr e sharei(reason) ke apni jawan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistri (intercourse) tark karna haram hai.
2: Agar nikah hone ke baad se talaq hone tak miyan, biwi ke darmiyan kbhi bhi hambistri (intercourse) nah huei ho aur shohar ki mani aurat ki sharamghah me daakhil bhi nah huei ho to to koi iddat nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2382,2475).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print