Showing 0- 50 questions from 1043 questions on this page.
Question: what is mutta ?
Answer: Muta Quran or hadees ki roshni men nikah ki ek qism hai, Or is k zariye mard or orat ek dusre per halal hojate hen, Muta ek aysa nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan ho, misaal k taur per orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziyada wqt k liye nikah kiya jaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # Brfore the masla # 2328, First paragraph or Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam-oalaykum khumeni sahab me aapse shadi ke mutabik sawal karna chahti ho aur wo ye ke meri umar 20 saal hain..aur mere kafi rishtey aa rahey hain..magar me chahti ho ke meri shadi meri apni pasand se ho magar muje kab aur kaha meri pasand mil jay iska muje khud ko bhi nahi pata.. aur muje darr is baat ka hain ke me shia hoo aur ek working girl bhi hoo .. to muje agar koi gair jamat ka larka mil gaya... maslan kissi ne pasand kia aur rishta bhejna chaha to me kia karuu...agar wo muje pasand aa jay to muje kia karna chaiye.. mana kar dena chaiye ya.. ussey mere shia rehney aur mujse shia mazhab se nikha karney ki ijazat maangni chaiye ??
Answer: We are extremely sorry for the late responce. 1) For a Shi`ah woman, there is no objection to marry a Muslim of another denomination as long as it does not lead to a depravity (e.g. when there is a fear for her to be deviated from her school of thought). Ref: Isteftaat Aqai Khamenai .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam-oalaykum khumeni sahab me aapse shadi ke mutabik sawal karna chahti ho aur wo ye ke meri umar 20 saal hain..aur mere kafi rishtey aa rahey hain..magar me chahti ho ke meri shadi meri apni pasand se ho magar muje kab aur kaha meri pasand mil jay iska muje khud ko bhi nahi pata.. aur muje darr is baat ka hain ke me shia hoo aur ek working girl bhi hoo .. to muje agar koi gair jamat ka larka mil gaya... maslan kissi ne pasand kia aur rishta bhejna chaha to me kia karuu...agar wo muje pasand aa jay to muje kia karna chaiye.. mana kar dena chaiye ya.. ussey mere shia rehney aur mujse shia mazhab se nikha karney ki ijazat maangni chaiye ??
Answer: Agar is baat ka khauf aur dar ho ke kal ko aap bhi Gumrah hosakti hia (aur aisa aam to par hojata hia)to phir aap ke lie us se shaadi karna jaiz nahi hia.Hum (Ayatullah Sistani) aap ko khas tor se naseehat karte hian k aap is tarah shaadi na karain. Ref:Istiftaat Aqa-e-sistani .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam muja app se ya poochna hai k mai ek larkay se bohat pyaar karty hoon aur wo bhi mujse par wo larka sunni ha..wo muja be inteha chata hai..kahta hai agr tumse shadi na huyi to mai marjaaongaa sirftum meri ho..mai bhi usse shadi karna chaty hoon wo kahta hai shadi k baad tum shia hi rahnaa app batao kia ya shadi hosakty ha kuch log bhi to sunni mai gaye hai mera naam plz app show nahi karna plzz mai kai karoon muja kuch samjh nahi ata meri mushkil asan karay..wo kahata hai k hum muslaman hai sirf na koi shiana koi sunii? muja app jawab do plzzz
Answer: Agar aap key gumrah honay ka khoof na ho to shadi karna jayez hay. Ham aap ko har soorat mein taqwa aur parhezgari kee naseehat kartey hein. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 134 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya aik nomuslim(convertedfrom ehl-e-kitab--christainity) se shady kerna jaiz hai? jabkey uskey pass abhee koi tehreery sanad nahy haijo yah show kerey k wo muslim hai magr shawahid hain.. aur wo pichley 6 saal se islam (fikah-e-jafriya)ko follow ker raha hai..uskey dost wageraa bhee mostly shia hain magr uskey gher walay christian hain magr wo yah baat jaantay hain k yeh converted hai...jabkey uska kehna hai k wo cerificate show ker dega to usky family usko bicot ker k gher se nakaal degy magr wo iss baats e bhy khofzada nahee hai..aur mai yah chahaty hun k usko aik achy aur islmic zindagy dun...magr mujay dar hai k mery family walay nahy manangay...aisy surat mai mujay kya kerna chiaye?plz mujay mail ker k fikahyy knoledge ki roshny mai reply keren.. i will b surely thankful...
Answer: Aap key liye un sey shadi karna jayez hay laikin agar aap bakira (kunwari) hein to ahtiyat-e-wajib kee bina par apney waalid (father) ya dada (grand father) sey ijazat laina zaroori hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2385 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam 0 alaikum mery qs. id 190 hai aur aap ke jawab ke mutabik dada(grand father) ya abbu(father)se ijazat lena ahtiyaat e wajib hai... mera sawal hai k agar in dono mai say koi zinda na hon to kya kerna chaheye?....mai apnay taya ke saath rehty hun.ssince 8 years.aisy soorat mai mujay kya kerna chiaye kya unki ijazat zarury hai?...
Answer: Agar walid (father) aur dada (grand father) zinda na hoon to phir es mamlay mein kisee kee ejazat kee zarorat nahi hay. Ref: Istiftaat Aqai Sistani. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ale kum, mujheyeh jaanah hai kei agar kissi shia nei kissi majboori kei tehet aik sunni mulannah sei apna nikah parwaya ho toh kya woh nikah jaezz hai? ya dubhara shia tarikei sei karwana honga??
Answer:
Salam un alaikum,
Mazkoora soorat mai nikah sahih hia.
Ref:Istiftaat Aqai Sistani
Question: salam ale kum, aik shia ladka aur aik shia ladki shadi karni hai jaha ladki kei maa baap tayar (raazi) hai magar ladkei(boy) kei maa baap raazi nahi hai. dono balig hai. ladkei(boy) ki maa kehti hai kei agar iss ladke(boy) nei iss ladki(girl) sei shadi ki toh ladkei(boy) ki maa ussei apna dudh nahi bakshengi.toh in halat mei kya woh shadi kar saktei hai.woh dono balig hai.
Answer: Is soorat mein larka larki sey shadi kar sakta hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2385 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ale kum, kya shawal mahine mei akad nahi kiya jaa sakta hai ??.
Answer: Shawal mahine mein aqd kiya jaa sakta hay (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam aga sahab please mujhay MUTTA kay baray main sharait batadain , lerkay or lerki donon kay father ki ijazat zurori hay wagaira wagaira
Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mujhe muta k baray may aap say tafseel say kuch baatine poochni hien, jo mien chahti hun k personal rahien, website per post na hon, kia yeh mumkin hai k aap mujhe apna email add day dien jiss per mien aap say un maslo ka hal pooch sakon? buhat shukria!!!!!!
Answer:
Salam un alaikum,
Agar aap apna personal sawal bhaijna chahti hein to isi website par post kar sakti hein. Ham aap ko us ka jawab private mail key through daingay. Sawal mein personal question aur apna email address mention kijye ga.
Question: assalam aliekum, mien agah e sistani ki muqallid hun aur un k fatwaon ki roshni may kuch sawaalat hien jin ka jawaab jaana chahti hun, i wil appreciate your help in this regard, i study in a university where i have made a friend, his name is "A" he is a shia too and he insists k hamara iss tarha saath rehna uthna baithna canteen jaana etc sahi nai sharai lihaaz say,iss liay woh chahta hai k hum muta kar lien, mien iss situation k hawalay say aap say poochna chahti hun k : 1)muta k process kia hoga? kia kissi waqeel ki zaroorat hai? i mean k agah sistani k waqeel say riju karna parayga ya sirf woh jo siga hai tawzeeh ul masaail may ussay parhna kaafi hai? kia kissi gawah ki zaroorat bhi hoti hai? koi written document bhi banana parta hai?please kindly tell me the whole procedure cont...
Answer:
1)Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335)
2)Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aik Mard nai aik Aurat k saath zana kiya dono is zana pai raazi thai aur dono shaadi shuda hain aur oon k bachay bhee hain. Ab oos mard ka beta oos aurat kee baitee sai Shaadi karna chahta hai.Kiya yai shaadi ho sakti hai YA wo larki oos pai haram hai kioon k oos k BAAP nai oos ki MAA k saath zana kiya tha. Pls reply as per Ayat-ullah Seestani & Ayat-ullah khoie.
Answer: A.Sistani kay mutabiq larka us larki say shadi kar sakta hay kion kay ye larki un aurtoo main say nahi banay gee jin say nikah karna haram hay.masalan mehram rishtay daar ya apni bewi ki maa,nani,dadi waghaira ya apni bewi ki larki ,nawasi ,poti waghaira jin say nikah karna haram hota hay.aur mazkoora soorat main aisa koi masala nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.2370,2344...A.Khoie ka bhi yehi fatwa hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.2393,2420. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Nikah ka Seegha Kya hai ( In Arabic)
Answer: B.T. agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)
Question: Can a sunni maulvi conduct a nikah of a sunni man with a shia girl in a shia way, if so what are the main requirements of the nikah in a shia fiqh?
Answer:
jee han, Aqade nikah ki sharayet me hain ke:-
1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae.
2. sigha padhne wala aqalmand ho or ahteyat wajib he ke baligh bhi hon.
3. ye ke mard w orat or uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. (ref: tawzihul masail, Ayatullah Khumeni masala no. 2367, page no. 391)
Question: bina kisi gawah k nikah yani larka larki khod hi Allah ko hazir nazir jan kar ek dosry ko apny nikah mai Qoboll kar sakty hai kya?
Answer: b.t. jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)
Question: SLAM.SIR MUHY BTAEN K LADKI APNI PASAND KI SHADI KAR SAKTI HAI KIA? AGAR BAP B RAZI NA HO TO?AUR LADKI DUSRI JAGAH SHADI KAR B NAHI SAKTI AGAR US K SAMNE KOI AUR NAM LO TO RO PARRTI HAI USSE KOI RISHTADAR PASAND HAI AUR BAP RAZI NAHI .KIA KIA JAY?
Answer:
1)Nikah ki shrait me se he k mard aur aurat shadi per razi hoon.
2) Larki agr kwarai , balig aur rasheeda ho to agr Sahdi karna chahay to zaroori hay k baap ki ijazt hasil karay . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341
Bakera aur rasheeeda larki ki shadi ky liy Baap aur dada ki ijazat ki shart Khatam ho jaygi agr wo loog os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan (Ismlam ki nazar main) or urfan (maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho(Ayat Ullah Seestani(d.b) minhaajus saliheen,part #3,maslah #69)
Wazifa :
2) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314).
3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah (parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo
4) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76).
5) wazifa bayan karne k sath aap ko is fiqhi maslah ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam u Alaikum and YA ALI MADAM a.s. App se mera sawal yeh hai k main syed larki se pyar karta hun and is se shadi karna chahta hun but us k gharwale keh rahe hain k yeh shadi nahin ho sakti qk k gunah hai aur haram bhi, qk main shia to hun lekin syed nahin hun, ap mujhe yeh batai k yeh shadi ho sakti hai k nahin haram aur gunah hai ya nahin? deatail main jawab dijiye ga ta k main unko bata sakun. please tell me in detail zara jaldi Allah Hafiz
Answer:
1)Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221).
2)jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam u Alaikum, How are you Allama Sahib, I am from Karachi, Pakistan. My name is Umair Ali Bhatti, i m a Momin (shia), I love a girl, she is SYED, her name is SYEDA QURATULAIN NAQVI, My mother went to her home for rishta (relationship) but her parents told k this marriage is haram because you are not a SYED dats y, and u r a BHATTI, in history u r oldest people were HINDUS. I want to know sir is it rite? PLease tell me in detail please m very tense sir. Nauzbillah. please sir help me out for this problem and give me dua k her parents like me and they give me my love her daughter sir please sir. i am waiting for your reply. Reply me fast please Allah Hafiz
Answer:
1)Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221).
2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam-o-Alikum mara sawal yeh ha k aik syed larki kisi sunni larkay say shadi kar sakti ha agar nahi to koi khas daleel dain aur han to b koi daleel dain.
Answer: Agar is baat ka khauf ho k mustaqbil main aap ghumra ho sakhti hain jis ka ehtimaal beherhaal majood he to phir aap k liay is k saath shadi bhi jaiz nahi hay. Hum aap ko bataur e khaas nasihit kartay hein k aap is terha ki shadi na karein. (Ref:Mujtahid se pouchey gye sawalat part # 2 , ques # 136 , pg # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslam main kisi ladky ko pasand karti hoon woh bhi karta hy hum dono ail dosry k sath kush hy or shadi karna chaty hy. meri ammi bhi razi hy lakin abbu nahi.hum dono pichly 10 mah say sadi ki koshish kar rahy hy mery abbu nahi maan rahy. pahly ladky k sab ghar waly razi thy lakin itna wait karny k baad woh ye samjhty hy k un ka ladka saey k pichy bhag raha hy or wo us ko kahi or shadi karny k liye majbor kar rahy hy pls app mujhy kuch parhny k liye bta dy sab say barra masla ye hy k mery abbu dosry country mein rahty hy un k na aany ki wajha say ye sab kuch howa hy pls ALLAH app ko ajar dy main bohat zyada mushkil time ka samna kar rahi hoon pls.
Answer:
1) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
2) Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
Wazifa :
1. kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314).
2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shadi shdua mard kay liya muta kab jaiz hai, aur woo kabhi kisi asi aurat kay sath muta kar sakta hai jis ko kuwaish ho,
Answer: Aik se zaid shadi(daimi / mutaa) karna riwayat ki roshni me mustahib he. Aur doosri shadi(daimi / mutaa) karna makrooh nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ager larka or larki ne ek dusrey ko 2 gwahon k samney qubool kia, per baqaida duniavi tareeqa se nikah nahi kia, to un k maabain kia rishta hoga? kia unka akathey sona unhein zina ka murtakab karey ga? ya phir ek dusrey ko taslaam krney k baad ye jaiz hoga?
Answer:
Nikah ki chand shartain hein jin per amal kar k hi nikah ko sahi kia ja sakhta he jin main se khuch ye hain:
1. Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay.
2. sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he .
3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aoa my question is a lady who is independent and livining her own home seperatly is she need the permission for nikah from any person like father or mother or someone else
Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jis aurat sai zina kia ho is ki bati sai shadi kar saktai hai ya nahi,
Answer: Ager koe shaks apni khala ya apni phophi say zina karay, tu ehtiyaat e lazim ki bina per onki baitiyaan is zani per haram ho jain gi.or ager Na-mehram aurat say zina kia ho tu ehwat e aula(yani behter) ye hay k oski baiti say nikah nah kia jay.(Ref: A.sistani(d.b), mainhaaj part# 3,maslah#168).
Question: aik larkai nai jis aurat sai zina kia ho wo larka us ki bati sai nikah kar sakta hai ya nai,
Answer:
Ager koe shaks apni khala ya apni phophi say zina karay, tu ehtiyaat e lazim ki bina per onki baitiyaan is zani per haram ho jain gi.or ager Na-mehram aurat say zina kia ho tu ehwat e aula(yani behter) ye hay k oski baiti say nikah nah kia jay.(Ref: A.khumeni(R.h), 5 maraja karaam ki mainhaajus saliheen, Al-muaam’laat,maslah#1251).
Question: meri ek dost hai os ki age kafi ho gyi hai but shadi nai hoyi abi,or mutah ki ijazit required hai, par os k walid or dada ki b death ho chuki hai, ab kya bager ijazit k os k sath mutah jaiz hai kya?
Answer:
kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kisi larkay nai kisi aurat sai zina kia ho to kia wo larka us ke bati sai nikah kar sakta hai.ya nahi
Answer: Ager koe shaks apni khala ya apni phophi say zina karay, tu ehtiyaat e lazim ki bina per onki baitiyaan is zani per haram ho jain gi.or ager Na-mehram aurat say zina kia ho tu ehwat e aula(yani behter) ye hay k oski baiti say nikah nah kia jay.(Ref: A.khumeni(R.h), 5 maraja karaam ki mainhaajus saliheen, Al-muaam’laat,maslah#1251).
Question: kya doodh behan se shadi jaiz hai mera matlab hai k meri maa ne mere chacha ki beti ko apna doodh pilaya tha to mera us se shadi karna jaiz hai jaldi jawb den
Answer: Agar koi aurat aik bachay ko un shariat k sath doodh pilay jo bayan ki gae hein to agar wo larki he to os aurat k batay k lie mahram ho jaay gi. Aur shadi karna haram hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2428) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mufti sahab mere sawal ye hai k mere chacha ki beti hai aur use meri maa ne bachpan men apna doodh pilaya hai to mera us k sath nikkah jaiz hai is ka jawab jaldi den ap.....
Answer:
Agar agar aap ki walida nay aap chacha zaad behen ko on 8 shara’it k saath doodh pilay tha jo bayan ki gae hein to woaap k liay mahram hain aur aap on say shadi nahi ker saktay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2428,2438)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam,mera masla yeh hai k meri dosti net pe aik larky say hoi ar phr humari dosti bhar gai ar hum fone pe baat krne lgay phr us larky ney mere gar rishta bheja mere garwaly nahi maan rahy kyu k larka abi settle nahi ab hum dono chor b nahi sakty aik dosray ko kya mein us larky k settle hone ka wait kron?Q#2 agr mere gar waly nahi manty us k settle hone k bad b to kya mein garwalo ko force kr sakti hon us say shadi krne k liy?
Answer:
1) agar aap os leakay k settle honay ka intezaar ker sakti hoon or aap is doran jald shadi nah kernay ki wajah say haraam kaam main mubtala honay ka khoof ho tu aap per wajib hay k jald shadi karain.phir is lerkay ka intezaar nah karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2407).
2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
3)wazifa :
1. Jo mard aurat shadi chahte hein. Wo surah e taha ayat # 131,132 (wala tamud’dannah. . . . .. . .. . .. lit taqwa) ka taweez likh kar gale me dalein. is ayat ke bad darood bhi likhein. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 282)
2. Hazrat Imam e Jaffer sadiq a.s. farmatey he k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kaprey me lappet kar apne pas rakhe aur shadi k qasad se kisi k pas jey to usi na kam nahi lotna pare ga aur wo shadi ho kar rahe gi. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #18)
Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
Question: salam mera sawal hai k kya aik muslim larka kisi chirstan larki say shadi kr sakta hai?
Answer: Christain aurat se muta karnay me koe haraj nahi he aur ethiat e wajib ki bina per in se daimi nikah(permanent marriage) na kia jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362)
Question: mera sawal yeh hai kay,nikah kay bad if my husband only touch me or kiss me only not more then this,so it is halal or haram in islam??plzz give me answer in a clear way. thank you
Answer:
1)Agar riwaaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti larki apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main aap ka aap k shohar ko mana karna jaiz hay aur is main gunah bhi nahi hay.(Ref:Book-4 Q.No.149. )
2) Nikah k baad sohar aur biwi danoo aik dosray k liay halaal hain or aik dosray say tamaam lazzaat hasil kersaktay hain or dono aik dosray k badan k kisi bhi hissay ko badan k kisi bhi hissa se mas kar sakhte hain chahae lazat se ho ya baghair lazzat k. laikin agar shohar rukhsati say pehlay jima kerna chahay tu biwi par wajib nahi hay k wo khud ko jima k liay shoror k saamne paish karay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236 & Email Rcvd from sistani(d.b),dated:30-09-10).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: muttah ki dua kahan milay ge kiss book main.
Answer:
Muta main dua nahi nikah k seeghay perhay jatay hain jis se nikah e muta hota hay. or ye seghay mukhtalif Fiqhi kitabo main maujood hain or aap Ayatullah Sistani(d.b) ki tauzee main is daikh saktay hain.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# )
2334).
Note:Hum aap ki asaani k liay Ayatollah sistani(d.b) ki website ka link day rahay hain jahan urdu tauzee maujood hay or muta k seeghay likhay hoay hain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/28.htm)
Question: Adab! mira sawal ye hay k may nay ek larki say ZINA kia os ky bad pashimani to boht hoi toba b kia avr ab os larki say may shadi ki awar baqaida apnni riwayat ka motabiq ham donon ki shadi hoi nikah fiqa awr gawahon awr rishta daron ka samny hoi.Kia zina k bad hamara NIKAH jaiz ha???Plz mujy mujtahid ka fatwa k sat sat Quranni ayat awr Hadith say b agah kijey.ta k ham dono apni shadi shuda zindgi tasali sy gozarin. agar mujy sawal ka jawab miry email par bijden to shukar gozar rahonga. Fee Aman-e-Allah.
Answer:
Ehtiyaat e wajib ye he k insan os aurat se jis se khud zina kia ho toba karnay se pahle nikah nah karay. Or tauba k baad osi aurat se nikah kerna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere dada ki do bibiya thai, pahli bivi ke ladke ke ladke ki ladki se dusri bivi ke ladke ke ladke se shadi ho sakti hai kya? (ladka ladki aapas me chacha bhatiji lagenge) lajdi lawab denge to badi meharbani hgo.
Answer:
Jee haan shadi ho sakhte he. Faqat 7 qiam ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90)
In dono lerhke or lerhki ka apas main nikah kerna jaiz he Q k ye lerhki is lerhke k sagay bhai ki baiti nahi hay balkeh chacha zaad bhai ki baiti hay.or ye apas main na-mehram hain.(Ref: Email rcvd from A.sistani, dated:21-12-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mein ek ladki ko pasand jo other cast ki (hindu) woh mujhe achhi lagti hai. mein usse shadi karna chahta hu kya ker sakta hu.. shadi..... ....
Answer:
Musalman mard ehl e kitab(yahodi ya esae) k alawa kafir auratoon se shadi nahi kar sakhta.Laikin yahodi or esae autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362).
Note: Aap hindu aurat se nikah nahi ker saktay jab tak k wo musalmaan nah hojaay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: can a syed girl get married to a non syed boy in case they like each other so much and cant acept anyother as their lifepartener?
Answer:
Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221).
Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aghar kisi ka bacha goud leya jata haa or jaab os ka nikkah hota haa to nikkah mian ki baap ka naam hoga jis ne pieda keya haa os ka jis ne pala haa os ka. jaab keh dono zinda hain?
Answer:
1-Nikah karnay me baap ka naam lena zarori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2333).
2- Jab bhi bacha kisi ko gowd(adopt) diya jaay tu zarori hay k bachay ka os k sagay waaldain se rishta mehfoooz rahay.(Ref: A.Sistani(d.b), dated: Jul 5, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Main aur meri mameri bahen ek dusre ko pyar karte hain hum done ne us niyat se ek dusre hka hanth tak nai pakra. janab main love mairage k masle janna chahta hoon aur wo mujhse do saal badi hai.
Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i am 25 yrs old and i am engaged with a girl our parents have showed their agreement for this proposal n have decided to do our nikkah after a few months, apparently there isnt any important reason to delay this except for the cultural practices. now in that situation when we feel like spending time with each other can we get our nikkah done on our own before the date they have decided without telling anyone
Answer: The consent of her father or grandfather is required. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : July 29, 2011)
Question: AOA main by fone nikkha karna chati hon ladka jeddha main hai kaya humara nikha phone per ho sakta hai
Answer: Phone k zarie agar baqia tamam shariat majood hoon to nikah karna sahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 108, pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia sunni larkay say shadi kii ja sakti hay ?
Answer: Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko aap ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir aap k lie is k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum aap ko bator e khass nasihat kartein hein k aap is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 )
Question: Assalam-o-alaikum,, mujhe apse aik cheez confirm karnii hai noha parhnay k bara main ... main married hun ab lkn noha khani bachpan se karti i hun apni 2 behno k saath.. lkn ab masla ye aya hai k yahan kuwait main bht problems hain koi hamain noha pahnay ko kehta hai lkn meri saas ko majlis main naya ka phone nahi karta tu mere liye bht problem ho jatii hai.. dekhain noha parhna aik sawab ka kaam hai or hum har jaga nahi parhty koi kehta hai tu zaroor parhty hain ,, ab aap batain kia kiya jaye meri ammi nay hamesha ye hi sikhaya hai k in kamaon main dunya darii nahi dekhni chahiye mola ka zikr hai ,,, or hum teeno behno ko noha parhna bht acha lagta hai ab kia kiya karoon jab saas ye boltiin hain k mujhe nahi bulaya tu tm b na jao .. main na jaon kia ?
Answer:
Agar aap ka ghar se baahar ja kar noha parhna sohar ki ijazat se he to jaiz he aur agar sohar ki ijazat nahi he to aap ka ghar se baahar jana haram he chchay sohar k haq k manafi nah bhi ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: SALAM Q: MEI AUR MERA FRIEND SALMAN HUM DONU GHAR SEY BHAG KER SHADI KERNA CHAHTEY HAI KYU K GHAR WALAY IS SHADI MEI RAZII NAHI HAI K HUM DONU KI SHADI HO KIUN K GHAR WALO NEY INQUIRY NIKALI TO LARKEY KI INQUIRY YE AII K WOH SHARAB PITA HAI JUB K LARKA NAHI PITA HAI MERE UNCLE NEY MERE GHAR WALO KO GALAT BAYANI KI HAI KYU K MERE UNCLE APNEY SON KUMAIL K SAATH MERI SHADI KERWANA CHAHTEY HAI JIS K LIYE MEI RAZI NAHI HU TO AB MENEY FINAL DECISSION YE LIYA HAI K MEI LARKEY K SAATH BHAG KER SHADI KERU GII WOH BHI MJHY BUHAT CHAHTA HAI AUR MEI BHI USEY BUHAT PYAR KERTI HU ..... IS K LIYE AAP KIYA RAI DEY GEY MEI JO KER RHI HU SHARII LIHAZ SEY THIK HAI AUR AAP MJHY MASHWARA DEY PLS SIR AAP KI BARI MEHERBANI HO GI ... PLEASE REPLY ME SIR URGENT
Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335 , 2341 , 2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kiya Kisi Syed Or Shia Larki Ki Shadi Kisi Non syed Or Sunni Larkay Sy Ho Sakti Hai Kiya??
Answer:
1)Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221).
2) Agar is baat ka dar aur khof ho k kal ko shia larki ghumrah bhi ho sakhte hein jis ka ethimal beherhal majood he. to phir shia larki sunni karkay k sath shadi bhi jaiz nahi he. hum shia larki ko bator e khass nasihat kartein hein k wo is terha ki shadi na karein. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 136, pg #62 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamu alaikum, main ye janna chahta hu k kya islam me haqiqi khala(maa ki behan) ki beti se nikah karna jayaz hai ya nahi? barahe karam quran o hadees ki roshni me rehnumai karen. agar mumkin ho to hawale aur misalen bhi den.
Answer:
Jee haan sagi khanla ki baiti say nikah kerna jaiz he. (Ref : A.sistani(d.b),Tauzeehul masa’il, masalah #2360).
Quran e kareem main sorah e nisa(sorah#4) ki ayat 22 or 23 main bhi in aurtoo ka zikr hay jin say nikah kerna haram hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam Alykum..Im 32 years old syed shia women,i got divorced 3 years before.now i want to marry again but there is no good purposals of sadaat,so shud i go for gair e sadat,,is it halal to nikah with omati(gair e syed)?
Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-32).
Question: mujhe ye poochna hai k larki k balig hone k baad agar os ki shadi na ki jae to kiya maa baap ko gunnah hota hai agar hota hai to kon see hadees main faramaya gaya hai ya kon see qurani ayat main faramaya gaya hai or larki balig kitne saal main hoti hai or maine suna hai k larki 18 saal k baad shadi na ki jae to waliden ko gunnah hota hai
Answer:
Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se haram me mubtila hota ho is per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
2)Larki me balig honay ki alamat ye he k wo chaand k hisab say 9 saal
puray kar le. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2215).
3) agar rishta maangnay walay ki diyanat daari or akhlaaq pasand deeda hoon tu behter ye hay k (rishta dainay say)inkaar nah karain. Paighamber(s.a.w.w) se riwayat hay k keh “ jab bhi koe shaks tumhaari lerkhi ka rishta maangnay aay or tumhain is shaks k akhlaaq or diyanat daari pasand ho tu apni lerki ki shadi os say ker do.agar aisa nah karo gay tu zameen per bohat berha fitna phel jay ga.”( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2423). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hai k eik lerki jo kunwawri thi, phir us nay apnay parents ki ejazat se mutah ker lia. phir wo contract expire hogia. Kia ab wo larki dobara kisi or mard say mutah karay gi tu kia usay dobara parents ki ejazat ki zarorat hogi??
Answer: jo aurat kanwari nah ho (yani os k shohar nay os k saath jima/hambistari ki ho agarcha aurat ka perda e bakarat nah ki phata ho) os ko nikah kernay k liay wali(baap ya dada) ki ijzat laina wajib nahi.. agar aap k shohar nay muta k baad aap say humbistari ki thi tu ab aap ko dosray nikah k liay wali ki ijazat laina laazim nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)